Dil e Nashad

By Gurlinchaos

2.6K 290 1.3K

" Muhabat karta hun tumsy " " magar ma nhi karti " " tumhe karni pary gi !!!" ~~~~~~~~~~●●♡♡●●~~~~~~~~~~ "... More

chapter 1
introduction
chapter 2
chapter 3
chapter 4
chapter 5
chapter 6
Chapter 7
chapter 8
chapter 9
chapter 10
chapter 12

chapter 11

99 10 153
By Gurlinchaos


"Zia?"

Amma bi Zaviyar ke jane ke bad apne bete ke intezar mein thien.

"Jee Amma bi?"

"Beta ma socheya he ke Taimur de lai Aaima da rishta mang leeya jae...bachi bhoot ache akhlak di he..tu ki sochda he ?"

Amma bi ne to jese Zia ki zuban keh di ho jese.

"Aray Amma bi ma khud yehi chata hon..par Amma bi Taimur ka apko pata to he shadi ki taraf to ata hi nahi!!"

"Taimur di to chaad..te fhir kal mere naal Aaima de ghaar chalein.."

Is se phele ke Amma bi bat mukamal kartein Zaviyar haat mein ice cream leye sofey par aa tapka.

"Hayee shukar is ghar mein bi shenai ki awaaz sunne ko mille gi...baba ma abi na Aaima ko call kar ke bata don kal uski taraf anne ka??"

Zaviyar pur josh hote bola.

"Zavi khuda ka wasta he bhare ho jao..time dekho 10 baj rahe hein is waqat munasib nai lagta kal call kar lena or kitni baar kaha he jab bhare baat kar rahe hon to bheech mein maat bola karo!!"

Bichara srif azbaat mein sir hilata dubra apni ice cream khane mein masruf ho gya. Usse is rishte ki jitni khushi thi shahid hi wahan bhete kisi shakhs ko hoti.

______

"Aaima apke leye rishta aya he!"

Aaima apni maa ka jumla sunne jese kuch dair ke leye sakind si reh gai.

"Balke samjo jab ap 15 saal ki thi bhai sahab ne tab se hi apke or Arham ke rishte ki baat ki thi..wo to ma hi unko talkati rahi taaky ap araam se apni degree mukamal kar lo."

Jab Aaima ki taraf se koi juwab wasul na hova to zainab ak bar phir humkalam hoien.

"Beta apke samne hi bhai sahab ne kabi apko baap ki kami mehsus nai hone di..humara itna khyal rhakah..ma unko mana nai kar pai..or beta sach kahon to muje mana karne ki koi wajjah bi nazar nai aai Arham itna acha apka itna khayal rhakta he meri itni izzat karta he.."

"Maa wo sab theek he par ma abi shadi nai karna chati..mene abi to hospital join keya he..."

"Beta uski ap fikar maat karo ap bhai sahab or Arham ko janti to ho wo log kabi apko job karne se mana nai karein ge..."

Phir baat Aaima ki wajah se adhuri rahi.

"But maa ye sab jaldi nai kuch?"

"Beta ma janti hon jaldi he par bhai sahab chate hain ke komal ki shadi ke saat apki or Arham ki bi shadi kar li jae...or beta muje bi is baat se koi itraaz nai he ma bi chati hon ma apni bachi ki khushiyan jald dekhon..mout or zindagi ka kis ko ileem!"

"Maa muje kuch waqat chaiye."

Zainab bed se uthi or Aaima ki peshahni chumti mukhatib hovein.

"Beta ye apka haaq he..jitna waqat chaiye lo or yaad rahe ma har faisle mein apke saat hon."

Aaima ne demhi si muskhurahat ke saat sir ko khaam keya or unke haat ko narmi se pakarti chumne lagi.

"Chalo ab so jao..khuda hafiz!"

"Khuda hafiz!"

Zainab darwaza band kartein kamre se ruksat hoin.
Aaima bed par bheti apni maa ki kahi jane wali batein apne zehan mein dhurane lagi...Arham..wohi khandan..kia ye sab uske haaq mein sahi tha??...shahid han agar ye sab sahi na hota to Allah ne uski qismat mein asa kiun likha hota.

Sawal khud se hi phoche jane par aksar ke juwab bi wo khud hi deti..yiun hi raat basar hoti rahi.

____

Agle din ka suraj zoron shoron se chamak ne laga tha..jis ki chamak ki kirne Aaima ke kamre mein dhakil to ho rahi thein par khirki ke agy laga parda unko rokne mein kamiyab tha.

Tab hi mobile par roz ki tarhan ak Alarm bhaja jese wo band karti bed par kuch dair ke leye uth kar bheti..wo raat puri soi thi?...to ye khena galat tha...dil tha ke ajeeeb kefiyat mein tha. Juwab kia deti kese deti kuch na janti thi..bus wo abi shadi nai karna chati thi..puri raat is baat par sochne ke bad bi wo yehi faisla kar pi thi ke usse abi shadi nai krni..

Apna holiya darust karti wo niche ko jane lagi..niche aate hove uske kaanon mein apne chachu ki awaaz pari..wo khsushi khushi agy ko bharne lagi..jab adhuri baat ko sunte wo wahin rok si gai.

"Bhabi ap unki fikar maat karein!!..or wese bi mera beta he ma jahan chahon uski shadi karwaon..or rahi baat us ilzaam ki to wo bi ma ab sab saaf saaf bata don ga..."

Usman ki saafgui par zainab thithar si gai.

"Bhai sahab..kiun purani yadein ko taza karna..."

"Bhabi purani yadein...ya purane raaz??...apne bina kisi gunnah ke na jane kitne saal saza kati he..jo gunaah apne keya hi nai tha uski saza kaatna bi apka farz nai he!"

Aaima seriyon par khari sab sun to rahi thi par koi bi bat samjne se kasir thi.

"Bhai sahab jo guzar gya usko kia yaad karna...or ma nai chati Aaima ke dil mein Aziz ke khandan walon ke leye or narazgi ya bugz peda ho!"

"Bhabi par usse haqiqat kab tak chupa kar rhakien gi..na srif ap or bhai balke us bichari bachi ne bi maa baap ke bhaag jane ke tanne sunne hein!"

Aaima jo ab tak sab samjne ki koshish mein thi..yakdam sidi se hoi.

"Bhabi ma bi bhot sharminda hon..ap or bhaiya ke bad srif ma janta tha ke ap log sache thy..bhag kar shadi karna wo saab ak drama tha..ma sharminda hon bhabi ma bta nai paya.. us waqat ma bi ammi abu ki tarhan bebas tha..ghar mein kama kar lane wale srif hamza thy!"

Apne bhare bhai se is qadar nafrat thi ke najane kab se Usman ne usse bhai ke bajae hamesha naam se pukara tha.

"Bhabi..abu or ammi ki bi apko apni bahu banane ki kowaish thi..bus hamza ne apne business partner ki bhen se shadi karwani thi bhai ki par bhai ke lagatar apse shadi ke iqrar par..hamza ne ghar mein bhejne wale sab pese kaam kardiye..abu ko muje ammi hum teeno ko dhamki di thi ke agar humne ye rishta hone deya to wo humme chor dein gein or asa hi hova ghar mein do waqat ki roti tak mushkil ho gai thi..par abu ne har nai mani thi phir wo bi kia karte ak beti ke baap bi to thy..appa ki shadi ke leye unko sir jhukana hi para!"

Usman sir jhukhae sab sach bole ja rahe thy..or samne bheti zainab ke pass naam ankhon ke siwa kuch na tha..
Tabhi zainab ki nazar siriyon par khari apni beti par pari jo na jane kab se apna sans roke hove thi.

"Bhai sahab guzra kal..na wapis aa sakta he or na muje usko wapis lana he..jo galtiyan ho gai us par kiun rona..humare samne humare bachon ka mustaqbil he..humme is waqat srif uske bary mein sochna chaiye!!"

Usman abi bi sir jhukae thy. Zainab wahan se uthti or Aaima ki janib bharien..Aaima ke pass jaty ruki or usko kamre mein anne ka kaha.

Aaima jo abi bi sans roke khari thi apni maa ke pass aane par kuch hosh mein ai or unke pichle chal pari..

"Maa chachu kia keh rahe hein??"

Aaima ki ankhon mein beyakeeni thi..or latadad suwal thy jo wo apni maa se pochna chati thi.

"Aaima beta..Dekho apse sab chupane ki koi wajjah t..."

Baat adhuri hi rahi jab Aaima ne agla suwal keya.

"Maa muje kuch smj nai aa raha plz mujee ab to btae bhare baba ne asa kia keya??"

Zainab ne ab haar hi maani thi..or sab kehna shuru keya.

"Aaima apke bhare baba nai chate thy ke meri or Apke baba ki shadi ho..wo apna business barhane ke leye apne partner ke saat ak rishta jorna chate thy
Yehi wajah thi ke wo chate thy Aziz ki shadi wo apne partner ki bhen se karwae..is bat ke leye bhot zor zabardasti bi ki par Aziz bi apni bat par kaim rahe..waqat guzarta gya or apke bhare baba ne ghar mein bhejne wale pese bi kaam kar deye..abu ne apni puri koshish ki jitna kaam unse ho saka keya..usman bhai ki parhai or Aziz ko nokri na milna jese har chez se tang aaty abu kamzor se parne lagy thy..par akhir mein beti ki shadi ke leye unko bi jhukna para..apke bhare baba ka business wo taraki nai kar saka jitni unko tawaqa thi is sab ka ilzaam bi Aziz ko deya gya rooz ke jhagron se jese abu tang aa gae thy na to wo apni beti ki zindagi barbad karna chate thy na apne bete ki..akhir mein Aziz or meri chup kar shadi karne ka faisla nikla..jis par hum dono razamand thy..abu Ammi apke nana nani Usman bhai or Aziz ke kareebi dost..in sab ki majodgi mein hi humari shadi hoi..."

Zainab ne rouk kar Aaima ki janib dekha jo naam ankhon ke saat bus khamosh si bheti thi.

"Aziz wapis jab ghar gae to baki sab ko yehi kaha ke shadi bhag kar ki gai thi. Jis par sab se zada apke bhare baba or appa ko gussa aya tha. Appa ki shadi mein kuch hi hafte reh gae thy..or hamza bhai ne saaf saaf abu se kaha agar Aziz us ghar mein rahe ga to wo appa ki shadi ke leye kuch madat nai karein ge kaafi din is bat par jhagra hota raha or akhir mein Aziz or mera ghar ko chor dene ka hi haal nikla."

Ansu jo kafi dair se ankhon ki hadud tak thy..ab un hadudon se nikalte bhene lage thy..dusri taraf Aaima bachan se le kar aj tak hone wali zeyati apne dimaag mein dhurane lagi..
uska or noor ka uski phopo ki beti ka ak school mein hona jis wajah se wo hamesha school na jane ke bhahane karti thi..kiun ke noor ne ye baat sab bachon mein phila di di..Aaima ko bahir jane se dar lagne laga tha ke sab usko ak bhage hove maa baap ki aulaad keh kar pukarein ge..uska apni hi family walon se dour rehna para.

Usse yaad tha kese bachpan mein jab bi koi family function ata jahan unko usman bhot israr se le kar jaty thy.wahan wo or uske maa baba ak kone mein hote thy..khandan hone ke bawajoud bi har taraf se betaluki thi.mushkilon se koi salam karta tha jiska juwab sunne se phele hi dubra wohi tanne shuru ho jaty thy..Aaima jese hi noor se khelne ki koshish karti ya khandan ke kisi bi bache se to unki maa ye keh kar rok detein ke ye or iski mama ache log nai hein inse dour raha karo..sawae irha or Arham ke ak bar Irha ke saat khelne par phopo ne mana keya tha par piche se ata Arham jo Aaima ko udaas na dhek saka uska haat pakar ke phopo ke samne laya or purjosh hota kehne laga.

"Phopo Aaima or irha dono mein koi faraq nai he..jese hi Irha achi bachi he wese hi Aaima bi achi he or jese meri mama achi hein wese hi Aaima ki mama bi achi hein..chalo ao Aaima ma bi tumhare saat khelon ga!!"

Or Aaima ka itne mein hi khelkhila uthna.

Aziyat se bhare lamhat na jane kiun Arham par aa ruke thy..Aaima ne apni bhegi ankho ko uthya or himmat akhata karti bolne lagi.

"Muje Arham ke saat shadi mazur he!"

Wo ankhe uthae srif itna hi keh saki or wahan se uthne ke bad bahir apne kamre ko chal di...wo isse zada kuch keh bi nai sakti thi..ilfaz jese saat hi na dete uska or wo shahid wahin bure tareeke se tout jati wahin apni maa ke samne wo apne andar itne salon ke dubae dhuk takleef ansu saab wahin baha deti.

Dimaag mein ak hi bat ai thi shahid Arham hi uske leye bana tha..wohi to tha jo usko bachpan mein bi har khatre se bacha leta tha..bina kisi sharmindagi ke uske saat khara hota tha..wohi tha jis ne usko hamesha achi larki samja tha. Or shahid ab bi wohi uske leye bhetar tha!

___

Zaviyar jo besabri se bheta tha.ke koi isko ijazat deta or wo Aaima ko unke anne ki itla deta.par jese sab hi apne kamrein mein kisi na kisi kaam ki wajah se masrouf thy.

"Yawrrr muje ye to bata do ke call karon yaa naaaa??"

Zaviyar ne ab awazar hone ki wajah se unchi awaaz mein kaha or saat hi samne se Amma bi aati hoi dekhien.

"Khote pure ghar nu sir te chukya hoya tu!"

Amma bi uske pass bhaite hove bolien.

" to ap log bi to jese bhol hi gae hein ke humne Aj Aaima ke ghar jana. Ma karne laga hon usko call!!"

"Tu baaz nai anna!"

Amma bi ne muskhrate hove kaha.
Or Zaviyar ne unki haammi samjte hove khushi se call milai.

"Assalmu alikum!. Aaima kesi ho ??..theek hi ho gi..wo mene kehna.."

Wo jald baazi mein jese saab bolta gya par uski bat adhuri hi rahi jab phone ki dusri taraf se Aaima ki awaaz ke bajae Zainab ki awaaz ai.

"Oh..sorry auntie wo mene Aaima se bat karni thi..ap kesi hein?"

Wo sharminda sa hova or zehan mein jo bi aya bolta gya.

"Ma theek beta ap kese ho?"

"Ma theek Allhumdulillah!"

"Beta Aaima so rahi he or mobile mere kamre mein hi reh gya tha..koi baat karni he zaruri to ma utha don?"

"Array umm nai bus wo ma bad mein kar lon ga koi baat nai!"

"Acha acha..or Amma bi ko mera salam kehna mene socha tha ke aj call karon gi inko bus masrufiyat mein time ka pata hi nai chala."

"Umm..Auntie pass hi hein wo ma karwa don baat apki?"

Zaviyar bus kisi bi tarahan shadi ke bare mein baat cherna chata tha uske nazdeek zaruri nai ke ghar ja kar hi asi batien ho skti thein ya phir ye kehna bi sahi tha ke ab usse or intezar nai ho raha tha.

"Jee beta kiun nai ye to acha ho jae ga!"

Zaviyar ne itna hi sunte kushi se moblie phone Amma bi ke kano se lagaya..or Amma bi ne usse mobile phone churwaya or moblie ka speaker band keya jo abi Zaviyar ne khula tha.
Or Zaviyar ne bus ak thaki hoi Ahh nikali wo Amma bi se nai jeet sakta tha.

Rasmi se salam dua or batein kien. Jab zainab ne ak kushi ki baat batane ka kaha. Or side par khara Zaviyar ab tajasus ke marein Amma bi ke sir par aa khara hova tha.

Amma bi ki ak ghori ne usko wapis apni jagah khara karwaya.

"Han bolo zainab beta?"

Amma bi ne ak gheri muskhurahat ke saat kaha.

"Amma bi Aaima ki shadi karne ja rahi hun ap uske leye dua kije ga usne kabi apni dadi ka piyar nai dekha..or ab wo apko apni dadi ki hi jaga dhekti he uski shadi mein shirkat zarur hoi je ga!"

Or itna sunte hi Amma bi ki gheri muskhurahat kahin fiza mein hi ghom ho gai thi..unke dimaag mein srif ak khayal aya tha..Taimur ka...or uske bad unse agy koi baat nai hoi...dusri taraf se Zainab ki awaaz aa rahi thi par unke pass juwab dene ki koi himmat nai thi.

"Dar lagta he Amma bi kahin is bar bi muj se meri mhuhabat na chin jae kahin is bar bi ma akela na reh jaon."

Taimur ki awaaz ab unke kano mein ghunjne lagi thi.

" mhuhabat takleef to nai de gi na?"

"Ak din ae ga na jab sab sahi ho jae ga?"

Zainab ne phone band kar deya tha juwab na ae par..or Zaviyar Amma bi ki kefiyat nai samj pa rha tha abi to sab sahi tha par ab unke tasuraat ye bata rahe thy ke kuch sahi nai he!

"Amma bi.. Amma bi kia hova?"

Zaviyar ke unko hilane par jesa sakta tutta. Or unho ne mobile zaviyar ke haat mein thamaya.

"Amma bi kia hova he apney bat kiun nai ki?"

"Zavi ki gaal kardi ma..rishta teh kar dita he Aaima da!!"

Na jane itni himmat kahan se ai thi un mein ke ye jumla keh deya unho ne.

Zaviyar khamosh tha bus. Wo nai janta tha ke wo Aaima ki kushi mein kush hota ya apni sochi hoi duniya ke khatam hone par afsus kare.

"Ma upar ja rahi han..kuch dair Araam karan koi ae na!"

Or zaviyar srif khamoshi se unke jatey dhekta raha.

_______

Taimur raat ko late ghar aya tha or sida Amma bi ke kamre mein gaya tha.

"Kesi hein Amma bi ap Zavi ne bataya ke apki tabiyat nai sahi?"

Taimur ne unke haat ko chumte hove pucha.

"Aaima da rishta teh kar dita he shadi vi issi mahine he!"

Amma bi ka haat taimur ke haat me tha or jesy jesy ilfaz uske kano par pare uski haton ki grifit kamzor hoi.

Usne bus ak bar Amma bi ki ankhon mein dikha jahan beshumar Ansu thy jo bhene ko teyar thy.

Taimur ne unke mathe ko chuma or ak dard c bhari muskhurahat se dekha.

"Ap ye batein chorein or apni medicine lein!!"

Taimur ne ak goli amma bi ke haat par rhaki or pass para glass jis mein paani phele se mojood tha unko thamaya...uske chere par dard c bhari muskurahat ke ilawa or kuch bi na tha... uske tasuraat uska huliya saab ko dhekte koi ye na keh sakta tha ke wo andar se kitna toutta hova tha....wo bachpan se hi to ye karta aya tha...chere par ak mukhota leye phirta tha..us mhukhoto ko bi Aaima ne dour keya tha..is baat se amma bi bakhubi wakif thien..par ab us mukhote ko utarne wali kisi or ki hone wali thi..shahid usko ab phir us mukhote ke sahare jeena tha.

"Puttar!!"

Amma bi ne Taimur ke sir par haat rhakte hove kaha.

"Amma bi Raat kaafi ho gai he ap so jaein subha baat karte hein!"

Taimur unke haat ko chumte utha or unke medicine wale box ko band karta unke pass rhakta wahan se chala gya.

Amma bi ke dil mein bus Taimur ke leye dua nikli thi..jo hamesha se nikalti thi par na jane kiun wo duaen ab tak Qabul nai hoi thien lagta tha ke wo duaein unke dil mein hi reh jati thien wo duaein kaabi arsh tak jati hi nai thi...

______

Kamre mein attey jese ab usko ghutan hone lagi thi...band kamra usko andar hi andar kha sa raha tha wo foran balcony ki taraf gya or khule asmaan ke niche khara hova kuch dair ke leye usko laga ke sansein dubra bahal ho gai hein par shahid ab un sanson ka bahal hona mushkil tha...
aksar jab sansein kisi ke naam kar di jaati hein to unka bahal hona mushkil hota he.

Kuch khaas farak na parne ke baad wo kamre mein wapis aya or side table se kuch nikalta kamre se bahir aa gya..basement mein attey wo apne painting room mein gya. Kamre mein madham si roshni phele se mujood thi.
Kamre ke aein bheech mein uske apne haton se banai hoi tasveer thi..Aaima ki wo wahid ak tasveer na thi us tarhan ki kuch or bi majood thien..Aaima ka khule asman ke nichee duniya se bekhabar ho kar jhumna..uski bemaari ki halat mein bed par sotey hove ki...ye sab jesey uske dimaag or dil mein bass sa gya tha.

Wo har waqat usko souchne ka ab aadi ho gya tha...

Wo bheech mein apney hi haton se banai tasveer ke qareeb gaya wo tasveer uski pheli banai hoi tasveer thi jis mein najney kitni dair bad mhuktalif rang istemal keye gye thy.

Usne apni mhutti kholi jo na janey wo kab se band kiye hove tha..jese us hateli mein pare necklace ko wo mehsus karna chata tha..usne wo necklace
Tasveer ke samne keya or guzare hove lamhe uski ankhon ke samne se guzarne lage thy..jab se ye necklace uske pas aya tha wo har waqat isko apney qareeb rhakta tha..jese wo Aaima ko rhakna chata tha.
par shahid bhool gya tha ke jese chezein or kuch guzre paal uske saat thy...us trhan wo us shakhs ko apney pass nai rhak sakta tha.

Aj usko neend kahan aani thi..sukoon ki neend ane ki wajah jo na thi uske pass..usne pocket mein pari ak goli ko nikala wo iska aadhi tha neend na aney ki wajah se wo neend ki goliyan kha leya krta tha or aj bi yehi krne ja raha tha..usne medicine khai or pass table par para paani piya jo wo apney saat laya tha..goli ne apna asar karna shuru kar deya tha..wo zada strong nai thi par wo shahid khud bi ap itna strong na tha zehni tour par is leye neend us par jaldi hawi ho gai thi..warna ye medicine usko asar hi nai karti thi ye Amma bi ki medicine thi jo wo unko medicine dete waqat chura laya tha or najaney kitne waqaton se asa hi karta tha.

Sab dhondlane laga tha bilkul wese hi jese wo chata tha wahin pas parey sofey par muskilon se bheta or samne dekha jahan dhuk bhaari tasveeron mein chand hi tasveerein thi jin mein har tarhan ka rang tha..bilkul uski zindagi ki tarhan Aaima ka wajood uske leye apni dhuk bhari zindagi mein kushi ke rangon jesa tha..wo kamra hamesha uska haal batata tha or shahid aj bi yehi kar raha tha..medicine ka asar ahista ahista bharta gaya..or Aaima ka chera uski tasveerein un mein istemal keye rang saab jese ab gaib sa hone laga tha or wo bebas un sab ko gaib hota dhekta raha.

"Mene kaha...tha Amma bi mhuhabat takleef de gi..."

Lafaz jese dil se nikle thy kiun ke zehan to puri tarhan medicine ke agosh mein tha..or agar wo apney hosh se bi kheta to tab bi ye ilfaz dil se hi nikalte kiun ke takleef to dil ki thi or is sab mein sab se zada nuksan bi dil ko hi hova tha.

Kuch dhuk kaabi nai jaatey..or Aaima ka dhuk bi wesa tha..par shahid qismat ne yehi likha tha Aaima na sahi par uske dhuk uske saat rehne wale thy..

"In dukhon se kia gila
Humein to kushiyon se bi kuch na mila"

____

Har bar ki tarhan suraj raat ke andheron se nikalta har taraf roshni phela chuka tha..par shahid insano ki banae ghar mein uski roshni ka koi kaam na tha or isi wahaj se abi kuch log raat ke andhere mein dabbe hove thy.

Dining table par nastha kab se laga diya tha Zia or Zaviyar us nasthe ko khamoshi se kha rahe thy par Amma bi ne abi shuru bi na keya tha..khane ka dil nai tha bus apney bachon ki farmaish par wo sardari kursi par bheti hoi thien.

"Zaviyar bhai kahan he tumhara??"

Zaviyar jo araam se khana kha raha tha ruka or apney baba ki janib dekha.

"Pata nai baba shahid so rahe hein!"

Aj usne saaf goi se juwab deya tha.

"Kab tak sona he usne na janey kab sudre ga ye acha bhala Lahore mein sab sambhal kar aya he or dekho yahan aa kar phir wohi harkatein."

"Baba plz kuch rest to karne dein unko kal bi bichare late ae thy agar is tarhan kaam karte rahe to tabiyat par asaar pare ga!"

Zaviyar ne apne bhai ki side lete hove kaha par sab sach hi to tha.

"Ma bi asey hi kaam karta aya hon or tumhare samne hon!"

Zia ne kuch thalk lheje mein kaha tha.

"Shahid is leye hi ap hum dono par dehan dena bhool gae thy..apkey leye apka kaam hi sab se zaruri tha..ke apney kaabi muj par ya Zaviyar yar tuwajja hi nai di!"

Ilfaz kaam or khanjar zada thy jo Zia sahab ke kano se hote dil tak gae thy.
Zia sahab ne awaaz ki janib dekha to Taimur teyar khara samne nazar aya par akhon se wo thakka hova nazar ata tha.

Usne kaabi shikwa nai keya tha par ab kia ho gya tha achanak usko.

"Taimur..?"

Zia ne beyakeeni mein iska naam dhuraya.Amma bi bus usko dhekti rahien wo jo nai chati thein sab wesa hi ho raha tha.

"Amma bi ma office ja raha hon!"

Usne Amma bi ke pass atey hove kaha or sir par unse piyar leta wahan se chala gya.
Uske jatey hi Zaviyar bi uske piche chal deya.

"Bhai..bhai..."

Kano par parti awaaz uske bhai ki thi jis ke leye wo kuch bi kar sakta tha par shahid aj dil ke haton majbur tha wo agar uski janib dekhta to apney apko sambhal na pata.
Bina murre hi juwab deya.

"muje dair ho rahi!"

Itna kheta wo gaari mein bheta tha or driver ne gaari chala di Zaviyar bhare dil ke saat wahin khara raha uske bhai ne jo andar kaha tha sab sach tha par aj usme or uske baba mein koi farak to na raha tha.

Flashback

10 saal ka bacha apne haat mein chuta sa apney hi haat se banaya project le kar khara tha.

" Baba..baba!"

Wo lagatar Zia ko bulata raha wo unko dikhana chata tha par Zia ko to jese uski awaaz sunai na di thi..wo lounge se le kar garage tak baba kehte aya tha par Zia ne bina murre juwab deya.

" muje dair ho rahi he!"

Or wo bacha wahin ruk gaya..usne to bus unse kuch waqat ka mutalba keya tha ak nazar mangi thi apney baba se par ankhon mein anson leye wapis ghar ki janib bhar gya..us project ko bi usne raste mein phank deya tha jab uske baba hi nai dekhna chate thy to usko school mein kia mil jana tha.

Wo pure din ruya tha..wo raat tak intezar mein raha ke shahid uske baba aein ge par nai wo rotey rotey kab so gya wo khud bi nai janta tha.

Flashback End

Zaviyar bi andar sab ko khuda hafiz karta hospital ki taraf ruwana hova.

_______

Hospital mein ae uska ab adha din hone wala tha or uski mulakat ab tak Aaima se na hoi thi..wo jese hi baat karne ki koshish karta to Aaima ko koi nurse bulane aa jati thi..wo na umeed hota bus apney kaam mein hi laag gaya jab Aaima uske paas aakar ruki.

"Kia hova he Mr.ollu pareshan kiun ho?"

Usne Aaima ki janib dekha.

"Kuch nai koi baat hi nai kar raha muj se aaj!"

Usne kisi bache ki tarhan shakayat ki thi.

Aaima dehma sa mukurai.

"Ye gustakhi kis ne kar di?"

"Bhai ne."

Masumiyat se kahe do ilfazon par Aaima muskurai thi.

"Zavi umeer mein muj se bhare ho par harkatein dekho!"

Zaviyar bi uski muskurahat par muskuraya tha.

"Dil to bacha he na!"

Usne dil par haat rhakte hove pure action mein kaha tha jis par dono haas uthe thy.

"Acha hova kia he?"

Uske pouchne par Zaviyar ne usko subha honey wala qissa sunaya.

"Zavi kia pata unko kesi baat ki pareshani ho warna to wo asey nai hein!"

Besakta Aaima ke muh se nikla tha usne usko jeetna jana tha wo bilkul ak kush eklakh or ache dil ka nazar ata tha.

"Han may be but kis bat ki pareshani ho sakti he?"

"Office ki ho gi?"

"Nai Aaima baba ne aj subha hi bataya tha ke sab bhot achey se chal raha he!"

"Zaviyar may be koi or baat ho jo wo share na kar pa rahe hon tum unhe time do theek ho jaein ge!"

Zaviyar dehma sa muskuraya tha.

"Wese apney bi ye gustakhi ki he beautiful!!"

"Mene??"

Aaima ne beyakeeni de dekha.

"Jee ma subha se baat karne ki koshish kar raha tha or tum kahin.."

Zaviyar ki baat adhuri hi rahi.

"Tumhare samne tha zaviyar koi na koi aa jata tha!"

Usne bahana keya tha.

"Wese congratulations!"

Aaima ne phir beyakeeni se dekha.

Or isse phele wo kuch kheti Zaviyar ka phone bol utha. Taimur ki call thi wo kahin na kahin phele se hi janta tha. Udar office mein jab gussa kaam hova to Taimur ne subha hone wali batein apney dimaag mein dhurai..wo apney bhai ke saat asy kese kar sakta tha takleef thi ke bharti ja rhi thi usne soucha tha ghar ja kar baat kare ga par office ke kamon mein na to dil lag rha tha or na zehan Zaviyar ke saat kiye janey wale ruwaiye ko bhol raha tha usne bina kuch souche moblie uthaya or Zaviyar ko call ki.

Zaviyar mobile ki taraf dhek kar muskuraya.

"Bhai ki call he!"

Aaima bi muskurai thi ye dono bhai sach mein bhoot piyar karte thy ak dusre ko.

"By the way muje auntie ne bataya tha rishte ka!"

Zaviyar ne mobile ki taraf dekha or kaha.

"Thanks..wo Zavi Arham muje lene aa gya he ma ja rhi hon okey!"

Zaviyar ne call receive kar li thi or Taimur ke kano mein pheli awaaz Aaima ki paari thi.

______

Taimur wahin rok gaya chand din hove thy usne is awaaz ko na suna tha or ab sunne ke bad shahid wo uske andar ki besukuni sukoon mein badal gai thi.

Dusri taraf Aaima khuda Hafiz kheti wahan se chali gai thi.

"Bhai aa gai yaad?"

Taimur hosh mein wapis aya.

"Sorry chotey bus wo.."

"Koi baat nai bhai ho jata he...or bhai ho sakey to baba se bi baat kar lena ap kaafi pareshani mein gae thy wo office!"

Taimur ne sir jhukaya tha wo sharminda tha.
Usne ye sab jan bhoj jar nai keya tha bus alfazon ko rouk nai paya tha.

Isse phele ke wo kuch bolte Zaviyar ne kuch dair rukne ka kaha.

Aaima jaldi mein apna bag wahin chor gai thi jo nurse abi Zaviyar ke pas lai thi. Baton baton mein shahid usko bag ka khayal hi na raha tha ya shahid wo us mozu par baat nai karna chati thi is leye jaldi jaldi mein apni chezon ko bhol gai.

Zaviyar bahir ki taraf teezi se barha. To wahan samne Arham or Aaima ko saat khare paya.

Arham Aaima se koi baat karne wala tha jab Zaviyar ne Aaima ka naam pukara or Aaima ne uski janib dekha.

"Aaima tumhara bag..Assalamu alikum Arham!"

Usne bag Aaima ke hawale keya or Arham se muhatif hova.

Rasmi si salam dua hoi thi.

Taimur abi bi call par tha.

"Wese mere hone waley jija jee ma bata raha hon meri bhen ko kaabi dhuk nai dena warna.."

Aaima ne usko ankhein dekhate uska naam pukara tha jis par wo haste hove chup ho gya tha.
Arham bi dehma sa muhskuraya tha or gaari ki dusri taraf aatey passenger seat ka darwa Aaima ke leye khola.

"Fikar maat karo Zaviyar ma isko kaabi dhuk nai don ga..kaabi bi nai!"

Arham ne Aaima ki ankhon ki taraf dhekte hove kaha Aaima kuch sharminda se hoti gaari mein bhait chuki thi.

Or Arham bi khuda hafiz khete apni manzil ho ruwana hova.

Zaviyar ne phone ko dubra kaan par lagya par dusri janib khamoshi thi ak sakta tha jo na janey kab tak rehna tha.
Juwaab na ane par Zaviyar ne call cut kar di thi.

Taimur ne samne paari file ko dekha jis par Arham Osman ka naam likha tha.
Uske muh se uska naam nikla.

"Arham Osman!"

Or phir Aaima ka.

"Aaima Aziz!"

Awaaz madham hoi thi gussa dhuk jese uske naam ko pukarne par phele se kuch kaam hova tha. Par zehan ak dam thitka tha or besakta uske muh se nikla.

"Aaima Arham..."

Jazbaat thy ke ab uske haat mein na thy.
Ussne gusse mein Muneeb ko apney kamre mein bulaya.
Or muneeb bi pareshan hota foran hazir hova.

"Jee Sir?"

Taimur ne uski janib dekha.

"Arham osman se mutalik har file yahan se le jao!!"

Muneeb abi bi apney ap ko normal karne ki koshish mein tha apney dimaag ko istemal mein lana chah raha tha. Ak daam phir Taimur ki awaaz kamre mein ghonji or muneeb ne apne jazbaton ko kaafi haad tak qabu karte Taimur ke hukaam par amaal karna shuru keya.

Muneeb wahan se janey hi laga tha jab Taimur ki awaaz par dubra ruka.

"Is project ko kisi or ko de do ya khud sambhal lo!!"

Isse phele ke wo agy se kuch bolta Taimur ne usko janey ka kaha or wo bina kuch kahe wahan se chala gya usne kaabi Taimur ko gusse mein nai dekha tha or aj dhek kar jese us mein kuch himmat na rahi thi kehne ki.

_____

Gaari mein safar khamoshi se teh ho raha tha jab Arham ne Aaima ki janib dekha.

"Tum kush ho is rishte se?"

Aaima ne yiun achanak puche jane sawaal par usko dekha.
Or phir bhair ki taraf dhekne lagi.

"Pata nai..."

Arham ne phir uski taraf dekha.

"Agar nai ho to batao ma baba se..."

"Nai mene asa bi kuch nai kaha..bus Arham ak daam ye saab ho raha shahid is leye kuch samj nai aa rhi!"

"To hum baba se karte hein or kuch dair agy karwa lete hein shadi...agar tumhe waqat chaiye to?"

Aaima ne dehmi si muskurahat ke saat usko dekha.

"Arham relax muje koi masla nai he ma Maa or chachu ki khuwaish par kush hon!"

Arham khamosh tha is bar.

"Kia tum kush ho?"

Is bar sawal Aaima ne pucha tha.
Ak khamoshi thi jisko wo tor hi na raha tha.

"Saab se zada!"

Uske khene par dono muskurae thy.
Or Arham ne gaari roki thi.

"Gaari kiun rok di?"

"Ice cream khate hein... hum in dusre rishton mein jese apni dosti bhol gae hein..to mene sucha dubra wo saab yaad keya jae!"

Aaima pure din mein ab pheli bar pure dil se muskurai thi. Arham ak acha insan tha dusron ke liye ache jazbaat rhakta tha.phir Aaima ka dil kiun bechain tha.
Aaima abi apne khayalon mein hi thi jab uski side ka darwaza Arham ne khola.
Aaima ne muskura kar usse dekha.

"Arham iski zarurat nai thi!"

"Aray meri future wife ab to ye sari zindagi karna he muje!"

Wo dhema sa muskuraya tha. Or Aaima bi us se nazrein churati zere lab muskurayi thi.

_______

Zia sahab Taimur ke project ke mamle mein nafi sun kar gusse mein agh baghula ho rahe thy.

"Muneeb abi jao or usko bula kr lao...right now!!!"

Muneeb ne abi pura jumla bi nai suna ho ga or unki garajti hoi awaaz par wo Taimur ki janib bhaga tha.

Kuch hi dair mein Taimur apne baap ke samne tha.

"Mene keh diya he muje us project ke related koi cheez handle nai karni!"

Zia sahab apne bete ki harkaton par sir haat mein liye bhete thy.

"Taimur apna hi mustakbil apne haton barbad na karo!"

Zia sahab ki awaz bhari thi..dhuk se bebasi se. Taimur hamesha unke ak bar khene par hi unka hukam man liya karta tha par na jane kiun aj zid par utar aya tha.

"Kon sa mustaqbil baba?..mera mustaqbil cheen chuka he ab agar mere pas kuch raha he to mera mazi bus!"

Taimur dhema sa muskuraya tha. Zia sahab ne ak dard bhari nazar us par dali.

" Kal port se cheezein Lahore ke warehouse pounch gai hein...subha hoty hi jana or sab dhek kar ana!"

Zia sahab ne is bar sakht lheje mein kaha. Taimur ne uljan bhari nazron se dekha.

"Jee bhetar!"

Itna kheta wo zia sahab ke office se bahir nikal aya.
Usko sab se akhir darje ke kaam manzoor thy magar Arham ko apne samne dhekna manzor nai tha.

Wo abi apne office ki taraf hi bhar raha tha jab kisi ne uska rasta roka.
Taimur ne us shakhs ki janib dekha.
Wo jis shakhs se dour bhag jana jata tha wo aien qareeb khara tha uske.

"Taimur acha hova ap jaldi hi mil gae wo darasal muje khena..."

Arham ki baat adhuri hi reh gai jab piche se aati Aaima ne uska naam pukara.

"Arham tum file to car mein hi bhol ae ho!"

Aaima muskhurati haat mein file liye un dono ke samne aa majood hoi.
Arham file uske haat se thamta zere lab muskuraya or Taimur se mukhatib hova.

Magar Taimur ke kano ne jo akhri alfaz sune thy wo Aaima ki zuban se Arham ka naam tha.
Dil mein jese pahar toute thy..jis ki awaaz wo andar hi kahin duba gaya tha. Takleef bebasi kia kuch nai tha uski ankhon mein..par shahyd usko un sab ka adhi hona tha ab.

Usne ak akhri nazar Aaima par dali...
Wo pagal tha jo usne itni paakeza..khubsurat larki ko pane ki khuwaish ki thi.

Wo bina kuch sunne un dono ki side se hota apne office ki taraf bhar gaya.
Mushkil tha wahan khara hona kuch dair bi therta to shahid bhikhar jata.
Par bebasi is inteha par thi ke bhikar jane ke bawajod bi wo kuch khe na pata.

"Ma kuch khe nai paya
Kuch sun nai paya
Wo jis ko chaha tha usko kisi or ka hota dhek nai paya
Kuch gaam thy jinhe mein seh nai paya
Ma kuch khe nai paya
Kuch khushiyan thien jinhe ma sameet nai paya
Kuch shamein thi jinhe mein dhalta dhek nai paya
Ma kuch keh nai paya
Ma kuch sun nai paya
Ma wo bayan kar nai paya
Jo muj par bhiti thi usko ma likh nai pya
Kuch anson thy jine ma bhaha nai paya
Ak shakhs tha jo muje mil nai paya
Ma kuch khe nai paya
mere hisse mein abi kuch nai aya!"

________________

Assalmu alikum!

Umeed he sab kheriyat se hon ge!💞

Ma janti hon is bar kuch zada hi dair kar di or is par mazrat bi karti hon
Papers thy or thy bi final bus kuch us mein masruf rahi.
Ab agy bi kuch masrufiyat he uske liye ap sab dua kije ga.

Baki ab update time se dene ki koshish karon gi or 25 tak agar na bi ho saka asa to uske bad se yakeenan week mein ak bar update zarur ae gi!

Chap 11 ho sakta he is mein bhot c galtiyan hon or ye baki ke chap ki tarhan bi na ho
Ma is mein kuch zada describe nai kar pai kiun ke ye chap bhot lamba ho gya tha. Or ye chap ma bhot waqt bad likh rhi thi or likha bi bhot si breaks le kr tha..to umeed karti hon toute phoute lafzon ko ap pasnd kare ge.💞

Ainda isko bhetar krne ki koshish karon gi💞
Shukriya.

Dua mein yaad rhaki je ga or like or comment karna maat bholna😉🥰.

Khuda Hafiz.
Special thanks tomoonxpastelstar

Continue Reading

You'll Also Like

106K 235 17
My wlw thoughts Men DNI 🚫 If you don't like these stories just block don't report
281K 586 22
just some of my horny thoughts;) men dni
166K 6.1K 12
2 tom dylogii ,,Agony"
57.9K 1.1K 95
Continuation of Modesto story who happens to intercourse with friends,mature,classmates,strangers and even family...