Pakhi💔

394 25 33
                                    

Tu kehta hai ki bharosa karu tujh par
Khud Bata kaise karu Mai tujh par
7 Janam nibhane ka wachan Liya tha
Tune toh 1 Janam bhi pura na nibhaya
Tum toh apni zuban ke pakke na nikle
Kaha tha ki har pal sath rahoge mere
Ab Kya hua us wade ka Tere....

Zindagi se har kar
Band kamre ke andhere Mai
Jab bhi tuti thi ek shara dhundti thi
Magar afsoos khud ko tanha pati thi
Tere ane ke bad sab badal gaya
Kyu ki tu Mera Humdard ban gaya
Jab sahare ki zaroorat pari
Tumne sabse phele hath age barhaya
Magar Mai hi Pagal thi
Jisne tujhe hi sab se zyada sataya
Yeh jante hue bhi ki...
Ek taraf ishq Kitna tarpata hai
Phir bhi Tere zakhmo ko sabse phele
Mai hi khured deti thi...

Maine Kya nahi Kiya tumhare sath
Magar tumne Sirf ishq Kiya mere sath
Mai nadan yeh samajh hi na payi
Jise Pyar samjha
Usi ne sabse zyada Dil par var kiya

Mana maine thori der mai samajha
Tumne mujhse Jo Kiya woh hai pyar
Toh Kya ab uski itni bari saza
Tum hamesha ke liye chor gaye
Ek bar phir mujhe Akela kargaye

Pichli bar toh ek aas thi
Aj nahi toh Kal wapis aaoge
Ab kaha se lau Mai woh umeed
Tum toh uski har Kiran le gaye

Itna toh Bata jate ki
Tumhare bad rehna kaise hai
Jab duniya se thak kar tut jaungi
Toh khud ko sambhalna kaise hai
Ab Kon mujhe sahara dega
Kon mujhe ab hosla dega
Kon barhayega apna hath
Aur kahega Mai ho tumhare sath
Itni mushkil se toh age barhi thi
Tum phir mujhe tanha kar gaye

Ab kis ko sunaungi
Mai Apne Dil ka Hal
Tere Siva koi puchta bhi toh nahi Mera Hal....

Phir kehte ho ki bharosa karo tujh par
Tu Bata kaise karu Mai tujh par
7 Janam ka wachan Liya tha
1 bhi pura na nibhaya

/////////////////////////////

Emotional hogaya na bahut. I know. Lekin episode dekh kar yahi araha tha man Mai Isley socha likh hi du

That's my POV for Pakhi.

Sorry for this emotional writing 😔

New story la Rahi ho us se mind fresh hojayega stay tune

Khubsorat Lamhe❤️Where stories live. Discover now