Galwakdi -- The Hug Of Love.

By MKS512

989 56 0

Dev, a librarian, is super strict and ruled person and has Obsessive compulsive personality disorder (OCPD)... More

Ek Nayi Kahaani.
Characters.
Meet Dev And Sonakshi.
Asha Meets Sonakshi.
Dev Lashes Out At Sonakshi.
A Date With......
His Fear.
Dev Misses Sonakshi.
Dev To Confess His Feelings.
Epilogue.

Growing Friendship.

60 4 0
By MKS512

Vikky- Na jaa yaar!! Na ja please chhod ke.

Sonakshi comes from behind.

Sonakshi- haaye ni!! Nahi jaati. Kyun emotional ho rahe ho??

Vikky (seeing sonakshi)- teri wajah se thodi emotional hoon mai.

Sonakshi- phir?

Vikky shows elena's picture to sonakshi.

Sonakshi (teasingly)- Aaye!!!! Aadhi baat toh mai samajh gayi hoon. Tera phone nahi utha rahi na?? Haina?? Baaki baat tu samjha.

Vikky- baaki kya??

Sonakshi- ke phone kyun nahi utha rahi.

Vikky- Yaar mujhe kya pata. Mai toh khud pareshaan hoon.

Sonakshi- listen. Jyada na smart matt bano. Bata dogey toh koi pakka solution hi doongi.

Vikky- Annnnnn!!!! Hhh.... annnnnn!!!

Sonakshi- arrey!! Kya hua??

Vikky- mujhe kehti apne bhai se shadi ke baare mein baat kar. Mujhe darr lagta hai bhai se. Woh mujhe overtime toh lagaane nahi dete, sehra zaroor lagaane dega. Annnnn!!

Sonakshi- yaar ek toh mujhe tumhare bhai ki samajh nahi aati. Sabko dara ke kyun rakha hua hai?? Chal. Hum teri AG OG se mil ke aate hain. Chal. (Pointing towards the bike) Yeh bike pe chalein??

Vikky- nahi nahi. Iss pe nahi jana. Yeh bhai ki hai. Na khud chalaate hain, na kissi ko chalaane dete hain.

Sonakshi- amm hmm. Chal theek hai. Waise number de uss ladki ka. Hum mil ke aate hain. Chal chal chal.
_____________________

Vikky- yaar sab kuch tere haath mein hi hai. Ek baar mere wali mana ke de de, phir nahi mai kahin jaane deta.

Sonakshi- yaar, tu itni tension kyun le raha hai?? Tu aane de ussey. Tu dekhna, kaise tere aage peechhe ghoomti phiregi.

Just then elena came there.

Vikky (whispers to sonakshi)- aa gayi aa gayi.

Elena was confused seeing an another girl with vikky.

Vikky- hi!!

Elena- hi.

Sonakshi- hi!!!

Elena- hi.

Sonakshi- mai Sonakshi. Maine aapko call kiya tha.

Elena- oh.

Sonakshi- baitho.

Elena sat with them.

Sonakshi- Actually, aapse ek baat karni thi. Yeh jo vikky hai na. Yeh mujhse shadi kar raha hai.......

Vikky's smile turned into shock. Even elena was shocked.

Sonakshi- .........Mai iss se shadi kar rahi hoon. Actually hum dono ek dusre se shadi kar rahe hain. You are invited han, please come.

Elena- hhhhhh!! OMG!! (Holds vikky's collar) Tum shadi kar rahe ho??

Vikky- n..... nahi!!!

Elena- tum dhokhebaaz ho. Tum toh keh rahe the ke tumhara bhai maan nahi raha, toh phir iss marmadi sookhi haddi ke liye kaise maan gaya?

Vikky (scared)- Sonakshi, issey sach bata de, ke tab bataayegi jab iss ne mujhe police ke hawaale kar diya.

Sonakshi laughs and gets vikky released from elena's hold.

Sonakshi- sorry sorry. Mai mazaak kar rahi thi. Sorry.

Vikky sighs in relief.

Sonakshi- yaar mujhe tumse yeh baat karni thi ke please, vikky se baat karni matt band karo. Yeh tumhe bahut pyar karta hai.

Vikky- mai tere bina mar jaaunga.

Sonakshi- sssss!! (Gritting her teeth, to vikky) Mai baat kar loon?? (To elena) Dekho, isske bhai ko hum samjha leinge. Tum bas apne gharwalon ko rok ke rakho. That's it.

Elena becomes happy.

Sonakshi- in case, gharwale nahi maane. (Elena listened carefully) Call kar dena. Nikaal ke le jaaeinge.

Elena was super happy.

Elena- sachchi!!!!

Sonakshi- chalo galey milo ab.

Vikky lept towards elena to hug her. Sonakshi stops him.

Sonakshi- yeh bhukhe insaan ki tarha kyun jhappi daal rahe ho?? Pyar se. Pyaar se jhappi do.

Vikky- Kumar Sanu type?? (To elena) hey hey.... haaaannn.
______________________

Library....

Gabbar looks around to confirm that Dev was not around. Once he was sure, he went to Merry.

Gabbar- Merry, tum mere jazbaat kyun nahi samajhti?? Mujhe toh angrezi bhi nahi aati, mai tumhe samjhaun kaise?? Pata nahi kisne keh diya ke pyar ki koi bhasha nahi hoti. Meri toh bhasha bhi tujhe samajh nahi aa rahi.

Merry- I'm sorry Gabbar, I don't understand.

Gabbar- arrey sorry matt bolo. Mai tumhare saath phere lena chahta hoon. (Merry was confused) you know, I, you, round round. I love you Merry.

Merry- awww!! I love you too.

Gabbar (Hitting his forehead with his palm)- hey bhagwaan!! Har kissi ko I love you?? Mai tumhe dusra love you keh raha hoon. Mai tumhe galat nazar se dekh raha hoon. Galat nazar se. Mai tumhare saath phere lena chahta hoon, shadi karna chahta hoon.

Just then, Dev came there and saw Gabbar.

Dev- Gabbar!! Tumhe apne colleague se behave karne ki akal nahi hai?? Aaj ke baad mujhe tum yahaan khade nahi milne chahiye.

Just then Sonakshi and Vikky came there. Sonakshi, seeing dev, was going towards him, but vikky stops her.

Vikky- sonakshi, meri baat maan. Hum yahaan se laut jate hain. Kahin bhai yahin meri dhulaai na karni start kar dein.

Sonakshi- yaar tum kyun darr rahe ho?? Aaj tumhare bhai ne mujhse sorry kaha hai. Tum dekho kaise darta hai mujhse. Tu ruk.

Vikky- sonakshi, meri baat maan le..... (Sonakshi, without listening, went from there) Marwaaegi tu!!

Sonakshi goes to dev.

Sonakshi- Hello Dev.

Dev was confused seeing sonakshi. He then looked towards the entrance. Vikky who was standing there, immediately hides, but dev saw him.

Sonakshi- mujhe tumse ek baat karni thi.

Dev- Bolo.

Sonakshi- umm.... personal baat hai. Bahar chal ke baat karein??

Dev- yes. Bahar toh jana chahiye, par mujhe nahi. Aap dono ko. Bcoz mai library ka time bahar ja ke kharaab nahi karta.

Sonakshi- theek hai. Nahi jaate bahar. Yahin baat karte hain.

Dev was still glaring sonakshi, when suddenly Gullu's voice came.....

Gullu- O Sundar!! Jab Rani tujhe smile de rahi hai toh tu ussey bula le. Kyun akad dikha rahe ho?? Mauke baar baar nahi milte. Samajh!!

Saying this, Gullu hits the table with his fist. He was reading his novel. Everyone was looking towards him. Sonakshi was trying to control her laugh.

Dev- Mr. Gullu. Aap library ka discipline bhang kar rahe hain. Already 2 baar kar chuke ho. Par agar ab aap loud boley toh humein majbooran aapko library se bahar bhejna padega. Aur discipline bhang karne wale mujhe bilkul pasand nahi. (Looking towards sonakshi) Right??

Saying this, dev leaves. Sonakshi rolls off her eyes. She then saw Gullu staring at her. She gave a forced grin to him and leaves stomping her feet.

Vikky- Bas?? Ho gayi tasalli?? Sonakshi meri baat sun le, hum kheer banaate banaate kahin doodh se bhi haath na dho baithein.

Sonakshi- Yaar, tumhara bhai bhi na atom hi hai. Koi baat nahi. Tum dekhna, issey bhi vash mein karte hain. Tum ruko.

Vikky (scared, leaving the library)- Aaja!!!

Both Sonakshi and Vikky leave from there.
_______________________

At night.

Dev was reading a book, sitting in his room. Just then, the door opened.

Sonakshi- Mai andar aa sakti hoon??

Dev- Hmm.

Sonakshi comes inside and looks around the room. She started picking up things and seeing them. Dev immediately gets up and goes near her. His OCPD was overpowering him, but he was not able to do anything except tapping his fingers impatiently. He stood near sonakshi with his hands at his back.

Sonakshi- aapne mere kamre ke bahar sorry likha tha??

Dev- Y.... Yes, likha tha.

Sonakshi (keeping back the decorative piece and going to the other side)- Par maine maaf nahi kiya.

Dev immediately sets it, whereas, now sonakshi had picked up another decorative piece.

Dev (looking towards sonakshi through corner of his eyes)- Matlab??

Sonakshi- matlab, agar aapka worker galti kare toh saza aur agar khud galti karo toh sorry keh ke bach gaye.

Sonakshi gets up and moves towards the other side and pick other things.

Dev- Galti tumhari bhi thi. (Going towards the side sonakshi just left and setting things) Par phir bhi agar tum saza dena chahti ho toh tum de sakti ho.

Sonakshi- Doongi. Zaroor doongi, kyun nahi doongi?? Par, time aane pe. Abhi mujhe kuch soojh nahi raha.

Dev stood near sonakshi.

Sonakshi- Mujhe ek baat bataao, aap pakke taur pe bed ki (pointing towards right side of the bed) iss side pe sote ho Right??

Dev- yes. Tumhe kaise pata??

Sonakshi- tukka maara tha. Sahi padh gaya. (Laughs at her own statement) waise, aap apna kamra kaafi organise kar ke rakhte ho.

Sonakshi again started moving the decorative pieces which dev had just set. Dev was tapping his fingers impatiently.

Dev- mujhe khilara bilkul pasand nahi.

Sonakshi- par khilara bhi toh ek tarah ka design hi hota hai na.

Sonakshi picks up dev's diary, but he immediately snatched it back. Sonakshi raised her hands in surrender.

Sonakshi- padhlo padhlo. Sorry tumhe disturb kiya. (She was about to leave, but came back again) Waise ek baat kahun?? Aap likhte bahut achha ho. (Moving more towards dev) Carry on. (Sonakshi again stepped ahead, dev stepped back. His breaths hitched.) Aane wale time ke Star banoge.

Dev (with his breath hitched)- Th.... Thank you thank you.

Sonakshi- ok tata. (Going near the door) Par maine maaf nahi kiya.

Saying this, sonakshi leaves. Dev immediately keeps the diary on the table and sets the decorative pieces as they were before. Doing that, he stepped back, sighed and looked at his setting. Just then, the door again opened. Dev was startled. Sonakshi again enters, picked up a table clock and saw the time. And kept it back. Dev was confused.

Sonakshi- Good night kehna tha. (Sweetly) Good night!!

Saying this, she leaves. Dev immediately sets back the clock, whose position was changed by sonakshi. Unknowingly, a small smile crept on dev's face.
_______________________

Next Morning. Green View Park.

Dev was jogging. On the other side, sonakshi and dev's family were exercising. Dev saw this, but without reacting leaves.

Sonakshi- yeh toh dekh hi nahi raha. Chalo bhaago. Bhaago bhaago.

Everyone ran behind dev. Asha was running, as if she was P.T. Usha. Soon, she overtook dev. Dev was shocked cum confused seeing this. Just then, sonakshi came besides dev.

Sonakshi- Excuse me.

Seeing sonakshi, dev removed his earphones.

Sonakshi- sir, kya mai aapke saath bhaag sakti hoon??

Dev (shocked)- What!!!

Sonakshi- A.... i mean running. Jogging se thoda fast wala.

Dev- nahi actually mai abhi warm up kar raha hoon.
.
.
.
Here, at the back, Bejoy was huffing badly. Vikky yes jogging with Bejoy's speed, in order to assist him if needed.

Bejoy (huffing)- Vikky beta, meri almari ke locker mein ek file padi hai. Iss se (dev) chori, property khareedi thi. Mere baad sambhaal lena woh.

Vikky- arrey kuch nahi hoga taya ji. Honsla rakho, bhaag lo. Paer vaer ghaseet ke bas meri shadi dekh lo. Phir bhale hi.........

Bejoy (angry cum shocked)- Phir bhale hi kya???

Vikky increased his speed and ran to save himself.
.
.
.
.
Dev- par mujhe achha laga. Tum aaj yahaan exercise karne aayi, meri family ke saath. Good.

Sonakshi- Aapki family ke saath?? Mai aapki family ke saath nahi aayi, aapki family mere saath aayi hai.

Dev was confused.

Sonakshi- ek baat bataun?? Yeh saare aapse jhooth bolte hain. Koi ghar se nahi nikalta, hilte nahi hain.

Dev was shocked cum angry.

Sonakshi- gussa kyun kar rahe ho?? Aaj toh aaye hain na. Aap fikar matt karo. Dheere dheere humne sab fit kar dene hain. Dekhte jaao.

Just then, sonakshi laughs seeing something. There, Asha threw herself on the a bench, all tired and exhausted.

Sonakshi- Woh dekho. Fit ho rahe hain. *laughs*.
_______________________

Bejoy- yeh ludo ka naya version hai??

Vikky- haan ji.

Bejoy- Mujhe lagta hai main issi liye haar raha hoon.

Vikky (knowingly)- achha!! Aur nahi kuch??

Everyone, of course except Dev was playing ludo on the tab.

Vikky (to Asha, who was cutting vegetables for dinner)- Taayi ji, idhar taya ji ko aap maar rahi ho, (of course in ludo) mai kehta hoon, kaat do, ragad do, masal do.

Bejoy- tujhe bolne ki akal nahi hai??

Vikky- maine kya kaha??

Bejoy- yeh kya hota hai?? Maar do, kaat do, ragad do??

Vikky- arrey mai dice ki baat kar raha hoon.

Bejoy- phir aise bol na ke dice ragad de. Taya ji ko ragad do, yeh kya baat huyi??

Vikky- lo kar lo baat.

Sonakshi- uncle ji, turn chalo.

Dev, who was reading a book sitting in the garden adjoining the drawing room was getting disturbed.

Dev- aap log thoda shor kam karoge? Koi paas baitha padh raha hai.

Sonakshi- aa jaao. Aap bhi kabhi parivaar mein baith jaya karo. Hass khel liya karo humaare saath bhi.

Dev- nahi actually mujhe nikalna hai thode time mein. Waise hi meri aap logon se thinking nahi match karti. Na aapki baatein healthy hain, na aapke jokes healthy hain. Mujhe jana hai apne friend ke paas, achha time spend karne, aur HEALTHY talk karne.

Sonakshi- hmm. Hum bhi chalte hain saath. HEALTHY baatein seekh leinge.

Dev (not sure about his answer)- umm.... chalo.

Sonakshi was happy.

Vikky (in low voice)- Sonakshi, tu ghar pe hi theek hai. Tujhe nahi pata bhole panchhi ke tu kahaan jaane ki bhool kar rahi hai.

Sonakshi (to dev)- Yeh vikky keh raha hai ke ussey bhi jana hai.

Vikky glares sonakshi.

Vikky (to sonakshi)- maine kab kaha?

Dev- theek hai phir. Sahi 7 minute mein gaadi mein hone chahiye tum dono.
______________________

A man was watering his plants. Soft music was being played in the background. He was a 50 year old man Gulbahar, whom dev was calling his friend.

Gulbahar- asal mein achhe jeevan ka sarv-uttam niyam hai santulan, jo humein kudrat ne sikhaya hai......

Sonakshi and Vikky were sleeping (not fully sleeping, but not even awake as well) while sitting on the sofa.

Gulbahar (cont.)- par hum itne na-sukhre ho gaye hain ke kudrat ka shukriya kabhi nahi karte. (To dev) Dev, my friend, tuney woh kitaab padhi hai??

Dev- kaunsi ji??

Gulbahar- Ruk. Mai dikhaata hoon.

Gulbahar brings a book and gives it to dev.

Vikky (to sonakshi, in low voice)- Sunn le healthy talk. Tujhe hi aag lagi thi na yahaan aane ki.

Sonakshi (in low voice)- mujhe kya pata tha ke itna bore kareinge. Yeh toh hass hi nahi rahe.

Gulbahar looks towards Sonakshi and Vikky. He had heard sonakshi.

Gulbahar- Dev, mujhe ek hassi wali baat yaad aa gayi.

Sonakshi became attentive hearing Gulbahar speaking "Hassi wali baat". She immediately wakes up vikky.

Sonakshi- vikky, hassi wali baat!!!

Vikky also became attentive. Both, along with dev, were listening to Gulbahar very keenly.

Gulbahar- Newton ka ek bahut hi param mitra (friend) tha, jaise Dev, hum fast friends hain.

Dev- hmm.

Gulbahar- ek din usske mitra ne puchha ke tuney gravity ka adhyaan kaise kiya??

Everyone was keenly listening to him. Vikky and sonakshi were hell excited to know the answer.

Gulbahar- pata ussne kya jawaab diya??

Vikky and sonakshi- kya??

Gulbahar- Seb ko girta dekh kar.

Vikky's smile turned into a big frown, but dev was laughing as if it was world's funniest joke. Even sonakshi didn't know that she should laugh or cry, hence she gave a crying laugh.

Dev (to sonakshi)- yeh hote hain healthy jokes.

Sonakshi gave a wide forced smile to dev and made an irritated face at vikky (irritated at Gulbahar.)

Sonakshi (in low voice)- Yeh joke tha? Vikky, so ja bhai. Hum phas gaye hain.

Gulbahar (to sonakshi and Vikky)- Beta, chaay piyoge??

Vikky- pee leinge ji.

Gulbahar- Phir aise karo, beta, rasoi mein ja ke chaay bana ke laao.

Vikky- Mai??

Dev signs vikky to go and make tea, but sonakshi holds his hand.

Sonakshi- A..... uncle ji humein chaay banaani nahi aati.

Gulbahar- nahi aati!!??

Sonakshi- ji. Sorry.

Gulbahar- chalo, koi baat nahi. Mai aaj aap logon ko organic chaay pilaata hoon. Theek hai?? (To dev) Tum tab tak yeh book padho.

Dev- ji.

Gulbahar leaves. Dev reads the book. Vikky angrily hits the cushion on the sofa.

Sonakshi- chalo chalein.

Dev was not at all listening.

Sonakshi (little loud)- Chalo chalein!!

Dev- abhi toh mai kitaab padh raha hoon.

Sonakshi (taking a seat near dev)- maana ke kitaab padhna bahut zaruri hai, par iss kitaab mein jo likha hai, woh toh aise hi rahega na, chahe kal padh lena. Par jo aaj hai na, woh kal nahi hoga. Aap humare saath chalo, aapko ek nayi kitaab ka experience ikattha karne ko milega. Aur waise bhi, kitaab bhi toh kissi ka tajurba hi hai na. Hai ke nahi?? Waise asool toh yeh banta hai ke hum aapke saath aaye the, ab aapko humare saath chalna chahiye, par agar aap aadmi hi be-asool ho toh phir baat aur hai.

Dev immediately looks towards sonakshi.

Dev- Gulbahar ji, humare liye chaay matt banana.

Gulbahar- chalo theek hai. Waise bhi ghar par doodh khatam tha.

Dev (to sonakshi)- Chalo.
____________________

In the car.....

Dev- hum ja kahaan rahe hai?? Mere khaane ka time hone wala hai. Mujhe lagta hai humein ghar jana chahiye.

Sonakshi- tumhe best jagah pe le ke jaaungi. Tum chalo toh sahi.

Dev- tumhari best jagah pe mere khaane ko kuch mil jaayega??

Sonakshi- sab milega. Tum chalo toh sahi. Tum khud kahoge ke "Yeh kahaan le aaye!!"







Precap:- Dev goes on a date with.......
.
.
.
.
.
And..........

Kuch kuch ho gaya.

Continue Reading

You'll Also Like

2.3K 287 6
PREERAN AUR UNKI DASTAAN!✨
9.4K 1.2K 13
Continuation of my TS, 'Married in Minutes'✨
36.5K 3.4K 77
it's clg love story,but not a typical clg love story, what's the exact story? uske liye read karna padega ??
3.4M 143K 60
The story of Abeer Singh Rathore and Chandni Sharma continue.............. when Destiny bond two strangers in holy bond accidentally ❣️ Cover credit...