Abir's smile disappeared.

Abir- maa---

Ishwari- tuney waada kiya hai.

Abir- aapne waada churaya hai. Mai iss puja mein nahi baithunga.

Sayu- par kyun Abir?? Aaj tumhare baba ka b'day hai.

Ishwari- beta ab toh gussa thook de.

Abir- nahi maa. Aap hi kehti hai na ke bachche ka mann kore kaagaz (blank paper) ki tarha hota hai, usspe jo likho woh chhap jata hai. Haina. Mere mann pe chhapi woh baat ab patthar ki laqeer ban chuki hai jo ab mitt nahi sakti. So mai ja raha hoon. (To Sayu) bhabhi, puja khatam ho jaaye toh call kar dena mai aa jaunga. ()

Abir takes ishwari's blessings and leaves angrily. Sayuri was confused but decided to ask about it to Kanha later on.

On other hand, Mishti got ready and went to temple. There she saw Abir so she went to him. Abir was surprised seeing Mishti there.

Abir- hi!!

Mishti- tum yahaan kya kar rahe ho?? Aaj tumhare baba ka b'day hai na aur ghar mein puja hai, toh tum yahan??

Abir (ignoring her question)- aur bataao, ghar pe sab kaise hain.

Mishti- ghar pe sab theek hai lekin tum mera question ignore kyun kar rahe ho??

Abir- Mishti please. Mujhe uss baare mein baat nahi karni.

Mishti- kyun?? Tumhe toh abhi puja mein hona chahiye tha. Tumhare baba ke naam ki puja hai aur tum yahaan baithe ho.

Abir was getting irritated listening to the word baba again and again.

Mishti- waise aunty ji ko congrats kehna. I know aunty uncle ko miss karti hongi but kya kiya ja sakta hai. Aur tum bhi toh apne baba ko...

Abir (angrily)- just stop it!!! Kya baba-2 laga rakha hai?? (Mishti flinched at his tone.) Ek baar mein samajh nahi aata ke mujhe iss baare mein baat nahi karni.

Mishti- p... par mai toh yeh keh rahi thi ke, tumhe abhi puja mein baithna chahiye aur---

Abir (angrily)- kyun baithna chahiye han?? Uss aadmi ne kiya kya hai humare liye jo usski puja karun.

Mishti- Abir yeh kaise baat kar rahe ho tum, woh tumhare baba hain.

Abir- baba? Kaise baba?? Krishu ke liye unhone kya kiya i don't know but mere liye aur ketu ke liye unhone kya kiya?? Woh mehlon jaisa ghar jahaan hum rehte hain, woh viraasat mein de kar nahi gaye the humein. Uss ghar ki neev mein humaari maa ki zindagi aur hum bhaiyon ka bachpan laga hai.

Mishti was just silently listing to him.

Abir- unki life mein ek problem aayi aur woh latak gaye pankhe se.

Mishti (shocked)- kya!!?? (Taking a deep breath) Abir relax. I know ek bachche ke liye usske father ki death bahut hi shocking hoti hai par.... par marna bhi asaan nahi hota hai. Kya pata unki life mein kya problem hogi jo unhe woh step uthaana pada.

Abir (mutters under his breath)- haan. Problem hi toh thi. Ketu paida ho gayi, phir (gritting his teeth) uss aurat ka sach usske pati ke saamne aa gaya aur woh chali gayi.

Mishti (confused)- hain!!?? Kya?? Kaun aurat?? Aur ketu ke paida hone se isska kya relation hai??

Abir- Mishti, duniya mein koi bhi problem koi bhi musibat itni badi nahi ho sakti ke apne biwi bachchon ko lavaris chhod ke kissi aur ke peechhe jaan di jaaye. Woh akele nahi gaye the. Humara bachpan aur humare jeene ka sahara saath le ke gaye the.

Mishti looks towards Abir.

Abir- Humare ghar mein woh akele the kamaane wale. Unhone ek baar bhi nahi socha ke hum kahaan jaaeinge, kya khaeinge. Agar socha hota toh woh aisa kadam nahi uthaate. 6 mahine ki thi ketu, 2 saal ka tha mai aur 5 saal ka tha Krishu jab woh humein chhod ke chale gaye. Krishu, jissey khud dhang se khaana nahi aata tha woh humein, mujhe aur ketu ko khana khilaata tha. Jo kaam ek baap apne bachon ke liye karta hai woh Krishu ne humaare like kiya. Humein ungli pakad ke chalna sikhaya, jab hum galat hote the toh humein sahi raah dikhayi. Jo jo kaam unhe karne chahiye the, woh Krishu ne kiye toh mai unki puja kyun karoon?? Maa jhadu pochha karti thi logon ke ghar. Jab log ussey bura bhala kehte the toh khoon khaulta tha humara lekin kuch kar nahi paate the kyunke haisiyat nahi thi. Hum bachpan se aise mehlon mein nahi paley hain. Unke ek galat decision ki wajha se, unki ek galti, ek najayaz rishte ki wajah se humne kya din dekhe hain yeh tum nahi jaanti.

He was hell angry. He just sat on his bullet and went away leaving Mishti there.















Precap:- Mishti in danger.

A heart to heart talk of Abir and Mishti.

Kyunke Tu Dhadkan, Mai Dil...Where stories live. Discover now