BEAUTY AND THE BEAST

By Laziest_Writer

19.4K 1.8K 1.1K

He was a very cruel man before he met her. The ruthless, the devil, etc were his other names. But he was not... More

INTRODUCTION
CHARACTERS
GARUD - A MONSTER OF GOOD
THE GUTSY ADVOCATE
THE PAST AND THE FUTURE
THE OBSESSION
THE FIGHT
THE PAIN
GOING TO MEET HER
IMPORTANT
NOTHING ELSE!
TENSED FOR HER
HER HOME
RUDE BROTHER
WHY ARE YOU SO RUDE?
THE FOBIA
STAY AWAY
HE WAS NOT LIKE THIS
THAT DAY...
THE BRUTAL PAST
HE BLAMES HIMSELF
NAUGHTY NEIL
INSANE LOVE
TAKING CARE
THE TARGET
THE CLOSENESS
KAMYA OR AJEET?
THE CONFUSION
GOING AWAY
THE DOUBT!
THE JEALOUSY

THE MEETING

612 75 52
By Laziest_Writer

-------------

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*_*

Anubhav hurriedly goes to meet Haseena. His heart is beating faster. He doesn't know why! He is truly worried for her and her family. Maybe because she rescued his mother. As soon as he starts the car, his phone beeps. It's a message from Neil. He has sent him the address of Haseena's house. Anubhav looks at it and drives to his destination. His mind is filled with many questions and his heart is in fear.

"Yeh hume itni ghabrahat kyun ho rahi hain? Aisa lag raha hain ki kuch bura hone wala hain. Hume Haseena ji ki bahut chinta ho rahi hain. Unhone humari Maa ki jaan bachaai thi. Hume kisi bhi keemat par unki raksha karni hogi. Bakshi jaisa insaan unke saath kuch bhi kar sakta hain." He talks with himself. 

After half an hour, he reaches her house. He comes from the car and takes some steps towards her house's door. He goes in front of the door. He rubs his hands in nervousness. This is the first time when he is feeling nervous to meet someone. This is not his nature. He is a man of full confidence and boldness. But here, for the first time, his confidence is not working properly. Maybe because he and she fought with each other in their previous meeting. He said so much to her in the hospital. He is feeling guilty for that. Somehow he gains some courage and takes a deep breath. He is about press the doorbell when he hears the voice of a lady.

"Kaun ho beta, tum?" A old lady asks him.

He turns and looks at her. "Namaste Maa ji" He greets her and she smiles at him. He says further, "Woh... Hum... Hum Haseena ji se milne aaye the." He says.

"Haseena...?, Beta woh toh abhi ghar mein nahi hain. Kisi kaam se bahar gayi hain. Hum uski Ammi hain. Koi zaroori baat hain toh hume bata do, hum usse bata denge." Ammi states this.

He thinks in his mind, "Hum inhe bata de kya Bakshi ke baare mein? Nahi... Nahi, kya pata yeh bhi Maa ki tarah gehan chinta mein pad jaaye. Aakhir yeh ek Maa hain! Inhe batana sahi nahi hoga."

"Kanha kho gaye, beta?" He comes to his senses and she adds, "Agar kisi case ke silsile mein baat karni hain Haseena se tum uske daftar (office) ke kamre mein baith kar intazaar kar lo. Woh Bas aati hi hogi." 

He thinks a little and is about to say something but before that his eyes catch a red dot on Ammi's clothes. He looks here and there, and finds a man aiming a rifle at Ammi, from the terrace of the opposite building of Haseena's home. He quickly pulls Ammi while shouting, "Maa ji, sambhaliye..."

They tried to hide behind a pillar outside her house. They heard a bullet shot. Ammi screamed in fear. Anubhav takes his gun from his pocket and fires at the man. Two of them fired some bullets. Unfortunately, one bullet passes throw Anubhav's shoulder. He shouts in pain, "Ahhh." Ammi is so scared now. Anubhav again fires at the man. The man runs from there as one bullet hits his leg. 

At the same time, Haseena and Shivani come there on their scooty. They look at both of them and shout, "Ammi...", as they see blood stains. They run and come near them. 

"Yanha kya hua tha? Ammi aap thik toh hain?" She asks worriedly to Ammi and adds looking at Anubhav, "Aa...Aap? Aap yanha kya rahe hain?" 

He doesn't say anything as he is in pain. Ammi says in fear, "Woh sab baatein baad mein hoti rahengi, Haseena. Pehle hume inhe andar le jaana chahiye." 

They all come inside the home. Ammi makes Anubhav sits on the sofa. He is holding his shoulder tightly. She brings a first-aid kit and sits beside him. 

"Beta, tum apni shirt thodi si nikal do. Hume patti karni hain. Khoon bahut beh raha hain."

He looks at all of them. Haseena says, "Ghabrayiye mat. Hum aapko buri nazar se nahi dekhenge." He is shocked at her response.

"Haseena, yanha par kisi ko dard ho raha hain aur tu hain ki mazak kiye jaa rahi hain." Ammi roars at her. Haseena makes a pout and Ammi says to him in a loving tone, "Beta, tumne hume bachate hue yeh goli apne upar le li. Tumne hume Maa kaha tha naa! Phir Maa se kya sharmana? Hum patti kar dete hain. Khoon bahut beh raha hain." 

He agrees and removes his shirt. Haseena and Shivani look down. After doing the first aid, he wears the shirt and Ammi suggest to him, "Waise toh humne patti kar di hain. Par phir bhi tum ke baar doctor ko dikha lo toh achchha rahega, beta." He nods.

Haseena says to him, "Hum aapke bahut shukraguzar rahenge ki aapne humari Ammi ki jaan bachaai. Yeh ehsaan hum zindagi bhar nahi bhulenge."

"Isme upakaar kaisa? Aapne bhi toh humari Maa ko bachaya tha."

"Tumne inki Maa ki jaan bachaai thi, Haseena?" Ammi raises her eyebrows.

Haseena answers, "Ammi, yaad hain humne aapko kal bataya tha naa ki ek aunty ka road accident ho gaya tha aur hum unhe hospital le gaye the. Yeh unhi ke bete hain."

"Kya? Magar tune toh kaha tha ki woh bada khadus, akdu aur badtamiz hain. Yeh toh kitna seedha saadha hain. Sharafat chehre se tapak rahi hain iske. Aur tune toh bhar bhar ke buraai ki thi." 

Shivani laughs a little while AnuSeena looks at each other. Haseena is feeling embarrassed. 

"Yaar Ammi, kabhi toh soch samajh kar bola kijiye." She murmurs at herself. Diverting the topic, she asks him, "Waise a...aap, aap yanha kyun aaye the?"

"Hume aapse kuch baat karni thi. Bahut zaroori baat hain."

"Ji kahiye."

"Kya hum akele mein baat kar sakte hain?" he says in a little cold tone.

Haseena thinks in her mind, "Kanhi Ammi ne jo abhi humari pol kholi hain, uske liye hume kuch sunana toh nahi hain naa inhe!? Nahi nahi, banda utna bura bhi nahi lagta." She shakes her head and replies, "Haan, thik hain." 

Ammi and Shivani sense that matter is very serious.

**********

AnuSeena come inside her cabin. She says, "Kahiye, kya kehna tha aapko?"

He takes a deep breath, "Dekhiye, hume pata laga hain ki aap Ajeet Bakshi ke khilaaf koi case lad rahi hain. Aur aapke vijayi hone ke sambhavanayen bhi bahut hain."

"Haan. Toh?"

"Hum bas aapko sachet karne aaye the ki Bakshi bahut khatarnaak insaan hain. Woh aapko aur aapki Maa ko haani pahunchane ka purn prayatna karega. Aur hume koi sandeh nahi hain ki yeh vaar bhi ussi ne kiya hain aapki Maa par." 

Haseena thinks and understands that his talk has a correct point. She becomes tensed. The fear of losing her mother is raises in her heart. This time she is saved but what's next? How will she protect her mother from that demon? He will do anything for winning this case.

"Aap sahi keh rahe hain" she says but soon a question raises in her mind. She asks him, "Ek minute, aapko kaise pata ki hum koi case lad rahe hain aur woh bhi Bakshi ke khilaaf?"

He looks at her and answers after a few seconds, "Hum bhi ussi karya kshetra mein hain jisme Bakshi hain. Bakshi aur humare beech mein jyada banti nahi hain."

"Kisi ke saath bhi nahi banti hogi aapki" she says to herself in mind.

He continues, "Kuch contracts hume mile hain jiski Bakshi ko bahut avashyakta thi. Iss kaaran woh hume pasand nahi karta" he lost in some memories and says with reddened eyes, "Usne hume bhi bahut saare ghav diye hain. Bahut kuch khoya hain humne uske kaaran."

Haseena notices the pain in his eyes. He looks at her and says, "Iss liye hum aapko savdhaan karne aaye the. Humari baat ko gambhirta se sochiyega. Aaj toh humne aapki Maa ko bacha liya parantu kal kya hoga?"

"Aap sahi keh rahe hain. Hum complaint likhayenge uske khilaaf. Hum chahe kitni baar bhi aapka shukriya kare woh kam hoga."

"Aap baar baar humara dhanyawad karke hume sharminda mat kijiye. Yeh toh humara kartavya tha. Jaise aapne humari Maa ko bachake apna kartavya nibhaya waise hi humne bhi."

"Ek aur sawal puchhe aapse?"

"Ji"

"Aapke paas yeh gun kaise?"

"Vyapari log hain hum. Jeevan par sankat kabhi bhi aa sakta hain. Iss liye hume yeh bandook rakhni padti hain" he says normally and quickly adds with a tone of explanation, like a student, "Licence hain humare paas. Gair kanooni tarike se bandook nahi li humne. Aur aaj tak humne ek bhi goli nahi chalayi. Aaj pehli baar tha. Sachchi!"

"Relax, relax... Aap toh aise safaai de rahe hain jaise hum aapse police walon ki tarah puchhtachh kar rahe hain. Humne aise hi puchh liya tha. Magar aapke maathe par paseena paseena aa gaya."

"Jhuth bolenge toh paseena paseena toh ho hi jaayenge naa...!" he murmurs.

"Waise aapko humare ghar ka pata kaise chala?" she again asks a question.

He gets frustrated by her one-by-one questions. He thinks in his mind, "Kya karna hain yeh sab jaankar inhe? Jo mahatvapurn baat thi woh toh humne bata di naa! Uss par vichar karne ke bajaaye humse hi prashnottar khelne mein lag gayi. Aur upar se keh rahi hain ki aise hi puchh liya, police walon ki tarah puchhtachh nahi kar rahi hain. Wakeel ke har ek gunn hain inke paas. Kisi baat ke jad tak gaye bina chup hi nahi hoti!"

She is waiting for his answer. But before he can reply, Ammi shouts from outside, "Haseena, tere liye ek zaroori phone aaya hain."

They both look at each other and go outside. 

**********

Haseena takes the phone, "Hello"

"Ajeet Bakshi bol raha hoon, Haseena Malik. Tumhari ke liye ek surprise bheja tha aaj. Suna hain kisi ne bacha liya tumhari Ammi ko marne se. Waise na bachata toh bhi kuch fark nahi padta. Kyun ki mera iraada tumhari Ammi ko maarne ke nahi tha. Woh kya hain naa, main pehle logon ko warning deta hoon. Lekin sirf ek baar. Agli baar tumhari Ammi nahi bachegi. Iss liye keh raha hoon ki iss case se pichhe hat jaao warna..."

Haseena's anger goes at its peak. She is about to say something but looks at Ammi. She doesn't want to make her mother disturbed. So, she stays quiet and cut the call.

"Kiska phone tha beta?" Ammi asks.

"Kuch nahi Ammi, woh ek case ke date batane ke liye phone kiya tha."

"Tu aur tera kaam! Dekh Haseena, tu chahe hume kuch na bata par hume pata hain ki aaj jo kuch bhi hua hain naa, woh tere kisi case ke chalte paida hui dushmani ka natija hain. Yeh pehli baar toh nahi hain ki tujhe koi dhamki mili ho. Samjha samjha ke thak gaye hum ki band karde yeh jhansi ki raani ban-na!"

"Ammi yaar..." 

Her words cut by Anubhav, "Dekhiye Maa ji, yeh aapke ghar ka mamla hain. Hum koi nahi hote hain beech mein bolne wale. Parantu phir bhi ek baat kahenge. Aapko toh garv hona chahiye apni beti par. Bahut kam log hote hain jo himmat dikhakar anyay ke viruddh ladte hain. Aapki beti bhi unme se ek hain. Aapko toh inki himmat badhani chahiye, na ki inhe aise daantna chahiye. Kshama kijiyega agar hum kuch adhik bol gaye toh. Hum chalte hain. Namaste!" He joins his hand and leaves from there. 

Haseena goes behind him. They are outside her home. She calls him, "Suniye"

He turns and says, "Dekhiye, agar aap phir se dhanyawad kehne aayi hain toh hum aapko batade ki humare kaan pak chuke hain aapka dhanyawad sun sun ke."

"Nahi..., hum thanks kehne nahi aaye the."

"Phir?"

"Hum toh aapse maafi maangne aaye the."

"Maafi? Kis baat ki?"

"Woh kal humne aapse bahut badtamizi se baat ki thi naa hospital mein, uske liye."

He looks down and says, "Hum bhi kshama chahte hain, humare kal ke durvyavahar ke liye." She smiles a little and he says, "Ek aur baat Haseena ji, police mein shikayat karne ke baad bhi aap savdhan rahiyega. Bakshi bahut hi shatir aadmi hain."

"Ji. Thank you once again Mr..." she stops as his name is unknown to him.

He looks into her eyes and says in a soft tone, "Anubhav Singh"

"Anubhav..." she whispers.

He sits in the car and goes while she gazes at his car with a smile until the vision gets vanished from her view.

*_*_*_*_*_*_*

TADAA
CHAPTER OVER.
===========================

HOPE YOU GUYS ENJOYED THIS CHAPTER.
IF I DID ANY MISTAKE THEN PLEASE FORGIVE ME.
===========================

Anubhav saved Ammi and also warned Haseena. But somewhere he is still concerned for her.

What is the next step of him?

~~~~~~~~~

UPCOMING:- Anubhav do something for their safety.
============================

THANK YOU
TAKE CARE
BYE-BYE.



Continue Reading

You'll Also Like

20.8K 3.2K 22
"Sab kehte h ki mujhe tumse dur rehna chahiye" I said still trying to normalise my breaths as I just reached this place , she sensed my presence , bu...
17.1K 2.7K 13
'Haseena Mallik' was a name which everyone in lucknow knew. Most eligible Bachelorette and The SHO of Mahila Police Thana at Janpad, Lucknow and also...
9.1K 559 9
The story would be after Anubhav returns from the mission. Haseena does not forgive him or will never trust or love him. Anuseena fans please don't k...