Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

Par frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... Plus

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Book 2 : chapter 43

1.6K 116 55
Par frozenRose3112

Book 2 : chapter 43

Sadmaa to hai mujhay bhi , ke tujh se juda hoon main
Lekin ab ye sochta hoon , ke tera kyaa hoon main..!

Main khud-kushi ke jurm ka karta hoon aitraaf
Apnay badan ki qabr main , garaa hoon main..!

Kya jaanay kis adaa se tunay liya mera naam...
Dunya samajh rahi hai , ke tera hoon main..!

QATEEL Shifaayi

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️VOTE⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

" jub aap Mateen bhaai se pyar kartien hain, to phir unhain muaaf karkay aagay kyun nahien barh saktien....?" Zarish ne jhillatay huway kaha.

Dono is waqt kitchen main kharien thien. Aayat Aashir ke liye khana bana rahi thi , jub achanak se Zarish ghar aayi ,  aur aatay ke saath hi Aayat se dobaara se behas main shuroo ho gayi .

Jub Aayat ne usay koyi jawaab na de kar saara dhiyaan baghaar banaanay main lagaaye rakhaa to Zarish chirtay huway phir se boli.

"aap is tarhaan se mujhay nazar andaaz nahien kar saktien , aap ne khud kal kaha tha ke Mateen bhai aap ke shohar hain aur unkay siwa aap kisi aur ke baaray main soch bhi nahien saktien. Kaha tha na aap ne...!!? Phir kyun..?!"

" haan kaha tha..! Bus..!! Sun liya jawab..? Ab tum kitchen se jaao.  Aur ghar khaana khaa kar jaana. " Aayat ne hatmi andaaz main baat khatam kardi. Aur Zarish usay moon kholay be yaqeeni se dekhti rahi.

" mujhay samajh nahien aata aakhir aap kar kya rahien hain!?.... Kyun apni aur Mateen bhaai ki zindagi ko mazaak bana rakh diya hai aap ne. Ek taraf ye kehtien hain ke aap Mateen bhaai se pyar kartien hain.  To doosri taraf khud unsay talaaq maang rahien hai...mujhay lagta hai aap khud nahien jaantien ke aap kya chaahtien hain..agar aisa hai to khudaara itna bara faisla aap apnay haath main na lain. Kyunkay itnay ghalat faislay le kar doosron ko takleef pohnchaanay ka haq aapko bilkul nahien hai!!!. " Zarish is baar barham hotay bina kisi lehaz ke Aayat ko aayina dikhaaya.

Usay Aayat ka logic kisi bhi tor samajh nahien aa raha tha. Jub Mateen bhaai apni galti ko sudhaarnay ki mukammal koshsish kar rahay hain aur wo dono ek doosray se be inthaa mohabbat bhi kartay hain , to aakhir Aayat ye sub kyun kar rahi hai..!? Kya unki nafrat itni gehri hai...?

" Zarish...!! Maine kaha baahar living room main jao...!!" Aayat uski taraf gussay se dekhtay huway boli. Bohat dair se wo usay bardaasht kar rahi thi lekin ab Zarish apni had paar kar rahi thi.

Aayat ke sakht lehjay par Zarish ki aankhain ek lumhay main bhar aayien wo Aayat ko dekhtay huway maayoosi se sar jhatknay lagi.

" aap bohat ghalat kar rahien hain aapi , Na sirf Mateen bhaai ke saath , par apnay saath bhi. Mateen bhaai ko apni zindagi se nikaal kar aap bohat pachtaain gi. Kyunkay hum dono jaantien hain ke Aap Mateen bhaai ko kabhi apnay dil se nikaal nahien payain gi. Lekin jub tak ye baat aapko samajh aaye gi tab tak bohat dair ho chuki hogi. Kyunkay Tab tak aap Mateen bhai ko humaisha ke liye kho chuki hongi.!" Gussay aur maayoosi main kehnay ke baad wo living room main bethnay ke bajaaye ghar se chali gayi. Jahaan se usay Zoyan ke office jaana tha.

usay is tarhaan jaata dekh Aayat ne sar pakar liya. Wo jaanti thi ke Zarish ye sub uski khushi ke liye kar rahi hai.  lekin wo kya karay , agar uska zameer usay Mateen ko muaaf karnay ki soch se hi uski rooh tak ko jhinjhor deta. wo khud apnay aap ko samajh nahien paa rahi thi.

Uska dil ek taraf usay Mateen ke saath nayi shurooaat ke liye tarpaa raha tha , to uska zameer uski Anaa usay aisa soxhnay ki bhi ijaazat nahien de rahay.

Wo khud dil aur anaa ki jung main pis rahi thi. To baaqi sub ko kya samjhaati.

**********

Haadi mobile kaan se lagaaye apnay kamray main musalsal aagay peechhay chal raha tha.

Pichhlay roz bhi ghar aanay ke baad usnay musalsal Aashir ke mobile par call par call kien ,lekin Aashir ne ek baar bhi uski call attend nahien ki.

Wo Aashir se poochhna chaahta tha ke usnay Aayat ki shaadi Mateen jesay shakhs ke saath kyun ki.  Kyunkay Mateen ne Dubai main jo tamaasha kiya tha , uskay baad Haadi ko kahien na kahien ye shak zaroor tha ke Aayat ke saath us haadsay ka zimmay daar bhi wahi hoga.

aaj wo dobaara Aashir se contact karnay ki koshish kar raha tha to uskay mobile se Aashir ko call nahien lag rahi.

lagta hai usay Aashir se mil kar hi ye baat poochhni paray gi.

usnay apnay aur Aashir ke dost ke zariye Aashir ke naye office ka pataa maaloom kiya. Aur wahaan pohanch gaya.

****

" tumhaari himmat kesay huw yahaan aanay ki.!!" Haadi ko apnay saamnay dekhtay hi Aashir ne gussay se kaha.

" main jaanta hoon jo kuchh huwa uskay baad tum mujhay dekhna bhi nahien chaahtay. lekin mujhay jo jaanna hai wo bohat zaroori hai. " Haadi ne tahammul ka muzaahira kartay huway inthaayi narm lehjay main kaha. Lekin Aashir ko uskay narm lehjay se koyi farq nahien parta.

" yahaan se chalay jaao Haadi , mujhay tum se koyi baat nahien karni..security!!!.." Haadi se zehar khand lehjay main kehnay ke baad usnay security guard ko awaaz di.

" Aashir mujhay Mateen ke baaray main tum se baat karni hai , please mujhay sirf paanchh minute do uskay baad main chalaa jaaoon ga. " is baar Haadi ki awaaz bhi thori taiz huwi thi.

Aashir usay ghoorta raha , jub Usay yaqeen ho gaya ke Haadi bina baat kiye yahaan se nahien jaaye ga , tab Aashir ne haar maan li. Jis ki doosri wajah Haadi ki zabaan se Mateen ka naam bhi tha.

" theek hai , jo kehna hai kaho..lekin sirf paanchh minute..is ke baad tum yahaan se chalay jaao ge. "

Haadi ne sukoon ka saans liya ke chalo Aashir uski baat sunnay ke liye raazi to huwa.

" Tum ne Aayat ki shaadi Mateen jesay shakhs se kyun karaa di. Jubkay Wo Aayat ke bilkul laayak nahien hai. "

Aashir ne abru charaahtay huway  be yaqeeni se usay dekha. " aur ye tum kis bina par keh rahay ho ke wo Aayat ke laayak nahien hai..?"

" Dubai main usnay Aayat se jis tarhaan se bartaao kiya tha us bina par."

Is naye inkshaaf par Aashir ko herat ka shadeed jhatkaa lagaa. " kya matlab hai tumhaara..! Mateen Bhi us trip main tumhaaray group main tha..?!" Aashir ki awaaz se uski heraangi saaf zaahir thi.

" kyun !? Aayat ne tumhain nahien bataaya ke Mateen bhi us trip main humaaray saath tha..!? " ab heraan honay ki baari Haadi ki thi.

" to is ka matlab hai Aayat ne tumhain ye bhi nahien batayaa ke Mateen kis tarhaan poori trip main Aayat ke peechhay paraa tha. Aur sub ke saamnay wo uskay saath kesay flirt karta.  aur sirf yehi nahien balkay  Pakistan aanay se ek raat pehlay usnay sirf is wajaah se haatha paayi ki kyunkay usay mera Aayat se baat karna na gawaara guzraa tha. Jis par Aayat ne usay thapar bhi maara tha.  " Haadi ne ek saans main sub kuchh bataa diya.

Ye sub sunnay ke baad Aashir ka chehra dekh kar Usay yaqeen ho gaya ke Aayat ne Aashir ko Mateen ke baaray main kuchh bhi nahien bataya.

Lekin abhi ek aur andaaza tha jo wo Aashir ke saath share karna chaahta tha , aur jo uskay yahaan aanay ki asal wajaah bhi tha.

" Us raat jub Aayat ne usay thapar maara...Mateen bohat gussay main tha." Aashir ke chehray ke taasur bataa rahay thay ke Aashir bhi wahi soch raha tha jo Haadi soch raha hai. "Kya Aayat ne kabhi bataaya ke wo shakhs kon tha..?" Haadi ko waaza tor par kehnay ki zaroorat nahien thi ke wo kis shakhs ki baat kar raha hai.

Lekin Haadi ke is sawaal ne Aashir ko yaad dilaaya ke ye sawaal karnay waala kon hai. "tumhain jo kehna tha tum ne keh diya , ab tum jaa saktay ho.." Aashir ne sard lehjay main kaha.

" nahien Aashir..! ...Main jaanna chaahta hoon ke Aayat ne us shakhs ka naam bataaya ke..."

" ye humaaray ghar ka maslaa hai , is main tumhain kuchh bhi kehnay ka koyi haq nahien hai..!! Tumhain jo kehna tha , maine sun liya. Darwaaza wahaan hai , ab tum jaa saktay ho. " Haadi ka jumlaa mukammal honay se pehlay hi Aashir oonchi awaaz main bola.

Haadi gussay se muthiyaan baar baar bhenchta aur kholta raha . Wo apna jawaab jaanay bina yahaan se jaana nahien chaahta  , lekin Wo jaanta tha ke wo zabardasti kisi aur ke maamlay main bolnay ka haq bhi nahien rakhta. Is liye wo khaamoshi se wahaan se chalaa gaya. Kyunkay wo jaanta tha ke uska aadhaa kaam to ho chuka hai.

Mateen ki sachaayi ab Aashir ke saamnay aa chuki thi. Aur jitna wo Aashir ko jaanta hai , Aashir khamosh reh kar bardaasht karnay waalon main se nahien.

Haadi ke jaanay ke baad Aashir saamnay gair mueeni nuqtay ko dekhtay huway sawaalon main bhatak raha tha.

Haadi ne usay jo kuchh bataaya ,  uskay baad wo kisi bhi tarhaan Haadi ke us sawaal ko nazar andaaz nahien kar sakta.

Aayat ne pehlay Mateen ke baaray main kyun kuchh bhi nahien bataaya...?

Kya waajah ho sakti hai....?

Kahien Haadi jo kehna chaah raha tha wo sach to nahien...!?

ya Haadi sirf Aayat se badlaa lenay ke liye jhoot bol raha hai..

uske dimaag main un-ginat sawaal uth kharay huway thay.

Jin kay jawaab ab sirf Aayat hi de sakti hai....

*********

Zarish ke jaanay ke baad Aayat ne usay call karnay ki koshish ki , lekin do teen baar call cut karnay ke baad jub Aayat lagaa taar usay call karti rahi to Zarish ne apna mobile bund kar diya .

Usay Zarish ke saath saath khud par bhi gussa aa raha tha. Wo Zarish se pyar se bhi baat kar sakti thi. Usay is maamlay ko apni nazar se dekhnay ko bhi raazi kar sakti thi. Lekin nahien...usnay Zarish ko buri tarhaan se daantna hi tha , aur ab wo uski call tak attend nahien kar rahi.

Aayat ko sakht maayoosi ne aa ghera.

Abhi usnay apnay faislay par amal shuroo bhi nahien kiya  , aur wo is qadar mayoosi ka shikaar ho rahi hai. to aagay jub itnay imthaan kharay hain , unka saamna kesay karay gi wo....?

Har baar ki tarhaan Usnay apnay dil o dimaag ko sukoon pohnchaanay ke liye namaaz ka sahaara liya. Aur ro ro kar apnay rab se madad maangi.

Kuchh arsay pehlay usay yaqeen tha ke wo jo kar rahi hai , bilkul sahi kar rahi hai. Mateen ko sazaa de kar wo us se apni takleefon ka badlaa lena chaahti hai.

Lekin aaj..., aaj wo khud nahien jaanti ke wo kya kar rahi hai..?

Usay kya chaahiye..?

Kyunkay wo jo soch rahi thi ke uski nafrat Uskay har jazbay par haavi hai. Aaj kyun usay lag raha hai ke uski nafrat , uski mohabbat ke aagay dum tor rahi hai...

" Ya Allah meri madad kar...mujhay nahien pata ke main sahi kar rahi hoon ya ghalat..lekin tum sub jaantay ho..is kainaat ke har zarray ka har raaz tumhaaray ilm main hai...mujhay sahi raasta dikhaao , sahi faisla karnay main meri madad karo...."

Aankhon se behtay aansoo uskay gaalon se phisaltay uski phaili hatheli main gir rahay thay. Aur har aansoo ke saath wo apnay rub se madad maang rahi thi.

Kyunkay wo nahien jaanti ke wo ab kahaan jaaye , konsa raasta chunay , wo bhatak gayi hai apnay raastay se , uski manzil us se bohat door jaati dikhaayi de rahi hai. Lekin madad ke liye koyi aagay nahien barh raha , koyi nahien hai jo uska haath thaam kar usay sahi rastay par laaye.

" Ya Allah...meri gaibi madad kar..." Siskiyon ke darmyaan usnay apnay rab se bheek maangi thi.

" Aayat..." Usi waqt Darwaaza khol kar Aashir daakhil huwa tha.

Aayat ne chonk kar uski taraf dekha. Aashir ka chehra jazbaat se aari tha , lekin uski aankhon ki sakhti bataa rahi thi ke wo kis mizaaj main hai.

Aayat ne apnay doopattay se aansoo ponchhay aur uthnay lagi. Lekin Aashir ne usay uthnay se rok diya.

" isi tarhaan bethi raho Aayat...mujhay tum se jo poochhna hai , is ka jawaab mujhay umeed hai ke tum is musallay pe bethay zyaada sachaayi se dogi."

Aayat heraangi o pareshaani se usay dekhnay lagi. " kya baat hai bhaai..? Kya poochhna chaahtay hain aap...?"

Aashir aagay barh kar uskay saamnay ghutnay ke bal beth gaya. Aur uski bheegi aankhon main dekhtay huway bola. " Mateen ko tum kab se jaanti ho Aayat..?"

Aayat jaanti thi ke kuchh huwa hai...aisa kuchh jo wo har giz nahien chaahti.

" Bhaai aap ye sawaal kyun poochh rahay hain..? Kuchh huwa hai kya.." Aayat ne uski aankhon main dekhtay huway poochha. Ye sawaal poochhnay ke ba-wajood na jaanay kyun uska dil Aashir ka jawaab sunnay se katraa raha tha.

" Tum Mateen ko kab se jaanti ho Aayat! , mujhay seedhaa jawaab do!" Is baar Aashir ka lehja aur awaaz dono sard thay. Aayat ka is tarhaan jawaab denay se katraana Aashir ke shaq ko yaqeen main badal raha tha.

Aayat ke khushk hotay aansuon ki lakeeron pe aur taazay ashk behnay lagay. Usnay apni gardan jhukaa li.

" Dubai main wo humaaray saath tha bhaai..." Ye maamooli inkshaaf Aashir ko kis sachaayi ki taraf le jaaye ga wo achhi tarhaan se jaanti thi. Aur ye sach uskay jism main khuaf ki lehrain doraa gayi thi.

Aayat ka jawaab sunnay ke baad Aashir ne apna sar haathon main pakar liya."Ya Allah...ye kya ho gaya.."

"Bhai..?" usay is tarhaan dekh Aayat ne haath barhaa kar uski kalaahi par haath rakhtay huway usay apni taraf mutwajja kiya.

Apnay haath par Aayat ka lums mehsoos kar kay Aashir ne chehra utha kar Aayat ki ankhon main ankhain daal kar poochha. " Kya Mateen hi wo shakhs hai Aayat...!? "

Is sawaal se Aayat ki saans atak gayi thi. Wo jo Aashir se kuchh kehnay waali thi , Aashir ki surkh aankhon ko dekh Uskay lub khulay ke khulay reh gaye thay.

" bhaai...aap ye kyun poochh rahay hain.." Ba mushkil usnay bolnay ki himmat ki thi. Lekin uski ye himmat Aashir ke sabar ke baandh tor gayi thi.

" Aayat..!! MATEEN WO SHAKHS HAI ! Ya NAHIEN...!!!" Aashir Aayat ko dono shaanon se pakar kar taqreeban chillaya tha..." Jis par Aayat ke honton se dabi siski nikli thi.

Aayat usay khuaf zadaa nazron se dekhti rahi , Aashir ki nazron ki tapish jahaan usay nazrain churaanay par majboor kar rahi thi , wahien unki sakhti usay nazrain churaanay se rokay huway thi.

" Tumhaari ye khamoshi mujhay bohat kuchh keh rahi hai , lekin main tumhaari zabaan se sunna chaahta hoon....mujhay sirf haan ya na main jawaab do..!!!?"

Ye nahien ho sakta...bhaai ko kesay pataa chalaa , kis ne unhain bataaya...! Uska dimaag be shumaar sawaalon main ulajh gaya tha.

" Jawaab do mujhay Aayat..Kya Mateen hi wo shakhs hai..! " Aashir ki pakar uskay shaanon par dard naak ho chuki thi. Lekin wo phir bhi usay jawaab nahien dena chaahti , wo umeed kar rahi thi paanchh saal pehlay ki tarhaan aaj bhi Aashir uspay reham karkay apnay sawaalon ko chhor de ga.

Lekin aaj Aashir ka aisa koyi iraada nahie tha. Kyunkay aaj wo bina sach jaanay uspay koyi reham nahien khaaye ga.

" Aayat!...tumhain Abu ki qasam hai , bataao!! kya Mateen hi wo shakhs hai...?! " wo usay unkay Abu ki qasam nahien denaa chaahta tha , lekin Aayat ne uskay ke liye aur moqa nahien chhora. Kyunkay wo jaanta tha ke is ke baad Aayat ko usay jawaab dena hi hoga.

Aur wesa hi huwa.

Aayat ne chehra jhuka liya aur apnay hont ko be dardi se khoon nikal jaanay ki had tak daanton talay dabaanay lagi.

Aashir uskay jawaab ka muntazir tha.

" Haan..." Sirf ek lafz...

Aur Aayat jaanti thi ke uskay is ek lafz ke baad sub kuchh barbaad ho jaaye ga.

Ek second , do second , Aayat ka sar jhukaa raha , lekin jub kitnay hi lumhay guzar jaanay ke baad bhi Aashir ki taraf se mukammal khaamoshi taari rahi to Aayat ne jhijhaktay huway uski taraf sar uthaa kar dekha.

Aur jub uski nazarain Aashir ke qayaamat khaiz taasuraat par pari to usay apni galti ka ahsaas huwa.

" Bhaai...nahien..." Wo nahien jaanti ke wo Kis cheez se usay rok rahi thi. Lekin uski chhati has keh rahi thi ke Aashir kuchh ghalat karnay waala hai.

" tum ne us se shaadi ke liye haan kyun ki Aayat..mujhay bataaya kyun nahien. " Aashir ka lehja sard tha.

" Meray paas koyi aur raasta nahien tha bhaai..par aap-aap pareshaan mat hon , main us se talaaq le rahi hoon.." Aayat ne uskay gussay ko thanda karnay ke liye kaha. Lekin Aashir ki aankhon main mazeed khoon utar aaya tha.

"Tum ne mujhay apni hi nazron main giraa diya hai Aayat..!" Aashir ne shadeed mayoosi se kaha.

Aayat muslasal inkaari sar hilaati rahi. " Aap ki is main koyi ghalti nahien hai.."

"maine tum se waada kiya tha Aayat.." Wo jaanti thi ke uski aankhon main phaili nafrat uskay liye nahien hai. Lekin uska dil dehal gaya tha. Uska poora wajood khauf ki zanjeeron main jakar gaya tha.

Lekin Usay mazeed kuchh kehnay ka moqa hi nahien mila kyunkay Aashir ek jhatkay se wahaan se uthaa aur Aayat ke kamray se baahar nikal gaya. Aur kuchh seconds main uskay darwaaza khol kar doosray kamray main daakhil honay ki awaaz aayi.

Aayat ko samajh nahien aaya ke ab kya hoga , lekin wo Aashir ko jaanti hai , Aashir itni bari sachaayi jaannay ke baad , kuchh na karay , ye uski fitrat nahien thi.

Aur uskay alfaaz...uska waada....

" main tum se waada karta hoon Aayat , jis din wo shakhs mujhay mil gaya...usay doosra din dekhna naseeb nahien hoga. "

Aashir ka us se kiya gaya waada uskay kaanon main goonjnay lagaa. Aur Aayat ko lagaa jesay kisi ne us kay jism se rooh kheench li ho. Uska poora jism usay be haal mehsoos honay laga.

Lekin wo aisa nahien honay de sakti.

Nahien...

Wo musallay se bijli ki si raftaar se uthi aur kamray se baahar nikli. Usi waqt Aashir bhi apnay kamray se baahr niklaa tha.

Aur uskay haath main gun thi jisay wo apnay belt main rakh raha tha. Ye  dekh Aayat ki aankhain khuli ki khuli reh gayien thien.

Aashir uspay ek nazar bhi daalay bagair baahar jaa raha tha. Lekin Aayat ek dum se harkat main aayi thi aur dorti huwi uskay aagay khari ho gayi.

" Bhaai-bhaai aap kahaan jaa rahay hain..?!! " kaanpti awaaz main usnay betaabi se poochha.

" Aayat meray saamnay se hat jaao..itni bari sachaayi chhupaa kar tum mujhay pehlay hi bohat takleef pohncha chuki ho. Ab uska difaah karkay kya karna chaahti ho...?! " Aashir ne shadeed gussay aur maayoosi se kaha tha.

Usay ab tak yaqeen nahien ho raha tha ke Usnay apni behn ki shaadi usi shakhs se kara di , jis ne usay barbaad kar diya...!

" bhaai please pehlay meri baat sun lain , aap saari haqeeqat nahien jaantay..please mujhay ek baar poori baat bataanay ka moqa dain..." Aayat ne uska haath pakar kar minnatain kien.

" Kya samjhaao gi...!?  yehi ke tum apnay bhaai ko itna begairat samjhti ho ke us shakhs se shaadi kar li jis ne tumhaaray saath itni giri huwi harkat ki...! Ya ye ke tumhain apnay bhhai par itna bharosa bhi nahien tha ke wo tumhaari hifaazat kar sakay....!!?"

" bhaai aisi baat nahien hai...aap mujhay ghalat samajh rahay hain..." Aayat ke aansuon se tar chehray ko dekh Aashir ne maayoosi main sar jhataktay huway uska haath apnay baazu se hataaya.

" aur is ka zimmay daar kon hai Aayat...?!!.."

Aayat inkaariya sar hilaati usay phir thaamnay lagi thi lekin is baar wo usay apnay saamnay se hataata baahar nikal gaya.

Aayat phir bhi uskay peechhay bhaagi aur zaaro qataar rotay huway usay koyi bhi ghalat qadam uthaanay se rokti rahi.

Aashir jis junoon main tha , aaj wo apni laadli behn ki koyi bhi baat nahien sun raha tha. Paanchh saalon se wo us un-dekhay shakhs se be inthaa nafrat karta aaya tha. Har raat wo is soch ke saath aankhain bund karta ke jis din wo us shakhs ko dhoond lega , wo us se jeenay ka haq chheen lega.

Aur aaj jub us shakhs ki sachaayi uskay saamnay hai to kis tarhaan se wo usay bakhsh de.

Driving ke doran usnay Mateen ke number par call ki jisay do rings ke baad hi uthaa liya gaya tha.

" kahan ho tum...!" Aashir ne apna lehja normal karnay ki bhi koshish nahjen ki thi.

Doosri taraf se do second ke liye to khamoshi rahi , lekin phir Mateen ne jawaab diya. "ghar main.." 

Mateen ka jawaab suntay hi Aaahir ne call cut kar di. Aur Mateen ke ghar ki taraf gaardi mor di.

*********

Aayat Aashir ki gaardi ko jaata dekhti rahi. Usay samajh nahien aa raha tha ke wo kya karay , kesay Aashir ko rokay.

Mateen...!!.. Mateen ko phone karkay bataana hoga ke wo jahaan bhi hai Aashir se door rahay. Ye soch kar wo dobaara se andar dori. Apnay kamray main daakhil hokar usnay apna mobile uthaaya aur Mateen ke number par call ki. Do teen bells ke baad call bund ho gayi. Wo uska phone nahien uthaa raha tha.

Lekin Aayat ne dobaara usay calls kien , aur tab tak karti rahi jub tak usnay call attend na karli.

" Mateen , kahaan ho tum..mera phone kyun nahien uthaa rahay thay..!!" Aayat ne ek saans main jaldi poochha. Lekin Mateen ne uskay sawaal ka koyi jawaab nahien diya.

" Mateen jawaab do is waqt kahaan ho tum...!!" Khauf ke maaray uska poora badan kaanp raha tha. Siskiyon main uskay alfaaz toot rahay thay. Lekin wo Mateen ki khamoshi par us par chillayi thi.

" Kyun Aayat..aaj hi mujh se chhutkaara chaahiye.." Pehli baar Mateen bola. Lekin uski awaaz sargoshi ki si thi.

" Mateen..bhaai ko sub kuchh pataa chal gaya hai..wo ghar se gun le kar niklay hain....wo is waqt hosh main nahien hain , wo kuchh bhi kar saktay hain...please tum kahien door chalay jaao.." Uskay tanz ko nazar andaaz kartay Aayat ne minnat bharay lehjay main kaha.

"To is liye tum pareshaan ho rahi ho..?!.aur ek lumhay ke liye ye nadaan dil samjh betha ke shayad tumhain meri yaad aa gayi. " Mateen ne halka sa hanstay huway kaha. Aayat be yaqeeni se usay sunti rahi.

"Main bohat thak gaya hoon Aayat , par ab Shayad mujhay is dard se chhukaara  milnay waala hai...aur tumhain Aashir ke liye fikar karnay ki zaroorat nahien hai , main tumhaaray bhaai ke liye ek letter likh deta hoon , jis ki madad se tumhaaray bhaai ko jail nahien hogi. Aur Baaqi sub bhi usay muaaf kar dain ge."

Aayat saktay ki si kefiyat main aa gayi thi. Uska dil taizi se dharakta usay apnay kaanon main sunaayi de raha tha.

" Mateen nahien..." Doosri taraf se Mateen ne call kaat di.

Aayat ke kaanon main abhi tak Mateen ke alfaaz goonj rahay thay.

Wo marna chaahta hai...

Nahien...!! Wo aisa nahien honay de sakti...wo usay kuchh nahien honay degi..!!

apna dupatta uthaa kar wo kamray se baahar nikli aur ghar se baahar nikal aayi. Baahar sannata phaila huwa tha. Sub log gharon main thay. Pooray road par sirf ek street light ki roshni phaili huwi thi.

Wo pehlay kabhi is waqt apnay ghar se nahien nikli thi. Aur wo bhi akelay. Wo jaanti thi ke is tarhaan wo khud ko kitnay baray khatray main daal rahi hai. Lekin is waqt uska dimaag sirf Mateen aur Aashir ke liye fikar mand tha. Uski apni zaat ki usay koyi fikar nahien thi.

Apnay area ke road se paidal bhaagti wo main road tak aayi thi. Gaardiyaan full speed se uskay saamnay se hotay guzar rahi thien. Wo guzarnay waali har taxi , aur rikshaw ke aagay haath hilati rahi.

Waqt rait ki tarhaan uskay haathon se phisal raha tha. Aur wo jaanti thi ke ek ek lumhaa kitna qeemti hai.

Do teen minute baad uskay aagay ek taxi ruk gayi. Aayat ek dum se taxi main beth gayi. Boorhay driver ne us ki haalat dekhi to uski pareshaani poochhi.  Lekin Aayat ne usay aur kuchh kehnay ke bajaaye usay seedhaa Mateen ka pataa bataa kar jald se jald usay wahaan chalnay ko kaha.

Uskay baad driver ne gaardi start kar di. Aayat ba mushkil apnay aansuon ko roknay main kaamyaab ho gayi thi. Lekin koshsih ke baa wajood wo apnay aisaab ko normal nahien kar paa rahi thi. Guzarta har lumhaa usay qayaamat sa mehsoos ho raha tha.

Paanchh minute baad Aayat ko Zoyan ki yaad aayi. Usnay Bina dair kiye Zoyan ke number par call ki. Jisay do bells ke baad hi uthaa liya gaya tha.

" Hello bhabhi.." Doosri taraf se Zoyan ki awaaz aayi. Lekin peechhay se wo Zarish ki naaraaz awaaz bhi sun sakti thi. Jo Zoyan se call attend karnay se mutalliq kuchh keh rahi thi.

" Zoyan Bhaai ko sub kuchh pataa chal chuka hai , wo ghar se gun le kar niklain hain , tum please Mateen ko ghar se kahien baahar le kar jaao. " Aayat ne driver ki wajaah se halki awaaz main kaha. khulay glass ki bhi wajaah se Aayat ko personal space mil gayaa tha. Zoyan ko itni bari baat bataanay ke liye.

" sh* Mateen to is waqt ghar par hai , aur hum ghar se is waqt do ghantay ke faaslay par hain. Main Zarish ko ghumaanay ke liye le kar aaya tha. Main abhi Mateen ko phone karta hoon, aap pareshaan mat hon. "

Is ka matlab Zoyan chaah kar bhi waqt par ghar nahien pohanch sakta. Aayat ko apni aankhon se phir se aansoo phisaltay mehsoos huway "Main ne Mateen ko phone kiya tha..wo Bhaai ka intzaar kar raha hai Zoyan....mujhay bohat dar lag raha hai...agar usay kuchh..."

"Bhabhi aap pareshan na hon hum ghar ke liye nikal chukay hain..main aap ko pohanch kar call karta hoon.." Aayat ne mayoos hokar call cut kar di.

Wo khud ko laa chaar mehsoos kar rahi thi. Usay lag raha tha jesay aaj uskay liye sub kuchh khatam ho jaaye ga. Wo is waqt Mateen ke paas jaana chaahti thi , uski hifaazat karna chaahti thi. Lekin wo us se itni door thi. Aur nahien jaanti ke jis waqt wo wahaan pohnchay gi to Mateen kis haalat main ho...

Mateen ka khoon se lat pat wajood ka tasawur bhi uskay liye dardnaak tha. Uska seena shadeed dard se phat raha tha.

Wo usay khona nahien chaahti. Sirf is baar Mateen sahi salaamat ho to wo usay kabhi khud se door jaanay nahien de gi. Uski hifazat ke ilawa wo ab aur kuchh nahien chahti.

Lekin saweray Zarish ke alfaaz uskay khuaf main mazeed izaafay ki wajaah bun gaye thay. Zarish ne kaha tha ke wo apnay faislay par bohat pachhtaaye gi.

Uskay honton se dabi dabi siskiyaan dum tor rahi thien.

Driver baar baar sheeshay ki madad se usay dekh raha tha. Lekin kuchh kaha nahien. Zaroor koyi ghareloo maslaa hai bechaari ke saath. Usnay hamdardi mehsoos kartay huway sochaa tha.

Bees minute ke baad Taxi Haider house ke saamnay ruk gayi.

Aayat taxi se utar gayi , lekin jub paisay denay ka waqt aaya to usay yaad aaya ke wo ghar se apna pars lena hi bhool gayi thi. Wo apni ungli main sonay ki ring ko dekhnay lagi.

Driver uskay pareshan aur aansuon se bheegay chehray ko dekh kar bola. "Beti koyi baat nahien...aap jaao , Allah aapki pareshaani door kar de ga." ye keh kar wo chalaa gaya.

Aayat bina dair kiye andar bhaagi. Gate ke aagay betha chokeedaar kursi pe bethaa soya huwa tha. Taxi ki awaaz se uth kharaa huwa tha. Aur usay salaam kiya. Aayat bina kuchh kahay andar ki taraf bhaagi. Porch main Aashir ki gaardi dekh kar uski saans atak gayi thi.

Aashir andar hai...

Wo deewaana-waar andar bhaagi thi. Uska dil zorron se dharakta uskay seenay se baahr nikalnay ko tha. Lekin wo bhaagti rahi jesay uski zindagi ek ek lumhay ke saath uska saath chhor rahi ho.

Lounge se guzarte Seeriyaan phulaangtay wo apnay kamray tak aayi thi. Jahaan se Aashir ki awaaz aa rahi thi. Lekin Mateen ki koyi awaaz usay sunaayi nahien di.

Darwaaza khulaa tha aur Aashir darwaazay ki taraf pusht kiye kharaa tha. Uska ek baazu seedha tha jis haath main wo saamnay ki taraf gun taanay khara tha.

Aur Mateen uskay saamnay be taassur khara Aashir ki aankhon main aankhain daalay apnay anjaam ka intzaar kar raha tha. Uskay naak aur hont se khoon beh raha tha. Lekin Uski aankhon main koyi khuaf nahien tha. Jesay wo apni maut ke saamnay nahien par aisay hi maamool ki tarhaan kharaa ho. 

Usi lumhay Mateen ki nazar uskay chehray par pari thi. Aur uskay honton par bohat halki si muskaan dar aayi thi.

Aayat ko lagaa jesay kisi ne uskay be tarteeb dharaktay dil ko apni muthi main daboch liya ho.

Uskay honton pr to muskaan thi , lekin uski aankhon main la zawaal dard tha. Jis se wo aaj humaisha ke liye chhutkaara paanay waala tha.

Wo usay chhor kar jaanay ke liye betaab tha...

Wo us se alvida keh raha tha....

***********

Salaam , mujhay pata hai mujh pe bohat gussa aa raha hai , par aap khud hi bataayain ke in main se koyi bhi scene kaatnay jesa tha...?

Nahien na..to bus phir kya kar sakti hoon , na na karkay maine do teen chap aur barhaa diye. 😅

Is ka doosra part main ek do din main update kar doon gi. Independence day ka gift ❤️❤️

Continuer la Lecture

Vous Aimerez Aussi

66.3K 3.3K 26
ایسی لڑکی جو اپنے باپ کے ماضی میں کیے گئے ظلم وستم سے ڈرتی... مکافات عمل سے ڈرتی.. نئے رشتے کے بننے سے ڈرتی... کیا زندگی بھر خوف اس کے ساتھ سائے کی ط...
404K 22.1K 53
Mehr-o-Mah (مہر و ماہ) - The sun and the moon A collection of short stories filled with love, spice, drama and a roller coa...
169K 9.7K 9
Hamdaani Heirs #3 The story of Furqaan and Aamaal. How fate brings them together in bleak circumstances. The storms they brave. How a lover's wait i...
58.8K 1.6K 41
وهل بضع كلمات ستصف حبي لكِ ؟! وهل لهفتي لسماع صوتكِ سيكفي؟! وهل خافقي الذي يشن الحروب لرؤياك سيكون دليل محبتي؟! القاسي احبكِ فتحملي جحيم قسوته..