Chapter 31

639 49 68
                                    

"We should plan a party" Isha suggested.

Their gang was sitting in Nikita's house.

"I agree. Maja aayega" Prashant said.

"Par Sumedh ko bura lag jayega. Wo toh haar gaya hai na" Ritesh said.

"Par Nikita ki jeet hum celebrate kar sakte hai na?" Radha asked.

"Pata nahi yar" Isha said. "Doctor bhi busy ho gaye hai. Sumedh pata nahi kaha hai"

"Nikita toh so rahi hai" Radha said. "Kitne ghante ho gaye honge?"

"kal raat 12 baje ke aas pas main, Nikita aur Radha yaha aaye aur decide kiya yahi soyenge. Wo 12:30 baje tak to aaram se so gayi thi" Isha told.

"Abhi dopeher ke 1:30 ho rahe hai. Uthaye kya usko?" Ritesh asked.

"Nahi. Jabse election start hue hai wo thik se soyi hi nahi hai. Ab jaake usko shanati mili hai" Prashant said.

"Yar Isha tum bhi kaisi ho yar" Ritesh said.

"kyu?" She asked.

"Haar toh tum bhi gayi ho. Par jara sa bhi kuch nahi hai iske chehre pe. Tumhare papa ne jee jaan laga di thi. Aur tum dekho. Nikita jeeti hai tabse naache ja rahi hai" Ritesh said.

"Baat toh sahi hai. Par mujhe bahot khushi hui jab wo jeeti" Isha said. "Wo khushi Nikita ke jeet ki thi. Sumedh ke haar ki nahi."

"Yeh toh sabke sath hua hai. Everyone is happy because Nikita won not because Sumedh lost" Ritesh said.

"Aur hame bhi reality check mila ki hum log kitne easily divide ho sakte hai" Radha said. "Yeh galat hai"

"Haan. Hame dhyan rakhna chahiye" Prashant said.

"Pehle yeh socho ki Sumedh aur Nikita ko ek kaise karna hai" Isha asked.

"Kuch mast sa plan banana padega" Ritesh said.

"Pehle Sumedh ko phone karte hai" Prashant said. He called Sumedh.

"Hello" Sumedh picked up the call and said in sleepy voice. "Kitne saalo baad phone kiya tumne Prashant"

"Haan Sumedh. I love you too" Prashant said.

Sumedh made a face. "Chutiye" He said.

"Haan main bhi wahi keh raha tha. Bhaag chalte hai. Iss jaalim duniya ko chhod ke" Prashant said.

Sumedh laughed. "Saale. Tu aa mere samne fir nikalta hoo tumhara sara pyaar"

"Ab aisi bhi baatein mat karo sabke samne. Sab log kya sochenge" Prashant said.

"Phone rakh" Sumedh said.

"Accha ruko. Isha baat karna chahti hai" Prashant gave the phone to Isha.

"Haan Isha" Sumedh said.

"Sumedh tum abhi bhi so rahe ho?" She asked.

"Haan" Sumedh replied.

"Uth jao na. We'll go for lunch" Isha said.

"Main aa jata. Par sirf tumhare sath bahot bore hoga" Sumedh said.

"How dare you? Main boring hoo?" Isha shouted.

"Well of course ho" Sumedh said.

"Tum apna dekho na. Waise bhi tumhara itna accha nasib nahi ki MAIN tumhare sath lunch pe jau" Isha said. "Sabke sath hi jane ki baat kar rahi hoo"

Sumedh become alert. "Sab matlab?" He asked.

"Sab matlab sab. Jaise pehle jaate the" Isha said. "Tumhe kuch problem hai?"

The Royal SiblingsWhere stories live. Discover now