They cover 30 min distance and reach hospital in 10 Min..
As shouts- Dr.. Dr.. pls jaldi aayie..
Dr- it's an emergency.. nurse.. jaldi stretcher lekar aayie.. khoon bahut beh chuka hai..
Dr- sir aap pls form fill kijie taaki hum unhe admit kr sake..
Ks- ama dimaag khisak gya hai ka tumhara.. tum jaante ho emergency hai phir bhi pehle formalities karva rhe ho..
As hold dr collar- hum bata rhe hain.. Agar humari hj ko kuchh bhi hua na.. toh lucknow ke naye dsp hone ke naate bahut kuchh kr skte hain hum..
Dr- sorry sir.. hum inhe ot mein shift krte hain..
As- jald se jald..
Dr- ji ji..

Ks hugs as..
Ks - bhaiya... aap kaise hain.. humein maaf kr dijjie.. aap mission par jaa rhe the aur humne aapko gale se ek baar lagaya bhi nahi.. hum..hum..
As-shh.. shh.. shant ho jaayie behna.. magar hum aapko maaf nhi kr sakte..
Ks sees him and cries..
As- are poora sunn toh lijie.. hum aapko maaf nhi kr sakte kyunki hum aapse naraaz hain hi nhi.. ulta humein toh iss baat ki khushi hai ki jab koi unka Sahara nhi tha tab aapne unhe bhavnatmak Sahara (emotional support) diya..
Ks hugs him tighter..
Ks- ms.. Ms ko kuchh nhi hoga na..
As- nhi.. bharosa rkhiye bholenaath par.. kuchh nhi hoga hj ko..
As- behna.. mpt aur ammi ko bata dijie..
Ks- hum..hum kaise..
As cups her face- behna.. jaldi kariye..

N- sir aap pls ab toh form bhar dijie.. ab toh operation bhi start ho gya hai..
As- ji..ji..
Nurse gets the form..
N- sir pls sign kr dijie..
But there were only 4 relations written.. MOTHER, SIBLING, HEIR, HUSBAND..
N- Sir kya soch rhe hain.. kariye na sign..
As- ji.. with trembling hands, he signed on Husband ...

Ks calls in mpt..
Ps- hello..mpt.. sadev aapki seva mein tatpar.. kahiye kya seva kr skte hain hum aapki..
Ks- hello..
Ps- karishma ji.. kahan hai aap.. aur landline par kyu phone kr rhi hain...
Ks- pj.. Ms jo goli lagi hai.. hum aur anu bhaiya unhe hospital lekar aaye hain..
Ps- kya??
Ks- ji.. aap sab hospital pahunchiye aur ammi ko bhi bata dijie..
Ps- j..ji..

And call cuts...
Ps- santu.. cheete.. billu..
Ss- kya hua pj.. aur aap ro kyu rhi hai..
Ps- woh woh.. uss mira ne Ms ko goli maar di hai.. ks aur as unhe aspatal lekar gye hain..
Cc- kaa?
Bc- maa.. keh do aap mazak kr rhi ho..
Ss- hn.. Ms ka bday hai aur agar yeh mazak hai na pushpee toh bahut bura hai..
Cc- bilkul theek kahi santu ji..
Ps- ama humein dekhke lagta hai hum mazak kr rhe hain.. chlo jaldi..
They adjust themselves in an auto..

Ps calls ammi- hello.. noor ji..
Nj- ji bol rhe hain.. aap kon?
Ps- ji mein mpt se bol rhi hun.. ps..
NJ- are pushpa ji.. aap hain
Ps- noor ji haseena maddam ko goli lagi hai.. aap pls city hospital aa jaayie..

Phone slipped from ammi's hand..
Ps- hello.. hello.. noor ji..
Nj- hn hn.. hum aa rhe hain..

All reach hospital..
Nj- haseena.. haseena meri bachi...
Ks and as see them..
Ks- ammi.. ammi.. sambhaliye khud ko..
Nj- karishma.. kaise hua yeh Sab.. aur woh..
As- ammi.. ammi.. shant ho jaayie..
Nj- anubhav.. beta tum.. tum kaha the.. aur..
As- hum sab batate hain ammi.. pehle aap shaant ho jaayie..
Baithiye yahan.. paani pijie..
Nj- ab batao..
As- ammi darasal ... (and tells the truth about mission)
Nj- dekha.. humne kaha tha na.. tumhari aankhon mein humne haseena ke liye pyaar dekha tha..
As- ammi.. kya aapne humein maaf kr diya..
Nj- hn..kar diya mere bachhe..

And as hugs ammi tightly..
As- dhanyawaas ammi...
Nj- ab bas kr.. Kitna royega..

Nurses were rushing in and out but nudging the questions of mpt members...

Dr comes outside after 3 hrs..
Ks- Dr.. Ms theek ho gyi na..
Dr- unhe 3 goliyan lagi thi.. khoon bhi bahut beh gya tha.. but I must say she is a fighter.. ek point par humne himmat chhod di thi but she kept on fighting.. and finally we can announce that hm is out of danger..
Tears started flowing from as and ks eyes..
As hugged the Dr in happiness..
As- hum bata nhi sakte hum kitne khush hain..
Then he realized he hugged the Dr..
As- sh..shama kijiyega..
Dr- are are koi baat nhi.. hum samajhte hain..
humne unhe ward mein shift kr diya hai.. aap mil sakte hain unse..

Nj- anu beta.. pehle tum mil aao..
As- ammi par..
Nj- jaa bhi ab.. hum jaante hain hum sab se zyada dukh tujhe hua hai.. and kisses his forehead..

As enters in the ward...
And sits beside hm on the stool..
Hm tilts her head and smiles..
And holds his hand..

As sees her.. and tears come in his eyes..
Hm- aap theek hain?
As- Chot aapko lagi hai aur hum theek hain yeh aap poochh rhi hai.. yeh toh humein poochhna chahiye na..
Hm chuckles..
And suddenly turns serious and speaks in emotional voice..

Hm- aap kahan the itne din aur..
As- shh.. yeh samay inn sab baaton ka nhi hai.. aaram kriye hj..
Hm- aaram hum kr lenge baad mein.. magar humare liye yeh topic zyada important hai..
Hm- aap humse aaj bhi pyaar krte hain na..
As sees away ..
Hm- nazre kyu chura rhe hain.. yahan dekhkar baat kijie..
Hum jaante hain aap aaj bhi humse utna hi pyaar krte hain jitna pehle krte the.. aur nazre bhi isliye chura rhe hain kyunki aap jaante hain aapse jhoothh nhi bola jaayega humari aankhon mein dekhkar.. idhar dekhiye.. dekhiye naa..
As sees her..
And she pulls him and hugs him..
As- hj kya kr rhi hai aap.. aapko dard hoga..
Hm- sshhh.. aap humein kabhi dard nhi de sakte.. kabhi dukh nhi pahuncha sakte.. humare paas toh phir bhi sabh the.. magar aap akele the anubhav.. hum jaante hain aap humse zyada tadpe hain.. hum jaante hain aapki koi majboori rhi hogi aur hum smjhte hain..
As- kyu smjhti hain aap sab kuchh..
Hm- aapse pyar jo krte hain..
Aur ab aap sach boliye pehle.. kya pata agle pal hum ho ya n..
And anubhav places a hand on her mouth..
As- yeh dobara mat boliyega hj..
Hm- achha baba.. magar bata toh dijie..
As tells everything..
Hm- pagal hain kya aap.. aise koi krta hai kya?? Are bata toh dete.. zabardasti rok thodi lete aapko.. sabki nazron mein aapne khud ko humare liye giraa diya..humari jaan bachane ke liye.. aur aur.. kyu hakk nhi hai aapko .. pyar krte hain aap humse.. aur kya humein hakk nhi tha apne hone waale shohar ka intezar krne ka.. humare abbu, aapke baba bhi toh force mein the na anubhav.. waise aapko Pata kaise chla ki humari jaan khatre mein hai..
As- waada kiya tha na humne harr mushkil paristhiti mein aapke saath honge hum..
Hm while rubbing her arm on his back..
Hm- thakk gye hain na
As in her embrace- hmm..
Hm- achha suniye.. I AM PROUD OF YOU...
As sees her..
As- Sach mein?
Hm kissed his forehead..
Hm- much mein..
Hm- aur bass ek baar humein discharge mil jaye.. hum theek ho jaaye.. koi sagai wagai nhi hogi.. seedha mandap mein bitha denge aapko.. zabardasti.. iss baar koi beech mein nhi aayega.. woh kya kehte hain aap.. JATT MANGNI PATT BYAAH..
mangni ka toh pata nhi lekin mandir mein patt byaah zaroor kr lenge hum aapse..
As- aur hum tayyar hain.. hamesha..
Ks from back..
Ks- jatt mangni bhi kr lijie..
And she was holding two rings in her hand..
Anuseena make each other wear the ring.. and Dr clicked the photo..
Dr- aisi family sach mein kabhi dekhne ko nhi mili humein...

Nj goes near her and hugs her..
Hm- ammi..
Nj- chup kr nalayak.. Kitna Dara diya tha humein..
Hm- kya ammi.. yahan bhi nalayak..
All laugh..

Ks- bhabhi
Hm- karishma..
And gestures her for a hug..
Ks comes and hugs her tightly.. and starts sobbing..
Hm- kashi.. bas kro..
Ks- hum hum.. darr gye the na bhabhi.. aur hum bata rhe hain uss teen ke dibbe ki toh..
Hm- achha achha. Shant ho jaayie.. humein kya pata tha ki woh hack ho jaayegi..
Ks- dekhiye.. aap abh bhi uski taarif kr rhi hain.. baat mat kijiyega humse aap..
Hm- baat toh aap kr rhi hain..
Ks- toh humne kaha aap mat baat kijiyega.. hum kar sakte hain..
Hm- achha acha.. Sorry na..
Ks- hum itne samay se smjha rhe the ki woh teen ka dabba humara bhavishya nhi hai..
Hm- hn hn.. hum smjh gye.. robots can not be our future and will never be..
Theek hai.. ab toh Hass dijie..
Waise humein discharge kab milega..
Ks- kyu.. bahut jaldi hai shaadi krne ki..
Hm in flow-flow- bahut.. iss Baar pakadke shaadi krenge..
All laugh..

This is just the end of my os but the beginning of Anuseena's love story!!

Aakhir kaar Milan ho hi gaya aur shaadi ki shehnaai baj hi gyi..

So guyss .. I am very happy ki finally itne mahinon baad aaj anubhav singh dikhega.. humari dil se tamanna thi ki iss naye saal mein humein anubhav ji ke Darshan ho jaaye aur finally aaj new year happy hua hai..
Kal ka precap dekhne ke baad meine yeh os imagine kiya tha so thought why not give it a try..

So pls vote and comment ki yeh os aapko kaisa laga.. bahut jaldi mein likha hai.. hope that it meets the expectation level.. ❤

Regards
Aegle..

2390 words
7/1/22

MILAN (OS)Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora