جستجو justajoo

By booksthetic_17

115 2 0

Ek aisi ladki ki kahani jise zindagi ne aise mod par laker khada kiya jahan justajoo to thi magar ek tarfa, g... More

Khwab Aur Maazi
Nai shuruat?
Tooti ummeeden!
koshish
ziddi
dooriya mitne lagi?
Rishta hai?

tum nahi manogi

7 0 0
By booksthetic_17

Haya taxi me ghar aai , vo thak chuki thi lekin use ghar aaker khana bhi banana tha, usne jhat pat khana banaya , Mrs Bilkis ko khana khilaya or Zain ka intezar karne lagi vo khud to 8 baje ghar aa chuki thi magar 11 bajne ke bad bhi Zain ab tak ghar nahi aaya tha.

Vo sofa par baithi oongh rahi thi ki main gate khulne ki awaz aai, vo hadbadakar uthi..

"Aap aa gaye!"

Aap fresh ho jao me khana garm kar deti hu"

Or vo kitchen ki taraf badhi...

"Zarurat nahi hai, me kha chuka hu .... or tumhe fikr krne ki zarurat nahi hai...

Bina kisi haaw bhaw ke Zain ye kehkar sidhiyo ki taraf badha....

"Kyu zarurat nahi hai?.... aap mere hath ka khana to kha hi sakte hai.....aise kaise chalega...or ammi ko bhi accha nahi lagega agar unhe pata chala ki aap mere sath aise bartaw kar rhe hai to..'

Haya ne ek saans me kaha....

Zain ne ek nazar Haya ko dekha or bina jawab diye kamre me chala gaya jo ki upar ke floor par tha....

Haya ne ek thandi saans chhodi....use takleef ho rhi thi...ye insan jise vo apni zindagi ka markaz bana chuki thi, use apni zindagi ka hissa hi nahi smjhta...

Yahi sab sochte huye vo bhi kamre ki taraf chaldi....

Zain shower lekar bahar aaya....haya apni diary me kuch likh rahi thi...vo bed par apni side par aaker so gaya...
.vo dono ek hi bed par sote the...magar beech me takiyo ki ek deewar thi.... Usse badi vo berukhi ki deewar thi jo unke beech khadi thi....jise todne ki thani thi hamari haya ne...

Haya ne Zain ko chain se sote dekha aur ek gam bhari muskurahat or ek kamzor ummid ke sath dairy band krke vo bhi sone lagi...
——–·------------------

Subah ho chuki thi or aaj haya ko ek presentation deni thi ..ek hafte se vo jispar kaam kar rahi thi....ye ek important project ki shuruati meeting thi...agar presentation acchi rahi to ye project Zain ki company Z interprises ko mil jayega....or company ko bada munafa hoga..

haya ko ummeed thi ki agar vo ye project dilane me kamyab ho gayi to uske or zain ke rishte me kuch to sudhar aayega.

Vahi dusri taraf Zain ne jaan bujhkar presentation Haya ko di thi...taaki vo isme nakaam ho jaye or Zain ko mauka mile use fire krne ka. Isi liye usne ek hafte pehle aai haya ko itni badi zimmedari di...jispar sab employees hairan the. (so bad zain)
---------------------------
Meeting room

State ki jaani mani company ke saamne haya ko presentation deni thi....or vo behad nervous thi....Zain ko uske chehre ka udaa hua rang dikhayi de raha tha or vo bada khush tha ki aaj to haya ko sharminda hota dekhega...

'Everyone is here plz start the presentation'
Kahi se awaz aai or haya dhadakte dil ke sath uthi...use nahi pata tha ye kisne kaha kyuki uska to bura haal tha...

Haya ne presentation shuru ki....ek gehri saans ke sath....

So...Good afternoon eveyone....i am here presenting the ideas of our team....i am sure you'll like it....so our plan is to.......

Haya bol rhi thi aur zain use dekh raha tha....

Use jiski ummid thi vaisa kuch nhi hua....
Haya ne zabardast andaz me presentation di....or bade hi confidence se baat ki....

Poore meeting room me taliya goonj uthi...

"Very well done Miss Haya! Beautifully presented.....and i am impressed by the concept and ideas of the project, mene decide kiya hai ki ye project hum aapki company ko denge Mr Zain....mujhe yakeen hai aap ise best handle kar skenge....."

Mr Shrma.....S company ke representative khush hokar bole....

Zain ne unse hath milaya or meeting khtm hui....
____________________

Zain ka cabin
Haya chehekti hui anadar aai...

"To kaisi rahi meri presentation"

"It was okay"
Zain ki zuban se or kuch nahi nikal saka....akhir vo Haya ki tarif kaise kar deta usne to kisi or hi irade se use task diya tha...or vaise bhi vo...tarif kr mamle me zara kanjoos tha....

"Apse or ummid bhi kya ki ja skti hai'

Haya ne mooh banate huye dheere se kaha....

"Kya kaha tumne…?"

Me keh rhi thi ki project milne ki khusi me aap mujhe treat nahi denge..SIR

Usne baccho ke se andaz me kaha palak. Jhapkate.huye.

"Kaisi treat....ye tumhara kaam tha....koi mahan kaam nahi tha...

Zain thehra zain....kaam ka pujari ...

'Kaise hai ye....kanjoos ...lakho kamate hai...ek treat bhi nahi de skte.... mujhe thoda time sath me bitane ko mil jata'

'Akhir isne ye kiya kaise..... presentation itni mishkil thi....ye isne itni asani se kaise kar liya?
Vaise she was REALLY GOOD.....but how did she do it.?"

dono soch rhe the or ek duse ko dekh rhe the.....

Flashback....

"Hello!  Danish bhai?"

"Wrong number...behn ji'

Danish ne haya se kaha jisne use subah 5 baje call kiya tha.....jab use khud pata nahi hota ki vo zinda bhi hai ya nhi,

"Arrre....Bhai me Haya....jaago....mujhe aapse urgent kaam hai...."

Danish ne aadhi khuli aankho se naam padha or phone kaan se lagakr kahan....

" Haya....kya hua itni subah kaun phone karta haj? Sab theek hai na....

"Bhai me badi problem mehu....help me plz'

Ab tak danish ki neend ud chuki thi.....
"Kya hua hai hYa"

" Bhai inhone mujhe presentation tayar krne ko kaha hai....me kya karu.....muje abhi office jate teen din hi huye hai....or inhone bomb phod diya hai' kya karu mujhe to A B C D bhi nhi aati is kaam ki....me to padhaku insan hu..in sab se.mera kya vasta....

Me kal se koshish kar rahi hu.... presentation banane ki...aap plz meri help krdo ....plz plz bhai.....plzzz"

Haya ki request sunkar danish muskuraya....uski awaz use bohot pyari lag rhi thi.....

"Pehle mujhe bhai kehna band kro phir hi me kuch kar skta hu..."

"Magr bhai,....."

"Tumhe meri help chahiye ya nhi....

"Magar bhai...
Haya ko smjh nahi aaya kya khe.....

"Theek hai me phone rakh raha hu....good night*

.'Nahi nahi....D.. Danish.....plz help me'

"Ye hui na baat...."

Na jane kyu Danish ko haya se baat krna bohot accha lg rha tha....

"Tum fikar mat karo...me office me tumhe sab smjha dunga....bohot easy hota hai presentation dena...kab deni hai presentation."

"Teen din bad, monday ko!"

" Alright don't worry....me tumhe presentation banana or dena bhi sikha dunga...or baaki kaam kaise karne hai....us deewar jaise insan mahan Zain ko girane ke liye me vo bhi bata dunga....okay..."

Haya ko thoda sukoon mila....

"Thank-you so much bha....Danish, aapne meri bohot help ki hai... aap na hote to me office me hi enter na kar paati...thanks for helping me"

Haya danish ki bohot shukrguzar thi...

"Koi baat nahi haya....tum Zain ki wife baad me...meri friend pehele ho..."

"Theek hai phir...aaj milte hai office..Allah hafiz "

Or haya ne phone rakh diya....use danish ki madad lene me bohot sharm aa rhi thi...kyuki vo Zain ka dost tha....agar situation aisi na hoti , uske or zain ke beech rishta normal hota to vo kabhi Zain ke kisi dost se is tarah baat na krti....lekin halat ke hatho mjboor thi .......

----------

Okay guys to ye tha 6th part... or mujhe ummed hai haya ki tarah ( ╹▽╹ )
Ki aap logo ko ye pasand aa rha hoga....plz vote and like my story...
____________

#love #arrangemarriage #muslimvouple #officeromance #rudeboss #sweetgirl

Continue Reading