دشمنِ جان سے جان تک!

By ArabiyaniSisters

56 2 0

A successful doctor Muhammad Azhan is in love with his cousin and wants to marry her but what happens when he... More

دیدارِ یار
Introduction
Gol Roti?
Muhammad Azhan ke dil main kiya hai?
Dua fatima ka rishta
Jon Elia ki collection

Dil jure, Dil toote

1 0 0
By ArabiyaniSisters

Bil akhir taman investigation aur maamlaat bandi ke baad aaj Aina beghum aur Ibrahim Ali Sahab apni poori tasalli ke Baad rishte ke Liye hami Bhar chuke the aur ab baqaida Tor pr apne rishte daaron ke hamraah "han" ka jawab dene is waqt uske susral gaye hue the..

Aur idhar Murtaza Ali musalsal Dua Fatima ko "paraya dhan" Keh Keh kr tung kr Raha tha..

Wo kab se bardasht kr Rahi thi aur apne aansu chupa Rahi thi..

(Dar asal Murtaza Ali ye hi chahta tha ke vo ro de aur apna dil Halka krle, kion ke Ghar main jab se uske rishte ki baat chal Rahi thi wo sab se chupti phir Rahi thi aur Murtaza ye bhi Janta tha k vo chup chup kr ro Rahi hai)

Ab vo use tung krke uske sabar me paimaane ko akhir hudood tk le aaya tha. Ain mimkin tha Kuch dair main vo Murtaza ke sar ke Baal Noch daale..

"Bhayya yaar nahi tung karo Kiya masla hai" Ankhein jhapak'te hue aansu Ander utaare aur isi waqt Murtaza ne use pakar kar seene se lagya..

Bhai ka mazboot Sahara paate hi vo bikharne lagi thi aur phoot phoot kr ro di..

Usko itni hichkiyon se rota dekh kr Murtaza ki aankhein bhi bheeg gai thi magar ye aansu agar uske saamne niklate to vo aur roti lihaza vo muskurata usko compose krne Laga..

"Yaar kiyaa ro to aise Rahi ho jese Kal rukhsat kr Rahe hon".

"Na to aap logon ka Kiya bharosa 10 din main rishta pakka kr diya ab bologe 6 mahine main rukhsat bhi hojao".. udaasi se kaha

"Han to larkiyon ko rukhsat to hona hota hai naa, aaj nahi to Kal sahi. Ye achi baat nahi k hum log Aapke farz se munasib waqt pr azaad hojaaei'n"..

"Bhayya mein kese rakungi Aapke baba ke bhaijan ke bagair, mummy ko dekhe baghair Meri subah nahi hoti, Aapke Sath masti kare baghair Mera din nahi guzarta, main Roz bhaijan ko aapki shikayatein kese lagaungi, bhayya mujhe nahi jaana naa mujhe hamesha aap logon ke ps rehna hai"

Murtaza ne uske sar pr halki si chapat Laga kr kaha..
"Pagal aise nahi kehte....."

Abhi uska jumla mukammil nahi hua tha ke kamre se Nikal kr Daim Ali Pani peene ke iraade se kitchen main jaa rha tha dono ko dekh kr lounge main hi aagya aur Dua ke barabar main sofe pr baith gaya..

Ab mazar Yun tha k 3 tesno behen Bhai lounge ke couch pr baithe the, Dua beech main aur dono Bhai side mai..

"Kiya horaha hai bhaee..?" Daim ne poocha..

"Vohi iski hobby Jo hai, Ro Rahi hai madam ke apne Ghar nahi Jana" ye batate hue Murtaza ka apna lehja kaafi bhari tha.

"Arrey Mera bachcha, Ghar to sab bachchiyon ko Jana hota hai naa" ab ki baar Daim ne se gale lagaya..

"Lekin mujhe aap logon ke paas hi rehna hai naa" vo bhaeegi awaz mai boli..

"Dastoor hai na duniya ka, isko change to nahi kar sakte naa hum. Sab bachchiyon ko Paal pos kar bara Kiya jata hai phir vo aik din rukhsat hojaati Hain naa"..
Full emotional mahol hogaya tha.

Dua Fatima main dono bhaiyon ki jaan thi, ikloti hone ki waja se use kaafi laadiyon se Pala gaya tha yehi waja thi ke uski rukhsati ka soch kr dono bhaiyon ki aankhein bhi ashk baar thi'n..

"Lekin jab tak main Yahan Hun is bhayya ke Bache ko bolo mujhe tung na kare nahi to main ab iske sar ke saare Baal Noch lungi phir ye Meri aur aapki shadi main ganja naachega"..

"Hahhahahahhahaha..!" Teeno hansne lage..

"Khair Dua mujhe aik baat Karni hai" Daim Ali ne sanjeedgi se kaha.

"Jee bhaijan bolo..?"

"Dekho Meri baat ghaur se suno; hum chaaron Ghar walon ke buss main Jo hoga Aapke Liye karainge ye Mera aapse waada hai. Aap ko Jo chahiye hoga naa sab Kuch le kr dunga Yahan tak ke mujhe apne aap ko bhi bechna par jaaye, magar aik baat yaad rakhna baba ne bht mehnat se izzat banai hai. Aik arse tak hamare haalat theek nahi the magar iske bawajood baba ne humein sab Kuch diyaa hai aur maashre main izzat banai hai aur phir usi ki waja se log bhi hamari izzat krte hain naa..?"

"Bhaijan main samajh nahi pa Rahi aap Kiya kehna chahte ho .. please Khul kr baat kro na" Dua ne uski mushkil baaton pr Sirf itna kaha..

"Mera bachcha main buss ye Keh raha hun ke baba ki Jo izzat unhon ne banai hai na, unki aulad hone ki waja se uska paas rkhna ab hum teeno ka farz hai. Aapko izzat se rukhsat karainge aur Aapke baap Bhai ke darwaze hamesha khule rahainge..
Magar idhr main aik baat ka izafa karunga ke darwaze khule us waqt tak Hain jab aap apne shohar ki ijazat ke Sath hansi Khushi aao, kabhi kabhi nahi Roz aana magar uski Marzi se."

"Aurat ka asal Ghar uske shohar ka hota hai naa to agar uski Marzi ke mutabiq kaam kiye jaaei'n to Zindagi bht asaan hojati hai" is Baar Murtaza ne guftugu main hissa daala.

"Samjh Rahi ho na hum Kiya Keh Rahe hain..?".

"Jee, samajh Rahi hun".

"Agar kabhi Kisi baat pr vo gussa ho na to age se jawab na dena, jhagra ho jaaye to Ghar chor kr naa ana, mard agar Ghar se utre to uski izzat main kami nahi aayegi lekin agar aurat ne qadam bhi Bahar rakha to vo apna Waqar kho deti hai".

"Bhaijan aap log aisi baatein kion kr Rahe ho yaar.." Dua ne rote hue kaha..

"Arrey beta samjha Rahe Hein aapko, hansi Khushi aana to Roz aana magar Kisi din larai hojaye aur shohar kahe ke Ghar se jaao to uske paa'un par Jana magar apni jaga chor kr na ana, aap ise agar rude Kaho to rude sahi magar ye haqeeqat hai ke izzat shohar se hoti hai shadi shuda aurat ki"..

"Main samjh gai Hun aapki baat main InshaAllah aap dono aur baba ka sar kabhi sharam se jhukne nahi dungi ye Mera aap logon se waada hai"

"Shabash mujhe yehi umeed thi" Daim Ali ne uske sar par bosa diyaa.

"Chalo paraya dhan ab khari ho paani pilao" Murtaza ne phir se use chaira..

"Yaaaarrr Kiya msla haiii, bhaijan yaar inko Dekho naa tung kar Rahe hain kab se"..

"Sahi to Keh Raha hai vo "paraya dhan" .."
Ab ki baar Daim ne bhi kaha to vo gusse se walkout kar gai...

********************

Do din guzar gaye, Rozina beghum ne Muhammad Azhan se dobara is bare main baat nahi ki. Isi liye usey behad bechaini thi.

Is waqt raat ka time ho raha tha. Khana khane main abhi thori dair thi. Rozina beghum kitchen main kaam kar rahi thi jab Muhammad Azhan un ke paas agaya.

"Mumma" maa'n ko pukara.

"Jee" Rozina beghum ne masroof andaz main jawab dia.

"Aap ne ki baba se baat?" Poocha.

"Han jee ki thi"

"Kia kaha baba ne?"

"Kia kahenge baba? Mana kar rahe they nahi karna baat Aina se bachi ka rishta aya hua hai han hosakti hai. Ye koi waqt nahi hai agar aisa irada tha to pehle kehna chahye tha"

"To mumma aap manate na baba ko. Aik koshish ko krlete naaaa" jis tarap se unse kaha tha Rozina beghum ko bache par tars agaya laikin kia karti pani to sar se guzar chuka tha.

"Azhan maine boht koshish ki aur apke baba ko mana bhi lia. Aur khala se bhi baat ki. Direct to nahi keh sakti thi magar is tarha kaha ke meri khuwiash hai Dua ko apne ghar lane ki. Mera ishara samajh kar Noor ul Ain ne kaha ke ye to naseeb ke khail hain ab kuch nahi hosakta. Iske agey kuch kehne ki meri himmat na hui" Rozina beghum ne bete ko poori baat se agah kia.

Wohi hua jis ka dar tha khala ne Azhan ke rishte se inqaar kar dia.

"Mumma khala aisay kaise keh sakti hain? Unhen btate naa main Dua ko pasand karta hun. Uske ilawa kisi ko tasawur nahi kia maine apne sathh. Main kia karunn mummaaa!" Azhan tarap utha.

"Main kia kahungi kisi se jo kia hai aap ne khud hi kia hai. Pehle btate to aisa kuch na hota. Laikin aap ne dair kardi hai ab kuch nahi hosakta" safaki se jawab dia.

"Amma to abhi unhone waha jawab to nahi dia hai naaa phir kia masla hai?" Akhri dao phainka.

"De dia hai jawab waha" maa'n ne itilah di.

"Kia matlab hai mumma?" Dil main kuch shiddat se galat hojane ka khadsha hua.

"Ye hi ke kal baat pakki hochuki hai Dua ki. Aap ki night duty thi to apko nahi pta kal shaam main hi khala ne kaha tha dua ke susral jana hai to kal gaye they hum waha"

Chhan se kuch toota dil main. Shayad umeed tooti laikin umeed to kisi ne dilayi hi nahi thi. Apne aap ko khud hi umeed dilai thi jo ke ab toot gai. Isi liye mashhoor hai..

WHO HURTS THE MOST?

OUR OWN EXPECTATIONS!

"Acha" fori tor par koi rad e amal na asaka.

"I am sorry maine koshish ki thi magar naseeb ke agey koi kuch nahi kar sakta na" Rozina sahiba ne afsos se kaha.

"Koi baat nahi mujhe koi gila nahi hai. Galti meri hai phir kia kisi aur se shikwa karun!" muskura bhi na saka.

Isi waqt kitchen main Muhammad Azlan dakhil hua.

"Amma jee" dard bhari awaz main pukara.

"Jee beta jee" usi ke andaz main jawab aya.

"Yar aap ye btain ke bhook lagi ho to pait main kia dorte hain?"

"Choohe dorte hain Muhammad Azlan" Rozina beghum ne jawab dia.

"Shabash mamma apka jawab bilkul durst hai. Laikin mere pait main is waqt hathi dor rahe hain khana de den" maa'n ko kaha aur sath hi gehri saans li Muhammad Azhan par nazar pari jo ke gehri soch main ghum tha.

"Doctor sahab" sharati andaz main pukara.

Jawab na aya. Agey barh kar us ki ankhon ke agey hath hilaya. Aur phir bola.

"Doctor sahabb" Muhammad Azhan chonka.

"Han bolo"

"Aap bolo aap ko kia hua hai? Aisay haare huye aashiq ki tarhan kion ghoom rahe ho? Aisa lag raha hai aap majnu aur laila bichar gai jo aap ki" Muhammad Azlan ne Muhammad Azhan ki dukhti rag pe pair rakha.

"Khamosh hojao Azlan, har waqt bakwas na kiye jaya karo" jhirakte huye kaha to Azlan ki muskurahat pal main gayab hui aur chehra sanjeedah hogaya. Mur kar maa'n ko dekha aur kitchen se nikalta chala gaya.

"Kia masla hai Muhammad Azhan apni frustration us par kion nikal rahe ho" Rozina beghum ne usey danta.

"Mumma maine sirf itna kaha hai ke har waqt mazak acha nahi lagta"

"Muhammad Azhan aap keh nahi rahe rhey aap daant rahe they, jhar rahe they. Aur ye galat hai. Is ghar main Allah na kre koi sog nahi ho raha ke sab sanjeedah ho kar ghoomen. Is liye seedhay hojao aur apna mu'n theek karo bilkul. Mere ghar ko ghar rehne do" Rozina beghum ne phir gussa kia.

"Acha okay sorry" aur kitchen se nikalta chala gaya.

Ab Muhammad Azlan apne bhaijan se naraz tha aur sakhta wala naraz. Sab se baat kar raha tha siwaye us ke aur ye baat shiddat se mehsoos ki thi Muhammad Azhan ne. Laikin filhal kisi ko manane ke position main nahi tha tha.

*****************

"Daim Ali" Daim Ali ko farigh dekh kar unhon ne apne bete ko piyaar se pukara.

"Jee Amma ji" usi piyaare wale lehje main jawab diya gaya.

"Farigh ho bete..?"

"Always farigh...bolein aapko koi kaam hai..?" Files apne Aage se hata seedha ho kr baith gaya aur Ammi ke baith'ne ke Liye jaga banai.

"Han jee mujhe aapse baat Karni hai"..

"Kahein, main sun Raha Hun".

"Daim aapko apne alfaaz agar yaad hon to unke mutaqib aap Dua Fatima ke farz se azaad hona chahte the.." Aage vo Kiya Kehna chati thi'n is baat ka usko achi arha andaza tha is Liye muskura diya.

"Hahahhaaa..! Mamma seriously mujhe pata tha aap aik do din main mere paas zaroor aayengi.."

"Jee to ab aap Kiya bahana tarash kr baithe hain ye bhi Bata dein".

"Yaar mamma aapko seriously lag Raha hai ke main bahana bana Raha tha.."

"Zahir hai. Acha Khair mitti daalo usko ye batao Daim; main aakhri Baar pooch Rahi hun beta mujhe Bata do agar aapko koi pasand hai to ta'ke Mera kaam asaan hojae.."

"Nahi mummy aisi koi baat nahi hai Maine aapko ...Bataya to tha ke main Kisi ko pasand nahi krta buss aap apne jesi larki dhoondh lein mujhe koi aitraaz nahi hoga."

"Achaa to ye hi Bata do ke larki chahiye kis tarha ki, meherbani karke ye mat kehna ke Aapke jesi. Ye main pehle hi sunn chuki Hun ab ki baar zra wazahat karo"

"Buss yehi Jo har mard ki khuwahish hoti hai ke uski biwi uske Sath Sath uske Ghar walon ko bhi apna maane in se muhabbat kare aur unki izzat kare. Aur zahir hai life partner ka intikhaab krne se pehle Jo initial cheeze mujhe dekhni hai vo ye hai ke vo meri aulaad ki achi tabiyat kar sakti hai Yaa nahi"

"Acha buss yehi dekhna hai; ye nahi dekhna ke khoobsurat hai parhi likhi hai independent hai ya nahi..?" Aina beghum ne use chaira..

"Khuda ko mano Amma khoobsurati ka achaar daalna hai Kiya; Jo cheezein bunyadi Hein unhein hi dekh kr agar samne wale ko judge Kiya jaaye to ziada behtar hai" us ne sanjeedgi se jawab diya..

"Shabash mujhe yehi umeed thi Daim Ali"..

"Bus aik baat ka khayal rakhiega ke aap jahan kahin bhi rishta le kr jaaen un se Keh dijiega ke mangni wagera ke chakkar main nahi rehna chahta. Seedha seedha Nikkah krlein ya phir rukhsati.." Ye bolte hue us ne mobile uthaya (galiban Kisi messenge ka reply diya).

"Han vese larki aur uske Ghar wale to aise hi Hain vo log bhi Nikkah wali baat pr aitraaz nahi karainge"

"Ammi..! Aap ne larki dekh bhi li?" Daim ne maa'n ke is jumle par jhat'ke se sar uthaya.

"Han aur nahi to kiyaa ab 26 ke hone wale ho naa, ab bhi jaldi na karun. bhaee Meri to khuwahish hai ke 6 mahine Baad Dua ke Sath Sath Aapke farz se bhi azaad ho jaaun naa.."

"Wahh yaar Kiya speed hai aapki vese manna parega" vo hanste hue bola.

"Poochoge nahi kon hai larki..?"

"Aap ne dhoondhi hai naa, poora bharosa hai mujhe aap par" muskura kar jawab diya.

"Achaaaaaa..! Iska Matlab hai ke main bataun bhi naa ke larki kon hai.. aap jaan'na bhi nahi chahte"

Daim ne muskura kar kaha "acha nahi Batana chah Rahi to naa bataein"

Vo bhi maa ko chira Raha tha(ta'ke vo khud Bata dein aur ye baat bhi Rahe ke us ne nahi poocha tha Amma ne khud bataya hai).

"Beta ye Kiya hota hai aap nahi Batana chah rahi'n..
Aap se pooch rahi hun aapko jaan'na hai..?"

"Acha bataein kon hai vo azeem hasti jise aapne mere Liye pasand Kiya hai" Aina beghum ne maani khaizi se use dekha to vo jheenp gaya.

"Yaar aap mujhe aise kion dekh rahi hain."

"Hahahhahaa Daim Sharma Rahe ho..?" Vo phirse use zich kr Rahi thi'n aur vo ho bhi raha tha..

"Acha Khair Daim Ali mujhe Aapke Liye Roha pasand hai......"

*****************

"Bhayya!" Roha ne pyar bhare lehje main pukara.

"Yes" Azlan ne jawab dia.

"Yaar bhayya wo Arsalan sarwar ne na kal soup ki video upload ki thi na wo boht acha lag rha tha. Aur peechay mamu ke ghar wale road pe hai"

"Han maine dekha hai to?"

"To ye ke itne din hogaye hain hum kahi gaye nahi hain kion na aaj chalen?"

"Jee nahi chup chap ghar main betho"

"Yar bhayya please naa, mera pyara bhai nahi hai le jao na pleasee. Mere dil ki duain lagengi dekhna itni achi bivi milegi apko" Roha ne apni tarf se poore makhan ki bar khali kar di.

"Roha please himmat nahi hai na"

"Yar bhayya aisa kar rahe ho? Aur dekho himmat ki to baat hi mat karna. Abhi agar apke doston ka phone agaya na to bhage bhage jaoge"

"Hahahahahaha" Moosa sahab hans pare.

"Baba please chalte hain naa!" Moosa sahab ne Azlan ko dekha aur jaise hi Roha ko signal mila ke han ka jawab ane wala hai wo poore josh se khari hogai aur "Yahooo!" ka naara lagate huye tayar hone chali gai.

Rozina sahiba ne kamre ki tarf jate huye Azlan ko mukhatib kia...

"Azlan jao bhaijan ko bhi bol do. Unko tayar hone main waqt lagta hai"

"Sorry mumma! Unko aap khud bol den warna phir lage ga main bakwas karne agaya hun"

Kamre se nikalte Azhan ke kaan main bhai ke alfaz sunayi diye to afsos se aankhen meech gaya apni galti ka shiddat se ehsas hua.

"Are ye agaya ajao Azhan balke ajao nahi jao tayar hojao hum soup peenay ja rahe hain" Moosa sahab ne kaha.

"Acha" jawab dia aur mur gaya.

Us ke murte hi Rozina sahiba ne ankhen dikhain Muhammad Azlan ko jis ne kandhe uchka diye.

"Mujhe danta tha na" wali nazar se kamre ke darwaze ko dekhne laga to Rozina sahiba muskura di.

***************

Continue Reading

You'll Also Like

61.9K 2.1K 41
Rohaan Dilawar Azeem Practicing Muslim Aspiring Lawyer Obedient Son and Loving Brother Passionate about career Hareem Raza Habib Practicing Muslimah ...
49.3K 3.9K 33
Arhan khan An engineer by profession but work as the ceo of India's biggest company. Everyone fears him as he has the worst temper . His life change...
1.2M 38.3K 25
Zayan Ahmed, one of the richest man of London.When Zayan found out that his brother committed suicide because a girl Alishba rejected his proposal.He...
48.5K 2.1K 23
Mujh sy shadi karogi tum."( you'll marry me.) He proposed to her in a serious tone. "That's not fair Arham bhai!" She whined. "It's Arham for you!" H...