دشمنِ جان سے جان تک!

By ArabiyaniSisters

56 2 0

A successful doctor Muhammad Azhan is in love with his cousin and wants to marry her but what happens when he... More

دیدارِ یار
Introduction
Muhammad Azhan ke dil main kiya hai?
Dua fatima ka rishta
Dil jure, Dil toote
Jon Elia ki collection

Gol Roti?

10 0 0
By ArabiyaniSisters

"Or bhae Dua Kiya Kiya bana leti ho aap?"  Moosa Sahab ne poocha.

"Vese to uncle sab bana leti Hun, bus gol rotiyan nahi banti mujhse, duniya ke saare mulkon ke naqshe ban jaate Hain" Dua ne jhut se apne hathon ki maharat se Moosa sahab ko agaah Kiya.

"Achaa achaa Chalo aajayegi gol roti bhi banana" Moosa Sahab ne hausla afzai ki.

"Vese mamma aur Roha bana leti Hain gol rotiyan is Liye masla nahi" Azlan besakhta bol utha.

Azhan ne chonk kr Nazar Uthai, dono ki nazrein mili'n Azlan muskura kr nazrein phair gaya.

"Hein kiyaa matlab..?" Dua ne poocha.

"Arrey larki Kuch nahi" Azlan ne jaan churwai

"Ajeeb Hain!" Dua ne Azlan ko ghoorte hue kaha.

"Acha chalo ab meri dono betian zara meri baat sunlen" Moosa sahab ne Roha aur Dua ko mukhatib kia.
Dono ne bayak waqt unki janib dekha.

Moosa sahab ne apni baat aagey barhai "kal mujhe apni betion ke hath ka paka khana khana hai, aap dono ko kafi kuch pakana agaya hai. Ab bus kal to meri beghum ke aaram ka din hona chahye..."  Moosa sahab apni khuwaish btane ke baad Rozina sahiba ko dekh mazahiya andaz mai goya huye.

Rozina sahiba shohor ke is jumle par pehlu badal kar reh gayi'n.

"Mamma ka araam? Huh wo to Azlan sahab ki mojoodgi main zara mushkil hi hai Baba aap aisi umeedain na rakhen" Muhammad Azhan jo kab se khamosh tamashai bana hua tha bilakhir bol para.

"Kia matlab hai is baat ka? Doctor sahab aap directly Dua ke mu'n par us se ye keh sakte hain ke aap ko uski cooking skills par bharosa nahi hai!" Azlan ne bare bhai ke jumle par aankhen ghoomai'n.

"Mera wo matlab nahi tha, main ye keh raha hun ke aap ki mojoodgi main meri walida ko aram nahi mil sakta" Azhan ne ghabra kar jawab dia ke kahi Dua is baat par rona na shuru kar de.

"Bhaijan phir aap safai kion de rhe hain?" Roha ne bare bhai se daga karte huye chote ka sath dia.

"Gurya mera wo matlab nahi tha. Aur Dua in dono ki baat na sunna in dono ki to adat hai fazool bolne ki, main to kal aap ke hath ka hi bana khana khaonga" Ye keh kar usne apne kamre ki janib qadam barha diye.

Moosa Sahab aur unki ehlia bachon ki nokjhok dekh kar inki khushi ke liye dua go huye.

"Mamma main neeche jaa raha Hun thori dair main aa jaunga mere pas keys Hain aap sojana be fikr hokar" Azlan ne walida se kaha.

"Lekin bachche abhi to Aaye Hain phir se Kahan jaa Rahe ho?" Rozina sahiba ne fikr mandi se poocha

"Mamma neeche hi Hun aajaunga thori dair mai" maa'n ki baat pr muskuraate hue unka maatha chooma aur Aage brha hi tha ki Dua madam ne awaaz di

"Azlan Bhai.."

"Jee?"

"Aapko Kuch yaad hai..?"

"Kiya..?" La ilmi se jawab diya

"Ya Allah Azlan Bhai aap Bhool gaye!" Dua ne afsos se kaha.

"Dua beta jaldi bolo Kiya Keh Rahi ho mujhe phir Jana hai dair ho Rahi hai".

"Azlan Bhai aapne ne kaha tha k ab jab bhi main rukne aaungi to hum log ice-cream khane jaainge..." Dua ne pichli Baar ka Kiya hua waada Azlan ko yaad krwaya

"O hann main Bhool gaya tha, Chalo Kal chalainge.. nahi aik kaam krte hain next week main JB khala aaingi na tb chalainge" Azlan ne jhut se Naya plan bataya

"Acha thk hai" Dua mun bisor gayi.

"Agar aapko Ice cream khani hai to main abhi neeche se la deta Hun" Azlan ne jhoote mun offer de daali (jaanta tha Dua mana krdegi)

"Nahi nahi hum log agli Baar chalainge JB mummy bhi hongi" Dua ne forun kaha.
(Azlan ki ain tawaqqa ke mutabiq Jawab aaya aur vo muskurata hua palat gya)

Baaqi sb bhi Apne Apne kamron main chale gaye.

4 kamron pr mabni ye Kazmi house is ghar ke makeenon ki muhabbat se Kisi shahi mehel se Kam na tha..
Bil akhir Dua aur Roha ko raaz o niyaz ka moqa mil hi gaya. Ab dono thi'n aur poori Raat koi rokne tokne Wala na hi, tung krne Wala ye raat in ki baaton ki nazar hone wali thi..


******************

"Ibrahim! Sune'n" Aina beghum ne TV ke samne brajman Ibrahim Ali ko pukara.

"Hmm" news main magan Ibrahim sahab ne apni beghum ki pukar ka jawab kuch aisay diya.

"Aik to aap news dekhte huye dunia jahan se baigana hojate hain na mujhe sakht chir hoti hai" unhone afsos se kaha.

"Isi liye mujhe tumhe chirane main boht maza ata hai" Ibrahim sahab beghum ka tapa hua chehra dekh kar mazeed tapa dene wali muskurahat chehre par saja kr bole.

"Ibrahim please mujhe zaroori baat krni hai!"

"Yar Noor aik to tum mujhe boht tung krti ho" wo mu'n bana kar bole.

"Acha ab bol bhi do kia chal rha hai dimagh main?"

"Main soch rhi hun kion na hum Daim ki shaadi kar den; khair se 25 saal ka hone wala hai. Apka bazu bhi ban chuka hai. Kia khayal hai apka?"

"Hmm! Khayal to tumhara beshaq acha hai lakin sahabzade se bhi poochlo kahi usey aitraz na ho aur sath sath uski pasand bhi poochlena".

"Jee nahi dekhna aap mera beta meri khuwaish kabhi nahi taalega. Mera shehzada meri baat foran maanega" bete ka zikr karte huye aankhen chamak aye thi; bare maan se unhone ye kalmaat ada kiye.

"Bus kar do ab Daim nama na shuru kar dena, jab se dunia main aya hai tumhari nazar main meri to koi ahmiat hi nahi rahi; utho yaha se ab mujhe news dekhne do".

"Uff Allah! Dekhte rahain idhar beth kar news aur mere bete ke mamle main to aap shuru se hi aisay karte hain; mujhe uski tareef hi nahi karne dete. Hunh!" Wo masnui khafgi se kehte uth gayi'n aur Ibrahim Ali Sahab unki shakal dekh kar reh gaye. Jaise Daim se unka koi rishta hi na ho laikin phir maa'n bete ki walihana aur dewanawar muhabbat dekh kar muskura diye.

*******************

"Waise Roha mujhe tum se aik baat ka bara gila hai. Maine socha tha main tumhe nahi btaongi; laikin mujhe tumhari tarhan baatain dil main rakhne ki adat nahi hai na!" Raat ko bister par dono laite huye baatain kar rhe they jab Dua ko achanak yaad aya.

"Kion bhaee kiya rakh lia maine dil main jo tumhe nahi pta?" Wo sochte huye kehne lagi.

"Soch lo soch lo! Abhi bhi waqt hai..."

"Bhaee mujhe nahi pta" Roha jhunjhula kar boli.

"Acha choro aik baat btao?" Dua ne Roha ko gehri nazron se dekha jese ankhon main mojood raaz jan'ne ki koshish ki ho.

"Ye tum aaj bhaijan ko itna ghoor ghoor kar kion dekh rhi thi?" Roha Dua se is baat ki umeed nahi rakhti thi.

"Main? Main.. nahi to ttt tumhen na koi fazool kism ki galat fehmi hogai hai" Roha to is achanak sawal par garbara gayi.

"Daikho jhoot mat bolna! main sab janti hun 18 saal hogai hain hamari dosti ko aur ye jo tumhari ankhen hain na ye sab bta deti hain. Main to tumhare mu'n se sun'ne ki muntazir thi. Laikin shayad tum mujhe is qabil nahi samajhti ke mujhe apna raaz btadeti" wo sakht lehje main baat krte huye akhir mai dheemi hui aur ankhon main aan'su bhar layi.

"Yaar nahi meri jaan aisy koi baat nahi! Main bus dar gai thi ke tum kia sochogi aur kahi hamari dosti na kharab hojai" wo bhi aankhon main aan'su le ayi Roha itni jaldi rone walon main se nahi thi. Laikin is waqt jaan se pyaari dost rooth gayi thi.

"Seriously Roha? Matlab tumhe lagta hai ke main tmhare liye kuch ulta seedha soch sakti hun. Mujhe afsos hai ke itne saalon baad bhi tum mujhe jaan nahi saki" wo sadmay se bhari awaz main Roha se mukhatib hui.

"Dua please mujhe wese hi boht sharmindgi ho rahi hai tum aisay ro kar mujhe aur guilty mat karo. Main ainda tum se kuch nahi chupaongi" wo Dua ke hath pakar kar pur umeed lehje main boli.

Roha ke is andaz par Dua ko han'si agai.

"Waada karo aainda mujh se kuch bhi chupane ki jurat nahi karogi" Dua ne tasdeeq chahi.

"Han han bilkul pakka wala waada aainda aisa kabhi nahi hoga" ye kehte huye wo zara sa uth kar Dua ke gaal choomne lagi.

"Hato peechay badtameez! Bhaijan nahi hun main" wo gaal ragarte huye boli.

"Badtameez! Chichori na ho to" Roha kambal main ghuste huye kehne lagi.

"Hahahahahah!" Dua ka qehqaha buland hua

"Allah Allah kitna maza ayega na jab bhaijan ki shaadi hogi!" Dua ne tassawur main Roha ko dulhan aur Daim ko dulha bane dekh lia tha.

Roha ka chehra surkh hogya jise daikh kar Roha ne use chairna apna farz samjha "Arey arey bi banno sharma rahi hain!"

"Sojao larki boht waqt hogaya ab" Roha ne usey dapta.

"Tumhe sone ki itni jaldi kion hai? Oh achaa khuwab main bhaijan ne aana hoga na!" Dua ki sharartain khatam nahi hone wali thi.

"Kuch to sharam karlo yar" Roha mazeed bardasht na kar saki. Jis par Dua ka qehqaha buland hua.

*****************
Kamre ki taraf jaate Muhammad Azhan ke kaan mai Dua ki icecream khane ki farmaish ki awaz aye to wo besakhta muskurane laga.

Kuch maazi ki yaadon ne usey ghaire main lia.

FLASHBACK

Aina beghum aur Dua Fatima Rozina sahiba ke ghar rukne aye huye thi'n aur ghar main bachon ki nokjhok jaari thi jis se sab ghr wale mehzooz ho rhe they.

Bell ki awaz par Shafaq purjosh ho kar khari hui aur shor jaari hua "Bhaijan agaye".

Azhan ne ghar main qadam rakha to din bhar ki thakawat ka ehsas kahi door ja soya. Jab mehboob aapke samne mojood ho to kis ko takleef aur thakawat yaad rehti hai? Kuch yaad rehta hai to wo dushman e jaan ka chehra aur awaz hoti hai.

Sab ko mushtarika salam karne ke baad wo khala ke baraber main sofe par brajaman hua jab Aina sahiba goya hui'n.

"Shezade boht boht mubarak ho nayi gaari leli aap ne boht kushi hui hai mujhe"

"Yesss! Azhan bhai many many congratulations to youu!"  Dua ne bhi mubarak baad di.

Azhan bhi muskura utha aur ba-ikhlaq andaz main mubarak baad wasool karta shukrya kehta maa'n ko dhoondne laga jo waha mojood na thi.

Uski nazron mai mojood bechaini ko dekh Aina sahiba ne usey chairna apna farz samjha.

"Muhammad Azhan ab thore bare bhi hojao, meri aapi ko saans bhi lene dia karo; itna bara doctor maa'n ko dekh kar doodh peeta bacha kion ban jata hai? Shaadi ki umar hogaye hai ab"

Azhan jheemp kar reh gaya ab is baat ka uske paas koi jawab bhi to nahi tha.

"Arey meri pyari khala jaan aapke mu'n main ghee shakar! Bhaijan sun len aap!" Roha khushi se jhoom uthi.

"Han khala sahi kaha aap ne ab humen Doctor Muhammad Azhan Sahab ke hath peelay kar dene chahye; kion doctor sahab theek keh raha hun na main?" Azhan ko satana ho aur Azlan khamosh rahe ye to namumkin hi hai.

Azhan dil main usey kosta muskura kar dekhna laga jis par Dua ka qehqaha nikal gaya aur wo Azhan se kehne lagi.

"Awww! Azhan bhai aap blush kar rhe hain? Ye to bhabi ko karna chahye"

Dua ki is baat par poore lounge main sab ke hasne ki awaz goonjne lagi. Jab ke Dua ke mu'n se bhai aur bhabi sun kar wo bad maza hota waha se khara hua. Aur ye manzar Azlan ki aankhon se makhfi na raha. Jis baat par use shaq tha wo baat har baar uska yaqeen ban jati thi.

Khane se farigh ho kar sab ne ice cream khane ka plan banaya aur Moosa sahab ne hami bhar li. Khane ke baad kitchen main tashreef la ke Muhammad Azhan ne apni walida se sar dard ki shikayat par chai ki farmaish ki aur ice cream ke liye mazrat karta kamre ki taraf rawana hua. Raste main usey Zawiyar ne rok lia.

"Mamu mamu ice creammm yummy yummy hoti hai!" Gol gol ankhen matkata is lamhe kitchen main mojood sabhi nafoos ko wo Muzammil Parekh ka bachpan yaad krwa chuka tha.

"Mamu ki jaan mamu ki tabiat theek nahi hai aap log chale jao" wo waha se jald hi khiska.

Uski baat sun kar sab bachon ke chehron par udasi chah gayi. Halanke Azhan ronaq lagane walon main se nahi tha magar phir bhi uski mojoodgi main sab ko maza ata tha.

Sab bache kamre main ghuse aik doosre ko yehi bolne main masroof they ke aap mano bhaijan ko aap manao.

Roha ne to ye keh kar hath jhar liye they ke "mujhe bilkuk shoq nahi hai bhooke shair ke moo main hath dalne ka"

Azlan ne bhi yehi kaha ke "mujhe apni maut ko khud dawat nahi deni abhi to mujhe shaadi bhi karni hai"

Dua jazbat main aakar kehne lagi "sab idhar hi bethe rahe aur aik doosre ko bolte rahain main ja rhi hun unko manane".

"Han han jao apki baat to talenge nahi" Azlan ne hank lagai.

Ye ja wo ja Dua pohnchi Azhan ke kamre main. Knock kar ke andar dakhil hui to wo sar masalta hua neem daraz tha. Dua ko dekh kar seedha hua.

"Aap kion nahi chal rhay hamare sath apko pta hai na apke bagair kisi ko maza nahi ayega. Aur to aur mamma ne kaha tha ke aap se treat lenge!" Dua ne far far apni dastan Azhan ko suna di.

Jis jazbat main wo goya ho rahi thi sirf isi ki itni majal thi aur Azhan ke dil mai chupa chor tha jo wo chup chap uski farmaishain aur shikayatain sunta rha.

"Mere sar main boht dard hai aaj kafi hectic din tha main thak gaya hun phir kabhi le lena treat" uski awaz main mojood bhari pan hi is baat ka mu'n bolta saboot tha ke is waqt uski kia halat thi.

Mukabil bhi Dua Fatima hi thi'n. Usey to bus treat leni thi. Muhammad Azhan ka hath pakarti usey zabardasti khara karne lagi.

"Mujhe kuch nahi pta treat to main aap se aaj hi lungi ab aap tayar hojain main ja rahi hun sab ko btane"

Nachaar wo tayar hone chala gya aur sab log Dua ko daad dene lage.

Continue Reading

You'll Also Like

110K 12.6K 42
Arranged marriage is being frowned upon in most part of the world. However, it have historically been prominent in many cultures; northern part of Ni...
134K 13.3K 32
☾ featured ~ ❝Empty chest and misplaced heart, what can fix them if not love?❞ ☾ Started: January 15, 2021. Completed: May 27, 2021.
7.4K 1.4K 26
A Nikkah which is filled with hatred, fights, banters and a bit of romance✨ We have all heard of arranged marriage and love marriage but, ever heard...
405K 27.7K 33
NOOR SHEIKH "He always loved her and he still love her, I was never his priority" MUHAMMAD DAIYAN MALIK "You are nothing but a replacement of my firs...