دشمنِ جان سے جان تک!

By ArabiyaniSisters

56 2 0

A successful doctor Muhammad Azhan is in love with his cousin and wants to marry her but what happens when he... More

دیدارِ یار
Introduction
Gol Roti?
Dua fatima ka rishta
Dil jure, Dil toote
Jon Elia ki collection

Muhammad Azhan ke dil main kiya hai?

5 0 0
By ArabiyaniSisters

Vo dono is waqt kitchen main sar ghusaye tabar tor mehnat kr rahi'n thi'n.

Menu bhi khud hi decide Kiya gaya tha kion ke jb wo Rozina begum ke pas gaye to unhon ne ye jawab de kar taal kr diya ke "bhae Khana pakane se ziada kiya pakana hai ye sochna mushkil hai aur ab jb ke mere shohar ne mujhe mukammal aaram krne ko kaha tha to ye sb se mushkil kaam to mai nahi krne wali, tum logon ko jo krna hai khud karo".

Bil aakhir teh ye hua k Roha Biryani, Dua Fatima chicken Handi aur sweetdish dono mil kr banainge..
Poore din ki an'thak mehnat ke baad raat ko khane ki tayari ki gai.

Mard hazrat jb ghar mai dakhil hue to khane ki dil faraib khushboo ne sab ke dil moh Liya.

Dining par aate hue Azlan ki rag e zarafat pharki to us ne kaha "Baba wo kon si dua hoti hai jisko parhne ke baad khana khaya jaye to agar zeher ho tab bhi asar nahi karta?"

Jis par sab hi hansne lage samait Dua aur Roha.

halanke khane ki Khushboo intihai dil faraib thi ye kehna na mumkin tha k ye khana zaiqe daar nahi hoga, is baat ka iqrar Azlan bhi dil mai kr chuka tha magar samne bil akhir do behnain baithi thi aur behnon ko tang krna bhaiyon ka farz hota hai.

Dua foran boli "Dekhna Azlan Bhai aap na ungliyan chaat'te reh jaainge"

"Mera beta phir to ye aapki bhool hai kion ke main khana spoon se khata hun" jawab hazir tha.

"Achaaa to Azlan bhai aap salan roti bhi spoon se khate hain?" masoomiyat ke saare record torte hue sawal  agaya.

Sb se ziada khatarnaak qehqaha is baar Azhan ka tha.

Sb log bari rugbat se kha Rahe the aur Dua ka kaha hua Sach hi hua tha kion ke Azlan maamool ke mutaqib boht Kam salan roti khata tha ziada tar vo chawal Wala item prefer krta tha magar is waqt vo achi khasi roti khaa Raha tha.

Biryani ka session jab chala to Azlan ne pehle luqma daalne ke Baad hi khansna shuru krdiya aur Roha ke chahre ka rung urr gaya.

Forun bhai ko paani diyaa.

Shumai qismat ke biryani ka sb se pehle niwala Azlan sahab ne Liya thaa.

Biryani bhi dat kar Khai gai.

"Azhan Bhai vo glass pass kr dain"  Pani ka glass Dua Fatima ki pohonch se kaafi door Azhan ke pas rakha hua tha...

Glass ps Kiya gaya lekin idhar Azlan miyan ki rag e zarafat phir se baidaar hogai...., bajae bhaijan kehne ke us ne Azhan ko Kuch is trha mukhatib kiyaa

"Azhan Bhai zara biryani ki dish pass krdainge please" Azhan ne chup chap pass krdi aur uth khara hua.

"Kiya hua khaya nahi aapne Azhan" Rozina beghum ne kaha

"Nahi mummy mera hogaya, maine khaya hai sab" wo uthne Laga.

"Bhaijan custard bhi to lo naa yaar itni mehnat se banaya hai" Roha ne kaha.

"Nahi yaar buss mera pait bhar gaya main baad main kha lunga ye" Azhan ne kaha.

"Nahi Azhan Bhai aapko abhi hi Khana chahiye akhir ko hamari behnon ne itni mehnat se banaya hai" Azhan ki bardasht buss yahi tak thi, aik zor dar taang table ke neeche se Azlan ko raseed ki gai jis pr wo tarap utha thaa.

Azlan ki baat ki taeed krte hue dono larkiyon ne zor o shor se sar hilaya jis pr charo na char use sweetdish leni pari.

"Bhaee Maza hi agaya bachiyon dil khush kr diya dono ne; Allah aap dono ke naseeb ache kare bara hi lazeez Khana banaya hai aap logon ne" Moosa sahab ne khulle dil se dono ki tareef ki jise dono ne muskura ke wasool Kiya.

Unki dua par purjosh tareeqe se sb ne aameen kaha.

********************

Daim Ali ko is waqt jabran khala ke Ghar aana para kion ke Dua Fatima ko ab ghar ki yaad aarahi thi aur choonke khala ka ghar uske raaste main tha to vo lene aagya thaa.

Halanke us ne maa'n ko kaafi baar kaha ke Murtaza ko bhaij dein magar unhon ne daan't kr Kuch yun kaha

"Aye bawle hogaye ho daim, raaste main parta hai khala ka ghar lete aana behen ko chup chap" khataak se phone band kr diya gaya.

Aur is waqt wo khala ke ghar ke gate pr khara tha aur jb ke andar se awaazein musalsal aarahi thi jis main ziada awaaz Roha ki thi.

Ya phir yun keh liya jaaye k sirf usi ki aarahi thi wo Azlan pr cheekh rahi thi "Ruk jaa bhayya ke bachche tumhe to main chorungi nahi, aakhri Baar Keh Rahi hun mujhe meri diary wapis kr do wrna acha nahi hoga!"

Azlan ki trf se jawab aaya "lelo meri jan le skti ho to" wo phirse uske peeche bhaagi aur bil akhir bebas hokar sofe pr baith gai.

"Aane do raat ko bhaijan aur baba ko wohi theek karainge aapko"  Azlan ko dhamki lagai.

"Oh main to darr gya dekho meri taangein bhi kaanp rahi hai mujhse khara bhi nahi raha jaaraha" jis pr teeno hansne lage aur bell ring hui.

Roha ko Laga ke Rozina beghum hongi jo ke is waqt bazar gai hui'n thi'n.

"Jaa yaar darwaza kholo Dua" Roha ne Dua ko kaha aur aik baar phir se Azlan ki minnat kr Rahi thi.
(dar asal wo aik intihai qeemti diary thi jo ke is waqt Azlan ke hath lag gai thi)

Dua gate kholne chali gai.

Gate kholte hi samne apne bhai dekh kr aik bhar poor muskurahat Dua ke labon pr aagai.

Purjosh tareeqe se salam daga.

"Assalamualaikum bhaijan!"

"Walaikum salam, aagai naa yaad ghar ki do din main, Dua meri baat mano mat jaya Karo kisi ke ghar rukne, khud jaati ho aur do din baad hamari dorein lagwati ho..."

Mu'n bana kr Daim ne kaha jis pr Roha khilkhikai.

Ye guftugu unki ghar main dakhil hoti huye hui thi ab wo dono ander aachuke the.

Roha bibi jo ke is waqt bebasi se aik baar phir se sofe pr baithi, entrance ki taraf uski peeth thi is Liye vo dekh nahi paayi ke aane wali uski ammi nahi balke ammi ka bhanja hai.

"Ammi aap, apne bete ko samjha lein nahi to raat ko inki babaaaa...."

Baaqi ki baat mu'n main hi reh gai kion ke samne ammi to thi'n nahi albatta unka bhanja sanjeeda taasuraat liye khara hua thaa.

Uska tape bnd hota dekh Dua ko bht hansi aayi magar zabt kr gai jab ke wo ahista se side hoti kitchen main chali gai aur Azlan Daim se hath milata usko drawing room mai le gaya.

"Hahhahahhahahahaaa! Roha tum aik dum se chup aise hui jese Kisi ne tape bnd Kiya ho; Hahahahahaaa!!"  Roha ki halat aur shakal dekh kr Dua hanse jaa rhai thi.

"Badtameez, behuda, besharam tumhein sharam to aahi nahi Rahi; bol nahi skti thi tum ke wo aaye hain main samjhi ammi hain" Roha ko sharmindagi horahi thi.

"Kon Aaye hein Roha..?" Dua Fatima is waqt Roha ka record laga rahi thi.

Ye dono behen bhai us waqt is ko confuse krne ki thaane hue the (behen apni baaton se, Bhai apni amad se)

Aur vo bichari jaldi jaldi mehmaan nawaazi ke taqaze poore krne ke liye aane wale ke Liye chai banate ka ehtamaam kar rahi thi.

Itni dair main Rozina beghum wapis aayi aur unhon ne zabardasti use khane pr ye keh kar rok liya k wo Eid ka chaand hai kabhi aik adh baar ghar aata hai. Ab jab ke vo aagya hai to phir khana khaye bagair nahi jaane daingi.

Khala ke is qadar israar pr wo ruk gaya aur khana kha kar dono behen bhai ghar jab aaye. Roha beghum ki zaban Daim Ali ki mojoodgi mai zara kam chal rahi thi...

***********

Muhammad Azhan ko Dubai gaye hue aaj 5 din ho chuke the, jaate hue Rozina beghum use kitni hi dair gale lagae baithi rahi'n.

Jawan aulaad thi aur par des jaa rahi thi chaahe Kuch din ke Liye hi sahi magar jaa to raha thaa maa'n ka dil tha naa boht udaasi se dharak rha tha.

Wo bhi maa'n ko dekh kr udaas hogaya tha jaan thi uski maa'n uski aur wo udaas thi'n.

Waqt kab kisi ke liye ruka hai uska to kaam hai urr jana aur wo 5 dinn ura le gaya.

Ghar walon ki Azhan ne rozana baat hoti thi...

Aik dinn shafaq jab maa ke ghar aayi to Zawiyaar miyan ne apni khala ko mamu se baat krte dekha to uske hath se mobile cheena aur mamu se apni totli zubaan mai baatein krne lag gaya.

"Assalamualaikum maau'n (Assalamualaikum maamu)"

"Walaikum salam Mamu ke prince, kese ho"

"Mai theet hu, aap wapis tab aao de(main theek Hun aap wapis kab aaoge)"

"Kion jee aap mamu ka wait kr rahe ho..?"

"Nai chtolates ta wait tal laa hu(nahi chocolates ka wait kr Raha Hun)"

"Hahhaha! Aap ko kis ne kaha k main chocolate laaunga Aapke Liye"

"Mummy ne"

"To mummy ne ye kaha tha k main unke Liye laaunga Aapke Liye to nahi"

"Tun mammy te Liye mele Liye nai(kion mummy ke Liye mere Liye nahi)"

"Kion ke mujhe mummy ne bataya tha aap unko tang krte ho"

"Nai krta mai" saaf mukar gaya tha wo.

"Acha zawiyaar chocolates chahiye ya phir toy car chahiye..?"

Andar aati shafaq ne suna to Zawiyaar se pehle bol pari.

"Na chocolate na toy is ne aaj bht Tung kiya hai mamu aap is liye kch nahi lana"

Sath hi sath Zawiyaar ko bhi kaha.

"Bolo mamu nahi lana kuch main mummy ki baat nahi maanta"

"Kion bhaee champ kion pareshan krte ho"

"Attha ab nai talun ga (acha ab nahi karunga)"

"Hahhahaa ab matlab ki baat aayi to seedhe hogaye" hanste hue kaha to zawiyaar bhi khisya gaya.

"Maau'n chotolate bi aur toy bi; mummy to tung nai talunda (mamu chocolates bhi aur toys bhi mummy ko tung nahi krunga)"

Dono behen bhai hansne lage aur phir Azhan ko Khuda Hafiz krta apne guru (Azlan) ke pas bhaag gaya, baqol Azhan aur Shafaq ke (shaitan aur uska chaila)...

Phir shafaq ne kuch dair bhai se baat karke phone band krdiya.

****************

"Noor" Ibrahim sahab ne ehlia ko pukara.

Is waqt Dua apne walidain ke paas bethi baatain kar rhi thi.

"Jee"

"Baat ki tum ne Daim Ali se?"

"Nahi na abhi nahi ki moqa hi nahi mila"

"Acha chalo munasib waqt dekh kar karlena"

"Kia baat karni hai bhaijan se?" Dua ne guftugu main apna hissa dala.

"Bhaee aapki mamma ka khayal hai ke aap ke bhaijan ki shaadi karden" Ibrahim sahab ne beti ko btaya.

"Are wahh! Waise mamma larki mil gai kia aap ko?"

"Nahi abhi dekhi kaha hai pehley Daim se uski marzi jaan lun phir dekhte hain"

"To meri pyari ammi jaan ye konsa mushkil kaam hai; bhaijan ne apki baat se pehley kabhi inqaar nahi kia to wo aisa ab kion kar denge? Waise agar aap gussa na ho to main aik larki btaon?"

"Pooch to aisay rahi ho jaise mere gusse se boht darti ho na; baap ke samne bhola pan dikha rhi ho" Aina beghum ghoorte huye kehne lagi'n.

"Acha naa serious kion ho rahi hain aap! Aap ye btain ke Roha kaisi lagti hai bhaijan ke liye?"

"Hmmm! Nice choice. Bhaee mujhe to koi aitraaz nahi hai main to waise bhi ye chahti thi ke Daim ya Murtuza ke liye usey laongi. Laikin Daim Ali ke liye bilkul perfect hai. Ghar ki bari bahu suljhi hui aur samajhdar hogi to mere ghar ka sheraza nahi bikhrega" Aina beghum ne apni raye di.

"Baba aap btain?" Dua ka rukh ab baap ki janib tha.

"Jaisa tum logo ko theek lage karlo, bus mere bache se us ki marzi poochlena" unhen Dua ki raye pasand aye.

"Han main aaj hi baat karti hun us se"

"Mummy mere samne kijiye ga"

"Nahi bilkul nahi main us se akele main baat karungi"

"Mummy please naa!! Baba mummy se kahen na"

"Nahi aap ki mummy theek keh rahi hain in dono ko akele main baat krne do. Bhaijan mummy se ziada attach hai to agar unke dil main koi bhi baat hui wo keh denge laikin aap ki mojoodgi main wo jijhak ka shikar hojainge"

Dua Fatima ne samajh kar sar hiladiya.


********************

"Mummy!" Azlan ne maa'n ko farigh dekh to paas chala aya.

"Haan Azlan kaho"

"Aap se mujhe boht zaroori baat karni hai"

"To beta kaho na main sun rahi hun"

"Mummy aap ko nahi lagta bhaijan ke dil main kuch kuch hai?"

"Kia matlab kuch kuch? Dekho Muhammad Azlan koi fazool baat na karna mere bache ke bare main"

Rozina beghum ne pehly hi bawar karwa diya. Muhammad Azlan pehle to gor se maa'n ko dekhta raha phir khara hogaya.

"Mummy aap ko bhaijan ke ilawa kuch nazar hi nahi araha. Aap ke shehzade ke kaam ki hi baat kar raha tha; magar ab nahi btaonga. Ab aap usi se poochna, jaise ab tak chupa raha hai agay bhi nahi btaiga"

"Acha na ziada nakhre na dikhao betho wapas aur seedhi tarhan btao kia baat hai?"

Azlan gehri saans leta wapas bed par betha aur mud'de par aya.

"Mummy main full tehqeeq aur chhaan been aur mukammal gor o fikr ke baad aap se ye baat kar raha hun ke aap ka shehzada jo hai na bara hi koi chupa rustam hai"

"Muhammad Azlan seedhi tarhan btao warna acha acha nahi hoga! Kab se fazool bole ja rahey ho" wo aankhen dikhate huye kehne lagi'n.

"Mamma jee bhaijan na aapki bhanji Dua Fatima ko pasand karte hain. Abhi se nahi boht pehle se laikin yeh baat unhone kisi ko bhi nahi btayi; maine bhi khud tehqeeq ki hai aur aap ke ilm main la raha hun"

"Muhammad Azlan aap itni bari baat kaise keh sakte ho! Dekho agar ye mazak hai to boht hi bura hai"

"Mamma main mazak nahi kar rha, aap chaahe'n to tasdeeq kar len"

"Tasdeeq? Wo kaise!" Wo foran mutajsus ho kar kehne lagi'n.

Itne main Moosa sahab bhi wahi'n aagaye. Muhammad Azlan ne unhen poora maamla btaya.

****************

Continue Reading

You'll Also Like

7.1M 238K 106
They are married, but not a couple. . . They are Husband and Wife, but complete strangers. . . What will happen when their worlds collide together? ...
22.4K 1.5K 21
In the third year of her doctorate degree, right before her Gynea exam, Mashal is abducted. The long buried family secrets unfold, rendering Mashal...
62.1K 2.1K 41
Rohaan Dilawar Azeem Practicing Muslim Aspiring Lawyer Obedient Son and Loving Brother Passionate about career Hareem Raza Habib Practicing Muslimah ...
10.8K 560 29
Ranked no.3 #islam Ranked no. 7 #turkey Ranked no. 3 #islamiclovestories "You have two choices, you either divorce your wife and get your father's la...