Parivaar Ka Sath✅

By Mrihika

10.5K 520 197

Edited version - "I am sorry." "Yeh mujhse kya ho gaya?" "Joh kuch bhi hua woh sab halaton ko wajah se hua, m... More

1 🔥
2
3
4
5
6
7
8
9 🔥
10
11 🔥
12
13
14
15 🔥

EPILOGUE

714 35 14
By Mrihika

5 YEARS LATER
Three children are seen. Two are doing aarti and one is standing behind them folding hands. Everyone comes down hearing their sweet voice and smiles looking at them. They finish aarti and turns.

They are nishi(Akshan's daughter), kishu(durga & kishore's son) and alisha.

Alisha:- chalo dono, sab ko aarti do.

Nishi & kishu:- yess didi/bua.
And give everyone aarti and prasaad.

Dadi:- kya baat hai beta! Tumne aarti sikhayi inn dono shaitan ko.
All three smiles widely at her compliment.

Guddan:- dekh rahi hein durga ji, hume kuch sikhaane ki jarurat hi nahi hai. Alisha hi in dono ki mummy ban gayi hai.

Durga:- Haan sasu maa. Aur dekho toh inn dono ko, humare paas kitni shaitani karte hein aur alisha ke paas ek dam acche bacche, saari baat maante hein.
And slap on their forehead playfully.

Akshat:- arey toh kyu nhi manenge. Alisha hi toh hai jo inko humari daat se bachati hai aur kuch baat manwani ho toh alisha hai na. Kyu baccho.

Nishi and kishu hug her and says:- bilkul sahi kaha aapne papa/dadaji.

Alisha kiss on their foreheads. All smiles looking at their bond.

Nishi(very sweetly):- mummmaaaaa.

Guddan:- lo akshat. Wahi hum soch rahe the ki subha subha aarti kar rahe hein aur kuch farmaish nahi aayi abhi tak! Aisa kaise ho sakta hai?
All laughs.

Guddan:- Haan toh ab yeh sab kyu kiya hai aaj?

Kishu:- wo dadi. Humare school ka camp hai shimla me-

Akshat:- toh.

Nishi:- toh papa. Me aur kishu waha jana chahte hein.

Durga:- kya..!!!

Dadi:- dekho baccho. Tum abhi kitne chote ho aur aise akele, woh bhi shimla. Itni dur. Nahi nahi.

Akshan are looking at alisha. Alisha gives them sheepish smile.

Alisha:- arey dadi, maa. Yeh dono akele thodi jaa rahe hein. Me hu na sath me. Me jaungi inke sath.

Akshat:- aur tumne school me baat kar li hai. Aur woh log maan gye hein tumhe sath le jane ke liye. Hena.
All three give hi five to each other.

Guddan:- dekha maaji. Puri tyari ke sath kiya hai yeh sab inhone, ki acche bacche ban kar yeh demand puri karwa le.

Alisha:- mumma. Aap please tension mat lo. Me hu na. Aapse wada karti hu ki inn dono ko kuch nahi hone dungi. Pura khayal rakhungi me inka.

Guddan:- uss par toh hume koi shak nahi hai.

Akshat:- aur apna?
Alisha smiles and hugs them.

Nishi & kishu:- jab didi/bua humara khayal rakhengi toh hum unka rakhenge.

Alisha:- accha bacchu.

Guddan:- durga ji?

Durga:- aapko mujhse puchne ki jarurat nahi hai sasu maa. Mujhe pata hai aap joh bhi faisla lengi woh sahi hi hoga.

Akshat:- theek hai fr. Aap log jaa sakte hein.
Before they can celebrate this, guddan speaks.

Guddan:- lekin ek condition hai.

Alisha:- kya?

Guddan:- tum har thodi der me hume phone krogi. Apna khayal rakhogi. Sabse baat karti rahogi. Khana time par khaogi.Time par sogi-

Nishi(interrupts her):- mumma aapne toh 1 condition boli thi, yeh toh 5 condition ho gayi.

All laughs at her cuteness.
G:- badmaash.

Alish:- mumma aap chinta mat karo. Me hu na. Aapko koi shikayat ka mauka nahi dungi me sacchi.

Akshat:- aur aaya toh fr next time se no camp.
 
Alisha, Nishi & kishu:- YESSS BOSS.
All laughs.

AKSHAN'S ROOM
Guddan:- akshat, hume toh yakeen hi nahi ho raha ki humare bache itne bade ho gye.

Akshat:- aur alisha. Woh kitni samajhdaar ho gayi hai. Humse jyada toh woh baccho ka khayal rakhti hai. Jaan basti hai uski unn dono me. Thodi si chot bhi kaise aa jaye unko.

Guddan(laughs):- yeh hum kaise bhul sakte hai akshat. Yaad hai aapko wo din-

Akshat:- Haan bahut acche se.

(FLASHBACK)
3 MONTHS BEFORE
Nishi and kishu come home from school. Both are slightly injured.

Guddan:- arey yeh kya hua tum dono ko? Khelte khelte gir gye kya?

Akshat:- Haan baccho yeh sab kaise hua?

Alisha(angrily):- KISNE KIYA YE SAB!?

Nishi:- wo didi, school me naa do bacche hai woh dono humse jalte hein ki hum padai me, sports me acche hai.

Kishu:- toh aaj unh dono ne jab hum aa rahe the toh humare raaste me kanche daal diye aur hum gir gye.

Alisha:- unki itni himmat!

Guddan:- alisha dekho, tum kuch nahi karogi.

Akshat:- Haan alisha, bacche hein woh.

Alisha:- bacche hein toh kya! Aisa karta hai kya koi?

Durga:- lekin alisha-

Alisha:- nahi bhabhi. Aur tum dono, unka naam aur phone number hai tumhare paas?

Kishu:- naam toh pata hai, lekin phone number nahi hai.

Alisha:- koi baat nahi. School se mil jayega woh toh.
All nods at her because everyone knows what is going to happen now.

NEXT DAY
SCHOOL
Alisha with nishi and kishu are in principal's office waiting for the kids and their parents. Akshan are standing in a side. Principal are looking at them amused because it is not new for him ti witness this. Alisha is always in front when it comes to nishi and kishu. Soon they enters and Alisha immediately starts lecturing them.

Alisha:- aap log apne baccho ko yahi sikhate ho kya ki agar koi dusra accha hai toh use maaro ya fr pareshaan karo. Dekhiye, yeh kya kiya hai aapke baccho ne!

Parents:- dekho beta, bacche h. Naadani me aakar kar diya aisa.

Alisha:- naadani nahi hai yeh, jealousy hai. Aur agar abhi aap log inki galat baaton me inka sath doge toh aage chalke yeh galat hi baatein sikhenge. Aur fr sahi raaste par lana mushkil ho jata hai, me janti hu yeh sab kyuki mere mumma papa ne mujhe sudharne me bahut mehnat ki hai. Agar mujhe bhi bachpan me galat baat par ek thappad maara hota kisi ne toh mere mumma papa ko itni takleef nahi hoti.
And looks at akshan who are looking at her emotionally.

Alisha:- Alaccha hoga ki aap apne baccho ko yeh sikhaye ki agar aapko sabme best karna hai toh khud par focus kare, khud me improvement kare, na ki joh acche hai unse, unhe pareshan kare, aise yu maare.

Parents:- hume maaf kar do beta. Aage se aisa nahi hoga.

Alisha:- maafi maange ki jarurat nahi hai. Bas aap apne baccho ko acchi baatein sikhaiye.
Parents nods. Alisha goes and kneels in front of other children.

Alisha:- dekho baccho. Aapko lagta hai aapne joh kiya sahi kiya?
They nod no.

Alisha:- toh fr. Aap dono ko agar accha perform karna hai, tog aise thodi karoge aap. Aise tog sabki najaro me aapki kya image hogi ki yeh bacche toh jalte hein dusre baccho se. Gande bacche hein yeh. Aapko accha lagega?

Kids:- nahi didi. Sorry. Nishi kishu, sorry. Aage se aisa nahi hoga.

Alisha:- promise?

kids:- pakka wala.
And all five hugs.

Parents:- manna padega aapki beti ko, lagta hi nahi ki yeh inki bua aur behan hai. Bilkul maa jaisa pyaar karti hai yeh inse.

Akshat:- yeh tog aapne bilkul sahi kaha.
All smiles looking at them.

(FLASHBACK ENDS)

Akshat:- aur uske baad kya hua tha bhul gayi tum?

Guddan:- haan toh. Alisha ne bhi toh galat bola tha na. Aur jab woh humari taraf dekh rahi thi tab joh woh soch rahi thi, hum acche se jante hein woh.

(FLASHBACK)
Alisha:- chale ab?

Guddan:- chaliye akshat.
And goes outside ignoring alisha.

Alisha:- papa. Mumma ko kya hua?

Akshat:- socho. Abhi abhi tumne kya kiya. 

Alisha remembers and slaps her forehead.
Alisha:- yeh mene kya kar diya?

Nishi:- didi ab toh aap gaye.

kishu:- ab toh dadi aapse katti.

Alisha:- tum dono meri madad nahi kar rahe toh atleast mujhe darao toh mat. Papa, aap help kroge na meri?

Akshat- galti tumne ki hai toh tum hi sudharo. Aur waise bhi mujhe uss sherni ka shikar nahi banna.

Alisha:- kya papa! Aap teeno kisi kaam ke nahi ho. Ab me kya karu?
And bits her nail in nervousness.

JINDAL BHAWAN
Guddann enters angrily.
Alisha:- mumma meri baat toh suno.

Guddan:- kya sune hum alisha. Kitni baar kaha hai humne tumse ki aise mat bola karo aur aise humari taraf toh bilkul bhi mat dekha karo jaise humne koi ehsaan kiya ho tum par.

All looks towards akshat and ask through expression that what happened. Akshat and kids smiles and shrugs. All are confused. 

Alisha:- accha baba. I am sorry. Aage se kabhi pakka nahi bolungi aisa.

Guddan:- tum har baar yahi bolti ho aur har baar aisa karti ho. Iss baar toh hume tumse baat hi nahi karni.

Alisha:- ab joh sach hai woh toh sach hai na.

Guddan:- dekha akshat. Abhi abhi isne bola ki aisa nahi karegi aur abhi dekho, ab toh pakka hum tumse ek hafte tak baat nahi karne wale.

All nods looking at both.
Laxmi:- aaj toh alisha gayi.
All laughs.

Alisha:- sorry na.
And holds her ears giving her puppy eyes.

Guddan(twisting her ear):- agar aage se bola na ki hume kitni takleef hui n all toh dekhna. Aur agar aage se kabhi aise dekha ki humne tumhe adopt kar ke tum par ehsaan kiya hai toh fr toh, na me tumhari mumma aur na tum meri beti. Samjhi.

Alisha:- aaaa! Pehle kaam toh chodo. Dard ho raha hai. Arey aap log dekh kya rahe ho. Bolo na mumma ko kuch.
All shrug their shoulder and looks away.

Alisha:- kaisa parivaar hai mera. Meri madad karne ko tyar hi nahi hai koi.

Guddan:- kuch puch rahe hein hum tumse.

Alisha:- haan maate. Samajh gayi me. Ab toh mera kaan chodo.
Guddan leaves her ear and Alisha immediately hugs her.

Alisha:- sorry na. Galti ho gayi mujhse bahut badi. Ab bhi naraj ho.

Guddan:- nahi. Lekin agar fr se aisa kiya na toh dekh lena.
And hugs her back.

(FLASHBACK ENDS)

Akshat:- lekin tumne uss din alisha ka kaan kuch jyada hi tez mod diya tha. Pura kaan laal ho gaya tha uska.

Guddan:- haan toh. Use sabak sikhane ke liye jaruri tha. Uss antara ne bahut galat kiya tha uske sath.

Akshat:- lekin yeh baat jiss tarah samne aayi woh aur bhi galat tha.

(FLASHBACK)
5 YEARS BACK
Saru calls them from jail.
Laxmi:- tumhari himmat kaise hui yaha phone karne ki.

Saru:- mujhe tumse baat nahi karni, alisha ko phone do.

Laxmi:- nahi de rahi me Alisha ko phone. Joh bolna hai mujhe bata do, me Alisha ko bata dungi.
Alisha is Passing by and stops hearing her taking her name.

Alisha:- kya hua bhabhi? Kiska phone hai?

Laxmi:- kuch nahi. Kisi ka phone nahi hai. Tum jao.
But alisha snatches phone from her.

Alisha:- kaun bol raha hai?

Saru:- me bol rahi hu.

Alisha:- tum! Tumhe phone karne kisne diya. Abhi mumma ko batati hu me.

Saru:- kaisi mumma aur kaise papa. Jinn maa baap par itna guroor hai na tujhe, woh tere sage maa baap hai hi nahi, infact antara bhi teri maa nahi hai. Kachre ke dibbe se uthaya tha tujhe, samjhi tum. Tumhare kaaran aaj hum jail me hai toh tum kaise chain se reh sakti ho. Saboot chahiye hoga naa tumhe. Toh meri drawer me asli DNA reports hai jo mene antara ke cupboard me dekhi thi jail jaane se pehle, jaake dekh lo. Bye bye.

Phone fell from her hand.
Laxmi:- alisha! Kya hua? Ro kyu rahi ho? Kya kaha uss saru ne aisa tumse?

Alisha:- me iss ghar ki beti nahi hu.

Guddan hears this.
Guddan:- kya bakwas kar rahi ho tum?

By now everyone comes there hearing their loud voices.
Alisha:- bakwas nahi hai ye.
And tells her everything.

Akshat:- tum unki baaton par bharosa kyu kar rahi ho. Woh jhut bhi toh bol sakti hai na.

Alisha:- saboot. Haan saboot.
And goes to saru's room and finds that real DNA reports. She brings that reports downstairs.

Alisha:- ye dekho. Ye raha saboot. Me aapki beti nahi hu. Pata nahi kiska ganda khoon hai mujhme. Iss ghar ke layak nahi hu me.

Guddan slaps her hearing her words.
Guddan(hugs her):- tum humari beti thi, humari beti ho aur humesha humari hi beti rahogi. Samjhi tum.

Akshat:- aur kya hua agar tumme humara khoon nahi hai toh. 

Dadi:- sanskaar toh humare hai na.

Alisha:- lekin dadi-

Akshat- aur agar hum tumhe adopt kar le toh toh fr tum humari beti ho jaogi na.

Alisha looks at them emotionally.
Alisha:- kaise kisi ko bhi apna sakte ho aap log.

Guddan:- kyuki hum pyaar karte hein tumse.  Parivaar ho tum humara samjhi. Aur kisi ko bhi nahi apna rahe hein hum. Humari beti ko legally apna bana rahe hein.
And hugs her.

(FLASHBACK ENDS)

Akshat:- aur aaj dekho. Bilkul tumhari jaisi ban gayi hai alisha. Khud se pehle parivaar ke baare me sochti hai.

Durga:- sahi keh rahe hein aap AJ.

Guddan:- arey durga ji aap, aaiye.

Durga:- haan woh me aap dono ko breakfast ke liye bulane aayi thi. Waise sasu maa, pata hi nahi chala na ki kab humare bacche bade ho gaye.

Akshat:- haan durga bahu. Aur mujhe khushi hai ki alisha unka humse bhi jyada khayal rakhti hai.
Alisha enters at the same time.

Alisha:- yeh galat baat hai.

Guddan:- kya galat baat hai?

Alisha:- aap log kabhi meri tareef samne toh karte ho nahi. Aise peeth peeche karte ho. Arey kabhi mere samne meri tareef bhi kar diya karo. Pata hai kitna accha lagta hai.

Durga:- AJ. Alisha chahe kitni hi badi ho jaye, apni mumma ki harkate kabhi nahi chodegi. 

Akshat:- sahi keh rahi hein aap durga bahu. Ek guddan kam thi joh yeh bhi ab guddan jaisi harkate karne lag gayi hai.

Guddan:- haan toh. Aapko koi pareshani?
Both nods no.

Durga:- ab chale.
They come down.

Nishi & kishu:- arey jaldi aao na. Kitna time lagate ho aap log. Bhuk lagi hai hume.

Alisha:- haan haan aa rahe hein.

Alisha and durga goes towards them. Durga is serving them while alisha is feeding nishi and kishu and vice versa. All are having fun time at table. Akshan are looking at them smiling holding each other hands.

Parivaar ka sath ho toh kuch bhi ho sakta hai, kisi bhi mushkil se lada jaa sakta hai. Bas jarurat hai toh bharose ki, vishwas ki. Agar aapke sath parivaar hai, uska sath hai, pyaar hai, toh aapko aur kisi cheez ki jarurat nahi hai. Baki sab khud hi aa jayega, kyuki paiso se parivaar nahi khareeda jaa sakta.


THE END



So here my this story ends.
Thank you so much guys for appreciating my work. I didn't thought that i will get such good response.
Thank you once again.

Continue Reading

You'll Also Like

11.6K 820 37
"Iss duniya ke rakshak aa rahe hai ek baar phir saath mein aapko hasane aur acchai ko jeet dilane to padhna mat bhuliyega "Baalveer Returns Again"...
15.3K 683 5
Hey meerasim fans , its my fanfiction about how murtsim will react after watching meerab.. I hope you enjoy it . give it a try :)
2.7K 186 13
IT'S MY FIRST TIME WRITING A MAFIA STORY ON AKSHAN..😅🙃 Forgive me for any grammatical mistakes 🙃😅 COVER CREDIT: Itsmekavyasharma ♥️♥️♥️
11K 756 11
It's a one shot story . Hope you all like it ! Peep in to know more