جستجو justajoo

By booksthetic_17

115 2 0

Ek aisi ladki ki kahani jise zindagi ne aise mod par laker khada kiya jahan justajoo to thi magar ek tarfa, g... More

Khwab Aur Maazi
Tooti ummeeden!
koshish
ziddi
tum nahi manogi
dooriya mitne lagi?
Rishta hai?

Nai shuruat?

18 1 0
By booksthetic_17

Isi tarah zindagi guzar rahi thi , Haya apni zindagi me khushiyo ke intezar me thi....kai arman....kai khwahishe.....mohobbat ko mehsoos karne ki chahat....kai saari ummede....or bas zindagi use sunahre khwab dikhaye ja rhi thi....lekin kise maloom zindagi kab kis mod par laaker khada karde.....
Vahi Zain zindagi se mayoos....maazi ki talkhiyo me khoya hua....sabse bezaar aur naummeed....jise Zindagi se koi lagaw tha na nafrat....bas ek tarah ki sardmehri thi......Zindagi use bhi jald hi ek baar phir mohobbat ka lutf chakhaane vali thi jise vo kai saalo pehle paakar kho chuka tha......

"Zain mujhe tumse baat karni hai"
Mrs Bilkis ne office jaate Zain ko rokkar kaha
Apni maa ki awaaz ko nazarandaz krte huye Zain aage badha..
"Maine kaha mujhe tumse baat krni hai"
Is baar Mrs Bilkis ne Zain ke saamne jaaker rasta rokte huye kaha.

"Mujhe koi dilchaspi nahi" Zain ki aankhe saaf ke rhi thi...
"Tum kab tak mujhse nazre churaoge beta..... akhir kab tak nafrat karoge mujhse us gunah ke liye jo mene kiya hi nahi"
Ye baat kehte huye Mrs Bilkis ki aankho me aansoo the.
Zain ab bhi kuch nahi bola

"Tumhari ye khamoshi mujhe kitni takleef deti hai tum nahi jaante"
Jo baat Mrs Bilkis karne aayi thi use bhoolkar vo shikayat kiye bina nahi reh saki akhir apne bete ki nafart kaun ma bardasht kar skti hai.

"Kuchh bolo "
Is baar Mrs Bilkis ne Zain ke coat ko pakad kar kaha

"Main hakikat janta hu aapki, ye natak mere samne karne ki jarurat nahin hai"

Ye kahate hue Zain ne apna court Mrs Bilkis ke hath se jhatke se chhudwa liya..

Mrs Bilkis Zain ko dekhti rahi , or Zain nafrat bhari aankho se unhe dekhta raha
Kuch lamho baad Zain vaha se chala gaya

Or Mrs Bilkis vaha khadi roti rahi....
Is guftagu ke baad unhone faisla kar liya ke vo zain se us baare me baat krke rahengi.
__________________________________________________

Raat ki 11 baje Zain ghar me dakhil hua
Mrs Bilkis ko living room me bethe dekhkar vo ek pal ko thithka phir bade bade kadam badhata sidhiyo ki taraf badha , upar uska kamra tha.

Lekin Mrs Bilkis ne jo jumla kaha use sunkar Zain ek bhi kadam aage na badha saka

"Janna chahte ho apne baba ki maut ka raaz"

Zain muda or Mrs Bilkis ko phati phati aankho se dekhne laga..

"Kya kaha......baba ki maut ka RAAZ??"

"Haan tumhare baba accident me nahi mare the vajah kuch aur thi"
Mrs Bilkis keh rahi thi or Zain unhe dambakhud dekhe ja raha tha ....uske dimag me dhamake ho rahe the.

"Kya vajah thi , me janna chahta hun"
Zain ne apni mutthi bheench li...

"To pehle meri baat manni hogi"

"Aap shart rakh rhi hain mere saamne"
Zain ne hairani se kaha, use apne baba ke baare me janna tha, usse sabr nahi ho rha tha

"Tumne mere aage koi rasta nahi chhora"
Mrs Bilkis ne bechargi me kaha

Zain ne khud ko smbhalte huye kaha-
"Me tayyar hu, kya krna hoga mujhe?" Vo irade ka pakka tha, or jaha uske baba ki baat thi vaha use or kuch nazar nahi aata tha.

"Shadi krni hogi" Mrs Bilkis ne jaise faisla sunaya ho.....

Zain ko jhatka laga, to ye karwana chahti hai Mrs Bilkis, kuch lamhe sochne ke baad Zain ne ek gehri saas li, or karb (takleef) ka ek ghhont piya or kahan

"Agar aap yahi chahti hai to yahi sahi....me baba ke baare me jaanne ke liye kuch bhi karunga"

Ye kehkar Zain apne kamre ki or badh gaya...aur Mrs Bilkis ne sukoon ka saans liya..
________________________________

Zain apne kamre ke ek kone me rakhe sofe par thakkar bethte huye sochne laga-

"Agar baba accident me nahi mare the to kya baat ho skti hai?
Baba ke baare me janne ke liye me kuch bhi karunga chahe mujhe shadi hi kyu na karni pade....vo ruka , kyuki ek fam uske zehen me kisika chehra aaya,......me use nahi bhool skta, mahi bhool skata me us, lekin me kya karu....smjh nhi aa rha"

Zain ne bechaini ki halat me apne dono hatho par apna sir rakh diya or beete huye dino ki yaado me kho gaya......
.
.
.
.
.
..
"Tum meri zindagi ke Andhero me roshni ho,
Mere bure khwabo ko subah ho....me tumse bohot mohobbat karta hu....tumhare siwa meri zindagi me koi nahi aa skta" i love you

College campus me baitha Zain apni mohobbat se apni mohobbat ka izhar kar raha tha.

???- Zain tum bhi na....bohot filmy baate karte ho.... bas karo mujhe sharm aati hai...

"Tumhe sharmata dekhne ke liye to krta hu" ek shararti muskan ke sath Zain ne kaha

Phir kehne laga" Baba ke jaane ke baad tum hi to ho jiski vajh se or jiske liye me zinda hoon"

???- offo Zain!! Phir shuru ho gaye....bhool jao na in baato,,. Acche bhale mood ko khrab kar diya...
"
" Accha baba nahi kehta,  Zain ne table se sir tika diya....

???- accha ye batao....hum dono kabhi alag ho gaye to kya kroge?

Zain ka chehra ek dam se bujh gaya....

"Kaisi baate kr rhi ho, hum kabhi lag nhi honge"
Zian ki dhadkane te huyi or aankho me fikr sama gai...

???- Santy mat ho ab!.....isme kya naya hai log milte hai bichadte hai....or mujhe yakeen hai tum mujhse alag hote hi kisi or se shadi kar loge or aise hi vade karoge.... Or mujhe bhool jaoge...
.
.
.

.
Beete lamho ki yaade uske zehen me gardish kar rhi thi, vo phir apne aaj me aaya lekin dil uska vahin ...maazi me tha....
Tumhara yakeen galat tha....me nahi bhool saka tumhe....mahi bhool saka....lekin baba ke liye mujhe ye karna hoga.
---------------------------++++-----------+

" Kya kaha? .....Bilkis khala"
Haya hairan thi , aaj subah kisika call aya tha papa ke phone par or ammi keh rhi thi Bilkis khala hain

"Haan haan vahi khala jo tere madrse me aati hain .....gahr bhi aa chuki hai..."

"Lekin unke pass papa ka number kaise aaya? Or unhone phone kyu kiya? Papa ne aapko kuch bataya?"

"Tu or tere sawal" ye kehte huye ammi ne pyar se uske sir par mara...

Haya kuch smajh na saki ammi aaj alag tarah se khush thi...na jaane aisa kya kaha hai Bilkis khala ne?

Haya confused si baithi thi....abhi abhi school se wapas aane par ammi ne use bataya ki Mrs Bilkis ka phone aaya tha....bas isse zyada use or kuch nahi bataya gaya.....lekin use zyada intezar na karna pada....thodi der me Haya ki dadi uske pass aai or kehne lagi.....

"Bazaar ja or dhang ke kapde lekar aa.... Dekhne valo ko ye na lage ki ladki ke pass kapde hi nahi hai

Dadi ko lgta tha ki haya ke pass ache kapde nahi hai vahi saade kapde jo aaj kal ki ladkiyo ke liye dadi amma ki tarah ke the...lekin haya ko yahi pasand tha....saade kapde bade se dupatte ke sath! So dadi ka ye mutalba use khas accha na laga
Haya muh basor kar reh gai....achanak use jhatka laga......"kya?? Dekhne vale?".......
Use yaqeen na aaya
Lekin phir usne khud saare taar jode.....Mrs Bilkis ka phone aaya tha....ammi ajeeb bartav kar rhi thi...or ab dadi,......yanni ke......Mrs Bilkis uske liye rishta lai hain?

Ye khyal aate hi vo bechain ho uthi.....smjh na aaya khush ho ya hairan....kyuki ye uske liye aane wale rishto me sabse alag tha.... Mrs Bilkis ko vo jaanti thi vo ek bade gahr se thi....or bohot ameer...thi use laga tha ki us jaisi saada shkal ladki ko koi bade ghar ka kyu pasand karega..... phir Mrs Bilkis ne to use dekh rakha hai...use jaanti bhi hain..... phir kaise...

Usne apne aap ko ye tasalli di ki shayad Bilkis khala kisi or ka rishta lekar aai hain...kisine kha hoga unse.....kyuki unke bete ke liye to vo Haya jaisi ladki ko pasand nahi kar skti.....kam az kam Haya to yahi sochti thi....

Lekin uska ye khayal tab galat sabit hua jab Mrs Bilkis kuch aur logo ke sath sham ko ghar aai, or kaha ki vo apne bete ke liye Haya ka rishta chahti hai!!
__________________________________________
Haya apne kamre me tayar baithi thi... intezar or iztirab.....pata nhi kyu jab bhi koi rishta aata vo nervous ho jaaya karti thi, vo padhi likhi or samjhdar zarur thi, magar vo society ke norms se wakif thi, ke yaha insan ki qaulities nahi uski shakal aur daulat dekhi jaati hai. Vo daulat ke lihaz se ek middle class magar ache ghar se thi, magar shakal ke lihaz se vo logo ke standard par khari nahi uatrti thi, sanwla rang, saada naak naksha, lekin acchi kad kathi zarur thi. Apni behno or sabhi cousins me vo sab se kam khoobsurat thi, uske mamu, fuppi, khala, or bade papa ki betiya sabhi khubsoorat thi...vo jab bhi unke sath hoti kisi family function me to use zyada ahmiyat na di jaati , rishte bhi uske kam aate....uske sath chalti uski behno ko sabhi ek nazar me pasand kr lete....isliye vo ek tarah ki ehsas e kamtari ki shikar thi....lekin jab log use karib se jaante to use pasand kiye bagair na reh paate....vo apni field yaani studies ke maidan me sabse aage thi....use pata tha ki vo apne looks nahi bdal sakti to usne apni shakhsiyat ko behtar banane ki koshish hamesha se ki thi.....or isliye vo mrs Bilkis ki nazro ko bha gai thi.....jab kabhi koi dekhne aata to vo ghabra jaati thi.... vo khud ko tasalli deti ki....nahi ....shkl mayne nahi rakhti insan andar se accha hona chahiye.....lekin phir bhi jab samne jati to ehsas e kamtari or napasand kar diye jane ka khuf use jakad leta....

Use neeche bulaya gaya...
Vo dhadkte dil ke sath living room me gai jaha sab baithe the, uski nazre jhuki hui thi, (introvert issues).
Mrs bilkis ne aage badhkar use pyar se apne pass baithaya.
"Assalamualaikum"
Haya ne salam kiya...
Samne baitha zain har taraf dekh raha tha siway Haya ki taraf...
Sab log apas me bate kar rhe the lekin Haya or Zain dono in sabse latalluk apne apne khyalo me ghum the....
Haya ne himmat karke apni nazre uthai or sirf ek nazar Zain par padi ke usne shrm ke maare phir nazre jhuka li.

Allah ta'la kya ye hai Bilkis khala ke bete.!!
Usne socha

Zain ki shakhsiyat aisi thi ki bhare majme me bhi alag hi dikhai deta tha....lamba qad.... khada naak naksha.....gerua rang....salike se jame baal....safed, poori asteen ki t-shirt or black jeans...me vo or bhi accha lag rha tha....or kam bolne ki uski aadat use auro se mumtaz banati thi.....

Haya ki dhadkane tez hui.....dil me ajeeb si khushi hui.....uske arman uski khwahishe josh maar rhi thi....jo rishta uske liye aaya  tha.....dil ne uske liye haami bhar di thi(◠‿◕)

Mrs Bilkis ne Haya ke papa Mr Ahmad se kaha
"Me to Haya ko do saal se jaanti hu....meri taraf se rishta pakka samjhe,, agar Zain ko lekar , hume lekar aapke koi sawal hai to aap be jhijak pooch sakte hai...

Mr Ahmad ne poocha
*Zain ke papa kaha hai?" Vo nahi aaye?

Zain ne Mr Ahmad ki taraf dekha phir Mrs Bilkis ki taraf dekha.

Mrs Bilkis ne ek nazar Zain ki taraf dekha or dono ke beech kai saari baate aankho me hi ho gai.... Zain ki naraz nazre Mrs Bilkis ko dekh rhi thi.... Mrs Bilkis ne Zain se nzre hataker jawab diya..

"Vo...darasal.....kuch saalo pehele ek accident me vo......."
Bas itna hi keh saki or Mr Ahmed ne mahol bhanpte huye kaha...

"Maafi chahta hu" or baat badalte huye kaha

"Hame bhi Zain kaafi pasand aaye... Mashallah beta Zain aap waqai bohot acchi shakhsiyat ke malik maloom hote hai"

Phir Mrs Bilkis ki taraf mutavajjo hote huye kaha

Me aapko ghar ke logo se mashwara karke kal jawab deta hu, tab tak aap. Bhi soch samjh lena...jaisa bhi lage"

Are Nashta lijiye na aapne to ab tak kuch bhi nahi liya......Mrs Ahmad boli....
Or sab baaten karne lage...
-------------------------------------------------

Mehman jaachukr the or haya.....Zain ke khyalo me ghum ho chuki thi.....♥️

Continue Reading

You'll Also Like

1.3M 100K 41
"Why the fuck you let him touch you!!!"he growled while punching the wall behind me 'I am so scared right now what if he hit me like my father did to...
475K 6.8K 32
Rajveer is not in love with Prachi and wants to take revenge from her . He knows she is a virgin and is very peculiar that nobody touches her. Prachi...
1.3M 119K 43
✫ 𝐁𝐨𝐨𝐤 𝐎𝐧𝐞 𝐈𝐧 𝐑𝐚𝐭𝐡𝐨𝐫𝐞 𝐆𝐞𝐧'𝐬 𝐋𝐨𝐯𝐞 𝐒𝐚𝐠𝐚 𝐒𝐞𝐫𝐢𝐞𝐬 ⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎⁎ She is shy He is outspoken She is clumsy He is graceful...
1.1M 61.7K 59
𝐒𝐜𝐞𝐧𝐭 𝐨𝐟 𝐋𝐨𝐯𝐞〢𝐁𝐲 𝐥𝐨𝐯𝐞 𝐭𝐡𝐞 𝐬𝐞𝐫𝐢𝐞𝐬 〈𝐛𝐨𝐨𝐤 1〉 𝑶𝒑𝒑𝒐𝒔𝒊𝒕𝒆𝒔 𝒂𝒓𝒆 𝒇𝒂𝒕𝒆𝒅 𝒕𝒐 𝒂𝒕𝒕𝒓𝒂𝒄𝒕 ✰|| 𝑺𝒕𝒆𝒍𝒍𝒂 𝑴�...