tanhaiyon ka safar

By tangled_earth

3.5K 300 295

a collection of urdu poetry, written by me... all rights reserved More

intro + copyright
Aam sa fard kar diya
Maqsad
Agar hota
Khudgharzi
Maat
esi zindagi
samjhota
rok lena
alvidayi khat
tasveer bhi nahi mere pass
Barsaat
dard nahi hota
wo waqt aur tha
yeh shayari kuch ajeeb lagay gi
muhabbat phir bhi qaim rahe gi
wo pehla safar
aadatein aur chahatein
Tamasha
zameer ki sun
sab saaf ho gaya
akhir kyun?
muskura deti hoon
Kya mere sath kharay ho gay?
Her Ek K Pas Muhabbat Hai Mere Siwa
Mombati
Shakhsiyat
Anjaam
Yaar E Bewafa
Hayaat Hoti
Tum Nahi Sudhro Gi
Mushkil Mulaqaat
Roshni
Kya Yeh Khula Tazaad Nahi?

Qissay

235 15 28
By tangled_earth

Aaj kal dil ko puranay naghmay bhaatay hain,

Sang chalo to sath mil kar gungunatay hain,


Jo guzri dono per judayi kay mausam me,

Aao wo qissay khul kar ek doojay ko batatay hain,


Meray qissay to kuch yoon shuru hotay hain,

Kay raat bhar moti meri aankhon me jagmagatay hain,


Jo waqt guzra teray sang, teri ankho ka wo pur kashish rang,

Meri jaan o jigar sab yaad kr kay, sukoon na pal bhar ka paatay hain,


Who khato me apni khuwahishon ka izhaar krna,

Tere peghamo me likhay lafz ab tak mujhay jagaatay hain,


Who teray waaday jo tu nibha na saka,

Aag dozakh ki maanind dil me lagaty hain,


Khair meri chor, tu apni suna,

Kya tujhay bhi meray gham tarpaatay hain,


Jo deta tha mujhay har bar jab bhi milta tha,

Who kaghazi phool kya yaad tujhay meri dilatay hain,


Aadat thi humay chaltay chaltay, bina jaanay, ek doojay k koochay me jaanay ki,

Jab ghair danista tor per, kud ko us gali me paatay hain, to pal bhar ko dagmagatay hain,


Aap ko bhi shayad aadat ho gayi hai hamary bin jeenay ki,

Issi liye milnay k bahanay jaan bojh kr ganwatay hain,


Kabhi chehron per noor tha khushiyon ki farawani k bais,

Ab samna ho jaye to muskurahatain masnui dikhlaatay hain,


Haasil kuch nahi hai teri raah taknay me phir bhi takkay jatay hain,

Shayad issi liye aashiq deewanay kehlatay hain,


Kaash kay mitt jaaye dil o rooh se tujh se jurri har ek cheez,

Mujhay teri baatain, teri yaadain, teray taswuraat rulaatay hain,


Aiman ab tera bhi shumar hota hain un logo me,

Jo qissay apni mohabbat k baar bar sunatay hain!!!

Continue Reading

You'll Also Like

21 2 2
so many languages are there but personally I could die for Urdu. the world knows the legendary poet of the Urdu language. maybe the world doesn't rea...
3 0 1
Khwab ya Haqiqat is a poem which is wrote in Urdu language and the script is in roman text, where the poet is confused about his situation and he doe...
4.9K 488 21
A collection of my favorit poetry's #sad #faraz #desi #urdu #punjabi
164 12 3
do not copyright my words...... لکھنے کا میرا کوٸ خاص تجربہ نہیں ہے یہ شاید بلکہ یقینً اللہ کی ذات کا مجھ پر کرم ہے کہ میں بغیر کسی تجربے اور کسی کی...