Abhi Na Jao Chod Kar!!✔️

ib_rikara által

83.4K 8.6K 3.1K

What happens when Gauri who is a rude businesswoman met Om who is a fun loving person?? To know more read my... Több

Character sketch
Part 1
Part:2
Part:3
😍😍 Oh My Mata!!!!😍😍
Part:4
Part:5
New Cover.
Part:7
PROMO 1
Part:8
Part:9
Part:10
A big thanks...
Part:11
Promo:2
Part 12
Part:13
Part:14
Part:15
Part:16
Part:17
Part:18
The Trip!!
Part:19
Part:20
Promo:3
Part:21
Part:22
Part: 23
Part:24
Part:25
Part:26
GOOD NEWS v/s BAD NEWS
I will try...
Part:27
Part: 28
Part:29
Part:30
I STILL LOVE YOU!
Part 31
Part:32
Part:33
Part:34
Part:35
Promo:4
Part:36
Part:37
Part:38
Stay with me-Forever!
New One!
Part: 39
Part:40
Part:41
Part:42
Part:43
Part:44
Part:45
Part:46
Part:47
Part:49
Part-50 (EPILOGUE)
Part:48

Part:6

1.4K 151 27
ib_rikara által

Guys this is edited part. In last part I have messed up things with Oberoi and Sharma... So sorry for that and frankly speaking I really noticed it now only.... Sorry 😅😅

--------------------------------------------

The past will be in bold italic letters...

Later at night:

Rudra went to Om's house. He opened the door and took him inside.

Rudra : kya kar rahe the?

Om: TV dekh raha tha, tum batao Ms. Sharma ko kya hua tha??

Rudra : pehle tum batao tumne aaram kiya aur medicines li?

Om: han baba, kab se aaram hi kar raha hoon, aur davaiyan bhi le li maine...

Rudra : hmm...

Om: acha, tum ab batao jo baat adhuri reh gayi thi vo... 1 saal pehle jab party thi to kya hua uske baad...

Rudra took a deep breath.

Rudra: mein starting se start karta hoon. Mein aur Gauri sabse pehle hamari college k first year mein mile the. Vo pehle aisi nahi thi,,bahot shararati thi aur pure din kuch na kuch bolti rehti thi...like a chatterbox!! Hamne graduation and post graduation saath mein hi ki hai. Starting se hi hum dono bahot ache friends the... Hum saath mein padhte the, parties, assignments ya phir picnic...kuch bhi ho,we were like a family..mein bhi uske ghar aata jata rehta tha. Aur inn 5 salon mein mujhe Gauri ki behan Saumya se pyaar ho gaya. (A small smile appeared on his lips as well as Om's) Pehle to humne kisi ko bataya nahi tha lekin pata nahi kaisi Bhavya ko pata chal gaya, aur phir Gauri ko bhi...

Om : phir Bhavya??

Rudra: Bhavya, Gauri ki bachpan ki best friend hai. Vo Bhavya ko bhi Saumya k jitna hi pyaar karti hai. Vo dono saath padhe hai 10th tak. Lekin phir Bhavya ko police mein jana tha...she is such a nice and supportive girl...

To phir Bhavya aur Gauri ne hamare parents ko bataya,they agreed for the marriage aur humne 3 saal pehle shadi kar li. Mein aur Saumya saath mein bahot khush the.(Om was going to ask something but Rudra continued so he didn't) Meri aur Gauri ki collage bhi khatam ho gayi thi... To maine aur Gauri ne Sharma Industries ko join kar liya. Vaise to papa ka business hai America mein, par mein khud se kuch karna chahta tha...to maine ye job le li as an intern...Mumma aur Papa USA mein rehte hai mere bhai k saath. Aur Gauri, uske papa ki company hai lekin phir bhi usne kabhi bhi uska fayda nahi uthaya. Sabke saath ache se baat karti thi, aur kabhi bhi kisi ko koi bhi baat k liye na nahi bolti thi. tumhe yaad hai uss din tum pastries lekar aaye the,sabke saath luunch karrte ho, then tumne Aakash ko leave di..(Om nodded and Rudra continued) vo bhi aise hi karti thi, in fact vo party, vo bhi Gauri ne hi start kiya tha...mujhe yaad hai jab Ishana ne office join ki thi Guari ne khud uske liye party plan ki thi.

Sab kuch thik chal raha tha...lekin phir pichle saal Sharma Industries ne Thakur's ke saath ek deal sign ki thi, bahot badi deal thi so uske final hone pe papa ne party rakhi thi...

Om: Thakur's??

Rudra: Kaali Thakur...he is from Barilley. Vo hume ek zamin kharidni thi barilley mein jo uss Kali Thakur ki thi and humne deal final bhi kar di thi...Party mein vaise to employees aur Kali Thakur aur uske bhai invited the...

Flashback:

The party was going on when Kali comes on the stage.

Kali: are suniye sab...(everyone looked at that direction), ab jab Sharma sahab (Gauri's dad) aur Thakuron k beach itni achi deal final ho hi gayi hai to hamare pass ek aur prastav hai aapke liye Sharmaji...

Mr. Sharma: prastav? kaisa prastav?

Kali(looking towards Gauri): hamari business k sambandh ko ristedari mein badlne ka prastav...

Mr. Sharma: mein kuch samja nahi Mr. Thakur...

Kali: are hum samjate hai...hum chahte hai ki aap aapki beti Gauri ka haath hamare haath mein de...(with evil smirk on face and looking at Gauri with lustful eyes)Shadi rachana chahte hai hum iss chiraaiya se...

That was it!! The very next moment Gauri came on the stage and slapped him very hard. Bhavya, Saumya and Rudra came running to her side.

Bhavya: tumhari himmat kaise hui? Tumhe pata hai ek biwi k hote hue dusri shadi karna kanunan apradh hai...

Mr. Sharma (coming on the stage): Bhavya, beta tum log ghar jao, aur Mr. Thakur mujhe lagta hai hume akele mein baat karni chahiye...

Gauri: nahi papa, aapko isse baat karne ki koi jarurat nahi hai iske liye to mein hi kafi hoon...(to Kali Thakur) shadi karna chahte ho mujse? (when he didn't said anything she continued) Shakal dekhi hai kabhi aaine mein? mere Dadaji ki umar k lagte ho...aur tumhe sharam nahi aati? apni poti k umar ki ladki se shadi k bare mein soachte hue bhi...are mujhe to tumhari biwi k liye bura lag raha hai...

papa hume aise insaan k saath koi deal nahi karni...Khanna, vo deal k papers lao...(Khanna brings the papers and she tore it in front of Kali) tumhare jaise insaan ki to mein shakal tak na dekhu, deal to bahot dur ki baat hai...security, jara dadaji ko bhahar ka rasta dikhao to...(and everyone laughed on him) agar mein chahti to tumhe jail bhi bhijva sakti thi,,lekin tumhari beizzati hi kafi hai...

Security came and dragged him outside the venue...but Kali stopped in between and turned towards Gauri...

Kali(with anger in his eyes): yaad rakhna chiraaiya, iss badtamizi aur thappad dono ka badla lunga aur aisa badla lunga ki ye(pointing towards Bhavya) police bhi mera kuch nahi bigad payegi, aur ye Kali Thakur ka vada hai...(he let out an evil laugh)

Mr. Sharma: tujhe jo karna hai vo kar le, lekin tu hamara kuch nahi bigad payega...security ise dhakke mar ke bahar nikalo...

Flashback Ends

Om: Miss Sharma ne bahot ache se javab diya usko...

Rudra: Gauri ne jo kiya vo sahi tha lekin uska anjam itna bura hoga vo kisine nahi soacha tha...

Om: matlb?

Rudra: uss party ko kariban 2 mahine hue the...sab thik chal raha tha, mein 1 mahine k liye USA gaya tha...mom dad se milne...Saumya ko doctor ne travel karne k liye mana kiya tha to vo mere saath nahi thi...

Flashback:

Sharma Industries:

Gauri: papa, mein Rudra ko pick karne ja rahi hoon, vo Saumya ko jyada travel karne k liye mana kiya tha to vo nahi aa rahi hai...

Mr. Sharma: mujhe bhi ek meeting attend karni hai,tum aur Rudra direct ghar pe hi jana, Saumya subah se uska intejar kar rahi hai...(just then his phone rang) Saumya ka phone hai...

han bolo beta...

'dad mujhe Rudy ko pick karne jana hai, aur mom mana kar rahi hai'

tumhe Rudra ne travel karne k liye mana kiya hai na?

'vo to flight mein aur train mein...car mein to mein ja sakti hoon'

par beta, Gauri use le aayegi...

'nahi dad mujhe jana hai...please dad...'

acha thik hai, tum aur Gauri chale jao aur mom ko bhi saath lekar jana...

'nahi aap bhi chaliye'

beta meri ek meeting hai...tum log chale jao na...

'meeting postpone kar dijiye na, Rudy ko bura lagega agar aap nahi aaoge to'

acha thik hai baba, mein meeting postpone kar deta hoon, aap dono  aa jaiye yaha...hum yaha se direct chale jayenge...

'thank you dad, hum abhi aate hai'

Gauri: kya hua dad?

Mr. Sharma: vo Saumya zid kar rahi hai Rudra ko pick karne jane k liye to mein mana nahi kar paya...koi baat nahi mein vo meeting postpone kar deta hoon...

Gauri: dad, meeting postpone karne ki koi jarurat nahi hai, mein vo meeting attend kar lungi...aap log airport chale jaiye...mein usse ghar pe milti hoon...

Mr. Sharma: thik hai tum chali jao lekin jaldi aana...

Gauri: thik hai dad, bye...(she hugged him and left from there)

After 5 minutes Gauri called her dad...

han bolo Gauri..

'dad, vo meri gadi puncture ho gayi hai, tyre change karne mein 10-15 minute lagenge... kya mein aapki gadi mein chali jau?aap log meri ya mom ki gadi mein chale jana,'

beta ye bhi koi puchne ki baat hai, tum aaram se jao...abhi airport pohchne mein der hain.. bas dhyan se jana...

'love you dad...bye...'

love you too beta..

After a while:

Gauri's mom and Saumya came to office.

Saumya: dad jaldi chalie...flight ka time ho raha hai...

Mr. Sharma : are baba chalta hoon, 2 minute to ruko...

Mrs. Sharma kab se jaldi karie, jaldi karie ki rat lagaye hui hai,,ab itni bhi kya jaldi apne pati se milne ki...

Saumya: mom, aap bhi na...chaliye dad...vaise Gauri di kaha hai?

Mr. Sharma vo meeting attend karne gayi hai, vaise aap apni gadi lekr aaye hai na? vo kya hai na meri gadi Gauri lekr gayi hai..

Mrs. Sharma nahi...meri gadi garage mein gayi hai to hum cab se aaye hai...

Mr.  Sharma : koi baat nahi, Gauri ki car thik ho gayi hogi hum usmein chale jayenge...

Saumya: bas aap log jaldi chalie.

Mrs. Sharma chalie, varna ye hamara dimag kha jayegi...

At restaurant(in which meeting was held): 

Gauri was talking with the client when she looked at the TV which was telecasting some accident news. She shifted her attention towards TV when someone increased the volume.

'AAPNE BILKUL SAHI SUNA, MASHOOR BUSINESSMAN MR. RAJ SHARMA KI BETI MISS GAURI SHARMA KI CAR KA MUMBAI AIRPORT K PASS BOMB BLAST HUA HAI. CAR KI HALAT BAHOT HI BURI HAI AUR POLICE ISS BAAT KI JANCH KAR RAHI HAI KI YE BLAST K PICHE KISKA HAATH HAI. ABHI TAK SIRF YAHI JANKARI MIL PAYI HAI KI CAR MEIN MR. SHARMA, MRS. SHARMA AUR UNKI BETI SAUMYA SINGH RAIZADA THE, JO AB ISS DUNIYA MEIN NAHI RAHE' news channel telecast the news.

Land slipped from her feet and she stood rooted to the place. She could not digest the news and fell on the ground like a tree fell on the ground with a thud.

'POLICE KA KEHNA HAI KI YE JAAL MISS SHARMA K LIYE BICHAYA GAYA THA LEKIN LAGTA HAI UNKI JAGAH UNKI FAMILY ISS KA SHIKAR HO GAYI. HALAKI ABHI TAK YAHA MISS SHARMA YA PHIR MRS. SAUMYA K HUSBAND MR. RUDRA SINGH RAIZADA NAHI POHCHE HAI. AAPKO KYA LAGTA HAI KYA YE KISI BUSINESS RIVAL KA KAM HAI YA PHIR KISI AUR KA HAATH HAI?' they again telecast some news.

Gauri quickly stood up when her phone rang...

Gauri(barely audible voice): han,,bolo Rudra..

Rudra(in broken voice): Gauri...Gauri pata...nahi ye news vale kya bakwas news chala rahe hai...Saumya...Saumya thik to hai na?

Gauri: mein aati hoon...

Flashback ends

By now both Rudra and Om has tears in their eyes. Rudra was on verge of crying when Om hugged him.

Om: I'm sorry Rudra, I'm so sorry,,mujhe tumhe ye sab nahi puchna chahiye tha..please mujhe maaf kar do...mujhe nahi pata tha....

But when Rudra did not speak anything Om went to kitchen and bring some water for him.

Om(he sat beside him): Rudra, ye lo pani...please rona bandh karo...

Rudra: bahot miss karta hoon mein Saumya ko, pata hai tumhe humne ek dusre ko kitne promise kiye the,,lekin vo usse pehle hi mujhe chod kar chali gayi...(Om simply hugged him) aur Gauri vo bechari kitni akeli pad gayi thi iss hadse k baad...pure 15 dim tak apne room se bahar nahi aayi thi vo...khana bhi thik se nahi khaya tha usne...agar Saumya hoti to vo uski baat jarur manti... (and again a fresh set of tears made their way through his eyes)

__________________________

Precap: Om at Gauri's house to seek forgiveness.

__________________________

So sorry guys, for being late!! I was out of city so I didn't get time to write. And I think this chapter is not as per my expectations. 

But please vote and comment if you liked it. Silent readers please at least vote for the chapter, it took so much hard work to update a single part, and I think my every fellow author know this. Please give your views and suggestions if possible. It means a lot.

Thank you.

Olvasás folytatása

You'll Also Like

146K 8.8K 66
This is a RIKARA story...What happened after Om left Gauri in Bareilly...Peep in to know more...
1.3K 68 1
Gauri and Omkara met in College. The adolescent crush followed by a hot passionate night. But then... not everyone get united na.... ❤
131K 11.3K 97
it's a painful love story of Rikara .....my favt couple ever ..... in this story ommkara is an artist.... whose marriage fix with ridhima since child...
1M 43.8K 126
sh_aarohi had asked me to post all of my Rikara stories that I had posted in indiaforums (which were originally written for Rishabala & Michi) Hope y...