pakhi ka decision?? 🙃

112 16 18
                                    

Hello guys 😊
Here is chapter 7
Let's start.....
.
.
Countinue from last chapter.......

At night....

(Pakhi apne room mein aati hai our apna phone leti hai our changu ko call karti hai... He picked up)

P- hello

Ch- hello

P- kya tum meri jagtap ke father se baat karva sakte ho

Ch- ek min

Ch- dada .... Patrlekha ka phone hai... Aapse baat karna chah rahi hai

Ak- hmm

(Changu phone ko speaker par dalta hai)

Ak- to yaad aa hi gayi meri... Kis liye phone kiya hai

P- vo mein keh rahi thi ki...

Ak- arey seedha seedha bolo na ye vo mein keh rahi thi ye vo mat karo

P- hmm... To aapne kaha tha ki apna jawab bta dena ... To jawab dene ke liye hi phone kiya hai

Ak- acha to kya jawab hai tumhara

P- meri haan hai

Ak- mujhe pta hi tha.... Kyuki majboori mein insan sab kuch karta hai

P- jo bhi hai... Abhi maine haan bola hai na to isme khush raho

Ak- acha... To kab aa rahi ho

P- kal aaungi... Time bta do

Ak- raat ko hi aana

P- ok

Next day in morning......

(Pakhi sabko ignore karke ghar se chali jati hai.... Police station.)

In police station.......

(Pakhi bina police inspector se puche hi samrat ke paas jane lagti hai)

Po- oo madam... Kaha ja rahi ho

P- tumse matlab

Po- oh sorry mam ... Aap ja sakti hai

P- dekhke bola karo

(Pakhi go)

Po- ye... Iss jagtap ke baap ki vjh se aaj pehli baar kisi orat se sorry bolna pada (angry)

(Pakhi samrat ke paas jati hai... Samrat vaha jail ke ek corner mein betha hota hai... Kuch soch raha hota hai)

P- samrat

(Samrat pakhi ki taraf dekhta hai our jaldi se uske paas jata hai our usse hug karta hai... Un dono ke beech mein vahi jail ke pipes hote hai... After some time they both Brock hug... Dono ne ek dusre ke hands pakad rakhe hote hai)

P- samrat tum thik ho na (with moist eyes)

S- mujhe kya hoga bhla

P- samrat... Sorry

S- kyu... Kya hua 

P- meri puri family se ladai ho gayi our sab keh rahe hai ki tumhari hi galti thi... Isliye tum aaj yaha ho... To isi baat par meri unse ladai ho gayi... Vo sab baat baat par tumhe blame kar rahe hai.... Sorry maine puri family se buri trh se baat kari... Sorry (moist eyes)

S- ooye pagli.... Rote nhi hai.... Sorry bolne ki koi zarurat nhi hai... It's ok... Mujhe koi problem nhi hai 

P- sorry... Mein tumhe abhi tak bhr nhi nikal payi... Sorry (sobbing)

S- arey... Ro kyu rahi ho.... Nhi rote hai... Tum rote hue achi nhi lagti... Humesha khush raha karo na.... Haste hue tum bht pyari lagti ho

P- to tum kya chahte ho ki mein itna kuch hone ke baad bhi hasu... Itni musibatein sir par hai our tum hasne ko keh rahe ho mujhe

S- arey... Pakhi... Acha par ro to mat please.... Sab thik ho jayega... Rote nhi hai

(Samrat pakhi ke tears wipe karta hai... Our uske dono hands par kiss karta hai)

S- chup ho jao ab

P- samrat

S- hmm

P- tum kabhi mujhe nhi chhodoge na... Chahe kuch bhi ho jaye fir bhi nhi chhodoge na mujhe

(She is playing with his t shirt buttons... Pakhi ne apna had un pipes par rakha hota hai... Our ek hand se samrat ke hand pakad rakha hota hai)

S- tumhe esa kyu lagta hai ki mein kabhi tumhe chhodunga.... tum meri life mein mujhse zyada important ho mere liye... Tumhe chhodne ke baare mein kabhi sochunga bhi nhi mein

(She smiled)

P- bharosa bhi karoge na

S- tum ese sawal kyu puch rahi ho

P- bass ese hi.... Jawab do na bharosa karoge mujhpe humesha

S- haan meri chotu bacchi

(Pakhi samrat ke hand par kiss karti hai)

P- thank you (in mind) for your permission..

S- kyu

P- bass ese hi.... Mein tumhe jald hi yaha se bhr nikalungi... I promise...

S- I know tum mujhe jald hi apne paas le hi aaogi

P- I promise ab jab bhi aaungi tumhe yaha se bhr nikalne hi aaungi.... Our sorry

S- kya par ye kyu

P- pta chal jayega... Bye

S- ja rahi ho

P- sorry... Mujhe jana hoga... And I promise ab mein tumhe zaroor bhr nikalungi

(Pakhi sam ke cheek par haath rakhti hai our usse bye kehke chali jati hai)

In night......

(Pakhi mirror ke paas khadi hoti hai... She is wearing a beautiful black saari... And do all makeup 💄... She is looking veri beautiful and hot... She is ready... Tabhi uski eyes se ek tear nikalta hai)

P- saji hu to kiske liye.... Apne pati ke liye nhi.... Agar samrat hota to... Chhodo abhi sochne ka koi fayeda nhi (moist eyes)

(Pakhi tissue se apne tears wipe karti hai)

(Tabhi pakhi apna cupboard open karti hai.... Our usne se kuch nikalti hai)

ヽ(。◕o◕。)ノ.ヽ(。◕o◕。)ノ.ヽ(。◕o◕。)ノ.

Kya nikala hoga pakhi ne ??

Bye 👋
See you soon 🔜😗

Love you all 😘🥰🥰🌺💞🥰

I will do anything for you Where stories live. Discover now