Love ❤️ Guest. ( Slow Update...

By Pratha_S

5.3K 372 137

As I asked you guys and you voted ShaVeri.. this is a Shaveri story... This is a love story of a bubbly chirp... More

Love❤️Guest ( Introduction)
Love❤️ Guest 1
Love ❤️ Guest 2
Love❤️Guest 4
Love❤️Guest 5
Love❤️Guest 6
Love❤️Guest 7
Love❤️Guest 8
Love❤️Guest 9
Love❤️Guest 10
Love❤️Guest 11
Love❤️Guest 12
Love❤️Guest 13

Love❤️Guest 3

308 26 9
By Pratha_S

Kaveri office pauchh ke bohot time se wait karrhi thi... Andar se koi usse bulaya nehi isiliye khud reception mein jaake puchhne lagti hai... Receptionist se pata chala jinke under woh kaam karegi woh aaj aaya nehi... Kaal se sidha office join karenge... Kaveri smiled forcefully but andar hi andar office ki poora khandan ka ram naam satya kar rahi thi...

Ka- Nehi aayega toh pahele bata deta... Khamka mera time waste karwa diya.. samajhta kya hai apne aapko... Huh.. pata nahi kiske under kaam karna padega..

Kaveri darwaze se bahar aarahe the achanak collides with a man.. dono hi absentmindedly ek doosre ko dhakka de diya... Kaveri was about to fall Sha usse bachane ke liye wrapped his one arm around her waist and hold her one hand with the other... And their eyes locked...

Sha's perfume ki smell kavi ko bohot fascinate kar raha tha... After some times her trance broke... And she literally jumped...

Ka- Who the hell are you?? Mujhe dhakka dena ki himmat kaise huyi??

Sha- Maine apko dhakka nehi diya apne mujhe dhakka diya hai..

Ka- What!!!!!! Maine apko dhakka diya hai!!! Mera naam kaveri hai thik hai?? Main kabhi kisi ladke ko dhakka dene ke bare mein sochti bhi nehi hu...

Sha looked at her from top to bottom with raised eyebrows and said...

Sha- Security... Bahar nikaliye inhe... Kaisi kaisi logo ko bula lete hai aaplog office mein??

Ka- Hey Mr. Khadoos aap kaun hai jo mujhe bahar nikal rahe hai?? Mujhe apne dam pe iss office mein kaam mila hai..

Sha uski baaton pe kaan hi nehi diya aur apne cabin mein chala gaya... Receptionist ladka sha ko dekh ke khada ho jata hai... Aur idhar kavi chilla rahi hai...

Ka- Dekh lungi main apko... Shaitan hijibiji khadoos kahika... Ek ladki ko dhakka deke sorry bhi nehi bol sakte aur upar se jhagda karrha hai...

Receptionist ( Re) ladka bohot der se kavi ko kuch bolne ki kosish karrha tha lekin woh bina sune uspe hi chilla diya...

Ka- kya ma'am ma'am karrhe hain?? Jaake apna kaam ki jiye...

Re- Maam hum kahe rahe the... ( But he was interrupted by Kavi)

Ka- Aaj ka din hi kharab hai... I'm sure yeh hi hai Ravan ka hi head no.1...  Ekbaar office mein join karlu.. fir sabko dekh lungi... huhh

Kaveri chali jati hai aur receptionist uski jane ki taraf dekhta raheta hai..

Sha andar jaate hi ek worker ( Wo) usse leke saare employees ke paas jata hai...

Wo- Attention Guys... Our new Boss Mr. Shaleen Malhotra...aaj se unhone humara brunch join karrhe hai.. aaj se aplog inke under kaam karenge.. Radheshyam Sir khud nehi aa paye isiliye mujhe kaheneko kaha hai... ( He looked at Karan and said) Sir, Welcome to Our new office "The Royal Mumbai" urf " TRM" jahaan hum mumbai ko ek naya roop dete hai... Naya naya building ko hum naye tarikhe se saja dete hai..

Sha- Thank you soo much... Okey... If introduction is done then go back to work... My cabin??

Wo- Please sir come with me...

Worker Sha ko apna cabin dikha dete hai or woh apna chair pe baith jata hai.. Sha bohot hi kaam pagal admi hai... Baaki employees use shocked hoke dekhte rahete hai... Kaam ke ilawa usse kuch samajh hi nehi aata... Baat bhi kam karta hai.. lekin jab karta hai..Bohot karta hai... Uski pasand thoda hatke hai.. jahaan tradition raheta hai waha bhi innovation dhund leta hai woh...

Sab kaam samajh lene ke baad apna cabin ghumke dekhte hai... And called his PA in his cabin..

Sha- Mr. Siddique I need to change these cartains of my cabin... Table ki position bilkul bhi thik nehi hai thoda pichhe hatana apdega... Couch left side se leke right lana padega... Toh better lagega... Carpet floor ke saath bilkul bhi match nehi horaha..

Pritam ( His PA) ke muh khulla hi rahe gaya.. uske shakal dekh raha tha... Ek din mein itne saare fault pakad raha hai toh phir ek hafte mein kya hoga?? Woh apna sar hilake kamre se bahar aajate hai...

Other side,

Ghar vapis aane ke baad se kaveri bohot gusse mein hai... Dinning area mein idhar udhar jor jor se walk karne ke baad couch pe baith jata hai...

Ka- Kisiko nehi chhodungi... Mere kaano se dhua nikal raha hai... Mujhe office se bahar nilalne ke liye kahe raha tha... Uss ladke ki himmat kaise huyi... ( She was shouting)

Uski shout sunke bade papa kitchen mein khade khade chauk jata hai.. badi maa kaam karte karte ekbaar unke taraf dekhte hai aur firse apne kaam pe concentrate karti hai...

Na- Aab sambhalo.. ek toh kavi gusse mein hai.. upar se Samaan aya hai...

Sa- Samaan nehi Shaleen

Na- Woh ek hi baat huyi...

Sa- Bus aur Baans ek nehi hai..

Na- Dono hi lamba hai... Tum chup raho..

Sa uncle looked at her with a strange expression and then looked at Kavi...

Na- Jaake dekho ladki kyun gusse mein hai..

Sa uncle gulped his saliva and slowly slowly uske paas jaake baith jata hai..

Sa- Kavi beta itni gusse mein kyun hai tu??

Ka- Bade papa... Aaj office mein ek ladka mujhe insult kiya hai..

Sa- What!!!! Tujhe insult kiya hai?? Aur tune usse chhod diya??

Ka- Maine kuch kaha usne suna hi nehi diya... Just ignore karke chala gaya???

Sa- Bilkul bhi thik nehi kiya... Sunke hi mere kaano se dhua nikal raha hai...

Kavi looked at him that is her serious or is he just making fun..

Ka- Bade papa aap mazak karrhe ho!!! Yeh mazak karne ka time hai!!! Woh mujhe insult kiya hai... Main uske khilaw defamation ki case karungi...

Badi maa fridge se ek ice cream nikal ke uske saamne rakh dete hai..

Na- Yeh kha le aur thoda thand hoja.. chocolate flavour tera favourite hai..

Kaveri dekh ke hi jump karne lagti hai...

Ka- Ice cream... Ohh mere janemaan kahaan the tum itni der tak?? Iski hi zarorrat thi mujhe badi maa... Lobbu lobbu muuuahhh...

Aur ice cream khane lagti hai.. suddenly usse yaad aajati hai Shalini aane wali thi..

Ka- Bade papa Shalini aagayi???

Sa- Hein?? Ha... Haa.. haan...aagayi hai.. lekin abhi ghar pe nehi hai.. office gayi hai..

Ka- Ohhh.. baah... Achha thik hai.. main apne kamre mein gayi...

Kavi ke dimag se subha ka incident poora gayab ho gaya... "ice cream khake din garden garden ho gaya" gaana gaate gaate chali gayi...

Sha ka kamre mein cartains removed hai dekh ke kamre ke bahar khada ho jati hai...

Ka- Kaal hi toh sab arrange kiya tha... Aur aaj cartains gayab??

Door thoda open karke dekhne lagti hai... Kaamre ka poora haal badal gaya aur yeh lagi uske dimag mein aag...

Ka- Mere sajaya hua sab kuch aise wahiyaad bana diya?? Yeh ladki ki choice bohot buri hai... Saare showpiece kitni gandi tarikhe se arrange kiya hai.. eww... Firse arrange kar deti hu... ( She again arranged everything)

Table ke saamne jaake firse arrange karne ke pahele hi badi maa usse bula leti hai... Table mein rakkha hua photo frame woh dekh nehi payi..

Kavi dinner karne ke baad jaldi jaldi so jaate hai kaal office bhi hai... Sa uncle toh tension mein tha... Agar raat toh jhadga start ho gaya toh poora mohole walo ikattha ho jayega... Jhagda hua nehi yeh soch ke unhe thoda relief milta hai...

Sha khana leke aaya hai.. aate hi badi maa darwaja open kar dete hai..

Na- Yeh kya samaan?? Tum khana leke kyun aaye?? Maine bataya na tum humare saath khana khaoge?? Extra khana kharidne ki koi zarorrat nahi hai beta..

Sha- Aunty matlab... mujhe leke itna pareshaan maat hoiye...

Na- Aise thodi na hota hai beta... Hum jaise tumhe paying guest nehi rakhna chahte the waise hi tum apna aatmasanman ke liye kisi aur ke ghar mein paisa deke ruk rhe ho.. waise hi agar tum humare saath khana nehi khaoge toh mujhe bohot bura lagega.. achha tumhe mere haat ka khana pasand nehi aaya kya?? (Sha immediately object)

Sha- Nehi nehi aunty.. aisa kuch bhi nehi hai...

Na- Toh phir kya tum hamare saath hi khaoge... Lekin yeh toh waste nehi kar sakte.... Yeh khana mujhe do main fridge mein rakh deti hu... Jab man kare kha lena... Packet leke badi maa chale jaate hai...

Sha ka maan karrha tha sar thok dh diwar pe... Aur apne kamre pe chale jage hai... Kamre mein jaake bhi shanti nehi mila upar se bohot shocked ho jata hai... Socha tha ghar aake khana khake so jayenge.. poora din ka headache je liye itna tired tha... Upar se kamre mein sabkuch idhar udhar dekhke aur bhi para high ho gaya...

Kisne aisa kiya usse samajh nehi aaraha tha.. apna gussa control kaeke khud ko samjha ke phir se sab kuch apne tarikhe se arrange karta hai.. sab kuch arrange karte karte jin 20 min der jata hai... phir khud change karke fresh hone ke baad niche chala jata hai...  Chhole bhuture dekh ke apna muh banake khane ke taraf dekhta raheta hai... phir Sa uncle usse baithne ko kaheta hai....

Sa- Aaj uss ghar mein tumhara pahela din.. isiliye Tumhari Aunty Chhole Bhature banaya hai.. Abhi bhi garam hai... Chalo shuru karo..

Mushkil waqt mein help kiya hai.. isiliye Sha bhi kuch kahe nehi pata... Badi maa ko dekh ke usse apni maa ki yaad aati hai.. isiliye chup chap kha lete hai... Khate khate Sha ko bohot zor se starts coughing...  badi papa badi maa dono tensed ho jati hai... Bade papa uske sar pe fu fu karta hai... Badi maa uske aage pani ka glass rakhte hai... Sha ka cough ruk jata hai... Unn dono ke taraf dekhte rahete hai.. Koi apna nehi hai lekin kuch ghanto mein hi usse bilkul apna maan liya yeh do insaan...

Sha- Main thik hu aunty...Mera khana ho gaya.. kaal office hai mera... Good night aunty... Good night uncle... ( Sha thoda hesitate karke batake chala gaya)..

Itna masaladar khana usse pasand nehi... Isiliye raat ko bohot stomach pain hone lagta hai.. Medicine lene ke baad bhi poora raat so nehi paya... Bohot subha thoda aankh lag jata hai....

Other side

Kaveri aaj bohot subha subha jag gayi... Apna saara kaam bullet train ki speed se karrhi thi... Badi ma bohot dar rahi hai ki aaj kavu jaldi uth gayi...Agar sha ko dekh liya toh bohot problem ho jayega.... Bade papa apna chashma ke upar se ekbar kavu ko aur ekbar unki biwi taraf dekh rahe the... Kavu chai leke statue ki tarah apne bade papa ke saamne khada hai..

Ka- Chai kaise bana hai?? ( She asked with raised eyebrows)

Sa- ( chai pite pite apne chashme ke upar se dekhta hai) bohot sundar bana hai Kavu... lagraha hai Amrit pi raha hu... Ahaa..

Ka- saach bol rahe ho bade papa?? Toh phir main Shalini ko deke aau??? Usse toh main abhi bhi mili hi nehi.. iss mauke pe mil lungi... Aur aaj se hum free time pe bohot masti karenge...

Kavi chai leke jaa hi raha tha bade papa uske saamne aake khada ho gaya..

Sa- Kavu abhi maat jaa..

Ka- Kyun??

Sa- kyun mat...matlab samaan... Matlab Shalini kahaa hai ki woh subhe subhe yoga karti hai.. isiliye koi usse iss time disturb na kare...

Ka- Yoga karti hai!!! Matlab figure bhi toh bohot maintained hogi !!!... Huh.. main bhi kuch kam nehi thik hai... Aisi figure sabko nehi milati... Huh... ( She smiled bade papa uske baat sunke nodded his head in disbelief)

Sa- Haan woh toh hai... Bohot achha figure hai uska... Dikhne mein ekdam hero jaisa...

Ka- Hero jaisa!!!! ( He frowned her eyebrow)

Na- nehi nehiiii ( itna lamba kicha kavi looked at her shockingly ) heroine jaisa... In Out kar diya... Tu toh janti hai na apne bada papa ko... Kuch na kuch In or Out karta raheta hai.... ( She glared at Sa uncle and he looked here and there) aab tu woh sab chhod... Tu office jayegi na?? Jaake ready ho jaa...

Ka- Abhi bhi bohot time hai... Main tabtak toast bana deti hu...

Na- Aaj toast nehi paratha hoga..

Ka- kaal hi toh kahaya paratha...

Na- puchh maat... uss Ladke ko dekh ke bohot bura lagta hai... Uska chahera dekh ke hi lagta hai bohot pyaar se pala bada hai... Yaha usse khane ka taqleef horaha hai...

Kavi looked at her suspiciously... Bade papa bohot der se ishara karrha hai chup rahene ke liye lekin Badi maa toh emotional hai... Emotion mein baheke bole ho jaaraha hai...

Ka- Kis ladke ki baat karrhe ho??? ( Looked at her with suspicious eyes)

Na- Ohhh ladka kaha maine?? He he he he nehi nehi ladka nehi ladki... Uss ladki ko dekh ke bohot bura lagta hai.. iss umar ki ladkiya kitna khana pina pasand karti hai... Jaise tu!!! Pulav, korma , kofta , kaliya , Biriyani... bilkul bhi mana nehi karti... Kabhi kabhi lagta hai kaan bhi khake hazam kar legi..

Ka- Kaan!!! Badi maa kya bolrahi ho tum?? Dekho abhi mujhe sachmein daal mein kuch kala lagraha hai... Shalini sach mein aya hai kya??  Kaun hai woh?? Nehi aaj mujhe dekhna hi padega..

Kavu upar ki taraf mudte hi dono uske saamne aake usse rok liya... Baas lag hati kabaddi match... Kaveri dono ke taraf dekh ke apna dono haat dono side spread kar diya... Badi maa aur bade papa saamne jhook gya...

Na- Aaj tujhe hum upar jaane nehi denge.. kuch bhi ho jaaye...

Sa- Agar upar jana hai toh humara dead body ke upar se jana padega...

Bade papa ki aisi baatein sunke kavu thoda sad hogaya...

Ka- Bade papa... Ek chhoti si reason ke liye tumne itni badi baat kahe diya?? ( She wiped her tears by using her tshirt) main apna ghar chhod ke sirf tum dono ke liye yaha rahene ayi hu... Aur tum dono.... Maine socha hi nehi ek bahar ki ladki se milne na dene ke liye....

Sa uncle bhi sad hogya uski baatein sunke..  badi maa ke aankhon mein bhi aansu aajate hain... Bade papa stairs ke samne se hatke kaveri ke saamne aajate hai.. Badi maa usse hug kar leti hai... But without their notice a naughty smirk came on her face...

Ka( in mind)- Mujhe jaane nehi doge na?? Main toh jaungi hi...

Kavu's nautanki ki skills ke liye usse oscar dena chahiye tha... Woh apna natak ka level thoda aur high karti hai... Aur thoda aur jor se roh deti hai...

Ka- Mujhse koi pyaar nehi karta.. na mummy papa aur nahi bade papa badi maa... Tum dono mere liye bhagwan ho... Hey Bhagwan aaj yeh baate sunne ke baad tum mujhe utha kyun nehi lete??

Na- ( She cupped her face and said) aisi baatein nehi karte beta... Chup ho jaa...

Bade papa ko thoda doubt hota hai uspe and looked at her with raised eyebrows... Kavi unhe dekh ke aur bhi jor se rohne lagti hai..

Ka- Dekho badi maa bade papa ko mere aankhon ke aansu pe bhi bharosa nehi ho raha... Ekdam safed pure meethi pani aankho se baheke sidhe mere gaalo pe jaa raha hai.. mujhe khud samajh mein aaraha hai mera dard kis level pe hai.. chhodo mujhe... bade papa ko mujhpe bharosa nehi hai.. ( she again looked at his face) main apne kamre mein kaa rahi hu.. mujhe thoda akela rahena hai.. koi mujhe disturb nehi karega... ( Waha se daud ke bhag jata hai)

Kaveri waha se nikalte hi badi maa unpe chillane lagti hai... Abhi poora galti unke hai...  Unhone hi sha ko gharpe laya hai aur unke liye hi abhi kavi roh rahi hai.. aur poor Sa uncle na ghar ka na ghat ka.. apna muh banake couch pe baith jata hai..

Kaveri upar jaake dance karne laga nagin, murga,hiphop,katthak,salsa kuch bhi nehi chhoda.. sab dance style ek saath khichdi babake dance karte karte sha's room ke samne khada ho gaya...

Ka- Shalini ke saath mujhe kyun nilne nehi de raha mujhe pata karna hi padega.. yeh ladki ka naak bohot ucha hai.. choice kharab hai woh toh pahele hi pata tha.. aur figure mentain karne ke liye yoga bhi karti hai... Huhh.. jab mujhe dekhegi na chauk jayegi... natural figure leke paida huyi hu...

Kaveri kahete kahete darwaje pe knock karti hai... Sha aaj decide kar liya mar jayega lekin woh oily spicy khana nehi khayega.. badi maa ayi hai yeh soch ke ek jump mein darwaje pe aake door andar se lock kar deta hai... Kaveri dhakka deke bhi khol nehi payi.. and fir apne kamre mein chali jati hai..

Uski kamre ke pichhe ek hanging porch jaisa tha... She was peeping from there but no use... Aur samne se ek neighbors (N) apne window se Kaveri ko dekh raha tha... Kavi pahele notice nehi kiya.. jab kiya tab he was smiling looking at her... Air kavi apni aankhein chhoti karke usko dekh rahi hai... 

Ka- Hey... Haas kyun rahe ho mujhe dekh ke?? Main joker hu???

N- Nehi nehi joker kyun??  bilkul lolipop jaisi meethi...

Ka- Hein?? Bada aya lolipop jaisi meethi karne... Ek chaped mein lamp post pe ulta latka dungi.. mera bhi naam kaveri hai... ( Fir kaveri apni room mein chali jati hai...)

Poor neighbor apna muh banake wohi khada raheta hai... Sha awaz sunke balcony pe aata hai aur dekhta hai opposite side mein ek ladka apne gaalon pe haat rakhke khada hua hai... Sha idhar udhar dekh ke niche dekhta hai.. tab woh neighbor ladka noticed Sha..

N- Bhaiya... Tum zinda kaise ho??

Sha ko kuch samajh nehi aata...Woh ladka firse warn karna jaisa expression karke aur badi badi aankhe banake bataya...

N- Uss ghar mein ek chudail hai usse thoda door rahena verna chaped marke lamp post pe ulata latka degi...

Sha ko laga yeh pagal hai... Yeh sochke apne kamre mein chala jata hai.. Kavi thodi der baad firse aake darwaje pe dhakka marti hai.... Phir bhi open nehi hua.. aab woh ignore kar deti hai.. usse late horaha hai isiliye washroom chala gaya...

Shower lene ke baad ek towel apne body pe aur ek towel apna baalon pe wrap karke gana gaate gaate bahar aarahi thi... Bilkul ussi time pe Shower lene ke liye Sha kamre se bahar aaraha tha.. Dono ek doosre ko dekh ke bohot jor se chilla diya... House ke upar jitni bhi kauwa bithi huyi thi sab bhag gaya...

Sa uncle just market se wapis aake ghar ke andar apna ek paa rakhe hai... Awaz sunke wohi statue banke khada hogaya...

Badi maa apne teeth se nails katne lagi...Aaj sab khatam ho jayega... Aab uthegi kavi ke haath mein talwar..Aur uss talwar mein jaan jayega Shaleen ki...

Kavi apni jo towel bal pe wrap kiya hua tha... Woh utar diya aur sidha fek ke mara Sha ke face pe..  Sha bhag ke apne kamre pe jate waqt jorse collided with the door... Bohot jor se naak pe lagi hai.. jabtak darwaza kholke woh andar jayega tabtak bade papa badi maa aagayi hai...

__________________________________________

So Here is the First meet of Our Shaveri.... Kaisa laga zaroor batana... Bohot kuch interesting hone wali hai...

Aur Abhi yeh story pe main weekly update dungi... Aur aise bhi badi badi part hi dungi... Please consider karlena...

Achhe se comment karo yaar tumlog... Agar comment karke bataoge nehi toh pata kaise chalega?? Keep commenting keep voting....

Chalo milte hai next part mein... Tab tak ke liye Horn okey tata bye bye rab rakkha... Cheers ❤️❤️ 

Continue Reading

You'll Also Like

364K 31.9K 90
Sequel to my MHA fanfiction: •.°NORMAL°.• (So go read that one first)
152K 11K 60
BOOK #2 They say love heals scars, but Seokmin's scars were lessons-bitter reminders that twisted him into a creature of darkness. His life was a ser...
787K 29.2K 97
𝐀 𝐒𝐌𝐀𝐋𝐋 𝐅𝐀𝐂𝐓: you are going to die. does this worry you? ❪ tua s1 ⎯⎯⎯ 4 ❫ © 𝙵𝙸𝚅𝙴𝙷𝚇𝚁𝙶𝚁𝙴𝙴𝚅𝙴𝚂...
206K 9.4K 59
Orm Kornnaphat's feelings for Lingling Sirilak have undergone a transformation over time. Initially, at the age of 11, Orm held an unromantic, platon...