Mera Marz e Mustamir

By NimrahAbbas98

15.3K 821 759

Ye safar ha ishq e majazi se ishq e haqeeqi tk ka...ye Safar ha haraam se halal tk ka...Ye safar ha bimaari s... More

Episode 1
Episode 2
Episode 3
Episode 4
epi 5
Episode 4 in urdu
Episode 6
Episode 7
Episode 8 part 1
Message for All readers
Episode 8(part 2)
Episode 9
Episode 10(part 2)
Episode 10(part 3)

Episode 10(Akhri marhala)part 1

666 42 35
By NimrahAbbas98

A dekh akar mujhe kia ye kamal nhi ha
toot gya ha dil mukamal pr ek darar bhe nhi ha
meri hasti hui jo dunia thi ub uska naam o nishan bhe nhi ha
wo lrki jo chand c thi tere lye
ub usi ka pursan e hal he nhi ha
thak gai hun lar lar kr bazi zindagi ki
pr ub koi rah e farar bhe nhi ha
meri himmat ko dad de k mujje ub khof e kaza bhe nhi ha
kbhe mere dil main basta tha akar
ub dekh akar mujhe tera khayal bhe nhi ha
tu jo na mila hojaongi reza reza
tu nhi ha zindagi ma kb se or ispe koi malal bhe nhi ha

driver ne gari uss mehal numa ghr k samnay roki bhr nikl kr pichli seat ka darwaza khola wo bhr nikli aik bazu pr kala coat or dusre pe bag latkye wo maray maray qadmon se ghr k andar chli gai....

darwaze pr knock ki awaz sun k wo jo washroom se nikl rhi thi chonki...
"mama jani ajyn knock kion kr rhi hain"nirmal ne tauliye se mun saf krty huy kaha..
phir drwaza khula or .."aima tum...iss wqt ."nirmal ne anchaby se usay dekha jisky chehre se saaf zahir tha k wo roti rhi ha or phr uski nigha baysakhta samny lgi wall clock pr gai jo rat k 12 bja rhi thi bhla iss wqt aima aye or wo bhe btaye begher zaror koi bat hogi..
"main aaj rat yahin rahungi tmse kchh batain krni hain.."awaz randhi hui thi wo daby qadmon se chl kr bister tk ai bag rkh kr wo dono samny couch pr he beth gaen..
"btaya tou hota aise achanak main tmhare lye chai bnwa leti ..."nirmal ko ksi anhoni ka andesha tha ..
"yar bs mama ko bta k agai sar ma bht drd hrha tha socha subha tmhare sath he office bhe chli jaongi isilye saman bhe ly ai hun fikr na kro ziada msla nhi ha bs aliyan..."or yahan usky akhri lafz pr akar wo jo khud ko tasalian de rhi thi usky chehre k tasur bigre ..
"k..kia hua...sab thik haina aima..."
"han sab thik"..kehty huy aima istehzaiya hasi..
"baqol aliyan k wo mujhe psnd krta ha pr usky maa bap nhi maan rhy wo uski shadi zbrdsti uski phupi zad se krna chahty hain or aliyan unki bat nhi taal skta tou..."..or uski ankhain brsat brsanay ko tayar thein wo zabt krne ki bar bar koshish kr rhi thi mgr nirmal k samny hamesha ki trah nakaam rhi..."bht bht waday kiye thay usny nirmal akhir mera kia ksoor tha..."ub wo awaaz k sath rou rhi thi nirmal ne uska sar apny kandhay pr rkh lia phir usky baal sehlanay lgi
"ma..maine mohabat ki thi..usky intizar main bethii rhi sab rishte thukra diye.. maine lrki hoty huy usky lye apny maa bap ko razi krlia pr wo...wo lrka hoty huy mard hoty huy mere lye .."...aik lmhe ko bs aik lmhe ko nirmal ne bilakti roti hui aima ko khud se alag krty huy uski gham se surkh ankhon main jhanka or wohi tasur wo...wohi saalon pehly wali nirmal sheikh ko dekh kr wo hili jese pairon talay se zmeen holay holay se koi khench rha ho jese ruh kabz hrhi ho...phir aima ki he awaaz pe wo hosh ki dunia ma wapis ai khud ko compose krty huy usny aima k ansoo saf kiye usay wahin bitha kr wo chai lene chli gai.....

chai ka cup aima k samnay table pr rkh kr wo apna cup thaamy aima ki kursi k barabar he khri hogai or wqfy wqfy se ghont bhrny lgi aima apny he khayalon main gum musalsal siskion k sath ansoo baha rhi thi k achanak usky kano main nirmal ki madham c awaaz pri ....."Tumhe Aliyan chaiye na?..Wo ub rukh bdl kr Aima ki ankhon main jhankty huy usse puch rhi thi jaise aima k aik "han"kehny pr Aliyan ko lakar usy dedegi..
roti sisakti aima bs hmm kr k he reh gai...
Tou phir tum usy maang lo Allah se....
Aima ne ajab sawalia nazron se Nirmal ki ankhon main dekha jaise ksi bht purani paheli ka koi hint uski ankhon main dhund rhi ho,agr mil jye tou wo usy bujha de shyd minto main...
Nirmal ki ankhain ...Choti ghani palkon wali gehri bhoori ankhain,or kia itmeenaan tha,kia sukoon tha,kia yaqeen tha kia chamak thi jo unn ankhon se chalak rhi thi...
Kia dekh rhi ho?Nirmal ne mahol ma chai ajeeb c khamoshi ko torty huy aima se pucha
Dekh rhi hun k kitna yaqeen ha tumhari ankhon main k main Allah se Aliyan ko mangungi or Wo mujhe Aliyan de dega....Tumhe yaqeen tha na Nirmal ?...tumne bhe tou manga tha na ksi ko?Tumne bhe tou chaha tha na baypanah bay had aik shaks ko?Tumne kaha tha tumhe wo dunia main sbb se ziada aziz ha or tumhe wo mil jyega phir tumhe kion nhi mila wo???..tumne tou mujhse bhe ziada duain mangi thein na?bolo btao tum ub bhe usy chahti ho bht chahti ho main janti hun tumhari ankhon main dekha ha maine phir kion nhi ha wo tumhare pas?phir kion Allah ne tumhe wo shaks nhi dia or phir main kaise yaqeen krlun k main duain mangungi tou mujhe Aliyan mil jyega...main tou tumhari trah naik bhe nhi hun..tumne tou apni muhabbat k hasool ki khatir tahajud tk prhi....phir bhe tumhare pas wo shaks nhi ha..phir kion keh rhi ho k main dua krun or mujhe aliyan mil jye ga . ?????Sawal thy ya teer ....Aik k baad aik Nirmal ki jga koi or insan hota tou toot phoot jata,mgr kia ghazab tha k ankh main malal ki jhalak tk na dikhi...Chehre pr sukoon he sukooon,kalay baadlon se takranay k bawajood chandni ki chamak main koi kmi nhi aai thi..
Aima khamosh hui tou Nirmal ka pursukoon chehra ,ghani palkon wali ankhon ka ajab itmeen jaise usy chubha ...koi jawab ha Nirmal?..nhi tou jao phir mat kaho k mujhe wo dua se mil jyega...

Han ye sach ha k maine bhe usy din rat duaon main manga tha...Mujhe chah thi k koi moujza hojye wo shaks mera hojye yaqeen tha Allah pr k wo mujhe de dega main Allah k kareeb hogai,maine kia nhi kia usy paanay k lye..Koi dua aisi na thi k jismy uski muhabbat na mangi ho,uska sath na manga ho,main usy janti bhe nhi thi mgr muhabbat ajeeb shay ha ye kahan dekhti ha insan k hasab nasab ko bss hojati ha mujhe bhe aise insan se muhabbat hui thi jise main janti tk nhi thi bss andaazay lgati thi wo aisa ha wo aisa hoga wo achy kirdar ka hoga wo aisi batain krta hoga janay beghair he andazay lgati imagine krti thi...uski andhi muhabbat mujhe farz se tahajud tk le gai...usy mangty mangty mujhe koi or mil gya tha....mgr gilay thy shikway thy tumhari trah aima..bilkul tumhari trah ...Nirmal bol rhi thi bta rhi thi apny raaz khol rhi thi or Aima khamosh baghor ghani palkon wali Nirmal ko sunn rhi thi..rat bahar gehri hrhi thi mgr chandni ki chamak puray asmaan pr raaj kr rhi thi Or wo saray jawab de rhi thi,ishq e majazi k karway zehr main ishq e haqaqi ka shehad ghol rhi thi....
Janti ho Aima mere ghr ka koi kona aisa nhi jahan beth k maine usy Dua main na manga ho..Kabay pr pehli nigha pri tou usy manga...Gumbat e khizran ko dekha tou dil se yehi awaz nikli k Ay mere Allah mujhe wo shaks de de ye tou aisi jghain hain jahan log mazboot iman mangty hain jahan log achi akhirat mangty hain bakhshish mangty hain mgr dekho aima main in jghaon pr khri usi aik shaks ko mang rhi thi...meri zidd ana bnti jarhi thi..Mujhe ghussa ata tha itni ibadat itni duain phir bhe wo mera nhi?...thik ha bs aik dfa mujhe aik mouqa de de k main usy dekh lun...aik nzr he sahi bs usy jaan lun usay bta skun k mujhe usse kitni mohabat ha ..bs itna he krde ilahi itni duain ki hain badlay main aik mouqa he de de...phir mouqa mil gya...Allah ne meri sunli...Or phr tum janti ho Aima...tum janti ho kia hua..Maine jis insan ko paanay k lye din rat duain mangin wo insan fareb kaar tha wo waisa tha he nhi jaisa maine smjha tha..usny mery jazbaat ka meri pak mohabbat ka mazak bna dia,usy meri muhabbat mazak lgti thi bchpana lgti thi ,usny toheen ki tazleel ki wo iss lyk nhi tha k main usky sath shadi tou kia bat bhe krti...wo waisa mard tha he nhi jaisa maine usy imagine krlia tha...Wo zindagi k wo kch din jinmy main raton ko jaag jaag kr usse chat krti thi k bs aik bar kahein aik bar wo keh de k han main tumhari mohabat ki qadar krta hun....wo srf mujhe use krta rha aima time pas krta rha..mera mazak urata rha ....maine chor dia ...Phir chor dia maine usay...Nafrat nhi krti main usse ...Mohabbat aaj bhe andar kahein ha...Mgr...Nirmal bolty bolty ruk gai...ghani palkon wali ankhain hawa main ksi nukty ko dekh rhi thein ksi gehri sooch main gum sum hogaen thein...Mgr kia?Aima ne phir sawal kia...Or Nirmal k honton pr aik ajeeb c muskaan ai...
Mgr ub main usy nhi mangti,muhabbat aaj bhe ha...mgr nhi...Main nhi mangti usy....Mujhe Aaj bhe yaqeen ha apni dua pr...Allah k kun pr Main aaj bhe chahon tou usy maang lun,main ye keh k maang lun k "Ay Allah usy mere haq main behtr kr k mera bna de lakin mujhe wo de de mujhe bss wo aik shaks de de "or phr Wo Kun keh dega...Or mujhe wo mil jyega..hum insan itni jldi mayoos kion hojaty hain Allah se jb k hum janty hain k Allah supreme power hain wo chahen tou insan ka dil badal den usky dil main humari muhabbat bhar den...Main bhe maang skti thi na Allah se k ay Allah usky dil main meri mohabat bhar de lakin Nhi ..maine nai mangi...Mera Allah chahta tha k main usky agay jhukun main usse mohabbat krun main Allah k kareeb hojaon...Isilye usny mere dil main uss shaks k lye mohabbat dal di...phir mujhe usi shaks k haton tora ...Ta k ub jb paltun tou Allah or mere darmiaan koi or na ho.....Han maine wo shaks chor dia jisy main dunia main sb se ziada chahti thi shyd apny aap se ziada or jiski parwah krti thi shyd apny aap se bhe ziada....lakin ub mere pas Allah ha...jo mujhse muhabbat krta ha or meri parwah krta ha or yaqeenan usse bhe ziada krta ha jitni main khud apny aap se krti hun"....Rat ka andhera kahein asmaan ko ghernay ki tarap main chaya hua tha Chandni ki sultanat thi ,aisi chamak phoot rhi thi k kainaat ka zarra zarra uski roshni pr rashk khaa rha tha ...ghani palkain ub nam thein,mgr sukoon itmeenan wesa he tha andhera idher bhe bss intizar main tha, mgr chamak thi k mouqa deti na thi..Aima sakat c bethi ub tk unn ankhon main dekh rhi thi..sara ghussa sara malal khtm hochuka tha...Jin ankhon ki chamak dekh kr kch dair pehly usy uljhan c hui thi ub unhi ankhon pr usy Rashk araha tha...
***********************************
"raaazaaq....."maine tm pe bharosa kia thaaa razaq....kion kion kia tmne aisa maine aetebar kia tha tm dono pr....kion itny saal tm logon ne meri halal kamai mehnat ki kamai pr hath saf kiye kion....sharam kion na ai tm dono ko..."saith jb ghusse se cheekhty cheekhty thak gya tou kursi pr gir gya ..razaq or akbar zaman saith k samnay sar jhukaye khamosh kharay thay mgr andar intiqam lene ka thatay maarta samandar shor mcha rha tha ...."dafa hojao apny ye chehre le kr or aik maheene tk mujhe nzr na ana .. main chahta tou tm logon ko adalaton or jail k chakkar katwata mgr main srf or srf tmlogon ki aulaad ka mun dekh kr tm dono ko azaad chor rha hun mujhe tou Allah ne bht dia ha pr tm logon ko yun chor dia tou tmhare bachon ki aah mujhe khaa jyegi...."saith ne ek thunda sans bahar kia kanpati masl kr kursi se taik lga li..razAq or akbar jb saith k kmry se bhr nikly tou minar ko kmry ki trf ata dekh kr unka ghussa had se tajawuz krne lga.. bht mushkilon se zabt kiye wo dono maray maray qdmon k sath wahan se rafu chakar hogye ..

"Maine wohi kia minar jo tmne kaha tha main tou inhe jail bhejta chakki piswata jo inho ne kia na usky baad ye log mafi k lyk nhi thay pr bete srf tmhari waja se maine inhe warning de kr chor dia mujje umeed ha ainda ye log aisa kch nhi krengy or na he main or tm inhe aisa qadam phirse uthany dengy....."...saith ne purjosh lehje main kaha jispy minar ne sar ko kham de kr goya unki han main han milai thi or beroni darwzay ki trf murny lga "ruko minar "or saith ki awaaz pr ruk gya ..."g sir"usny mur kr saith ko dekha jo ub kharay hokr uski trf aik lifafa brha rha tha..."ye lo"..usny ek nzr s safaid lifafy pr dali or phir na smjhi se saith ko dekha..."ye tumhara promotion letter ha...mujhe tum pr fakhar ha..." ..or pta nhi kion wo awaaz jb usky kano main pri wo alfaz wo pur josh andaz wo kion num ankhon se saith ki trf brhta gya or us lifafy ko tham kr usay apny wajood main kapkapahat mehsoos hui saith ibrheem usky raaz janta tha isilye uska kandha zor se thaptaya or usay galay se lga lia ..."baba hoty tou wo bhe yehi kehty"saith k kano main wo bheegi hui awaaz pri tou uski ankhain bhe num hogaen . ."han baba hoty tou wo bhe yehi kehty"or itna keh kr saith ne usay khud se alag krlia ub wo qadr e behtr mehsoos kr rha tha usny muskura kr sar ko kham dety huy ek bar phirse saith ka shukria ada kia or wahan se chla gya......

Ha jo aag intiqam ki aaj wo lgai jye
sar e aam kisi ki dunia jalai jye
roay wo lakh usky ansooun se phir bujhai jye
tarpe wo tou ye or bharkaai jye
kismat ki laqeerain aise mitai jyn
kisi k zakhmon pr phir ye sulghai jye
ksi ki khushi manno matti talay dabai jye
ha jo aag intiqam ki aaj wo lgai jye

"tu janta ha razzaq aaj saith ne humain kion chora kion k uss manhoos minar ne usay kaha tha..."..akbar ne cigrete se kash lgaya or dhuan hawa k hawaly kia..
"hmmm"razzaq bhe nashay ma mast tha...
"ub tu dekhna hum kese uss minar ko intiqam ki khai main phenky ge..."uski awaaz main aik pukhtagi thi yaqeen ki garaj saf sunai deti thi
"kese"razaq istehzaiya hansa ..
"btaonga tujhe pehly tera nasha utar jye ..."usny sulaghti hui cigrete razzaq k hath pr lga di. .
"aaah...kia kr rha ha ...chor isay...chor ..."or yun usny hosh ki dunia ma qadam rkha...
ub akbar or razaq k darmian mani khez muskan ka tabadla hua "....Aik maheene baad....Encounter..."..akbar ne jaib se pistol niklaty huy kaha or phir wo dono bay sakhta hasnay lgy ....
************************************

"Galion main nafs ki aaj kal bara udaas phirta hun
kbhe hansta hun zor se tou kbhe rou deta hun
Ankhon main le k tamanna noor dekhny ki
kbhe utha ta hun palkain kbhe sharam se jhuka leta hun
Bhar k hazaron gham seenay main khali khali sa rehta hun
Galion main nafs ki aaj kal bara udaas phirta hun
Tamasha e jahaan main tou kbhe sunsaan ksi rah pe
Main bay sud bay jaan weraan weraan phirta hun
talkhion pr kbhe zeest ki muskura deta hun
Kbhe zra sa lahun behny pr kohraam mcha deta hun
Galion main nafs ki aaj kal bara udaas phirta hun
Btaya nhi ksi ne mujhe,smjhaya nhi ustaad ne bhe
jo sikha deti ha dunia sabaq wohi omar bhar yad rkhta hun
taras jata hun kbhe usky kun kehny pe,
kbhe bas kismat se haar jata hun
Galion main nafs ki aaj kal bara udaas phirta hun
Satati ha mujhe bhe ik khuwaish e deedar kabay ki
Teray amaal nhi iss lyk dil ko smjhaye rehta hun
Galion main nafs ki aaj kal bara udaas phirta hun"

"mujhe andar jany dou ...khuda k lye janay dou...".
usny office ki khrki khol rkhi thi jis se neechy gate ka mnzr saf dikhai de rha tha anay janay waly har fard ko wo dekh skti thi...kch der k baad wo chai ka cup le kr table pr ai tou uski nzr baysakhta khrki se bhr neechy gate ki trf gai jahan wo safaid chadar wali lrki guard se minnat kr rhi thi or usky hath k isharay se wo smjj gai k wo opar office ana chah rhi ha usny jldi se reciever utha kr guard ko usay andR anay ka hukam dia ...

usny drty drtay darwza khola usay dekhh kr zra sa chonki wo labon pr ek dilkash muskaan sajaye usky istiqbal main kursi se khri hogai thi "Ao erum andar ao yahan betho"phr usny usay hath se pkr kr samny pri kursi pr bitha dia or khud bhe apni jga pr beth gai itny main secretery chai le kr agya usny chai erum k samny rkhwai..erum tamam wqt khamoshi se sab kch dekhti rhi usny jis orat se nafrat krne main koi hadd na chori thi wo usky istiqbal main apni jga se uth khrii hui wo chahti tou uss din he usay zaleel kr k ghr se bhr nikal deti mgr ulta uski izat bcha kr usay apny sath le gai "kesi ho erum kitny arse baad dekh rhi hun tmhe oh mere Allah" usny khush gawar herat se pucha apna khoon tou apna hota ha khoon josh maarta ha jb koi apna arse baad dikhe tou dil moom ka diya bn kr jal uth ta ha phr chahe jitny bhe shikwe hon shikayatain hon sab lmhon main khtm hojati hain nirmal ki awaaz pe usny hosh smbhala..."tum thik ho na erum ..tum rou kion rhi ho...erum kia hua..."wo uski num ankhon ko dekh kr jese tarap gai apni jga se uth kr usky pas chli gai or dusri kursi dhakail kr usky bilkul samny hokr beth gai ub wo roti hui erum ka kandha thaptapa rhi thi..
"main thik nhi hun nirmal...kch bhe thik nhi ha..ma ...main bht dino se ana chhahti thi aap k pas aap se milny pr pr mujhe rehman chacha se khof ata tha isilye phir ma seedha apky office ai mujje aapky office ka bhe pta nhi tha apky ghr k chowkidar se pta kia tha..."wo rotay rotay sans lene ko ruki thi .."kia hua ha erum saf saf kaho kia bat ha kion itna rou rhi ho..."wo mazeed baychyn hgai..
"Nirmal ma uss din se aaj tk chyn se nhi soi arham tou dafa hogya mera sukh chyn meri izzat mere maa bap ka mujh pe aetemad mere rishty mera paisa sab sab le k bhaag gya or peechy main reh gai khali hath ujry dayar ki jeeti jaagti tasveer bn kr nirmal maine jo kch apky sath kia wo waqaie aisa ha k agr badly ma mujhe phansi de di jye tou koi bari saza nhi hogi ..."sssh...kesi batain krti ho erum bs kro plz...nirmal ko usky lehje se khof araha tha uski baton se dil phatt rha tha kion k wo janti thi jo kch bhe usny kia marz e ishq ma mubtila hokr kia jese mareez ksi be trah apni shifa ka rasta dhundta ha or har karwii dawa chakh lena chahta ha usi trah erum ne bhe har rasta apnaya tha or ye bat nirmal se ziada behtr or kon smjh skta tha shyd islye isilye usny erum ko maf krne main aik lmha bhe nhi lgaya tha
"Mera yaqeen kro lrki maine tumhe maf krne maiin ek lmha bhe nhi lgaya tha phr tum kion udas ho kion roti ho" ... kandhon se pkr kr nirmal ne usay jhinjor kr yaqeen dilaya...
"nirmal aap janti hain wo zewar meray bap ki mehnat ki kamai se thay jo maine apni khudghrzi or arham ki muhabbat k peechy arham pr luta diye ek lmhe ko ye na socha k mere baqi behn bhaiyon ka kia bnega meri maa kia kregi unky baray ma zra bhe na socha nirmal...main ub apny agay kch nhi dekhti kbhe kbhe mujje itna pachtawa hota ha k dil phatny ko ajata ha maa ne maf krdia maa tou maa hoti haina pr mera dil nhi manta mujhe ...mujhe unhe wo paise wapis krny hain mujhe unky lye kch krna ha pr mere pas mere ikhtiyar main kch nhi kch bhe nhi ...."..uski halat dekh kr uski batain or siskian sun kr nirmal se bhe zabt na hua wo bhe tou ishq nami sanp ki dasi hui thi usnay bhe ek wqt main apny ma bap apny ghr walon ko bhula dia tha usny bhe ek mattii k putlay aik mamoli se insan ki muhabbat k nashay ma sarshar hokar apni zat ko bhula dia srf ek insan ki muhabat ko panay ki khatir wo apny maa bap apny ghar walon ki muhabbat ko bhula bethi thi apny ird gird k logon se bezar hogai thi nirmal ne jhurjiri lety huy rukh mor lia or hateeli se apny ansoo ponchen ...

kch lmhe khamoshi ki nzr hogye tou nirmal ne sar utha kr uski surkh ankhon main dekha choti nirmal wahi thein usky samnay bs fark itna tha k uss lrki ki kahani alag thi uska nam alag tha wrna pachtawa wohi tha malal bhe wohi tha wo 9 saal pehly apny aap se jo kch na keh pai thi aaj keh dena chahti thi ....

"marz e ishq k zariye khuda bndy ko azmata ha khoob azmata ha ishq ka dasa hua insan aik samandar ki trah hota ha bazahir khamosh mgr andar usky dil main jo thatay maarta hua jazbat ka samandar hota ha uski awaaz koi nhi sun skta ..insan sari umar iss jung main masroof rehta ha apny andar k shor se lrta rehta ha or iska aik he ilaj ha ya tou wo shkhs mil jye ya phir khuda mil jye ..."
wo sans lene k lye ruki thi ek nzr utha kr erum ko dekha tou wo dam saday usay sun rhi thi wo muskurai thi q k usay yaqeen tha choti nirmal ub koi ghlti nhi kregi ub apna keemti wqt aik insan k lye rou rou kr zaya nhi kregi...

"ye ishq insan ko nikhaar bhe skta ha or brbaad bhe krskta ha ub ye humari mrzi ha k hum nijaat or brbaadi main se kisko chuntay hain ..ek insan jb ishq k kunwe main gir jye tou gehrai main khazana dhunde na k doub k mar janay k khof se bs terta rhy "usny bat khtm kr k phirsse ek pur aetemad nigah erum pr dali kch der bri nirmal choti nirmal ki ankhon main jhankti rhi dono ankhon ne khud se ahed kia ub nhi haarna ub ni tamasha bnna....

"Erum ..tum koi job kion nhi krti mahol main chaye sakoot ko nirmal ne kursi se taik lgaty huy tora ..."

"kia job?..nirmal aap tou janti haiin private B.A pas ko kon job deta ha or shehar mujhe koi jany nhi de ga aaj bhe kitnay papar bail k ai hun apky pas bs mera Allah janta ha ..."usny afsurdgi se sar jhtka..

"Tum gaon main he job krskti ho...tum tuition prha skti ho tm silai kr skti ho or silai sikha kr bhe amdni ka zariya bna skti ho ..meri jan ye wasail na hony k bahany na insan ko zehni mazoor bna dete hain khud ko tasaliyan dene ki hadd tk ye bahany kafi hain mgr ruh ki tasali tou srf or srf amal kr k he hoti ha maqsad dhund kr hoti ha erum tumne kbhe apna maqsad dhunda? .."nirmal ne ruk kr erum ko gehri nzr se dekha
"...m..mqsa..mqsad?...mera mqsad kia ha?...nhi"..erum jo honq bni bethi thi fouran sar nafi main hila kr boli....jispy nirmal ne gehra sans lia...

"tou bnao erum ub bnao yehi wqt ha nikhr k sona bnne ka kismat ki kaya palat dene ka apny apko prove krne ka.. main bhe tumhari trah hun erum aam c lrki lkin aaj jo main iss alishan office ma shan se bethi hun tou ye sb Allah pr or khud pr yaqeen ki badolat ha main har qdam tmhare sath rahungi kion k tm main muje apna aks dikhai deta ha tum main mujhe apna aap dikhta ha mera bhe khuwab tha k kch kr jaon kch aisa k mujhe ksi mard ki zarorat na pre kch aisa k mere bap ko mujh pr fakhr ho tou dekho erum phir jb maine uraan bhrnay ka socha tou har majboori har tasali or har bahany ko chor kr asmaan ki bulandion ko chunay ki umang le kr main uri mujhe kalay badlon ka khof na rha kion k meri uraan main josh tha ...
agr humari girft apny iradon pr mazboot ho tou humain Allah ki maslihat k elawa koi chez nhi rok skti ....."...ub ki bar erum rou nhi rhi thi lkin uski ankhon main aik josh ki lehar usay dikhi thi....nirmal ne sukoon ka sans bhahar kia...

"main aap se, apny aap se ye wada krti hun nirmal k ub dubara jb aap se milungi tou apki trah nidar or maZboot orat bn kr milungi main apna loha mnwaongi main apni majboorion ko agay na brh panay ka bahana nhi bnaongi......Allah hafiz Nirmal sheikh ....."erum ka lehja mazboot tha chnd baton se ksi ki himmat brhany se hosla afzai krne se ksi ki tamam zindagi pr aap kitna gehra asar chorte hain aap ko andaza bhe nhi hota apki wja se jb koi sukoon ka sans bhrta ha jb koi khul k hasta ha jb koi apna aap pehchanta ha tou kitna acha lgta ha or salamat rhen aise log jo hosla afzai krny main peechy nhi rehty salamat rhen aise log.....

uska imtihan abhe khtm nhi hua tha usay abhe aima ko bhe smjhana tha jo kafi din se aliyan ko khou dene k dukh main depression ka shikar thi... wo apnon ko yun ishq ki andhi khaai main gir kr khtm hota nhi dekh skti thi erum jb kmry se chli gai tou nirmal ne kanpati masal kr phirse kursi se taik lga li.....
************************************
Andheri raat taiz hawain sunsaan weraaan rastay or baloch house .........

Wo kharaty bhar rha tha pur sukoon neend ki wadion main bhtka bhtka chl rha tha...Wo karwat pr karwat badl rhi thi *Han han mohid k paida hony se qabl ma jb iss ghr ma tanha hoti thi tou aksar mujhe mehsoos hota k koi mujhe dekh rha ha musalsal khirki se koi jhaank rha ha or ma ayat tul kursi ka wird krti rehti...* .apni sas k alfaz usky zehn main ghoom rhy thy achanak uski nzr samny khrki pr pri jispr se parda halka sa sirka hua tha or usny dekha aik chota sa hewla poudon k ird gird mandla rha ha jiski ankhon se sabz rung ki shuain nikl rhi hain or wo bht bht bht khofnaak tha khof se mishkat kanpny lgi phati hui khofzada ankhon se apny dain janib paray behosh se mohid ko dekha wo mun khol ke mzy se kharaty le rha tha or phir achanak aik zor dar hawa ka jhonka aya or hewla aa kr khirki se takraya or mishkat ne PURa gala phaar kr cheeekh mariii....aaaaaaaAA ...mohid ko lga jese asmaan usky sar pr a gira ho wo tou khuwab main lamborgini chla rha tha usay kia pta tha lamborgini main bethny se pehly he asmaan usky sar pr agirega......accident accident hogya...aaaa qayamat kia hua?...wo harbara kr utha or jhtaky se mishkat ko pakra jo aise but bni bethi thi jese ksi ne koi jadui mantar uspy phonk dia ho usny darty huy usky gal pr halka sa thapr lgaya tou mishkat hili or khoon khaar nzron se uski ankhon main dekha..*. kkkk...kia hua kia hogya tmko kion itni rat ko riyaaz kr rhi ho..."mohid iss halat ma bhe baaz na aya tha
main koi riyaaz nhi kr rhi wahan koi ha mohid wahan koi ha ma ne usay dekha ha wo safaid rung ka chota sa hewla tha uski ankhon se sabz rung ki shuain phoot rhi thein or phir wo hawa k zor pr humari khrki se aa lga mohid tmhare ghr main jinnat hain...usny rotay huy ungli se khrki ki trf ishara kr k sari abeeti mohid ko sunai...
"Jinnat ka saya tou waqaie ha"..mohid pursooch andaz main zer e lab barabaraaya toi mishkat ne dant pees kr mohid ki trf dekha . ...*o yar tum ruko main zra dekh kr ata hun bahar aksar rosy ghoom rhi hoti ha...*mohid kehta hua uth khra hua tou mishkat ka para mazeed xharh gya...*kiaaaaa ...kon rosy kon ha ye rosay ?..or iss wqt kia kr rhi ha bahar...or uski iss bat pr mohid ka mun herat se khul gya
*La haul wala quat ..rosy humari billi ka naam ha..khuda ka naam lo mishkat bibi or sou jao..ma dekh kr ata hun konsa sabz rungi ankhon wala alien utra ha aaj baloch house k lawn main...huh...wo pair patakhta bahar chla gya tou mishkat bhe jump mar kr usky peechy bhagi....
************"*"""*******************
ksi thaky huy kisaan ki banjar zameen c ha ye zeest meri
ksi dam tortay huy ki sada c ha ye zeest meri.....

andhere ujalay ....kbhe deeb jalaye kbhe khud he bujha diye aisi he tou guzrti rhi thi zindagi kahan zarori ha k mazboot insan hamesha he mazboot rhy kbhe kbhe wo kamxor bhe pr jata ha tb usay ksi apny ki yad satati ha ...

wo gum sum study table k gird rolling chair pr taik lgye bethi thi nighain hanooz ceiling pr jamaye...bht din hgye thay aima ko dekhy huy usse bat kiye huy ..wo soch rhi thi akhir aisa kia kre k aima ko depression se bahar lay aye call kre tou phone wo nhi uthati usky ghr jana bhe munasib nhi wo uski nhi sunegi ...wo tou insan thi wo srf usay smjha skti thi apni misal de kr ..aima ne tou uska mazi jaan lia tha phir wo usky mazi se he sbq seekhy lkin nhi,wo chonk kr uthi nafi main sar hilati ,hum sab k halat mukhtalif hty hain han wo ghalat soch rhi thi ,wo aima ko judge kr rhi thi jb k wo is bat se bakhubi wakif thi k jzbat ma akar insan kch bhe sochny smjhny se kasir hjata ha phir kia misalen kia daleelain sab kissay kahanian or kitabi batain lgti hain
wo aima ko judge nhi kregi wo ksi ko bhe judge nhi kregi usny khud ko sarzish ki ..main aima ko bilkul wese he sambhalongi jese saman ne mujhe sambhala tha wo num ankhon se muskurai or "Saman islam i miss you"usny sargoshi ki table se mbil uthaya or saman ko call milany lgi.....

***********************************
Asalam o alikum piyari dost...

hal tmhara janti hun isilye ye khat tmhe likh rhi hun tumse milny ai thi pr tm sou rhi thi aunty ne btaya tum kafi din baad itny sukoon se soi ho isilye tmhe uthana munasib nhi smjha phone bhe nhi uthati ho office se bhe ghyb ho na he ksi msg ka reply deti ho ....islye bht sochny k baad mere zehhn ma bs yehi ek trkeeb ai k main tm tk apni sari batain khat k zariye phncha dun....

Aima zindagi bht choti ha agr isay aik he insan k lye wakf krdengy tou humain jo Allah ne itny piyare rishton se nawaza ha unka kia bnega ?aik lmhe ko socho agr kbhe tumhari behn aliza aik konay se lg kr beth jye na thik se khaye na piye na ksi se bat kre na apni doston se milay julay dunia se bilkul cut k reh jye tou tm pr kia guxregi ?kia tm ye rawaiya apny lye brdasht krlogi kia tmhara dil nhi tarpe ga ?kia tmhe dukh nhi hoga?Apnay ird gird dekho Allah ne tumse aik shkhs ly lia ha mgr tmhare aas paas kitny log hain kitny pak khoobsurat rishty hain.Zindagi hazaron mawaqay lye tmhare agy khri ha tum aik kabil wakeel ho tum aik farmanbardar beti ho tm aik khoobsurat dil rkhny wali behn or hamdard dost ho jiski kami mujje bay intiha mehsoos hoti ha mera dil keh rha ha k tm mera ye khatt prh kr khhd mujhse milny aogi bilkul pehly ki trah tumhari iss saheli ko tumhari bht yad arhi ha .....Mera maan mat torna aima ..Choti nirmal mat bnna...:)

tumhari dost
Nirmal Sheikh.....

usny jaan boujh kr mukhtasir bat ki wo ub mukhtasir mgr pur asar pr yaqeen rkhti thi depression k mareez ko agr kahanian prhny ko di jyn tou wo ukta jata ha usay iss halat ma piyar muhabat ki ashad zarorat hti ha isilyw nirmal office se wapisi pr bilanagha chocs or guldasty aima k ghr bhijwati rehti thi or har guldasty k sath aik nai chit lgi hoti jese k pehly din usny chit pr bs aik :)wala emoji bna kr bheja tha phir aglay din "i love u dost "likh kr phir teesry din "Tumhari bak bak bht yad arahi ha"
or aaj chothy din usny dher sari chocs guldasta or snacks k sath ye khatt bhe bheja tha ....inn sab chezon ka mQsad aima ko ye ehsas dilana tha k wo ahem ha bht ahem or bht khaas or pta nhi kion aaj nirmal ko yaqeen tha k aima ub behtr mehsoos kregi or usse milny ayegi ya phr usky khatt ka jawab degi.....
************************************

Baloch house main khano ki ishtia angez khushbo har trf pheli hui thi ghr k tamam afraad or mehman dining table pe mzedar khanay ka mza lutny main mast thay sath sath khushgappian bhe jari thein saima begum Or saba begum asif baloch or minar ahmed mohid khalid or asim jb k mishkat nadia apas main lgi hui thein or guria haris chikn steak k sath khelny main masroof thay ....
"tou phir lrkon kia tay paya ha ..."asif baloch ne gala khangar kr mohid or minar se pucha ...

"bs main mani k sath ja rha hun
aap or mama apni bahu ka khayal rkhiye ga mujhe bhe kam ha kch or minar ko bhe kch din company mil jygi". wo steak ka tukra chabaty huy mzy se apny plans sabko suna rha tha jahan baqi sab k chehron pr aik muskaan chaa gai wahin mishkat ne mohid ko ek ghuuri se nawaza tha jispy wo pheeka sa muskuraya tha...
"chlo thik ha lkin aik shart pr hum tumhain jane dengy wapis akar tm humari bahu ko kahein ghumany ly jaogy smjhy..."asif baloch ne usay tanbeeh ki or napkin se mun ponchny lgy...
"Hehehe G zaroor "baray he bhonday andaaz main hans kr usny mishkat ko mani khez nxron se dekha...or iss bar mishkat ne mun he mun main usay khoob sunai thein ....

or uss khushaal gharnay main bethy ksi bhe shkhs ko iss bat ka ilm nhi tha k unky opar bht jald qayamat anay wali ha.........
************************************
"kahan ja rhi ho bibi"aik jani pehchani c awaz uski samaton se takrai tou wo chonki ruki phir muri or cheekhi.."Aimiiiiiiiiiii"..."I love you Nirmal sheikh".."I love you too Aima zulfiqar ""or dono doston ne aik dusre ko galay lga lia "yaqeenn nhi araha"nirmal ne usay khud se alag krty huy num ankhon se uska sarapa dekha "kia yaqeen nhi araha "aima ne masnoi ghusse se nak chrhai "mar nhi gai thi main bas thra sa rest le rhi thi office se"usny apny azli andaz se zulfon ko jhtka dekr kaha tha or uspy wo dono bay sakhta hns prien ..."Aima zulfiqar is back "nirmal ne chutki baja kr nara lagaya....tou nirmal sheikh ka idea waqaie kam ka nikla uski dost pr usky chotay chotay taheef or muhabbat bhry ehssas ka asar hua tha jo wazeh tha ....usny dil he dil main Allah ka shukr ada kia or nighaon se apni dost ki nazar utarti rhi...
************************************
"mohid..."usny randhi hui awaaz main usay pukara ...
wo palta tou uska surkh chehra dekh kr thatka...."Kia hua ha mishkat rou kion rhi ho..."..wo uska ghussa seh skta tha pr uski ankhon main ansoo nhi dekh skta tha..

"kia hua ha mishkat mujhe btao tou sahi kion itna rou rhi ho...."wo ub usky kareeb aa khara tha ...
"tu...tum ja rhy ho...mera dil pta nhi kion udas hrha ha bhai ko bolo wapis ajyn mujhse phirse mil k jyn....".usny rotay huy usky seenay pr sar rkh dia mohid pareshan hgya tha mishkat hassas thi mgr ye pehli dfa tha k wo iss trah rou rhi thi awaaz k sath bay panah ansoun k sath..."..Im sorry main jaldi ajaonga mujhe kam na hoty tou tmhe yun chor k naa jata "uskay baal sehlaty huy wo tasuf se keh rha tha ..

"Ha kia asar tere piyar bharay lehjon main
dou bol muhabbat k phir mujhe khud se baygana kr gye...."

"tum bht buray ho mohid"usny sar utha kr shikayati nzron se usay dekha...
"Han main bht bura hun mishkat "usny muskura kr uski peshani chumi

"hato jao yahan se ub"mishkat usay halka sa dhaka de kr khud se alag kia
jispy wo bay sakhta hansa.

"Acha aik bat tou btati jao...phir chla jaonga. ."mohid ko sharart sujhi wo jany se pehly uska piyara sa ghussa dekhna chahta tha

"kia ha"mishkat ne masnoi bezari se kaha...ispy wo jo usse dou qadm dur khara tha muskurata hua usky kareeb agya usky hathon ko thaam kr uski ankhon main jhank kr....

"Yar bura mat manana pr tum tou janti ho k humare mulk main pani ki kitni kmi ha hakumat ko dam bnany pr rhy hain awaam sakht pareshan ha ........."...."tou ..tou ma kia krn..."mishkat ne na smjhi se ankhain sukair kr usay dekha jo itmenan se bolta ja rha tha...
"Tou main keh rha tha k meri bv ki ankhon main itna sara pani ha k agr main isay jama krlun tou yar mere mulk ma se aik bht ahem chez ki kmi khtm hojyegi...."or ub wo uska chehra dekh dekh kr hans rha tha
"tu...tum na aisa kro..."wo dant peeste huy muri bed pr se uska bag uthaya phir almari kholi uski jacket nikali or mun pr de marnay waly andaaz main phenki jisko mohid ne kehky lgaty huy catch kia ....phir usko bag thamaya ghusse bhri piyari piyari ghuurion se nawaza hath pkr kr darwaze se bahar krdia jb k wo musalsal hans rha tha uski laal surkh hti naak pr aik chutki kaati xbrdsti uski peshani chumi or wahan se rafu chakr hgya wo kb tk usay jata dekhti rhi jb wo chla gya tou halka sa muskurai...phir hansny lgi ...ub wo hasny ronay ki mili juli kafiyat se dochar hgai ....wo aisa he tha munfarid ajeeb piyar krne wala muhabbat k naam pr dil nikal k de dene wala hifazat krny wala khushian bikhernay wala....
************************************

"Adatan ha mukhlisi mere khoon main shamil
ye ek shay jo na hoti mere andar tou main hevaan hota"

mahol main chaya sakoot iss bat ki gawahi de rha tha k wahan koi khamosh sazish jari ha razaq akbar or unky teen sathi aaj aik maheene baad amnay samnay bethy thay sardi bhe lout ai thi or utni he talkh thi jitny wahan jalti aag k gird daira bna kr bethy panch logon k irady thy....

"Jumay ki shab hogi wo log sath hongy usi din dono beth kr company k khatay kholty hain tou kion na usi din unka kissa tamam kia jaye..."...razaq ne hukkay ka kash lga kr khamoshi ko tora...
"kch bhe ho waar main krunga "akbar ne dant pees kr muthi bhenchi ....."aise aise uski gardan daboch dalny ko dil krta ha mera"shair dhara...."hosla rkh humne usay tarpana ha....itna tarpana hha k moat ko tarse pr moat na aye usay..."razaq ne uska ghusse main chlta bazu tham kr uska ghussa thunda krny ki koshish ki....

"Tum logon ko yaqeen ha k saith k kaan bharay gye hain"police officer mateen ne cigrete ka dhuwan hawa k hawaly krty huy kaha tou raazaq bharak utha....
"kia matlb ha tujhe hum jhooty lgty hain..awein qatal ka mansuba bna rhy hain pagal hain hum..usi k kartoot hain kitni izat thi humari iss company ma or ub dekh..."usny samny pri kursi ko ghusse main laat mari jisay sabiq police officer jahnzaib ne jhtky se pkr lia..."ruk yar tm log apas ma he lar lar k waqt zaya krdete ho...paglon aetefak se kam lo ...ub btao agay kia krna ha ..sniper ka intizam hojyega or agay wardat k baad raaz chupany or ilzam tarashi krny ka bhe pura plan bna k aya hun aaj ....bs tm logo se guzarish ha k apni apni fazul bakwas bnd rkhna..."jahnzaib ne minto ma masla hal krdia tha..."abay tou tu itni der se chup kion tha..."..daniyal gharaya ..
"Sun rha tha tm log k Aala plans...."wo tamskharana hansa ....jispy daniyal ne lab bhenxh kr aik mukka usky mun k kareeb kia he tha k jahnzaib ne usay rok lia...jb k akbar razaq yahan khamosh tamashhi bny bezari se rukh pr rukh badlty rhy ....
"Ub chup kr k suno .....Jumay ki rat he hoga sab.........."jahnzaib ne sargoshi ki tou sab sirak kr usky k kareeb hgye...

"moat pr meri tera rona mamnoh hoga k
mere baad dukh ki tamam rasmain tamam shud ......"
*************************"********

"mama jani aap rou rhi hain main itna khush hun or aap rou rhi haiin"usny nrmi se kehty huy maa k ansoo ponchay ...
"kia krun mere bchy maa hun na duaon ko pura hoty dekh rhi hun tou khushi se bs raha nhi ja rha dill bar bar bhar ata ha jee krta ha Allah k agay shukr k sajday main jhuki rahun k kahein mujhse koi na shukri nhi hojye .....or agr ye khuwab ha tou kahein meri ankhain khul na jyn..."saima ne sar minar k kandhay pr rkhty huy kaha....
"ismy koi shak nhi maa k ye sab apki duaon ki waja se "minar ne bazu unky gird hayl kr lye....
"maa jani mohid bahar intizar kr rha ha"minar ki awaaz pr saima ne ankhain kholin sar utha kr usay gehri nzr se dekha phir muskura kr kaha..."Allah ki amaan ma raho jahan bhe raho..."...wo lmha aisa kion tha jese duriyon ki aik lmbi dor ub unky darmian ajyegi jo mazboot hogi bht mazbooot itni k ksi ko tooot kr isay torna hoga........
************************************

"udaas ho..."ksi ne usky kandhy pr hhath rkha tou wo sochon ki dunia se bahar ai..."

"na.nhi tou ...."khud ko compose krny ki nakam koshish ma wo aik bar phrse pkri gai thi...

"kia hua ha .."aima kursi dhakail kr usky samny beth gai...

"kxh nhi yar kam ki takan ha bs"usny bezari se rukh badla..or koi kitab khol li

"Aaj 18 january ha "mishkat ki salgira"...."..aik mani khez muskaan k sath wo boli ...
aik zor dar jhtka nirmal ko lga ..."oh wo kis se khud ko chupa rha thi aima se?...wo tou sab janti thi sab kch...."

"han ha tou .."nirmal ne laprwahi se kandhay uchakye..

"tou ye k mera andazA ghalat tha k tm ub mazi se bikull bahar achuki ho...
haqeqat tou ye ha k wo aaj bhe tmhe yad ha...haina nirmal.."jany kia thaan kr bethi thi wo lehja tursh tha or baton se gilay or shiikwe kii buu ati thi...

"Aima..kion iss mouzu ko discuss kr rhi ho ma waqqie kam ki takan ki wja se aise bethi thi ..."usny ukta kr kaha tha

"bs krdou nirmal kb tk apny apko chupao gi mujhse agr tmhe mere dil ki batain prh lena ati hain tou muje bhe tmhari sab batain tmgare sare raaz pta chl jatay hain "aima ne darashti se uski bat kati thi

"dukkh ha is bat ka k tm kbhe bhe apny ehsas mujhse share nhi krti ho...kbhe bhe sahi jawab nhi deti ho tmne mujhe diary bhe tb di jb maiin ..main tmhare lye kch bhe nhi krskti thi....bs tmhe rota siskta dekhti rhi... tm janti ho agr tm bht pehly mujhe aetebar ma le leti tou ma bhe tmhe aliyan or apny baray ma sari tafseel bht pwhly bta deti tou shyd tm mujje iss aziat se bcha lti jo ub ma utati hun...ma hamesha sochti rhi k tmhe btaon pr tmhe yun dekh kr ma peechy hjati thi aisa lgta tha jese tmhe mujh pr aetebar nhi ha or yehi soch mujhe majboor krti gai or ma tmse har bat chupati gai....Apny tajurbay se he smjja deti mujhe mere lye sabaq hota tmharw mazi ma kbhe bhe aliyan pr bharosa ns krti ..."aima ne afsos se sar jhtka....
"Sochti hogi tm k main kitni khudgharz hun mgr kia tmne kbhe socha nirmal mujse sab kch chupa kr tmne kitni khudgharzi ka muzahira kia..."wo istehzaiya muskrai...
nirmal bs num ankhon main nidamat lye usay dekhti rhi aima uski ankhon ko prh chuki thi pr mouzu ko bdlna nhi chahti usny phir dheemay lehje main pucha....ta k dekh skay ub wo kia kehti ha...

"Wo tumhe ub bhe yad ati ha Nirmal?."..Kitaab ka warq palat ta nirmal ka hath achanak ruk gya...Wo num ankhon se muskuradi..."Bht"..
"Tou phir tum usse rabta kion nhi krti ..atleast uski social sites he se dekhlo..."Aima ki sawalia nzrain bs ub nirmal ki trf thein jiski nighain kitab ki trf jhuki huien thein or hath main abhe tk kitab ka wohi warq tha usny palta nhi tha ....
"Mujhe dar lgta ha aima...."..Nirmal k lehje main pehli dfa ksi yad ki awaz thi...sada ki udaasi thi...jo Aima ne bhe shidat se mehsoos ki thi...
"Kis chez ka dar?..wo tumhari dost ha...usse rabta krne main kia khof ?..Isse kam se kam tumhare dil ka ye boujh tou halka hoga na k wo khush ha thik ha hoskta ha Nirmal mishkat ko bhe tumhara intizar ho....
"intizar?...Mishkat ko bhe mera intizar hoga?..10 saal hogye Aima na usy meri khbr ha na mujhe uski..hum ajnabee hain ek dujhy k lye yun jese kbhe mily nhi thy...nai manzilon pr phnch k ye dunia waly purany raston ko bhool jaty hain..kon ksi ko barsun baad bhe yad rkhta ha?kon ksi ki awaz ki khanak sunne ko baychyn rehta ha ?kon ksi k palat k anay ka intixar krta ha Aima?"...Uski ankhon main nami thi ya phir ksi chehre ki parchai k aima ne bhe nirmal se nzrain chura lien thein...Sara manzar dhundla tha....
"Tum "....Tum krti ho yad usy barsun baad bhe tum rehti ho baychyn uski awaaz ki khanak sunne ko tum krti ho usky palat k anay ka intizar Tum Nirmal tum...Tumhe aaj bhe intizar ha Mishkat ka ....Hum chahe tumhare dil k kareeb hony k lye laakh koshishain krlen mgr us muqam tk ja nai skty jispy Tumne Mishkat ko rkha ha..Tum manti kion nhi thi?..aeteraf kion nhi krti thi?..Tumhe dar tha k main tumhe tana dungi k tumhary lye main ahem nhi hun asma ahem nhi ha or wo ..wo Saman ahem nhi thi,..?...Nhi Nirmal hum ub wo 15 16 saal ki bewakof lrkian nhi hain jo bat bat pr sahelion se larr prti hain...jealous hoti hain..ahemiat mangti hain...Phir kion nirmal kion tum humse itny arse tk ye takleef chupati rhi?..phir kion tumne kbhe ye nhi btaya k tumharay peechy yad ki parxhai ha blky nhi wo ruki .....yad nhi shyd yadon ki parchai ha. .or nirmal ko lga zameen phategi or wo andar dhans jyegi karb se ankhain mench lien wo uthi andhi tufaan ko trah kmry se bhr chli gai ..Nirmal wahin sakt bethi rhi usny kitab ka wark nhi paltaa tha paltaya gya he nhi tha wo smjhti thi k wo zindagi ko kitab main bht agay nikl ai ha lkin aaj aima ne usay ehsas dilaya tha k nhi wo aaj bhe usi wark pr ha usi jga usi dohraye pr khri ha........
************************************
"mujhe tera wo surkh sharmeela chehra yad ata ha
kbhe badal main chup jany wala chand yad ata ha
tera ziker hota ha jb kahein ksi mehfil main
tera balkha k hans jana yad ata ha
qasam kha kr kahun tou aetebar krogi kia?
wo jo dil main tumhe de chuka wo yad ata ha
kahein mulaqat krlo k jee baychyn hua jata ha
rat k andhere ko tera sawera yaad ata ha....

"happy birthday dear wife...
apka farmabardar handsome samjhdaar husband mohid ......:')

mishkat ne num ankhon se khoobsurat guldasty pr lgi chit pr mohid k likhy alfaz prhy phir gift box khola or uski ankhon main khooobsurat sonay k necklace ko dekh kr taray utar aye...."Oh mohid tum kb sudhroge ...."usny necklace pr nrmi se hath pherty huy sargoshi ki ..
"kbhe nhi sudhrunga...."...phir mohid ka jawab bhe usny khud dohraya.
wo hota tou wo bhe yehi kehta .
phir usny rukh mor kr side table se mbil uthaya or msg type krny lgi....
"I miss you mohid....."......
**********************************

28 january.....Youm e soug ..........

Razaq ne mani khez muskurahat k sath ye jumla kitab main qalambnd kia.....

"Mujhe tumhe tarpta hua dekh kr bht mza ayega "razaq ki bat pr akbar jahnzaib or mateen k kehky se fiza gounjh uthi..."oye daniyal kahan ha ,kam krdia usnyy...."akbar ko jese kch yad aya tha ..
"han hogya kam ub unn dono ki sari batain record hojyngi phir hum mouqa dhund kr teer chla dengy.."jahnzaib ne mashroob k glass se ghont bhrty huy kaha
"or han saman tayar ha "mateen ne phone kan se hata kr jahnzaib ki trf tafteeshi nzr dali
"han saman tou kb se tayar ha...or han koi zarorat nhi tm dono ko office se bhr niklny ki jis waqt woo dono bhr hon tum dono ka andar hona lazmi ha warna tm log aram se pakray jaogy...waar main or mateen krengy bs tm dono andar waly kam krna wardaat k wqt kam ma masrof rehna smjhy.."jahnzaib ne razaq or akbar ko tanbeeha ki...
"hmmmm"unn dono ne sar asbat ma hila dia......yani wo dono iss plan pr razi thay ..
************************************

usnay bike building k agayy kharai he thi k achanak mbil bjny ki awaaz ai usny call recieve krli or wahin khara hgya ..."G ...g ..ok main neechy he hun...g ma apka intizar kr rha hu .."ye keh kr usny phone bnd kia or bike k sath taik lga kr khara hgya..kch der baad saith ibraheem buildingg se bhr aty dikhai diye ...ub wo dono office k neechy he kharay thay shyd apas ma koi zarori bat kr rhy thay ...."sir aap ne mujhe opar anay se mna kion krdia.."minar ka lehja pur tajasus tha..
"mujje tmse bht zarori bat krni ha minar"saith sahab ki awaZ ma pareshani k asaar thay
"g pr yahan"...minar ko kch smjh nhi araha tha.............

wo log gari se utry or bhagty huy aik gaon k hadood ma dakhil hgye" jldi kro jldi kro..imarat k 100 meter k fasly pr kxh khali maidaan hain or unky aar paar jhariyan hain khardaar jhariyon k darmian ma or tu nishana bna kr bethengy ...or....aik bat kaan khol kr sunle mateen ."jahnzaib or mateen bhagty bhagty jb aik khulay maidaan tk phnchy tou jahnzaib ne usay rok kr dhamkaya ...
"nishana aisa hona chaiye k dono gootiyan hilen aik gir jye or aik larkhara jye ..."usky labon pr aik manikhez muskurahat thi .....mateen sar ko kham de kr tabedari se agay berhta gya ub wo log jhariyon k bht kareeb phnch chuky thay ....

"mujje yun lgta ha minar jese ...."saith ne kehty kehty baychyni se rukh badla

"jese?"...minar k mathay pr pareshani se bal pr rhy thy ..

"jese ...jese koi humara takub kr rha a musalsal hum pr nigah rkhy huy ha....mujhe aisa lg rha ha minar jese koi ahista ahista mere pairon taly se zameen khench rha ha.."usny saith k chehre per pehli dfa itna khof dekha tha
wo khud bhe ye sab sun kr haibat zada hogya tha
"aap..aap weham kr rhy hain sir aisa kch nhi ha..sab thik ha"minar apni trf se unhe tasali dene ki puri koshish kr rha tha
"mujhe lg rha ha na... minar tm kion nhi smjh rhy aisa kro company k saray employees ko abhe isi wqt meeting pr bulaoo mujhe sab se kch batain krni hain..."wo apni bat se tas se mas na huy....
minar bs rukh badal kr reh gya...

wo log phonk phonk kr qadam rkhty huy akhir kaar khaardaar jhariyon k ayn wast main jga bna kr beth gye....
jahnzaib ne mateen ko gun pakrwai mateen ne ek jhurjhuri le kr gun thaam li ....
"jhuk jao mateen jhuk jao..."jahnzaib ki taqeed pr wo aik gehra sans le kr jhuk gya

wo dou log wahin kharay thay safaid shalwar kameez main malboos wo shkhs siyah t shirt or jeans main malboos noujawan ko hath hila hila kr jese kxh smjha rha tha or noujawan bar bar nafi main sar hila rha tha....

mateen ne nishana taaka
aik dou teen..."click"trigger dabaya gaya....aik zannatay daar awaaz k sath wo hawa ka jhonka bn k ai or uski pusht main teer ki trah lgi.....khoon k chentay usky mun pr bhe aye thay.....

or kch lmhon k wakfy pe phirse trigger dabaya gya .....ub ki baar goli kamar k dain janib lgi thi....

"aik akhri khel..."....ruh qabz hui or jism bay jaan hokar zameen pr ja gira...

"aik akhri marhala..."...wo sakt tha bilkul sakt apnay agay paray bay jan jism ko ankhaon main haibat or khof liye dekh rha tha
aik akhri dukh..."...usny ye manzar apni zindagi ma dusri baar dekha tha.. .wo chehra neela par rha tha Khuda k neelay asmaan talay khuda ki zameen khuda k insan k lahu se surkh hrhi thi .. mbil usky hath se gira or usny karb se ankhain mench liien.. wo sarak pr ghutno k bal betha bayyaqeeni k alam ma uss bay jaan jism k paon jhinjoor rha tha ambulance ka syron police ki gari ka syron logon ka shor wo bhri dunia ma akela reh gya tha aaj aik bar phir se aik bar phir se usny ksi bht apnay ko khoya tha ........

or daimi khushi....

jahnzaib or mateen ne apny hatiyaar thikanay lgye or wahan se rafu chakar hogye ...office ki building k ird gird aik hujoom barpa tha ....Akbar ne razaq ko dekh kr mani khez muskurahat k sath ankhdabai or victory ka nishan bna kr dikhaya....

wo haspatal ki rahdaari main dono stretchers k peechy peechy chlty huy ja rhy thy unky peechy office k kch log bhe thay or aas pas k gaon main rehny waly dou teen kisaan bhe jo goli ki awaaz pr ghron se bhr nikk aye thy police ahlkaar jo karwaai kkrny ki ghrz se wahan moujood thy unmy se aik officer jahnxaib bhe tha usny karwai shru ki or unn chnf afraad ma se aik ko wo bht achi trah se pehchanta tha wo Abdul kareem tha jisko usny minar k khilaaf jhooti gawahi dene k lye raqam de rkhi thi ...usny usay aik gehri nzr se dekha or wo uska ishara smjh gya ub usay jhoot bolna tha wo apny hamrah apny bhateejy Ko bhe lay aya tha tou dou logon ne ye gawahi di k minar ne jharion ki trf ishara kia tha or wahan se ksi ne saith ko goli maari thi or wo office k kareeb aik imarat main bethy khana kha rhy thy jb unho ne ye sari waardat hoty dekhi......

************************************
Ye tou moujzon ki bat hoti ha chahat kahan bar bar hoti ha
kbhe iss paar tou kbhe uss paar nzr ko bss usi ki talaash hoti ha
koi dil ma utar jye ye bat bja ha apki
pr har shakhs ma kahan uss ek shkhs jesi bat hoti ha
Sadgi pr tou fana hun he mgr shokhi ki alag he bat hoti ha
Sou bhe jaon sannaton ma mgr khuwabon ma srf usi ki yad hoti ha
ye tou moujzon ki bat hoti ha chahat kahan bar bar hoti ha

"dil bht baychyn tha bht arse baad wo bht yad araha tha ..usnay khud ko kam main masroof rkhny ki koshish ki sochon ko bar bar jhtkti rhi..." ..shyd kch kahanian mukamal hony k lye wqti tor pr na mukamal rehti hain.."aima ki batain usky zehn ma bar bar ghumti or uska chehra dhundla dhundla usay dikhai deta. ..wohi andaaz mgr bht udaas "..wo jese ahista ahista uskt kareeb araha tha...pr pr...wajeeh chehre pe dukh ki dastaan ksi ne muhabat k qalam se likh di thi gol siyah ankhoon main nmi thi ..."main tumhe kbse dhund rha hun nirmal..mujhe awaaz dou...mujjhe tmhari zarorat ha. .phir ..phr jese wo dur hota gya usi trah jis trah wo kareeb hua tha nirml usky peechy deewana waar dour rhi thi...."rukooooo..ruk jao .....pl....plz...."apni he cheekkh ki awaaz se wo jaagi tou khud ko paseenay se tar paya ....
"Ya Allah wo kheriat se ho..."..labon se baysakhta bs yehi dua nikli ...usny bamushkil ansoo zabt kiye lab bhench kr wo phirse sonay k lye lait gai.....
**********************************"

usny ahista ahista ankhain kholin tou ceiling pr nzr gai wo apny aap ma nhi tha jism main harkat krne ki sakt baqi nhi rhi thi usny nzron ka zawaiya badla tou samny aik ashna sa chehra dikha pr aaj us chehray pr bht udaasi chahi thi uski surkh ankhon se ye bat wazeh th k wo bht der tk rota rha ha or shyd ub tk rou rha ha.. usny uski khuli ankhon ko dekha tou fouran uski trf brha...
"Mani...mani ..."wo khushgawar herat se kbhe minar ko pukarta kbhe uska hath thamny ki koshish krta tou kbhe drs ko awaaz lgata...
"Dr sahb mani ko hosh agya ha mere bhai ko hosh agya ha .."..mohid ki geeli geeli awaaz uski samaton se takrai tou wo hosh ki dunia main wapis lout aya ..or aglay he lmhe doctor uska muaina krny k lye agye ..
saith ki moat ka manzar uski ankhon k agay phirse ghoom gya ....kisny mara saith ko kion mara saith ko kia hua tha uffff...usny zehn pr zor dene ki koshish ki mgr uska zehn jese ksi andheri khai ka musafir bn chuka tha ....

"kia hua daar sahb kia hosh agya chokray ko"..police officer jahnzainb ne apny azli roup daar andaz ma pucha jispy mohid ne ghusseli nzr uspy dali "Kia masla ha aap logon k sath kion mere dost k peechy par gye hain dekh nhi sktay aap uski halat..."wo lab bhench kr kehta hua minar k lye juice lene k gharz se mura he tha k jahnzaib ki garajdaar awaaz pe mura ."oye sunn tery bhai k khilaf qatal ki FIR darj krai ha office walon ne humain puch guch krny de or ziada bap mat bn uska...."..mohid ko dhachka lga qadam sakt hogye phati ankhon main khoon utr aya tha....

"Qatal....mani...qat...".jism ma khoon jese jam gya tha uska chehra khof se safaid pr gya..
"Han G ...kkkkkk katal....saith ibraheem the boss ka qatal...."jahnzaib ne muchon ko tao dia or mazak urany waly andaaz mai hansa....mohid ghusse se uski janib brhany lga
pr usny muthi bhenchi or bht kch zabt kr k wahan se chla gya ...
"Minar Ahmed ne ye qatal nhi kia..."mohid ne khud ko tasali di or aik thundi sans bhr kr juice shop ki trf brh gya....
************************************
Mohid juice le kr wapis aya tou kmray ka darwza khula hua tha minar ko bed pr betha hua dekh kr police ahlkar minar se tafteesh krny ki gharz se dr se behas kr rhy thay ..
wo maray maray qadam utha kr kmray ma chla gya or darwza bnd krdia minar ne uspy aik gehri nzr dali ...."Mohid main ne Saith ko nhi mara..ye log kion mujh pr ilzam lga rhy hain main khud nhi janta kia hua tha goli kahan se ai thi saith ko kahan lgi thi mohid ma apny hosh ma nhi tha ..maine qatl nhi kia....."...wo minnat amez lehje ma bola tou mohid juice usay thamaty huy usky samny beth gya. ."...Meri dosti ma kahan kmi agai k tu mujhe yaqeen dila rha ha k tu ne qatl nhi kia...kiaa ma nhi janta mani k tu qatl nhi krskta..."?!.
usny shikwa kun nighaon se minar k thaky huy chehre ko dekty huy kaha...
"dar gya tha kahein tujhe khou na dun isilye khofzada hgya tha aik he tou bhai ha mera ulllo ka patha wo bhe galay ma fatoor dal k beth gya ha.."mohid ne masnoi ansoo ponchty huy kaha tou minar bay sakhta hansa..."Tujhse bara dramy baaz dunia ma nhi hoga" hasty hasty minar ki ankhon se pani nikl aya "han pr yahan iss kamry ma zaroor milega Minar ahmed..."police officer jahnzaib ki chingarti hui awaaz unly kano ma pri tou minar ka hasta hua chehra bujh gya mohid ne palat kr dekha or usky chehry ka rung urr gya...
"dr sahb abhe minar puri trah se thik nhi hua aap ne inhe kese andar anay dia"mohid k aetraz pr dr sahb ne baybasi se kandhy uchkaye ....
"qatil ko ..."...plz ...qatil nhi hun main...mulzim hun..or apna difaa krna ata ha mujhe..."minar ne dant pees kr jahnzaib ko khoon khaar nigha se dekha ...
"Oye nzrain neechy...yahan se tu nikla tou salakhon k peechy he jyega smjhy bchu tou zra Zameen pr tik ub tera koi taika nhi chlna yahan . .."jahnzaib ko bezati k ehsas ne mazeed bharka dia tha....
mohid ne ankh k ishary se minar ko chup rehny ka kaha usky baad police ne usay gher lia or tafteesh krny lgy.....
usky baad police ne minar ko tehweel ma le lia or usay kareebi thany ma le gye jahan se usay central jail shift krdya gya mohid minar ki bail  darkhuwast adalat tk nhi phnch ski kion k peer ko pehli peshi thi....
************************************

halat bigrty huy nzr aye tou usny mishkat saima ko sach btany ka faisla kia wo jo 2 3 din ka keh kr aya tha ub puray 7 din k baad bhe waps nhi ja ska tha ..."Asim tu bta de sabko kb tk chupaye ga...mani jail main ha ub ye mamla ghmbeer hota ja rha ha ye chupny wali bat nhi ha media ye bat phela dega saith ibraheem business icon tha uski moat ki khbr kb tk chupay gi ...."..mohid ki pareshan awaaz sun kr usny thunda sans bhara or bs "hmmm*"kr k phone rkh dia. .....
"kion ya Allah har dfa mani he kion..."usny asmaan ki trf num ankhon se dekha ...bchpan se le kr ub tk usny apny bhai ko pachtawon ki chakki main pistay huy dekha tha usky ghr main sab se ziada talkhi uskay baray bhai ne dekhi thi wo larty bhe bht thay pr aik dusre main unki jaan basti thi...
"agr mujhe pta hota k ye din bhe ayega tou main kbhe bhe mani ko wahan janay na deta main bitha k khilata usay ye sab meri waja se hua ha "phir ansoo rawani se behny lgy or wo asteen se apni ankhain ponchta rha......ub usay ghr jana tha sabko bahawalpur le kr jana tha...lkin wo unka samna kese krega wo unhe kese btaye ga...yehi tou imtihaan tha....

************************************

"maine kaha na maine qatal nhi kia nhi kia qatal maine main kion maruga saith ko meri kia dushmni thi unse..."uska lehja thoos tha

"bakwas bnd kr "aik zannaty dar thappar uski gaal pr para tou wo bukhla kr kursi se neexhy gir gya..
"Nhi mara ma ne nhi mara kaha na smjhty kion nhi ho tm log...."wo khud ko sambhalty huy chingara

"tu ne he marwaya ha usay tere bndon ne tu janta tha saith k sab raaz saith ki company k saray khatay tere pas thay tamam khas documents wegera wegera tere ikhtiyar ma tha k tu jb chahta usky khatay khol kr dekh skta tha tu lalchi hua or usay maar dia..."wo chaba chaba kr bolta gya or aik or thappar usay maar kr apni jga se utha aik mukka deewar pr maar kr shola baar nzr usky opar dali jo aik hath se apna gaal sehla rha tha "Main tujhe phansi k phanday tk phncha k rahunga......"Kahein dur bht dur bahawalpur or lahore k beech asmaan pr zor daar bijli chamki awwaaz itni tez thi k mishkat hil k reh gai saima ka hath thamay wo apny aap ko tasaliyan deti rhi lkin uski chathi hiss usay ksi bht bri unhone ka andesha phncha rhi thi....
wo zeher uglaty huy wahan se chla gya
minar ne khoonkhaar nzr uski pusht pr dali dant pees kr bht kch zabt kiye wo wapis kursi pe beth gya sakht thund main paseena tip tip usky bikheray huy balon se beh kr uss kakothri k kachy farsh pr gir rha tha wo sar jhukaye na jany kb tk khamosh betha rha .....

"Teri kmi bhe kamal rkhti ha
mujhe talkhion main shidat se mehsos hti ha
tera na hona bhe lazmi tha
mere ru baru bhe tu he hoti ha
mujhe iss kashmakash se aa nikal
k meri ruh ub kabz hoti ha
muje moat aa galay lganay ko ha
ati ha tou jald aa warna musafir ko der hoti ha
rat jo guzri ha tou hansi ati ha apny aap pe
mere nain dukhty hain dhoop se
or andheron main inmy nami chubhti ha
shikwa ha han tujhse shikayat ha
tu hokar samnay mere paas kion nhi hoti ha?......

*****************************

"Bhai kahan ha...."..zafar baloch k ghr k lounge ma dakhil hoty sath he mishkat ne nzr charon trf doura kr pucha tou mohid k galay ma glti akar ghyb hui...
"Aaa..mani ...mani ..ata hoga tm betho kch kha len aap log.."usny mishkat or saima ko bethny ka ishara kia itny ma asim bhe saman nikal ker lounge ma agya tha...
jb sab fresh hokar agye tou khana lg gya khanay ki mez pr bhe aik ajeeb c khamoshi chai thi saima ko jese bhook mehsoos he nhi hrhi mishkat ka dil anjany khof se dharak rha tha mohid usay bar bar dekhta usky pareshan chehre ki dastaan wo aaj bhe prh chuka tha nzr milti tou dheema sa muskura deta wo bhe jawaban zbrdsti muskurati
sham se rat hui tou mohid kmry ma aya mishkat usay dekh kr taza dam hogai ..
*Bhai agyw kahan hain...."mohid ne chehkti hui awaaz pr sar utha kr usay aik lmhe ko dekha aisi gehri nzr se k bas aik lmhe main mishkat smjh gai k kxh bhe thik nhi ha wo usay kch lmhon k lye yuktak dekhti gai. ..

"Mera bhai kahan ha mohid..."..mohid ko apny kandhon pr usky hathon ki girft mehsoos hui
"kahan ha mera bhaaaai.."phir lehja tursh hua
"btaoiooo na. .."phir un ankhon ne zabt khou dia...or usny minnat ki ....

"mere sath ao..."usny uska hath pkr kr usay bed pe bitha dia....
phir wo dheemay lehje main bolna shru hua.....mishkat k chehre pe aik rung a rha tha aik ja rha tha tou mishkat or saima ko jhot bola gya tha k minar ki promotion party ha lkin minar tou .......

jb wo chup hua tou mishkat ka chehra ansooun se tar tha wo nidhaal lg rhi thi bilkl bay haal bay yaqeeni k alam ma ankhain bas sakt thein..Usney apne bahri hote sar ko sambhala or ahista se bed se taik laga ke ankhee mond lien. Jesy zabt ki intaha pe ho...k achanak ksi chez k tootny ki awaaz ai mohid ne chonk kr darwaze ki janib dekha or ksi ki dabi dabi cheekh ki awaaz sun kr wo jldi se darwaze ki janib brha saima deewar ka sahara lete huy larkharaty qadmon k sath apny kmry ki trf ja rhi thein or shyd sadmay ki waja se kanch k vase bhe takra gaen thein...Usny apni zindagi ma isse pehly kbhe bhe aisa drd mehsoss nhi kia tha wo saima ko sambhlny ki ghrz se bhaga ...ksi k haton ne unky kanpty huy wajood ko sahara dia tou wo murin....
"mera bcha...mera beta ......"...Saima usse lipat gaen ...or mohid ka zabt jawab de gya.....kmry ma mishkat ka wajood tez bukhar main tap rha tha
************************************

"koi saboot nhi ha inky pas ye log kch nhi krskty ...".thos lehje maiin kehty huy usny rokh badla...
"
"tou phir minar ub tk andar kion ha...kb inki tafteesh khtm hogi akhir ye log itny din se kr kia rhy hain....mere masoon bhai ko aziat phncha rhy hain"asim ne lab bhench kr muthi samnay pri maiz pr mari

"humain sabr se kam lena ha asim...humare kandhon pr bhari zimedarian hain ...mujhe lgta ha minar k khilaaf ye sab sazish k tehat hrha ha koi ha jo minar se hasad krta ha kion k ye sab ...han ..ye sab usky promotion k baad he kion hua...kion...usky he promotion k baad saith ko goli lgi...."...mohid ki ankhon main aik chamak umad ai thi ...jese zehn pe giray pardy ub koi hata rha tha....."minar se puchna prega...kia uski ksi se kisi kism ki dushmni ya larai thi...."....usny jhuk kr asim ki ankhon main dekh kr purjosh andaz main kaha....or asim ne pursoch andaaz main sar asbaat ma hila dia....

***********************************

"nhi kia maine qatal nhi mara ma ne .nhi mara ma ne ...nhi....."jail ki rah dari main uski karb naak awaaz gunjh rhi thi mateen uspy tashadud kr rha tha wo chah kr bhe khud ko bcha nhi skta tha ye aziat thi jo usky naseeb main likh di gai thi or ub ye usay sehni thi usky jism pr jga jga neel pr gye thay honton k kono pr bhe neel k nishan numaya thay ..Gol ankhon main har dam ghusse se khoon utra rehta uski jismat kamzokr hti ja rhi thi wo kch din se under police remand tha pr usky mun se har dfa bas yehi alfaz niklty..."ma ne qatal nhi kia ma ne nhi mara....."kch or bolna tou jese wo bhul chuka tha....saima or mishkat se uski halat dekhi na jati wo khamoshi se atin usay dekh kr chli jatin na kch kxh kehtin na wo kch bolta....

sach ha k kbhe kbhe jeene ki tamana khtm hojati ha insan k chaaron trf srf mayoosi chaa jati ha wo phir andheron ki gehrai main chla jata ha itni gehrai main k usay apni zat tk bhul jati ha wo bhe zindagi k andheron ki gehrai main phnxh gya tha k ub kal kothri ki cheekhti hui deewarain officer mateen ka tashadud or zakhmon se rasta hua khoon bhe usay frk nhi phnchaty thy ....

".Tere ishq ka qaidi aaj apny anjaam ko pohncha
teri fikr ma ghayal apny hosh ha khou betha
tere zikr ka shedai ksi yad ma ha khoya
tujhe chor k jany wala tujhse juda ho k khoob roya.......

**********************************
"hum mayoos nhi hain mani..tou kia hua agr case court tk ja rha ha....acha ha sach or jhoot samny ajyega tera khoya hua muqaam tujhe wapis mil jyega ......"mohid ne minar se ziada khud ko tasali dete huy kaha ...

"Mujhe koi malal nhi mohid..."wo jiski mohid ki trf pusht thi mura or afsurdgi se muskuraya ...mohid ne na smjhi se usy dekha...wo kafi pursukoon lg rha tha...

"main janta tha wo mere lye mukhlis nhi hain...ma janta tha wo mujhse hasad krty hain...mere lye jaal bichaengy mujhe neecha dikhaingy..mgr ...mgr mujhe "awaaz larkharai ..mohid taik chor kr seedha hokar betha ....".....mgr mujhe andaza nhi tha k wo saith ko maar kr mujhse badla lengy ....main ub tk nhi janta k asal mujrim kon ha mgr kal rat sochty sochty rotay rotay ankh lg gai tou khuwab ma aya wo dou chehre nzr aye or wo akbar or razzaq thay ....mohid ka mun hairat se khul gya wo bigre tasurat k sath kursi se uth khra hua ......."aik min meri bat mukamal hony dou mohd...."minar ne hath k ishary se usay chup rehny ka kaha.....or phirse bolny lga
"mujhe mere sawalon ka jawab mil gya ha maine iss bary ma bht socha k kia ye sab unn dono ki chaal hoskti ha lkin hamesha iss khayal ko jhtk deta k kion kisi bhe saboot k beghr unpy ilzam lgaon kion tm sab ko ye btaon mgr kal rat iss khuwab k baad mera dil ye gawahi deta ha k saith k qatl ma inn dono ka hath ha ....ub ye tm pr or asim pr ha tm log kch bhe kro or saith k qatilon ko unky anjaam tk phnchao....mujhe apni azadi se ziada saith k qatilon ko unky anjaam tk phnchany ki fikr ha ...mohid mujhse wada kr ..usny num ankhon se apmy samnt kharay herat zada mohid ki trf dekha ... ..wada kr k tu unhe unky anjaam tk phnchaye ga.....

"hum wada krty hain mani....."itny ma asim ki awaaz kmry ma gunjhi. ..

wo dono uski janib brhy or usny apni bahain khol dien...
bhai se galay lgty he asim k dil ne sara ghubaar bhr nikal dene ki xidd ki or wo zar o kataar rou dia....
"bht bara kamina ha tu...rula dia mohid baloch ko bhe...."mohid ki randhi hui awaaz bhe uski samaton se takrai tou wo rotay rotay hansa...
"mujhe nhi pta tha k shaitaan bhe rota ha ..."....or uski bat pr wo dono bay sakhta hansny lgy...

Mishkat or saima ub bahawalpur main he flat main rehny lgi thein jo aasim or mohid ne rent pr lia tha asim apny office nadia or bchon ki waja se bahawalpur ata jata rehta tha .. jb k mohid minar ki waja se bahawalpur ma he reh rha tha asif baloch ne bhe usky sath zbrdsti nhi ki thi wo janty thay uska dost usky lye kitna ahem ha ...
********************************
Wo kharaman kharaman chlty huy gate k andr dakhil hua usky samny aik waseeh o areez imarat khri thi jisky opar likha tha ....Advocate Qasim jahngir firm..Usny aik sarsari nigah us nam pr dali or phirse nzron ka rukh samny sheeshay k darwazy ki janib krdia ....Wo rah dari abor kr k dain janib mur gya jahan pr secretry se usny apna taruf krwaya or phir seerhhion ki trf brh gya ...

"Advocate Qasim jahngir se milna tha...usny samny khri hijab main lipti aik khush ikhlak lrki ki trf dekhty huy kaha..

"Sure aiye main unki firm main most senior advocate hun...I am Nirmal sheikh...."usny muskuraty huy aik kamray ka darwaza khola....tou andar mez ki dusri janib aik shkhs files k dhairon dhair prakh rha tha darwaza khulny ki awaaz pe unho ne ainak k opar se jhank kr dekha tou muskurae ..or yahan usay Asif baloch ki shidat se yad ai thi ....
"Aiye aiye...Ao mere bete......."qasim jahngir Apny behtreen dost k bete k istiqBal main apni jga se kharay hgye thy nirmal khamoshi se ye saray khushgawar manzair dekh rhi thi mohid jb firm ma aya tha tou bht sehma hua tha pta nhi bahawalpur k mashoor tareen or kamiab tareen wakeel or usky bap k bchpan k dost usko pehchan bhe paingy ya nhi ...lkin asif baloch ki bat maan kr or minar ki khatir wo office anay pr razamand hgya tha ..or ub iss lmhe usay apny kiye huy faisle pr bilkul bhe malal nhi hrha tha....usny khushgawar mahool main qasim jahngir ko case ki tafseelat se agha kia....iss puray douraniye main advocate sahb khamoshi se uss lrky ki batain sunty rhy jo apny dost ki pareshani main shyd hasna tk bhul chuka tha .......
akhir main bas Sar asbat main hila kr unho ne case lene ki hami bhar li...mohid ki ankhain num dekh kr advocate qasim jahngir ne uska kandha thaptapaya....
"Brave men never cry they fight....."..unki garajdaar awaaz or baroup pr pur khuloos shkhsiat ne mohid baloch ko bht mutasir kia tha.....
wapisi pr usi mehrbaan lrki ne usay gate tk chora tha..wo khaas tha isilye khas logon ne khaas tareeky se usy usky khaas honay ka ehsas dilaya tha...jaty jaty pta nhi kion wo muri...gate ki trf gehri nzr se dekhti rhi wo ub apni gari main beth chuka tha usny nzrain usi shkhs pr jmaye guard ko gate bnd krny ka ishara kia tha or phir pursoch andaz main wapis andr ki trf brh gai

***********************************

usky jany k baad advocate qasim case ko prhny main masroof hgye...itny main unka secretary hanpty huy beghr darwaza knock kiye andar aya...
wo usay yun hanpta hua dekh kr chonk kr apni jga se uthy .....

"sir....sir g ..apky...ghr se phone aya ha....koi emergency hgai ha..."qasim ne usay, isse agay bolny ka mouqa nhi dia or pareshani ki halat main wahan se chly gye ....rah daari main nirmal ne unhe sambhala tha ..."Apki beti thik hojyegi Sir bilku thik hojyegi ....".wo unhe tasali dety huy unky sath sath chl rhi thi mgr wo bay gangi ki halat main tex tez qadam uhaty seerhion ki trf ja rhy thay....."beti bs ...sab sambhal lena sab smbhal lena.... "or ye thy unky austraila jany se pehly akhri alfaaz jo nirmal ne apny zehn main bitha liye thay.....ub usay sab smbhalna tha...Sab....Qasim jahngir ki senior student or honhaar assistan honay k natay usky kandhon pr bht bri zimedari achuki thi ...wo gate ki janib brh rhy thay .....uski bay bas nighaon ne unka takub bht dur tk kia tha
ksi naye imtihaan ksi nai azmaish ka ishara usay de dia gya tha .....wo thak haar kr apny office ki trf chli gai ...
*********************************
"Grift kitni mazboot ha dukhon ki
maine churwaya ha daman kai bar inse....."

phone bjny ki awaaz pr usny sar file se nikal kr mobile ki screen ki trf dekha tou nam prh kr jese wo taza dam hogai usny foran call recieve kr k phonr kan se lga lia....

"Kese hain aap Sir...dania ...dania kesi ha ub...",..usny salam k baad sbse pehla sawal advcoate qasim ki beti ki tbiat k hawaly se kia tha....
"Acha waqaie..ye tou bht bht khushi ki bat ha sir apko bht mubarak ho...."uski khushi nirali thi ub uska murjhaya hua chehra pursukoon lgrha tha..
"Han ub wo behtr ha lakin drs ka kehna ha kch din tk usay admit rkhengy or usky sath mera hona bht zarori ha meri gher moujoodgi main uski tbiat or ziada biger jati ha...."advocte qasim ka lehja bhe kafi pursukoon tha mgr ub nirmal ko unky choray huy tamam mamlat ki fikr thi wo akele puri firm nhi smbhal skti thi ye bilashuba aik bht mushkil kam tha

"Nirmal"advocate qasim ne usay mukhatib kia tou wo jo phone kaan se lgye kch der tk ksi or dunia ma khou gai thi wapis hosh ma ai .
".g..g sir boliye main sun rhi hun..."usny apni awaaaz ko normal krty huy kaha

"Nirmal Its Time To Serve Your Profession...mujhe advocate qasim jahngir k baad jis behtreen lawyer pr bharosa ha wo advocate Nirmal Sheikh ha..mere aetemaad ki laaj rkhna...Advocate aima baqi cases ko dekh lengi lkin jo case dou din pehly mere pas aya tha wo bht sangeen ha bht mushkil ha bht tawaju or wqt mangta ha isilye wo tmhari zimedari ha...Nirmal just think ...tumhari waja se aik bayqusoor insan ki jaan bch sskti ha ..."wo apny peshay main mahir thay wo aglay ko lajawab krdenay ka anookha hunar rkhty thay unho ne lmha na lgaya tha or usky zehn main ubhrty tamam sawalon k jawab behtreen tareeky se de diye thay "
kch der tk wo khamosh rhi...advocate qasim uski khamoshi sunty rahy...

"IM READY TO FIGHT SIR...IM READY TO DEFEND THE TRUTH....MUJE APKI DUAON KI HAR LAMHA ZAROORAT HOGI ..."...Usny purjosh lehje main kaha tha qasim ne usky buland hoslay pr usay shabashi di thi unhe apni iss honehaar shagird pr bayhadd fakhr mehsoos hrha tha ..phone bnd kr k unho ne dania ki trf dekha jo unhe gehri nzron se pta nhi kb se dekh rhi thi ....
"baba Nirmal is a gem "...or kch lmhe baad unho ne dania ko kehty huy suna tou wo num ankhon se muskura diye .."Yes She is ......"

*********************************
Baqia hissa prhny k lye episode 10 part 2 kholen😉💟

Continue Reading

You'll Also Like

205K 12.9K 43
Yeh nikkah deal hai yaad rahey! Iss baazi mein koi ek bhi haar gya toh? Game over ! ══════•❁❀❁•══════ Tumhey kia ho gya hai Safoorah? Koi meri Roo...
288 21 7
یہ کوئی ناول نہیں ہے، بس ایک قصہ ہے دل سے نکلی ہوئی ایک تحریر... جس کو آپ حجابیز سیلف-ہیلپ کتاب بھی کہہ سکتے ہیں، جو آپکو بہت کچھ بتائے گی۔ اس میں شا...
7.8K 327 17
*editing* Log kehte hai jazbat insan ki sabse badi kamzori hoti hai to bas ye kahani wahi hai jazbat ki. Ye kahani zindagi se Nafrat se Muhabbat tak...
212 2 1
ایک سچی اور سبق اموز کھانی آپ کے سامنے پیش خدمت ہے