جستجو justajoo

By booksthetic_17

115 2 0

Ek aisi ladki ki kahani jise zindagi ne aise mod par laker khada kiya jahan justajoo to thi magar ek tarfa, g... More

Khwab Aur Maazi
Nai shuruat?
Tooti ummeeden!
koshish
ziddi
tum nahi manogi
dooriya mitne lagi?

Rishta hai?

10 0 0
By booksthetic_17


Office me tarah tarah ki baate ho rhi thi....Rhea aur sana jo haya ko bilkul pasand nhi krti thi....haya ke baare me sabse keh rhi thi ki..."vo acha banne ka natak kar rhi hai..
Is hijab ke piche ek lalchi ladki hai...
Vo Zain Sir ko phasana chahti hai...
Dekha nahi kis tarah hamesha chipak ke rehti hai...
Has haske baaten karti hai...danish ko bhi phusla rhi hai....varna aaj ke zamane me koi itna accha nahi hota...."

Haya or Zain corridor se guzar rhe the...tabhi kuch logo ke baat krne ki awaz aai...

"Tumne suna....vo haya ke baare me....

"Haan haan me to pehle hi kahti thi...koi itna accha nhi hota"

"Rehne do tum to uski murid bane ja rhi thi"

"Vese bat to sahi hai....kitne acche se baat krti hai na ki me to phas hi gai thi....huh chalak!"

"Vo to zain sir ko phasana chahti hai....accha banne ka natak lr rhi hai.... lalchi hai bohot..."

Zain office ki tarf chal diya.....haya ko hairani  hui ki usne kuch nahi kaha....use laga tha zain uske liye stand lega.

...........

Haya ne koshish ki, ki vo kaam par dhyan de or logo ki baato par nahi, lekin use reh rehkar baate yaad aa rhi thi,,,,ye to sirf vo tha jo usne suna tha,,,or jaane kya kya keh rhe honge log.

Vo file team ko dene ke liye employee section ki taraf badhi, usne apna pehle jaisa bartav jaari rakha, muskurakar aage badhi,

"Ayaan, ye file sir ne di hai ise check karke ahar kuch correction ho to vo kar den or pichli baar jo contract ki details thi unme kuch clause ko tumne....

"I know i know,,,,tumhe batane ki zarurat nahi hai mujhe kaise karna hai apna kaam"
Ayan ne itna rudely jawab diya ki haya ek pal ko sakit reh gai.

"Tum to ye batao...." Ayan ek kadam aage badha, "kab milogi phir mujhe....akele me"
Usne akhiri do lafz dheere se kahe

Haya ke kaan saay saay krne lage,,,,usse ab or nahi raha gaya....or usne ek tamacha khichkar ayan ko mara

"Tadaaak......"

Or saare logo ko nazre unki tara ghoom gai.

"HOW DARE YOU"...."tumhari himmat kaise hui mujhse is tarah baat karne ki"

Use ghinn kaa rhi thi. To ye sab chal raha tha uske piche, jin logo ke sath usne acche talluk banane ki itni koshish ki....jinki itni help ki...vo aaj uspar bebuniyad ilzam laga rhe the.

"Ye kya ho raha hai yaha?" Rhea ko awaz aai.

"Rhea...isne..isne...mujhse badtameezi se baat ki"

"Oh really Miss Haya !.....koi aapse kuch bolega to aap use thappad marengi?"....itni zyada powerfull hai aap"
Rhea ne magrur andaz me kaha

"Ye galat baat hai...."

"Aise kaise kar skti hai..."

Or kai awaze aane lagi....sab use galat smajh rhe the...koi Ayan ki badtameezi nahi dekh raha tha.

"Tumhe kya lagta hai Haya,,,,tumhe gul khilaogi or hame khushboo nahi aayegi? ....haan?"
Is baar Sana ne muh khola.
" Tum jaisi ladkiya accha bnne ka natak krti hai....asli rang kuch or hi hota hai'
Vo hava me hath lahra lahra kar bol rhi thi.

Lekin Haya sunne vali nahi thi

"Just shut up! Tum log kis buniyad par ye ilzam laga rahe ho mujhpar...mene kya bigada hai tumhara?" "Mene kabhi aisa nhi socha...tum sabhi mere colleagues ho...hum sath kaam karte hai...tum mujhe is tarah beizzat nahi kar skte"
Haya rundhi hui awaz me apna defence karne ki nakaam koshish kar rhi thi.

"HAYA!!" ek zordar awaz gunji.....ye Zain tha.

"S.sir!"
Zain ko aata dekh haya ke man me ek ummid bandhi...vo uska sath zarur denge.

"Sir Aap aa gaye...dekhiye na Haya ne Ayan ko thappad mara". Zain ko dekhte hi Rhea ke sur badal gaye.

Zain ne Sawaliya nazro se Haya ko dekha
"Kya ye sach hai?" Sawal dheemi awaz me poocha gaya tha, magar jo raub us awaz me tha, use tez karne ki zarurat hi nahi thi.

Haya ne hole se sir haan me hilaya.
" Ye mujhe pata nhi kya kya keh rha tha, mujhse bardasht nhi hua....."

Rhea beech me boli...

"Sir isne aapke employee ko thappad mara, chahe vajah koi bhi ho, ye hoti kon hai kisi par hath uthane vali.?"

"Meri Biwi!"

Or sannata chaa gaya,......

"Ye Meri biwi hai, My Wife, Mrs Haya Zain Ahmed, ise haq hai"

Haya ke kaano ko yakeen na aya,,,kya usme theek suna...kya zain ne sach me sabke saamne use aoni biwi kaha? Khushi ke aansoo uski aankhon me umd aaye.

Aas pass kana phusi shuru ho chuki thi,
Magar Rhea ke to chakke choot gaye the...vo aage ek lafz nhi bol paai, or Ayaan, vo to dar ke maare kaamo Raha tha.

Zain ne ek nazar Ayan par daali , itna kaafi tha Ayan ko batane ke liye ki uski shamat aa chuki hai.

Zain ne Haya ki kalai pakdi or use logo ke beech se kheechte huye apne cabin mr le aya,.

Sab logo ki nazre un dono par thi,,,,,inkishaf ho chuka tha, raaz khul chuka tha,,,,,,Haya ab sirf Haya nahi rahi thi.

........

Cabin ka darwaza badi zor se Zain ne band kiya tha, Haya ka hath badi kaskar usne pakada hua tha.

Darwaza band krte hi usne khatke se Haya ka hath chhora.

"To isliye join kiya tha tumne mera office? Haan?"
Zain Gurraya.....Haya smjh nahi paai, abhi kuch der pehle to Zain se Sabke samne uska sath diya tha.

"Kya matlab?" Haya confused thi.

Zain ne uske dono baazu kaskar pakde.

"Kya drama laga rakha hai tumne,,,badla le rhi ho tum,,,meri zindagi me zeher gholkar,,,khud ko sukoon pohochana chahti ho na.....jo baki sab keh rhe hai to itna gussa kyu aa Raha hai tumhe ke mere employees ko thappad marti phir rahi ho...sach hi to keh rahe hai vo"

Haya ko ankho me aankhe daale Zain uske dil ko zakhmi kar raha tha.....

"A.. Aap...ko lagta hai jo baki sab baate bana rahe hai vo sach hai?"
Vo rundhi hui awaz me sirf yahi keh paai, jo pehli raat me kuch na keh saki,,,,aaj bhi khamosh hi reh gai....Gairo par palatkar vaar kiya ja skta hai....jis shakhs se aas ho vahi aappar ilzamo ke teer barasaye to insan khud ko bachane ki koshish karna bhi bhool jaata hai..

"Lagta nahi,,,, yaqeen hai mujhe... pehele din se janta hu tumhare irade....acchi tarah se,,,,,apni ruswai ka badla le rahi ho"

Haya ki aankho se aansoo ka ek katra hazr koshisho ke baa bhi gir pada.....vo kamzor nai dikhna chahti thi....magar Zain ke aage uski koi deewar mazboot nahi reh pati thi.
Usne aankhen band karli or aansoo behne diye.....isse zyada ruswai usne kabhi mehsoos nahi ki thi.....

Zain ko uske aansoo dekhkar ek ajeeb ahsas hua..... usne Haya ke aansoo ponchne ke liye hath badhaye....lekin kambakht dimag phir beech me aaagya....

"Ye sab natak hai.....ye aansoo....mujhe nahi pighla skte".
Use khyal aaya...or usne Haya ke baazoo chor diye....

Haya deewar ke sahare dheere se sarak kar neeche gir si gai.

Zain ne khud ko kamzor mehsoos kiya....ek ajeeb si takleef...ek ajeeb sa ehsas....jo nahi hona chahiye tha...ye acche asaar nahi the....Zain ne apni nazre uspar se hatana hi theek smjha...

Vo cabin se bahar nikal aya....haya vahi ...deewar ke sahare....sakit si bethi rahi...

"Allah.....Allah ta'la.... ye kaisa zulm hai.....mene kuch nahi kiya....mene natak nahi kiya....mene badla nahi liya"

Vo zaar o qatar rone lagi.

...................................................................................

Zain apni mutthi bheeche... khud ko calm karne ki koshish kar rha tha..... Parking se guzarte huye ekdum ruka...ek awaz uske kaano me aai.

"Ab kya krega?"...."galat jhgra le liye tune...biwi hai vo CEO ki....jaan le lega vo".

Shadab Ayan se baat kr rha tha..

"Arre kuch nahi hoga....kuch hoga to employees baghawat kar denge....vo Haya kuch sabit nahi kar payegi....haan...mene hi kaha tha.....uske kareeb jaaker"

Ayan ne apni gardan aage ko jhukai....jaise scene recreate karke bata raha ho

"Tum to ye batao...., kab milogi phir mujhe....akele me"

Zain ka khoon khaul gaya.... usne ayan par mukke barasana shuru kar diye... Gusse ke mare uski saaas phool rahi thi...

"YOU BASTARD! HOW DARE YOUUUUU!!"
Himmat kaise hui uske kareeb jaane ki....""

Zain ke ghoonso se uski aankhen band hone ko thi..... Shadab ne chhurane ki bohot koshish ki tab jaker usne use chhora....

"Get the hell outta here! Agar tu mujhe yaha nasar aaya to....zinda nahi chhorunga tujhe....".

Shadab ayan ko lekar vaha se chala gya..

Pachtave ki ek lahar Zain ke dil me umad aai.

"Kya drama laga rakha hai tumne,,,badla le rhi ho tum,,,meri zindagi me zeher gholkar,,,khud ko sukoon pohochana chahti ho na.....jo baki sab keh rhe hai to itna gussa kyu aa Raha hai tumhe ke mere employees ko thappad marti phir rahi ho...sach hi to keh rahe hai vo"

Apna ek ek lafz use yaad aya.....

"Ye mene kya kar diya?"...usne frustration me aankhe moond li.
......

Continue Reading

You'll Also Like

4.2M 268K 102
What will happen when an innocent girl gets trapped in the clutches of a devil mafia? This is the story of Rishabh and Anokhi. Anokhi's life is as...
452K 1.3K 11
Fun wlw sex. Different kinks and stuff, all about trying things. May even include potential plot lines and will definitely include some form after ca...
383K 24.1K 65
In the vibrant city of Jaipur, a secret deal was struck between two worlds. Abhimaan Deep Shekhawat, the enigmatic King of Rajasthan, controlled the...
1.4M 103K 41
"Why the fuck you let him touch you!!!"he growled while punching the wall behind me 'I am so scared right now what if he hit me like my father did to...