MaAn : The fairytale

By AnuRups514

27.9K 1.7K 765

So, its my first ff....hope u like it.... Pls koi bhool ho gayi ho toh maaf kar dena..πŸ₯ΊπŸ₯Ί Enjoyyyy Ranks:... More

Introduction
College : the beginning of tale
ek anokhi shuruaat 🀞🏻
MaAnVika : The Trio ❀️❀️❀️
FAMILY....😍😘
Blessings β™₯️πŸ₯°πŸ€—
The First Date πŸ₯°β™₯️
Teaser ✍🏻
Save Me...πŸ₯Ί
Confession? πŸ€žπŸ»πŸ˜‰
MaAn ki Baat β™₯️
πŸ’ Revealed πŸ’
Day Out..πŸ’œ
Khushiyon ki Tareekh 😍πŸ₯°
Aap Humare Dil Me Rehte Hai..πŸ₯°
kyu dikhe mujhe tu 😍
2nd SEPTEMBER 😍❀️😍
2nd SEPTEMBER 😍❀️😍 (2)
Insecurities In Love❀️....
I Just Hate You..πŸ’˜πŸ’”
20:- Rukja O Dil Diwane
21-: Tumhi Hamari Ho Manjil My Loveβ™₯️
22:- Celebration
Lo Aa Gayi Lohri Ve..❀️
24 : New Entry πŸ€”
25: YE PAL SABHI SE KHAAS HAI...❀
26 : zindagi bitana chahta hu❀
27 : main teri barbie girl❀️, tu mera teddy bear🧸
28: Main chali.. Mere Pyaar Ki galiβ€οΈπŸ™ˆ
29 : Valentine's SpecialπŸ’•
30 : Anu with Ardhanareshwar's Blessings❀️
31:- Bura na maano #MaAn hainβ€οΈπŸ’›πŸ’š
32: Planning πŸ€”
34: Dil Ki Baateinβ™₯️
35: Haldi πŸ’›
36: un rendez-vous romantique
37: Broken Faith
38: The Musical Night

33: Family Trip😍

424 43 13
By AnuRups514

Yayyy... I completed my 1 year in wattpad... Today (6 april)

So pls... Do vote, comment and follow for more...

*bhagwaan aap sab ko story ke beech beech me meri baaton ko jhelne ki shakti de😅*

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

As they all seated in the train.... Everyone takes chain ki saas...

Abhi - chalo fir... Maa ke darbar ki ore prasthan karte hain.....

S - kitna subh samaye hai na... Aaj se navratri shuru hain... Aur hum sab ek saath maa ke darbar jaa rahe hain...

K - ji sunaina ben... Navratra ka vrat maa ke darbar me hi sammpan karna kitna subh hoga...

- haan....

Kanta, sunaina, abhimanyu and gk are seated together while anu, anuj, mukku and devika are seated together
Bua haven't come as she have to go somewhere.....

*jhooth safeed jhooth........Vo isliye nhi aayi kyuki mujhe bas positive log chahiye the... Huhh... Main kyu jhooth bolun vo bua ke wajah se*

Anuj - bhavesh bhi aata toh kitna achcha hota na...

*bhavesh positive person hi hai bas bechare ke practical shuru ho gaye...ab isme meri kya galti... 🤷🏻‍♀️*

Anu - haan... Par uske practical aaj hi shuru ho gaye... Varna uska mann bahut tha...

Anuj - hmmm.... Koi ni.. Uske sath baad me plan banayenge...

Anu - haan... Ye sahi rahega... Usko khushi toh milegi...

Anuj - hmmm...

Devika - vaise... Hum direct nhi ja rahe na katra...?

Mukku - nhi..

Anu - toh..?

Abhi - katra pahuchne se pehle hum ranthambhore jayenge

Anu - vaha... Kyu?

Sunaina - haan... Pehle toh Tumne bataya nhi

Abhi - haan... Vo main mukku aur gk kal aise hi baat kar rahe the... Toh tab hi gk ne suggest kiya ki hume pehle Ranthambhore chalna chahiye...  Vahan Ganpati bappa ka bahut prachalit mandir hai Trinetra Ganesh Mandir....... Toh pehle vaha ho aate hain... Fir aage ki yatra prarambh (start) karenge...

S - haan ye bhi sahi hai....

Gk - vo kya hai na... Humare shashtron me likha hai... Koi bhi shubh karya ya nayi cheez ki shuruaat karo toh sabse pehle Ganpati bappa ki aradhna se shuru karo..... Sab achcha hi hota hai.. Toh itne nek karya ko karne se pehle Bappa ke darbar me toh jaana hi tha... Bas yahi soch ke maine ye sujhav de diya..

S - nhi..bahut Achcha kiya kaka..

K - haan gk bhai... Pata nhi mere dimaag se ye baat kaise nikal gayi... Apne achcha hi kiya jo keh diya... Varna baad me mann me malal rehta..

GK - aree...

Anuj - very gud GK.... Apki toh memory bahut hi strong hai haan... Konse tel se champi karte ho haan..

GK - ohhh maan... Ye toh mere badaam wale tel ka kamal hai...
Vaise mujhse jyada tujhe jaroorat hai mere tel ki...

Anuj - huhh? Kyu

GK - abee gadhe... Tujhe maine kya kaha tha... Huhh

Anuj - ohh shit... Sry gk.. Main.. Mere dimaag se nikal gaya...

Anu - hua kya... Tum sorry kyu bol rahe ho

S - haan... Anuj ab kya bhool gaye tum

Anuj - vo maa... Main...

S - haan... Kya?

Anuj - main GK ki dawayiyan lana bhool gaya... Maine kaha tha ki main le aaunga... Lekin fir vo packing aur mukku ki bachchi ki packing... Inn sab ke bech me bhool hi gaya ki mujhe gk ki medicines laani thi

Gk - chal ab aisi shakal mat bana... Mujhe pata tha ki tu bhool jayega... Iss liye maine abhi se pehle hi bol diya tha laane ko...

Anuj - ohh... Achcha dad le aaye.. 😅😅

Gk - haan... Tere bharose baitha rehta na.. Toh mil jaati mujhe...

Mukku - bhai ka dhyan bhabhi se hate tab na kuch yaad rahe unhe...
She said looking outside from the window

Anuj - mukku main yahi hu...

- ohhh... Sun liya kya?

Devika - itni zor se bola hai ki.. Aage peeche wale sab ne suna hoga

- ohh.. Ohk.. Sorry vo toh bas aise hi nikal gaya.. 😅😅

Devika - koi baat nhi... Kabhi kabhi sach aise flow flow me nikal jaata hai.... Haina anuj..

Anuj - ho gaya tum dono ka...

They giggles...

...................................

At night.... Anuj yawns...

Anu - anuj... So jao kal raat  bhi tum nhi soye the...
( apne dad ke sath office ka kuch pending work finish kar raha tha.... Aur kuch nhi... Samjhe.. 😏)

Anuj - haan par... Baithe baithe neend nhi aati mujhe...

Anu - aree... Toh kisne kaha baith ke sone ko... Aao.. Mere god me sar rakh ke so jao...

Anuj - par.. Tumhare pairon me dard ho jayega...

Anu - aree... Main dekh lungi... Agar hoga toh bol dungi... Nhi toh baad me main tumhare god me so jaungi... Bas... Chalo so jao... Late jao...

He placed his head on her lap... Nd tries to sleep... While she pats on his head...

Anu - chalo... Aankhein band karo.... Aise kaise so rahe ho aankhein khol ke... Bhooton ki tarah...

Anuj -  nah... Kuch nhi..

Anu - kya huwa?

- kuch nhi..

- bolo na... Kya? Hughh... Kya?

- vo bas kuch soch raha tha

- aur kya soch rahe the...?

- yahi ki.... Ek mahine baad... Main roj aise hi tumhari god me sir rkh kar soya karunga...

- achcha... Matlb raat bhar... Tum mujhe jaga kar rakhoge....

- aadat daal lo mohtarma.... Raat bhar toh jaga rehna padega tumhe....

She blushes knowing the meaning of his words...

Devika coughs....

- pyaar ke panchiyon... Hum yahi baithe hain.... Jara sharam karlo.... Aur tu anuj... Haan... Kya hai tujhe... Dekh meri anu ki beauty me jara bhi kami huyi na... Uske aankhon ke neeche dark circles aye na... Toh dekh liyo....

Anuj - aree.... Meri marzi... Aur tu kyu hum miya biwi ki baatein sun rahi hai... Haan...

Anu's eyes widened hearing "miya-biwi"

D - wah bete.... Abhi se itna attitude... Shadi ke baad toh tu hume bhool hi jaunga...

Anuj - (smiles) shadi ke baad kya... Main toh abhi bhool jaun...

D - anujj.....

S - aree kya hua.... Tum dono itni raat me kyu lad rahe ho?

Anuj - kuch nhi maa.... Vo toh bas kuch bata raha tha.... Aap so jayiye...

D - haan... Aunty kuch nhi... Aap so jayiye...

Anu - chalo tum dono bhi so jao.... Jab dekho bas ladte rehte ho...

D - tera ye majnu sone de na tab... Tab se laga hua hai bakar-bakar karne me...

Anu - achcha so ja... Ja... Aaram se mukku na uthe.... Uth gayi toh Fir so nhi payegi....

Anuj - hmmm main bhi so jaata hu... He snuggled in her tummy more..

Anu - ekaj minute..... Tum pehle meri baat suno.....

Anuj - kaho... Tumhari nhi sununga toh kiski sunu...

Anu - ye abhi kya kaha tha... Tumne..

Anuj - maine toh bahut kuch kaha tha..... Tum konsa pooch rahi ho?

Anu - ye... Ye... Miya biwi?

Anuj - ohhh achcha.... Ab humari shadi hone wali hai... Toh hum miya biwi hi toh huye na...

Anu - huye nhi Honge.... Abhi shadi nhi huyi hai... Time hai.... Poora ek mahina...

Anuj - ye bhi aise hi nikal jayega...
He holds her waist and snuggles more....

- Ssss..... Anujhhh... So jao...

- hmmmm..... Gud night

- gud night

Mukku in sleep - gud nighhht....

Both chuckled

Anu - mukku sach me bahut cute hai...

Anuj - haa... Akhir behen kiski hai...

Anu - dhattt...

°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°

In the morning
The train stopped at ranthambhore Station and from there they goes to the Trinetra Ganesh Temple...

Anu's pov

It's 8:50 in the morning when we reach there.... The environment is so soothing.... Coming here you can be immersed in the joys of devotion, in prayerful communion, seeking consolation for a loss, singing hymns, chanting mantras or celebrating a rite of passage... Its the effect of devotional environmental....
The sounds of birds chirping, sound of om can be clearly heard....

We entered the mandir parisar...
And here is the Trinetra Ganesh Murti...
GK kaka.. Comes to us and tells us history of this place.

Author's pov

- kaka.. Maine aaj tak ganpati bappa ki trinetra murti nhi dekhi... Toh iske peeche koi toh kahani jaroor judi hogi na?

S - haan... Kaka... Kahiye na.. Aapko toh yaha ke baare me pata hi hoga

Gk - haan pata hai na....
He narrated the whole story to them....

- Is mandir ke peechhe ke itihaas ke anusaar kaha jata hai ki 1299 iisvii me ranthambhor kile(fort) bandii me raja hammir aur alauddin khilajii ke beech yuddh hua tha....
Yuddh ke samay, unhonne ranthambhor kile me, jahaan raja rahete the, apne godaamon ko khane peene aur baki aavashyak(imp.) chiijon se bhar diya. Kai saalon tak yuddh chalne ke karan godaamon me rakhaa saaman khatm hone laga tha. Raja hammir bhagwan Ganesh ke bahut bade bhakt the. Ek raat jab ve so rahe the to bhagwan Ganesh unke sapne me aaye aur kaha ki kal subah tak saarii kami aur pareshaani durr ho jaaegii. Agali subah, kile ki ek divaar se teen aankhon (trinetra) vaale bhagwan Ganesh ki murti par muhar lagai gai. Iske alava, ek chamatkaar aur hua, yudh samaapt ho gaya aur godaam phir se bhar gaye..... 1300 iisvii me raja hammir ne bhagwan Ganesh ka ek mandir banavaya tha. Unhonne muushak kii muurti ke saath bhagavaan Ganesh , riddhi siddhi (unki patni) aur do beton (shubh labha) kii muurti sthaapit kii

Aur tabhi se Ganesh ji ki trinetra murti yaha sthaapit hai....

Abhi - aree wahh... Jitna sundar mandir hai.. Utna hi sundar iska itihaas hai...

Anu - haan... Bahut sundar... Aur informative...

Anuj - vaise gk... Aapko itna sab kaise pata itna kuch?

Gk - ohh maan... Main akele kamre me baith kar inhi sab ke baare me toh padhta hu.... Mujhe bhartiya culture, isse jude tathya aur ancient history ko jaanana bahut pasand hai...

Anu - aree wah...

Anuj - ohhh... Toh aap kamre ye padh rahe hote ho.... Mujhe toh laga ki aap akele baith ke apni girlfriends ko dhoondh rahe hain...

GK - aye idiot... Mujhe mere liye girlfriend dhoondh ne ki jaroorat nhi... Ladkiyan toh mere peeche peeche ghoomti hai samjha...

Anuj - haan haan... Kyu nhi... Bhale hi main kitna bhi buddha ho jaun.... Main apne liye GK kaki jaroor dhoondhunga... Dekhna

Abhi - anuj... Tere bhudhape tak toh gk single se double ho jayenge.... Tere baad inki hi toh shaadi karani hai.... Kyu GK....

- yes maan... Tere liye main GK kaki jaroor launga anuj beta... Tu sabr rakh...

- ohkkk...

Gk - chalo ab...aarti ka samay ho raha hai...

Anu - aa... Kaka..

Gk - haan bolo beta...

Anu - aarti iss samay... Vo toh subha subha hoti hai na?

GK - haan... Vo toh hai....
Chalo main tumhe chalte chalte batata hun....

- yaha mandir me.... Din ki paanch aartiyan hoti hai....

Anu - paanch aartiyan?

- haan....
Pehli aarti... Prabhat aarti... Jo subha subha suraj ugte (sun rise) ke sath hoti hai...

Doosri aarti.... shringar  aarti.... Jo subah 9:00 baje ki jati hai.....
Yaani ki jo abhi hone ja rahi hai.... Uss samay trinetra Ganesh ji ka shringar kiya jaata hai.....

Teesri aarti... dopahar 12 baje ki jaati hai.... Jab bhagavaan ko bhog (prasad) lagaayaa jaataa hai......

Chautthi aarti hoti hai....sandhya yaa shaam ki aarati.....jo suryaast ke dowraan (when sun sets)  garmiyon (summer) me sham  6:00  baje aur  sardiyon (winter) me sham  5:45  baje ki jaati hai........

Aur Paanchwi aarti hoti hai......shayan aarti... shayan aarti der shaam 8:00 baje ki jaati hai,
iske baad mandir ke pujariyon aur bhagwan ke mukhy bhakton dvara ek saath praarthanaa kii jaatii hai..... Bhajan hote hain... Mantrochaar (mantra chanting) hota hai.... Mahaul ek dum badal jaata hai....bilkul devotional....

As he completed his sentence a priest calls them for aarti....

Panditji - aap sab jald se yaha aa jayiye.... Aarti bas shuru hone hi wali hai....

GK - ji hum aate hain.... Chalen...

Others - haan...

And they did the aarti peacefully....

Everyone seeks blessings from Ganpati Bappa... And prayed something...
*aree itne dorr aayein hain bhagwan se kuch khwahishen maangenge nhi kya*

Sunaina - bappa... Mere bachchon pe apna aashirwad saadev banaye rakhna... Unhe duniya ki saari khushiyan dena... Aur unke saare dukh mujhe de dena...

Abhimanyu - Bappa... Main bas aapse apne bachchon ke ujawal bhavishya ki kaamna karta hun.... Unhe hamesha sukhi rakhiyega.....

Kanta - Ganpati ji... Aap toh hai hi dukh harne wale..... Bas mere Bachchon ke bhi sabhi dukh har lijiye.... Unhe humesha khush rakhiyega.... Meri beti ki grahast jeevan ko khushiyon se bhar dijiyega..... Meri aapse yahi kaamna hai...

GK - Bappa.... Aap toh jaante hi hai main apne anuj se kitna pyaar karta hun.... Aisa nhi hai ki mujhe koi aur pyaara nhi.... Hai sab mere liye barabar hai.... Par mera anuj sabse pyaara hai.... Baki sab ke liye toh main roj bhar bhar ke prathna karta hu aapse.... Par aaj main bas apne anuj aur anu ke liye prathna karta hun...
Unke jeewan ki nayi shuruaat ko apna sath aur aashirwad dijiye.... Unke vaivahik jeewan ko khushiyon se bhar dijiye..... Bas meri yahi kaamna hai....

Devika - apne liye main kya hi maangu bappa..... Aapne mujhe anu anuj jaise itne achche aur sachche dost diye hain... Isse jyada achcha toh mere sath kuch ho hi nhi sakta.....
Bas aise hi mere doston ko khushiyan dete rehna.... Unki khushiyon ko kabhi bhi kisi ki bhi.... kisi ki bhi nazar mat lagne dena....

Mukku - deva.... Vaise toh mujhe bahut kuch maangana hai par... Aaj nhi... Fir kabhi aaj toh sirf mujhe aapko thank you kehna hai.... Thank you mujhe itne achche bhai dene ke liye..... Thank you mere bhai ki saari wishes poori karne ki liye.... And sabse bada wala thank you.... Mujhe anu jaise bhabhi dene ke liye.... Agar main diya le kar bhi unse achcha insaan dhoondhne jaati na toh bhi mujhe nhi milta koi.... Iss liye thank you so much.....

Anuj - ganapati bappa.... Aapse toh kya hi chupa hai aaj tak.... Aapse maine jab bhi jo bhi maanga hai aapne vo mujhe diya hai.... Aur sabse keemti.... Sabse anmol khwahish jo aapne poora ki hai... Meri anu ko meri bana kar.... Dhanyavad bappa... Ab bas aise hi mujhe itni himmat... Itni akal dena ki main apni anu ko humesha khush rakh sakun...

Anu - bappa... Aap toh sab jaante hi hain.. Meri shaadi hone ja rahi hai... Main... Main finally apne anuj ki hone ja rahi hun.... Aapne mujhe Itna achcha jeevansathi diya.... Itna pyar karne wala... Mera samman karne wala.... Ab bas aapse itna chahti hu ki.... Main apne anuj ko khush rakh sakun.... Apne sasural walon ko khush rakh sakun.... Aur haan... Shadi ke baad maa aur bhavesh ke sath toh koi nhi hoga.... Isliye main unki khushiyon ki zimmedari aapko de rahi hu.... Unko humesha khush rakhiyega... Unka dhyan rakhiyega.... Meri gair maujodgi (absence) me unko abhi bhi rone mat dijiyega.... Dhyan rakhjo....

*bappa meri bhi khwahish hai..akhir main kyu peeche rahu bhala😅.......
MaAn humesha khush rahe... Sath rahe aur aage badhte rahe... Unki jodi hamesha salamat rahe.. Mera unnpar vishwas aise hi kayam rahe
Aur rahi baat GurRup ki... Toh bas unki dosti ko kisi kisi kisi ki bhi najar na lage...
GK sir humesha aise hi hot hot lagte rahe...aur unki hot hot pictures aati rahe, Taki humari internet wali Ladkiyan ghayal hote rahe.....
Aur RG ma'am humesha hume apni smile se ghayal karte rahe..  She is so beautiful.... Aur unki acting toh kamaal dhamal bemisaal hai.....aur haan.. Unka yeh saal kayi saari khusiyon se bhar jaye unka saare cabinet awards se bhar jaye.......
GANPATI BAPPA MORIYA*

After completing the aarti.. They eats prasad....

GK - chalo nikalne se pehle main tumhe ek khobsurat jagah le jaata hun....

Anuj - ek aur jagah... Wah gk..

M - chalo gk... Thodi derr aur jhoomne ko mil jayega....

Gk - haan.. Haan chalo...

Kanta - gk bhai... Aap bachchon ko lekar chaliye... Hum log abhi aate hain..

Gk - theek hai kanta ben... Main tab tak inhe ghuma kar lata hun...
Chalo bachchon...

°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°

M - ohhhh my God.... GK..... Its beautiful....

D - haan gk.. Yeh toh bahut sundar hai..

Anuj - gk ye konsi jagah hai...?

Gk - Padam talaab (lotus lake)

Anu - aree wah.... Kitna sundar naam hai... Par kaka jaise iska naam padam talaab hai toh yaha koi lotus hai kyu nhi?

Gk - vo isliye kyuki lotus monsoon ke season me hi khilte hain.... Agar hum sab monsoon me aaye toh ye talaab kamalon se bhari milegi....

M - gk... Itni dorr se dekhne me kya maza... Main toh paas ja kar dekh rahi hun....

She started running towards the lake side

Gk - ruk mukku... Mukku beta ruk

M - kya hai gk... Jaane do na... Jab itne dorr se yaha aaye hi hai toh aage jaane me kya harz

Gk - harz hai..... Kyuki talaab me magarmachh (crocodile) hai

Everyone - kya kaha magarmachh!?

Gk - haan... Isliye toh main tum sab ko talaab kinare nhi le ja raha...
Par haan agar tumhari kismat huyi toh tum sab ko yaha chinkara hiran (black buck) dikh sakta hai...

Anu - chinkara hiran...?

Gk - haan... Achcha tum log yaha baitho main bakiyo ko le kar aata hun.... Aur haan koi bhi yaha se aage nhi jayega... Samjhe

M - haan gk... Samjh gaye hume apni jaan bahut pyaari hai

D - aur anuj ko apni anu

M - bhai ke liye dono ek hi baat hai

D - haan yeh toh hai...... 🤭🤭

Anuj - 😒😒

Gk left from there

D - achcha chalo tum dono yaha baithe raho.... Hum nhi chahte ki hum yaha bhi kabab me haddi bane rahe

M - haan bhai bhabhi... Kyuki iske baad toh hum sab ek sath hi hain... Toh tab ke liye enjoyyy....

They leaves MaAn alone....

Anuj places his hand on hers....

Anuj - anu..

Anu - hmmm

Ak - i love you yaar

Anu - ye bhi koi batane wali baat hai...

Ak - haan.... Aur mohtarma main jaanta hu ki tumhe kya....poori duniya ko ye baat pata hai.... Par ye baat main har din... Subha... Shaam... Raat... Dophar... Har samay.. tumhe bataya karunga.... And I mean it... 
Toh sunne ki aadat daal lo.......
Aur jawaab bhi toh de do... Ye gulaam kabse intezaar kar raha hai

She huggs him by side...

A - I love you toooo Kapadiaji...

Ak - ufff....
Achcha anu...

A - hmmm

Ak - apni aankhein band karo na jara

A - kyu?

Ak - aree karo na.....

She closes her eyes....
He stands behind her... Slowly taking her hairs and placing them on her right shoulder he placed a krishna ji's pendent around her neck...

Feeling the cold touch of pendent she opens her eyes...
Anujjh....

She looks at him with stunned expressions... As she wasn't aware of that her anuj will fulfil her wish to wear this beautiful pendent....

Flashback

MaAn were coming home from there college when suddenly anu's eyes landed on a beautiful krishna  pendent which is placed inside a glass case in one of the famous jewellery shop of this area.....

Anuj was continously talking with her whereas anu was not paying attention..... As her complete focus was on that pendent.....

Anuj noticed that she is not present in this moment mentally
After waiting for few minutes...
Finally he asked
-kya hua anu.... Kaha kho gayi....

She looked at him and holds his hand.. Dragged him with her and soon entered the shop...

- anu yahaan....?

- ekaj minute anuj....
Bhaiya ji... Ye kanha ji ka pendent kitne ka hai?

Shop keeper - aree wah beta...bahut sundar choice hai tumhari.... Ye pendent ₹450 ka hai..... Kundan ka work hai isme.....

- achcha.... Itna mehenga

SK - aree beta... Ab itni karigari hai toh thoda mehenga toh hoga hi..... Par tum par khoob jachega...

Anuj - anu tumhe pasand aaya?

A - pasand toh aaya anuj... Par mere pass abhi itne paise nhi hai...

Ak - toh koi baat nhi... Main hu na.... Main dekhta hu... Mere pass hai na...

A - tum bhool gaye anuj.... Abhi bunty ko jab paison ki jaroorat thi tab tumne hi toh uski help ki thi..

Ak - ohhh no... I.. I'm sorry anu.... Vo

A - koi baat nhi.... Main baad me le lungi... Kya pata tab isse bhi achcha pendent mil jaaye...

And they left from there.... During the whole way anu's mood is little low...

After dropping her home anuj went to his home and after some time came back to the jewellery shop.....

Ak - bhaiya.. Vo jo yaha kanhaji ka pendent tha vo... Kaha gaya...?

Sk - aree vo... Vo toh ye raha.... Tumhari dost ko bahut pasand aaya tha... Toh maine socha shayad vo vapas aayegi.... Isliye yaha rakh diya

Ak - thank you  bhaiya..... Aap ise pack kar dijiye.... Aur haan agar vo aaye toh use batayiyega nhi.... Ki main le gaya hun....

Sk - theek hai... Vaise tum kyu itna kharcha kar rahe ho....

Ak - vo darasal vo meri hone wali patni hai..... Mangetar hai meri... Aur uski pasand ki cheej toh mujhe use deni hi chahiye na

Sk - ohhh achcha achcha.... Badiya hai beta...
Le lo tumhara surprise

Ak - thank you bhaiya..

Present

Anuj looks at the heavenly beauty in front of him....
Admires her.... While anu having tears in her eyes.... Thoughts how lucky she is.... That God has send him in her life as their blessings.... How every time he makes her amused by his efforts.... He will become a lovely, caring and best husband

A... Anuj... Ye ye toj vahi

- haan ye wahi pendent hai jo tumhe waha pasand aaya tha

- par Iski kya jaroorat thi anuj

- jaroorat thi.... Kyuki ye meri anu ko pasand aaya tha.... Aur koi bhi cheej jo meri anu ko oasand ho aur vo use na mile vo manjoor nhi.... Isliye ye jaroori hai....

She smiles and immediately throws her hands around his neck... Burying her head in crook of his neck.. She taes a breath and exhaled.. Making anuj shiver........

- I love you anuj.... I love you so much.... Tum sabse achche ho.... Sabse sabse achche....

- aree anu.... Thank you.... And I love you too jaan.... I love you tooo....

She removes her head from his neck.... And looks at him
He stands still confused.... But soon his confusion cleared... As her lips landed on his...

She kissed him slowly... Taking his lower lip in her she allowed him to take lead..... And he immediately understood...... Taking the kiss from slow kiss to passionate one.... He enters his tongue inside her mouth.... Savoring each and every corner of her mouth.......
Few minutes later.... They parted because of much needed oxygen.....

Anu shyly parted from him... And bows her head down.....
While anuj scratches his head....still processing that moment...

Anu holds her pendent.... And looks  at him...
And just smiles.... He also smiled looking at her.... Pulling her towards him..... He encircles his hands around her waist

- agar aise hi return gift mujhe milenge na... Toh main roj tumhare liye gifts launga....

She shys...
- bhap...

From their behind.... Devika nd mukku coughs....

D - mere pyaar ke panchiyo.... Ab aage chalna nhi hai kya....gk bula rahe hain

They parted...
A - cha.. Chalte hai.. Hai na... Chal..

M - ohoo bhai.... You r so romantic haan... (she pulls his cheeks)

Anuj - mukkuuu... Chal..

M - okkk...

They reached where others are standing....

Abhi - toh ab yaha se.... Kaise jaana hai

Mukku - traveller se....

S - traveller?

Gk - ab hum sab traveller se yaha se katra jayenge....

Abhi - par gk traveller?

Gk - haan... Achcha hai na.. Sab khoob masti karte huye chalenge....

Mukku, devika and MaAn - yeahhhhhh.....

S - toh chale....

Everyone - haan....

And they leaves for katra.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

A last time....
Happy Birthday Queen..... 👑😘🎉🎉
Nd I love you ❤️😍...
I had never ever called anyone that she is my most favorite actress....
Despite calling madhuri ma'am and sridevi ma'am as my favorite...
I had never been this much crazy for someone....so this is the best feeling...
I had always wonders why people do this much for their favourites.... But now I know the answer....
As I am so possessive about my MaAn.... Whenever my friends called anything negative about Rgm or Gk sir.... I always bash them... I don't know what enters inside me.... But yeah... I can't take any wrong words about them.... Nd specially for rupali ma'am........
Kyuki gaurav sir ke baare me koi kya hi kahega... Unki bas ek pic dikha do saamne wala khud ba khud unka fan ban jayega... 😁😁😅

Enough for today.... Main toh inke liye poora 500 pannon ka bhashan de sakti hun... 😅🙈
Isliye bore nhi karungi ....

Bye.... See uhhh....

Continue Reading

You'll Also Like

779K 29K 97
𝐀 π’πŒπ€π‹π‹ 𝐅𝐀𝐂𝐓: you are going to die. does this worry you? βͺ tua s1 ⎯⎯⎯ 4 ❫ Β© π™΅π™Έπš…π™΄π™·πš‡πšπ™Άπšπ™΄π™΄πš…π™΄πš‚...
186K 9.6K 28
Cierra Rose takes on the Villa.
78.9K 1.5K 65
Mikaiah behind cameras. Are they true or we're just being delulu? Mikaiah au
115K 6.8K 87
"Great news! Wei WuXian has died!" "Wait- WHAT?!" "But I'm still here." The juniors (Lan Sizhui, Lan Jingyi, Jin Ling, and Ouyang Zizhen) accidentall...