Sid use khuch nahi bolta use dekhta rehat hai tabhi neetu di sm ki bagleke aati hai sm or preeti di mandir mai bada diya lagate hai or Riya ye dekhti hai
Riya:- nanu kya huva aapne ye diya kyu lagaya or aap kahi ja rahe ho kya mamu ke saath ha
Sm Riya ki baate sunke rone lagati hai Riya Jake sm ko gale lagati hai sid bhi rone lagata hai isliye dusari taraf mu karta hai Preeti di or Neetu di rote hai
Riya:- nanu kya huva aap kyu ro rahe ho or mamu bhi pareshan lag rahe hai batawo plz aaise ro mat sab yaar kya huva hai mom plz aap batawo ye chaar din se sanu bhi kaha hai pata nahi call hi nahi lag raha
Sm sana ka naam leke or rone lagati hai
Riya:- ruko usko call karti hu aap tabhi manoge na nanu ( riya sana ko call karne lagati hai )
Pdi:- riya bacha mat kar call wo nahi utthayegi
Riya:- kyu nahi utthayegi aapne baat ki kya aapne pucha wo uska phone kyu nahi lagaraha tha
Riya sab ko dekhti hai sab ro rahe hote hai
Riya:- mom plz yaar batawo na kya baat hai bohot daar lag raha hai mujhe subhese becheni horahi hai plz yaar koi batawo
Pdi:- bacha sanu wo sanu ne ( preeti di aage bol nahi pati or rone lagjati hai )
Riya:- mom yaar darawo mat bolo kya huva hai sanu ko
Ndi:- bacha sana hospital mai hai wo usne susaied karne ki koshish ki
Riya:- kya nahi ye nahi hoskta sanu to bohot strong hai usne to mamu ko bhi hosala diya tha samjhaya tha ( ye bolte huye sid ke paas jati hai) hai na mamu aap bolo na wo to bohot strong hai wo aaisa nahi karsakti
Sid use gale lagata hai or rota hai riya bhi rone lagjati hai
Sid:- usne kiya hai bacha hum hum wahi ja rahe hai
Riya:- nahi mamu ...ye ye nahi ....hoskata me...ri meri sanu aa....is n...na..hi karsakti wo to boho......t s..tro....ng hai
Sid:- ha mere bacha khuch nahi hoga aapki sanu aapke mamu khuch nahi hone denge wo jayenge or aapki sanu ko saath le aayenge aapke paas ha aap ro mat aapke exam hai aap study karo ha aapko aapke mamu pe bharosa hai ( Riya ha mai sar hilati hai) mai aapko call karke sab bataunga or wo jaise hi thik hogi aapse baat karunga
Riya:- ha aap baat bhi karwana or wo thik honeke baad meri taraf daat lagana or nanu aap use ek thapar bhi dena
Sm ha mai sar hilati hai riya bhag ke jati hai or sm ko hug karti hai sab rote hai
Sm:- preeti ye diya ko dekhate rehena mai call karungi tab Jake Radhakishana ke mandir mai prasad chadhana
Pdi:- ji mom
Sid:- mom chale late horaha hai or aapne aapni tablets or hospital ki fill li hai saath mai
Sm:- ha li hai ,preeti neetu mai jabtak sana puri taraha thik nahi hojati mai nahi aaungi wahi rahingi uske saath
Pdi:- thik hai mom bas wo thik hojaneke baad baat karwana humari or sid plz sab batate rehena hume aagar jarurat pade to Mumbai le aawo use
Sid:- ji di aabhi hum chalte hai
Sid or Sm airport ke liye nikal jate hai flight mai janese pehele sid baaz ko call karke batata hai 2 ghanteke baad sid or sm Amritsar pohoch jate hai sachin unhe lene aata hai sachin ke saath dono hospital pohoch jate hai
Sm:- baaz bacha sana kaha hai
Baaz sm ko dekh ke unke paas aake unko hug karta hai sana ke mummy or papa bhi unko dekhte hai sana ki mummy rone lagati hai sid jaake unhe hug karta hai sana ke papa bhi bohot rote hai
![](https://img.wattpad.com/cover/228845671-288-k867530.jpg)
YOU ARE READING
Ye mai janu ya tu Zane, Ise baat ko koi kya zane
Fanfictioncome and read my sweet story which is about are lovely couple sidnaaz
big boss 13 - 66
Start from the beginning