Uljhe Dor

By PendantLover

2.6K 103 11

The Mehrotras series: Book 1: Uljhe Dor Book 2: Ulajhte Dil Yeh kahani teen bhaiyon, Mehrotra pariwar ke vaar... More

Author's Note
1. Jhagda, Jhagda, Jhagda! Aur Pyaar Bhi...
2. Pehla Project
3. First Floor pe Pool?
4. Roka ki Tayyari Shuru Karo!
5. Bhaiya! Bhabhi Aayi Hai!
6. Sorry ka Chakkar
Author's Note
7. Hamare Liye Wo Bhi Kafi Hai
8. Kunal ka Roka
9. Ek Mahine Mein Shaadi?!
10. Ham Bhai Hain
11. Poolside Chill
12. Apni Aukat Mein Raho
Author's Note- Happy New Year!
13. Sagai Ho Gayi!
14. Chhat Pe Chaand
15. Dusra Insaan Kaun Hai?
16. Sangeet Aur Siyappa
Author's Note: Thank You
17. Sangeet
18. Haldi: Kunal ki ya Bela ki?
Author's Note
19. Bezzati
Author's Note: The Mehrotras
20. Mehendi
21. Master Plan
22. Counter Plan
23. Shaadi ke Din ka Chaos
24. Dulhan ka Joda, Sherwani aur Kamra
25. Jor ka Jhatka Jor se Laga
26. Welcome to the Family, Bhabs
28. Talakh Nahi Hoga
29. Apne Ghar Jao, Bela

27. Get Out!

26 3 0
By PendantLover

  Bela ke chehre par subah ke dhoop ki kirne padti hain aur wo apna aankh kholti hai, lekin sir aur aankh mein dard ke karan apne aankh wapas band kar leti hai. Wo dheere se uth ke baithti hai, apna sir pakde hue.

  Bela apna aankh kholti hai lekin use kuchh der sab dhundhla dikhta hai. "Yeh ham kahan hain?" Dheere dheere use saaf dikhne lagta hai aur use pata chalta hai ki wo Kunal ke kamre mein hai. "Ham Kunal ke kamre mein hain. Ham pakde gaye kya?" Kal kya hua tha? Hamne Aarohi ki shaadi roki ya nahi? Hamein kal shaam ke baad ka kuchh yaad nahi hai. Hamara phone kahan hai? Kunal ne wapas le liya kya?

  Darwaze par khatkhatne ki awaaz aati hai. "Uh, aap andar aa sakte hain." Ham waise bhi hote kaun hain yeh bolne wale, na hamara kamra hai aur na hamara ghar.

  Kunal andar aate hain aur unke pichhe Parvati, ghar mein kaam karti hai, mere liye ek tray mein ek glass pani aur kuchh dawa lekar aati hai. "Jaldi se yeh dawa kha lo, phir mujhe tumse baat karna hai."

  "Ham dawa nahi khayenge. Aapki tarah ham har chhoti- moti cheez ke liye dawai nahi khaate hain. Ek baar kadha pi lenge to sir dard theek ho jayega."

  "Kadha- tum jaanti bhi ho kal hua kya tha? Tuumhare saath kya hua tha? Tumhe sedate kiya gaya tha."

  "Hey Ganga Maiyya, yeh kya bol rahe hain aap? Chhee, ham yeh sab... ham saaf man ke insaan hain, koi hamein-."

  "Seduce nahi, sedate. Tumhe drug diya gaya tha jisse tum apne hosh mein nahi thi."

  "Hamein yeh kisne diya?"

  "Wahi to main tumse puchhne wala tha. Pehle dawai khao. Doctor ne diya hai. Isse tumhara shareer detoxify ho jayega, matlab yeh tumhare shareer se drug ko jaldi nikaalne mein madad karega." Bela apne haath mein lagi sui ko dekhti hai, phir dawai kha leti hai.

  "Bela, kal tum Aarohi aur Adhij ki shaadi todne aayi thi na?"

  "Haan, ham ek aakhri baar koshish kiye bina nahi ja sakte the. Aarohi ki zindagi ka sawaal tha. Uski shaadi ho gayi? Ham jab hosh mein nahi the, us samay uski shaadi ho gayi?" Hey Ganga Maiyya, ham kamiyaab nahi ho sake Aarohi ko bachane mein. Hamein nahi pata uski niyat mein kya likha hai, lekin Ganga Maiyya, use shakte dena.

  Kunal ka gussa badhte rehta hai. "Nahi, kal raat Aarohi aur Adhij ki shaadi nahi hui." Bela Kunal ko dekhti hai. Hey Ganga Maiyya, aapne Aarohi ki jaan bacha li, aapka dhanyavaad. "Lekin kal do shaadiyan hui thi."

  "Jab Aarohi ki shaadi nahi hui to phir kiski shaadi hui?"

  "Anshuman ki."

  "Anshuman ki?" Bela chauk jaati hai. "Kisse?"

  "Maan se."

  "Maan se? To aapki shaadi kisse hui?"

  "Tum shaadi ke jode mein ho, tumhare maang mein sindoor aur gale mein mangalsutr hai. Kya lagta hai? Tumse shaadi hui hai."

  "K-kya? Hamse kaise?" Bela ladkhadakar uthti hai, lekin apne aap ko sambhaal kar sheeshe ke saamne khadi ho jaati hai. Jaisa Kunal ne kaha, wo dulhan ke jode mein hai, uske maang mein sindoor aur gale mein mangalsutr bhi hai. "Nahi, yeh kaise ho gaya? Hamari shaadi, aapse kaise? Ham to- hamari shaadi agle mahine- aisa nahi ho sakta hai."

  Bela ne shaadi mein adla badli nahi kiya, main jaanta hoon. Lekin isne Maan ko brainwash kiya hai. Iski wajah se Maan ne wo sab kuchh kiya. Yeh us manipulator ke games mein phaste ja rahi hai aur hamre ghar mein sab barbaad karte ja rahi hai.

  "Ek baat batao, Bela, ekdam sach batana, Mehendi ki raat tum Maan se mili thi ya nahi?"

  Inhe kaise pata? Kahin Maan ne Kunal ko nahi bata diya? "Haan, ham usse mile the."

  "Kya baat hua tum dono ke beech?"

  "Aapko kyun janna hai?"

  Kunal Bela ke dono baanh pakadta hai aur use apni ore kheechta hai, uske chehre par gussa dekhkar Bela dar jaati hai. Jab itni darpok aur kamjor dil ki ho to itna bada kaam karne hi kyun chali ho, Bela? Lekin itne darawne insaan ko dekhkar to Dara Singh bhi dar jaye, main to phir bhi aam si ladki hoon. "Bela, don't test my fucking patience. Seedhe seedhe batao kya baat hui thi?"

  "Maan hamse puchh rahi thi aapne hamein ghar se kyun nikala."

  "Aur tumne kya jawab diya?"

  "Hamne kaha ki hamare phone mein galat video aa gaya tha. Ham aapko uske aur Adhij ka video dikhana chaahte the, lekin kisi ne video hi badal diya."

  "Aur kya kaha tumne?"

  "Yahi ki main Adhij ko Aarohi ki zindagi barbaad nahi karne dungi, uske baad wo wahan se chali gayi."

  Kunal Bela ko achanak chhod deta hai aur Bela dagmaga jaati hai. Kunal kamre se chala jaata hai. Bela kamre mein akele baithi hoti hai. Yeh kya ho raha hai? Hamari shaadi aise hogi, is insaan se hogi yeh hamne bure sapne mein bhi nahi dekha tha. Ham Papa ko kya batayenge? Rishi se kya kahenge? Ham ghar wapas kaise jayenge?

  Kunal Anshuman ke kamre mein jaata hai jahan Maan abhi bhi apne shaadi ke jode mein baithi thi. "Maan, mujhe tumse kuchh baat karna hai. Main andar aaun?"

  Maan muskuraati hai. "Puchh kyun rahe ho, Kunal?" Maan Kunal ke paas jaake use gale lagati hai. "Main to tumhari-"

  "Kyunki tum ab mere bhai ki biwi ho." Kunal Maan ko apne aap se door karta hai aur uska chehra utar jaata hai. "Is liye achha hoga ki tum mujhse door raho, at least until all this gets sorted." Maan kuchh kehne wali hoti hai lekin Kunal bolta hai, "Ansh kahan hai?"

  "Pata nahi, kal raat jab Mom mujhe yahan lekar aayi thi to wo kamre mein hi nahi tha."

  "Okay, well, tum mujhe yeh batao, tumhe Niharika aur Adhij pe shak hona kab shuru hua?"

  "Kya hua, Kunal? Koi baat hai kya?"

  "Main bas janna chaahta hoon ki ismein Bela ka koi haath hai ya nahi."

  Kunal ko Bela par shak hai. Yeh achha mauka hai Bela ko nikalwane ka. Agar Kunal ko lagega ki in sab mein Bela ka haath hai to wo uske saath ek minute nahi rehna chahega. Then, Kunal is all mine. Mom bhi mujhpar trust karti hain, she will support me. "Hai na. Matlab, mehendi wali raat main use milne bulayi thi. Usi ne mujhe bataya ki Adhij Aarohi ke liye sahi nahi hai aur ki kuchh gadbad hai. Mujhe to uspar vishwaas hi nahi ho raha tha, lekin yakeen karo, maine Bela ko mandap par nahi baithaya. Main tumse shaadi karna chaahti thi, main use kyun laungi. Adhij mera bhai hai, lekin wo galat hai yahan aur is galat cheez mein main uska saath nahi de sakti thi."

  Bela ne Maan ko is hadd kat brainwash kar diya hai ki Maan ko apne hi bhai par bharosa nahi hai.

  Kunal Aarohi ke kamre mein jaata hai jahan uske dono bhai pehle se hain. Kunal ko dekhkar Aarohi uske paas jaati hai aur use gale lagakar rone lagti hai.

  "Ruhi, tum theek ho? Kya hua? Koi chot lagi hai, koi dikkat?" Kahin Aarohi kal ke kidnapping ki wajah se traumatize to nahi ho gayi? 

  "Kunal, ham dono ne Aarohi ko kal ke baare mein bata diya." Anshuman kehta hai.

  "Aarohi ki kidnapping ke baare mein bhi. Sab kuch." Veer ishare mein batata hai.

  "Tumhe yaad hai kal kya hua? Jaise cocktail pina, ya kisi ne tumhe sleeping pills diya ya behosh hone ke pehle kya hua tha?"

  Aarohi Kunal ko dekhti hai, aakhon mein aansu liye. Kunal ke dil mein thokar sa lagta hai. Kunal ko apni behen ko rote dekh dard mehsoos hota hai. "Nahi Bhaiya, mujhe last sab ke saath lunch karna yaad hai."

  Yaani Aarohi ko hamare saath pool ke paas cocktails pina bhi yaad nahi hai. At least Aarohi ko is baat ka trauma to nahi hoga.

  "Bhaiya, meri shaadi nahi hui." Aarohi phir se jor se rone lagti hai.

  "Rona to mujhe bhi aa raha hai," Veer kehta hai. " Mujhe laga hamein ise ab aur nahi sehna padega. Hey Bhagwaan, kitne cruel ho aap. Kam se kam hamein aise sapne dikhakar hamse wo sapna chheena to mat karo." Veer Aarohi ko chidhate hue kehta hai, uska dil behlane ke liye.

  "Yeh teri bakwaas ka samay nahi hai. Muh band rakh apna." Aarohi kehti hai. Aarohi Veer se jhagadne lagti hai, lekin uska dhyaan kal se hat jaata hai. Kunal ko apni behen ko aise rote dekh bohot dukh hota hai. Jis behen ko main duniya ki saari khushi dena chaahta hoon, jiski jaan ham sab bhaiyon mein basti hai, use aaj aise rota main dekh nahi pa raha hoon. Aisa lag raha hai koi mere seene mein chhura bhok raha hai.

  Kunal toofan ki tarah dobara apne kamre mein jaata hai jahan Bela abhi bhi shaadi ke jode mein baithe ro rahi hai. Kunal Bela ko pakadkar jameen par se uthata hai. "Yeh aansun kis baat ke? Dusron ki zindagi barbaad karne chali thi, ab main tumhari zindagi barbaad kar dunga!"

  "Kya kar rahe hain aap, Kunal? Chhodiye hamein, hamein dard ho raha hai."

  "Achha hai, iski aadat daal lo kyunki main tumhe isse jada dard dene wala hoon. Meri behen ke har ek aansu ki keemat chukaogi tum."

  "Aap samajhne ke liye tayyar nahi hain, lekin aapki behen ko do din ke aansu dekar hamne uska jeevan bhar ka dukh taal diya hai." Bela aansu se bhare aankhon mein gussa se, Kunal ko dekhti hai.

  "Fucking hell, Bela! Tumhe seedhi si baat samajh kyun nahi aati hai? Maine tumhe mere pariwaar se door rehne ko kaha tha na? Phir kyun aayi beech mein?"

  "Aapko kya lagta hai, ham beech mein nahi aate to wo hamare jagah kisi aur ko nahi baitha deta? Ham nahi to koi aur."

  "To koi aur sahi! Kam se kam tum is jhanjhat mein nahi phasti. Kya shauk hai tumhe apni jindagi dao par lagane ki? Koi rishta hai is pariwaar se? Kyun padi ho is pariwaar ko bachane ke liye?"

  "To ab aapko achanak hamari chinta hone lagi?"

  "Chinta? Tumhe apni chinta khud nahi hai, koi aur tumhari chinta kaise karega? Mujhe tum bohot badi bewakoof lagti ho."

  "Bewakoof? Kunal, ham bas ek ladki ke saath kuchh bura hone se rokna chaahte the. Aarohi se hamara ek naata sa jud gaya hai, ham use pasand karte hain, uski khushi chaahte hain. Ek baar hamara rishta kisi se jid jaye to ham use ant tak nibhate hain. Bas uske khaatir ham uski madad karna chaahte the."

  "Madad my foot! Tum sirf ek ziddi, stubborn insaan ho jise seedhi baat samajh nahi aati. Tum yahan ek wedding planner ban kar aayi thi, lekin sab kharab kar di. Kitni baar kehna padega ki tumhare dimaag mein yeh baat ghuse, stay the fuck away from my family! Aarohi meri behen hai aur yeh mera pariwaar hai. Main kisi ke saath kuchh bura nahi hone dunga. I'm more than capable of protecting my family."

  "Hamari baat agar aap ek baar sun lete to aap apne pariwaar ko protect kar sakte the. Maan lete hain hamari hi galat fehmi thi, lekin mil kar ek baar dekh lene mein kya ho jata? Balki agar waise nahi hota to aap dugna aashvas ho jaate ki Aarohi sahi ghar ja rahi hai. Kya ho jaata agar ek baar dekh lete to? Lekin hamare batane se aapke ahankaar ko thes pahunch gayi, ki aapke alawa, koi bahar wala aapke pariwaar ki raksha karne ja raha hai. Aur wo aap kaise bardasht kar sakte hain, hai na?"

  "That's it. You're out now!" Kunal Bela ki kalayi pakadta hai aur use kamre se bahar kheench kar le jaane lagta hai.

  "Yeh aap kya kar rahe hain? Chhodiye hamein. Kya kar rahe hain?"

  "Ghar se nikaal raha hoon."

  "Hamari aapse shaadi hui hai, aise kaise aap hamein ghar se nikaal sakte hain? Ham aapki patni hain, ham-"

  "Kaisi shaadi, hunh? Kaisi shaadi, dhokhe wali? Jiske baare mein na main jaanta tha na tum? Is shaadi ko na main maanta hoon aur na koi aur maanega."

  "Shaadi hai, koi majak nahi ki na maanne se shaadi toot gayi. Shaadi ke bhi mayine hote hain, uska bhi arth hai, aise thukra nahi sakte hain aap."

  "To hell with this. We'll get an annulment, ab niklo yahan se."

  "Jo shaadi pheron ke saath hua, agni aur chaand ko sakshi maankar hua, use ek kagaz kaisa khatam kar sakta hai? Shaadi ne do rooh ka milan karwaya hai, bhagwaan ne jismein apni marji aur aashirvaad diya hai, use ek kagaz par dastakhat karne se kaise tod sakte hain? Talakh sirf sarkaar ke liye hai, lekin jo shaadi aadhyatmik hai, jab tak aatma alag nahi hogi, shaadi khatam kaise hogi?"

  "Apni philosophical baatein lo aur niklo yahan se." Kunal Bela ko ghar se bahar nikkaal deta hai aur uske muh par darwaaza band kar deta hai. Anshuman aur Veer, jo Aarohi ko behlane ke baad uske kamre se nikal rahe the, yeh drishya dekh lete hain.

  "Kunal, yeh tune abhi kya kiya?" Anshuman puchhta hai.

  "Bela ko ghar se bahar nikaal diya maine."

  "Kunal, tum dono ki shaadi hui-"

  "Ansh, tu apni aur Maan ki shaadi ko maanta hai?" Kunal jaanta hai Anshuman kabhi Maan ko khaas pasand nahi karta tha aur wo us baat ka fayda uthata hai. Anshuman kuchh nahi kehta hai. "Exactly. Bas kyunki tujhe Bela achhi lagti hai is liye meri aur uski shaadi jayaz hai, yeh hypocritic nahi ho gaya?"

  "Par meri shaadi nahi hui hai, main bol sakta hoon. Bhaiya, Ansh Bhai ne Maan Bhabhi ko nahi nikaala ghar se. Ham sab wait kar rahe hain Dadi ke faisle ka. Aapko at least Dadi ka respect karke ruk jaana chahiye tha."

  "Veer, jis behen ko main sirf khusiyaan dena chaahta hoon wo aaj apne shaadi na hone ki wajah se ro rahi hai kyunki ek goddamn wedding planner ko misunderstanding hua aur mere lakh kehne ke baad bhi wo apni taang adate gayi."

  "Bela ne kya kiya? Sab kuchh to Maan ne kiya. Apne personal greed and ulterior motive ke wajah se usne aaj chaar zindagiyan barbaad kar diya. Usne apni behen tak ko nahi chhoda," Anshuman gussa hote hue kehta hai.

  "Maan ne jo kiya, wo ek misunderstanding ki wajah se kiya. Bela ne Maan ko brainwash kiya, jis wajah se Maan insecure ho gayi aur cheez sahi karne ke chakkar mein yeh galti ho gayi usse."

  "Please, Kunal, yeh bahana ab Veer ke liye bhi nahi chalta hai. Tu bohot underestimate kar raha hai use. Saat (7) saal relationship mein rehne ke baad bhi tu use nahi jaan paya. She's not worth our trust, Kunal. Meri baat yaad rakhna, she's not what she seems like." Anshuman wahan se chala jaata hai.

  "Bhaiya-" Kunal bhi chala jaata hai. "Kya karoon main in dono ka?"

  Veer Shaivi ko ghar ke andar aate hue dekhta hai. "Shaivi, hey."

  "Hi, Veer."

  "Tum yahan kaise?"

  "Sajawat hatwane aayi hoon."

  "Itna drama hone ke bawajood, pata hi nahi chala kaise ek pura mahina gujar gaya. Mere dono bhaiyon ki shaadi ho gayi, aur meri behen kamre mein apni shaadi na ho pane ki wajah se ro rahi hai."

  "Kaisi hai ab wo? Main soch bhi nahi sakti uspar kya beet raha hoga."

  "Hamne kisi tarah man behlaya hai uska."

  "Sach kahun to bohot drama hua. Matlab movies mein itna drama nahi hota hai jitna yahan hua. Kisi ko kahani sunane jao to ek din bhi kam pad jayega," Shaivi mood light karne ki koshish mein kehti hai, lekin Veer nahi hasta hai to kehti hai, "Sorry, too soon."

  Veer muskurata hai, aur Shaivi chain ki saans leti hai ki Veer bura nahi maana. "Client ke ghar mein khade hokar unke baare mein gossip kar rahi ho? Main complain kar dunga to company se nikaal denge," Veer bhi majar karta hai.

  "Mujhe aur kya nikaalenge, ek baar to nikaal diya."

  "What? Kyun?"

  "Well, is project mein main aur Neha the, lekin hamein pehle din se pata tha ki is project ke baad ham dono mein se koi ek hi rahenge. Hamare contract mein tha. Dono ko sirf is shaadi ke liye liya gaya tha. Waise bhi, agar us din tum nahi kehte unhe mujhe le lene ke liye, to shayad mujhe wo log lete bhi na. Thank you, us din ke liye. Tumhare wajah se mujhe ek mauka to mila."

  "Tum itni kaabil aur achhi insaan ho, main na bhi kehta to wo log le lete tumhe. I think mujhe unse baat karna chahiye."

  "Veer, kuchh mat karo. Meri zindagi hai, mujhe ise khud sambhaalna hoga. Har wakt tum to nahi rahoge na. Aur ek baar tumhari wajah se job mila hai, is baar bhi tumhari wajah se milega to mujhe lagega ki main yeh apne dam par kar hi nahi sakti hoon, mujhme wo baat hi nahi hai."

  "Main to sirf help karna chaahta tha."

  "Jaanti hoon. Tumne socha, mere liye wahi kaafi hai. Thank you meri itni care karne ke liye," Shaivi use ek chhoti si smile deti hai.

  "To ab?"

  "Mujhe dusra job offer hua hai. Glam Events jitna bada to nahi hai, lekin achhi company hai aur salary bhi badhiya hai."

  "Chalo, yeh achha hua. Lagta hai hamein ek aur function rakhna hoga taki tum wapas yahan aa sako. Main abhi kehta hoon apne Bhaiya se ki jaldi se mujhe Chachu bana dein. Phir pehle god bharayi, baby shower, bacche ka birth uske baad har b'day pe tum aa sakti ho."

  "Veer, utni door se main thodi aaungi."

  "Kitni door se? Tum literally Bela Bhabhi ke muhalle mein rehti ho."

  "Main sirf kuchh din ke liye aayi thi yahan, apne Chachi ke ghar. Mujhe job Lucknow mein offer hua hai. Yahan aane se pehle main Lucknow mein rehti thi, to mujhe problem nahi hoga."

  "Mujhe laga tum hamesha se yahan hi rahi ho. Aur tum Lucknow ja rahi ho? Mujhe batayi bhi nahi?"

  "Mujhe bhi aaj hi pata chala."

  "Lekin tumne wahan apply kiya aur tumne mujhe bataya bhi nahi? Mujhe laga ham dost hain."

  "I'm sorry. Mujhe to laga bhi nahi ki tum mujhe sach mein apna dost maante ho. Mujhe laga tumhe farak nahi padega-"

  "Shaivi, ek baar main koi rishta bana loon to main use aasani se todta nahi hoon aur use bohot seriously nibhata hoon. I know hamari shuruat achhi nahi thi, aur main bohot jokes maarta hoon, serious moments mein bhi, lekin tum mujhe itna shallow samajhti ho, mujhe nahi pata tha."

  "Aisi baat nahi hai, Veer-"

  "To kaisi baat hai? Kyunki aur kya wajah ho sakta hai ki tum mujh par itna bhi trust nahi karti  ho?"

  "I'm sorry, Veer. Mujhse galti ho gayi." Shaivi Veer ka haath pakadne wali hoti hai lekin Veer gusse mein aur hurt hokar wahan se chala jata hai.

  "I'm sorry, Veer. Lekin ham phir milenge. Hamari kahani to abhi shuru hui hai, itni jaldi khatam nahi hogi."

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

A/N:

So guys, kaisa laga aapko yeh chapter? Comment karke aap bata sakte hain. Agar pasand aaya to vote bhi kar dijiyega.😁

I know update karne mein late ho gaya, is liye maine bada chapter upload kiya hai. I was facing somewhat of a writer's block. Upar se Hindi mein likhna aur waise convey karna thoda mushkil ho jaata hai. Main koshish karungi on time upload karoon, lekin personal reason se agla update 2 weeks baad aayega.

Mujhe mauka nahi mila to I would like to take this opportunity to thank all the readers supporting me by reading the story, adding this story to their reading list and/or voting for the chapters. It means a lot to me and gives me motivation to keep continuing the story. Aur aap mein se kayi log mere dusre book ko bhi pyaar de rahe hain, uske liye bhi thank you. 😊

Love,
SilverStar

Continue Reading

You'll Also Like

49.3K 2.9K 52
"𝐌𝐘 π’π„π‘πˆπ„π’ 𝐁𝐎𝐎𝐊 πŽππ„" One-year is all it takes for strangers to become deep lovers. One-year contract marriage is all takes to turn att...
524K 21K 39
# 1 in General Fiction as on 11-03-2017 A Gasp escapes my mouth looking at my accidental husband kissing those three girls one after other ...... Tea...
280K 22.9K 80
~To all those who lay at night wishing for the love they dream about to come to life~ JAY OBEROI A six year old boy JAY Oberoi...who had to leave h...
50.4K 5.7K 10
"Marry me", Shaurya Singh Shekhawat muttered with pure hatred in his eyes holding her arms in his vile grip "You hate me", Akansha Dixit said with fe...