Kuchh Ankahi Baatein - Part 2...

By KRV2020

174K 23.9K 14.5K

Its a continuation of first book - Kuchh Ankahi Baatein Part 1... enjoy with lots of twists and turns ... ful... More

Caste
Arjun weds Shefali
Farewell
Alag
Koshish
Argue
Pain
Mess
Prepone
Khushi Ke Aansu
Rang
Hesitate
Sanjog
Drama Queen
Threat
Rohan weds Preeti 💖
Illusions
Tanhai
Apne ya Paraye
Dost
💝🙏
Hope
Truth
Strangers
Caretaker
Anjaan
Pehli Nazar
Anger
Dilemma
SORRY
Outburst
Nayi Subah
Missing You
Request
BOSS
Friends
Coffee
PVKM
Sunday Surprise
Hawa ka Jhonka
VJN
Launch Party
Naina Devi
Manaofying
Pendant
Rishta
Jawaab
Khwaab
Pain
Saath
Past Deeds
Aastin ka Saanp
Yaad
Dard ka Ehsaas
Maafi
Galtiyaan
Reunion
Rasam
Takleef
Rishtey
Maa
Chor
Tsunami ⚡🔥
Maayka
Shaq
Pyaar ke panchhi 💕
Meeting
Result Party
Sadma
Kuldevi
Picnic
Hamara
Scared
Masti
Girls Night out
Shagun ki Haldi
Shagun ki Mehandi
Sangeet
Prayshchit
Baarat
Dulhan
Shubh Vivaah
Saat Phere
Together 💗
Nayi Shuruaat
Pehli Rasoi
Imagine
Packing
First flight
First Fight
First Outing
Raat Baaki, Baat Baaki 💘
Ishq
Beach
Disco
Nishaan
Tohfa
Maan Jaao Na
Hum Bhi
Chaand 🌛
Task
Office
Roshan
Jawaab
Swamun ... ek saal
Maa Beti..
Naya Saal... Nayi Ummid...
Pariwaar
Delhi ... ✈
Shubh Din
Midnight Party
Operation
Jeet
Sukoon
Dil ka rishta
Yaariyaan
Pyaari Dadi 😜
Khamoshi
Missing home
Welcome Home
Yeh Duriyaan....
Ehsaas
Strike
Valentine's day
Valentine's Day - II
Valentine's Day - III
Saja mein Maja
Tumhare Liye..
Anniversary
Hamare Apne
Symptoms
Golmaal
Naye Ehsaas
Plans
Kiss Me
Pyaar ka ek saal
Party
Choices...
Baby Shower
False alarms
Papa ki Pari 👸
Never Let You Go

Shart

1.2K 180 140
By KRV2020

Boys came back and entered from window of their room and slept peacefully.... They all were in deep sleep when Ramdhari came to wake them all third time, "Bhaiya uth jaaiye, bade maalik sabko bula rahe hai naashte par... badi maalkin do baar aa chuki hai aapko uthaane ke liye pehle bhi...." after lots of pushing to each other, they all wake up and after getting freshen up joined elders at breakfast table....

They all start eating when Nanu asked suddenly, "arey Rohan, yeh tere sar par chot ka nishaan kaisa hai... raat ko toh nahin tha shayad... kahin raat mein tum log koi masti toh nahin kar rahe the ya neend mein bed se gir gaya ho..."

Rohan chocked while having tea and coughed badly when Sameer holding his laughter rubbed his back, "arey arey.. dhyan se bhai... pata laga sar ke saath gale mein bhi kuchh lag gaya... apna dhyaan kyun nahin rakhta tu... tujhe toh sabse jyaada taakat ki jarurat hai... bechara CEO... kitni mehanat karta hai..." pretending fake concern he teased him...

Rohan muttered, "yeh jo masoom masoom kah kar jallad ladikyon ko sar par chada rakha hai na sab unka karnama hai.... aise dhoya hai jaise dhobighat par kapde dhote hai... jara si izzat nahin rakhi... arey maarne mein bhi koi tareeka hota hai... saara sharir abhi tak dukh raha hai... " Sameer rubbing his back from one hand, keep his other hand on his mouth to control his laugh...

Rohan glares him back when Vishakha said worriedly, "haan aur subah mein jab uthaane gayi thi tab table par pain killer bhi padi thi... tum mein se kisi ko kahin dard hai kya... dekho kal se shaadi ki rasmein hai, toh agar jarurat hai toh aaj hi doctor ko dikha do, varna pata laga shaadi ke chakkar mein aur dard badh gaya toh mushkil ho jaayegi... aur shaadi mein enjoy bhi nahin kar paaoge..."

Sameer said slowly audible to trio only, "nahin... ab dard aur nahin badega... jitna pitna tha pit chuke teenon kal raat ko hi... ab kasar hi kahaan bachi hai aur maarn khaane ki... ek hi baar mein poora haath saaf kar liya teenon ne... sachchi kya khubsoorat nazara tha..."

Pandit pressed his back which was still paining, "ek ek ang dukh raha hai... shakal se kitni najuk si dikhti hai par haath dekho, jaise hathoda ho... sab iss nikamme ki wajah se hua hai..."

Munna too said glaring him, "bhai, jaise tu ne mujhe meri Swati se milne nahin diya tha na ab dekh hum teenon milkar kaise tera band bajate hai... badi hansi aa rahi hai na hamari pitayi par tujhe..."

Rohan said giving deadly glare, "uda le beta jitna majaak udaana hai... ab dekh aaj se teri aashiqui par curfew nahin lagaya toh... ab dekhte hai tu kaise milega Bhabhi se shaadi tak... kal se rasmein shuru aur tu ghar mein bandh... meri najare hamesha tujh par hi rahengi..."

Sameer smiled mischievously, pointing his finger towards them, "aur tumhein lagta hai ki tum teeno namune mujhe rok paaoge... kahin mein sapna toh nahin dekh raha... yeh toote foote khiladi ab champion ko rokenge..." he laughed loudly when Rohan said, "bohot hansi aa rahi hai na tujhe... ab dekh mein kaise teri hansi nikalta hun... shart laga le tujhe toh mein rok kar hi rahunga..."

Sameer challenged them all, " toh chalo lagi shart... mera waada hai ki kal se shaadi ki saari rasmein meri aur Naina ki ek saath hi hongi... kal haldi, parso mehandi, phir Sangeet aur aakhiri mein hamari shaadi... hum roj milenge voh bhi sabke saamne... khulle aam... bina kisi darr ke..."

Pandit said slowly to Rohan, "bhai, yeh toh bade confidence ke saath kah raha hai... pakka koi jugaad soch rakha hai isne... mujhe nahin lagta hum jeetenge... is se panga mat le yaar..."

Rohan said too with confidence, "tu darr mat... hum teenon ek saath hai na... isse toh rok hi lenge... iski aashiqui ab mein nikalunga... dekhte hai hamari madad ke bina kaise milega Bhabhi se... jab tak maafi nahin maangege mein nahin pighalne wala iss baar..." they three glared him whereas with a naughty smile he was enjoying his breakfast coolly....

After breakfast they all sits together chatting, when Devang and Poonam entered with their little one... they both take blessings from all and sits when Devang said to Nanu, "mummy papa ke itna sab bura karne ke baad bhi aapne humein bulaya, apna samjha, yeh hamare liye bohot badi baat hai Dadaji... mujhe bohot sharmindgi hai ki unhone apne hi pariwaar ke saath ye sab kiya... unka kiya toh maafi ke laayak bhi nahin hai... agar aap nahin humein apna samajhte toh hum bilkul akele ho gaye the... sabne humse rishta tod liya Papa ke gunaaho ki wajah se..."

Nanu wiped his tears and said, "beta yeh sab toh kismat ka khel hai... Raavan ke ghar mein bhi tum jaise ram ne janam liya yahi badi baat hai... agar tum baad mein humein unke khilaaf sabut nahin dete toh aaj hum unhein unke kiye ki saza theek se nahin dila paate... aur phir mere kitna kehne ke baad bhi tumne sharam ki wajah se Maheshwari Industries chhod kar Mumbai mein ek chhoti si Naukri kar li aur vahin settle ho gaye... aaj bhi mere ek baar bulane par yahaan aaye hamari khushiyon mein shaamil hone ke liye... ab sab bhool jaao aur enjoy karo... aakhir tum bhi hamare hi bachche ho..."

Poonam came to Sameer, "bhaiya, humein pata hai ki aapko aur Naina ko kitni takleef huyi thi, ho sake toh humein maaf kar dijiyega... agar humein jara bhi pata hota toh hum unhein pehle hi rok lete... aap logon ne kitna kuchh saha unki wajah se..."

Sameer hold her hand, "bhabhi aap aur bhaiya mere bade ho... aap maafi kyun maang rahe ho... jinki galti thi unko saza mil chuki hai... mujhe aapse koi shikayat nahin.." Devang came and hugged him apologizing again on his parent's deed...

Vivek to lighten their mood said, "ab chhodo yeh sab aur chalo apne devar ki shaadi ki saari jimmedari sambhalo... sab tumhein hi toh karna hai... aur Devang apne bhai ko ghodi nahin chadaoge kya..." he took the little one in his arms, "ab bhai apne Chachu ki shaadi mein dance bhi toh karna hai ... kyun hai na chhote sahab..." all laughed and starts discussing on all the preparations as guests will starts coming from tomorrow....

At Agarwal house, Anand and Bela came back early morning and saw all house messed up and girls were still sleeping... Bela wake them all except Naina saying, "chalo utho tum teeno aur ghar theek karo... usaki shaadi hai usse aaraam karne do... kal se rasmein shuru hongi toh thak jayegi..."

Preeti murmured while half sleepy, "yeh theek hai... kal Sameer ke chakkar mein voh teenon pit gaye aur aaj yeh madam sapno ki duniya mein doobi hai hamare haath mein jhaadu dekar... chalo beta kaam karo..." all three cleared all mess with Bela when doorbell ring...

Swati opened the door and shouts excitedly, "Pooja didi..." she hugs Pooja and took Poorva in her arms greeting to Varun.... they all entered and greet each other... then only Naina also came out and meet them...while settling Naina said, "Didi aap baitho mein aapke liye aapki pasand ki adarak ilaichi wali chai lekar aati hun... aapko mere haath ki pasand hai na..."

Pooja hold her hand and said, "nahin Naina, ab tu kitchen mein nahin jaayegi... tu bas baith aur enjoy kar apni shaadi ka har lamha... mein hun na sab dekh lungi..."

Varun too hugged her from side, "aur kya... ab Sameer ki Dulhan se kaam thode hi karwayenge... usse pata chala toh daudta hua aa jayega yahaan... pata laga bina phero ke aise hi utha kar le gaya..." they all teased her to make her blush profoundly....

At Maheshwari house, after lunch, Vishakha called them all out and said, "voh mein aur Poonam Naina ka shaadi ka joda dene jaa rahe hai... thodi der mein aa jaayenge... tum log kahin baahar mat jaana aaj..." she starts leaving with Poonam and her kid when Sameer said, "voh Mummy, shaadi ki rasmein toh kal se hai na... toh aaj kya mein bhi aapke saath chal sakta hun... aaj toh mil lun Naina se... please.." she smiled and said, "vaise rasam toh nahin hai, par theek hai chalo... par haan kal se koi badmaashi nahin chalegi... kal se no milna julna... samjhe.."

He nodded his head like an obedient kid whereas Rohan Munna Pandit glared him suspiciously, "yeh jo shakal se itna shareef ban raha hai, pakka dimaag mein kuchh khichdi pak rahi hai iske... pata lagana padega..." all three shouts together, "hum bhi chalenge aapke saath... humein bhi milna hai bhabhi se..."

Vishakha looked them surprisingly and said, "haan haan theek hai chalo, par aise chilla kyun rahe ho... saare paagal ek saath isi ghar mein aa gaye hai... jab dekho bas masti majaak..." they all left for Agarwal house to give shaadi ka joda for would be bride....

They all reached Agarwal house, teasing to each other... Bela greet them and all girls came out to take blessings from Vishakha... Poonam hugged Naina and Preeti apologizing for the behavior of their elders... they all settled back whereas Deepika came running to them and meet with all... she excitedly told to Vishakha and others that how much she is enjoying staying here and not at all missing anyone... excitedly showing all pretty dresses which her Bhabhi's decided for her to wear on all marriage functions...

Vishakha does the ritual ... put teeka on Naina's forehead and gave her Shagun ka joda with jewellery and other accessories... Naina bend to touch her feet when Vishakha stops her and took her in embrace, "betiyaan toh dil ke kareeb rehti hai, paer nahin chhuti..."

Later Vishakha handed a beautiful designer lehenga with matching jewellery to Preeti also saying with teary eyes, "tumhari shaadi mein toh koi rasam theek se nahin ki aur na hi tumhare liye khud se koi gift liya... yeh ek chhota sa tohfa hai meri taraf se, agar tum isse pehnogi toh mujhe lagega soch kar ki tumne mujhe maaf kar diya..." Preeti accepted it whole-heartedly and take her blessings too...

Then only doorbell rings and all gets excited seeing Phulla Bua standing at door with Arjun and Shefali... all gets happy seeing them and greet each other... Vishakha went to Phulla bua and apologize for her behavior towards Naina and Preeti, "aap ghar ki badi hai toh mujhe maaf kar dijiye... us waqt na jaane kaun sa junoon sawaar tha mere dimaag mein ki kuchh sahi galat samajh nahin aa raha tha... bohot sharminda hun mein apne kiye par..."

Buaji said, "beta samay rehte apni galti sudhaar lena bhi bohot badi baat hai... gaya waqt toh koi badal nahin sakta par haan aane wale samay ko toh behatar bana sakte hai na.... ab bas shaadi ki rasmo par dhyaan do aur sab bhool jaao..." she blessed her and smiled seeing boys also sitting there...

She teased them, "arey hero... tu khud aa gaya shaadi ka joda lekar... thoda toh sabra kar... bhai Vishakha dhyan rakhna kahin pata chala tum log baarat lekar aa rahe ho aur Dulha apni Dulhan ko lekar pehle hi bhaag gaya akele..." she said laughing to make Samaina blushed...

All laughed when Munna murmured slowly keeping his hand on Sameer's shoulder, "shaq toh humein bhi kuchh aisa hi hai tere par... dekha ab toh bade bhi kehne lage hai..."

Rohan too came on other side, "kuchh bhi karle tu... yeh toh mein hone nahin dunga... kal bohot pitwaya hai na tu ne humein aur bada majaak bana raha tha hamara, toh ab ya toh tu humse maafi maang varna dekh kaise tujhe Bhabhi se milne se rokunga shaadi tak...."

Sameer removed their hands and smirks naughtily, "tum rokoge mujhe... chalo dekhte hai..." he smiled and went to Deepika who was playing with Poonam's little one and starts playing with them... Deepika too called Naina there....

After some time, Deepika said loudly, "bhaiya mujhe ice-cream khaani hai..." Sameer agreed and took all kids Deepika, Pralay, Poorva with them to get ice-cream, "chalo mein aap sabko aapki favorite ice-cream khilata hun..." rest all stayed there until he came back in 15 minutes time....

Preeti saw Rohan sitting quietly deeply in some thoughts.. she asked when he informed about their bet... she laughed teasing him, "tum paagal ho kya... aur koi baat hoti toh theek hai par tumne Sameer se Naina ko dur rakhne ki shart lagayi hai.. mujhe poora vishwas hai tum pakka haaroge... tum jaante nahin apne bhai ko... teen saal se college mein dekha nahin kya kya jugaad lagata aaya hai Sameer taaki Naina ke kareeb rah sake aur ab toh shaadi hai unki..."

Rohan said challenging her, "aur mein kya kam hun... tumhein lagta hai mein nahin rok paaunga... ab dekhna kaise Sameer to rok kar mein tumhein impress karta hun... badi aayi Sameer ki tarafdaari karne wali..."

Preeti ruffle her fingers in his hair teasingly, "dekh lenge mere Lallu Laal..." she left laughing hard when Munna said, "yaar hadd hai... hamari biwiyaan bhi yakeen nahin kar rahi... Swati Priya bhi majaak bana rahi thi hamara..."

Rohan said with attitude, "ab toh prove karna hi padega yaar.. varna badi beizzati ho jayegi... Sameer tak ka toh theek par pehle hi kal jhaadu se pita aur ab Preeti bhi majaak bana rahi hai... kuchh bhi ho jaaye mein haar nahin maanunga.." all three looked at each other with a determination to win from Mr Majnu...

After Bela insist they all agreed to stay back till dinner and had fun-filled time with their loved ones... Naina asked him slowly, "tum bada muskura rahe ho... iraada kya hai... kuchh toh chal raha hai tumhare dimaag mein... bataao na mujhe" he leaned slightly to her and winked saying, "bas soch raha hun ki meri hone wali dulhan kal haldi ke rang mein kaisi lagegi... wada hai pehli haldi toh mein hi lagaunga tumhein aur tum mujhe..."

She looked him at amaze, "kya Sameer, kuchh bhi... pata hai na aisa nahin ho payega.. ghar mein itne log hai toh raat mein balcony se aane ki toh sochna bhi mat.. pata nahin kamre mein kaun hoga mere saath ... aur mein nahin chahti tum ab pipe ya sidi se chado, kahin lag gayi toh...."

He gave a mischievous smile to confuse her, "kyun tumhare yahaan haldi raat ko hoti hai kya.. mujhe toh laga kal subah hogi... Pandit ji ne kal subah ka hi mahurat bataya tha na..." she looked him shockingly, "haan kal subah hi toh hogi... par tum... tum kaise aaoge... mujhe laga tum raat mein aane wale ho hamesha ki tarah balcony se..."

He winked making her blush, "jaan agar tumhein sabse pehle apne haath se sabke saamne haldi nahin lagayi toh mera naam bhi Mr Majnu Maheshwari nahin... aur voh bhi bilkul sahi mahurat par.... samjhi meri would be Mrs Laila Maheshwari... jo chhup ke kiya voh pyaar hi kya... hum aaj ke zamane ke aashiq hai... sabke saamne gale lagayenge, bas tum dekhti jaao...."

Phulla Bua requested to Vishakha, "beta haldi dene kal sahi mahurat tak aa jaana... der mat karna... mein chahti hun inn donon ki har rasam shubh mahurat par hi ho..."

Vishakha assuring them, "ji bua ji... mein khud bhi chahti hun ki saari rasmein sahi mahurat par hi ho... Sameer ki haldi lekar mein aa jaaungi time se pehle hi... aap chinta mat kijiye... ab kuchh galat nahin hone dungi mein apne bachchon ke saath..."

Soon after having delicious dinner all boys left with Vishakha and Poonam assuring to meet tomorrow... whereas Sameer make innocent face saying to all, "ab mein kahaan mil paaunga tum sab se... rasam hai nibhani toh padegi na... chalo achchhe se enjoy karna haldi... mere bina.." making all super 6 confused whereas Naina blushed seeing him making cute innocent face knowing his tactics...

After all left, Phulla bua sits with Anand and Bela in alone to discuss on arrangements when she asked, "Anand, Rakesh kahaan hai... jab se aayi hun kahin dikha hi nahin... beti ki shaadi hai, par koi jimmedari ka ehsaas hi nahin usko..."

Bela said, "Buaji voh toh kai mahino se yahaan aaye hi nahin... Arjun ki shaadi ke baad bas ek baar aaye the aur gusse mein vaapas chale gaye... aapne dekha toh tha ki Preeti ki shaadi mein bhi nahin aaye gusse mein... hum sabse naraaj jo hain.."

Anand said with a dull face, "Naina ki shaadi ki date nikalne ke baad se maine kai baar unhein phone karne ki koshish ki par number hi nahin laga... mein ek din ke liye bina kisi ko bataye Baroda bhi gaya tha par voh vahaan nahin the... School se pata chala unhone ek mahine pehle hi naukri se retirement le liya hai aur kahaan gaye kisi ko nahin pata... unhone kiraye ka ghar bhi chhod diya hai..."

Phulla bua sighed heavily, "kitna badnaseeb hai, bhara poora pariwaa hote huye bhi pata nahin kahaan akele bhatak raha hai apne gusse ki wajah se... itni achchhi bahu hai, damaad mila hai par unhein aashirwaad dena toh dur, apne sage beta beti se bhi nafarat karta hai... sab kismat ka khel hai..." all gets sad thinking about him...

Phulla Bua then asked about Naresh and Beena when Bela told about her mental condition... Phulla bua laughed loudly, "arey mujhe pehle kyun nahin bataya... muft ka tamasha dekhne ke liye mein pehle hi aa jaati... vaise abhi hai kahaan teri nautanki jethani..."

They only Tauji entered and touched Buaji's feet for blessing, Buaji taunts, "dekha Naresh, aisa hi hota hai... jab tum kisi ka bura sochoge toh bhagwan aise hi badla lega... zindagi bhar sabke baare mein galat bola hai na teri Beena ne toh bhagwan ne uski awaaz hi bandh kar di..."

Tauji said with a sarcasm, "Buaji maine toh hamesha iss ghar ke bade hone ka farz nibhaya hai par aaj hamare chhote hi badon ka aadar samman bhool chuke hai..." he glared at Anand and Bela, "Beena ki itni tabiyat kharaab hai phir bhi inn logon ko iss ladki ki shaadi ki khushiyaan manani hai... Beena sahi kehti hai, yeh ladki hai hi manhoos.. iske vaapas aate hi uska yeh haal ho gaya hai..."

Buaji shouts on him, "sharam kar Naresh kuchh toh... abhi bhi akkal nahin aayi tujhe... agar aur kisi ka nahin to apni biwi ka haal hi dekh... kaise usey uske kiye karmo ki saza mil rahi hai... kahin tujhe bhi na mile..."

Tauji too said getting angry, "mein bas yeh kehne aaya hun ki jab tak Beena ki tabiyat theek nahin ho jaati, yeh shaadi nahin ho sakti... aakhir voh iss ghar ki sabse badi hai... itna lihaaz toh ghar ke bado ka hona hi chahiye na... yahi hamare sanskaar hai..."

Anand came forward and said firmly, "maaf kijiye bhai sahab, par ab shaadi toh isi mahurat mein hogi... koi aaye ya na aaye... haan rahi baat bhabhiji ki toh humein dukh hai unki iss haalat ka... par yeh shaadi nahin talegi... aur yeh mera bhi aakhiri faisla hai apni beti ke liye... jise koi nahin badal sakta..."

Phulla Bua said thinking, "Naresh, dekh Beena ki aisi haalat hai aur rishtedaar aayenge toh kya sochenge... tu ek kaam kar abhi usse lekar uske maayke chala jaa ek hafte ke liye... mein bardasht nahin karungi agar shaadi ke ghar mein koi tamasha ho uski bewkoofi ki wajah se... samajh aaya... vaise bhi agar bol paati toh kaun sa munh se phool jhadte... bolti hai toh aag hi ugalti hai hamesha...."

Tauji tried to protest but Phulla Bua gets adamant and finally he followed her order being the eldest member of the family.... seeing no other option, he left with Taiji as doesn't want to get insulted in front of all relatives and guests by her weird behavior... they left Pralay with Anand and Bela to attend wedding...

Next update Monday morning with marriage rituals... 

Enjoy reading & have a nice weekend ahead..

Continue Reading

You'll Also Like

186K 20.3K 110
It's beautiful samaina story
112K 5.1K 24
ye baazii mohabbat kii baazii hai naadaa.n ise jiitnaa hai to haare chalaa jaa ~Sheri Bhopali A story that involves two completely different individu...
332K 41.4K 80
It's a story between the neighbours who are poles apart...but..but...but..things gonna happen between them will definitely bring them closer...❤️ Are...