Part 28

1.9K 315 107
                                    

Aditya gives a disgusted look at the food infront of him.

Aditya: Nandu, yeh hai kya cheez? Dikhne mein hi bahut ganda lag raha hai.

Nandu gulps and looks at Sidharth who glared at Aditya.

Aditya: Kya hua? (Surprised)

Nandu: Sir, aaj ka khaana Sidharth Sir ne banaya hai.

Aditya: What? (Shocked) Bhai ne?

Rekha: (eats it) Kya banaya hai Sidharth?

Sidharth: Thank you mom. (Smiles)

Rekha: Nahi, I wasn't appreciating, main toh question puch rahi thi ki kya banaya hai?

Sidharth: (frowns) Paratha hai mom.

Rekha: Achcha!! Par tumhe khaana banane ki zarurat kya thi?

Sidharth reminisced the first wedding gate crash meet.

****
Sana rolls a roti but instead of round shape, it turns out to be an amoeba. Sidharth looks at her roti and starts laughing.

"Yeh kaisi roti hai bitiya? Apne khaasam ko aisi rotiya khilaogi?" Caterer asks.

"Kyu chacha, biwi hi khaana pakaye aisa rule hai kya? Mujhse shaadi karne wale ko khana banana aana chahiye. Mujhe kya zarurat seekhne ki?", She says with a smirk.

"Toh hamare kisi khaansame se shaadi kar lo.", Caterer suggests.

******

Sidharth laughs out loud. Rekha and Aditya look at him in shock.

Aditya: Kya hua bhai? Aap aaj ajeeb se kyu behave kar rahe ho?

Sidharth: Kuch nahi! Kuch yaad aa gaya tha. Tum paratha khao.

Aditya: Hmmm.. (looks at the food infront) Woh mera pait kharab hai aaj, toh Nandu mere liye juice leke aao please.

Sidharth: Paratha nahi khaana toh bahana mat bana. Bhooke math rehna bas, kuch aur khaa lo.

Aditya: (scratches his head feeling guilty) Nahi, main paratha khaunga, aapne itne pyaar se banaya. Nandu doctor ka number speed dial pe rakhna bas. Agar chotu sa khasa bhi na toh phone laga dena. Samjhe?

Sidharth glares.

Aditya: Mazaak tha bhai. (Eats a bite) Achcha hai bhai.

Sidharth: Thank you. Kal se aur achcha banaunga..

Aditya and Rekha (gulps): Kal phir?

Sidharth: Haan. (Smiles and eats reminiscing about Sana)

Aditya and Rekha look at each other weirdly virtually facepalming themselves.
.
.
.
It was yet another court hearing and everyone was present including Sidharth and Sana. While the lawyers from both the sides argued, Sana and Sidharth were busy looking at each other.

(Conversation in thoughts)

(Sidharth) Hey, Tumhara plaster nikal gaya. Tumhe pata hai, mujhe kitni khushi ho rahi hai isse dekh kar.

(Sana) Haat dekh rahe hai, haan nikal gayi plaster kal. Par woh plaster mujhe aapki yaad dilaati rehti thi.

(Sidharth) Kitni sundar lag rahi ho.. aur upar se yellow mera favourite hai.

(Sana) Bas dur se taadte rahiye.. aapko toh meri yaad bhi nahi aati hogi na?  Aayegi bhi kaise, aapne khudh jo mujhe apni life se nikaal diya.. Bhaiyya ne pehle hi mana kiya tha, main hi murkh thi jo badla lene chali aayi..

The Uninvited Lovers ✅Where stories live. Discover now