Եҽɾɑ ƒíԵօօɾ յɑҍ Տҽ ϲհɑժհ ցɑվɑ...

Por pri_div

73.9K 6.2K 19.9K

This is story of an strict ips training Commander and a cute funny and lazy candidate 😜😜 Om as a commander... Más

Prologue
Characters
Part 1
Part 2
Part 3
Part 4
Part 5
Part 6
want to ask something 😭😶😭😶
Part 7
part 8
Part 9
Part 10
part 11
Part 12
Part 13
announcement🙈
Part 14
Part 15
Part 16
Part 17
New story 🤧
Part 18
Part 19
Part 20
Part 21
Part 22
Part 23
Part 24
Part 25
Part 26
Part 27
Part 28
Part 29
Part 30
Part 31
Part 32
Part 33
Part 34
Part 35
Part 36
Part 37
Part 38
Part 39
Part 40
Part 41
Part 42
Part 43
IMPORTANT!!
Part 44
Part 46
Part 47
IMPORTANT ANNOUNCEMENT!
Part 48
Part 49
Part 50
Epilogue 🥺

Part 45

720 76 72
Por pri_div

On the way.

Aditya: Kya yaar sab log aise muh me dahi jama ke baithe hain.... kuch baat karo...aur aaj Gauri ko kya ho gaya itni chup kyun hai tu?

Gauri turned her head: Yaar ye 11 maheene kaisi nikal gaye pta bhi nhi chla.

Aditya: Kaise matlb jaise niklte hain vaise nikal gaye.

Gauri: Yahi se joota phek ke marenge muh chappal se joote jaise ho jayega.

Samaira: Wo already hai.

Aditya: 🙂Sabko mai hi milta hun bejati karne ke liye...

Gauri: Tum hi kaam karte ho bejati layak.

Samaira: Wo sab chhodo...Yaar bahot yaad aayegi yahan ki...Khas kar jungle ke dino ki... pata hai school life se bhi jada acche din the.

Naina: Haan Haan school life se to accha hi lagega... school life me Harsh kahan mila tha.

Samaira: Abhi tumhari chappal se marungi tumko.

Naina: Arre kyu? Kuch galat kaha kya doston?

All: Nhi nhi bilkul nhi.

Naina: Haa wahi to... Isiliye to tumhe sabse jada maza aayi.

Harsh: Naina chup reh.

Gauri: Haan Naina... bechare Harsh sir aur Sam ko sharam aa rahi hai na.

Harsh glared at her.

Samaira: Ek baar Hyderabad pahochne do batate hain.

Aditya: Vaise yahan training me kitni sari love stories ban gayi...har group me ek do love scene chalta hi rehta tha...

Sakshi: Aur 3 log to apne group me hi the...Aditya Isha.. Harsh sir Samaira aur Omkara Sir aur Gauri.

Richa: But jo bhi ho.. Omkara sir aur Gauri ki love story to alag hi level ki thi.. Mtlb Omkara sir ko dekh ke laga hi nahi tha ki unhe iss pagal se pyar ho jayega.

Harsh: Yes yes... aur Om kitna irritate hota tha Gauri se.. har time usse chidha hota tha..

Richa: Haan aur Gauri bhi din bhar burai karti rehti thi Omkara sir ki.

Samaira: Aur aur wo yad hai? Jab Gauri ne Omkara sir ko ek thappad maara tha...kya scene tha yar.

All were discussing their love story and Rikara were looking at eachother smiling and remembering their old moments.

Harsh looked at Om and Gauri.

Harsh: Abhi bas bhi karo... shadi ke baad ek dusre ko dekhte rehna zindagi bhar..abhi thoda hampar bhi dhyan dijiye.

Both looked down.

Omkara: Love stories to bani hi....Par Samaira aur Gauri ki friendship... Ye to ekdum unexpected thi.

Malini: Wahi to.. kitna ladti thi dono...

Gauri: Ye ladki pehle bahot dusht thi... Uss din hame jan bujh ke mari thi muh pe.

Samaira gulped: Haan... wo to.. tab to mai aise hi..

Gauri: Haan haan iska badla to ham lekar rahenge tumse.

Naina: Aur mai gawah hun inki friendship ki.. mere samane hi hui thi... Jab ham sabko pata chala tha ki samaira harsh se pyar karti hai aur Gauri ne isse song sikhane ko bola tha.

Harsh: To samaira gana seekh liya tumne?

Samaira: Haan..nhi.. mtlb wo...Dadi ka call aa gaya ek min.

She went to backside . Harsh Chuckled.

Harsh: Samaira Gauri ki friendship unexpected thi par Tu Gauri se pyar karega ye kuch jada hi unexpected tha.

Om Smiled.

Gauri: Samaira mar gayi kya baat karte karte?

Samaira: Aa rhi hun .

Isha: Sir vaise.....yahan training khatm hone ke baad kuch party jaisa kar sakte hain kya?

Gauri: Arre Seedhe bol na Farewell.

Harsh: Haan Farewell acadmy ki taraf se hi hoga. Kal subah best cadet ka award and rat me Farewell party.

Sakshi: Yar kya pehnege.... sir ek to aap log ne pehle nhi bataya😒.

Om: Yahi kam hai kya hamare paas.

Isha: Farewell me saree pehnte hain aur ham log ke paas hai hi nhi.

Aditya: Laa nhi sakti thi?

Isha: Meri shadi nhi ho rahi thi jo saree lehnga chunri le kar aaun.... pagal!

Aditya: 😶😶.

Harsh: Arre tum sab sad mat ho. Last day hai aaj to mood off mat karo....ham market me bus rok denge tum sab shopping kar lena.

All girls get excited.

After Sometime.

Driver stopped the bus at market.

Everyone get down from bus.

Om: Tum sab ko jo lena hai jaldi lo aur yahan half an hour me aa jana.

All nodded.

Richa: Chal wahan ek mall hain wahin chalte hain.

Gauri: Sab ke sab aise ghus mat jana ajeeb lagega toli me....4-5 ki group me chlte hain.

Harsh: Om chal ham bhi chalte hain .

Om nodded.

Everyone entered inside the mall.

Gauri: Wo raha party wear collection...chal!

Samaira and Gauri looked at saree.

Both: Wo mai lungi.

They looked at each other.

Gauri: Pehle hamne dekhi.

Sam: Maine phle dekhi.

Gauri: Ham lenge .

Sam: Mai lungi.

Gauri: Ye koi bat nhi hai😒.

Sam: Yaar Please mujhe lene de. Soch agar maine wo saree pehni aur harsh sir mujhe ek bar bas dekh len .

Gauri: Thik hai le ke kha jaa.

Sam hugged her tightly: Thank youuuuuu!

Gauri went to other side.

Gauri: Yahan kuch dhang ka hai hi nhi....ek thi wo bhi Sam le gyi Harsh sir ka nam le ke. Ab agar dusri shop pe gye to Omkara ji bejati kar denge .

She looked down. Just then someone kept a saree on her shoulder. Gauri turned and find Omkara.

Om Smiled: Kaisi lagi?

Gauri takes the saree in her hands: Sundar hai. Thank you.

Om takes out earings from his pocket: Aur ye.

Gauri Smiled and takes the earings: Arre waah! Bahot sundar hai. Aapki psnd to kamal ki hai.

Om Smiled: Sach! pasnd ko meri sach me kamal ki hai.

Gauri: Ye ishare na samjh rahe hain. To bata den aapko den ek baat...ham aapki nhi Jhanvi Maa aur Dadi Bua ki pasand hai.

Om : Achha ji.... to mai bhi bata dun aapko ek baat....Omkara Singh Oberoi par kisi ki pasand thopi nhi jaa sakti. Tumhe kya lagta hai tumse pehle Maa ne mere liye koi ladki nhi psnd ki hogi.

Gauri blushed: Aapne bataya nhi ki ham aapko psnd the.

Om: Aapne pucha hi nhi.

Gauri: Achha ab ham pagalon jaise puchte..

Om: Acha wo sab chhodo. Kal ache se isse pehn kar aana. Akhir mai bhi to dekhun meri psnd meri psnd par kaisi lagti hai.

Just then Samaira came to her.

Sam: Gauri tere liye ek saree dekhi hai...

She looked the saree in her hands.

Sam:😍Yar kitni Sundar hai...dede yar please.

Gauri: Bhag yahan se bhikhari kahin ki...jo dekho Dede.

Sam: 😶 Acha rehne de.... chal maine iss saree ki matching sandal dekhi hai.

Gauri: Chal!

After shopping all came out from mall.

Harsh: Let's go. Abhi commanders ko kal ki trophy ke bare me discussion karna hai.

All nodded.

After sometime they reached training academy.

Samaira: Yahin se ham sab ki training ke safar ke shuruaat hui thi.

Richa: Aur Omkara sir aur Gauri ke bhi.

Gauri: Tumko aur koi kam nhi hai kya jab dekho (mimicking) Omkara sir Gauri bhi.. Omkara sir Gauri ye wo. Tum kya nazar lagaye padi ho.

Richa: 😶😶😒.

Om: Ok aap sab apne apne rooms me jaiye.

All nodded and went to their respective rooms.

Harsh: Chal ham bhi fresh ho lete hain... Training centre se officers and commissioner sir aate Honge meeting ke liye.

At night.

Meeting for best cadet was going on.

An officer: So ye to confirm ho Gaya ki best cadet trophy officer samaira and officer Gauri me se kisi ek ko milni hai..Ham sab ne apne apne votes de diye hain..Ab Harsh sir and Omkara sir aap dono apne votes dijiye..ussi ke basis par best cadet decide hoga.

Harsh: I will give my vote to officer Gauri.

Commissioner: So dono ke votes barabar ho gaye hain...ab commanding officer Omkara aapke vote se hi decide hoga ki best cadet kon hoga.

They saw Omkara who was lost somewhere.

Commissioner: Officer Omkara!

Om looked at him: Yes sir.

Commissioner: Is everything alright?  Kabse dekh raha hun aap tensed lag rahe hain.

Om: Everything is alright sir...Mujhe time milega kya vote dene ke liye?

Commissioner: Ok Officer...Aap kal tak decide kar ke bata dijiyega apna vote.

Om nodded: Thank you sir.

After meeting.

Harsh was roaming around garden just then he saw Om who was sitting there in deep thoughts.

Harsh sat beside him: Tu itna pareshan kyun hai?

Om: Yaar samjh nhi aa raha hai ki kise vote dun.

Harsh sat beside him: To isme na samjhne vali kon si bat hai....mujhe jo sahi laga maine usse vote kiya tu bhi wahi kar. Tujhe kon lagta hai best? Gauri na?

Om sighed: Haan par samaira ne bhi bahot accha perform kiya hai... Aur dono hi deserving candidates hain..aur agar maine Gauri ko vote diya to sabko ye na lage ki usse meri fiance hone ka fayda mil gaya.

Harsh shook his head.

Meanwhile.

Gauri and her friends were discussing about farewell party just then Sakshi came to them.

Sakshi: Guys tum log ko pata....Best candidate me Gauri aur Samaira ka naam select hua hai.....abhi ye decide nhi hua hai ki trophy milegi kise....ye Omkara  sir ke vote se decide hoga. Baki sab ne votes de diya hai...bas Omkara sir hi nhi diye...Pata nhi kuch confused hain..

Gauri: Tujhe kaise pata?

Sakshi: Maine abhi suna aisa kuch commander baat kar rahe the.

Gauri: Aur koi kam nhi hai kya tereko bas kan laga ke baat sun ne ke alwa.

Sakshi: 😶😶.

Gauri: Jo bhi ho best candidate ki trophy hamko hi milegi...Hamko pata hai..

Samaira: Accha? Kyun omkara sir ne tumhe sapne me bataya hai kya ..badi aayi... mujhe milegi..

Gauri: Muh dekho.. trophy utha bhi paogi...patli si hain aayi badi trophy jeetne vali.

All Chuckled.

Samaira: Tum utha paogi..tumse badi to trophy hi hai.

All laughed at her

Gauri: Jada haso mat...aur tum hamko choti keh rahi ho..

Samaira: Tum bhi to mujhe patli keh rahi ho.

Gauri: Haan jo bhi ho...mai hi jeetungi.

Samaira: Sapne me... mai jeetungi.

Gauri: Haan haan pata hai sapne me tum jeetogi par real me ham.

Samaira: Bhapp!!

Gauri: Hatt!!

Aditya: Chhup raho yar...kal dekhte hain kon jeetega.

Other side.

Harsh: Om raat ho gayi hai aur tu kabse yahi soch raha hai....ek ghante baad hame apne votes submit karne honge.

Om: Mujhe kuch samjh nhi aa rha.

Harsh: Tu na....tu ye kabse sochane lga ki Log kya sochenge.

Om: Mai apne bare me nhi Gauri ke bare me soch raha hun....kahin sabko ye na lage ki Gauri ne apni mehnat se nhi balki kisi aur wajah se trophy jeeti hai..

Harsh: Tu na ab jada soch raha hai....dekh...

Om: Samaira!!

Harsh: Yar ab tu seriously sunega....mujhe chidha mat.

Om: Samaira yahan aa rahi hai gadhe ye bol raha hun.

Harsh: 😶Achaa.

Samaira: Hello Sir!!

Om: Hello!!  Kya hua kuch kam tha?

Samaira: Sir wo mujhe pta chla ki trophy mujhe ya Gauri me se kisi ek ko deni hai aur ab wo aapke votes se decide hoga. Sir mujhe pata hai ki Gauri hi deserving candidate hai iss trophy ke liye...sir bas itni request hai ki aap apna vote Gauri ko dijiyega...usne apni jaan daav pe laga ke aapko bachaya tha to iss trophy ki hakdar bhi wahi hai. Mujhe pata hai aap isliye confused hain ki log aapko galat na samjhen..but sir ham sab to jante hain ki aap kabhi bhi personal aur professional life ko mix nhi karte...aur sabko pata hai ki Gauri hi deserve karti hai iss trophy ko... isliye sir aap kisi aur ke bare me soch ke kuch decision mat kijiyega.

Om smiled : Thank you samaira..

Samaira: Thank you ki kya baat hai sir... Ok Good night sir.

She looked at Harsh blushing: Good night.

Harsh smiled: Good night.

She left from there.

Harsh: Kitni achi hai na dil ki.

Om: 😏Haan haan.

Harsh: Kya haan haan ?? Ab aisi shakl mat bana.

Om: 😏Kyun? Mai to banaunga.

Harsh: Thik hai phir tu shaklen hi banate reh jana vote Gauri kar degi.

Om: Arre yaar mai bhul hi gaya tha.

Harsh: Gauri jaise behave karne laga tu.

Om: 😒Usne kya kiya uske bare me kuch mat bol.

Harsh: Arre gussa kyun ho raha hai...i was just kidding..

Om: 😒Haan....ab mujhe sochane de.

Just then Gauri came to them.

Harsh: Gauri!!

Om: Yaar mujhe sochane to de....mai decide karunga na tu kyun bol raha hai.

Harsh: Arre Gauri tere samne khadi hai bewkoof.

Om looked at her: Kya hua?

Gauri: Aise kon bolta hai (mimicking) Kya hua?

Om: To kya bolun....Hello Gauri kaisi ho chai nashta kuch laun.

Gauri: Phir bhi agli bar se aise bolenge to shadi se bhag jayenge.

Om: Tumhe koi aur dhamki nhi milti kya..jab dekho shadi se bhagti rehti ho.

Gauri: Aapko pata hai ham kaise hain...jada bolenge to ham sach me bhag jayenge....phir dhudte reh jana mere jaisi ladki .

Harsh rolled his eyes: Ok guys i should leave. Tum log apni Mahabharat continue rakho.

He left from there.

Om: Achha...wo sab chhodo bolo kya kaam tha?

Gauri: Wo aap dono se kuch request karni thi.

Gauri: Wo hame pata chala ki best candidate ki trophy kise milegi wo decision aapke hath me hai...Hamko pata hai aap isliye pareshan hain kyunki aapko yahi lag raha hai ki agar aap hame vote denge to aapko galat samjhenge sab aur ham nhi chahte aisa isliye Please aap apne votes Sam ko hi dijiyega . Aur vaise bhi. Wo  starting se hi hamse achi thi aur uska yahi sapna tha ki best candidate trophy usse mile Isliye usne bahot mehnat ki hai.

Om smiled : Arre wah.. ye baccha to bada ho gaya.

Gauri pouts: Aaa!! Ham bacche nhi hain...

Om Chuckled: Accha accha sorry...

She smiled.

Om: Ok Good night.. Mai Wahi karunga jo sahi hoga..

He carresed her hairs and left from there.

Next Day..

All candidates were getting ready for oath ceremony.

Richa: Gauri Uncle Aunty aaye hain....aur pata Omkara sir ke Mummy papa bhi aaye hain.

Gauri happily: Sachh!!

Samaira: Haan...i am sure wo apni hone vali bahu ko best cadet trophy jeet te hue dekhne aaye honge.

Gauri: Kyun....unhe sapna thode ayega....aur tu kya future prediction kar rahi hai.

Samaira: Chal ready ho chup chap.

After some time.

In the Police Adacemy, Oath ceremony goes on. Omkara announces the Oath and all Cadets take Oath.

Harsh: So this is the time for announcing best cadet trophy winner.

Gauri: Itna time kyun laga rhe....lag raha hai koi award ke winner ki announcement kar rahe.

Sakshi: Chup!! Abhi yahin mayke aur sasural valo ke samne Omkara sir bejati kar denge aur muh chalate dekh liye to.

Harsh: Best caded trophy goes to....Gauri Sharma.

Samaira in mind: Thank god Omkara sir ne sahi decision liya.

Gauri closed her eyes in disappointment.

Harsh: Caded Gauri.... Please come to stage.

She went to stage and salutes to all commanders and minister.

Gauri takes the trophy from the minister and she gets a Gun with it.

Harsh: Officer Please say some words for it.

Gauri nodded and came to Mike: I don't understand what to say. This was absolutely unimaginable. When I came here, I was very useless in all activities. Looking at my activities, I had no idea that I would ever win this trophy.
And not only me, everyone here must have felt like this. I used to lose the race every time Don't ask about the shooting, I was the worst in that.
I just want to say that I got this trophy not only because of my hard work but because of the efforts of my commanders. If they hadn't worked so hard for me, I probably wouldn't have this trophy in my hand today.
Thanks Omkara sir for your support and encouragement all the way. Thanks Harsh sir for giving enthusiasm in my. Thanks my friends  who were like my family. Thanks to my family  for their support and blessings. 

All clapped.

After ceremony.

Gauri  went to meet her family.

Anjali and Rahul hugged her .

Rahul: Mere sher very good.

Anjali caressed her hairs: Mujhe pata tha ye trophy tujhe hi milegi.

Gauri: Arre waah aaj bejati nhi ki gyi .

Anjali hits on her arms.

She went to Jhanvi and Tej and touched their feet.

Jhanvi kissed her forehead: I am proud of you mere bacha.

Tej: Shivaay Rudra Bhavya aur Anika ko bhi bahot man tha aane ka par office me bahot important kaam aa gya .

Just then Omkara came to them and take their blessings.

Om: Mom Dad Mummy Papa aap log yahan kyun khade hain andar chaliye.

Rahul: Nhi beta ab hame chalna chahiye...kal Gauri vapas aa rahi hai to uske liye ek choti si party rakhne ka soch rhe..

Tej: Ye soch rahe aur maine soch liya hai.. apni beti ke liye mai party dunga samjhe.

Gauri hugged him: Thank you Papa.

Jhanvi: Achha ham abhi nikalte hain.

Rikara takes their blessings and they left to Mumbai.

Rikara looked at each other. Gauri quickly holds his hand and dragged him to her room. She locks the room from inside.

Om: Kya hua Gauri? Aise Achanak..

Gauri forewarded him her trophy.

Om: Ye...

Gauri: Thank you. Agar aap na hote to shayad ye trophy hamare paas nhi hoti .

Om: Nhi meri nhi ye sirf aur sirf tumhare hard work pe tumhe mili hai.

Gauri: Phir bhi iska credit to ham aapko hi denge.

Om takes the trophy: Thank you officer.

Gauri hugged him tightly.

Om smrinked: Officer apne commander ko aise hug karna.....ye hamare rule me nhi..

Gauri hits him on his chest lightly. Om chuckled and reciprocate the hug.

Om: I am so proud of you Gauri.

They broke the hug. Om kissed on her forehead.

Just then her freinds knocked the door.

Gauri: Kon?

Richa: Arre ham hain..

Gauri hits on her forehead: Arre yaar inn log ko abhi tapakna tha.

Om Chuckled.

Gauri: Aapko hasi aa rahi hai.

Sakshi: Kya bake jaa rhi hai khud me hi. Gate to khol. Raat ki party ke liye preparation bhi karni hai.

Gauri: Abhi to bahot time hai abhi jao.

Sakshi: Badi ajeeb hai tu ye hamara bhi room hai chal gate khol de.

Gauri: Inn log ne hame dekh liya to chidha chidha ke mar jayengi.

Richa: Tu aise react kar rahi jaise room me Omkara jiju hon.... pagli kahin ki.

Om: Waah kya andaaza laga.

Gauri: Shshhh!!  (To Richa Sakshi) Tum log wait karo ham change kar rahe hain.

Richa: Kitna change karegi dost abhi to kiya tha.

Gauri: Ham pagal hain to kuch kar loge.

Sakshi: Sach me pagal hai ye. Ham aate hain 5 min me tu jaldi change kar.

Om: Arre itna dar kyun rahi apni dost aur jiju ko sath dekhenge to kya ho gaya.

Gauri: Aapko nhi pata ye log kitna chidhate hain. Pichli baar bas hath pakde hue dekha tha to honeymoon pe pahoch gyi thi direct ki Gauri tu jiju ka hath hi pakdi rahegi ya ki....

Om raised his eyebrows: Kis..?

Gauri: Y....Y....Yaa ki...ki...kisi baat...i mean kuch batein bhi karoge.

Om smrinked mischievously: Achha pakka kisi baat hi bola tha.

Gauri: H..haan Wahi bola tha ab aap jaiye.

She pushed him out of room. Om Chuckled and left from their.

Just then Richa and Sakshi came.

Richa: Pagal vagal ho gayi hai kya ? Tune to bola tu change kar rahi dobara se abhi wahi kapde pehne hain jo pehle pehne the.

Gauri: Arre wo pahle dusre pehne the phir dusre change kar liye par wo acha nhi laga to dobara yahi pehn liya.

Sakshi: Ye na pehle pagal thi ab bhayankar vali pagal ho gayi.

Gauri: Haan thik hai....ab btao raat me kya karoge.

Just then Samaira Isha Malini and Siya came to her room with their sarees.

Sam closed the door.

Malini: Ham sab na apni apni saree pehnte hain phir ek dusre ko batayenge ki achi hai ya nhi.. aur kis style me pallu rakhna hai.

Gauri: Tum sab hi karo mujhe pata hai mai kaisi lagungi.

Siya: Thik hai....ab kuch galat pehn liya aur thoda kam achi dikhi aur Omkara jiju ne ek nazar bhi na dali to tujhe kya fark padega hai na?

Gauri: A...ab agar tum sab itna keh hi rahe ho to mai bhi try kar lungi.

Samaira: Makeup light karenge.  Dark makeup me Gauri bhootni lagegi.

Gauri: Oyee ham har tarah se sundar lagte hain tu apna dekh.

Samaira Chuckled: Arre mazak kar rahi thi. Tu bhi na.

Gauri: Achha chalo sab try karte hain.

At night.

Everyone arrived at party.

In Gauri's room.

Gauri: Sam yaar chal na jladi kitna ready hogi.

Samaira: Ruk thoda makeup lagane de.

Richa: Haan jaise ki party me enter karte hi sare ladkon ki nazar ispe hi giregi.

Naina: Saare ladke nhi Harsh bolo.

Richa: Wahi wahi.

Samaira: Chalo .

They came out from room and locked it .

Gauri: Arre ham phone lana bhul gaye. Tum chalo ham aate hain.

They nodded and left for party.

Om looked at them but didn't find his Gauri.

Om: Tum sab aa gye Gauri kahan hai?

Naina: 😏Ruko jara sabar karo. Aa rahi hai tumhari Gauri.

Om: Mai to bas puch raha tha 😒.

Just then Gauri entered inside.

Harsh: Welcome Best caded of the year.

Everyone clapped for her. Naina looked at Om who was staring at her with open mouth.

Naina: Makhi ghus jayegi band kar le muh.

Om looked at Naina: Chup kar tu!!

Gauri came to Om.

Naina: Thik hai bhai mai chalti hun.

Om came near her: Aaj  Bahot sundar lag rahi ho.

Gauri: Ham?

Om: Nhi Samaira.

Gauri hits on his shoulder lightly.

Gauri: Vaise aaj se kya matlb hai aapka? Ham hamesha sundar nhi lagte!

Om: Mujhe to tum ek ek pal aur bhi Sundar lagti ho...par ab itni baar tareef to nhi kar skta na..varna tum sar pe chadh jaogi.

She glared at him.

Om : Hayee! Ye teekhi nazre hi to maar deti hain.

Gauri looked down shyly: Aap na jada filmy mat hoiye.

Just then a host came to stage.

Host: Good evening everyone!! Hope you all are enjoying the party . Aaj koi bhi yahan pe commander coach ya candidates nhi hai..sab yahan friends hain... So ye commander Candidates ki jhijhak dil se nikal dijiye aur enjoy kijiye.

Naina looking at Rikara: Kuch logon ne to kabki nikal di thi.

Gauri: Batayen abhi yahi glass muh pe phek ke. Jada ki to shadi me nhi bulayenge.

Naina: Tumhare side se aa bhi kon raha hai..mai ladko vali hun..

Gauri: Aaogi to hamare hi ghar na.. tumko bhaga dengi darwaje se hi.. Phir sadak pe baithi rehna vaise bhi bhikhari jaisa muh hai bheekh to mil hi jayegi.

All laughed.

Naina: Host aap aage continue kariye.

Gauri: Haan ho gya bejati.

Naina: 😶Haan.

Host: I planned a game for making this party more interesting.

Everyone clapped.

Host: To game ye hai ki Girls apne footwears party hall ke bahar rakh ke aayengi.... boys jayenge aur koi bhi footwears utha ke andar layenge. Unke footwear laane hain... jis ladke ke hath me jis ladki ka footwear hoga wo couple honge and they will do couple dance. But but but....kisi ladki ko apna footwear dikhana nhi hai.

Om smrinked: Mujhe pata hai tumhare footwears kaise hain.

Gauri: Aap hamari footwears bhi notice karte hain?

Om: Mai tumhare bare me har cheej notice karta hun.. tumhare andar kya changes aaye.. tumne kya pehna hai kya miss kiya hai..like aaj tumne wo kala dhaga nhi bandha hath me jo hamesha bandhti ho...

Gauri looked at her hand: Arre haan..ham to bhul hi gaye..

Samaira: Hayee yar!!Kya pyar hai! Vaise tu wo kyun bandhti hai?

Gauri: Arre wo mummy ne bandha tha boli ki nazar lagane se bachayega.

Richa: Ab to tumhe pakka nazar lagegi..itni sundar jo dikh rahi ho..

Naina looking at Om: Nazar to already lag chuki hai kisi ki.

Om: Mujhe kya dekh rahi hai? Pyar se dekhne valon ki nazar nhi lagti...Aur kisi aur ki nazar mai lagane nhi dunga.

He came closer to her and take out little kajal from her eyes and applied behind her ear.

Gauri looked down.

Naina: Nazarbatoo mai tera bana Haan mai tera bana...buri nazron ka pehra bana haan mai pehra bana.

Om: Behn tu bhi dhudh le apne liye koi ye baar baar dusro ko kyun disturb kar rahi hai....

Sakshi: Par yar jo bhi kaho... Gauri tu bahot jyada lucky hai jo tujhe Omkara sir jaise pati mile. Ek to itne romantic aur itne pyar karne vale upar se itne handsome.

Samaira: Tere hone vale Army me hain na....army vale bahot handsome hote hain teri to nikal padi.

Richa: Kya nikal padi? Hone vale pati ka nam to pata nhi hai tabse nikal hi padi.

Host: Aap logon ka ho gaya ho to shall we start the game?

Om: Ya sure!

Gauri: Ho gaya karva li bejati!

Naina: Tumne aur Omkara ne hi start kiya tha.

Om: Ab chup raho tum dono.

Girls went outside. They remove their sandal and came back. Boys ran outside .

Om: Ye Gauri ne jan bujh ke chupa to nhi diya.

Just then he looked at a commander who was taking Gauri's footwear.

Om went to him: Officer Rahul...wo actually ye sandal...

Just then host came out.

Host: Omkara sir aap jaldi se koi sandal lijiye time over hone vala hai.

Om make face and takes a sandal.

Host: Ok ok time is over...sab andar chaliye.

All boys came inside.

Host: Jinke paas sandal nhi wo side me khade ho jayen.

Gauri glared at him and Om make sorry face.

Richa: Arre jiju meri sandals aapke paas hain.

Om smiled .

Host: So girls aap apne apne partner ke paas chale jaiye.

All girls went to their partners.

Samaira: Meri sandals kiske paas hain?

Host: Kisi ke paas nhi...Wo bahar hain time over hone ki wajah se...jinke jinke footwears bahar hain wo pehn kar side me khade ho jayen.

Samaira: 🙂Gajab bejati hai bhai.

Host: I am going to play the music.

She plays the music and everyone start dancing.

Here Omkara and Samaira was fuming in jealousy .

Harsh's partner was coming closer to him.

Samaira in mind: Chhipakali kahin ki kaise chipak rahi hai....abhi batati hun isko. Mai harsh sir ke sath dance nhi kar sakti to isko kyun karne dun. Sorry behn aaj teri saree kharab hone vali hai .

She takes a sauce bottle and secretly went to Harsh and her partner. She poured the sauce on her saree's pallu and kept the bottle back.

Samaira: Prachi teri saree me kuch laga hai dekh.

Prachi looked at her saree: Oh my god. Ye kaise hua?

Samaira: Mujhe kya pata tum jao isse jaldi se saaf kar lo warna daag jada lag jayega.

Prachi: Sir please give me few minutes i will be back.

Samaira: Koi jaroorat nhi.

Prachi: Kya?

Samaira: Jao jaldi jao!!

Prachi left from there.

Samaira turned to go but Harsh hold her hand .

Harsh: Meri partner banogi.

Samaira: M..mai?

Harsh: Haan tumne meri uss partner ko bhagaya hai to ye zimmedari tumhe hi uthani padegi.

He forwarded his palm. Samaira smiled nervously and kept her palm on his palm.

Meanwhile.

Omkara was just glaring at Gauri and Rahul.

Host: You can change your partners.

Om came to Gauri. He holds her hands and pulled her to him. Richa went to Rahul. Samaira and Harsh didn't change their partners.

Naina noticed them: 😏Ye harsh ka jada ho raha hai.

Aditya: Tereko kya ho raha hai . Isha kiske paas chali gayi tu kahan se aa gyi?

Naina: Wo Rohit ke paas hai aur usko bhai bolti hai to tum tension mat lo.

Om to Gauri: Tum uske sath dance kyun kar rahi thi.

Gauri: To kya karen?

Om: Mana kar deti....dekha tha maine wo kaise dance kar raha tha tumhare sath.

Gauri wrapped her hands around his neck: Koi jal raha hai kya?

Om: Haan jal raha hun.....Mai tumhe ek second bhi kisi aur ke sath dance karte nhi dekh sakta aur wo itne der se....

Gauri: Arre par Rahul sir apke dost hain na.

Om wrapped his hands around her waist and pulled her : Dost ho ya koi bhi mai tumhe aise kisi ke sath bhi nhi dekh sakta.

Gauri Chuckled and keep her head on his chest.

Host: Change the partners.

Om holds Gauri's hands and left from there.

Gauri: Arre ham yahan garden me kyun aa gye?

Om: Phir se partner change hote phir se koi aur tumhe le jata isliye.

Gauri: Chaliye baith jate hain.

Both sat on a bench.

Gauri: Time Kitni jaldi beet gaya pata bhi nhi chala. Aisa lag raha ki kal hi to ham yahan aaye the aur aapse pehli baar mile the....

Om: Pehli baar nhi dusri baar.

Gauri: Matlb yahan pe to pehli baar hi mile the na.

Om: Hmm....tumhe yaad hai tum meri car ke samne aane vali thi. Wo to maine dekh liya tha varna aaj tum yahan mere sath na baithi hoti. Kahin hospital me toote hue hath pair ke sath padi hoti .

Gauri: Haan thik hai thik hai.... vaise bhi car aapki thi to sambhalna bhi aapki responsibility thi. Aur haan😒 aapne hame gawar bhi bola tha ye nhi yaad.

Om: 😶Arre wo to gusse me ....aur tumne bhi to kitna kuch sunaya tha.

Gauri: Haan phir bhi.

Om Chuckled: Tumhe ek sach bataun.

Gauri: Haan.

Om: Maine jab pehli baar tumhe dekha tha....tab mai poori raat tumhare bare me hi soch raha tha..ki

Gauri: Kya?

Om came closer: Ki...

Gauri: Kya?

Om: Ki....wo ladki..

Gauri: Wo ladki kya?

Om: Ki....wo ladki kitni choti thi.

He start laughing.

Gauri: 😒😒 Ham bhi aapke hi bare me soch rahe the ki uss ladke ka muh bahot bekar tha.

Om: 😶Sorry yaar mazak kar raha tha.

Gauri: Haan pata hai 😒.

Om came closer to her: Par sach maine kabhi socha bhi nhi tha ki mujhe iss pagal se itna pyar ho jayega.

Gauri blushed: Hamne bhi nhi socha tha ki aise akdu se hame pyar hoga.

Om hugged her tightly: I love you Gauri.

Gauri: I love you too Omkara ji.

They broke the hug.

Gauri: Ab andar chalte hain warna sab ulta seedha sochenge.

Om: 😶Gauri ham dono ki shadi hone vali hain ham koi school ke chote bache nhi hain jo sab ulta seedha sochen.

Gauri: Phir bhi .

Om: Chalte hain par ek kiss dedo uske baad.

Gauri: Achaa kiss chahiye.

Om blushing: Haan aur wo bhi (pouting) yahan.

Gauri: Ohhh abhi dete hain.... pehle ankhen to band kijiye.

Om closed his eyes. Gauri stands from her place and left from there.

Om pouting: Gauri kya kar rahi ho i am waiting.

Gauri went inside the hall.

Harsh: Om kahan reh gaya?

Gauri: Garden me hain.... kuch ajeeb ajeeb harkatein kar rhe hain. Aap ek bari dekh lijiye.

Harsh nodded and went to Garden. He looked at Om.

Harsh: Ye isne aise muh kyun bana rakha hai.

He went near him.

Om: Gauri yaar jaldi karo .

Harsh in female voice: Rukiye Omkara ji bas 2 minute.

Harsh takes some grass and keep in on Omkara's lips.

Om: Chee!!!

He opened his eyes: Gauri ye kya....

He looked at Harsh who was wiggling his eyebrows.

Om: T...tu kab aaya.... Gauri kahan gyi?

Harsh: Wo andar hai ussi ne mujhe yahan bheja hai...bol rahi thi tu ajeeb si harkatein kar raha hai.... tu ye pout kar ke kyun baitha tha?

Om embarrassed: W...wo mai aur Gauri selfie le rahe the.

Harsh start laughing: Tune aaj se pehle kabhi pout nhi ki phir aaj?

Om irritate: Aaj se pehle Kisi Officer ka khun bhi nhi kiya... abhi kar je dikhaun? Chal ab!!

Both went back.








Precape: Wedding bells!

Seguir leyendo

También te gustarán

1.4K 70 1
Gauri and Omkara met in College. The adolescent crush followed by a hot passionate night. But then... not everyone get united na.... ❤
27.5K 2K 14
Without communication, there is no relationship. Without respect, there is no love. Without trust, there is no reason to continue. When Omkara Singh...
89.4K 7.3K 85
Shivaay is an irresponsible irritating idiot falls in love with an understanding Anika Who follows him blindly Gauri is going through an arranged mar...
81.3K 8K 50
A light hearted Rikara ff. Om and Gauri knows each other from childhood because they are neighbours. But whenever they collide with each other, they...