جستجو justajoo

By booksthetic_17

115 2 0

Ek aisi ladki ki kahani jise zindagi ne aise mod par laker khada kiya jahan justajoo to thi magar ek tarfa, g... More

Khwab Aur Maazi
Nai shuruat?
Tooti ummeeden!
ziddi
tum nahi manogi
dooriya mitne lagi?
Rishta hai?

koshish

7 0 0
By booksthetic_17

"Vo mujhe apne baba ka qatil samjhta hai"

"Kya? Magar kyu?"

"Me batati hu.....
Hamari zindagi acchi guzar rahi thi.....ek chhoti si family....me , Zain aur iske baba....sab accha chal rha tha, Zain apne baba ka bohot ladla tha...bachapan se vo mujhse zyada apne baba ko pyar karta tha....unki har baat uske liye pathar ki lakeer hua krti thi.
Ham ek normal life jee rahe the...
Lekin achanak Zain ke baba ka bartav badalne laga...vo mujhse kate kate rehne lage.....vo jaldi jaate or der se ghar aate....mr nazarandaz karti gai...

Magar ek din mene market me unhe kisi aur aurat ke sath dekha....vo us aurat ke sath haste huye baate kr rhe the...uske gale me hath daale huye the.....mujhe yakeen na aaya me toot chuki thi....jab vo ghar aaye to hamara bohot jhagda hua....mene unse kaha ki ya to mujhe chhor den ya use chhor den......
Lekin unhone kaha ki vo mujhe nahi chhor skte kyuki vo badnaami nahi chhate or na vo use chhor skte hai kyoki vo usse mohobbat karte hai.....Me unke saath nahi rhna chahti thi... magar sirf Zain ki khatir mene ye gawara kiya...me use apne baba se alag nahi karna chahti thi....
Saalo tak hum aise hi sath rahe.....unka affair chalta raha....humne Zain ko kuch pata nahi chalane diya....jab vo 17 saal ka tha tab hamare jhagde phir shuru ho gaye....kyuki ab unki dusri biwi unke sath nahi rehna chahti thi aur uska gussa vo mujhpar utarte the...sharab peekar aate or mujhse gaali galoch ot maar peet karne lagte. Me Zain ko kuch na batati...Zain mujhse khafa rehne laga fha theek se mujhse baat nahi karta tha na hi meri baat sunta tha , mujhe vajah baad me samjh aa....us raat bhi hamara Aisa hi jhagda hua tha....or usi raat unka accident hua or vo chal base.....mujhe baa me pata chala ki unka accident unki dusri biwi ne karwaya tha apne aashik se kehkar...mene faisla kar liya ki me Zain ko sach bataker rahungi....lekin Zain ke baba ne use pehele hi mere khilaf bhadka diya tha...unhone saara ilzam mujhpar daal diya tha ki me....me...badkirdar hu!! Or mera kisise affair hai....chiii....aaj bhi sochti hu to ghinn aati hai....ke kaise insan ke sath saalo guzare mene....Zain ne meri ek na suni....use lagta tha ki humare jhagde mere affair ki vajah se hote the...or uske baba ka accident bhi meri vajh se hua tha.....vo nahi janta tha ki uske baba ko marwaya gaya tha...or uske baba ka affair kahi or tha...mera nahi..."

Mrs Bilkis bolti jaa rhi thi or Haya ki hawaiya ud rahi thi....

Usne poocha

"Lekin vo mujhse shadi ke liye kyu raazi hue....?"

"Kyuki mene use majboor kiya....mene usse kahan ki agar vo aone baba ki maut ka raaz janna chahta hai to use meri baat maanker shadi krni hogi...."

"Maaf karna beti, me khudgarz nikli....or tumhari zindagi daaw par laga di....mujhe tumse zyada acchi ladki nahi mil skati thi Zain ke liye....isliey mene.........

Mes Bilkis phoot phootkar rone lagi....purane zakhm ek bar phir taaza ho chuke the....

Haya ne unhe Pani pilaya....or tasalli di....haya se unki ye haalat nahi dekhi ja rhi thi....

" Ammi jaan ....bas bohot ro liya aapne.....bohot sehen kar liya aapne....ab me aapko or kuch sehen nahi krne dungi....me aapko aapka beta vaapas lauta kar rahungi..."

Mrs Bilkis ne purummid aankho se uski taraf dekha....
"Tum kya krne vali ho"

Haya halki si muskurai
"Mere pass ek plan hai....bas aapko meri madad krni hogi....or ek or insan ki madad leni hogi"

Mrs Bilkis kuch samjh na saki magar.... Haya par bharosa karke unhone uska saath dena manzoor kar liye....unhe bas apna beta chahiye tha.....

Or haya ko ummid thi ki ek baar Zain or ammi ke beech ki doori khtm ho jaaye to uski or Zain ke beech bhi doriya khtm ho jaygi....isi ummid ke sath usne apne plan oar kaam krna shuru kar diya.....

---------------------------

At the office

"Sir mujhe transfer chahiye!"

Mr Khan jo ki Zain ke secretary the, Zain se keh rhe the....

"What's the reason"

"Sir mere parents doosre shehr me rehte hai meri maa ki tabiyat kharab rehti hai vo chahti hai ki akhiri wakt me me unke sath rahu isliye....usi shahr me aapki company ki branch mr agar transfer ho jata to badi mehrbani hoti sir"

"Hmm alright....apak transfer jald hi ho jayga....but usse pehle mujhe kisi qabil secretary ko appoint karna hoga....tab tak aap yahi rehnge.....

Isi beech Danish cabin me enter krta hai...

"Secretary ki tension mat lo Zain....mene pehle hi intezam kar liya hai.....4 logo ko kal interview me liye bulaya hai"

Zain ne tirchi nigaho se apne jigri yaar ko dekha.....

"Aise kya dekh raha hai Mr Zain.... Aapse pehle har khabar mujh tak pohoch jaati hai aakhir DM hu company ka....."

"Okay okay! You can go now mr Khan..."

Mr khan ke jaate hi dono dost phir nok jhok krne lage.....

Danish Zain ka sabse accha or eklota dost tha....jo bachpan se sath tha...dono ne milkar company ko is mukaam tak pohochaya tha....
---------------------------------

Next day

"Sir.....i....i amm..m from....aaa.... Lahore.....!"

Zain ke saamne secretary ke liye teesra candidate khara tha jo theek se khud ko introduce bhi nahi karwa pa rha tha.... baki pichle do to English hi nai jaante the.."

Zain teekhi aankho se bechare candidate ki rooh me chhed kar rha tha......

"Aise dekhe ga to ye behosh ho jayga.."
Pass betha Danish  uske kaano me khuspusya

Tune candidate hi aise chune hai....mera man tujhe ek ghusa lagane ka kar rha hai....pichle aadhe ghante se koi ek dhang ka candidate nahi aaya, sab tune shortlist kiye the...kya peekar file dekh rha tha"

Danish koi jawab na de saka or next candidate ko awaz di....

"Next candidate.... Miss Haya Tahir.....pleas come in"

Zain ko shock laga.

"Kya kaha...Haya Tahir.....?"

"Haan........

Arre...arre ye to bhabhi ka naam haina ....kya bhabhi hai next candidate..? Danish chehkta hua bola....
Zain ke mathe par kuch shal aaye.....

Itne me Miss Haya Tahir andar aa chuki thi...

"Good morning sir, myself Haya Tahir.....

"Kya bhabi hi hai?

Danish ne pucha kyuki Haya ko vo shadi me bhi nahi dekh ska tha usne naqab pehna hua tha....or abhi vo ek mehroon abaya aur cream colour ka scarf bandhe hui thi.....

Zain ne koi jawab nahi diya or vo haya ko dekhta raha.... sorry...gusse se dekhta raha....

"Ye bhabi nahi hai ....yaha unmarried likha hua hai!!"
Danish file dekhta hua bola.....

"So Miss Haya.... please tell us about yourself!"

"Sir I am from Karachi....and i am here for the post of secretary of the CEO.....i am willing to work hard....and i assure you that I won't disappoint you"

Haya bol rhi thi or Zain apni hairani chhupa raha tha....vo janta tha haya padhi likhi hai magar use andaza nhi tha ki vo itne acche se khud ko present kar skti hai....
Vo use yaha dekhkar behad khafa tha....lekin Danish ke saamne kuch nahi kah skata tha....

Haya kr chehre par ek confident muskurahat khel rhi thi....or vo jaanti thi ke Zain kitna hairan hua hai.....

Poore interview ke dauran Danish ne sawal kiye or haya ne behtreen jawab diye.... interview khtm hone ke baad danish impress hote huye Zain se bola.....

"Mujhe ye candidate tere hisab se suitable lagti hai.....ye confident bhi hai is post ke liye qualified bhi hai..... kya kehta hai kya krna chahiye....

Zain ke pass mana krne ki koi maakul vajah nahi thi..... phir bhi usne vajah dhoondh li.....

"Meri sixth sense kehti hai ki ye workload nahi jhel payegi.....or mujhe over confident lagi kaafi...."

Zain keh raha tha or danish halki si muskuraht liye use dekh raha tha....

"Bhai mene tujhe aaj tak kisiko aise judge karte nahi dekha....tu kaam dekhkar judge krne vala insan....aaj kaise sixth sense par bharosa kar rha hai....kya baat hai:,-)

"Ahhh...vo....me....mene kuch galat nahi kaha....kk..koi bhi yahi kahega ise dekhkar"
Zain sitpita gaya ..

"Chal theek hai me board of directors ke samne ye profile rakhta hu dekhte hai vo kya kehete hai.....aaj ke liye itne hi candidate kaafi hai...chalta hu...."

Ye khekar usne danish ka kandha thapthapaya or bahar chala gya....

Bahar haya khadi thi.....

"Thanks Danish bhai meri madad krne ke liye"

Continue Reading

You'll Also Like

2.9M 71.3K 22
"Stop trying to act like my fiancée because I don't give a damn about you!" His words echoed through the room breaking my remaining hopes - Alizeh (...
1.3M 120K 43
✫ 𝐁𝐨𝐨𝐤 𝐎𝐧𝐞 𝐈𝐧 𝐑𝐚𝐭𝐡𝐨𝐫𝐞 𝐆𝐞𝐧'𝐬 𝐋𝐨𝐯𝐞 𝐒𝐚𝐠𝐚 𝐒𝐞𝐫𝐢𝐞𝐬 ⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎ She is shy He is outspoken She is clumsy He is graceful...
737K 21.3K 23
Beau HATES Oliver Fowler. But Oliver doesn't hate Beau.. quite the opposite actually. Oliver is the univeristies 'Golden Boy', adored and admired by...
381K 23.9K 65
In the vibrant city of Jaipur, a secret deal was struck between two worlds. Abhimaan Deep Shekhawat, the enigmatic King of Rajasthan, controlled the...