𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏

By moonxpastelstar

7.2K 302 2K

شہریار سکندر ✦❃✦زرنیش عباس Story of Shehryaar Sikandar khan and Zarnish Abbas Do logo ka safar, safar bhi e... More

Author's NOTE
کردار 🦋
باب١🖤
باب ٢
باب٣
باب٥
باب٦
باب٧
باب٨
باب٩
باب١٠
باب: ١١
باب١٢
باب١٣

باب:٤

222 10 138
By moonxpastelstar

سوزِ یقین

𝐒𝐨𝐳 𝐄 𝐘𝐚𝐪𝐞𝐞𝐧

Chapter: four

↣↣↣↣↣

"Chale dada abu ab mai chalti hun raat ko milte hain"
Apne kamre se niche ki taraf aate huwe Alisha ne kaha tha aur ye sun Kar Arzang khan sar asbat mai hilaye muskura diye

"beta nashta kar ke jana"
Tabbasum ne jab jaldi jaldi mai Alisha ko bahir ki taraf jate dekha tou kaha, Alisha Ne unko sun Kar bhi na andekha Kar diya tha aur aage chal pari woh kal raat wale tapphar ko nahi bhooli thi aur zid mai tou Alisha Dilawar khan pori Arzang khan pe gayi thi.

"Kal raat tumne mera bhi bhot dil dukhaya tha Tabbasum"
Arzang ne Alisha ke jaate baad Tabbasum ko mukatib kiya

"Aba woh bas-"

"tum chup hi betho Dilawar"
Arzang ne hath ke hishare se Dilawar ko ek lafz mazeed bolne se maana kar diya tha

"mai iski jawab de nahi hun, lekin izzat Mai apki pore dil se karti hun"
Bagair nazre milaye Tabbasum ne apna jawab pesh Kiya tha, woh sahi thi apni jaga lekin kisi ne usne kaha tha bare tou bare hote haina unki izzat karna humara farz hai

"Assalamualaikum"
Sikandar ne aake sab se shafqat se salam Kiya lekin Arzang khan uske salam ka jawab diye Bagair Waha se uth khare huwe thy aur chale gaye ye dekhe Sikandar heraaan huwa tha par jab usne dekha uska bhai us se koi baat aesi nahi hai ke hishare se bata raha tha

"walikumassalam bhai jaan aaye nashta kare"
Sikandar apne bhai ke kehte huwe nashta karne ko beth chuka tha..

"ajj ap kahi ja rahe hain"
Dilawar ne socha kyu na puch liya jaye kyu ke unke chehre ki muskurahat saaf wazeeh Kar rahi thi ke kuch tou baat aesi hai

"Haan darasal socha ajj Shehryaar se mil aaon"

"ye tou bhot acha socha apne is bahane Husam se bhi apki mulakat hojaye gi pata tou chale humare bache kese hain"
Dilawar ke kehte hi Sikandar ki muskurahat gehri ho gyi woh apne ek nahi balke do beto se milne ja raha tha munisa ke baad uski jaan un dono mai tou basti thi..

....

Lagatar pichle do ghante se woh us file Mai masroof thi, usne socha tha ajj woh uski office Mai nahi jaye gi balke uska samna bhi nahi kare gi lekin ye mumkin nahi tha kyu ke woh uski tou assistant thi uske sath tou zyada tar uska hona lazmi tha....

"Zyada kaam bhi sehat ke liye Acha nahi hota madam"
Kisi ne uske samne aake kaha tha usne foran nazre uski taraf uthai ek baar phr nazre mili thi aur is baar samne khare insaan ne halka muskuraya tha

"Sir iam sorry Bas ye ho hi gaya Hai ap check Kar le agar koi mistake hoi ho tou mazrat ap mujhe bata dein takay mai sahi Kar lun -"

"Ye Husam check Kar lega ap usko Dede aur Haan zyada khabaraya na kare mai bhi apke jesa hi insaan hun"
Shehryaar ne kehte usko dekha tha, woh shyd kal ke kisse ko leke abhi tak preshan thi par Shehryaar nhi chahta tha woh usko us par baat karke mazeed preshan Kar de isliye usko Asaan lafzo mai kehta muskuraya tha aur waha se janne ko bhara tha...

"Jee jee sir"
Uske jaate Zarnish ne gehra sans bhara tha
Tabhi kisi ne peeche se usko pukara tha
"Miss Zarnish"

"Yes sir"
Usne wapis apne formal look Mai aate kaha

"apse ek baat Karni hai"
Woh shaks tora nervous lag raha tha

"jee sir kahe Mai sun rahi hun"

"yaha nahi mere sath café Chale if comfortable? "
Husam ke achanak yun puchne pe woh herangi mai mubtala hui thi lekin zaroori baat ke silsiley haami bhar di...

Kuch dair mai woh dono Cafe ke andar mujood thy.... Dono ke window side wala table mai bethe thy...

"mere sain ko agar apki kisi baat se bhi takleef punchi tou mujh se bura koi nahi hoga"
"yaad rahe aaida ap sir se juri kisi bhi cheez ko hath nahi lagaye gi"

"mai janta hun ap meri kal ki kahi baato se Kuch preshan hain lekin meri maane mera irada hargiz apko hurt karna nahi tha it was just cause of possessiveness iam sorry "
Apni Kal ki kahi huwi baat duraye Husam ne guftugu ka aghaaz Kiya tha

"nhi sir apko sorry kehne ki zaroorat nahi hai i can understand aur apki baatein ek dam sahi thi mujhe itiyat Karni chahiye thi lekin pata nahi kis ehsaso mai kho Kar Maine woh sab..."
Woh kehte kehte ruki thi aur ye kehte huwe uski ankho mai kuch toota tha ye baat Husam Ne note ki thi, Shehryaar ek Hadd tak sahi tha ke isne yaqeena kuch khoya hai

" aahm you also don't need to be sorry it happens i can relate "

Is baar kehte Husam halka sa muskuraya tha lekin uski muskurahat Sachi nahi thi aur ye baat Zarnish ne note ki thi

"ahh can we be friends wese kasmay Mai rude nahi hun"
Kuch lamhe sochne ke baad Husam ne dosti ke liye hath bharaya tha ye dekhe phele Zarnish halka sa hasi aur phr kehne lagi

"haha ap rude lagte bhi nahi hain and yeah we can be friends "

"waqaii chalo at least apko yaha akela mehsos tou nahi hoga"
Woh bilfarez muskuraya tha

"mai zyada logo se dosti nahi karti lekin ap pe bharosa Kar ke Kar rahi hun"
Woh mutmeen huwe muskurayi thi

"ma'am now your duty is ours be fikar hojaye ap"
Aur dono be fikar ho Kar muskuraye thy
Ajeeb haina sirf do mulakat aur dosti, ek mulakat mai dhamki tou doseri mai hath bharaya gaya dosti ke liye lekin shyd ye ek zariya tha shurawat ka inki zindagi ki Shuruwat ka inke mustakbil ki Shuruwat ka, aur inke maazi ke Shuruwat ka...

....

"Aray wah baba sain ap kab aaye"
Thaka thaka woh Ghar ke andar dhakil huwa hi tha ke uski nazar samne bethe shaks pe gayi jo yaqeena intazar mai tha, iska chehre khushi se chamka utha

"mai subha se aya huwa hun"
Usne usko gale lagate huwe bataya tha

"baba sain call Kar dete ke ap subha se yaha hain mai ajata bhai ko leke"

"nahi bache mai nahi chahta ke tum log apna kaam choro mere liye"

"ye kya baat ki apne maa baap ke liye lazmi hai apne keemti waqt se waqt nikalna"
Husam Ne chehre pe muskurahat sajaye kaha

"Mera bacha Allah humesha tumhe khush raho"
Sikandar ne uska maatha shafqat se chumte huwe kaha Husam ye dekhte bhot khushi mehsos Kar raha tha

"bhai tou kuch dair mai aye ge"
Husam Ne unko jab darwaze ki taraf musalsal dekhte huwe dekha tou kaha

Aese mai woh dono baatein Kar hi rahe thy ke Shehryaar ne aate huwe salam Kiya,
"ASSALAMUALAIKUM"

"walikumassalam mere bache kese ho"
Sikandar apni jaga se uthe ab Shehryaar se gale lag chuka tha

"Allhumdulillah baba sain mai thek ap kese hain"

"mai bhi thek meri jaan"

"mai aata hun fresh hoke tab tak ap log baatein kare"
Shehryaar kehta huwa apne kamre ki janib chala tha

Aur tab hi Husam halka hasa tha ye dekhe Sikandar ne sawliye nazre uthaye us se pucha
"Han janab kya huwa tumhe"

"baba sain ap inki shaadi kyu nahi Kar dete"
Husam kuch sanjeeda hute kehne laga

"haan yehi mera khas maqsad tha yaha aane ka"
Sikandar kuch yaad aate huwe ab uski baat pe haami bharne laga

"larki dhud li hai maine"
Husam Ne foran kaha aur phr se Sikandar heraaan huwa tha

"kese kaha kidar????"

"hmm baba sain Mujhe waqt de kuch mai chahta hun mera ye faisala galat sabit na ho mustakbil mai"

"aesi kon hai woh Husam"
Husam ki baat sunne ke baad Sikandar kuch heraaan hote huwe puchne laga

"baba sain paka waqt aane pe bataon ga"
Usne muskura ke kaha ye dekhe Sikandar kafi Hadd tak mukatif ho chuka tha

"kis bare mai??"
Siriyo se utar tey huwe Shehryaar ne us se pucha tha

"apke baare mai"
Husam Ne sharati muskurahat liye kaha

"mere bare Mai"
Shehryaar ne sawaliye nazre uthaye pucha

"chalo bacho khana kha lo"
Sikandar ab dono ko khana khane ke liye kehta aage bhara tha, aur woh dono bhi ek dosere ke kandhe pe apni bahey latkaye aage chal pare...

kuch dair mai woh teeno khane se farigh huwe thy aur ab woh teeno ek kamre mai bethe huwe thy ke kuch sochne ke baad Shehryaar ne masoom nighao se unko dekhte kaha

"baba ajjj yahi ruk jaye"

Ye dekhe Sikandar ke dil mai kuch toota tha kese usne apne kileje ko apne se itna dur rakha huwa tha jab ke woh janta tha ke ek bacha Bagair maa baap ke bilkol adhuraa sa hai, bache ke liye tou lazmi hai maa baap ka sath kese woh ek baap hone ka farz na nibha saka woh is baat pe kafi sharmindagi mehsoos kar raha tha ke dobara Shehryaar ne masoom andaz mai kaha
"baba plz"

"baba paka ap kal chale jana lekin ajj... ajj apki zaroorat hai mere is dil ko"
Phr se Shehryaar ne kaha lekin iski baar apne dil pe hath rakha tha, uski zaban bolte bolte hichakata rhi thi

"mere bachee mai zaroor ajjj rukun ga tumhare liye"
Apni nam ankho se Sikandar ne us se kaha tha ye sunne Shehryaar kafi pursakoon mehsos kar raha tha aur sath mai apne sar ko unki goud mai rakhe ab lait chuka tha bilkol kisi chote se bache ki tarah, apne baap ki majoodgi ko mehsos karne ke liye...

"Mai.. Mai aata hun"
Husam Ne is baar kaha jo ke sab kuch bare ghoor o fikar se dekh raha tha, itne hi kehta woh apne bhari huwe dil ko le gaya bahir pursakoon hawa mai

"ami... mujhe dar lag raha hai"
Us chote se bache ne apni maa se lage darte darte kaha tha... Us kamre mai kol andhera tha... Achanak si light pore ghar ki ja chuki thi... Bahir teez toofani barish ka agaaz tha..

"dar? Dar aur tumhe"
Uski maa ne us se khud se alaida kiye tanz karte kaha

"ami andhera bhot haina... mujhe andhere se dar lag raha hai... Aur-"
Woh bacha dobara apne maa ke gale lagta kehne laga aur aage kehne hi wala tha ke uski maa usse uski baat pe bich mai kaatey khud chila pari

"DUR HATO"
Uski maa us pe chilai thi woh dara sehma bacha mazeed khamp utha

"tumhe andhere se dar lagta Hai yehi andhera tumne meri zindagi mai buchaal kiya huwa hai"

"ami... Maine kya Kiya?"
Usne dare dare ye sawal pucha tha lekin aag uski maa ki ankho ne sab keh diya

"Boujz"
Woh kehta hasa tha lekin uski hasi mai jitna dard tha ye sirf usko maloom tha, hasta hasta uski ankhe ansoho se gili ho chuki thi,

"jitni jaldi ho sakay isko meri nazro se dur Kar do"
Us shaks ne apne gusse mai us bache ko dekhte samne khari khatoon se kaha tha, ussi raat jab woh shaks barish mai bheegey huwe ghar ko louta hi tha ke samne us dare sehme bache aur sath uski maa ko dekhe mazeed jalal mai agya..

"mai bhi is se jaan chutana chahti hun karo iska koi bundo bas"
Us khatoon Ne bhi apni nafrat zahir ki thi, dono ek dosere ko dekhe barak uthy

"nafrat hai mujhe is se, tumse aur tum dono ke wajood se"
Us shaks Ne dobara agg wali nighao se us bache ko aur us khatoon ko dekhte kaha tha

"mujhe konsi mohhabat hai is se aur rahi baat tumhari tou tumhare wajood sirf mere wajood ko kaanto ki tarah chupta hai"
Us khatoon Ne bhi muh bigartte huwe us bache ko mukatif Kiya tha aur doseri taraf us khare huwe shaks ko behad gusse se

"mujhe nahi pata kuch bhi , jaldi karo isko aur khud ko mere nazro se durr"
Woh angarey chabbaty huwe bola

"mai konsa rehna chahti hun aapke sth, aur rahi baat iski tou ye mera masla nahi hai"
Dono ap pas mai larte larte itna bhi na soch sakay ke us chote se bache ki zindagi mai ye kya asar kare ga usko kitna zehni bemar Kar degi ye cheez, woh bacho khomoshi ke anso bahata sab sunta chala gaya....

Aur nehat faisala kiye us ghar aur un dono ki zindagi se humesha humesha ke liye chal para bhut dur itne ke usse khud nahi pata tha yeh raasta usse kaha lakay chorey ga aur iska anjaam kya hoga... Jis andhere aur barish ke garajne se woh inteha dar chuka tha aaj ussi andhere aur teez barish ke garajne mai woh us ghar se bilkol akela aur tanha sa nikal para tha...

"Masla"
Woh phr hasa tha dard ke sath woh dard jo tamam umar sath De raha tha
Woh ajj phr khud ko kahi wapis waha le gaya tha jaha usne khud ke bachpan ko bachpan na rehte dekha tha, woh zar zar roya tha lekin uske anso ko puchne wala nhi tha...
....

"Shehryaar kuch huwa hai kya"
Kafi dair ki khomoshi mai ab Sikandar ne us se puchne ka faisala Kiya tha

"nahi tou baba sain"
Shehryaar ne foran jawab diya tha lekin ye sunne sikandar mukatif nahi huwa tha usko lag raha tha ke kahi na kahi koi baat zaroor hai

"batana nahi chahte"
Ek zara halki muskurahat ke sath Sikandar ne usko dekhe kaha tha

"aesi baat nahi hai baba sain ap fikar na kare"
Shehryaar bhi halka muskuraye kehne laga

"Acha jesa tum kaho, wese shaadi ke bare Mai kya socha hai"
Sikandar ne bhi baat badal di

"kuch nahi"
Shehryaar ne jawab diye wapis apna sar unki goud mai rak dala

"kyu, shaadi nahi Karni kya"
Sikandar hiraan hote huwe us se puchne laga

Aur ye sunne Shehryaar has diya

"baba sain mai bilkol tayar nahi hun itni bari zimidari sambhalne ke liye,

ye tori ek din ki baat hai jo qubool hai karke baat khatam Kar di jaye

Ye tou sari umar bhar ka safar hai jo dil se nibhaya jata hai "

"kya waqai tum tayar nahi ho ya qabil nahi samjhte khud ko"

"baba sain mai agar kisi ke qabil honga tou woh mere naseeb mai likhi hogi aur yaqeena mujhe mil Kar rahe gi"

"ye tou hai lekin... "

"lekin wekin kuch nahi, sab dekha jaye ga uske sahi waqt pe, abhi ap aram ki jiye "
Shehryaar muskurahate huwe unko so Jane ka kehta ab bahir achuka tha woh nahi chahta tha apni zindagi mai kisi aur ka izafa.. Woh isliye ke woh khud jis raaste pe chal raha tha us waqt uske sath kese aese ka chalna mumkin nahi tha jaha woh khud ke aj aur ke bare mai ilm nahi rakhta tha woh waha kisi aur ki zindagi kese tabah hone dete khas tor uski khud ki wajha se.. Tabhi tou woh es rishte mai khud ko dhalne se pareez karna chahta tha... Aage ka tou woh khud bhi nahi janta tha Kab kaha kis waqt usse na chahte huwe bhi wahi raaha apna ni parti...

Siriyo se utar ty utar ty jab uski nazar garden mai ghas par bethe huwe Husam par pari jo apne baalo mai hath phira raha tha
Woh uske pas chalta gaya...

"kya huwa hai Husam"
Shehryaar ne uske sath bethte huwe pucha

"kuch bhi tou nahi"
Husam itna kehta Utne hi laga tha ke Shehryaar ne usko wapis bethne ka hishara kiya

"roye thy tum"
Shehryaar ne apni nazre asmaan ki janib kiye bola

"na-"

"nahi, nahi bolna Husam kyu ke mai janta hun tum roye thy, kya sirf itna Bata sakte ho kyu roye thy tum"
Shehryaar jaan chuka tha ke Husam na kehne wala hai isliye khud uski baat katte khud kehne laga

"bas bachpan yaad agaya apna"
Husam Ne kehte hi apni nighaye asmaan ke chand ki taraf kar li

"jaha tak Mai janta hun Husam ke tumhara bachpan bachpan nahi tha sirf azeeziyatein aur zilatein thi"

"tha tou bachpan na"
Husam ek dard bhari muskurahat muskurahaty bola

"Hu.. Husam"
Shehryaar ne usko zor se apne gale lagaya tha kyu ke alfaaz tou uske pas thy hi nahi usko tasali Dene ke liye... Is jagah pe shehryaar khud se zyada kisi aur ko behis nahi samjhta tha...

Kya ajeeb hi zindagi thi inki ranjisho se bhari pari..... Janey kab inki ek zindagi naya mor le ly....

......

Woh apne night suit pehne aur baalo ko halke jure mai bandhe bethi musalsal muskura rahi thi ye baat uski bibi jaan ne ghoor ki thi

"bae Wahh ajjj lagta chand kuch zyada hi chamk raha hai"

"hayee bibi jaan apko pata hai ajj mujhe ek dost mila... zindagi ka phela aur shyd akhiri dost"
Woh unki baat ko samjh chuki thi isliye apni jaga se uthe apni khushi ki wajha bayan karne lagi

"ye tou bhot achi baat hai, phr batao woh dost kesi hai"

"kesi nahi kesa hai puche"

"Kya Matlab Zarnish larki nahi hai woh? "

"Maine tou humesha se kesa larke ke liye istamaal hote sunna tha apne kahi larki ke liye sunna hai kya"
Woh sharati lehje mai unse kehti ab has di thi

"Badmash kahi ki"
Bibi jaan bhi ye kehti uske sath has pari

"Ajj kuch zyada hi muskura rahi ho Waqai ye dosti hi haina ya us se zyada"

"dosti pe hi bari mushkil se yaqeen aya hai aur ap mohhabat pe puch gayi, janti nahi mohhabat mere bass mai nahi"

"woh tou kesi ke bas mai nahi hoti tabhi tou usko mohabbat kehte hain"
Kuch dair tak tou woh unki baat ki gehrai mai ja chuki thi lekin zyada waqt tak khud ko us gehrai mai na rehne diya isliye ab aake apna sar unki goud mai rakhte kuch soche boli thi

"apko itraz tou nahi haina"

"kis baat pe"

"ye dosti..."

"Dekho meri jaan tum jaha kisi se bhi dosti karo Mujhe bhala kya farq pare ge bas ek baat ka khayal rakhna ke tumhara dost tumhe kisi galat raah pe le Jane wala na ho"

"mai samjh gayi aur ap befikar hojaye is hawalee se"

Itna muskurahat ke sth kehti ab Zarnish uthi hi thi apne kamre ki janib Jane ke liye jab bibi jaan ne us se mukatif Kiya

"Wese Maine tumhe ek kaam kaha tha"

"ohh shittt, moulat Dede tori si plzz"
Kaam ki baat yaad aane se us se sharmindagi mehsos hoi thi

"Kab tak ki moulat chahiye"
Bibi jaan ne apni teeki nazro se usko dekhte pucha

"kuch keh nahi sakte bas ap Dede zyada sari moulat"
Woh kehti sath ab unke gaal pyar se khicha ne lagi

"chalo theek hai ab jao shahbash so jao"
Shabba khair kehti woh ab apne kamre mai ja chuki thi,

Ajj uska dil kafi Hadd tak pursakoon tha shyd ek dost milne ki wajha se jo uski chand khuwaisho mai se ek thi.... Woh kafi dair muskurane ke baad ab lait chuki thi...

Par woh kaha janti thi ke dosti bhi ek azmaish huti hai...

Aesa nahi tha ke usse zindagi mai kabhi koi dost nahi banaye balke bhut sare dost bana chuki thi woh lekin zindagi ke halato mai woh sare dost bhut peeche chut chukey thy shayad bhut zyada peeche...

......

Aaj itwar tha yani uske office ki chutti aur issi bahaney woh dair tak so rahi thi... Uske alarm ki baj baj ke halat behaal ho chuki thi lekin majal hai ke usse apni ankh kholna munasib samjha ho.. Aur wohi alarm ki wajha se nehat us khatoon ko us kamre tak aana para...

"ZARRRRRNISSSSSHHHHH"
Woh khatoon bilkol uske kaan ke pas aakar zor se cheeki thi
Bed pe leti woh larki shock Se jhat se uthi beth gyi

"konsa toofan agaya"
Woh apni ankhein masalti huwi us khatoon ko dekhe rahi thi jiske sidhe hath mai bellan, naak gusse se halki surkh...

"tumhare alarm ki wajha se pora mohalla jagh utha siwaye tumhare,
Jab uthna nahi huta tou yeh khambakt alarm lagati Kyu ho, kyu sab mohalley walo ka jeena haram kar rakha hai nahi balke kaan khrab karne pe tholi ho tum"

"bibii jaan"
Woh masoomiyat si shakal banaye masoomiyat ankho mai liye boli

"koi zaroorat nahi hai mujhe maskay laganey ki"
Woh khatoon samjh chuki thi iska melo drama shuru hone wala hai

"apko bhala kon maskay laga sakta ap tou hai hi bhut achi seerat ki bhi aur soorat ki bhi"
Woh usi methas se boli aur aa unke gaaley lag gayi

"baaz ajao tum Zarii"
Woh usse warn Kar rahi thein

"kyu sahi nahi kaha maine"

"mai phir bhi tumpe gussa hun"

"apko sharam nahi aati masoom si jaan pe gussa karte"
Woh mazakiya lehje mai heraan hui unse alaida hui

"aur is masoom si jaan ko sharam nahi aati mujhe gussa dilaney se"
Woh uski ada pe muskuraya uski naak ko halka sa khichne lagi
Dono hi ek dosere ko dekhe muskuraye gale lag gye

"chalo shahbash jaldi aao nashta kar lo"
Woh sath kehti ab neeche Janey lagi...

Kuch hi dair mai naha dho kar tayar huwe Zarnish bhi niche lounge mai Beth gayi.. Bibi jaan usse dekhe uska nashta dene lagyi...

Lounge mai TV Pe kuch roz aane ki khabarey chal rahi thi... Aur aaj ka waqiya yeh tha ke ek bungalow mai achanak si aag lag gayi jiski wajha se andar majood shaks wafat pa gaye... Bar bar screen pe wohi bungalow ki video show ho rhi thi ke kesy aag bhut zyada bharak rahi thi...

Jise hi us screen pe Zarnish ki itafakan nazar pari uske hath se pakra huwa coffee ka mug aishta aishta uski hath ke grift se chuttha chala gaya aur waqt aya ke woh mug zameen pe girey toot chuka tha... Mug ki girne ki awaz se bibi jaan bhage bhage kicten se lounge mai agayi aur fikarmandi se Zarnish ki taraf dekhe boli "kya huwa Zari, tum theek ho?"

"aa.. Aag..aagggg"
Woh hichakatatty hichakatatty cheek uthi, bibi jaan achanak uska achanak yun react karna samjh nahi payi thi lekin jab nazar TV ki screen par pari tou samjh chuki thi.. Aur sath hi afsos mai mubtala hui thi...

"Zari meri bachii"
Woh foran usse galey lagty huwe boli thi

"aag......bhut zyadaaa aaag..."
Woh darii si mehsos ho rahi thi... Thande paseene uske chehre se beh rahy thy...

"nahi Zarii aesa kuch nahi hai mere bache"

"naaahiiiii..."
Woh phir se cheeki thi

"aagg... Bhut zyada aaag haii abhii bhi... Hai aaag"
Uska chehra thandey paseene se bhar chuka tha aankhe souj chuki thi... Ankho mai aaj wahi dar majood tha... Wahi aag ka manzar uski ankhoon aur dimag mai phir se bass chuka tha...

Yeh Sab dekhe bibi jaan bhut dar rahi thi... Unhe samjh nahi araha tha ke woh is waqt kare bhi tou kya karein... Lekin Shukar khuda ke unhe yaad agyaa ke aisi halat mai zarnish ko sirf wahi dawai khilani bethar thi...

"agar aaida aesi situation aye tou foran tor par inhe yeh medicine di jaye, isse lete hi inko nind aane lagy gi jokay inke liye bethar hai aur fikar na ki jiye ga is medicine se inka mind son hojaye ga aur inhe foran nind ajaye gi uthne ke baad zaroor inka sar bhari bhari lagy ga lekin aishta aishta dard thek hojaye ga"

Bagair lamha zaya kiye Bibi jaan foran woh dawai aid box se nikale Zarnish ko khelaney lagi... Jisse khatey hi Zarnish ko yak dam se nind aane lagi aur kuch hi dair mai woh lete so gayi... Bibi jaan ne sukoon ka gehra sans hawa mai liya aur dhere dhere apna hath Zarnish ke balo mai phirey uske masoom se chehre ko dekh rahi thi... Kesy lamhe bhar mai woh bachii yateem si hogayi thi..

"lehaza tou aapko chahiye ke inhe is dar se azaad karwa de."

"woh kesy doctor Sahab? Mai kya karun akhir aesa jo yeh bachii is halaat mai dobara kabhi nah ja sakay"

"apko chhaiye ke inhe inke apno ke pas rakhe aesi jagah mahool mai jaha inhe khush rakha jaye mutmeen rakha jaye... Bilkol aag se dur.. zara si bhi aag inke samne nahi aani chahiye, Mai janta hun yeh mumkin nahi hai kyu ke aag humari zindagi mai shumaar cheezoon mai se ek hai iske Bagair zindagi ka guzara nahi lekin itiyat ki jiye ga isse ap aag se dur rakhe chahe asal ki aag ho ya kisi tasveer ya screen mai majood aag ho... Isse inke mind pe bhut bura asar pare ga jiski wajha se inka dimag kaam karna chor jaye aur phr... aap samjh rahi haina? "

" nahi doctor Sahab, iski jaan nahi janni chahiye please! "

" phir apko chhaiye zyada se zyada itiyat rakhe "

" mai pori khoshish karun gi "

" mahool ka zyada khyal rkhiye ga "

" bhut shurkiya apka doctor Sahab! "

" ya Allah mai aesa kya karun... Meri madad kare is bachi ko apni hifz o aman mai rkhiye ga, ya Allah isse mere baad kon sambhale ga is duniya mai, ya Allah koi raasta nikale.. Mai kis par bharosa karun kis ke hawale karon is bachi ko... Kon banne ga iska muhafiz, kon kar paye ga iski hifazat apni jaan se bhi zyada... Kahi yeh bhi tou akeli nahi reh jaye gi mere baad... Nahi ya Allah reham farmana... Is bachii ke liye asaaniyaan paida farmaye"
Woh jaiz e namaz mai bethe uske liye duayein mang rahi thi... Bibi jaan Waqai ajj dar si gayi thi Zarnish ke liye... Woh nahi janti thi Kab yeh maazi Zarnish ka peecha chore ga... Par woh chahti thi ke uss sab se phele woh usse kisi aese ke hawale kare jo Waqai qabil e itbar ho.. Jis buniyad pe woh yeh faisala karne pe aapunchi ke Zarnish ki jald se jald shadi ki jaye lekin shadi bhi tou koi khel tori hai umar bhar ka sath hai... Is sab mai se kya Zarnish khud ko aese rishte mai bandhne ka moqa de paye gi...





❛30th April 2023❜

As-salamu alaykum

Umeed karti hun aap sab khair khairiyat se honge?

Iam back with a update, haha I know iam late🐒🤭so sorry!
Next update isse jaldi aye ga i promise ❤️
Tab tak enjoy this and let me know how was this????

Till then Take care of yourself ✨🦋
Allah hafiz
Fi amanullah 🦋

Continue Reading

You'll Also Like

879 244 14
Two rivals are betrothed to each other in the bond of Nikkah.Will they be able to find solace in each other? Riha X Rihan Mahim Hassan Rihan is a 29...
17.8K 883 40
During the 17th Century BC, ancient China, the reign of the min dynasty. An empire having several kingdoms. A beautiful kingdom surrounded by lakes a...
7.1K 675 23
It's a love saga between vampire - Aditya Hooda and a cute innocent human - Zoya.
101K 9.4K 31
When AVNI n NEIL become AVNEIL Do tanha dilo ke Muqqamal ishq ki dastaan......