MAHAJANS ~ The Entangled Empi...

By kAhaaniSunoge

3.2K 184 261

MAHAJANS - the Entangled Empire! The fiction is about twisted relationships and secrets of a Business family... More

Introduction
Ladna Hoga!
Hum Haar gaye!
parting ways!
Nagars will never return!
Abhi na jaao chodhh kar...
Re-alignment of Stars.
VISH and AMRIT
Staying a step ahead!
Time for tables to turn!
Chhal aur Vijay!
BONUS CHAPTER 😉

Kabir: the end ~ the beginning!

457 19 5
By kAhaaniSunoge

Yuvika was shattered, it has been two days since the incident happened but HIS words are continuously reiterating in her head 'Yuvika tumhe accept karna hoga ki tum ek MAHAJAN ho, MAHAJAN Empire tumhara hai aur tum is Vansh ki VANSHAJ ho!'
'NAHI..Nahi banna mujhe Vanshaj, ye duniya meri nahi hai, yahan koi apna nahi hai !
Sabke chehro par nakaab hein, sabke man mein ghamand hai, lalach hai, bhook hai...ek kabhi na khatam hone vali Bhook!' Yuvika yelled sitting and hiding herself from lights at the corner of her bed.
**Someone knocks the door**

'kahaa na mujhe kisi se nahi milna, khana laaye ho toh table par rakh do, main kha lungi' Yuvika said being irked

'Yuvi , main hoon'
As soon as she heard the voice she pushed herself and peeped from the edge of the bed
Her Sunshine, her Support, her cheerleader was there.
' Neil...'
Yuvika got up and ran towards him, hugged him right and cried like she had never before.
'Neil, vo marr gya Neil... Main nahi bacha paayi use. Mummy... ! Mummy ko bhi nhi pta tha,
Humse galti hogyi .. mera bha....' Neil's t-shirt at his heart was almost wet because of her tears, be could feel her heavy breaths, his eyes became moist but he stood strong.

'sshhh' he kept his fingure on her lips and made him calm down, he knows how vulnerable Yuvika is, though she mentally strong and a determined girl but her emotional quotient is weak, she needs love and support of her loved ones to keep on going.

'shaant Yuvi, main hoon na! Main tumhare man ki har baat sununga lekin usse pehle... Paani piyo..chalo!' he brought a glass of water from a side table and made her drink some water
He made her sit on the bed and sat beside her
'ab thik ho?' he asked and she nodded in affirmation
''mummy kaisi hein Neil ?! Main gyi thi unko dekhne par unhone kaha unhein thoda time chahiye, tum Gaye the unke paas?
Arjun ko dekh ke aaye? Vo so gya hai naa?'
Yuvika asked but she was extremely baffled and afraid
'haan Yuvi..haan! Arjun so gya hai aur Aunty bhi thik hein
Unhone mujhse bhi yahi kahaa ki unhein thoda time chahiye par unhein tumhari chinta hai Yuvi, bataya unhone mujhe ki kaise tumne apne aap ko is kamre mein band kar liya hai
Sirf unse ya Arjun se milne jaati ho! Dadababu se bhi baat nahi kar rahi ho, kyunn? Vo kyaa baat hai jo tumhein itna pareshan kar rahi hai? Aur vahaan bed ke paas kyun baithi thi tum? Tum sabse jhoot bol sakti ho, aunty aur Arjun ki chitna kar rahi ho...dikh rha hai mujhe lekin tumhari aankhon mein aansu aur darr, vo bhi dekh paa raha hun main, jo hua vo nahi hona chahiye tha, ye daldal ab aur bhi gehra ho chuka hai par iska matlab ye toh nahi ki tum haar maan logi?'
'yahii toh nahi ho raha mujhse Neil, haar toh kabka chuki hun par koi mujhe manne hi nahi de raha, kabhi Papa, kabhi Mummy, kabhi Dadababu, kabhi tum toh kabhi..Kab...!
baar-baar aakar is haari hui Yuvika se kehte ho ki Yuvika utho, tum haar nahi sakti, par mai Haar chuki hun Neil ! Ab aur ladne ki taaqat nahi hai mujhmein
Main yahan VANSHAJ banne nahi aayi thi, main nahi maanti khud ko Mahajan'
Yuvika irked and cried

For the first time, Neil didn't stop her tears
He knew her suffering is personal, her loss is personal and her battle might never end.
He let her cry, she leaned on his shoulders and he just sat
After a while he tried to speak 'mujhe maaf karna Yuvi, main tab tumhare paas nahi tha jab tumhein meri sabse zyada zaroorat thi, par DJ ne mujhe bhi gumraah karke yahaan se Mumbai bhej diya,
Jin logon ko maine tumhe dhundne ki zimmedari di thi unhone mujhe galat information di ki Kabir tumhe lekar Mumbai chala gaya hai, information meri source se thi isiliye mujhe Shaq nhi hua par Mumbai jaakar jab Kabir ke thikano par gya toh pta chala ki vo toh vahaan pahucha hi nahi
Isse pehle kuch aur pta lagata, khabar mili ki.....' Neil sighed.
'Kabir ki muh boli Behen ne mujhse kaha hai ki vo apne saare kiye ke liye sharminda hai, use khud nahi pata tha ki kahani aisa modd le legi, usne tumse aur Aunty se maafi maangi hai aur kahaa hai ki jaise tumne apna Bhai khoya hai, usne bhi apna Bhai khoya hai ... Ho sake toh use maaf kar dena'

Yuvika sat straight and wiped her tears, something was filling her with strength
'Bhaii, Neil... Papa kehte the ki kuch rishte aise hote hein jo khoon se hamare sath judte hein , in rishton ko hum apne liye nahi chunte, ye chahh kar bhi tode nahi Jaa sakte, koi na koi dhaaga reh hi jata hai lekin kuch rishte aise hote hein jinpar hamara full control hota hai, in rishton ko todna-jodna, banaye rakhna sab hamare haath mein hota hai, ye dil ke rishte hote hein
Lekin..
Kabir ke sath ?? Kabir ke sath na toh main Khoon ka rishta nibha saki na Dil ka!
Kabir Mera Bhaii tha Neil !! Meri mummy ka Beta, mummy par kyaa beet rahi hogi main soch bhi nhi sakti, mere haathon mein tha vo Neil, mere samne damm toda hai usne' Yuvika eyes were filled with tears thinking about the incident that happened that night

                       •••• flashback ••••

'Yuvika, yahaan se Bach ke niklna namumkin hai, ye jagah chaaro aur se sealed hai
Aur gate par DJ ke gunde khade hein' said Kabir while hiding himself behind a tank kept in a darkroom
'2 din se hum bas idhar se udhar bhaag hi rahe hein Kabir, tumhare kehne se humne us truck vale se lift li aur delhi ka border cross Kiya lekin fir bhi hum fass gye! DJ ke gundo ne humein dhoond hi nikala! Mujhe lagta hai, bachne ka ek hi tareeka hai ! Humein unse jaakar baat karni chahiye ki unhein exactly chahiye kyaa?' said Yuvika while hiding herself behind a wardrobe lying there
'itna asaan nahi hai Yuvika, tumhe abhi bahut kuch seekhna hai..! Kasshh! tumhein seekhane ke liye main tumhare sath reh pata par koi baat nahi' Kabir gave this witty reply but in a monotonous tone
'Kyaa matlab hai tumhara Kabir?' asked Yuvika being confused
'Yuvika, kehte hein mitti ko jaisa aakar doge, vo vaisa roop le legi !! DJ ke sath bhi kuch aisaa hi hua hai !! Bachpan se hi uske dimag mein Mahajan Empire ka ek lauta Vanshaj hone ki baat daali jaati rahi, fir ek din tum log pahuch gaye
Uski loving family aur flourishing business jo apparently sirf uska tha, uska hissa banne, galti uski nahi hai, uski family mein kabhi koi aur tha hi nahi. Jaise tumhari, tum Nagars ki family ki picture mein bhi main kahaan hi fit baith-ta hun ..right?'

Yuvika hesitated, she was understanding what Kabir was saying
'tum mere Bhai nahi ho Kabir, pta chal gya hai mujhe' Yuvika hesitated but she thought if not now, when? When she will tell Kabir that she is not a fool, she knows that he and DJ were gaslighting her
'aur ye tumse kisne kahaa? Tumhari maa ne? Oops Hamari Maa ne ? Jinhein khud nahi pta ki unka beta Zinda hai ya marr gya?' Kabir smirked but his eyes were saying something else, he was longing for love and care, his eyes were moist
'tum kehna kya chahte ho Kabir? Tum koi baat seedhi seedhi kyun nahi karte?' Yuvika pushed him a little that lead to a sound from their end and this gave a signal to the shooters outside
'vo dono andar hein shayad' shouted one of the shooters from outside

Yuvika and Kabir tried to hide themselves properly and kept their mouth shut, they didn't moved an inch from there place

After few minutes, Kabir sensed something, he understood what's gonna happen
In rush he started speaking but kept his voice low 'yuvika! Tum kuch nhi bologi...kuch bhi nahi, ab main jo bhi bolunga, bas sunti rehna'
'Main Mumbai mein rehta hun, choti-moti filmon mein koi role ya kbhi advertisements karta hun
Main usi anaath-aashram mein pala badha hun jahaan tum aur Neil gye the, vo kahani sachii thi Yuvika! Mera school khatam hone ke baad maine paas mein ek dukaan leli, filmon ka kaam bhi hota raha lekin rozi-roti ke liye gaadiyan sahi karne ka kaam karne lga fir, ek din ek gaadi aayi mere paas thik hone
Uske maalik ne apna naam Harish Nagar bataya, mujhse kahaa gaadi thik kardo! Main thik kar hi Raha tha ki mujhe usmein ek paper Mila
Maine Sahab se pucha ki ye paper lekar vo kisko dhund rahe hein ? Toh unhone kahaa 'tum jaante ho main kaun hun? Harish Nagar! Apne time ka mash-hoor stock broker lekin fir zindagi kuch aise palti ki sare rishte tutt gaye! Biwi bimaar rehne lagi toh usko lekar London chla gya, meri beti vahaan Maa ko dekhne aayi toh vahi usne ek beti ko janam diya,sab thik ho hi raha tha ki mere damaad ko kisi ne ek befizool ke scam mein fasa diya...us vajah se meri aur meri beti ki duniya hamesha ke liye alag ho gayi !! Aaj jab uske paas vapis lautne ka sochta hun toh ateet ki vo ek baat abhi bhi mujhe rokti hai, darasal... meri naatin ke hone se pehle meri Beti ne ek bete ko janam diya tha
Yahi Delhi mein, apne pehli shadi se lekin ek haadse mein uska pati nahi rha aur jab Uska beta paida hua toh humm darr gye ki samaaj mein ab ye akeli kaise rahegi?
Akele is bache ko kaise paalegi?
Us din main us bachhe ko lekar yahaan Mumbai aagya, use saup diya ek anaath aashram ko
Kuch saal Tak aata raha usko dekhne, usko Milne
Paise bhi bhejta rha lekin London jaane ke baad ye sab thoda mushkil hogya aur fir band!
Ab afsos hota hai, mujhe meri galti ka ehsaas hai...ye usi bacche ka birth certificate hai, Dhundne aaya hun use'
Yuvika was listening everything carefully was connecting dots, she understood where this is heading
'vo sahab toh chale gye lekin us certificate ko mere paas hi bhul gye ..maine bhi nahi lautaya! KYUNKI VO MERA THA!
Aur iteffaq dekho! Thik ek din baad mujhe ek phone aaya tumhare pyaare Bhai DJ ka!
Buddy kehta tha vo mujhe, vaise toh mujh jaise mechanic ko ghas bhi na daale lekin ek din jab vo Mumbai mein tha tab meri dukaan ke saamne apni aalishaan gaadi mein baith kar sar peet rha tha, maine toh bass insaniyat ke naate puch liyaz Sahab chai laadu? Usne Aisa khoonkhar look diya mujhe ..lekin fir meri nazar uski phone ki screen par padi
Uske invest kiye hue shares ke prices gir rahe the ...mere saamne vo kankaal hota ja rha tha! Mere se dekha nahi gya aur maine Jo kuch bhi internet aur apne Mumbai ke doston se seekha tha uske mutabik use ek Salah dedi
Uske baad agle din toh ye mere saamne nayi chamchamti gaadi lekar khada hogya
Bola 'Digvijay Mahajan kisi ka ehsaan nahi rakhta, kal tumhari salaah ki vajah se mera loss , profit mein badal gaya isiliye us profit ke 1% ki ye gaadi laaya hun tumhare liye'
Bas us din ke baad se lekar Aaj Tak DJ ne befizool ki harkatein mere sath nahi ki, shayad samjh gya tha ki mere paas usse zyada dimaag hai !!
Lekin Nagar ji milne ke baad mujhe ye baat pta chla ki ye stock market mere dimaag mein nahi, mere khoon mein hai !!

Hnn..toh kahaan tha main? Ki DJ ka call aayi
Aur uske baad Jo kuch bhi hua vo tumhare saamne hai lekin in sab ke beech mujhe pta chla ki main jis Bhumi Oberoi ko dhund raha hun vo toh ab Bhumi Mahajan hai! Aur ye saara khel main apno ke sath hi khel rha hun lekin fir Mujhe Mera badla yaad aaya
Mujhe laga jo mera ho sakta tha vo toh kabhi mujhe Mila hi nahi
Naa...
daulat nahi chahiye thi mujhe
Lekin Maa ka pyaar, pariwaar ka sath, sammaan, naam ye sab mere hisse kyun nahi aaya?
Aur dekho Aaj usi rishte aur usi pariwar ki vajah se aaj main apni Jaan se pehle, apni behen ki , tumhari Jaan bacha raha hun!
Aisa lag raha hai Puri zindagi jis cheez ke peeche bhaga vo toh mehaz ek miraaj tha
Aur jab tak samjh mein aaya ki maa ki ismein koi galati nahi thi, unhein toh pta bhi nhi tha mere baare mein tab Tak main paani mein bahut gehrayi Tak utar chuka tha Yuvika'

Yuvika was listening and joining each and every incident that took place in past
What brought him and Kabir here?
What was the need? Kabir is her brother!
Her Nana must have lied to her mother and bribed hospital authorities!
Her mother is livin' with a lie.

Kabir's guilt was evident,
She hugged Kabir, in past two days she understood that Kabir isn't a bad guy but situation made him
Kabir hugged her back but then asked her to leave
'yuvika, yahaan se niklane ka ek hi tareeka hai
Ki hum mein se koi ek jaakar unka dhyan bathkaaye aur dusra yahaan se bhaag jaaye, tum chali jaao yahaan se Yuvika!'
'Nahi Kabir Bhaiya, aaj itne saalon ke baad aap humein mile ho, mummy ko toh pta bhi nhi hai
Aap jaao, DJ se Jo bhi dushmani hai vo meri hai, aapki nahi'  said Yuvika while holding his arms
'Bhaiya bhi keh rahi ho aur jaane ko bhi? Jaanta hun Aaj tk koi raakhi nhi badhawayi hai maine tumse par Bhai ka haq toh mat cheeno mujhse.
Maa ke pehle bhi 3 bacche the Yuvika aur Aaj hum dono mein se kisi ek ke bach ke jaane ke baad bhi unke 3 hi bacche rahenge isiliye behtar hoga ki tum unhein sach na batao, main toh vaise bhi unke liye marr..'
'nahii..." Yuvika tried to shut his mouth
'nahiii, aapko kuch nahi hoga! Hum yahaan se sahi salamat niklenge aur aap Mummy se miloge'

In the meantime they saw someone approaching them
'yuvika bhaag jaao' urged Kabir but Yuvika ignored
In order to save Yuvika
Kabir decided to sacrifice 'yuvika tum bahar nhi aaogi' and he started running towards the other side
The shooter at a distance saw him and tried to shoot, Yuvika was about to shout but she recalled her brother's words and understood that it's necessary for her to keep herself safe in order to protect Kabir as soon as she will get chance

Kabir kept on running, hiding and escaping from bullets
Yuvika started moving towards the main door keeping herself hidden
As soon as she unlocked the main door she heard Kabir's voice , a bullet must have hurt him
She thought
She started running towards him and that's where shooter saw her
But before shooter could attack, someone attacked the shooter, The POLICE were there!
Vidur Uncle and Bhumi reached there and saw Yuvika sitting beside Kabir who was hit by bullet near his lungs!
'Mummy! Kabir Bhaiya ko kuch nahi hona chahiye...vo aapko kuch batana chahte hein' Yuvika was too scared and this confused Bhumi
Bhumi sat beside Kabir on the other side whereas  Vidur Uncle asked Police to leave them alone  and ensure that there is no other shooter around, he also called the ambulance
He told Yuvika, how Neil tracked Kabir and Yuvika's phone from Mumbai and sent his people to find clues and locate the exact location.

'Maa !!' for the first time Bhumi felt that Kabir wasn't acting
His words are genuine, tears came rolling down her cheeks and she held Kabir's hand tight
'Maa! Puri kah..aani batane ka samay nahi bacha hai mere paas sha..aayad!' his words were breaking, 'yuvika bta degi aapko, main ....main toh sirf maafi maangna chahta hun aapse
Puri zindagi jis maa ke pyaar ke liye tarasta rha, jab vo Maa mere saamne thi toh mujhe badla yaad aaya, sochaaa hi nhi ki Mata kabhi Kumata nhi ho sakti, Maa ho sake toh mujhe maa..af karna! Yun toh aapke sath ek pal bhi nahi bitaya maine par ab jab jaa raha hun toh lag raha hai kaash jeete jee ek baar aapki godd mein sar rakh leta!' Bhumi started crying, 'tumhein kuch nhi hoga Kabir' she tried to console him and herself
'agar mujhe kuch nahi hua Maa toh aapse khoob Laadd karunga lekin kyaa abhi ke liye apni godd mein mera sar rakh skti ho? Kam se Kam marte marte toh ...'
'Nahii...' Bhumi tried to stop him
"Yuvika tum bhi meri baat dhyan se suno! Jab tak power sahi haathon mein nahi jati tab Tak power ka galat istemal hota rahega! Koi na koi Kabir kahin na kahin tadpata rahega ..  koi pyaar ke liye, koi insaaf ke liye toh koi sammaan ke liye
Tum mein vo Kabiliyat hai Yuvika, tum Power ko apne haath mein lekar uska sahi istemal kar sakti ho! Tumhe ladna hoga, apne liye nahi toh har us insaan ke liye jiske sath kahin na kahin, kuch na kuch galat ho raha hai
Tumhein accept karna hoga tum MAHAJAN ho, tum badlaav la sakti ho, tum is Vansh ki VANSHAJ ho Yuvika !!'

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hello Readers!
Hope you'll have enjoyed the first segment. Do drop your reviews and press the star button on your screen ⭐

I won't promise to write further ASAP but I will try my best to not keep you waiting for long :)
Until then,
Happy Reading 💫

Continue Reading

You'll Also Like

93.4K 6.6K 60
a regresser and a transmigrating reincarnator face the horrors of a romance novel together Put less succinctly, in one of the many parallel world...
1.6K 36 14
Reyansh Singh Rathore main character of the story , belongs to the Royal family of the Rajasthan in India . Or it would be better to say that he's t...
3.2K 276 15
Nandhini's Karikalan. This is the second book of the series, Nandhininkarikalan. Here you will get to see the Ruthless side of Karikalan, Vulnerabl...
1.7K 56 6
- a few random one shots on NeiVika!!