Muhabbat toh aisa paak jazba hai jo insaan ko jeenay ki wajah deti hai , jo insaan mei nikhar paida karti hai , Mil jaye toh nikhaar deti hai na milay toh bakhair deti hai.
Safaid kapray , laal surkhi , kano mei jhumkay
Ali k zehan mei Alishba ka wuh chehra ghumi ja raha tha
"Yaar Hassan tujhe kia lagta khala khalu maan jaien gey ?? "
Ali tension k alam mein apnay dost sey puch raha tha jise usski deewangi ka ba khubi andaza tha k yeh wub ashiq hai jis neh bachpan sey srif aik hi insan ko apni dulhan k roup mein dekha tha . Alishbha Ali ki khala ki beti thi . Yeh khuwab usnay 5 saal ki umar sey dekha tha or aj 20 saal bd bhi yehi usa ka yehu khuwab tha lekin uss mei bohat zyada shiddat aa gae thi .
"Ali yaar kyun nahi achi post per hai tu aur wuh tujhe teray bachpan sey jantay hain to aikhr phir kiun nahi aur iss k ilawa tm dono aik dusray ko pasand kartay ho"
Hassan na Ali ko tasali dene k andaaz mein jawab dia
( to be continued )