دشمنِ جان سے جان تک!

By ArabiyaniSisters

56 2 0

A successful doctor Muhammad Azhan is in love with his cousin and wants to marry her but what happens when he... More

دیدارِ یار
Introduction
Gol Roti?
Muhammad Azhan ke dil main kiya hai?
Dil jure, Dil toote
Jon Elia ki collection

Dua fatima ka rishta

9 1 0
By ArabiyaniSisters

Azhan wapas aachuka tha aur is waqt sab dining par mojood they jab achanak Rozina beghum kuch yaad aane par Moosa sahab se mukhatib hui'n

"Are han sune'n wo main aap ko btana hi bhool gayi; Aina ka phone aya tha keh rahi thi ke Ibrahim bhai aap ko phone kar rhe hain magar aap ka number band ja raha hai"

"Mere phone main shayad koi masla hogaya hai aik do aur logo ne bhi yehi kaha hai ke mera phone band hai"

"Acha ye btao Dua wale mamle ka kia bana phir?" Moosa sahab ne poocha.

"Han bache lage hain chhan been main, samajh to araha hai laikin abhi final nahi hua"

Muhammad Azhan ulajh gaya. "Kis baat ki chhan been, kia hua hai?" Uljhi hui nazron se maa'n ko poocha.

"Are bhaee Allah na kare ke kuch ho. Dua Fatima ka rishta aya hai Ibrahim bhai ke dost ke koi rishte daar hain kaafi acha gharana hai. Shayad baat ban jaye"

Azhan par to mano ghar ki chhat gir gayi. Sar chakra kar reh gaya.

"Hain! Ye kab hua? Aur mujhe kisi ne btana bhi gawara nahi kia" Azhan ko apni awaz khaayi se aati sunai di.

"Beta aap ghoomne gaye huwe they na. Aur ye baat to do din pehle ki hai. Hum ne socha aap ajao phir aap ko btadenge" jawab Moosa sahab ki tarf se aya.

"Are yar aap logo ne itna serious mahol create karlia; choren sab bhaijan aap meetha to khalo maine khaas apke aane ki khushi main banaya hai" Roha sweet dish Azhan ki tarf barhate huwe kehne lagi.

"Nahi gurya bus maine khalia" ye kehte huwe uth khara hua. Andar aik toofan liye Muhammad Azhan ulajh gaya.

Aur idhar sab ghar walon ko Azlan ki baat par yaqeen agaya. Jo ab sab ko aisi nazron se dekh raha tha jaise keh raha ho

"Dekha hogayi na tasdeeq! Theek kaha tha na maine"

************

Ya Allah ye kia hogaya? Ab kia karun? Kia Ibrahim uncle han bol denge? Nahi nahi wo to abhi boht choti hai..... To kia hua agar choti hai; khala abhi sirf mangni bhi to kar sakti hain na.

Azhan ke dimagh main dhairon sawal uth'te. Khud hi jawab bhi ata aur khud hi un jawabat ki nafi bhi karta.

Saari raat sochte sochte guzar gayi ke kia kare. Fajr main Rab ke agey jhuk Kar apne liye khair o afiyat ka sawal kia. Phir uth par bed par daraz hua. Sochon ka silsila jaha se munqata hua tha wahi se bahal hua. Laikin phir sochte sochte neend ki aagosh main chala gaya.

Neend thi na, sooli par bhi ajati hai. Use bhi agai.

************

"Dekha mamma aap ko lagta hai main fazool bol raha tha aur aap ke us chhupe rustam bete par ilzam tarashi kar raha tha. Dekh lia khud aap ne?" Agle din Azlan sahab walida ke paas beth kar apni shikwo'n bhari kahani un ke gosh guzar karne laga.

"Haan bhaee maan lia aap ko. Laikin mujhe hairat hai Muhammad Azhan mujh se chhupa raha tha. Bta deta jo bhi dil main tha, maine konsa is ko mana karna tha ya baba ne isko kuch keh dena tha" Rozina beghum ne pursoch andaz main kaha.

"Ab main aik aur baat kehta hun. Abhi bhi kam az kam chaar din lene hain doctor sahab ne aap ke samne iqrar e muhabbat karne main" Azlan ne andaza lagaya.

**************

"Daim Ali!" Aina beghum ne awaz di.

"Jee" jawab aya.

"Beta mujhe aap se zaroori baat karni hai"

"Jee mamma bolen. Khairiat hai sab?" Pareshani se kehne laga.

"Han han Alhumdulillah sab khairiat hai. Dar asal main aur aap ke baba chahte hain aap ki shaadi karden. Mashallah se umer bhi hogai, khud mukhtar bhi ho to phir ab hum apne ghar ke afrad main izafa karden" Aina beghum ne bagair tamheed bandhe Daim Ali ke ke samne apni khuwaish ka izhar kia.

Aisy hi dosti thi dono maa'n bete main. Bagair jijhke aik doosre se har baat kar lete they.

"Mamma aap ko itni jaldi kia hai meri shaadi ki?"

"Khuda ka khof karo Daim. Ye jaldi hai?"

"Hahahahaha! Acha acha theek hai laikin fard ke izafe se pehle fard ko bhejne ke baare main bhi to sochen"

"Kia matlab?"

"Dua Fatima ko bhejen bhae ab boht hogaya. Ab hum kab tak us ke aan'su saaf karen. Usko bhejo uske apne ghar taake uska shohor saaf kia kare uske aan'su" wo mazahiya andaz main goya hua.

"Khair se Inshallah wo bhi apne ghar ki hojaye gi. Filhal main aap ki shaadi ki baat kar rahi hun"

"Acha acha theek hai laikin main chahta hun pehle hum Dua ke farz se azaad hojain phir meri shaadi ka sochen"

"Inshallah jab Allah Dua ke naseeb kholega to us ki bhi kar denge shaadi. Aap ye btao wese hi hum dono ke aapas ki baat hai" Aina sahiba raazdar ana andaz main kehne lagi.

"Koi pasand hai aap ki? Matlab agar aap ko koi pasand hai to btado taake mera kaam aasan hojaye"

"Allah ko mano mamma main aap ko aisa lagta hun kia?" Wo mu'n bigarta hua bola.

Aina beghum ne bazu par thappar mara aur kehne lagi "kia matlab aisa lagta hun, kisi ko pasand karne main koi harj nahi hai. Han najaiz ta'aluqat ka mana hai magar jaaiz tareeqe se apni pasand ko apna kar usey nikkah main lene par koi qabahat nahi hai"

"Nahi mummy aisay baat nahi hai"

"Acha to phir kaisi larki dhoondo main apne bete ke liye?"

"Mamma kia hogaya aap abhi rishta le kar ja rahi hain kia?"

"Hahaha! Nahi beta main isliye pooch rahi hun taake mujhe pta to chale ke main kesi larki dhoondo"

"Mamma har admi ki ki khuwaish hoti hai ke us ki biwi us ki maa'n jaisi ho. To jab aap ko apne jaisi larki mil jaye to beshaq mujh se pooche bagair mera rishta le jana mujhe koi aitraaz nahi hoga" Daim ali ne tafseelan jawab dia.

***************

Idhar Azhan par neendain, bhook, piyaas sab haraam ho chuka tha. Isi soch main tha ke maa'n se baat kare ya na kare.

Aisa nahi tha ke wo is baat se dare ke mamma mana kardengi. Bus ye dar tha ke khala doosri jaga han bolne lagi'n hain to agar unhone Azhan ko reject kar dia to.....

Bil akhir itne din ke soch bichar ke baad. . Azlan ke andaze ke ain mutabiq theek chaar din baad Muhammad Azhan is nateejay par pochncha ke aaj mamma se baat kar lega.

****************

"Ibrahim, maine kar li hai Daim se baat. Kal raat ko hi ki hai aap so gaye they to maine socha main abhi bta dun" subha Ibrahim sahab office jane se pehle nashta kar rahey they jab Aina sahiba ne unhen btaya.

"Acha, yaqeenan us ne mana nahi kia hoga, tumhari jo khuwaish hai. Kion Noor theek keh raha hun na?" Unhone shararat se poocha.

"Jee nahi" jawab diya.

"Kia matlab nahi! Mana kar dia tumhare bete ne?" Un ka andaz shararti aur chairne wala tha.

"Aik mint aik mint, brake par pair rakhen. Aur ye kia aap ne mera beta mera shehzada laga rakha hai. Aap ka kuch nahi lagta kia beta Daim Ali?" Chir kar aitraaz kia gaya.

"Jee jee mera to lagta hai Mashallah se wo beta, laikin wo kia hai na ke tum hum baap bete ki dosti ke beech main agai ho" Daim Ali ko waha par aata dekh kar wo zra jatane wale lehje main bazahir to wo beghum se keh rahe they laikin dar asal wo bete se keh rahe they.

"AssalamOAlaikum" dining table par pohnch kar salam kia.

"WalaikumSalam" dono mia'n biwi ne sath jawab dia.

"Aao aao barkhurdar aap hi ko yaad kar rhe they abhi hum" Ibrahim sahab ne kaha.

"Jee jee maine suna kin mubarak jumlon main aap mujhe yaad kar rhe they baba" mu'n bana kar kehne lage.

"Acha bhaee kia btao kia jawab dia aap ne apni mummy ko?"

"Baba aap mumma se hi poochlen"

"Kion beta jee kia aap mujhe nahi bta sakte?" Eyebrow utha kar sawal kia gaya.

"Nahi aisi baat nahi hai. Um aa wo dar asal baba main chahta hun ke pehle hum Dua ke farz se azad hojain phir meri shaadi kar dena" tafseeli jawab dia.

"Hmmm! Soch to boht achi hai laikin bache hum kon sa kal dulhan le ayenge? Aur saare procedure main time lagta hai. Mangni to kar hi sakte hain na" qail karne ki koshish.

"No no no baba never! Dekhen aaj nahi kal sahi, kal nahi aik saal baad sahi aap mangni wangni ka chakkar na rakhen please ye request hai. Aap ya meri shaadi kar dena ya nikkah. Kion ke ye khurafat mangni wagera mujhe bilkuk nahi pasand" wo mangni wali baat par hathe se ukhar gaya.

"Are bhae choro nashta karo. Baki baaten baad main krenge. Kia khana hai Daim?" Muhabbat se maa'n ne sawal kia.

"Haan jee agaya Daim. Ab tumhe kaha nazar aonga main. Ja raha hun main" Ibrahim sahab khare hote huye bole.

"Are baba baba kia hogaya hai aap kion mere jaani dushman bante ja rahe hain din ba din!" Wo chir kar bola.

"Kion ke tum din ba din meri bivi se attach hote ja rahe ho" du badu jawab aya.

"Acha bhaee beth jayen aap hi beth jayen main chala jata hun bus?"

"Daim meri jaan choro apne baba ko ye fazool main aap ko zich kar rhe hain. Aur aap ho bhi rahe ho. Mujhe btao paratha khaoge ya bread?"

"Paratha hi laa den jaldi se mujhe boht bhook lag rahi hai"

"Abhi laati hun. Aur aap khabardar jo ab aap ne isko tung kia to" bayak waqt dono ko mukhatib kia.

Daim Ali ne baap ko jatati nazron se dekha. Jab ke wo muskura kar bahar ki janib barh gaye.

Wo bhi kitchen main maa'n ke paas agaya.

"Kia kaha tha mumma aap ne baba ko?"

"Main ne kuch kaha hi nahi. Mere kuch kehnse pehle hi un ke shikwe aur shikayatain shuru hogain" wo mu'n bana kar boli'n.

"Hahahahahaha!"

"Badtameez! Daim sharam nahi aati? Baap par hans rahe ho"

"Mumma aap bhi to aisay mujhse unki shikayat laga rahi hain. Ab main aur kia karsakta hun siwaye hansne ke"

"Khabardaar jo mere shohor par hase to"

Hairan hote huye maa'n ko dekhne laga.

"Hogaya nashta tayar chalo ab bahar"

"Chalen" kandhe par hath rakhte huye maa'n ke sath dining par aaya.

***********

Door bell ki awaaz pr Rozina beghum kitchen se nikal kr darwaze pr gayi'n.

Ghar main is waqt koi nahi tha Roha coaching, Azlan apne doston mai aur Moosa sahab office the..

Darwaze par Muhammad Azhan ko dekh kr unhon ne forun gate khola ur pareshani se Azhan ki trf dekh kr kaha.

"Muhammad Azhan, bachche khariat is waqt Ghar pe. Tabiyat to theek hai naa..?"

"Jee Amma main theek Hun, vo dar asal zara Kuch kaam hai aapse aap free Hein..?"

"Han bus 5 minutes phir free hun. Aap bhi fresh hojao tb tk, ye batao Kuch khaoge..?"

"Jee khila dein; kasam se bht bhook lag Rahi hai subah se Kuch nahi khaya" maasoom admi ne masoomiyat se jawab diyaa....

"Achaa, Chalo jao fresh ho mai Noodle banati hun"

"No Amma noodles nahi yaar, kitni dafa aap logon ko mana kiya hai matt khaya karein usko magar nahi koi sunta kaha hai; chiraagh tale andhera. Main patients ko mana krta Hun khane ke liye aur Yahan mere Ghar wale Meri nahi sunte" khaalis doctors Wala lehja..

"Acha baba nahi laati noodles jao fresh ho main sandwich laati Hun"

Vo kitchen ki taraf JB ke Azhan kamre main chala gaya.

Thori dair Baad Rozina beghum Khana Liye kamre main Aayi to vo baazu aankhon pr rakhe bister pr Neem daraz tha.

Maa'n ko aata dekh kr uth kr baith gaya aur unhon ne bed pr dish rkh di aur khud kamre main mojood sofe pr baith gayi'n.

Azhan ne khaane ke darmiyan kaafi Baar unko mukhatib krne ki Koshish ki magar phir bhi bol nahi pa Raha tha..

Bil akhir khane se free ho kr us ne plate side table pr rakhi aur Pani pee kr khud ko compose Kiya.

Uth kr maa'n ke saamne Zameen pr baitha aur unke dono hath apne mazboot hathon me Liye..

"Mummy mujhe aap se aik zaroori baat krni hai"

"Han Meri jaan bolo main aapko sunne hi to baithi hun, Kaho Kiya kehna chahte ho"

Unke is qadar barah e raast sawal poochne pr vo confuse hone Laga tha Aisa nahi tha k vo maa'n ke reaction se darta tha buss use rejection se dar lagta tha kion ke Dua Fatima ka is waqt rishta aik bht achi jaga se aaya tha, ain mimkin tha haan hojae bus yehi baat use dara Rahi thi aur vo izhaar nahi kr paa Raha tha.

"Mummy vo main ye Keh Raha tha ke naa,.... Asal main vo.."

"Muhammad Azhan ab aap mujhe pareshan kr Rahe ho, Keh bhi chuko Kiya kehna chahte ho. Khul kr batao Kiya pareshani hai kion itni si shakal Nikal Aayi mere bachche ki"

"Vo aap Bata rahi'n thi'n ke Dua Fatima ka rishta aaya hai kahin se; Kiya bana uska..?"

"Kar Rahe hain Murtaza aur Daim chaan been, aap usko choro apni baat karo aapko Kiya kehna tha"

"Mumma aapko Dua Fatima kesi lagti hai" bil akhir sawal kr hi diya.

"Lo bhaee us mein bura lagne Wala Kiya hai, bht achi hai vo akhir Meri bhanji hai mujhe to achi hi lagegi"

"Nahi vo wali achi nahi vo doosri tarha Mera matlab hai me... Yaar Amma aap samajh kion nahi rahi'n" jhujhla gaya tha vo

"To aap smjha nahi Rahe naa aap Kiya Keh Rahe ho mujhe Kuch nahi smjh aaraha.."

"Main umm wo mujhe ye kehna thaa ke main dddduaaa fatimaa ko pasandd krta Hun aur us se Nikkah krna chaahta Hun" zuban larkharai thi... Keh kr us ne taizi se aankhein band kr di..

Chand seconds Baad aik aankh khol kr us ne maa'n ko dekha.. aur aisa krna tha k Rozina beghum ne hansna shuru Kiya aur hansti chali gayi'n..

"Yaar mamma aap Hans Rahi Hain main aapse itni serious baat kr Raha Hun"

"Hhhhahahhaa main nahi Hans Rahi Azhan aik second... Hahhahahhaaa"

"Jaaei'n mujhe aapse baat hi nahi krni" narazgi se kha gaya.

"Arrey arrey aik second, mujhe hansi is baat pr aarahi hai k sheher ka itna mash'hoor Doctor apni maa'n se baat kr Raha hai aur baat krke aankhein aise qabootar ki tarha bnd ki Hein jese sb kuch khud khud hojaega" pehle hanste hue aur akhir main sanjeedgi se kaha gaya..

"Maine kabootar ki trha aankhein nahi bnd ki main bus ye soch Raha tha ke aap ye na sochein ke main bhi aisa kaam kr skta Hun"

"Aise kaam se Kiya muraad hai; Kisi ko pasand krna aur usko jaaiz tareeqe se apna bana Lena koi ghalat baat nahi;
Khair Kiya Keh Rahe the aap Dua fatimaa, lekin Azhan uska to rishta aaya hua hai aur ain mimkin hai han bhi ho jaaye.." Sawal, vo bhi jaan lewa

"Nahi mummy aisa nahi ho skta aap rokein naa isko please aap rok skti hai tabhi to aapko Bata Raha Hun naa, Kuch karein"

"Aapko Bata Raha Hun to aise Keh Rahe Ho jese ehsaan ho, ab to batana hi thaa naa ..
Pehle Bata dete to nobat Yahan tk na aati naa ab jab haddi phans gai gale mai to aakr Keh Rahe ho ke isko Nikal dein" unhon ne achi khasi mitti palaid ki uski.

"Acha naa Amma yaar Meri jaan at'ki hui hai please aap baba ko aitmaad ko main le kr khala ko rokein naa"

"Acha theek hai main Kuch krti hun, lekin aik baat yaad rkhna Azhan main Koshish krungi lekin koi umeed nahi dikaa Rahi main apna 100% daal skti hun magar Aage Aapka naseeb; dair aapne khud ki hai to agar koi unch neech hui to khud ko tayar rkha Kisi bhi cheez ke Liye.." intihai saffak lage the Azhan ko ye alfaz lekin choon'ke kasoor uska tha to ye to haqeeqat hi hai.

"Jee magar aap Koshish kriega naa k faisla mere haqq mai ho" aik aakhri Baar iltija ki gai...

"Hahhahaha Azhan kese aankhein band ki thi naa, Hahhahahhaa" unhen aik Baar phir se hansi aagayi thi Azhan ki masoom harkat pr...

Akhir main unhon ne apne khoobru bete ki Roshan jabee'n pr bosa diya to vo phir uth khara hua Zameen se, us ne bhi maa ke sar pr aqeedat se lab rakhe aur namaz prhne ki garz se wuzu krne chala gaya jab ke Rozina beghum kitchen main chal di'n.

Continue Reading

You'll Also Like

2.5K 107 13
It is believed that destiny plays an important role in bringing two people together 🍃 whether they're miles away from each other if they're meant to...
45.3K 2.1K 63
Koyal and Vardhaan, two individuals, were tied together in a knot by their families. Unknown with each other, one marries out of responsibility and t...
133K 13.3K 32
☾ featured ~ ❝Empty chest and misplaced heart, what can fix them if not love?❞ ☾ Started: January 15, 2021. Completed: May 27, 2021.
10.8K 560 29
Ranked no.3 #islam Ranked no. 7 #turkey Ranked no. 3 #islamiclovestories "You have two choices, you either divorce your wife and get your father's la...