They both looked at each other and thought of something together....

Rajveer: kya tu bhi vahi soch raha he jo me soch raha hu.

Naveen: ha me bhi vahi soch raha hu, ye kam usi nalayak ka he.

Rajveer: sale kamine log bahar ao, me janta hu tum dono idhar hi ho.

And Gunny and Abhimanyu came out and both had boots in their hands. Rajveer and Naveen saw the boots and ran away for their life. Gunny ran after Rajveer and Abhimanyu ran after Naveen.

Rajveer: (still running) ye kya kar rahe ho tum dono.

Naveen: ha ese kon marta he apne hi dosto ko.

Gunny/Abhimanyu: ham marte he.

Rajveer: dekh lag rahi he marna bandh kar yar.

Gunny: isi lie mar raha hu.

Naveen: Abhi tu to kuchh bol, or tu to violence ke khilaf tha na fir tu kyu mar raha he.

Abhimanyu: hame aj bhi violence nahi pasand lekin ap dono ne jo kia uske lie ham kabhi maf nahi karenge apko.

They were running all over the house , living room and kitchen covered with honey and chocolate. After some time they were stopped and gathered in living room.

Naveen: kitna mara he kamino ne. agar mere sundar chehre ko kuchh ho jata to.

Gunny: vo sab pehle sochna chahie tha tum logo ko. Or ab bohot hua tum dono ka. Tum dono ko andaza bhi he kya kya hua he tum dono ke jane ke bad.

Abhimanyu: ap dono ko pata bhi he ke ap ke jane ke bad sabki life kitni change ho gayi he. Khas kar ke apke cadets ki Raj.

Gunny: tere jane ke bad tere ye haste khelte cadets to kahi kho hi gaye he. Tuje pata he Huda jo ki har bat pe shart lagata rehta tha usne shart lagana hi chhod dia he.

Abhimanyu: Alekh ke bare me to kya hi bole vo aj sirf or sirf Naina ke lie hi ji rahe he. Pooja jinke lie ek second bhi chup rehna namumkin tha unhone to bolna hi kam kar dia he. Udi jo ki apne faltu ke sawalo se sabko pareshan karte the vo bhi bas apni technology ki dunia me khoe rehte he.

Gunny: Ali jo ki sabko apne usulo ke bareme sikhate rehta tha vo to kam ke alava ki bate karna bhi pasand nahi karta. Or Naina uske bare me to kya hi bolu. Pehle Naveen ki vajah se use society ke logo ke sawalo ka samna karna pada or fie Raj ke jane ke bad to jese uski zindagi me jine ke lie kuchh raha hi nahi. Vo ek se ek khatarnak mission leti ja rahi he taki vo ek din apne Rajveer sir ke pas ja sake. Or tum logo ko ye sab majak lag raha he.

Rajveer: (with tear in his eyes) ham sab kuchh jante he. Jab se muje hosh aya tha tab se mene sab pe nazar rakhi hui thi. Tum logo ko kya lagta he ke ye sab hamare lie asan hoga. Nahi me hi janta hu ke apne ankho ke samne apne cadets ko tutte hue dekhna kitna mushkil he. Lekin mere hath me kuchh nahi he. Hame undercover rehne ke orders mile the to ham log bahar kese a sakte the .

Naveen: (with sad face) hamare lie bhi ye sab asan nahi tha. Apne dosto ko bikharte hue dekhna, meri hi chhoti si chuhia ko logo se ladte dekhna, apne maa baba ko sharminda hote dekhna, or mere hi Veeru ko guilt me jite hue dekhna. Lekin hamare lie duty sabse pehle ati he baki sab kuchh bad me.

Abhimanyu: ab to ap log sabke samne a jaie. Or vese bhi ab ham sab ek hi mission pe he.

Rajveer: me kal hi apne sare cadets se mil raha hu.

Naveen: or vese bhi achha he ke tum dono a gaye. Ab tum dono baki sab ko sambhalne me hamara sath dena.

Gunny: ohh hello, ham se to koi ummid hi mat karna. Kyuki Naina se pange to ham log bhi nahi le sakte.

TOGETHER FOREVERМесто, где живут истории. Откройте их для себя