Falak Tak chal sath mere ~ |...

By VRheadset

39K 2K 459

what will happen, when a girl from a small village will be bonded to get married with a guy who has spent his... More

NOTE
NANDINI ♡
ABHIRAJ ♡
Nandini ♡ Abhiraj
Characters
Nandini Aur Roop
Abhiraj aur Abhinaav
Unknowns~
Their first meet~
Reached home
Sisterhood
Introduction to each other
A well spent day
Abhiraj encountered ghost~
Evening walk
Virat and anushka ♡
Them ♡
Virat's question to nandini
Marriage proposal for nandini
♡ Air of untold love ♡
He confessed??
Sorrow of nandini - 1♡
Sorrow of nandini-2♡
Happy environment
"Khushkhabri??"
Under the night sky <3
Aahana get to know about Nandini
Abhiraj MET Ashwik
Will they agree??
They met again?? -1
They met again?-2
Engagement ♡
♡ Haldi and Mehendi ♡
♡ Their MARRIAGE ♡
~ Their First Night ~
A promise to aahana
Cute interactions?
kon jyada laal hai?
Vishakha arising the misunderstanding between them?
Flower of love is blooming
Nandini wants to love him
Mention of Adhwika and Aahan
Dil ki baatein ♡
"Keh dun tumhe"
"Bangles"
"Rajkumar"
Madhu ♡
"Abhinav: The baadha"
"Pyaar ka izhaar -1♡"
pyaar ka izhaar - 2♡
Nandini is sick
Aahana and abhiraj cooking for nandini
Kaamini left
Kitab?
Izazat
Epilogue
Dedication
Upcoming Book

प्रेम की डोर

363 26 15
By VRheadset

एक राजकुमार और राजकुमारी की  प्रेम कथा

Ek kitab jiske har ek pane me likha har ek sabd ek Ishq bayan karta hai, Ek kitab jiske pane palatne ka haq sirf kitab me bayan ki hui haseen premika ka hai, Ek kitab jisko likhte hue premi ke hath kaape hai, per dil aur labo per muskurahat si chahi hai
Ek esi kitab ko pesh karte hai aapke premi apni premika ke liye
Apke abhiraj unki nandini ke liye

Ek Rajkumar bhar-desh se aaya, apne kamre me vishram kar raha tha ki uske bhai ka kamre me parvesh hua, Vo parvesh itne utsaha aur khushi ke sath tha ki rajkumar ka Mann mana hi nahi inkaar karne ko aur chal diye do nau-javan apne baste pakade, ek dusre rajye ki or

Anjane rahe un chizo se jo us mor per unka intezar kar rahin hai, Rajkumar bas bailgadi me savar idhar udhar nihar rahe the, Apni badami nighoan me sunder maousm ki jhalak ko bhar rahe the, ki lambe safar me dhake hare rajkumar ka gala sukha

Bailgadi rukwai aur apne kadam badah liye ek Kuan ki or,
Apni pyaas bhujane ke liye, nah jante hue ki kya unka aage intezar kar raha hai

Nazar padi ek laal anarkali poshak pehni ek Rajkumari per jiske labo per ek muskan thi aur batla rahi thi vo apni saheli se, Unka chehra dekhne ki ichha kuch esi jagi ki khud se pani bhi nah lekar unhone apni ghabrahi hui awaz me rajkumari ko bulaya
"Ji suniye"

In do sabdo se shuru hui kahani, ek lambe mor per chal padi, jab rajkumari muri aur unhe Pani pilane hetu apna matka aage Kara,

Hath se matka fishla aur chalakte hue Pani ne, ek chalakte hue Ishq ki shuruwat kari

Rajkumar ki aankhein rajkumari ki aankho se ja mili, Kuch sabd hotho se nikal nah paye bas nazare ek dusro ko niharti rahi aur dil ki dhadkane Jo kuch shan pehle ghabrahat se dhakad rahi thi vo dheemi pad gyi

Kuch aur pal rajkumari ko apni baho me toh rakhna chahte the taki unko nihar le per bagal me se teekhi awaz kaano me padi jab rajkumari ki saheli ne unhe bulaya "Nandini bas bhot ho gaya"

Saheli ke taane chahe kano me nah gire ho per vo naam, Vo nandini naam kuch yu kaano mein pada ki maano bas hi gaya ho, Rajkumari ki jati Hui raftar dekh kar, dil me ek dukh toh aaya per zyada shan kaha hi rukna tha dukh ko, jab Ham nau-yuvak ek atithi ki tarah ek Ghar me rehne gaye aur bhagwan ki maya, Sir per chhatt mili toh usi rajkumari ke hi mahal ki,

Din guzarte gaye aur baat cheet ki aas lagaye hamare bhar-desh se aaye rajkumar, bas chup hi raha karte, Nah kehna aata rajkumari ki bhasha me aur nah unke saamne khade rehne jitni himmat rehti

Ek nazar rajkumari ki un per pad jaye toh rajkumar ki aankhein sharam ke maare jhuk jati thi,

Bewakoof rajkumar unhe dino din dekhta raha aur apne dil me panap rahi in bhawano ka arth nah nikal paane per bhagwan ke sharn me gaye

Bataya unhe unke dil ka haal jo mareez hota ja raha hai aur jaate jaate ek hi aas lagakar gaye vo bhi Pradhana ke roop me ki "Hame nahi pata Jo ham mehsoos kar rahe hai vo kya hai, hame bataiye? Aur ho sake toh iss bhawna ko pyaar me badal dijiye"

Unka Mann jise dekh kar sabse pehle dola unko nah chorne ka dar sata raha tha Mann me, Nahi chahte the inhe bhul nah, jante hue ki shayad kuch din baad kabhi mulaqat bhi nah ho

Unhone toh apne pair mandir se ghar ki taraf mor liye per vo kadam jab ghar me pade toh ek alag si irsha aur thoda sa dukh unke Mann me khanka jab Raja ji ka aadesh aaya ki rajkumari ko dekhne kuch log aarahe hai

Jab rajkumari hamari thi hi nahi tabh bhi irsha? Jab rajkumari hamari kabhi thi hi nahi tabh bhi unhe dusre ka hone ki baat sun-na kyu itna peedah de raha hai?

Ye sawal Mann me dagmagate rahe aur kuch hi shano me utar mil gaya unke parshan ka ki unhe Prem hai ki nahi?

Hain Prem, Hain

Per Prem hone ka matlab cheen lena thodi hai?, Apni rajkumari ko dur se niharte hue rajkumar abhiraj ne apne kadam Ghar se bhar badahe, taki bhar ghum sake aur khud ka Mann behla sake, Rajkumar ke mann me sirf ek khayal ghoom raha tha ki "Hamari nahi ho sakti hai toh koi baat nahi, bas jaha bhi rahein khush rahe"

Ghar me nah Jane esa kya hua, Kis mard ne apne hatho se itna sunhera tofa ishvar ka kho diya ki unke muh se nah nikli ek masoomiyat aur aachal si pyaari rajkumari ke liye jo shayad unhe sab kuch de deti

Ishvar ko dhanywaad karna chahtein the rajkumari ko hamare liye rakhne ke liye per Mann me ek bhay bhi tha, ki shukriya kar denge per hamari rajkumari ko jo kasht hua uska kya?

Ye sawal bhi dur huye jab rishte ki asliyat saamne aayi aur Din charya apni patri per fir utar aayi

Dheere dheere din beete aur Rajkumar fir apne baste ke sath bailgadi per bhaith kar apne rajya ki aur chal diye, Abh ki baar nazre idhar udhar nah dekh kar bas yaado me khoi hui thi

Hotho per muskaan thi jab Mann hi Mann rajkumari ke ghungroo ki awaze ghunj rahi thi aur aankho ke saamne wale andhere per film ki tarah maano sare pal fir se jeeye ja rahe the

Aapko apni baahon me pakadna, Aapko bhojan laate waqt chhupke se taakna aur aapke bhai se kai baar pakde jaana aur hamari fir se bailgadi tak ke safar se pehli raat jisme aapke lab chup nahi ho rahe the hame baatein batate hue aur hamara dhyan aapse nahi hat Raha tha

Haatho me vahi kitab lekar jisme hamne aapka chitr banaya tha chup kar, ham apne khud ke rajya me khud ke mahal bhi aagye

Bewakoofi sochte the per sabse sunder faisla hamara apni bhawano ko apne bhai ko batana hi hua aur Do sunder faisle humne apne chote bhai ke sath liye the vo mukammal hue

Pehla tha dusre rajya jaana kuch tasveero ke liye aur dusra aapke baare me use batana aur fir khud ko aapke rajya me fir paana
Aapke hi mehel me, Usi chhath ke neeche, per abh apne Maa baba ke sath, Apka hath mangne ke liye

Beech me teen maah asan nahi the, Aapki yaadein hame stati thi aur dil kehta tha ki iss tanhai ko tabh bhi khatam karunga jab tum apni mehbooba se mil kar aaoge

Dil ki tanhai naadan baate hain, Hamari dil ki dhadkane fir se ruk gayi jaise pehli baar dekhte waqt ruki thi aapko us gulabi saree me dekh kar,

Yu lag raha tha maano khud bhagwan ka farista dharti per utar aaya ho aur ham toh khushnaseeb hai ki aapne iss kambakt rajkumar ko khud ko sop diya

Kul do mahine lage hamari sagai, haldi aur mehndi me, Sagai ki khoobsurati ham kabhi nahi bhul sakte aur Vo Prem ka rang Jo hame haldi per chadah vo din yaad kar-kar ke dil me sukoon bhar jata hai

Mehendi ka rang hamne aapke hatho me dekha toh khushi hui per un Mehendi me hamara naam rachha hua dekh kar, Aankhon me thode aasu bhi aagye the Jo aapke rajkumar ne chupa liye

Raat aayi hamare milan ki aur hamari bandh gayi dor un saat vachan aur saat phero ke sath, Un timtimate taaro ke neeche aur uss purnima Chand ki raat, saat janamo ke liye

Sabka ashirvad liya hamne aur aapke sath jab gaddi me bhaithe aur aapki un aankho me aasu dekhe jin aankhon se ham pehli baar me hi pighal gaye the, hamne khud se vada kiya

Vada Kiya ki aapko khud se itna kareeb rakhenge aur aap jaisi rajkumari hai une Rani banakar rakhenge

Hamari pehli raat ko jab hamne kamare me kadam rakhe, hame aapke kaapte hue haath dikhe, Ek dard sa dil me aaya per aap nayi dulhan thi toh aapki na kahi baato ko samjhne ka prayas karte hue, Aapko apne hatho se khanna khilaya

Ek nivala aapko khilakar jab hamare hath aapke kaapte hue aur ghabraate hue labo se mile, tabh hamne soch liya, Aapko khud ke ass pass pehle sehaj banayenge aur dil ki kareebiya zyada priye aur zaroori hoti hai kisi jismi kareebi se,

Agle din aapki mutthi me anguthi sarka kar hamne aapko apni Rani aur sarkar bana liya aur uss din se hi ham aapke hirday ke Raja ho gaye

Har dehlte hue aur ughte hue Suraj ke sath ham aapke hote rahe hote rahe, Har raat ko chandini me aapse baat karke hamne mehsoos kiya ki aapko shayad hamne sehaj mehsoos karana shuru kar diya

Dil ko khushi toh tabh hone lagi jab aap apna natkhat pan hamare samne ek badi si muskan ke sath dikhane lagi aur kabhi kabhi hame daatne lagi
Khud ko aapke sath khulta hua paakar, Ham pure ho gaye

Ese pure hue ki uss din ke aage kabhi adhura mehsoos hi nahi hua, Itne pure ho gaye ki Pure hum hi aap ho gaye

Dil ki kareebiyo ke sath, Hamare hoth bhi aapke pass aane lage, dheere dheere jo jismi duri thi vo bhi khatam hui aur hamne aapko har raat apni baahon ke sota hua paya aur kabhi hamare laab aapne gaalo per ya kabhi aapke laab hamare maathe per

Aapko duniya ki har chiz ham dikhana chahte the aur har pal aapke sath beetana chahte the isliye ek din kaaryalay ki chhuthi li aur chal diye aapke sath, Kuch "hum" samay beetane ke liye

Aapke sath hi shiv mandir jab aakhri baar gaye the tabh manga tha ki iss bhawna ko Prem kar dijiye aur abh ki baar jab aapke sath gaye, Aapki maang me apne naam ka sindoor aur gale me apne naam ka mangalsutra lekar

Hamare khayalo me ek dhanywaad ke alwa kuch aaya hi nahi, Aur jab pata chala ki aapne bhi hame khud ka tofa bulaya hai aur ishvar ko dhanywaad kaha hai, Dil toh nah Jane khushi se pagal ho utha

Pura din bas baaton per beetakar, jab ratri me ham uss pul per khade hue, Usi chandini ke neeche, Usi pooran Chand ko niharte hue aur un hi timtimkate taaro ko dekh kar muskurate hue

Hamara dhyan aap per gaya, Aapki nighahon me jheejhak thi per asehaj jheejhak nah paakar hi hamne khud ko vijayta maan liya

Aap kuch kehna chahti thi aur ham sun nah chahte the, Hamari nighaein sirf aapke labo ko dekhe ja rahi thi jaise maano aapke kuch kehne ko suna chahti hai

Per vahi nighahon band ho gayi apne aap, Jab aapke komal hath hamare kurte ko pakad kar hame neeche kheechte aur aapke hotho me hamare hotho ko chua

Ek pal ke liye samay ruk gaya aur hamari dhadkane fir se tham gyi, Nighahein khulne ka naam nahi le Rahi thi maano bas ese hi aa jivan rehna chahti hai

Unhe jabardasti khol kar hame aapki nighahon me dekhna chaha per aapki khud ki nighahon yu band thi jaane vo khud bhi ese hi jeevan beetana chahti hai, Aapke hoth jab hamare hotho se kuch shan ke liye dur huye toh achha nahi laga per aapki kahin baatein jaroor achhi lagi

Aapne kaha ki aap hame pyaar karti hai, In sabdo ko sunkar dil behal sa mehsoos hua aur ham kuch bhi soch paate, us se pehle aapke hotho ne fir se hamare hotho ko choom liya

Aapke haath ki pakad hamse ek utar chahti thi aur ham dena bhi chahte the, ham aapko batana bhi chahte the ki hame bhi vesa hi mehsoos hota hai per ham itne sidheer ho gaye the ki kuch keh hi nahi pa rahe the

Hamari Rani ne hamari nighoan me fir dekha utar ke liye aur iss baar ham khud ko rok nahi paye and kheech liya aapko apne kareeb
Aapke hotho ko apne hotho me lekar, Hamne apna Prem dikhana chaha aur kahein toh Mausam bhi hame dekh kar utna hi khush ho raha tha aur barshne laga

Hamare hath aapki kamar ko pakde hue the aur aapke hath hamare kurte ko, Hoth harkate karte hue Sharma nahi rahe the aur fir hamari laabo se sabd nikale

Hamne bhi bata diya aapko ki ham bhi aapko kitna chahte hai aur ham bhi aapke bina ek pal nahi bita sakte

Sharam jo harkat ke waqt nahi thi, uss pyari si sharam ne aapke gaalo ko laal kar diya aur hamne dekha kaisa aap hame dhakka maar kar, Barsaat mehsoos karne chali gayi

Aapka bheege badan , hotho per muskaan aur hatho ko hawa me lehrata dekh ek muskurahat hamare bhi labo per aagyi, vahi muskarahat jis per aapne hame daat bhi lagai hai aur tareef bhi ki hai

Aapko apni baahon me lekar Hamne aapko Barsaat ke niche ghuma diya un kahaniyon ki tarah, Vahi kahaniyan Jo aap kitabo per padhti thi aur Virat Bhai ne hame bataya tha

Aapki sharmili muskan ke baare me jab bhi sochte hai hamara dil pighal jata hai aur voh sabd jinme aapne hame khud ka bulaya vo kaano me gunjane lagte hai

Ye kitab chahien yaha khatam ho rahi ho per hamari kahani kabhi khatam nahi hogi rani ji, Ham aapse bhot prem karte hai aur apni aakhri saas tak karte rahenge
Ye sab hamne khud ki bhawano ko likha hai aur ham aapse aapke utar chahenge,

Ham aapko dhanywaad kehna chahte hai, Sukriya hamari zindagi me aane ke liye aur hame Prem ki dor me bandhne ke liye
Iss kambakt ko ye batane ke liye ki prem kya hota hai aur kesa mehsoos karta hai, Shukriya nandini ji

Aap hai hamari Rani aur ham hai aapke hirday ke Raja,
Ham beetana chahte hai aapke sath hamari Puri zindagi, Aapko khud ki baahon me paana chahte hai aur khud ko aapki

Ek choti si duniya, ek choti sa parivaar banakar bas aapke kahaniyon ke shehar me basna chahtein hai,

Subah uthte hi aapke muskurate hue chehre ko dekhna chahtein hai aur raat ko nindiya aapki aankho me basi dekhna chahtein hai
Aapki aankheino ki yahi chamak me rehna chahtein hai aur khud ko aapko sop Dena chatein hai

Bhot prem karte hai nandini ji aapse
Bhot

Hamse hui bhool chhukh hamari maaf kar Dena, bas hamara hath tham kar hamara iss zindagi ki gaddi me sath dena yahi chahtein hai

Zindagi ki har pedi per kadam aapke sath rakhna chahtein hai aur aaj pehli baar khud ki likhi kitabo me pyaar bayan karne me dikkat ho rahi hai per sach me

Aapko bhot Prem karta hai aapka ye pati
Apni nandini ko bhot Prem karte hai unke abhiraj ji

Shukriya

तुम्हारे शहरी बाबू
अभिराज कश्यप

प्रेम की डोर

.
.
.
.
.
.
.




Continue Reading

You'll Also Like

758K 43.2K 34
❝ She has always dreamed of having that perfect 'home' but then found 'him' instead ❞ A home is something that she has always dreamt of, where she'd...
47.3K 4K 15
𝓘 𝓯𝓮𝓵𝓵 𝓯𝓸𝓻 𝓽𝓱𝓮 𝔀𝓪𝔂 𝔂𝓸𝓾 𝓼𝓷𝓮𝓪𝓴𝓮𝓭 𝓲𝓷𝓽𝓸 𝓶𝔂 𝓼𝓸𝓾𝓵. 𝓠𝓾𝓲𝓮𝓽𝓵𝔂. 𝓓𝓮𝓮𝓹𝓵𝔂. 𝓑𝓻𝓮𝓪𝓽𝓱𝓽𝓪𝓴𝓲𝓷𝓰𝓵𝔂. _________★...
594K 42.2K 50
It was the second story which contains every girl's dreams about her love life and her partner...This story is very close to my heart and as the name...
657K 34.6K 79
People say love destroys friendship and one shouldn't fall in love with their best friend, unknown of the fact that if it works out you'll have your...