Life goes on

1.8K 91 11
                                    

*****2 days later*****
Rumi is waiting for doctors to discharge her mother and is listening to their instructions, when Zoya knocks on the hospital room door.
Rumi tells her to come in but she insists her to come outside.
Rumi comes outside, "Kaisi ho Zoya?"
"Main theek hun, tum kaisi ho?"
"Han theek, bas Ammi bhi discharge hone wali hain."
"Shukar hai Allah ka. Actually main college jaa rahi thi toh socha tumhein yeh deti jaoun."
"Kya?"
Zoya takes a letter out from her bag and gives it to Rumi.
"Yeh doctor ka letter hai jo Hamza layaa tha tumhari Ammi ke ilaaj ke liye America se."
"A-accha, Hamza theek hai?"
"Theek hi hoga."
"Matlab."
"Chala gaya woh America kal hi. Iss waqt toh flight mein hoga. Isiliye usne mujhe yeh tumhein dene ko kahaa."
"Kya??!!!! Lekin kyun?"
"Kyun matlab? Woh tumhare liye aaya tha Rumi ab tum dono ke darmiyan kya hua pata nahi aur woh chalaa gaya. Hum itne khushkismat kahaan ke woh hamare liye aata." Zoya smiles.

"Aur ek baat Rumi, Hamza ne toh mujhe manaa kiya tha. Lekin fir bhi. Tumhari behen ne Hamza ka ek baar phone uthaya tha na, uske yahan aane se pehle, toh ek request hai Rumi, agar tum usse nahi baat karna chahti toh nahi karo lekin Hamna ki baat usse mat karvaao. Uski baatein woh Hamza ka roop samne le aati hain jo woh 3 saal pehle peechhe chhod aya tha. Aur uska koi haq bhi nahi banta Rumi ke woh tum dono ke darmiyan aa kar koi baat kare."
"Ek minute-ek minute. Kya? Hamna ne kabhi Hamza se baat nahi ki."
"Shayad fir tumhein pata nahi hai. Tumhare hi number se baat hui thi."
"Mujhe bata-bataya nahi Hamna ne."
"Ek baat kahun bura na maan na. Hamza ki jo galtiyan thi woh thi. Lekin mujhe yeh nahi samajh aaya ke Hamna kyun tumhare saath aisa kar rahi hai? Woh khud toh khush hai. Fir kyun?"

Rumi falls silent. She doesn't have any answer. Zoya then tells her to take care and leaves. After she leaves, Rumi checks her phone to see call logs and the call wasn't there, but then she checks the call recordings. She hadn't even picked Hamza's call then, someone else talked to him from her phone, that was Hamna. She cannot seem to control her anger.

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

Days, months pass. There's no contact between Rumi and Hamza. Rumi and Zoya talk very rarely and never talk about Hamza. Rumi thinks of her stupidity that she even thought of forgiving Hamza, but in reality, she just tries to hide her guilt. Her feelings for Hamza change to how they were before, cold, harsh, non-forgiving. But she still cannot comprehend how Hamna had the nerve to pick up Hamza's call, after all that had happened. She doesn't talk to Hamna much as well.

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

*****6 months later*****
Azeem and Hamna are sitting having chai while their child plays with Rumi. Their mother asks Azeem how is his family.
"Bas theek hain sab aunty. Actually hum yahan aaye the batane ke apka visa approve ho gaya hai. Ilaaj ke liye."
"Beta maine toh pehle bhi kahaa tha Rumi se rehne do kyun iss umar mein ab yeh sab. Jo hoga  Allah ki marzi hai."
"Ammi aap toh rehne dijiye. Yehi baatein mujhe aapki acchi nahi lagti. Abbu ka bhi ilaaj isiliye reh gaya thaa ke time pe treatment nahi karvaa sake kyunki aapne bataya hi nahi tha." Rumi shouts.
Everyone goes quite and looks at Rumi.
"Rumi kaisi baatein kar rahi ho ab jo acchi khabar mili hai toh, aur Ammi aap jaa rahi hain ilaaj karvanein please aisi baatein mat kijiye." Hamna says.
"Main jo chahe waisi baatein karungi." Rumi says and leaves.
"Ammi isse kya ho gaya hai. Jab se hospital se aaye hain tab se yeh mere saath esaa hi bartaav kar rahi hai."
"Pata nahi beta, tanha reh gayi hai meri bachi."
"Aunty actually iss baare mein bhi kuchh baat karni thi aapse." Azeem says.
"Han bolo beta."
"Aunty Rumi ke liye ek Rishta aaya hai."
"Beta mujhe apne bhaiyo se baat karni padegi. Aur Rumi se bhi."
"Unse maine baat karli hai aunty woh iss rishte se Muttafiq hain (agree)."
"Achha? Ladka kaun hai."
"Meri rishtedari se hai aunty. Meri phuppo ka beta hai, Bilal."
"Achha, han han mila tha hamein woh Atif ki birthday par."
"Ji. Toh aunty aap ijazat dein toh Hamna Rumi ko poochh le. Aap bhi apni razamandi de dein."
"Beta main toh razamand hun. Lekin mera faisla Rumi ke faisle par hai. Main bas usse khush dekhna chahti hun. Hamna beta baat kar lo usse poocch lo."
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Hamna goes up to Rumi's room where she's playing with Atif. She tells Atif to go downstairs but Rumi insists that he will stay here.
"Rumi tumhein itni chid kyun hai mujhse."
"Tum batao Hamna."
"Main kya bataoun? Achha chhodo please, mere paass tumhare liye ek khush-khabri hai."
Rumi looks at Hamna.
"Tumhare liye aik rishta aaya hai. Bahot hi suljha hua aur well-settled ladka hai. Azeem ki phuppo ka beta Bilal. Tum mili thi na usse."

Rumi gets stunned and anger builds up in her eyes.
"Yeh khush-khabri kaise hui? Mujhe nahi karni shaadi."
"Bilal se nahi karna ya kisi se bhi nahi?"
"Kisi se bhi nahi. Azeem bhai ko keh dena mujhe zaroorat nahi hai zindagi mein kisi ki mai akeli theek hun. Mere rishte ke bare mein na sochein."
"Lekin-"
"-Bas."
"Rumi kya hua hai tumhein yaar pichhle 6 mahine se mujhse achhe se baat nahi kar rahi."
"Tumne toh baat karli thi na. Hamza se."
"Kya? Hamza kahaan se aa gaya?"
"Tum batao kahaan se aa gaya. Mera phone jo uthaya tha tumne. Usse baat karne ke liye."
"Rumi maine usse yehi kahaa tha ke tumse door rahe."
"Maine kahaa kabhi Azeem bhai ko kuchh tumhare rishte ko le kar?" Rumi says and looks up to the door.
Azeem is standing there listening to everything. Hamna then turns and looks, thinking Azeem had heard everything, her face turns red. He takes Atif with him and leaves in anger.

"Ab khush ho Rumi?"
"Tum khush ho? Tumhein maafi bhi mil gayi thi apne gunaaho ki aur fir bhi Hamza ka phone uthake usse baatein kar rahi ho hamare toote hue rishte ke baare mein? Tumhein haq kisne diya yeh?"
"Rumi main tumhari badi behen hun."
"Achha, toh badi behen tab kahaan thi jab mera rishta ho raha tha Hamza ke saath. Wahin thi na tum? Chalo rishta bhi ho gaya aur shadi bhi ho gayi. Jab tumhein pata tha mujhe usse mohabbat ho rahi hai, jab tumse saari dil ki baatein karti thi main Hamza ke baare mein, tab nahi bataya? Toh ab bolo, tum khush ho na Hamna? Meri zindagi apne haatho barbaad kar ke khush ho na?" Rumi cries and then leaves Hamna there.
Hamna is speechless at her sister's words. She still thinks that Hamza is getting to her and making her hate her own sister.

_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|_|

Hello again my lovely readers! We took a break from Hamza in this one! Also, who all are interested for celebrity imagines? For those who don't know what imagines are: They are very short chapters of stories or scenes that I write for a specific celebrity. And it has a character that is yourself, so you are imagining yourself in that scene/story? It's like you're imagining a scene with them!! Drop comments if you're interested in reading those. And also comment your favorite celebrities so I can start writing!! ♥️💋♥️💋

Ishqiya 2 (Continued)Where stories live. Discover now