Abhi Na Jao Chod Kar!!✔️

By ib_rikara

84.1K 8.6K 3.1K

What happens when Gauri who is a rude businesswoman met Om who is a fun loving person?? To know more read my... More

Character sketch
Part 1
Part:2
Part:3
😍😍 Oh My Mata!!!!😍😍
Part:4
Part:5
New Cover.
Part:6
Part:7
PROMO 1
Part:8
Part:9
Part:10
A big thanks...
Part:11
Promo:2
Part 12
Part:13
Part:15
Part:16
Part:17
Part:18
The Trip!!
Part:19
Part:20
Promo:3
Part:21
Part:22
Part: 23
Part:24
Part:25
Part:26
GOOD NEWS v/s BAD NEWS
I will try...
Part:27
Part: 28
Part:29
Part:30
I STILL LOVE YOU!
Part 31
Part:32
Part:33
Part:34
Part:35
Promo:4
Part:36
Part:37
Part:38
Stay with me-Forever!
New One!
Part: 39
Part:40
Part:41
Part:42
Part:43
Part:44
Part:45
Part:46
Part:47
Part:49
Part-50 (EPILOGUE)
Part:48

Part:14

1.2K 133 34
By ib_rikara

Precap: some moments of Rikara and Ruvya.

________________________________

One afternoon in the lunch time Om entered in Gauri's cabin with his lunch.

Gauri: kya baat hai aaj aap mere saath lunch karenge! bahar se nikal diya?

Om(seriously): I think we should talk about it...

Gauri: talk about what? lunch?

Om: about Ruvya...

Gauri(sitting in front of him with her lunch): ab vo kon hai?

Om: mein Rudra aur Bhavya ki baat kar raha hoon...

Gauri: what about them?

Om: frankly speaking mein ab ye nahi dekh sakta...tumhe koi farak nahi padta hoga but mein jitni baar uski aankhon mein Rudra k liye pyaar dekhta hoon mujhe bahot bura lagta hai...

Gauri(remembering something) : kisne kaha mujhe koi farak nahi padta?

Om: roj mein aakr unke bare mein kuch na kuch batata hoon par tum ho ki koi step hi nahi lena chahti ho! Iska kya matlb hua??

Gauri: Mr. Oberoi...

Om(cutting her in between): I know ki tum ye case ke solve hone ka wait kar rahi ho...mein bhi yahi chahta hoon ki uss Kali ko jald se jald saja mile par hume uske khilaf pichle dedh mahine se koi thos saboot nahi mila hai...aur mein kaha ye bol raha hoon ki hum kal k kal unki shadi karva denge...mein sirf ye keh raha hoon ki hum unse iss bare mein baat karte hai, unka opinion lete hai iss bare mein...mujhe lagta hai ki tumhe abhi bhi meri baat pe yakeen nahi ho raha hai ki Bhavya Rudra se pyaar karti hai...

Gauri: aapko kya lagta hai aap Bhavya ko mujse jyada jante ho? aap to sirf use 3-4 mahine se jante hai par mein use bachpan se janti hoon... aapko kya lagta hai use aise dekh kar mujhe acha lagta hai...(teary eyes)aaj tak humne ek dusre se koi baat nahi chupai...par usne aaj tak ek bhi baar mujse iss baat ka ehsas bhi nahi hone diya ki vo Rudra se pyaar karti hai,,,pata hai kyun?(he nodded) kyunki Rudra aur Saumya ek dusre se pyaar karte the aur vo unn dono k bich nahi aana chahti thi...

Om: tumhe kab pata chala?

Gauri(a tear escaped from her eyes): 5 saal pehle..(Om became shocked) han,, usne to mujhe nahi bataya par mein itni bhi pagal nahi hoon ki mujhe uske dil ki baat na pata chale. Ek din mein uske ghar gai thi raat ko der se gayi thi, use nahi pata tha mein aane vali thi...mein andar jane hi vali thi lekin...

Om: lekin..

Gauri: vo koi photo haath mein lekar baithi thi aur smile kar rahi thi,, vo uss photo ko aadhe ghante tak dekhti rahi aur mein vaha khadi rahi,,phir mujse intejar nahi hua to mein andar chali gayi...mujhe dekhkar usne vo picture pillow k niche rakh di...thodi der baad jab vo kitchen mein gayi to maine vo picture nikal kar dekhi, it was Rudra's photo...phir maine kuch din tak use notice kiya, jab bhi Rudra aas pass hota tha vo usko dekhti rehti thi, jab vo usse baat karta tha to vo it itni khush ho jati thi ki aap soach nahi sakte...lekin pata nahi usne mujhe kyun ye nahi bataya! Phir jab mujhe yakeen ho gaya ki vo Rudra se pyaar karti hai maine usse iss bare mein baat karne ka soacha...par uske agle hi din vo mere pass aayi aur bataya ki  Saumya ek dusre se pyaar karte hai...mein itni shocked thi ki mei 2 minute to vaha se ek inch bhi nahi hili. maine soacha how can this be possible. Meri friend aur meri behan ek hi ladke se pyaar karte hai! Mujhe samaj nahi aa  raha tha ki mein kya karun...par phir pata nahi sab kaise ho gaya thode din baad humne mere parents ko bataya aur 1 saal baad unki shadi ho gayi (Om was listening to her patiently) 

Om: phir?

Gauri: Bhavya shadi ke sare functions mein mere saath thi, agar koi aur hota to shayad koi na koi bahana kar k chala jata...main hamesha se usse baat karna chahti thi iss bare mein jisse mein uska dard kam kar sakun...par mein himmat hi nahi juta payi, main teen zindgi ek saath kharab karna nahi chahti thi...phir shadi k din maine vo dekha jo mein kab se expect kar rahi thi...she was with me during the whole wedding with a bright smile on her face, par mujhe vo phere k time par nahi dikhi...maine uski mumma se pucha to unhone kaha ki use koi kaam tha to vo thodi der mein aa rahi hai...phere khatam hone k baad mein dressing room mein gayi aur jo maine dekha vo dekh kar kisi ki bhi aankhein num ho jati...she was there on the floor hugging her knees and crying badly,,,she was sobbing loudly but she didn't knew that I was there. Mein chahti thi ki mein uske pass jaun aun usko gale lagau, par pata nahi kyun mein nahi kar payi!!! thodi der baad vo bhi bahar aa gayi, kisi ko pata nahi chala ki vo pichle ek ghante se ro rahi thi, agar maine nahi dekha hota to mujhe bhi pata nahi chalta kyunki vo bahot khush dikh rahi thi...tab mujhe pata chala ki saccha pyaar kya hota hai...

uss din k baad usne Rudra se baat karni kam kar di, vo usse ho sake utna dur rehti thi, mere ghar pe aana bhi kam kar diya tha usne...phir vo accident hua aur sab change ho gaya...Rudra k aur bhi friends the par vo log itne samajdar nahi the ki uski biwi ki maut k time par uske saath reh sake...uska support kar sake, mere saath nani ma thi aur Rudra k saath uska parivaar, phir bhi Bhavya harroj hum dono ke saath hoti thi, mein to kisi se baat nahi karti thi par Rudra usko sab batata tha, uske aur Saumya k bare mein..sari memories and all that...aur vo sab sun leti thi...

Om: I am sorry mujhe laga ki...

Gauri: ki mein unn dono ko saath dekhna nahi chahti...mere chahne ya na chahane se kya hota hai Mr. Oberoi? Jinki kismat mein saath rehna likha hota hai, unko koi alag nahi kar sakta...vo  mil kar hi rehte hai...chahe iss janam mein, agle janam mein ya phir swarg mein...

Om: I'm really very sorry, maine tumhe galat samja...

Gauri: it's okay, aap bataiye kya plan hai?

Om: koi plan nahi hai...vo dono mature hai aur sab samaj sakte hai, hum directly unse baat karenge...

Gauri: par ek saath nahi....pehle Bhavya se aur phir Rudra se...

Om: thik hai..

Gauri: to mein aur Bhavya aap ke ghar aate hai sham ko, because mere ghar pe nani ma hongi aur mein nahi chahti ki ye baat kisi ko bhi pata chale..

Om: sure...(he wiped her tears)

In the night Gauri and Bhavya went to Om's house. He welcomed them and they had their dinner. After some time Gauri actioned Om to go from there as she wants to talk to her.

Bhavya: Gauri ye sab kya hai, mujhe pata hai tujhe kuch kehna hai...ab jaldi bol.

Gauri(taking her hand): dekh tujhe pata hai ki mujhe ghuma hira kar baat karne ki aadat nahi hai...aur mein jo bhi bolne vali hoon vo sach hai, to behtar yahi hoga ki tu bhi jo sach hai vo hi kahe...

Bhavya: mujhe sach mein kuch samaj mein nahi aa raha...tu kis bare mein baat kar rahi hai? aur Om kaha gaya?

Gauri: tu Rudra se pyaar karti hai na?

Bhavya(she didn't expected this sudden question at all): what?

Gauri(she gave her a bone crashing hug): I'm sorry Bhavya, I'm so sorry. mujhe iss baat ka pata tha, phir bhi mein kuch nahi kar payi...kuch nahi...pehle maine soacha tha ki tu aur Rudra ek dusre k saath khush rahoge but sab kuch ulta ho gaya, jo maine kabhi expect bhi nahi kiya tha..par mein bhi kya karti, mein ek saath teen zindgi barbaad nahi kar sakti thi...mujhe maaf kar de, mein unki shadi k time par tere saath horka bhi tera saath nahi de payi...

After sometime she pulled back from the hug and by now Bhavya was also crying. 

Gauri: par mein tujse bahot naraj hoon...

Bhavya: kyun?

Gauri: tune itni important baat mujhe batana thik nahi samja? vaise too kehti rehti hai ki hum dono best friends hai par tune itne saal mein ek bhi baar mujhse ye share nahi kiya...kya hamari friendship itni weak hai ki itni si baat pe tut jaye? Ya phir tujhe mujh par bharosa nahi tha?

Bhavya(holding her hands): nahi Gauri aisi koi baat nahi hai...please mujhe maaf kar de yaar mein kisi ko pareshan nahi karna chahti thi aur meri vajah se unn dono ko shadi mein koi problem aaye...Saumya meri bhi behan thi aur uski khushi mein main khush thi...

Gauri: par ab tu chinta mat kar, ab sab thik ho jayega..

Bhavya(confused): matlb?

Om(he came from the balcony): matlb ye ki hum Rudra se baat karenge...

Bhavya(immediately): nahi, tum dono aisa kuch nahi karoge...

Om: par kyun?

Bhavya(looking other side): bas aise hi...

Gauri: dekh agar tujhe aisa lagta hai ki tu Saumya ko cheat kar rahi hai to aisa kuch nahi hai,, vo bhi tum dono ko saath dekh kar khush hogi. 

Om: aur tum dono kab tak aise hi zindgi gujaroge. Tu usse pyaar karti hai...

Bhavya: par vo mujh se pyaar nahi karta...

Om: par Bhavya...

Gauri: acha, mujhe ek baat ka javab de, agar mujhe thik laga to main tujhe force nahi karungi...(Bhavya looked at her) aage ka kya plan hai tera? I mean tu kisi aur se to shadi karegi na?

Bhavya(not meeting her gaze): koi plan nahi hai...

Om: to Rudra se baat karne mein problem kya hai?

Bahvya: par tum dono achanak ye sab baatein kyun kar rahe ho? aur Gauri tu case ko chod kar ye sab kya soach rahi hai? 

Gauri: mein jo bhi kar rahi hoon thik kar rahi hoon...aur mujhe kuch nahi sunna,,tu sirf mujhe ye bata ki tu Rudra se shadi karna chahti hai ya nahi?

Om: baki sab tum hum par chod do...

Bhavya(her cheek turns deep shade of pink): no reply

Om: dekh ab nayi naveli dulhan ki tarah sharmana bandh kar...tu atleast hum dono ko to bata sakti hai...

Gauri: rehne dijiye Mr. Oberoi, mujhe uska javab pata hai...chaliye hum Rudra k ghar chalte hai...

Bhavya: par Gauri...

Gauri(hugging her): I'm so happy for you!! (she gave her car keys) tu ghar ja, mein Rudra k gahr jati hoon...

Guari: par itni raat ko?

Om: ab mujse aur wait nahi hoga...chalo Gauri...

They headed towards Rudra's home while Bahvya went to her home. Om was happier then Gauri. In the whole way he was talking about Bahvya. But she was thinking about Rudra because she was wondering what will be his reaction after listening this. And somewhere she was worried also thinking about if he denied for the marriage.

__________________________________

Precap : Ruvya coversation!!

_________________________________

Hii guys,, I hope you liked the chapter. What will be Rudra's reaction and what will be the conversation about?? please vote and comment if you liked it and pardon me if I bored you with this chapter. Silent readers please vote and comment if you enjoyed it guys....

Guys I'm going for a small vacation of a week... I'll try my best to update in this time  but sorry in advance if I fail to do so.

Thank you...

Continue Reading

You'll Also Like

36.8K 1.4K 5
Omkara is gauri's first love.But Omkara loves Ishana. Gauri had lost the hope that she will marry Om. But what will happen when gauri get themarriag...
44.1K 4K 22
This is on the redux plot. I really doubt Rikara will have something on screen so here I am using my wild imagination. Let's see how things go. So Ba...
115K 8.2K 35
A small story on rikara.. Gauri the P.A of Omkara Singh Oberoi fell in love with Omkara... She consider it 'Aadha Ishq' as it was one sided... Will o...
148K 8.9K 66
This is a RIKARA story...What happened after Om left Gauri in Bareilly...Peep in to know more...