The Journey From Hate To Love

By Saishi_Raghvi

17.9K 1.5K 740

The journey of Hate love and trust 💞 More

Chapter - 1
Chapter - 2
Chapter - 3
Chapter - 4
Chapter - 5
Chapter - 6
Chapter - 7
Chapter - 8
Chapter - 9
Chapter - 10
Chapter - 11
Chapter - 12
Chapter - 13
Chapter - 14
Chapter - 16
Chapter - 17

Chapter - 15

1.1K 92 44
By Saishi_Raghvi

Dr - mr rao ki amma kaha hai wo baar baar amma bol rahe hai ho sakte toh unki amma ko jaldi bula lijiye

P - ji doctor mai abhi bulati hu

Doctor left

Then she calls Jaya and tells everything about Raghav. Just then farhad comes.

F - pallavi ji aapne amma ko kyu bataaya

P - farhad tum ye kya bol rahe ho raghav ki halat bahut kharab hai usko abhi sabse jyada jaya aunty ki jarurat hai aur tum......

Farhad said angrily

F - nhi anna ko unki koi jarurat nhi hai aaj anna ki ye halat unki wajah se hi hai

P - farhad tum ye sab kya bol rahe ho raghav ki ye halat aunty ki wajah se kaise hai

farhad sits on a bench

F - aaj amma pahli baar office aayi thi aur anna ke baare me puch rhi thi toh humko laga ki aaj anna ka birthday hai isliye wo anna se milna chahti hai jab mai ye baat anna ko bataya toh wo bahut khush the

She remembered how happy he was

F - par kash mai usko nhi bata na hi woh aate aur na hi woh hota jo hua

P - aisa kya hua tha farhad

FLASH BACK

When Raghav enters his cabin he is overjoyed as it was the first time that his Amma had come to visit him in his office and that too on his birthday. he came to jaya

RR - amma tum mere se milne........

she slapped him before he could finish his word

RR - amma tum.....

she slapped him again

RR - amma ye.....

J - chup bilkul chup tu jo kiya hai uske baad bhi tere pass kahne ko kuch baaki hai

RR - amma tum ye kya bol raha hai mai kiya hai

J - ek ladki ka jindgi kharab karke puchta hai ki mai kya kiya tum me jara sa bhi sharm baki hai ki nhi

RR - amma tum ye kya bol raha hai mai kis ladki ka life kharab kiya

J - tumko kaise yaad rahega tumne kitna ladkiyon ka life kharab jo kiya hai mere ko toh sharm aata hai ki tu mera beta hai

RR - amma tum ye sab kya bol raha hai mai kiske sath kya kiya hai

then she showed him a picture

J - ab ye mat kahna ki tu isko nhi janta hai

He shocked

RR - ye ye anjali.... Amma tum isko kaise janta hai

J - ye jo tere chehre ka rang badal gaya na jo iska tasveer dekhkar yahi is baat ka saboot hai ki woh jo bol raha tha woh sach tha

RR - aisa nhi hai amma tum galat samajh raha hai.....

J - thik hai mai tere ko galat samajh raha na tu mere ko ek baat bta

She put his hand on her head

J - uska shadi tere wajah se tuta ya nhi

RR - ha amma par.....

J - bas chup ab mere ko kuch nhi sunna hai tu khud ko samjhata kya agar koi ladki tere ko mana kar dega toh tu uska life kharab kar dega pta hai aaj sirf tera wajah se woh ladki apna jaan dene ka koshish kar raha tha woh toh accha hua jo mai waha tha aur usko bacha liya phir wo mere ko bataya ki kaise usne Tumko mana kar diya toh tune uska life hi kharab kar diya uska shadi tudwa diya ye sab karte huye tere ko jara sa sharm nhi aaya ki tera bhi ek bahan hai mere ko toh is baat se bhi sharm aa rha hai ki mai tere ko janam diya hai aaj hi ke din tu paida hua tha na agar usi din tu mar gaya hota toh acha hota kam se kam mere ko ye din toh nhi dekhna padta mai koshti hu aaj ke din ko kash mai tera shakal kabhi nhi dekh pata

and she left

RR - amma please bas ek baar mera baat toh sunlo tum galat samajh raha hai mai aisa kuch nhi kiya hai aaammmma......

And then he gets down on his knees and starts crying loudly. Farhad runs to him and hugs him.

F - anna please aap shant ho jao

RR - farhad ye sab mere sath hi kyu hota hai kya mai thoda sa bhi khushi deserve nhi karta hai kya sabka amma apne bacho se kitna pyar karta hai kitna bharosa karta hai par mera amma mere alawa sab ka baat sunta hai sabka dard usko dikhta hai par mera dard hi usko nhi dikhta hai mere upar itna bada ialzaam laga diya par mere se ek baar pucha bhi nhi ki baat kya hai wo bola ki Wo mera shakal kabhi nhi dekhega toh thik hai mai bhi ab uske pass kabhi nhi jayega kabhi bhi nhi

he stands up and starts to leave

F - anna aap kaha ja rahe hai

RR - farhad abhi mere ko kisi se kuch bhi baat nhi karna hai abhi mai sirf akela rahna chahta hai

And he left

FLASH BACK END

P - farhad aunty aisa kaise kar sakti hai apne bete par itna bada ialzaam kaise laga sakti hai woh bhi kisi anjan ladki ke kahne par

F - woh anna se naraz hai

P - naraz hai toh kya hua kya woh apne bete ko itna bhi nhi janti hai kya

Just then jaya reached

J - farhad wo raghav kaisa hai woh thik toh hai na

F - aapko unki chinta karne ki koi jarurat nhi hai mere hote huye mere anna ko kuch nhi hoga

J - farhad tu aisa mat bol mere ko usse milna hai

F - kyu aur kuch sunane ko rah gya hai kya toh woh aap mujhe suna dijiye

J - farhad dekh mere se galti ho gya...

P - seriously aunty galati aunty aapko aisa nhi lagta ki kisi par bhi aisa ilzaam lagane se pahle pura sach jan lena chahiye aapko apne bete par na sahi kam se kam apni parwarish par toh bharosa hona chahiye tha na aunty mai nhi janti hu ki aapke aur raghav ke beech me kya problems hai par mai itna jarur janti hu ki ek maa apne bacho ko kabhi bhi aise nhi chhorti jaise aapne raghav ko choda hai wo bhi tab jab usko apni galti ka ahsaas hai wo aaj jaisa bhi hai isme sirf aur sirf aapki galati hai kyuki 10 saal pahle usse jo bhi galati hui ho par us samay aapko usko aapne se dur karne ke bajaye usko samjhna chahiye tha datna chahiye tha par usko aise chorna nhi chahiye tha kyuki wo ek baccha tha usko us wakt sabse jyada aapki jarurat thi par aapne kya kiya usko chod diya aur ab aapko ye problem hai ki wo aisa kyu hai par usko aisa banaya kaun hai aapne aapko pata hai sirf is baat se ki aap usse mil rahi hai wo kitna khush tha aur aapne kya kiya us par itna bada ilzaam laga diya wo bhi bina pura sach jaane aapko pata hai wo sirf khud ko dikhata bura hai par asal me wo itna bura nhi hai wo kisi ko taklif me nhi dekh pata chahe koi uska dushman hi Kyu na ho vriddhashram chalta hai wo bhi apna naam badalkar kyuki koi raghav rao ko acha aadmi na samjhe lage aapko kya lagta hai uske sar par kisi ka ashirwaad nhi hai toh kabhi aap uske vriddhashram ja kar dekhiye uske sar par kitne maa-baap ka ashirwaad hai usko kabhi bhi kuch nhi ho sakta Aur ek anjaan ladki ke baato me aa kar na jaane apne usko kya kya kah diya jiski wajah se uski body kisi bhi treatment par react nhi kar rahi hai jaise wo khud hi jeena nhi chahta aur ye sab sirf aur sirf aapki wajah se hua hai aapko pta bhi hai wo ladki kaun hai......

J - janta hai pallavi ye sab mera galti hai jo mai us dhokhebaaj ladki ke baato me aa gya

Pallavi and farhad get shocked

J - jab mai raghav se mila uske baad mai socha ki mai us ladki ko phir se acche se samjha deta hai nhi toh kahi wo phir se suicide ka koshish na kare par jab mai usse milne gya toh mai suna ki wo phone par kisi se baat kar raha tha

FLASH BACK

On the call

A - aapne jaisa raghav ke amma ke samne natak karne ko kaha tha maine waisa hi kiya aur baad me wo us raghav rao se milne bhi gyi thi

Other side person - ..................

A - par aapko kaise pata ki raghav rao ki kamjori uski amma hai

Other side person - ..................

A - aap meri chinta mat kijiye mai pahle bhi usko behosh karke kuch galat tarike ke photo lekar usko badnaam kar chuki hu na toh wo us baar kuch kar paya tha aur nhi is baar kuch kar payega

she disconnected the call. When she turns she shows Jaya who is furious

A - aunty aa..aap kab aayi

J - jab tu phone par baat kar raha tha

She goes to her and gives her a slap.

A - aunty ye aap........

she slapped her again

J - kya jo raghav ka photo woh news wale dikha rhe the usme tum tha

A - aunty wo...

J - sirf ha ya na

A - aunty aap galat samajh.......

J - sirf ha ya na

A - wo mai ha nhi.......

she slapped her again

J - tum jaise hi ladki log ke wajah se aaj log kisi par bharosa nhi kar pa raha hai ek ladki ho ke tumko ye sab karte huye sharm nhi aayi aare apna na sahi kam se kam apna maa-baap ke baare me toh soch leta ab jao yaha se warna agar tum raghav ke haath laga na toh woh tumhara wo haal karega jo tum soch bhi nhi sakta

when she is about to leave

J - ek minute ek aur baat tum jisse baat kar raha tha na usko ye bta dena ki raghav rao ka amma raghav rao ka kamjori nhi balki uska tagat hai Ardamayinda

She left

J - ye mai kya kar diya is ladki ke baato me aakar mere ko raghav se milna hoga aaj uska janamdin bhi hai aur mai......

Just then her phone rings

FLASH BACK END

Jaya folds her hands in front of them and starts crying.

J - mai janta hai mere se galti ho gya par abhi mere ko sirf mera raghav se milna hai

And then she runs to raghav's ot

Just then Sharda comes to Pallavi.

P - aai aap baba kaise hai

Sha - wo thik hai wo tumse milna chahte hai... raghav kaisa hai

P - woh abhi thik nhi hai aai

And she hugs her

Sha - tu chinta mat kar jiske sir par itne logo ka ashirwaad hai usko kuch nhi ho sakta

P - aai aap ye.......

Sha - abhi jo tu jaya ji ko itna lamba lecture de rahi thi na tab mai sab sun rahi thi abhi chal vijay ji se mil le wo kab se tumse milna chahte hai

P - ho aai

Jaya enters Raghav's ot and sits beside him and caresses and kisses his forehead, tears start falling from her eyes.

J - raghav dekh na mai tere se milne aaya hai aaj tu mujh se baat nhi karega, kya mai tere ko daat nhi sakta hai kya Tu itna naraz kaise ho sakta hai mere se mai janta hai mere se galti ho gya par kya tu mere ko maaf nhi kar sakta hai kya o mai tere ko itne saalo se maaf nhi kiya na isliye ab tu bhi mere ko maaf nhi karega hai na aakhir karega bhi kaise mere par jo gya hai bilkul mera tarah hai ek number ka jiddi par mai bhi tera amma hai tu ek baar thik ho ja phir mai tumko mana lega mai bhi dekhta hai tu kaise nhi maanta hai dekh raghav ye bahut ho rha hai hamesha tu mere piche aata hai mere se baat karne ke liye aur abhi jab mai aaya hai toh tu baat nhi kar raha hai tu bas ek baar thik ho ja phir tere kaan khichkar tere ko nhi mara na toh mai bhi raghav rao ka amma nhi dekh raghav tera ye natak ab bahut ho gya hai dekh agar abhi tu nhi utha na toh ha toh mai abhi soch raha tha ab tere saath hi rahne ko aur har roj tere liye apna haath se tera man pasand khana banakar tere ko apna haath se khilane ko toh phir mai ye sab cancel kar dega raghav please uth na

She put her head on his chest and starts crying loudly.

J - dekh raghav tu uth ja apna amma ko uska galti ka itna bada saja mat de mai pahle hi arjun ko kho chuka hai ab tere ko nhi khona chahta hai agar ab tere ko kho diya na toh mai jee nahi payega dekh tu mera baat nhi mane..........

Suddenly his breath and heartbeat get speed. jaya shouts

J - doctor

Then the doctor and some nurses come inside the OT. the doctor started examining him.  A nurse comes to Jaya and says

N - ma'am please aap bahar chale jaiye

J - thik hai

On the other side Pallavi enters Vijay's ward and sits beside him.

P - baba aap kaise hai

V - mai thik hu pallavi beta tu mujhe maaf kar de

P - baba aap ye......

V - mai janta hu jab mai hospital se aise gusse me aa gya toh tujhe lag raha hoga mujhe tujh par bharosa nhi hai........

P - nhi nhi baba aisa nhi........

V - tu kuch bhi kah par mai janta hu us wakt tujhe hum sab ki jarurat thi aur humlog aise chale aaye tujhe bahut bura laga hoga ki hame tujh par bharosa nhi hai par aisa nhi hai us wakt us doctor ki baat sunne ke baad mai ek pal ke liye kamjor pad gya tha kuch soch nhi pa rha tha isliye gusse me waha se chala gaya par iska matlab ye bilkul bhi nhi hai ki mujhe tujh par bharosa nhi hai.......

P - baba sach me aap ko mujh par itna bharosa hai......

V - bilkul kyu nhi hoga kya mai apni beti ko itna bhi nhi janta hu kya aur tujhe pta hai kuch der pahle sulochna bhi aayi thi woh bhi yahi kah rahi hai ki woh doctor jhoothi hai koi us doctor ko paise dekar jhooth bol ne ko kaha tha koi hai jo hamaare parivaar ko badnaam karna chahta hai

P - kya kaku ne aisa kaha....

P ( in mind) - pta nhi kaku ne baba ko kya kya bataya hai par abhi mai amruta ke baare me baba ko kuch nhi bata sakti ye bimar hai inke kuch hogya toh nhi nhi inhe jaisa lagta hai waise hi rahne deti hu

V - pallavi tu chinta mat kar uske baare me mai baad me pta kar lunga par mujhe na us raghav rao par shaq hai par tu ye sab chod mujhe na tujh se ek jaruri baat karni hai

P - kya baba

V - wo tujhe pta hai jab mai bimar tha aur mujhe lag raha tha ki kahi mai mar.......

she put her hand over his mouth

P - baba please aisa mat boliye

V - pallavi abhi mai thik hu tu meri puri baat toh sun.....

P - thik hai par aap aisi baat nhi karenge

V - thik hai ab mai aage bolu

P - thik hai boliye

V - mujhe na sirf is baat ke liye dar lag raha tha ki jab hum hai tab tere saath aisa ho rha hai agar kal ko hum nhi rahe toh tere saath kya.....

P - baba aap phir se wahi baat.......

V - thik hai nhi kar raha hu par mai ek faisla kiya hu aur mai chahta hu ki tu wo kare

P - kaisa faisla baba

V - mai chahta hu ki tu shadi karle

P - Shadi.....

TBC............




THANK YOU ❤

Continue Reading

You'll Also Like

11.1K 1.4K 21
Hey guys this story is based on star plus story Mehendi hai rachne wali I always wanted to see raghvi in a different way in the show, but couldn't...
34.6K 2.6K 34
Hii this is my first work Story is of raghav and pallavi both married each other because of there family now they are married but without love...
50.3K 4.3K 60
Peep to know more .. based on Ipkknd
19.6K 1.8K 32
This is my first story so as story process you will come to know what is this story about !