Kuch Pal MaAn Ke Sang

By 2DreamsAndWings

12.1K 502 46

Collection of short stories on the popular TV couple MaAn from Anupamaa. ------------------------- 1: Kuch A... More

Part 1: Kuch Alag Chai pe Charcha
part 2 : Kuch Alag Chai pe Charcha
part 3 : Kuch Alag Chai pe Charcha
OS : Sangeet, Qawwali aur Touch
part 1 : New Beginnings
part 2 : New Beginnings
part 3 : New Beginnings
part 4 : New Beginnings
part 5 : New Beginnings

part 4 : Kuch Alag Chai pe Charcha

983 58 12
By 2DreamsAndWings

Here comes the last part, hope you like it and please share your comments and vote for it.

---------------------------

Anu: Anuj, ek baar phir soch li jiye, aap sahi nahi kar rahe hai. Mere nahi, par apni behen Mukku ke bare main sochiye. Wo yaha aise rahegi, kahi kisi ne uska fayda utha liya to. Us ke saath kya hua hai, aap jante hai, wo bahut bhawuk hai

Anuj: Kaun fayda uthayega uska, Vanraj hai na uska partner.

Anu: Haan, par Mr Shah, uske bhai nahi hai, wo Anuj nahi hai. Parivaar ke bahar koi bhi ho, kabhi us pe aankh band kar vishwas nahi karna chahiye. Mukku ka parivaar aap hai, sirf aap.

Anuj: Mukku ke parivaar main tum bhi ho Anupama.

Aur tum khud Mr Shah ko apna parivaar manti ho, use ek achcha beta, achcha pita manti ho. Tum ne hi to mujhe us din samjhaya tha ki wo ghatiya insaan nahi hai.

Anu: Phir bhi waqt badalte der nahi lagti, aur waqt ke saath kai baar insaan bhi badal jate hai. Aap bahut selfish aur gair zimmedar (irresponsible) bhai honge agar aap is tarah Mukku ko chod ke chale jayenga

Anuj after a long pause: Nahi chodunga, Mukku meri sabse pehli zimmedari hai. main use kabhi chod nahi sakta.

Anu, cautious with checked feelings asked: to aap videsh nahi jayenge.

Anuj: maine aise nahi kaha.

Anu: matlab?

Anuj: Mukku bhi mere saath wapas USA chal rahi hai. Aapne project, Mr Shah aur bhai main se, us ne aapne bhai ko chuna hai. Hum itne saal dur rahe hai, ab aur nahi.

Mere haath main intezaar ki lakeer kuch zyada hi lambi hai. Maine 10 saal mukku ke bina guzaare hai, par ab nahi, Mukku ab hamesha mere saath hi rahegi.

Maine tumhara bhi 26 saal intezaar kiya hai, aaj bhi kar raha hu, tum mera pyaar ho, chodna to main tumhe bhi nahi chahta, par mera tum pe koi haq nahi.

Anu wanted to say, that Anuj has all haq on her but, she yet again stopped herself. She never wanted to come between the siblings.

-----------------------------------

Anuj: main janta hu tumhe Mr Shah ki chinta ho rahi hogi. Us ki partnership, us project ka kya hoga.

Anu: nahi wo main...

Anuj: koi baat nahi, main samjhta hu. Ye rishte kuch zyada hi ulajh se gaye hai. Dont worry, I will fund his project, he will get 2 years to start showing profit. Every quarter, my team will review his financial reports and progress. Haan agar aise nahi hua, to main wo project band kar dunga. Mr Shah capable hai, but kai baar uska ego beech main aa jata hai, wo cafe almost band hone pe hai. Anuj Kapadia ko bhi investors ko jawaab dena hota hai.

Anu: Anuj, aap bahut achche hai. Mukku ke chodne ke baad bhi, aap uske partnership ka dhyan rakh rahe hai.

Anuj: mujhe ye karna hi tha, do wajah se.

Ek, main nahi chahta wo Mukku ko business circle main irresponsible bole. Investors ne Vanraj ko nahi Anuj Kapadia ki behen ko haan bola tha. I need to protect Mukku's reputation.

Aur doosra, main janta hu, aaj bhi tumhari jaan us ghar main basi hai. Aur Mr Shah ka wo dream toot ta to Baa, Toshu aur tumhe bhi bura lagta. Aur ghar ke finance bhi thik nahi rehte.

-----------------------------------

Anuj: ek request hai tumse. Main nahi janta mere jane ke baad, yaha kya hoga. Tum wo restaurant complete karna chahogi, ya phir shayad wapas Shah house jana chaho.

Main tum pe koi dabav nahi daluanga. Par haan, ye restaurant maine mere Mummy Papa ko dedicate kiya tha. Isliye, main kabhi ise band hote nahi dekh sakta. Ye ek CSR initiative hoga, isliye tumhe kabhi ise Profit main chalane ka koi pressure nahi hoga.

Note: CSR - sort of charitable work, which companies are mandated to spend on for betterment of society, something like NGO.

Anuj: maine Devika se baat kar li hai, she will support you. Aur agar kabhi tumhe ye kaam nahi karna ho, to Devika ise manage karegi. I will be in constant touch with her, so kuch hoga to wo mujhe bata degi.

Anu: Aap to wakai bahut bade business man hai, sab kuch soch ke, plan karke rakha hai. Itne achche se ki, aap ko dubara aane ki koi zaroorat na pade. Sab kuch jane se pehle tay(final) kar diya hai.

------------

Anuj: Shayad main dubara ye na bol pao, par aaj kuch bolna chahta hu. main apni line cross kar na chahta hu. kya main tum se kuch puch sakta hu

Anu: Anuj, aap ka haq hai, aap mujh se kuch bhi puch sakte hai.

Anuj: Jab wo insaan tumhe chuta hai to tumhe kyu farak nahi padhta. Baa sahi kehti hai, main tumhare liye aaj bhi paraya mard hu par Vanraj nahi

Anu: Anuj, aisa nahi hai. aap bhi mere apne......

Anu couldn't say anything further, she realised that while she accepted Anuj as her own, she didn't called Vanraj as stranger either. Anuj, heard her sentence fully and understood why she stopped midway but chose not to question her, what he already knew.

-----------------------------

Anuj: Sach bolna Anu kya tumhe lagta hai Mr Shah Mukku ke liye sahi partner hai. Kya wo sach main ghatiya insaan nahi hai. Kya uska dhyan sirf aur sirf apne kaam pe hai. kya us ke rehte mujhe Mukku ki koi chinta nahi karni chahiye.

Anu: Anuj, aap bhai hai, aur ek bhai ko hamesha apni behen ki chinta aur khayal rehta hai.

Anuj: Par ye mere sawaal ka jawab nahi hua

Anu: Anuj, wo main wo.

Anuj: Aaj bhi kuch nahi bologi tum. khair chodo, main hi bewokoof tha jo umeed kar baitha. Waise, janna nahi chahogi ki kyu maine Mukku ki ye partnership todi, kyu main use apne saath wapas le jaa raha hu

Anu: wo mere aur Mr Shah, aap ko galat phahami hai Anuj

Anuj: meri zindagi main do insaan bahut important hai, Tum aur Mukku. Isliye, mera har faisla dono ke bare main soch kar karta hu.

Anu: matlab Mukku, kaise

Anuj: Kaash Anupama, tum mujhe samajh pati. Kaash, mummy papa ki tarah hamare beech bhi wo vishwas hota, wo understanding hoti, koi secrets nahi hote. Par main samjhta hu, ye rishta to hamesha se hi one-way street tha.

Ye dekho, tumhe kuch dikhata hu..

Anuj, showed Anupama some CCTV footage from Office cafeteria and Vanraj's cabin. They show how Vanraj had been manipulating Mukku, how physically close they were getting. The friendly coffee chats, heated discussion and challenges related to Mukku, between Vanraj and Anupama.

Anuj: Aisa nahi hai ki main tum par nazar rakha tha. kisi bhi corporate office main CCTV bahut common hota hai, koi chori ho, paise ya important documents. Ye sab jab office open hua tha, tab se hai. Mere cabin main bhi CCTV hai, aisa nahi ki sirf Vanraj ke cabin main hai.

Do din pehle, finance ki ek report missing thi. Us ke liye hi, aaj main wo recording dekh raha tha, aur tab mujhe ye dikha. Ye dekhne ke bad ..........

------------------------------------

Anuj got very emotional, disappointed and hurt, he could not complete the sentence. There were tears in his eyes and he wasnt able to utter a word further. Anu was feeling very bad, hurt seeing Anuj's hurt. However, she wasn't able to explain, why she kept all this hidden.

She herself wasn't sure, why she did that, was it years old habit of taking care of everything alone. Was she hiding fact that father of her children was stooping so low and she has to maintain his image, for her children sake? Was it because she worried Anuj might act rash, this man who was still so calm and is handling everything so rationally? Or was it because of her hidden feelings for Vanraj, something she herself hasn't acknowledged yet? Anuj made her question her own thought process and reasoning. There was no accusation in his voice but desire to understand her, to know his place in her life.

--------------------------

After a long silence, Anuj: Shayad, main sab janta hu. Ye bhi ki tumne kisi se kuch kyu nahi bataya. Tum aaj bhi Mr Shah se shayad pyaar karti ho, use sab ki nazaron main girta nahi dekh sakti.

Shayad is liye aaj bhi tumhare dil main mere liye wo jazbaat nahi hai. Jo mere dil main pichle 26 saalon se hai.

Sach kahu to jalan hoti hai mujhe. Tum aur Vanraj aaj bhi ek dusre se sab kehte ho, har baat jante ho. Jaise mere mummy-papa the, waise tum aur Vanraj jo. Tumhare aur mere beech, na jane aaj bhi kitne raaz hai.

Man liya Mr Shah sirf tumhare bacho ka pita hai. Par is sab mein main Kaha hu Anupama... tumhari zindagi mein main kaha hu

Anupama, un kapdo ki tarah, jab tak Vanraj tumhari zindagi se nahi jayega, main ya koi bhi, kaise aayega. Jab tak wo purana rishta nahi jayega, tab tak, na to naya rishta banega aur na hi wo chamkega.

-----------------------------

Anu: Anuj main aaj is ghar main aap ke saath reh rahi hu. Aap ki bahut izaat karti hu. Main ye nahi keh sakti ki Mr Shah se mera rishta nahi. Haan rishta hain, par wo nahi jo aap soch rahe hai. Ye sach hai, divorce ke bad bhi main us ghar se dur nahi hui. Par is ka matlab ye nahi, ki main is ghar se judi nahi. Mere liye dono ghar apni jagah hai, dono ka apna mahatwa hai.

Anuj: To kya tum mere saath USA chalogi ?

Anu: Mukku aap ke saath chal rahi hai. Par meri kuch zimmedari hai yaha, main aapne bachcho se dur kaise jao, mere baa-bapuji hai yaha.

Anuj: Dusre rishto ke bare mein main kuch nahi kahunga. Par tumhare bache, kya sach main yaha rehne se unka bhavishya banega.

Kinjal sirf tumhare karan us ghar main hai. Ye tum bhi janti ho aur main bhi ki Toshu, Baa aur Mr Shah ki soch kaisi hai. Agar wo waha rahi to, wo dusri Anupama ban jayegi. Kahi na kahi wo us ghar main dab gayi hai. Us ke liye achcha hoga ki wo aur Toshu alag rahe.

Samar, wo nachaniya, us ke baare main kya bolu, us ka koi career aur future nahi hai.

Anu, in a raised voice: Anuj, aap Samar ke bare main aise sabd kaise bol sakte hai

Anuj, is a soft low tone: Ye sabd, mere nahi Samar ke achche pita ke hai.

Samar ne apna international dance career tumhare liye chod diya tha. Tumhari us academy ke liye, tumhari wajah se wo us ghar main hai, jaha use aur Nandini ko koi izzat nahi karta. Tumne khud apne bete ko bandh kar rakha hai, use udhne se rok rahi ho.

Anu: main use kabhi nahi roka

Anuj: Par jane ke liye bola bhi nahi. Jab tak tum us ghar main ho, tumhare liye wo bandha rahega. Wo tumse bahut pyaar karta hai.

Pakhi, daddy's princess, is baar to tumne use rok liya. Par hain wo Mr Shah ki daughter, bahut jaldi wo dubara USA ki baat karegi, tum kab tak use rok paogi. Aur Mr Shah use rokenge bhi nahi.

Agar tum khud USA main rahi to, Pakhi ke kareeb hogi, use jab zaroorat hogi, wo tumhare pass aa jayegi. Waha pass reh kar tum us ka achche se khayal rakh paogi. Mr Shah se door, shayad Pakhi tab tumhe samjhne lage, college main zimmedari ke saath, insaan samajh daar bhi banta hai. Shayad tab wo tumhe Maa ka samaan de ne lage.

------------------------------

Anuj: Maine aaj jane se phele ye sab tumhe isliye nahi keh raha ki tum Baa-Bapuji, Vanraj aur Shah family se door raho. Bas isliye bataya ki 26 saal pehle tumhare haath main kuch nahi tha, Tumhari shaadi tumhari maa ne tay kar di thi.

Par aaj jab tum dubara us hi mod pe aa kar khadi ho. Is baar tum sab kuch jaan kar, soch samajh kar faisla lo. Chaho to rishto main apna haq mango, chaho to jaise chal raha hai chale do. Faisla humesha se tumhare hi rahega, par ye faisla sab kuch jan kar, soch samajh kar liya ho. main nahi chahta tumhare saath koi fraud ho.

Tum bahut achchi ho, sabse achchi, par ye duniya aisi nahi hai. Phool ke saath kate hamesha ate hai, agar tumhe un kato se pyaar hai aur unhe bhi sahej kar rakhna chahti ho to rakho, par is baat ka dhyan rakho ki wo kante hai, chubh gaye to khoon to bahega hi.

Mere liye tumhari khushi se badh kar kuch nahi. yaad hai maine bhumi pujan wale din bhi kaha tha, tum chaho to mujh se dur ho jao par apni khushiyon se nahi. Tumhari khushiyan agar use ghar se judi hai. Aur agar main yaha raha to tum, in do gharon ke beech bat jaogi, kabhi khush nahi rahogi. isliye, tumhari khushi ke liye aaj main wo karunga jo maine 26 saal pehle kiya tha. main tumse dur chala jaunga Anupama.

---------------------------------------------

Anuj and Anupama didn't realise that both had been talking all night. The dark cloudy night has now made way for Sun to rise and shine. The bright sunlight is falling on their face and it's shining from the beauty they have within. It's like after a long time, they can look at each other. Their eyes met again after eons and held each other captive. Both thinking about all they shared earlier, the past, present and what can be their future.

Anuj: Kya tum mere saath aaogi?

Anu: Aap mujh se shaadi karenge?

Anuj's eyes suddenly lit up, he could not believe what he just heard. Was he still dreaming, if it's a dream he never wishes to wake up again. A soft small smile is slowly finding its way on his face.

Anu: Ab bapuji ne beti mana hai, wo maika chod ke, hamesha ke liye aapke saath sasural aana hai. Jaldi soch ke bata di jiye. Humare pass sirf 7 din hai. Waise bhi kehte hai na, achche kaam ke liye muhurat nahi dekhte. Jab achcha kaam karo, tab hi se achcha waqt shuru ho jata hai.

Anuj holds her hand in his hands, pulls her close towards him. He moves forward to give a kiss on her forehead to seal the relation. There was no need left for any words to be said. And they had very less time before they move to US. They had to do and plan lot of things, most importantly their marriage.

---------------------------

Continue Reading

You'll Also Like

15.4K 602 12
This is a fiction, that imagines our GauRup in a parallel-verse. To this universe Rupali Ganguly and Gaurav Khanna carry only their names and chemist...
85.3K 4.6K 57
It is my first fanfiction... This is a story of anupama after she divorced vanraj and moved out of shah house...how she build back her life..how she...
30K 796 10
Another MaAn Fanfic
27.5K 1.7K 31
VOTE for all chapters. Fanfiction based on Star Plus's Anupama. A world where angst between MaAn is not overstretched. Hopefully what is overstretch...