𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏

By moonxpastelstar

7.6K 324 2K

شہریار سکندر ✦❃✦زرنیش عباس Story of Shehryaar Sikandar khan and Zarnish Abbas Do logo ka safar, safar bhi e... More

Author's NOTE
کردار 🦋
باب١🖤
باب ٢
باب٣
باب:٤
باب٥
باب٦
باب٧
باب٨
باب٩
باب١٠
باب: ١١
باب١٣
باب ١٤

باب١٢

275 12 160
By moonxpastelstar

______________________________________

Chapter no.: 12

______________________________________

پلکوں کو غمِ ہجر نے آرام نہ بخشا
آنکھوں سے نہیں نیند مقدر سے اُڑی ہے

...

"Zarnish aap yaha?" Apne office ke darwaze se usse andar aaty dekhe wo kafi heran tha

"ji.. Wo kuchh puchna tha!" wo preshan nazar arhi thi

"puchay" wo usse samne bethe ka hishara kar chuka tha

"apki maa baap ki love marriage thi?" wo apni dono hatho ki ungliya sath jore puch rahi thi "ji han" Shehryaar ke jawab pe wo ek aur sawal kar bethi

"isi baat pe apke dada sahab unse khafa rahy hain?"

"bilkol!"

"aur apke chachu Sahab ne unki marzi ke mutabiq shadi ki?"

"ji aesa hi hai"

"tou agar yeh baat uski batayi sach hai tou apki engagement wali  'sach kyu nahi hai??" uski baat pe Shehryaar usko herangi se dekh raha tha

"tha engaged mai.." yeh baat Shehryaar ke muh se nikalne ki hi dair thi ke Zarnish ke pairo talay zameen hi nikal gayi thi..

"Apne raat phr jhoot kyu bola.. Ke Mere ilawa koi nahi tha apki zindagi mai na pehle na ab????" wo jazbaat mai arahi thi

"dada jaan ki khuwaish thi ke wo mujhse sirf isi shart pe razi honge ke mai unke janne walo ki beti se mangni karun.. Waqti mangni thi.. Toot gayi"

"waqti mangni?? Toot gayi?? Phir tou yeh bhi waqti rishta hai?? Toot jaye ga??? Hainaaaa???" uski saansein phul rahi thi

Shehryaar usse be-yaqeeni se dekhta reh gaya tha.. Shyd baat mazeed bigarne ko thi..

"ZARNISH!!! Nahi hai yeh koi waqti rishta.. Nahi toote ga yeh rishta mai is rishte ko tootne dunga hi nahi!!!!"

"mangni tou toot gayi na? Ye bhi.. "

"bas Zarnish bass.." wo uski baat adhuri reh chuki thi..

"kya bas Shehryaar.. Alisha ki har ek baat sach tou hogayi hai!.. Apki maa baap ki pasand ki shadi dada Sahab ka unse narazgi.. Chachu ki unki razamandi se shadi karna apka mangni karna.. Sab saach tou hai"

"aur us jhoot ko kis khatay mai leke jaye gi aap.. Alisha ne tou yeh bhi bataya tha apko ke meri shadi ho chuki thi meri mehbooba ke sath.. Mai usse usi ghar leke gaya jaha apko rukhsat karke laya hun Han? Bataye kya yeh jhoot bhi aap sachh maan lein gi??? "

"shyd yeh bhi sach ho.." Zarnish ka jawab sunne wo Waqai be-yaqeeni ke alam mai punch chuka tha.. Usse Zarnish se yeh umeed nahi thi..

"jhoot bolne mai waqt konsa lagta hai! Wo tou sab se zyada asaan kaam huta hai"
Wo hath seene pe bandhe dhat ke uske aage khari thi..

"bilkol jhoot bolna bhut asaan huta hai Zarnish.. Mujhe yaqeen tou is baat pe nahi araha ke aap us larki ki baatoon ki wajha se mujhe jhoota thehra rahi jis se milte hi aap usse larne lagti, jiski majoodgi ko apnany se apne Inkaar kiya tha.." wo apne apko uske aage kamzoor hone se ruke huwe tha..

"Shehryaar.." wo waha se janne ko palta tha jab usne uska naam pukara tha

"mujh pe shak karne se pehle ek baar zaroor aake mujhse baat saari clear kar li jiye ga..galat fehmiyoon ka bich ek baar jab boha jaye tou lamhe bhar mai sadiyoon ki paki buniyaado ko pal bhar mai tabah kar deti hain! Log tou apna kaam kar jaty hain baki hum pe depend Huta Hai Ke hum unhy unki sazaish mai khamyab hone de ke nahi. " chehre ka ruk uski taraf kiye bagair wo usse mukatif tha.. Uski peet uske chehre ke bal thi

"she successed! Aaida mile tou Alisha ko mubarak baad de dena, Kamyab jo hui hai wo.. Apko mujhpe shak dilane mai" uski dard bhari hasi sunne sunayi di thi.. Apna coat chair se uthaye wo bagair uski taraf dekhe exist door ke pas ruka tha, apni ankh ke koone se ansu punchy wo bahir ko nikal chuka tha..

Wo ja raha.. Wo chala gaya tha.. Usne usse ruka tak nahi usse janne diya.. Peeche wo khari rahi.. Apne nam si ankho ke sath jo ab apne aksh baha rahy thy… wo ghootno ke bal bethe roo rahi thi..

"Zari?" Husam ne andar aate huwe usse ghootno ke bal roote dekha tha.. Wo preshan tha.. Idhr udhr nazar ghomayi thi par Shehryaar usse nazar nahi aya tha..

"bhai kaha hain? Kya huwa hai??.. Ap yaha kya kar rahi hain??" usne rooti hui Zarnish se kahi sawal kiye thy jis ke jawab wo de nahi rahi thi balke mazeed roo rahi thi..

"Zari roona band kare please! Uthy aur yaha bethe" wo usse sofe ki taraf tehket karta aage huwa tha..

"Zari please uthy.. Yun na bethe.." wo usse darkhast kar raha tha.. Zarnish ne uski taraf ansuho se bhari ankho se dekha tha.. Aur kuch dair baad uski baat ko manay wo uthi thi aur sofe pe aye beth gayi..

"mujhe bataye kya huwa hai.. Ap roo kyu rahi hain?? aur bhai kaha hain?" usne phir se sawalo ka silsila shuru kiya tha

"wo..wo chale gaye.." Zarnish ba mushkil lafz ada kar chuki thi

"chale gaye? Kaha chale gaye???" wo samjh nahi pa raha tha uski baat.

"mujhse naraz huwe.." wo bataty roo pari thi..

"ho hi nahi sakta.. Sherry bhai kisi se bhi naraz nahi hute.. Wo bas hurt hute hain tou apna boujz liye sakoon dhudte hain..

Ek minute wo hurt huwe hain? Apne unhy hurt Kiya????? Zari apne unhy hurt Kiya hai kyaaa?????" wo uski taraf be-yaqeeni se dekh raha tha.. Zarnish ne asbaat mai sar hila dala tha.. Wo chonka tha.. Apne baalo pe hath phiray wo dobara uski taraf dekhne laga.. " i can't believe it Zari you can hurt him so soon!.. Yeh umeed nahi thi apse Zari"

Zarnish uski taraf dekh hi nahi payi thi.. Wo khud  sharmindgi mehsos kar rahi thi..

"i…iam sorry.." Zarnish sharminda hute mazrat kar rahi thi.. Husam ne usko be-yaqeeni se dekha tha.. Wo gussa ho raha tha.. Lekin usse apne gusse ko kabu karna tha.

"sorry? Seriously sorry??"

"will you please tell me what exactly happened??" wo Khud ko clam karta ek kursi pe betha tha..

"wo…" Zarnish ne ba mushkil se usse sab kuch bataya tha

"DAM IT!!!!!" Husam unki ghuftugu sunne jhat se uthy apne hath ko diwar pe lage sheeshe pe mar chuka tha..sheesha puri tarah toot chuka tha.. Aas pas sheesho ke tokre bikhar chuke thy.. Zarnish usko is halat mai dekhe khoofzada hui thi..

"Hu..Husam.."

"DUR RAHO MUJHSE!!!!" wo usse apne hath ke hishare se dur rehne ko keh raha tha.. Uske hath se ba-thaka khoon ras raha tha.

Pheli baar tha jo Husam usse rudely behave Kar raha tha.. Zarnish yeh Sab dekhe mazeed sharmindgi ka shikar hui

"jao.. Ghar jao wapis!!!" wo usse kehta foran bahir ke darwaze pe aa khara huwa tha ke wo kuchh bolne ko tayar thi.. Par wo uski baat nazar andaaz kar chuka tha

"Shehryaar.."

"dhud lunga mai apne bhai ko khudhi"
wo usse kehta office se khud bahir ko aachuka tha..

Zarnish bhi chup chap apne apko liye waha se nikal ayi thi.. Neeche driver uske intazar mai khara tha.. Wo apne ansu punchy gari mai beth chuki thi..

"aur us jhoot ko kis khatay mai leke jaye gi aap.. Alisha ne tou yeh bhi bataya tha apko ke meri shadi ho chuki thi meri mehbooba ke sath.. Mai usse usi ghar leke gaya jaha apko rukhsat karke laya hun Han? Bataye kya yeh jhoot bhi aap sachh maan lein gi??? "

"bilkol jhoot bolna bhut asaan huta hai Zarnish.. Mujhe yaqeen tou is baat pe nahi araha ke aap us larki ki baatoon ki wajha se mujhe jhoota thehra rahi jis se milte hi aap usse larne lagti, jiski majoodgi ko apnany se apne Inkaar kiya tha.."

"mujh pe shak karne se pehle ek baar zaroor aake mujhse baat saari clear kar li jiye ga..galat fehmiyoon ka bich ek baar jab boha jaye tou lamhe bhar mai sadiyoon ki paki buniyaado ko pal bhar mai tabah kar deti hain! Log tou apna kaam kar jaty hain baki hum pe depend Huta Hai Ke hum unhy unki sazaish mai khamyab hone de ke nahi. "

"she successed! Aaida mile tou Alisha ko mubarak baad de dena, Kamyab jo hui hai wo.. Apko mujhpe shak dilane mai"

Wo uski baatein uske zehn khashi ho rahi thi.. Usse mazeed pachtaway mai dhakelne ke liye..

"rameez chacha?" usne apni awaz ba-mushkil nikali thi

"ji bibi kahe"

"Shehryaar kaha ho hute hain aksar.. Mera Matlab jab jab wo ghar na ho tou wo konsi jagah hai jaha wo jaya karte hain?" Zarnish ke sawal pe wo unhy herangi se dekh rahy thy

"sab thek haina bibi g?"

"ji.. Ap bataye.. Aesi koi jagah hai tou mujhe waha le chale.." Zarnish ki darkhasti lehje pe ghoor kiye wo sar asbaat mai hila bethe.

Adhe ghanty baad gari ruki thi Zarnish ne apni band ki ankhein ab kholi thi "kya huwa?"

"bibi ji.. Yeh masjid hai yeh Sahab ki pasandi da jagah hai!" usne muskurahat ke sath Zarnish ko mukatif kiya tha.. Zarnish ne ek nazar masjid ko dekhe ab qadam uski taraf bharaye thy..

Zarnish ne ek nazar masjid ko dekhe ab qadam uski taraf bharaye thy..

Woh masjid ke darwaze par pohanch kar thori dair khari rahi..
Badshahi Masjid ke front darwaze  Alamgiri Darwaza ke naam se janna jata tha. Alamgiri Darwaza ka size bohat bara aur iska design Mughal Empire ki architecture se milta julta nazar aata tha. Alamgiri Darwaza ka construction red sandstone aur marble se bana huwa tha…

Nange paon wo masjid ke andar dhakil hui thi, wazu ki jagah se usne apna wazu mukamal kiya tha aur.. Aage chalte ek Jan e maz uthaye usse zameen pe pichaya tha.. Jan e maz pe khari hui wo qible ki taraf ruju thi.. Wo sajde pe ja pari, apna matha zameen se milaye wo sajde ki halat mai thi…
Wo ajj kitne salo baad yun apne rab ke samne jhuki thi.. Uski ankhein khud ba khud ansuho ki raftar bhara rhy thy.. Ya rab Ya Allah wo ba mushkil lafz ada ki phot phot roo di..

"Allah pak.. Agayi apki gunegar bandi apki azeem bargah mai… Mujhe maaf kar de..…. Shyd hi mai maafi ke qabil hongi.. Par.. Par Allah pak mujhe ap maaf kar dena aap tou bhut reham o karam ke malik haina.. Mai janti hun maine apse bachpan se leke ab tak sirf zubani guftugu ki hai par kabhi.. Kabhi bhi ek sajde karne ki toofiq nahi ki.. Kitni buri huna maii… Phir kese apne mere naseeb mai shehryaar jesa banda likh dala.. Uske saath na insaafi hui hainaa.. Ya Allah wo.. Wo mujhse behtar deserve karte.. Mujhe unki zindagi se nikal de… Ya Allah.. Wo achay hain.. Bhut achay hain lekin mere liye nahi hainn.. Mere nahi hainn.. Wo bhut bhut achay hain.. Wo hera hain.. Us herray ki hifazat ki jiye ga Pyare Allah g.. Unhy koi takleef na punchaye ga.. Ap bhi soch rahy honge na kesi bandi hai khud takleef deke khudhi apse usko takleef na milne ki dua kar rahi.. Ya Allah wo. 'wo tou apke achay bande haina… Shehryaar acha acha deserve karte hain.. Mujh jesi tori… Jo unko suna rahi thi bila kisi wajha ke.. Mujhe maaf Kar de ya Allah.. Kich le meri dour apni taraf.. Na hone de mujhe tabah.. Bacha le mujhe duniya ke rango se aur laga de mera dil apni ibadato main… Please Ya Allah pak please.. " usne phot phot rooye  hath dua ke liye uthaye huwe thy..

Wo apne apko samaity, behty ansuho ko apni hateliyoon se punchy, waha se uth khari hui thi.. Tora aage aaty huwe usse kisi ki awaz sunayi gayi thi.

"Ayy duniya te bas ek tamasha hai.. Ek Haseen khoobsoorat tamasha.. Miti de putle akhir khar te miti tey mil jany aah..rab rab Karo.. Lag jao udi ibadata tey.. Pher moqa mile na mile"

Koi ajeeb hi shaks tha, sujhi hui ankhein libas bhi daaghdar sa.. Honto pe shikasta muskurahat sajayi hui thi.. Apni bat kehta masjid ke  ek kone mai jaye sajde mai par gaya…

Zarnish uski taraf dekhti hi reh gayi.. Haka baka si wo masjid se bahir ko rawana hone ko thi ke piche se awaz ayi.. "movli Sahab yeh intiqal paa gaye"

"إِنَّا لِلَّٰهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ
Innalillahi wa inna ilayhi raji'un

Yeh kalmat sunne Zarnish ke ronke khare hogaye thy…ankhein dobara se silab baha rahi thi.. Lekin uski peeche mur kar dekhne ki himmat nahi hui thi.. Apne qadam bamushkil samaity wo apni gari ke pas ayi thi jaha driver usi ke intazar mai khara tha..


Husam waha office se nikle ab apni gari mai betha tha wo gehra sans hawa mai chore streeing pe apna matha thikaye ruka tha.. Wo gusse ki halat mai drive nahi Kar sakta tha.. Kyu ke usse Shehryaar ne samjhaya tha ke gussa jaan lehwi cheez hai, gussa insaan ko kahi nuksan uthaney pe majboor kar deta hai..

Jese hi uska gussa kuchh kam sa huwa tha wo foran gari start kiye sarko pe dura raha tha.. Lekin uski samjh mai nahi araha tha ke wo kaha jaye kaha talash kare apne jaan se azeez bhai ko..

Wo phr se teezi ki speed dorah betha lekin samne kisi chote se bache ko aage aye dekhe usse jhat se gari ruki thi, speed zyada hone ki wajha se gari ke tayre road pe girayse gaye thy… Gari se utare wo foran bache ki khairiyat maloom karne laga tha uska chehra pareshani ki lehr wazeh kar raha tha

"a.. Aap thek ho!?" usne bache se bari masoomiyat se pucha tha..

Bacha uski taraf muh uthaye dekhta gaya aur phir yakdam muskurane laga.. Husam ko uske upar raksh aya tha.. Yeh bache inteha masoom hute hain jese bahir se nazar aaty wese hi andar se hute.. Unke chehre masoomiyatein jhalakty.. Husam ne apni nam ankho se uski taraf dekha tha aur uske mathe pe halka sa bhosa diya tha..

Usne bache ko goud mai utha liya tha aur aas paas nazrein ghomaye ab bache samait gari mai ja betha tha..

Gari ko normal speed pe chalaty huwe wo Ek imarat ke aage aa ruka jiska naam kuch yun tha.. "MUNISA:Umeed ki Phooliyan" مونيسا:امید کی پھولیاں

Wo us imarat ko dekhe gehra muskura diya.. nisa mama aapne Sherry bhai ki kya ala tarbiyat ki hai.. Kash mai bhi apka saga beta huta.. Kash aap hum sabke sath huti.. Nisa mama we love you so much

Uske dil ke alfaz thy.. Wo us imarat ko dekhe aksar yehi alfaz durah bethhta.. Uske ankh ke kisi kone se ansu aane ko jhalak raha tha par isse pehle wo ansu bahir ko girte usse kamzoor kar deta usne usse apne andar kahi daba chupa liya tha..

Bache ko aram se apne gale lagaye wo usse uthaye andar ko aya tha.. Samne ek kamra tha jaha do log bethe huwe nazar aty thy.. Mr Rizwan aur unki Mrs., Husam ko dekhe dono apni jagaho se uthe salam karne lage.

"Bhai kidhr hain?" rasmi salam dua ke bad Husam ka yeh pehla sawal tha.

"sain andar hain Namaz parh rahy" Mr Rizwan ne unhy muskurahat Ke sath jawab diya tha

Husam jawab wasool kiya qadam us kamre se dosere ke janib durah betha. Wo chota sa bacha ab bhi uske seene laga huwa tha..balke uske seene lagy Kab ka nind ki agoshiyoon mai sawar tha.

Darwaze ke kareeb aate huwe uske qadam khud ba khud ruk chuky thy.. Us shaqs ki awaz sunayi gayi thi balke yun keh lo uski siskiya.. Kya wo ro raha tha? Par kyu? Kya waqai usse itni takleef punchi thi.. Ke wo apne rab ke aage roone ko beth gaya?...

Husam himat kiye aage ko aya tha, apne se seene lagy bache ko usne pas ke bistar pe lita diya tha takay uski nind khrb na ho aur khud jan e maz pe bethe shaqs ki taraf bhara aur usske khande pe hath rakhe usse hosla dena chaha.. Shehryaar ne apni nam ankho se uski taraf gardan muri thi.. Ankho se basakta mote mote ansu beh rahy thy.. Husam  ka uski taraf dekhna dil phatne ki halat mai tha.. Wo kitna bebas tha aur wo uske liye kuchh kar bhi nahi pa raha tha. 'jese Husam ke sare alfaz halak mai atak se gaye thy.. Husam apni jagah mai bilkol kisi mujasmay ki tarah khara tha..

"As salam alaykum kese ho sab khairiyat?" Apne ansu apni hatiliyoon se khudhi saaf kiye wo jald se usse mukatif huwa tha. Wo mazeed bikarana nahi chahta tha..

"wa alaykum as-salam, Mai thek Allhumdulillah lekin aap thek nahi lag rhy bhai.. Bataye kyu itna roo rahy thy" wo jald se khud ko sambhale usse mutwajha huwa tha.. Husam ka puchte huwe apna ansu ko behney se rukna ab mushkil sa ho raha tha..

"sab thek Allhumdulillah.. Wo kya haina Rab zaat hai hi aesi jo sajda karta hai wo ansu bahahy bagair nahi rehta.. Sakoon milta hai Husam.. Yeh sakoon hai" wo chehre pe muskurahat la chuka tha.. Par uski ankhein ab bhi nam si thi Husam ko us pe bhut raksh aata tha.. Kya waqai us jese insaan bhi mujood hute hain is duniya mai lekin wo kya haina is be reham duniya mai us jese insaan tou bhut hai bas duniya ki be rehami mai khud ko kafi sare kho bethty.. Is duniya mai khud ko sambhalna bhutt mushkil hai.. Jo khud ko Sambhal leta hai duniya phr us shaqs ko tabah nahi kar pati.. Badal nahi pati.. Khud mai khud ki tanhaiyoon mai tou khuda milta hai.. Aur jisko khuda mil jaye usse aur kis cheez ki talab rehti..

"yeh.. Yeh kya huwa.. Khon beh raha hai? Kese chot lagi???" Do lamho ki mukamal khomoshi mai Ab jakay Shehryaar ne uske zakmi hath pe nazar dali thi.. Husam tou jese khud bekhabr sa hogaya tha us chot se, Shehryaar ki itla pe usne us zakham pe nazar dali thi aur kuch ghanty pehle wala waqiya uske zehn khashi huwe bagair reh na saka.

"wo.. Kuch nahi halki si kharosh tou lagi hai" Husam ke yun is zakhm ko halki si kharosh ka nam dena Shehryaar ko heran karne ke barabar tha.

"hadd hai Husam.. Isse tum halki si kharosh kehte ho.. Pura hath zakhmi hai tumhara!! Aur tou aur yeh dekho kanch bhi phasa huwa hai ya Allah!" Shehryaar jaldbazi mai aaye usse uska pura zakhmi shuda hath apne hath mai halke se liye dekha raha tha…us zakham mai chota sa kanch phasa huwa tha..
Uske hath se ab tak Khon ras raha tha.. Zakhm shyd zyada gehra ho chuka tha.

"itni fikr na kiya kare.. Herat huti hai aur sawal uththa hai ke kya waqai mai ap jesa shaqs deserve karta hun?" Husam uski fikarmandi dekhe herat mai doob sa jata tha Kya waqai wo yeh Sab fikrein tawajha ka haqdar tha bhi ke yeh sb bhi waqti hain.. Kyu ke usse tou uske maa baap ne chora tha.. Tou duniya kese usse apna leti.. La-warisoon ki tou duniya hai hi nahi.. Aur la Waris tou uski pehchan thi duniya ke mutabik.

"is bar tou keh diya aaida khabardar agar aesi ulti baat kahi tou.. Kaan khechun ga tumhare" Shehryaar tora se gusse ke lehje mai keh raha tha jo ke darasal gussa tha hi nahi, Husam uski taraf dekhe has diya.. Us shaqs ko tou gussa bhi thek se karna nahi aata tha…

"aapse gussa nahi hoga bhaiii jaan" Husam usse lipte bola tha

"hoga agar tumne phr kabhi ulti baatein ki tou!!"

"azeez ho tum mere liye.. Tumhare liye jaan waar bhi sakta hun mai.. Bas kabhi yeh na sochna ke tum akele ho.. Jab tak Shehryaar tumhare sath hai tab tak tume fikr karne ki zaroorat hi nahi.. Mai har pal tumhare sath rahun ga Husam.. Tum mujhe bhut azeez ho!!" Husam ka chehra apne dono hatho se pakre wo usse dkehta, Shehryaar jazbaat se keh raha tha..Husam us waqt khud ko sab se zyada khush naseeb samjh raha tha..

"Mere bhai meri jaan ho tum.. Shehryaar ka bhai Husam!" is bar kehte Shehryaar ne uska matha chuma tha aur dono usi pal ek dosere ko gale laga chukey thy..

Aese hi kuch lamhe baad Shehryaar ne uski hath ki malam pati bhi kar dali thi..

"bhai yeh bacha.. Mujhe…waha.. " Husam ab us soye se bache ki taraf dekhe Shehryaar ko itla dena chah raha tha.

"Acha kiya shahbash.. Ab se yeh bhi humari  'MUNISA:Umeed ki Phooliyan family ka hissa hai" Shehryaar ne muskurahat ke sth uska kandha tapthapaya tha..

"Mama ka khawab tha ke har ek bache ko sar ke upar chhat behtar mustiqbal zaroor milna chahiye.. Mai jab chota sa tha tabse Mama mujhse apne har ek adhure khawab ka taskara kiya karti thien.. Husam mai bas chahta hun ke mai mama ke adhure khawabo ko haqeeqat kar sakun.. Mere marne se pehle mai mama ke sabhi khawab pure karna chahta hun.."

"tum aksar puchty thy ke mai kyu.. Dada Abu Se sulah karna chahta kyu nahi unhy bhool ke aage bhar jata kyu har bar apni izzat e nafs ka katal karwa beththa.. Wo isi liye Husam ke meri maroom maa chahti thi ke mai unse acha salooq rakhun wo mujhse dil o jaan se pyar kre.. Wo chahti thi ke jesa salooq wo dada abu ka seh kar gayi hain mai na sehun.. Balke mai unka pota ban kar zindagi guzaron jinpe unhy naaz ho.. "

baat karte waqt uski ankhein bheegne ko thi.. Husam usi ki taraf dekh raha tha aur apni jagah se uthhy uske do bhond ankho se nikale ansu ko puchne laga. Sath hi uski taraf muskurahat uchchali thi.. Shehryaar bhi tori si dair mai dobara bolna ko tayar tha..

"Par din ba din ke halat mujhe nakaam kar rahy hain Husam.. Dada abu ki nafrat bharti hi chali ja rahi hai.. Mai kisi ki nafrat liye nahi marna chahta Husam..Mai apni maa ki adhuri chahat leke nahi marna chahta…mama ko mujhpe naaz tha ke unka Shehru sab kar sakta hai.. Unka shehru bahadur hai..unka shehru apne dada abu ko mana sakta hai…"

Wo apni nakamiyoon pe phot phot roo diya tha..

"Munisa mama ka shehru waqai sab kar sakta hai believe me Munisa mama apko dekhe mutmeen hongi"

Husam uski taraf dekhe uske ansu punch raha tha.. "paka na?" Shehryaar ne uski taraf nigha uthaye usse pucha tha.

Husam ne sar asbaat mai hilaya tha, Shehryaar ab is guftugu ke dorahn muskuraya tha..

…..

Magarib hone ka waqt ho raha tha.. Wo dono Magarib ki namaz parhe ghar ko wapis louty thy.. Samne lounge mai Zarnish ko bilkol khamosh bethe dekhe wo aage bhare thy.. Husam tou ek nazar Zarnish ki taraf dekhe sidha apne kamre ki taraf rawana huwa tha.. Shehryaar usko herangi se dekhta raha. Aur khud Zarnish ke barabar beth gaya "As salam alaykum"

Zarnish ne uski taraf dekha tha aur sada se lehje mai jawab diya "wa alaykum as-salam"

"pani ka glass pilaye gi?" kuch dair ki dono ke bich ki ajeeb khamoshi toray Shehryaar ne darkhaz ki thi.. Zarnish phr se uski taraf herangi se dekha tha aur sar asbat mai hilaye kitchen ki taraf riwangi li thi.

Pani ka bhara glass hath mai thamay Wo kitchen se louti thi aur Shehryaar ko wo glass pakraya tha jis pe usne "JazakAllah" kaha tha aur halki muskurahat pesh ki..

Wo pani pi raha tha aur Zarnish uske samne khari kuch bolne mai hichka rahi thi..

"kuch kehna chahti hain?" usse hichkata dekhe wo bola tha

"ji… Wo..Husam ke hath ka zakham kesa hai?" wo ba mushkil puch payi thi..

"kafi gehra zakham hai.. Chota sa Kanch phasa huwa tha! Allah jany kese kar betha hath zakhmi.. Wese aapko kese ilm huwa uske hath Ke bare mai? Agar ap batana chahti hain tou."

"wo.. Wo.. Apke office.. Mai.. Husam ne gusse mai atay apna hath hanged mirror pe mar dala tha.. Wo shahdeed gusse mai tha.." Wo darti darti bata rahi thi..

"kyu.. Mera Matlab aese kya huwa ke wo gussa hogaya??" wo kafi heran huwa tha yeh pehli bar tha ke Husam gussa huwa tha wo bhi itna shadeed ke khud ko zakhmi kar betha..

"wo.. Wo mujhse naraz hai.. Ke maine apko hurt Kiya.. Wo isi liye aese.. Wo keh Kar gaya tha ke wo khudhi apne bhai ko dhud lega…" Shehryaar uski bat sunne usse dekhta gaya aur chup chap Husam ke kamre ki taraf bhar gaya..

Zarnish uski khamoshi se dar gayi thi aur khud uske piche chal pari.. Par wo jald raftar mai pehle Husam ke kamre mai puncha tha.. Jab ke wo adhi seriyoon pe thi

"Husam!!"

"ji bhai kahe koi kam tha?"

"Zarnish meri biwi hai! Yeh haqeeqat koi nahi badal sakta.. Na tum na koi aur!!!" wo sanjeedgi se keh raha tha, Husam ki taraf dekhe.

Husam heran tha ke yeh yun sanjeedpan tha kis wajha se

"ji.. Par ap kehna Kya chahte hain bhai.. Mai samjh nahi pa raha!" wo Waqai confuse tha..

"jab wo meri biwi hai tou uske aur mere darmiyaan ke masle bhi hum dono ke hain sirf!! Is mai.. Mujhe kisi teesre ki mudakat hargiz pasand nahi!!!.. Yeh bat tum samjh lo Husam"

"tumhe haq nahi uspe cheekne chilane ka tumhe haq nahi hai uspe gussa karne ka.. Jab uska shohar mai hun tou tum kyu uspe gussa cheekna chilana barsa aye thy??.." Shehryaar ki sanjeedgi bhar rahi thi..

"aaida mai na sunne ke tum uspe chilaye cheekay ya gussa kiye.. Mai hargiz bardash nahi karun ga ke koi meri biwi pe awaz uthaye.. Wo chahe mujhe mar de, uspe yeh haq hai aur yeh haq maine usse diya hai!!! Mere diye huwe usse haq koi usse cheen nahi sakta!!" wo uske jaazbat thy.. Wo shehryaar ke apni biwi ko leke jazbaat thy.. Wo uske aur apne bich ke rishte ka aitraam karta tha, dil se karta tha..

Darwaze se lagy wo waha uske alfaz sun pa rahi thi.. Aur ba sakta uske alfaz sunne uski darkanay teez hui thi.. Wo uski itni parwah karta tha.. Akhir kyu tha wo aesa.. Toot kar bhi usse hi chahta tha

"agar mujhe apna bhai manty ho tou wo Meri biwi hai uski izzat karo!"

Husam chup chap uski sari baatein sunta gaya agr wo jawab deta tou shyd dono ke bich aan ban si hojani thi… Aur choti si aan ban ki wajha se kahi khoobsoorat taluqaat toot se bikar jaty hain.. Wo tori apna taluq tootna dekhna chahta tha.. Shehryaar ki har bat pe sar asbat mai hilaye wo khara raha..

Shehryaar apni bat mukamal kiye waha se jane ko mura tha.. Aur ja bhi chuka tha.. Peeche Husam tou Zarnish kharey thy..

"Wah!! Aaj tou apne mere bhai ko mere khilaf Kar dala aaida mat ki jiye ga.. Wo mere bhai hain!! Unke liye mai jaan bhi de sakta hun!!! Humara rishta kamzoor nahi hai ke kisi aera geray ki wajha se toot jaye.. So please for God sake yeh Khoshishein bhi mat karein!!!" wo samne khari Zarnish se mukatif tha.. Zarnish ne uski ankho mai gussa dekha tha.. Wo is bar chilaya nahi tha lekin uske tarsuhat wohi wazeh kar rahy thy.. Zarnish khoofzada hui thi..

"rishta apka apse Sambhal nahi raha aur lag gayi do bhaiyoon ko alag karne mai.. I didn't thought this Zarnish.. Can't believe Ke tum itna gir sakti ho!!!!" wo herat se usse dekh raha tha.. Aur wo khamosh uske lafz jasb kar rahi thi..

"ek darkhaz hai mohtarma.. Ke kindly apne shohar ko mazeed takleef na de.. Be his shoulder so he can lean upon.. Takleef tou unhy har ek shaqs ne di hai.. Izafa kare tou unke muhabat karne walo mai nafrat mai Izafa tou khud ba khud hojata hai.."

"Chale muhabat na kare bas hamdardi hi jeeta le! Atleast unhy yaqeen tou dilaye ke jinhy wo biwi kehty wo waqai ek biwi hai dushman nahi!"

Akhiri nazar uspe dale Husam bhi waha se janny ko mura tha…. Bachi wo waha apni tanhaiyoon ke sath..

Darwaze se lagi wo khari thi.. Aur darwaze se lagy wo niche ko giri bethi.. Mote mote ansu uski kaali ankho se jhalak rahy thy..

"maine usse takleef di hai!!" wo apni siskiyoon ke bich boli thi..

"maii buri hun.. Mai kitni burii hun!! Ya Allah kyu mai itni buri hun!!" wo zor se roye khud se aur khuda se keh rahi thi..

"Husam.. Mera dost acha dost mujhse muh phir gaya.. Ya Allah Wo naraz hogaya mujhse.. Badguman ho gaya wo dost mujhse..kya itni buri hun mainn"

"Shehryaar mere shohar hain.. Wo mere liye kitna kuchh karte.. Aur Mai.. Mai sirf takleef deti.. Wo yeh Sab tou deserve nahi karte… Kyu hun mai itni burii???" wo apni siskiyoon ko rukne ke liye apne muh pe hath rakh bethi.. Wo apne ansuho ko peena chahti thi andar dabochna chahti thi lekin nakaam rahi.. Wo ansu bahir ko aaty rahy. 'uske gaal ansuho se bheeg chuky thy..

"mai kahi unhy kho tou nahi rahi???" ek dar sa sawal utha tha uske maan mai.. Jiske nah jawab pe wo khoofzada si hui thi.. Uska chehra khoof ki lehar utha raha tha.. Par yeh bhi tou sach tha ke usne khud usse takleef punchaye thi.. Kisi aur ko Kamyab karte tehet..

"Iam sorry Allah g.. Mai mai Shehryaar se maafi mangun gi aur abse unke sath achi achi rahun gi.. Unhy takleef nhi dungi.. Unki takleef ka bahis nahi banun gi.." wo apne ansu ko jald se apni astino se punchy ehd kiye uthi thi..

Wo apne aur Shehryaar ke kamre mai aa punchi thi ba mushkil wo apne qadam samaity udhr tak ayi thi lekin wo awaz.. Us awaz ne usse aage bharne se ruk diya

"wo mujhse dur ho rahi hai… Kya aesa hai ya yeh mera guman hai Allah g!!" wo nam ankho se apne khuda se puch raha tha..

"Mera rishta bikhar raha hai.. Aur.. Ma.. Mai.. Main kuch Kar nahi paa raha…
Uske ansu ab ba sakta ab behny ko thy…

Kya waqai humara rishta itna kamzoor tha??.. Yeh sawal uska khud se tha.. Kya aese tha..

" ya mai hi nahi qabil is rishte ko nibhane ke….

SUCH A FAILURE IAM!!! "
Wo khud se khudhi ko tanz kar raha tha..

Wo uski awaz thi.. Wo khud ko khos raha tha.. Zarnish ka dil chaha uske pas jaye usse zor se gale lagaye yeh kehe nahi aesa hargiz nahi hai aap bhut achay hain galati uski khud ki thi.. Par uski Himmat jawab de chuki thi.. Wo waha se ek qadam aage bhara nahi saki.. Wo usse tasali tak na de saki.. Sirf kuch qadamo ka fasla wo teh na kar saki..

Usne usse roota chor diya…

Ek tasali bhara hath tak uske kandhe tak na rak payi wo.. Kya wo itni kamzoor thi?

Aese kese wo SHEHRYAAR ke sath har safar ko teh kar sakay gi.. Aese kese wo Shehryaar ke sath har raasta mukamal kar paye gi…

Aese tou unka rishta bikhr sa jana hai..

Aese tou Wo dono har jaye ge aur unke dushman jeet.

……

Waqt ho raha tha nau(9) baje ka.. Unka ghar khamoshi ke alam mai tha barhail yeh nayi bat nahi thi.. Lekin aaj us ghar mai rehne wale teen log alag alag jaghao pe bethe apne andar ki jango mai mashghool thy..

“Zarnish?" wo uske paas aye khara huwa tha.. Wo uski awaz sunne foran si muri thi

" ji " wo na jany Kab se balcony mai bethe asman ko thak rahi thi..

"mai batana bhool gaya.. Aaj humare ek azeez chacha Sahab ki beti ki mehndi hai unho ne bare pyar ihtram se bulawa behja hai.. Tou mai chahta hun aap bhi shirkat kare.. Please!" Shehryaar ne apni bat ka agaaz kiya tha.. Wo chah raha tha ke office se aate hi usse itla de lkin tab waqt ne sab kuch this nis kar dala tha.. Tou ab yaad aty wo foran uski taraf dorah tha..

"yeh apka suit pehn Kar ajaye ga.. Mai intazar kar raha hun niche car ke pas" wo bari umeed ke sath usse wo suit thama raha tha, Zarnish ne uske hath se suit ka packet tham liya tha..

Packet usse thamaty sth wo niche ko achuka tha..

Kuch lamhe suit ko dekhte wo khamosh khari rahi phr andar jaty wo suit pehhte tayar ho gayi.. Na zyada na kam bas nafsi sa kaamo wala wo mustard yellow rang ka jura tha.. Behad pyara sa.. Baalo ko wo azaad chor chuki thi.. Kano mai milte julte nafsi se jumkay dale halka pulka sa makeup ke sath Wo mukamal tayar thi.. Ek kalai pe tou Shehryaar ka diya huwa muh dikhai wala bracelet pehna huwa tha jo wo wese bhi utarti nahi thi..

Apna duppatta sambhalty wo niche ko ayi thi jaha wo pehle se mujood tha.. Safaid kurta pajama sath bhori si shawl apne kandho ke ird gird thikaye wo car ke sahare khara usi ka intazar kar raha tha.. Uspe nazar party Wo us se nazrein hata na saka aur zuban khud ba khud "MashaAllah" bol bethi hont muskurahat saja bethe..

Zarnish bhi uski taraf dekhe muskura bethi.. Kuchh hi dair mai dono nikal chuky thy..

Safar khomosh tha jese wo dono thy…

"Husam nahi aye ga?" khamoshi ko torte sth Zarnish ne sawal kiya tha

"Bhut khoshish ki thi lekin nahi mana.. Aage uski marzi" Shehryaar ne bhi wazeh bata diya.. Shehryaar ne usse janne ko zaroor kaha tha lekin Husam ne narmi se mana kar diya tha yeh kehte sath uske sar mai dard hai usse aram karna hai.. Shehryaar ne bhi bat ko khtam karna chahi aur uski bat maan li.. Janne se pehle wo Husam se waqt pe dawai lene ka zaroor keh aya tha

"wo.. Wo apko dantna nahi chahiye tha.. Unki galti nahi thi.."

"danta nahi tha.. Bas samjhaya tha ke meri biwi se izzat se pesh aye!" Shehryaar ki nazrein sarako pe thi lekin tawajha uske sawal pe..

"Chahe apki biwi galat bhi ho?" wo uske sawal pe halka sa muskuraya tha

"biwi galat ho ya sahi.. Yeh mamla agar miya biwi ke hi darmiyan rahe tou behtar hota hai.. Koi bhi teesra mudakat kare yeh qabil e bardash nahi hai"

"Iam Sorry!" Zarnish ne himmat kiye wo do alfaz keh diye thy.. Ek pal ko Shehryaar ne usse dekha tha..

"kis kiye?"

"for considering you wrong! And blaming you for no reason.." wo wajha wazeh karne lagi..

"how do you know you were blaming me for no reason?"

"How fool am i? Mai uski baatoon pe yaqeen Kar bethi jisko na bolne ki tameez hai na baro ka adab.. Wese galti uski bhi nahi galti tou meri hai ke maine bina socha samjhe uski bat ko haqeeqat samjh liya and started shouting on you!" wo guilt mehsos Kar rahi thi.

" khair hai koi nahi.. Apko apne se mutabiq sare sawalo ka jawab zaroor dunga bas shart yeh hai ke apko mujhpe yaqeen qaim rakhna hoga" wo uski taraf dekhe umeed se bola tha.. Zarnish ne apna sar asbaat mai hilaya tha..

Wo aese hi baatein karte manzil ko punchy thy.. Unki gari ab Amjad chacha ke ghar ke pas aa ruki thi.. Wo ghar bilkol sada sa tha na zyada bara na zyada chota.. Us mohalay mai un jese hi shareef sada se log rehty thy.. Ghar chote lekin dil saaf..

"aaye mohtarma aaj aap kuchh alag shaksiyatoon se mulakat karein" Shehryaar ne hasb e mahool muskura ke usse mukatif kiya tha.. Zarnish bhi sar asbaat mai hilaye uske sath qadam ba qadam milaye us ghar ke andar dakhil hui..

"As salam alaykum Sherry bete kese ho bare dino baad nazar aye ho" ghar mai dhakil hute wo pachas ke darmiyanay shaqs usse khushi se mukatif huwe thy.. Shehryaar ne unhy muskurahat ke sth gale lagaya tha..

"wa alaykum as-salam chacha mai thk Allhumdulillah aap sunaye kya haal hain.. Aur Mujhe apse shikayat hai" unse alaida huwe shehryaar ne akhiri jumla tora khafa huty huwe kaha.

"Haye humari yeh majaal ke apko shikayat ka moqa dein.. bataye kya shikayat hai" Amjad Sahab ne bhi apne meethe bharpur lehje mai kaha, Shehryaar unki taraf  dekhe muskuraye bagair na raha.. Wo waqai bhut sada aur khush iklaqi shaksiyat ke malik thy.

"Meri shadi pe shirkat nahi ki apne!" Shehryaar ne apni shikayat ka izhaar kiya.

"ji bete mai uske liye mazrat khuwa hun! Darasal meri beti ki shadi qareeb thi tou masroofiyaatain bhar gayi thi isi liye shirkat karna mushkil sa tha… Par meri sari duayein apke sath hain humesha khushi khushi raho Allah pak naseeb buland farmaye!"

"Chale khair hai, bhut shurkiya humesha duayein aur pyar dene ke liye" Shehryaar ne usse pyar bhara hath milaye kaha.. Amjad Sahab ne uska kandha pyar se thapthapaya tha..

Zarnish dono ko bare ghoor o fikr se dekh rahi thi aur muskurahat tou khud ba khud uske chehre pe khil rahi thi..

"Meri biwi Zarnish Shehryaar!" Shehryaar ne ab Zarnish ka hath narmi se pakre Amjad Sahab ko mukatif kiya tha..

Uska yun hath pakarna us bichari ke dil ko teezi se dharka raha tha..

"MashaAllah Allah pak jori salamat rakhe" Amjad Sahab ne shafqat bhara hath Zarnish ke sar par phira tha.. Zarnish ki ankhein nam hone ko thi wo muskura di..

"Wo Beta Shehryaar, Husam nahi aya kia?" Amjad Sahab ne uski gair majoodgi mehsos kiye puchna pasand kiya..

"ji nahi chacha wo nahi aa saka.." Shehryaar ne tore afsos se bataya tha.. Usse bura laga tha ke Amjad chacha ne bare pyar se dawat nama behja tha aur wo shirkat na kar saka..

"Chalo khair marzi uski.. Ajata tou acha huta" wo yeh kehte mayoos lag rahy thy, Shehryaar ko unke liye bura laga tha..

"abaaa!!" wo apna garara sambhalte huwe Amjad Sahab ki taraf ayi thi.. Baal uske khule lehra rahy thi..

"ji guriya farmaye!" are pyar bhare lehje mai wo usse mukatif thy..

"Aba dekhe na yeh Qasim aur Rabia Kab se lare ja rahy hain.. Mai tou thak gayi dono ko sambhalty huwe ab aap ek kaam kare in mai se ek ko apne pas rakhe.. Werna tou dono ne larty rehna hai…" wowo apne peeche se Qasim aur Rabia ko apne ek ek hatho se unke hatho ko pakre Amjad Sahab se shikayat kar rahi thi..

Amjad Sahab apni lado beti pe muskura diye

"abaaa mai Waqai tang hun aap muskura kyu rahy hain!!" wo muh pholaye phir se shikayat kar rahi thi..

"Acha wo sab choro inse milo Shehryaar aur unki begum" Amjad Sahab ne uska dehan bataya tha..

"ohh… As salam alaykum sherry bhaii kese hain aap kafi time baad nazar arhy thy.. Aur As salam alaykum bhabhi ap kesi hain" wo dono se jhat se haal o waal puchne lag gayi..

"wa alaykum as-salam guriya! Thek Allhumdulillah aap kesi ho" Shehryaar ne shafqat bhara hath uske sar pe rakha tha

"bilkol thek Allhumdulillah"

"Wa alaykum as-salam.." Zarnish ne bhi uske salam ka jawab khushi Se diya tha

Unke dono ke sth kuch lamhe idhr udhr ki baatoon ke baad ab uski nazrein usse talash kar rahi thi.. Wo kahi nazar nahi aya tha.. Kya wo waqai nahi aya tha?

"kese dhud rahi ho?" Shehryaar ne uski bar bar nazrein darwaze ki taraf jaty dekhe sawal kiya tha

"wo.."

"apni saheli ko.. Kab se intazar kar rahi thi.. Meri Husna bhi na.. Beta ajaye gi wo.. Ap andar jao bhabhi ko leke shahbash" isse phele ke Husna kuchh keh pati Amjad Sahab ne usse cover up kar liya tha kyu ke wo jaan chuke thy Husna ki nighahein us ek shaqs ki paband hain.. Jo filhal aata nazar nahi araha tha..

"ji.. Ji aba.. Aye bhabhi" Apne aba ki baat mai hami bharte wo Zarnish ke sath andar ko chal di thi.. Peeche Shehryaar Amjad Sahab ke sath unki behtak mai ja betha tha.. Kyu ke mehndi ki rasam sirf khawateeno aur larkiyoon ki thi..

Wo apne hatho mai gajro ki thaal liye phir rahi thi.. Aate jaty logo yani larkiyoon khawateeno ko gajre de rahi thi..

"ahm.. Kya mujhe bhi gajre mil sakty?" Shehryaar ne uske aage aye gale ko khircha tha aur bare narmi ke lehje se baat ka agaaz kiya tha. Husna dhemi si muskurayi thi.

"ji.. Kyu nahi! Wese aap kisko dein ge?" Husna se khushi se do taaze gulab le phoolo se bhare gajre Shehryaar ke hath thamaye sath hi sawal bhi kiya tha.

"Meri one and only official wife Ke liye!" Shehryaar ne bare pur aitmand ke sath usse jawab diya tha.. Aur gajre thamay aage ko bhar gaya..

"sucha awwie" Peeche khari Husna bas dil khol muskura di…

"urhh.." kisi ke gale khirchne ki awaz sunayi di thi.. Usne apne gajre ki thaal us shaqs ke aage bhara di yeh samjhe ke shyd wo koi larki ya khawateen ho.. Chehra uska us shaqs ki taraf na tha..

Wo shaqs gajre ki thaal apne ruk paye heran huwa tha sakht heran "iska mai kya karun?" wo masoomiyat se sawal kar betha. Bechara herat mai jo tha!

Husna ne foran se awaz sunne ruk uski taraf murra tha.. Aur agle hi paal uske liye sab kuch tham sa chuka tha.. Wo uski anari(Hazel) rang ki ankho mai kho si bethi thi.. Aaj sar sabz ankhein anari ankhoo se mili thi.. Waqt tham sa gaya tha..

"Excuse me!?" Husam ne usse nazrein hataye usse mukatif kiya tha.. Wo sharmindagi se nazrein chuka bethi.

"ap.. Idhr!?"

"tou nahi hona chahiye tha!?" wo hath seene pe bandhe uski taraf dekh raha tha..

Us bechari ka dil chah raha tha bahir ko aane ko.. Ek tou uski nazrein uspe dosera uski awaz… Hayeee

Wo safaid shalwar kameez mai mabloos uski muhabat wala shaqs aaj uske samne khara tha.. Wo chahti tou usse kabhi nazrein na hatatii.. Lekin wo ek izzatdar baap ki beti thi, usse apni nazrein jhukaye rakhni thi..

"aba andar us behtak mai hain!" wo usse itla deti waha se janne ko muri thi ke uski awaz pe qadam ruk bethi.

"aaida ke baad dehan rakhiye ga ke gajre aap de kis ko rahi hain.. Khara shaqs mard hai ya auraat wo kya haina mard gajre pehnty huwe tori achay lagy ge.. Yeh gajre wajre tou auratoon ke singar hain un tak mehdood rahy tou behtar hai!" wo Pagli uski baat pe muskuraye bina na reh saki. Uski kamar Husam ka samna kar rahi thi

"tou apko bhi dehan rakhna chahiye ke kis cheez ko darguzar karna hai tou kisko nazar andaz!" wo muray usse face Kar rahi thi..

"Mazrat mohtarma lekin nazar andaaz karna sikha nahi hai! Takleef de huta haina isi liye.."

Husam bagair uske jawab ka muntazir rahy aage ko bhara tha.. Wo peeche heran si khari rahi

"mai agar apni muhabat ka aitraaf karu tou nazar andaz tou nahi kare ge na?" wo khud se sawal ka jawab janne ko thi.. Lekin iska jawab waqt pe muyasir tha..

Wo musalsal usse dhudta nazar araha tha.. Ek hath mai do gajre thamay wo uski talash mai tha..

"aap kisko dhud rahy hain?"

yeh wohi awaz thi jiske haqdar ko wo kab se talash kar raha tha.. Wo peeche palta tha samne wo khari thi his one and only officially wife, uske hont muskurahat ka agaaz kar chukey thy.

"sab khairiyat Shehryaar?" wo fikarmandi se boli.

"ji janah sab khairiyat! Aap idhr aaye" wo usse Narmi se mutmeen kiye, aage ko aye uska nazuk hath ko apne hatho mai pakar betha tha..

Ek koney mai usse laye wo ruka tha

"koi masla.. Shehryaar bataye kya huwa?" wo phir se fikarmandi se puch uthi

"bharosa rakha kare mujh par!" wo uske alfaz usse tori sharminda hui thi

"mazrat biwi mai apko sharminda nahi karwana chahta tha! Sorry really sorry! Kaan pakrun? Utak petak karun?" wo waqai narmi se usse mazrat khaw tha.. Zarnish uske taraf dekhe muskuraye bagair na rahi.. Wo itne achay shaqs ki biwi thi aur kya is se bhar kar ho sakta tha..

"sorry!! Dekhein kaan pakar raha hun!" Shehryaar apne dono hatho se apne kaan pakar chuka tha.. Zarnish ab halka sa has pari..

"MashaAllah yuhi hasti muskurahati raha kare!" Wo uski dilkash hasi sunne behadd khush huwa tha.. Zarnish ki ab ankhein nam hone ko thien..

"yeh gajre?" kuch dair ki muskurahat ke bad Zarnish ne ab uske hath mai gajre dekhe tou sawal puchna chaha..

"biwi ke liye!" Uske jawab pe Zarnish ne usse halka sa ghora tha..

"konsi?" uske is heratzada sawal pe Shehryaar ko kafi herat hui thi.

"Meri kitni biwiyaan hain?" Shehryaar ne relaxly usse ulta sawal kiya tha..

"wo tou apko maloom hoga na!"

"tou ap kon hain?" uske ajeeb jawab pe Shehryaar ki himmat thi ke kuch zyada na keh paya..

"mai.. Mai apki biwi.. Biwi hun mai apki!!"

"Shukar!! Apko yaad aya ke aap meri biwi hain!" Shehryaar ne ab sukh ka sans bhara tha.

"jab aap meri biwi hain tou zahir hai in gajro pe bhi apka hi haq hai"

Shehryaar ne apni bhoori ankho se uski gehri kaali ankho mai jhaka tha.. Aur narmi se ek ek gajro ko uske dono kalaiyoon pe pehnaya tha.. Aur gajre pehnaty sath hi uske dono hatho ko apne honto ke qareeb laty halka sa chuma tha..

Zarnish ke gaal surkh hone ko thy wo muskura di thi.. "Adhakal lahu Sinnak" uski muskurahat dekhe Shehryaar ne Arabic mai kuch harf kahy thy jo Kay darasal dua thi.

"kisi ko muskurahata dekhe yeh dua keh deni chhaiye.. Uski muskurahat Allah pak qaim rakhe ge" Shehryaar usse apne seene se lagaty huwe bataya tha..

Shehryaar ke seene se lagty huwe wo behad sakoon mehsos kar rahi thi.. Jese uski qul qainat hi wahi bas gayi ho.. Par Shehryaar ki qul qainat hi us mai basne lagi thi…

___________________________________

15th September 2023

As salam alaykum pyare se logo
Umeed sab khair khairiyat se honge dua hai ke jaha bhi ho khair o afiya se ho!

Allhumdulillah iam back thanks for supporting me from my thick and thin and appreciating my efforts <<3

Here you with a update Enjoyyy you dose with Sherry His one and only officially wife, and Husam.
This chapter just includes them 🙈

And one more think sherry missed you guyss alottttt Ab qasar puri karo shahbash sherry ke liye votes comments chor Kar jao takay sherry jald se next meetup rakhe..

Aryyy one more think sorry bear me🙈🫂
Sherry ka favvv scene bata ke jao is wale chapter mai.

Continue Reading

You'll Also Like

641K 33.8K 20
𝐒𝐡𝐢𝐯𝐚𝐧𝐲𝐚 𝐑𝐚𝐣𝐩𝐮𝐭 𝐱 𝐑𝐮𝐝𝐫𝐚𝐤𝐬𝐡 𝐑𝐚𝐣𝐩𝐮𝐭 ~By 𝐊𝐚𝐣𝐮ꨄ︎...
1.2M 104K 41
✫ 𝐁𝐨𝐨𝐤 𝐎𝐧𝐞 𝐈𝐧 𝐑𝐚𝐭𝐡𝐨𝐫𝐞 𝐆𝐞𝐧'𝐬 𝐋𝐨𝐯𝐞 𝐒𝐚𝐠𝐚 𝐒𝐞𝐫𝐢𝐞𝐬 ⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎ She is shy He is outspoken She is clumsy He is graceful...
15.6K 1.5K 23
Hello friends this is my second story And it will start from after that shaddi Wala kand ....and I'm writing it from pramod pov in this story sumod...
53K 3K 83
hey guys how are you all i hope you all didn't forget me and if you are read my story first time so please also read my first story (Khadoos ki kharg...