छल/CHHAL(Mission Behroopiya )

By CoolWeAre

24.6K 1.7K 400

Anubhav died ,Mission is over ,Karishma knows the truth but is Karishma Fine ? Especially after what happened... More

AMMI IS BACK
Ab sehen nahi hota
Kareenav
Coffee (Anuseena )
Coffee (Kareena )
Note
Anushma
Revelation
Khafa
Who is he ?
Reunion
Shaadi !?
Accident
A spark of jealousy
Jealousy
Am I jealous?
Blunder

Kyun ?

1.1K 88 40
By CoolWeAre

So chapter shuru hone se pahle ye bataaiye ki aap sabko Maddam sir mein kaun sa bond sabse achha lagta hai and ye baat ki aapko Kareena jyada Passand hai ya Anuseena ....khair mujhe to dono hi passand hai but still wanted to know ki is FF ke readers kiske fan hai

Note - i am just asking ki aapko personally kya jyada Passand hai it really doesn't mean ki mai ye puch rahi hu ki kaun sa character ya bond behtar hai hope you all will understand 😅
_________________

"Hello" HM said in a voice filled with excitement as soon as Karishma picked up the call

"Hmm achha hua maan gaye sab vaise jyada mushkil to nhi hui inhe manaane mein ,kyun? " Karishma asked

HM - Jyada to nhi aur humaara aadha kaam to Saumitr ne hi kar diya tha ....ek minute Aapko kaise pata sab maan gaye ? baat hui kya aapki kisi se thaane mein ?(HM said by being a little amused )

Ks- Ama kisi se baat nhi hui hai humaari uu ka hai na aapko pata nhi hai par hum Antaryaami hai

HM - Antaryaami (she rolled her eyes )chaliye ab sahi mein bataaiye aapko kaise pata chala ?

KS- arre MS aapne jab Hello bola na to aapki awaaj mein jo khushi thi na usi se samajh gaye hum ki aapne sabko mana liya vaise bhi aap agar koi emotional speech suna dein to kis mein itni majaaal hai ki aapko maaf nhi karega

HM - emotional speech nhi thi vo ,bas humaare dil ke jazbaat the jo aaj hum lafzon mein bayaan kar gaye

KS- sadharan bhasha mein use emotional speech hi kehte hai, vaise ye Saumitr ne ka kiya ?

HM told her everything what Saumitr did

KS- ama thank you to bolna banta hai use

HM - bola tha par pata nhi kis baat ka itna bhaav kha raha tha vo Khair us ajeeb aapdmi ki baat nhi karni humein aap ye bataiye ki aapko kaise pata ki humne emotional speech hi di ?

KS- ama kaha to humne ki hum antaryami hai

HM (smiling ) haan haan badi aayi Antaryaami ,itni hi antaryami thi to ye kyun nhi pata laga liya aapne ki hum hi Urmila hai ?

Karishma's face became pale and the small smile lingering on her lips vanished and Haseena sensed that she touched the wrong chord when Karishma didn't answer

HM (being a little worried) - Karishma Singh humaara vo mtlb nhi tha hum to bass mazaak kar rahe the .....aur vaise bhi aapse behtar humein kaun samajhta hai aur aapki vo telepathy hai na us se humaare dimaag mein kya chal raha hai ye pata lagaane mein aapko kitna hi vaqt laga hoga

KS -(trying to sound happy ) H...ha v....vo to hai MS aur ab itna to hum andaaza laga hi sakte the ki aapne kya kiya hoga un sabko manaane ke liye (trying to laugh but failed miserably)

HM- Karishma Singh aap theek hai na ?

KS- h...ha MS h...humein ka hoga ?

HM - Karishma Singh ek baat puchni thi aapse,puchein ?

KS- ha boliye na MS beshak boliya permission kaahe maang Rahi hai

HM - KS ye sab to maan gaye par aap .....aap kya sachmuch humse zara bhi khafa nhi hai ?aapne sach mein maaf kar diya humein?

KS-......h...ha MS jab hum keh rahe hai ki aapki koi galti nhi to maafi kaahe maang rhi hai aap ?

HM- pata nhi Karishma Singh humaari galti hai ki nhi par itna tay hai ki kahi na kahi hum aapke gunehgar hai ,kitna dard diya hai humne aapko ( her eyes glistened remembering all the pain and suffering of Karishma)

KS- (wiping a lone tear formed at the corner of her own eye and trying to smile ) arre MS aap Jada load mat lijiye hum ekdum chauchak hai abhi .....aap ye bataiye khaane mein kya bheja tha ammi ne ?

HM - Kalakand bheja tha par dukh ki baat ye hai ki aapko nhi mil paaya aap ghumne jo nikli hai baahar

KS- ghumne nhi nikle hai case solve karne nikle the, mtlb dimaag kharaab ho gaya tha humaara ee case solve karne mein uske baad yaha naake pe duty lagwa di humaari aur paas hi mein bar hai to abhi tak 3 drunk driving ke case mil chuke mtb maiiyya Kasam Mann to kar raha hai na inko aisa sabak sikhaya ki Sharaab pi ke gaadi chalaana to door sharab ko haath bhi na lagaaein (she said angrily )

(ab raha hoga kuch case mera mann nhi hai itna dimaag laga ke ye bataane ka ki kaun sa case hai bass jo bhi case hai uske baarein mein HM ko pata hai )

HM- KS aap sabse pahle to shaanti aur saiyyam se vaha ka maamla sambhaaliye aur fir aaiye yaha pe kaafi der ho gayi hai vaise bhi

KS- lijiye ho gaya inka shaanti aur Saiyyam ka gyaan shuru (she said rolling her eyes )

HM - achha nhi dete hum koi gyaan aap bass apna dhyaan rakhiye aur ha aapka kalakand nhi khaaya hai humne aake kha lijiyega (she said smiling and hearing this Karishma smiled too)

Just then Haseena heard a voice from Karishma's side ,voice of man shouting loudly

HM- Karishma Singh kya hua ?

KS- MS hum aapse thodi der mein baat karte hai rakhte hai

HM- par Karish...(Karishma hinged up the call )

__________
At Karishma's side

A man who seemed to be intoxicated was standing near the bridge and shouting

Man- Kyun Diya dhokha tumne mujhe ,kyun ? Tumhaare iss dhokhe ke baad ab mere jeene ka koi matlab nhi mai ja raha hu iss duniya ko chhod kar !

He was going to jump from the bridge but Karishma pulled him behind

KS- ama topa ho ka tum jaan kaahe de rahe ho apni ?

Man- jaan ....jismein jaan samaati thi meri usne dhokha de diya mujhe ab mere jeene marne se kya farak padta hai

KS- humko nhi pata ka farak padta hai par itna pata hai ki humaare rehte tum apni jaan nhi doge

Man- jaan to mai deke rahunga chaahe aap jo kar lein (he said while trying to escape from Karishma's grip and jump from the bridge )

KS- theek hai aise nahi manoge to fir chalo humaare saath thaane

_____________

KS entered in the thana along with that Man holding him from collar

Everyone gathered there hearing the voice of Karishma and the man who was continuously blabbering that he wanted to give his life

HM - KS ye kaun hai aue yaha kyun laayi hai aap ise iss tarah

KS- ka karte MS jaan Dene ja raha tha apni

PS- arre ye kya baat Hui jaan kyun dene ja rahe the bhai tum apni ?

Man- kyunki jiss insaan se mai sabse jyada pyaar karta tha usne mujhe dhokha diya ,pata hai vaada kiya tha usne kabhi saath nhi chhodegi mera ,Chot mujhe lagti thi aur pareshaan vo ho jaya karti thi ,aankhon mein pyaar dekha tha maine uske par achaanak se pata chala ki usne to kabhi mujhse pyaar kiya hi nahi vo to sirf Natak karr rahi thi ,chhod ke chali gayi mujhe ye keh kar ki usne kabhi mujhse pyaar kiya hi nahi

Haseena's heart felt as if someone pricked her heart ,as if someone refreshed her wounds and a wave of immense pain along with a bit of anger travelled inside her

HM - jaante hai hum aapko abhi kaisa lag raha hoga ,jaante hai dhokha khaane par kaisa lagta hai ,jaante hai uss vaqt kya beet ti hai khud par jab ye pata chalta hai ki jiss se aapne beintehaa mohobbat ki vo to kabhi aapse pyaar karta hi nahi tha sirf naatak kiya usne ,sirf naatak (she took a long breath trying to hold herself up while AS who knew from what pain HM was going through clenched his fist tightly trying to control his emotions and hiding the pain which was visible in his eyes behind his goggles )

KS was also feeling a flow of anger and pain flowing across her veins

KS(clenching her fist tightly ) naam batao uss ladki ka abhi jaakar usse sabak sikha kar aate hai ki kisi ki bhaavnaao ke saath khilwaad karne ka anjaam kya hota hai

PS- KM shaant shaant

KS- Kaahe rahe hum PJ shaant kaahe ? bataiye aap ? ka haq hota hai in logon ko dhokha dene ka kisi ko ,ek chhad ke liye bhi ye nahi sochte ka ki saamne vaale pe ka guzregi ye jaankar ki jo vyakti uske liye itna jaruri tha usne hi use dhokha de diya (she said angrily while her voice became heavy due to the ache inside her heart )

AS just looked at her angry sister helplessly ,he knew how much she loved her country and how much she loved her Madam sir and he himself broke Haseena twice unwillingly and once unknowingly ,he knew that he was her role model once but now ,now he was just a betrayer for her and it hurt him to the core ,he was being called traitor ,a person who btrayed his own country ,the country which was ,is and always will be the most important thing for him in this whole world .....burying all his pain deep inside his heart he spoke

AS- dekhiye humaara Anubhav ye kehta hai ki .....(he looked at everyone who were staring at him except Haseena who was looking away and Karishma who closed her eyes to control her tears and anger )

SS- vo Saumitr ji ......

AS- vo maaf kariyega bhul gaye ki humein Anubhav shabd ka prayog nahi karna hai

HM- ji nahi uski koi jarurat nahi hai aap bol sakte hai ,har shabd ki tarah ye bhi ek shabd hi to hai kya farak padta hai (she closed her eyes trying not to break down but on the other hand she broke someone ,someone who was till now trying his best not to allow his heart to scatter into peices ,he realized how much she hated him ,though she was nowhere at fault but the fact that not even his name matters for them pierced his heart )

AS- I.......inhe abhi sula dete hai kal subah baat ki jaaye kyun?

HM just nodded

HM- (emotionless) KS hum ghar ja rahe hai

KS who sensed that she wasn't fine asked her that whether she can accompany her but Haseena denied polietly while giving a weak assuring smile to Karishma that she is alright and left the thaana

_______________________

she entered in her house with the help of the key as Ammi was not at home and locking the door behind her she walked towards her room almost lifelessly ,the pain she was hiding from a long time not even from others but even from herself seemed unbearable to her ,sometimes the pressure of pain becomes soo huge that the dam which controls this flood of pain doesn't need much force to break and that's what happened today ,that mere case brought back all the pain inside her which probably never left her ,it was just her who was trying to hide it deep inside her and being happy

Haseena entered in her room and closed the door ,feeling dejected and broken she slowly went near the small table where her Abbu's photo was kept

"Abbu kya sach mein humaara pehla pyaar sirf ek tarfa pyaar tha ?"a stream of tears flow from her eyes making way to her cheeks "kya sach mein jiss pyaar ko humne mehsoos kiya ,jis pyaar ko jiya tha humne vo pyaar nahi keval ek CHHAL tha ?" Her heart was aching and mind was full of questions,those questions which she didn't have any answers

"Abbu aapne dekha tha na unhe ,aap jaante hai na ki jis insaan se humne pyaar kiya uske liye sabse pehle apna desh tha ,vo apne desh ke liye apna sarvasva kurbaan kar sakta tha ,jaise aap karne ko taeyaar rehte the Abbu aur jaisa karne ka paath humein aapne padhaya tha, to fir vo Deshdrohi kaise ?"

" Aaap jaante hai na jiss se humne pyaar kiya uska dil bohot khubsurat tha ,uske liye uski ma sabse jyada maayne rakhti thi aur vo Ma ki kisi ki zindagi mein kya ehmiyat hoti hai ye samajhta tha fir vahi insaan humaari Ammi ko maarne ki dhamki kaise de sakta hai ?jo apni behen ko ek kharoch tak pahunchne nahi de sakta tha vahi insaan apni hi behen ki jaan lene ko kaise taeyaar ho sakta hai vo bhi bass ek badle ke liye, Abbu jo uss din hua jo uss din dekha humne ........aisa laga ki vo insaan hi nahi tha jise hum itne vaqt se jaante the .......Abbu Jis insaan se humne beintehaa mohobbat ki kya uska vajood hi CHHAL tha ?Kya vo aisa tha hi nahi jaisa humne use dekha ?"

"Abbu jo humne pyaar dekha uski aankhon mein ,jo fikr dekhi ,apne dard ko mehsoos karta dekha use ,vo sab bass ek CHHAL tha ,kya usne kabhi humse pyaar kiya hi nahi ? Kya use kabhi vo ehsaas hua hi nhi jo humein hua tha ?

Abbu jiss insaan ko humne apne dil ke sabse kareeb samjha ,jo un chand logon mein tha jo humein lagta tha humein humse behtar samajhta hai ,jiske saath humein lagta tha ki hum apni khushi hi nhi balki gum bhi baant sakte hai uss vyakti ka pyaar hi nhi vajood bhi sirf CHHAL tha ? "

she picked up the photo and looked at him silently for few seconds

"Abbu jhooth bola humne ki humein ki kya farak padta hai,sach to ye hai ki farak padta hai Abbu farak padta hai bohot farak padta hai "then hugged that photo close to her heart and she burst into tears

" Abbu yaad hai bachpan mein jab bhi hum rote the to aap aise hi humein gale se laga lete the aur hum apni saari pareshaani bhul jaate the pata hai jaisa sukoon humein aapke paas milta tha na vaisa hi sukoon humein unke paaas hone se mehsoos hota tha, kyun Abbu, kyun? Abbu aaj aap kyun nhi hai humaare paas humein gale se lagaane ke liye ?" she fell on her knees while saying this

"aapki beti ko aapki jarurat hai abbu ,bohot tut rahi hai vo andar se, bohot sawaal hai mann mein ,bohot dard ,bohot dukh ,koshish kar rahe hai hum khud ko sambhaalna ki bhulne ki use ,ye maan lene ki ki vo sachmein dhokhebaz tha ,par har baar humaare mann mein yahi sawaal aata hai ki kya jo humne mehsoos kiya ,jo uski aankhon mein dekha ,jis vyakti se itna pyaar kiya vo kya sach mein dhokhebaaz tha ,deshdrohi tha ? "She spoke while tears still streaming down through her cheeks

" Abbu aapko lagta hai Anubhav aisa kar sakta tha ? Abbu hum nahi jaante kyun par humaara dil nahi maanta ki vo d.....deshdrohi ho sakta hai ,Dimaag to kabka maan chuka, par dil Abbu ?....Nhi maanta humaara dil ki sab ek CHHAL tha ,kaise samjhaayein ise Abbu, kaise ?
Abbu hum kaise itne galat ho sakte hai kisi ko samajhne mein? kaise galti kar sakte hai hum itni badi ?lie detector bolte the na hum khud ko par hum itna bhi nhi jaan paaye kabhi ki usne humse kabhi pyaar hi nahi kiya,aur kyun ab bhi hum apne dil ko ye samjha paane mein asafal hain ki vo vyakti sirf dhokhebaaz tha " she said clutching photo more close to her heart

" Kyun kiya Anubhav ne aisa humaare saath ? kyun diya humein itna dard ,kyun kiya humaare saath itna bada CHHAL ?" she screamed loudly and cried her heart out
After a few minutes she slept while crying ,taking support of the bed nearby

"Tod sake tumhe vo dum kisi toofan mein kahaan ,bas bharosa rakho dil pe aur uth khadi ho kya pata toofan ke baad kaun si sunehri dhoop intezaar mein khadi ho " Haseena heard this sound and she turned towards the Direction from where the sound was coming ,there was a light coming from dark and she could see a shadow of her father
"Haseena bas itna hi kahunga mai tumse ki khud par bharosa rakhho aur mai tumhaare saamne rahu chaahe nahi par humesha tumhaare kareeb rahunga" And the shadow vanished

Haseena went into a deep slumber and only the rays of sunlight from the window of her room woke her up the next day

______________________________________________

Haseena entered in the thaana and everyone saluted and then she noticed that the drunk man that came to their thaana last night sitting on the chair infront of PS

HM- ab aap theek hai ?(man nodded while bowing his head down ) naam kya hai aapka ?(she said while setteling down on chair )

Man- Samar

HM- to kya ab aap humein achhe se bata sakte hai ki kya hua hai aapke saath

S- Pyaar karte hai hum ek ladki se naam Shikha ,1 saal ka relationship tha humaara par aisa lagta tha jaise janmon ka bandhan ho ,humaari fikr aur humaare liye pyaar ye dono dekhe the humne uski aankhon mein ......par fir ek din ....(his voice choked and PS offered him a glass of water from which he took a sip and then started again )ek din vo humein chhodkar chali gayi bina kuch kahe bina kuch bataaye vo bhi tab jab humaari Amma itni bimar thi ,aur jab humne uss se milne ki koshish ki to usne humse keh diya ki vo to sirf pyaar ka naatak kar rahi thi ,usne humse pyaar to kabhi kiya hi nahi

Cc- usne kaha aur aapne maan liya ?.....mtlb abhi aap hi to kahe na ki uski aankhon mein pyaar dikhta tha, fikr dikhti thi fir achaanak vo chhod ke chali gayi ajeeb nahi laga aapko ?

S- laga tha par usne kaha ki vo humse shaadi karke humaari property chaahti thi par use ye nahi pata tha ki saath mein use humaari beemar ma ka dhyaan rakhna padega

KS- aur aisi ladki ke liye tum marne ja rahe the ....ama sharam aani chaahiye tumhe

PS -Usne dhokha diya aapko, to usne jo kiya uski saza aap khud ko kyun de rahe hai ? Aap kyun apni jaan lena chaahte hai

S- Aapko nahi pata na kya beet ti hai jab pata chale ki jiss se aapne pyaar kiya usne aapko sirf dhokha diya

HM- pata hai humse kisi ne kaha tha ki hum khud ki kahaani to bayaan kar dete hai par dusron ke jeevan ki kitaab ke panne padhe nahi hai humne hum iss baat ko bhul jaate hai ........ ho sakta hai hum kuch na jaante ho iss baare mein par itna zaroor jaante hai ki jaan dene se kuch haasil nahi hoga ,aur rahi baat uss ladki ki to ...

SS- to MS mujhe lagta hai ki humein ek baar uss ladki se bhi mil Lena chaahiye

Everyone looked at her being shocked

Cc- Singhaade ?(SS nodded )

HM - hmm kya naam hai uss ladki ka (she asked Samar )

S- Prachi

...........

To be continued

First of all soo sorry for not updating but the problem is ki exams chal rahe hai last part to drafts mein pada tha isliye update kar diya aur ye vaala part bhi almost aadhe se jyada likh chuki thi but time nahi tha post karne ka aur next part bhi mai kab du pata nahi kyunki exams to ab bhi chal rahe hai bass next exam ke beech mein approx 10 days ka gap hai to socha kar hi du update especially because some people requested soo many times for the new update but actually maine Wattpad khola hi nahi kayi dino se isliye dekha bhi nahi unka message sorry for that😅

Baaki KAREENA  scenes bhi aayenge but story mein thoda Anubhav ka part jyada hai abhi par 1-2 parts mein dikhna shuru ho jaayega


Continue Reading

You'll Also Like

122K 6.6K 44
This story starts when Haseena Malik tells her ammi that Anubhav singh do not love her and they were faking their relationship just for solving the c...
26.7K 2K 13
What if Shyam was never married to Anjali and his obsession with Khushi was twice fold? In a story where Anjali married an honest man and the Guptas...
51.7K 3.2K 29
Hm is the SHO of mpt and is married to anubhav singh, DSP of lucknow.. all mpt members and family misunderstand her and she is accused of a crime.. a...
39.7K 4.8K 44
न कम होगा न खत्म होगा ये प्यार है हर पल होगा और तुमसे ही होगा ✨❤️ My first Kareena story and I don't know a little bit about writing I am here just...