Agar Tum Saath Ho βœ”

By Atiwak

146K 15.2K 17K

"Hey Murlidhar kaisi teri maya hai, chor hume chor kah raha" "dekho hum chor nhi hai aur tum idhar kya kar ra... More

Introduction
|~When They Met~|
|~The Marriage Proposal~|
πŸ‚|~Their First Date~|πŸ‚
🍁|~Her Past~|🍁
|~The Engagement Day~|
πŸ‚|~Engagement ~|πŸ‚
🍁|~Something Unexpected~|🍁
|~The Kiss~|
🀍|~Ishq Da Pehla Rang~|🀍
πŸ’š|~One Step Towards You~|πŸ’š
|~Mehndi Hai Rachne Wali~|
✨|~The New Feeling~|✨
πŸ‚|~The moon is beautiful isn't it~|πŸ‚
🍁|~Saat Vachan~|🍁
🍁|~Their First Night Of Marriage~|🍁
πŸ‚|~Love To Hate~ |πŸ‚
❀|~Her Romantic Husband~|🀍
🍁|~Don't Touch His Collar~|🍁
πŸ–€|~Love In New York~|πŸ’œ
🌧|~The Rain~|🌧
🍁|~Amore~|🍁
🍁|~Tera Nashaa~|🍁
πŸ‚|~The Christmas Party~|πŸ‚
🍁|~Broken~|🍁
πŸ‚|~Yeh Preet Ke Dhaage~|πŸ‚
🍁|~The Unforgettable Night~| 🍁
🍁|~You Are Special For Me~|🍁
πŸ‚|~I am always with you~|πŸ‚
πŸ‚|~Why Are You Sad~|πŸ‚
🍁|~Is She Pregnant?~|🍁
πŸ¦‹|~Butterfly~|πŸ¦‹
🍁|~Her Beautiful smile~| 🍁
🍁|~Agar Tum Saath Ho~|🍁
🍁|~Their Pain~|🍁
🍁|~The New Beginning~|🍁
🍁|~His Changed Behaviour~|🍁
πŸ‚|~Dooriyan~|πŸ‚
πŸ‚|~Yaadein~|πŸ‚
🍁|~Angel ~| 🍁
🍁|~The Discussion~|🍁
πŸ‚|~The Romantic Challenge~|πŸ‚
πŸ‚|~Love In The Air~|πŸ‚
πŸͺ”|~The Festival of Lights~|πŸͺ”
πŸ‚|~Her Anger~|πŸ‚
🍁|~The Good News ~|🍁
πŸ‚|~Sweet Moments~|πŸ‚
🍁|~Chocolate Cake~|🍁
πŸ‚|~Three Years Later~|πŸ‚
πŸ‚|~Their New Life~|πŸ‚
πŸ‚|~ Another Good News?~| πŸ‚
🍁|~The Family~|🍁
πŸ‚|~His Past~|πŸ‚
πŸ‚|~The Interview~|πŸ‚
πŸ‚|~The Broken Hearts~|πŸ‚
🍁|~Her Mood Swings~|🍁
🍁|~The Argument~|🍁
🍁|~Sorry~|🍁
🍁|~The Condition~|🍁
πŸ‚|~ Dhvani ~|πŸ‚
πŸ‚|~The Family Drama~|πŸ‚
🌼|~Mending The Broken Hearts~|🌼
πŸ₯€|~Humsafar~|πŸ₯€
Epliogue ❀
Thank you πŸ₯€
πŸ‚|~Bonus~|πŸ‚
πŸ‚|~ Bonus-2 ~|πŸ‚

❀|~Surprises For His Amor~| 🀍

2.1K 233 121
By Atiwak

Next Morning

Dev-par Baba abhi toh maine hospital join kiya, abhi kitna kuch sikhna hai mujhe...yeh business se door hi rakhiye mujhe....

Baba-toh hum kaun sa tumhe abhi shamil hone ke liye kah rahe hai, hum toh bas chahte hai ki tum bhi sikh lo business handle karna taki future mein apne bhai ke saath kaam kar sako....

Dev-par Baba mujhe jana hi nhi business mein, main khush hoon apne profession se...

Baba-baat ab ki nhi hai beta, future ki baat hai...tum khush ho apni life se hum jante hai par future mein jab tumhari wife aayegi toh pakka woh objection uthayegi Anubhav ke akele business sambhalne par aur tumhe shamil na karne par....isse family mein problems hone lagegi isliye tum sikh lo...aur future mein apna doctor ka job karte karte business bhi handle karna...

Dev-pehli baat yeh ki main aisi ladki se shaadi hi nhi karunga jo mere kaam aur family ki respect na kare aur dusri baat main kisi ke liye bhi apne profession apne sapne se compromise nhi karne wala...jab mujhe ya bhai ko laga ki bhai ko meri zaroorat hai toh main unki help kar dunga but business...mere bas ka nhi hai Baba....(he refused calmly).

"Kya baatein ho rahi hai koi hume bhi toh bataye...!" Anubhav said coming down the stairs.

Dev-kuch nhi bhai, hamesha ki tarah Baba mujhe business mein aane ke liye sikh de rahe hai....(he said with a smile).

Baba-Anu ab tum hi samjho ise...koi kaam sikh lene mein burai toh nhi hai...

Anubhav- Baba thik kah rahe hai Dev, par Baba abhi ise apne career par focus karne dijiye baad mein main khud ise sab samjha dunga...

Dev-aur waise bhi Baba, bhai hai toh kya problem hai aur bhabhi ko bhi toh business ki knowledge hai woh dono sambhal lenge sab....

Anubhav-nhi Dev, Haseena ko business mein interest nhi hai woh toh bas naye naye experience lene ke liye, logon ke kaam karne ke tarike ko janane ke liye job karti thi...

Baba-sach mein (disbelief), par hume toh laga tha ki woh interested hai tabhi toh itne sare job try kiye usne aur shaadi se pehle apni company bhi join ki thi....

Anubhav-nhi Baba unhe business ya aise kisi bhi cheej mein interested nhi hai woh toh bas sab kuch sikhna chahti thi.....baki unhe kuch khas pasand nhi hai yeh sab....

Dev-toh phir bhabhi ko pasand kya hai?

Anubhav-unhe toh (his phone buzzed, interrupting the conversation) ek minute....(he excused himself).

In Maa's room

Kriti-bhabhi...aapke room mein mosquito hai kya...(she asked worriedly).

Haseena-nhi toh....

Kriti-toh phir aapke neck par woh red rashes kaise ho gye...(concerned for her).

Maa looked at her with teasing smile. She smile nervously.

Haseena-rashes...nhi rashes nhi hai allergy hai....(nervously).

Maa-allergy...(teasingly).

Haseena-haan maa allergy hi hai, woh   hamara body lotion kal expire ho gya tha aur humne bina dekhe Use kar liya bas uski wajah se hi...(she lied nervously).

Kriti-be careful bhabhi, dekho kitne sare rashes hai...pain bhi kar raha hoga...(she said innocently).

Maa-haan pain toh kar raha hoga, kyu Haseena waise hume nhi pata tha ki tumhe Anu se allergy hai...(teasingly).

Haseena blushed into every shade of red.

Kriti-bhai se allergy (confused)....oh toh yeh love bites hai (she finally understood), bhabhi very bad mujhse jhooth kyu bola...waise hume laga nhi tha bhai bhi romantic ho sakte hai....(she teased her).

Haseena-hum ja rahe hai...(She stood up and was about to leave when the mother held her hand and stopped her).

Maa-aise kaise, pehle allergy ka reason toh bata kar jao...(teasingly).

Haseena-kya maa...(shyly).

Kriti-oh my god...bhabhi aap sharmate huye toh aur cute lag rahi hai....ek kaam karte hai aapki picture lekar bhai ko send karte hai....(she takes out her phone from her pocket).

Haseena-nhi Kriti aisa nhi karna, please....

Maa-photo lene se accha hai Anu ko hi bula le....

Haseena-nhi maa, unhe nhi....

Kriti-accha nhi bulate bhai ko par ek shart par...

Haseena-kaisi shart?

Kriti-aapko batana padega ki bhai ne aapko propose kab aur kaise kiya....(she said with excitement).

Haseena-unhone hume propose nhi kiya hai....(she said while sitting beside maa).

Kriti-propose nhi kiya (sadly) par I love you toh bola hoga na...wahi bata do...

She looked at maa and Kriti, their eyes are twinkling like stars.

Haseena-par aap dono ko janana kyu hai?

Kriti-bas yeh janane ke liye ki Anubhav Singh ne apni wife ko I love you kaise bola hoga, kya planning ki hogi..kaise surprise diya hoga...

Haseena-koi planning ya surprise nhi tha bas unhone humse I love you kah diya....

Maa-bas aise hi bol diya....(maa said in disbelief).

Haseena-haan....

Kriti-bhai se ummeed bhi kya kar sakte hai....(she said disappointedly).

Maa-haan usne I love bol diya wahi bahut badi baat hai....

Haseena smiled,  recalling the best day and moment of her life so far.  Maa and Kriti smiles seeing her smiling.

•●◉✿ ᴀғᴛᴇʀ sᴏᴍᴇᴛɪᴍᴇ ✿◉●•◦


In Anuseena's room

Haseena-Hello Bhai....

Mohit-hmm....

Haseena-aap abhi bhi naraz hai?

Mohit-Meethi main meeting mein hoon, baad mein baat kare....

Haseena-par bhai aaj toh Sunday hai...

Mohit-par meri ek important hai Meethi, please baad mein baat karte hai....

Haseena- ji...(she disconnected the call  sadly).

Haseena-kismat hi kharab hai hamari, har koi naraz ho raha hai humse...hey mere Murlidhar, kripa karo...(she prayed for some hope).

"Kis liye Murlidhar ko pareshan kiya ja raha hai...?" He asked, entering into the room.

Haseena-kuch nhi....

Anubhav-bata dijiye shayad hum kuch help kar de....

Haseena-hamari help sirf hamare Murlidhar kar sakte hai aur koi nhi aur waise bhi is matter mein toh sach mein koi help nhi kar sakta...khair aap bataiye aapka kaam ho gya..

Anubhav-haan ho gya aur haan Maa Baba thodi der mein hi Dadi se milne ke liye jane wale hai...

Haseena-kya hua Dadi ji ko?

Anubhav-kuch nhi bas aise hi milne ke liye ja rahe hai....

Haseena-achanak se..?

Anubhav-aap chinta mat kariye sab thik hai...

Haseena-hmm....(sitting on the couch).

Anubhav-waise aap Mohit ko lekar pareshan hai....(he asked while settling himself beside her).

Haseena-haan....

Anubhav-aisa kya hua ki woh aapse naraz ho gye kyunki jahan tak hume pata hai Mohit apni Meethi ke liye kisi se lad sakte hai...

Haseena-wahi toh problem hai, hamari wajah se unki life mein problems ho rahi hai...(she said sadly).

Anubhav-aur woh kaise?

Haseena-humne aapko Naina ke baare mein bataya tha na....

Anubhav-Mohit ki friend?

Haseena-friend nhi girlfriend, actually bhai unhe pasand karte hai...

Anubhav-toh problem kya hai aur aap kaise un dono ke masle mein aa gyi?

Haseena-woh darsal unke beech mein ek fight ho gyi hai...

Anubhav-isme nayi baat kya hai, har couple ke beech hota rehta hai....

Haseena-hamari wajah se....(she said sadly).

Anubhav-aapki wajah?

Haseena-actually bhai kuch din se thode pareshan the toh humne kayi baar unse puchha ki koi problem hai toh humse share kare par woh nhi batate...das din pehle hum apni friend Adaya se milne gye the...wahi hum Naina se mile....

Flashback

Haseena-Hi Naina...!

Naina-Hello...

Haseena-aap yahan akele aayi hai ya bhai aane wale hai...(she asked to tease her).

Naina-tumhare bhai ko tumse fursat mili hogi tabhi toh mujhse milne aa payega...(she taunted her).

Haseena-hum samjhe nhi kuch...(tries to clarify  her doubt).  

Naina-wahi toh problem hai tum kuch samjhti hi nhi ho...(tauntingly).

Haseena-Naina aap kehna kya chahti hai, hamari wajah se bhai aur aapke beech mein problem huyi hai?

Naina-nhi..nhi tumhari wajah se nhi tumhare bhai ki Meethi ki wajah se, hamara dimag kharab ho gya hai yeh naam sun sunkar...jab milo tab Meethi, ek minute ke liye naam nhi bhulta woh....aur tum (annoyed) shaadi ho gyi hai par itni samjh nhi aayi hai ki ab apne bhai ka haath chhod kar apni personal life par dhyan de....jab marzi aaya call kar diya bhai ko, yeh bhi nhi sochti ki uski bhi personal life hai aur tumhare bare mein kuch bol do toh tumhara bhai aag ka gola ban jata hai....(angrily).

Haseena-hum samjh gye ki problem kya hai uske liye I'm sorry aur aap tension mat lijiye hum ab aisa kuch nhi karenge par please aap bhai se naraz mat ho....

Naina-tum rehne do Haseena, kyunki tum kah toh rahi ho ki tum aisa kuch nhi karogi par aisa hoga kuch nhi...pata hai jab se main aur Mohit mile hai tab se aaj tak ek bhi aisi meeting nhi huyi hai jisme tumhare bare mein discussion nhi hua ho, tumhari shaadi ke time toh usne mujhe aise ignore kiya ki janta hi nhi, chalo woh samjh aaya behan ki shaadi hai toh uske saath time spent karne aur baki ki taiyari mein busy hoga par shaadi ke baad bhi tum hum dono ke beech argument ki wajah ban ja rahi ho..jab se tum apne ghar aayi ho tab se tumhara bhai phir ignore kar raha hai mujhe, aur jab kabhi milte bhi hai tab tum call kar deti ho ki bhai jaldi ghar aa jao, bhai yeh bhai woh...arey main irritate ho jati hoon tumhare message aur calls sunkar par Mohit tumhare liye hum dono ka plan cancel kar deta hai...itna toh koi apne real bhai behan ke liye nhi karta jitna Mohit tumhare liye karta hai...aur tum, pata nhi kab samjh aayegi tumhe...mujhe toh bechare tumhare husband par daya aati hai, bechara kaise jhelta hoga tumhe aur tumhare is irritable bachapane ko....(she vented her anger)

Haseena looked at her with guilt. Naina took a deep breath to calm herself.

Naina-dekho Haseena mujhe tumse koi problem nhi hai par kabhi kabhi sach mein mera man karta hai ki tumhe do chaar thappad laga kar samjhau ki ab toh apne bhai ko chhod do...pyaar hai bhai behan mein samjhti hoon par har chhoti baat ke liye Mohit ko kyu pareshan karna, khud handle karo apni problems ko, married ho tum apni life ko handle karna sikho....aise har baat par baccho ki tarah bhai bhai karke rone se kaam nhi chalta....ek toh woh aise hi business ko lekar pareshaan rehta hai aur upar se tum uska sardard ban ke ghumti rehti hai uske saath...

"Tumhe nhi lagta Naina ki tum apni limit cross kar rahi ho....!" Someone said coldly. Haseena and Naina looked  at the person.

Haseena-bhai aap...?

Naina-lo aa gya tumhara bhai, kaho is baar kya kehna hai...(she said rolling her eyes in annoyance).

Mohit-kuch nhi, tumse baat hi nhi karni hume....

Naina-mujhe bhi shauk nhi hai tumse baat karne ka...(she takes her hand bag).

Haseena-Naina, bhai aap dono kyu hamari wajah se aise lad rahe ho, dekho Naina ab tak jo hua hum badal toh nhi sakte par I promise ki ab hum kabhi bhi aap dono ke beech ke argument ka reason nhi banenge...

Mohit-kisne kaha tumse ki tum hamare beech ke jhagde ki wajah ho (glaring at Naina), aisa kuch nhi hai, logon ko bas ladne ka bahana chahiye hota..(he taunted Naina).

Naina-dekho Mohit is waqt mein koi scene creat karna nhi chahti isliye please yahan se jao....

Mohit-shayad tum bhool rahi ho ki yeh Restro hamara hi hai...isliye jana hai toh tum jao....(he said with a smile, sitting on chair).

Haseena-bhai....

Naina-dekh lo Haseena, is baar bhi tumhi reason ho....

Mohit-Miss Naina Agarwal, aap yahan se khud ja rahi hai ya phir hum kuch help kare aapki....(he said with a sugar coated smile).

Naina-thanks for your concern Mr.Malik but main aapki behan ki tarah nhi hoon, independent hoon toh apne pairon se chali jaungi aap apni help apni behan ko de dijiyega...(she taunted him in sugar coated tone).

She left. Haseena looked at Mohit with puppy eyes, he smiled at her.

Haseena-bhai sorry hamari wajah se....(gloomily).

Mohit-Meethi (hugged her)...kuch nhi hua hai tumhari wajah se, bas Naina  jealous hai tumse ki main usse jyada time tumhe deta hoon...

Haseena-nhi bhai woh jealous nhi gussa hai hum par aur unka gussa sahi bhi hai..

Mohit-aisa kuch nhi hai tum uski baaton ko dil se mat lagao....(sternly).

Haseena-aap hamare bhai ho isliye hum aapko galat nazar nhi aa rahe hai par khud ek baar Naina ki nazaro  se dekho....sach mein woh sahi hai, hum bina aapke plan puchhe aapse demand kar dete hai, anjaane mein hi sahi par hum aap dono ke beech deewar ban chuke hai....

Mohit-kaha na Naina ko serious mat lo..hamare beech mein jo bhi problem hai uski wajah hum, tum ya koi aur hamare beech ki problem ban raha hai yani hamare rishte mein hi problem hai isliye tum khud ko dosh dena band karo aur ghar chalo....

Haseena-hmm.....

Flashback ends.

Haseena-uske baad humne Naina ko call karke sorry bola aur unke relation ko ek chance aur dene ko kaha, woh agree ho gyi par ek condition par ki hum bhai se door rahenge aur jab tak important baat na ho unhe call nhi karenge....

Anubhav-aur aap yeh baat maan gyi, Mohit ko pata chala aur woh aapse isliye naraz ho gye...?

Haseena-hmm....par kya karte hai, jab problem ki wajah hum hai toh use solve bhi hume hi karna hoga....

Anubhav-nhi Haseena, aisa nhi hai (he holds her by her shoulders)...do logon ke beech agar koi misunderstanding ya problem hai toh woh kabhi kisi teesre ki wajah se nhi ho sakta....ab maan lijiye kal koi teesra hum dono ke beech misunderstandings create karne mein kamayab ho ja raha hai toh woh uski kabiliyat nhi hamare rishte ki kamzori hogi....

Haseena-hum samjh rahe hai Anubhav par...

Anubhav-Mohit aur Naina dono samjhdar hai woh dono khud sab handle kar lenge aap mat koshish kariye kyunki aapki har koshish unke beech ki doori kam karne ki jagah badha degi....

Haseena-hmm....(sad).

Anubhav-ab aise udas mat ho aap, sab thik ho jayega....(he placed a lingering kiss on her forehead).

She embrace herself into his arms, keeping her head on his chest.

          ◦•●◉✿ Two Days Later ✿◉●•

Anubhav-Haseena...(he tries to wake her up).

Haseena-kya hua Anubhav...(sleepy voice).

Anubhav-jaldi se uthiye aur aakhen kholiye....

Haseena-itni jaldi subah ho gyi hai kya....(she said grumpily, sitting up straight).

Anubhav-nhi, aap aankhe toh kholiye...

She hummed and opened her eyes.

Haseena-abhi toh ek ghante pehle soye the, jaga kyu diya itni jaldi...(she said, looking at the wall clock).

Anubhav-aap hamare saath chaliye, hum sab batate hai aapko....

Haseena-hum nhi chalne wale aapko le chalana hai toh khud uthakar le chaliye...(she said spreading her hands).

He smiled and took her in his arms, she wrapped her arms around his neck, resting her head on his shoulder.

Haseena-waise hum ja kaha rahe hai?

Anubhav-das minute mein aapko pata chal jayega....(he said kissing her temple).

She hummed.

Ten minutes later

Haseena-Anubhav ab toh bata dijiye kaha ja rahe hai hum aur yeh blind fold kyu?

Anubhav-dhairya rakhiye Haseena...

Haseena-kitna aapne ten minutes kaha tha, ab tak pure nhi huye ten minutes....

Anubhav-ho gye hai...(he stopped the car).

Haseena-hum pahuch gye?

Anubhav-ji....(he got out of the car and then helped her to get out of the car).

Haseena-ab toh blind fold hata dijiye...(He kissed her forehead and removed her blindfold clothes).

She slowly opens her eyelids and is surprised to see the view in front.

She looked around herself and said

Haseena-yeh toh wahi jagah hai jahan humne anjaane mein apni pehli night out kiya tha....(she said smiling).

Anubhav-ji....

Haseena-par yeh sab kis liye....

Anubhav-hamari wife ko valentine day celebrate karna tha toh soch surprise de diya jaye...

Haseena- log valentine day ki raat aur din mein surprise dete hai aur aap hume tab de rahe hai jab aaj ka din hi khatm hone wala hai aur waise aapko toh pasand nhi hai yeh valentine day...(she asked raising her eyebrows).

Anubhav-par aapko toh pasand hai (she smiled) Happy Valentine Day My Love....(he said kissing her forehead deeply).

Haseena-Happy Valentine Day to you too dear handsome husband....(she said kissing his cheeks).

Anubhav-aaiye, us taraf chalte hai....

Haseena-aur bhi surprises hai?

Anubhav-ji...

She holds his hand and they walk a little further. A big smile crept across her lips when she saw a heart made from a garden candle lantern.

Haseena-yeh kitna sundar hai par aapne hume bataya kyu nhi aap hume  itna romantic surprise dene wale hai, hum thoda taiyar ho jate hai aise night gown mein utha laye hume....

Anubhav-lag toh aap abhi bhi beautiful rahi hai....(she blushed, hearing his compliment).

Haseena-aur bhi kuch hai....

Anubhav-hmm....(he takes the remote out of his pocket and presses a button, when he presses the button, the place lights up with fairy lights).


(Like this, bas in barat ke sone wali cheejon ko ignore karna).

Haseena-woww.....(she looked at the decoration with wide eyes).

Anubhav-pasand aaya?

Haseena-bahot...yeh kitna beautiful hai...yeh sab aapne kiya...(happy+ emotional).

Anubhav-humne bas order diya hai....(she smiled and hugged him).

Haseena-you are the best Anubhav, I love you....(she said tightening her grip on him).

Anubhav-I love me too...(he said teasingly, she lifts her head and looks at him, he smiled while she pecked his lips).

He smiled and leaned his head against her ear. "Happy Birthday mi Amor...!" He whispered in his deep husky voice and then kissed her earlobe. She thanked him blushingly.

Anubhav-sharmana band kariye, abhi puri raat baki hai...(he said brushing his nose against hers).

Haseena-ab kya rah gya hai?

Anubhav-aapka birthday surprise....

He holds her and they go to near the tree, where a dinner table was arranged.

Anubhav-baithiye....(he pulled chair for a like a gentleman, she smile and adjusted herself).

He sits opposite to her. She sees  the cloche curiously.

Haseena-isme kya hai?

Anubhav-aapka birthday cake....(he said removing the cloche).


(Her birthday Cake🎂).

Haseena-aaj aap decide karke hi aaye hai ki hamare muh se sirf aaj apni tarif sunenge...(smiling).

He smiled.

Haseena-sach mein Anubhav, yeh surprises and all, sab bahut acche hai aur hamari puri zindagi mein hume aise surprises nhi mile hai....(she said with a smile and then kissed dorsal side of his hand, mumbling thank you).

Anubhav-kitna thank you bolengi, ab thank you ko pack karke side kar dijiye aur cake cut kariye....

She hummed and cut the cake, she took a bite of cake and forward towards him but he deny.

Anubhav-sorry par hume baking powder se allergy hai, hum cake nhi khate....

Haseena-kyaa...?

Anubhav-hmmm....par hum aapko khila sakte hai (he fed her a piece of cake), Happy Birthday once again....

Haseena-thanks par iss cake aur in surprises se kaam nhi chalega, hum hamare valentine day aur birthday dono ka gift chahiye.....

Anubhav-gift...?

Haseena-haan...bola tha na hamare har special day par ek gift chahiye hume, ab aap chahe hume ek Flower de ya kuch aur....(smiling).

Anubhav-umm...(checking his pockets), mil gya (takes our something from his pocket), isse kaam chal jayega....(he said, keeping it on the table).

She sees it and gets emotional.

Haseena-yeh..kahan se mila aapko...(happy+emotional).

Anubhav-woh...

To be continued....

Upcoming- When She met His Sakhi.

◦•●◉✿🌼🌼🌼✿◉●•◦

So, this was the 31st chapter of the story of Agar Tum Saath Ho, if you like it then vote and comment and sorry for grammatical mistakes.

Dhanyavaad ✨❤✨

Continue Reading

You'll Also Like

200K 9K 23
__The Broken Souls__ A RiAnsh Story __COMPLETED__ Cover credit:- @awesomeshivu _Top Rankings_ #7 in iloveyou #1 in ihateyou #1 in withoutyou "Shivaa...
206K 31.5K 71
" kuch chize adhuri reh kar bhi pure hone ka ehsaas deti hai ....koi apka apna sabse kareeb jab dur chala jata hai to taklif hoti hai..dard hota hai...
361K 7.8K 45
"Mom, I don't know what the heck I'm doing... I'm going to marry my sister's fiancΓ©," I said, tears streaming down my face. "We can't do anything, be...
49.2K 3.5K 39
"Even you know Vivek our marriage is not normal, and it can never be one." I cried out to the person standing close to me while taking 2 steps away f...