Shalini: ap ruk jate to muje achha lagta lekin me samaj sakti hu. Abhi ke lie to ap chale jao lekin delhi se me apko kahi nahi jane dungi.

MGV: (with sweet smile) ofcourse delhi me milenge to bohot time sath bitayenge. Muje pata he tumhe bohot jaruri bat batani he muje.

MGG: (looking towards Naveen and Rajveer) or ap dono ko bhi ab baki ka sach bata dena chahie in sab ko.

With that MGG and MGV left front there. And all other looking toward Shalini.

Shalini: ok ap log ese ghurna bandh karo me batati hu sab kuchh. So yes Major General Vardhan mere father he. Me jab 14years ki thi tab me or mom bahar gaye the shoping ke lie lekin tabhi dad ke kisi dushman ne ham pe attack kar dia or usi attack me mom ki death ho gayi thi uske bad se dad ne kabhi bhi muje apne pas nahi rakha unho ne muje meri nani ke pas chhod dia tha or muje mom ke side ka hi surname bhi de dia taki meri jan ko koi khatra na ho. so Singhal surname meri mom ke side ka hi he jo ki aj tak chal raha he. Hamare najdik ke logo ko hi pata he ke mere dad kon he, sab log nahi jante mere bareme. Or fir jab mene army join ki to mene vapis dad ke sath rehna shuru kar dia or fir Naveen ke jane ke bad mene ghar chhod dia tha gusse me.

All can understand everything Then Alekh noticed that Naveen was stood there like a statue.

Alekh: ab ye bhaiya ko kya ho gaya. Ese kyu khade he.

Rajveer: (put his one hand on Naveen's shoulder) Naveen kya ho gaya tuje tu itna shock me kyu he.

Naveen: (dramatically) god kya ho raha he meri life me. Apko muj nanhi si jan pe Taras nahi ata kya.

Naina: bhaiya ab achanak kya ho gaya apko. Ab tak to thik hi the.

Naveen: yaha meri Love story ka end hone ko he or tum log puchh rahe ho ke kya hua he.

Vidhya: esa to kya ho gaya, or kitna drama karte ho ap.

Naveen: tuje jab kisi se pyar hoga na tab me teri love story ke bich me aunga na tab tuje pata chalega.

Vidhya:(in her mind) Love story start to tab hogi jab ye confess karenge apne pyar ko. Vese to inhe kisi chis se dar nahi lagta lekin pyar ke mamle me ye same Rajveer bhai jese he. Inka dimag hi bandh ho jata he ese mamlo me.

Gunny: (in his mind) ye kamina sach me mere or Vidhya ke bich me aye usse pehle muje ab confess karna hi padega. Varna ye meri love story shuru hone se pehle hi khatam kar dega. Vese kon kahega ki me Indian army me ek Major hu, jo apne hi pyar ka izhar nahi kar pa raha.

Naveen: (fake crying) puri duniya me muje khud ke hi mentor ki beti se pyar hona tha kya. Or mereko na ab sare pranks yad a rahe he jo mene un pe kie he. Or mera dimag kharab tha jo mene aj bhi un pe prank kia.

Rajveer: (teasing him) bat to teri sahi he dimag to tera karab hi he. Or rahi bat sir ki to muje lagta he ke shayad na sir tere ko kuchh jyada pasand bhi nahi karte.

Gunny: (taking full advantage to tease him) Raj bilkul sahi keh raha he. Tu yad kar academic days me bhi sabse jyada punishment bhi tuje hi dete the. Soch soch thoda gehrai se soch.

Abhimanyu: (controlling his laugh) Naveen apko na sach me kuchh sochna chahie kyuki Shalini ke bhai hone ke nate ham to ha bol denge lekin sir se to apko hi bat karni padegi na.

Naveen just thinking about all this then he saw that all his friends were making fun of him.

Naveen: (with anger) kamino kese dost ho yar tum log muje yaha tension ho raha he or tum logo ko majak suj raha he.

Rajveer: ham kaha majak kar rahe he, ham to tera tension kam karne ki koshish kar rahe he.

Gunny: (innnocently) ha ham to vahi keh rahe he jo hame lag raha he tuje ab ye majak lag raha he to ham kya kare.

TOGETHER FOREVERWhere stories live. Discover now