Dil e Nashad

By Gurlinchaos

2.6K 290 1.3K

" Muhabat karta hun tumsy " " magar ma nhi karti " " tumhe karni pary gi !!!" ~~~~~~~~~~●●♡♡●●~~~~~~~~~~ "... More

chapter 1
introduction
chapter 2
chapter 3
chapter 4
chapter 5
chapter 6
Chapter 7
chapter 8
chapter 10
chapter 11
chapter 12

chapter 9

157 19 147
By Gurlinchaos


Jainamaz band karta bad pe bebastka leta tha.
Namaz main kuch to tha jo usse andar hi andar sukoon de gya tha.
Saat hi apne dil ki kefiyat ko ilfazon ki shakal bi to mili thi....to ab sukoon uski zindagi main kese na aata.

Mhuhabat....usse to is ehsas se dour rehna tha to phir yiun achanak ye ehsas uske itne qareeb kiun aa ruka.
Wo to tanhai pasand larka tha phir ab ye band kamra acha kiun nai lag raha tha.
Kiun khole asman ke tale jane ki koshish lagatar usse bheer rahi thi.

Phir uttha kamre ki balcony pe atta khole asmaan ko dhekne laga.
Chaand bi ab to ussi ka ishara de raha ho jese...sitare bi apni chamak dhamak se jese uska naam jhaap rahe hon.....wo kale badalon ka kabi anna or jana bi usse uski ankhon ki tashbi de raha tha....uski jheel milati ankhon jesa.

Ye badal bi us par uski ankhon jesa asar kar rahe thy.

"Mama wo apki tarhan bhoot khubsurt he....apki hi tarhan kush ekhlak....apki tarhan sab ki madat karne wali.....wo muje apki yaad dilati he.."

Asman par nazar any wale

Chand sitaron par nazar dalta wo apni maa ko yaad karta khud se hi batain kar raha tha.

Niche khari Aaima jo backyard main taelne ai thi..to upar ke kamre se aati roshni ko dhekte usse wahan khara Taimur nazar aya. Usse kuch dair yiun hi dhekti wo murne lagi magar jab usse baat karte dheka to uske aspas dheka to malum hova ke wo khud se baat karne main masruf tha.

"Kia ho Taimur ap??"

Ye wo wahid baat thi jo usy usse pouchni thi magar himmat har bar juwab de jati thi...ak akhari nazar dalti wo apne kamre ki janib bhar gai.

_______

Subha 10 bajte hi Aaima ka alram baja to usy band karte teyar hoti niche ko chali gai. Tv area main dinning area har jagah dhekne ke bawajood koi usse nazar na aya. Khud hi kitchen ki taraf bharti apne sar dard ki dua dhondne lagi..jo ak adat coffee ka cup tha.
Kitchen main atte nazrein idar udar dhorati jese kisi ke talash main ho jese....piche se aati ahaat sunte furan piche murti hi zaban pisli...

"Auntie muje..."

Agy se aate shaks ko dhekti zuban sun parne lagi. Kal raat ka waqiya or kal raat ki uski bataen dubra dimag main ghomne lagien.

"Kuch chaiye?"

Narmi se poche sawal par bi khamoshi ke sawa kuch hasil na hova Taimur ko.

"Hellooo."

Phir khamoshi.

"Aaima."

Taimur ka uske naam pukarne par wo dubra hosh main ai.
Apna naam shahid dusri bar suna tha uske muh se.

"Coffee."

Damag ke maouf hone par jese wo ak hi ilfaaz keh saki.

"Wo co..Coffee peni thi muje but Auntie kahin mil..."

Thori dair bad hi apne ap ko sahi karti juwab dene lgi.

"Ma bana dun?"

"Nahi Auntie..."

"Unhe time lage ga...wo darasal Amma bi ke leye unke kamre main nashta le kar gain hain unhe kuch waqat lgy ga...is leye keh raha hon ke ma bana deta hon!!"

"But..."

Uski bina kuch sune Taimur uske pass se juzarta Coffee bane ke leye chezein nikalne laga.

Kuch hi dair bad coffee ke do cup banata bahir tv area main aya or Aaima ke samne pari table pe uska cup rhakta tv on keya.

"Thanks."

"No need."

Aj to jese Taimur ke lehje main narmi ke ilawa kuch nai tha.

"Coffee achi bani..."

Dono akahte bole thy...or saat hi muskurae thy.

"Ma kehne hi lagi thi...bhot achi bani he no doubt!!"

"Shukriya."

"Aaray hum sab hi iski coffee ke shokeen he beta. Magar mijal ho beta jo ye kisi ke leye bana de..han bus jab iska dil hota he tab banata he. Warna to agla kehta thak jae ye na bana kar de."

"Amma bi ab asi bi baat nai he."

Taimur jese sidy hota bola..or sharminda sa apne ak haat ko apni gardan ke piche pherne laga.

"Ma te tenu jandi nai."

Amma bi kursi pe bhet te hoien bolien.

"Aaima puttar kesa guzra kal ka din?"

Aaima ki nazron ne jese foran taimur ki nazron ka rhok keya.jo phele hi uski janib dhek rha tha uski nazron ko apni taraf atta dhekta..khud ki nazron ka rohk dusri janib ko kar leya.

"Ac...acha guzra Auntie!"

"Ae Auntie ki honda he...menu sab Amma bi khende ne beta hun to tu vi meenu Amma bi bolavien."

Punjabi main bola jumla bi mithas se bhara hova tha.
Aaima ke naseeb main kabi apni dadi ka peyar nai tha.
Jab tak wo duniyan main thien to us se milna nai chati thein...or ab to wo is duniya se bi ruksat ho chuki thien.

"Je theek Amma bi!!"

Muskurahat se kehti apne kamre main jane ke leye uthi.

"Ma chalti hon!"

"Aj jana he puttar hospital?"

"Nai Amma bi aj nai jana!"

"Acha chalo phir araam karo."

Kamre main aate hi darwaza band keya.
Karne ko aj kuch na tha aj ke din usy hospital nai jana tha....kuch dair yiun hi bhetne ke bad uthti kapre tabdeel karti simple sa makeup karti balon ko chutiya main band keya...or phir niche ko ai.

Usy gae upar kuch gante ho gae thy..or ab jab dubra niche tv area main ai to abi bi taimur or Amma bi apni baton main magan thy.
Farak srif itna tha ke Taimur ab kali sharwar kameez main malbus tha...jiski astine usne koniyon tak charhai thien.

Tv area main phelti nai c khushbo aty hi Taimur ne khusho se bhare wajood ki janib dheka....samne khari Aaima ne bi itefakan peron tak aati kaali kaliyon wali frock pheni thi...uske chotiya main bande baal chere pe aaty kuch baal jise wo kuch hi wafke ke bad apne kano ke piche arasti thi....aishta se ankhon ne uski ankho ki janib dheka jo aj kajal main lipti thien.....kajal se bhari ankhen achi lag rahin thi...or taimur ko to behad achi lag rahien thi.

"Puttar khete jaan da irada ae?"

"Amma bi bore ho rahi thi kuch kaam hi nai tha to socha Lahore ghom lon."

"Bara acha irada he puttar!...par jao ke kese puttar tusi?"

"Amma bi Uber karwaon gi wese to raston ka nai malom muje."

"O acha puttar."

Abi wo apni baton main masrof thy or dusri taraf Taimur Aaima ko dhekne main masruf tha tabhi tv se aati halki awaz ne usy apni janib mutawaja keya.

"Ak or haadsa 20 saala larki ka ghar se gaib ho jana or 15 din bad uski laash ka khasta halat main milna!! Akhir kab tak ye silsila yiun hi chale ga Akhir kab tak??"

Anchor ki awaaz itna dam rhakti thi ke Aaima or Amma bi ,bi ussi news ki taraf dhekne ko majbour thien.

Ak hi news ko bar bar dhorati wo Anchor or nichele headlines main bi ussi se mutallik khabar ko dohrahya ja rha tha.
Amma bi ki saab se phele nazar Aaima ki taraf gain....jo kuch dair phele wali Aaima ab kahin se nai lg rhi thi...ankhon main khof...ak haat ke upar dusra haat masalti.

"Aaima puttar theek ho?"

Amma bi ke kehne par Taimur ne bi Aaima ki janib dheka.usy dhekte hi jese usne tv ko band kar deya.

"Je ma...theek hon."

"Puttar asa karte hain ke ma or Taimur chalte hain apke saat..apko jaga bi sahi se ghoma laen ge."

"Bhoot shukriya Amma bi magar..."

"Ma ready hon ap log bi bahir aa jaen."

Aaima ki ak na sunta apna jumla bolta bahir ko bhar gya.

"Puttar dar kiun rahe ho....in halaton ka masbuti se mukabla karna chaiye."

Amma bi ne bhoot shafkat se bhara haat Aaima ke sir pe pehra.

"Amma bi bus is cheez se bhoot ....daar lgta he!!"

Nami leye wo Amma bi ke seeneh se lipti.

"Kuch nai hota puttar Allah he na!!"

Ye wo ilfaaz thy ke har buzdil ko mazbout or har mazbout ko takatwar bana deti thi.

Bahir khare Taimur ke le ye sab sunna mushkil na tha.

________

Badsha masjid aaty hi Aaima ne sar pe leye rubate ko sahi keya..or bahir nikalte hi har cheez pe ak nazar dhorai.

Khobsurat se bi Khobsurat tha manzar...dhobta suraj...or asman main aaty kale badil jinho ne safaid baadlon par aj hokmarani karne ka socha tha.
Jis se barish ke imkan saaf zahir thy.

"Chalen agy?"

Taimur ke pochne par halka sa sir hilati Amma bi ka haat ak taraf se pakarti chalne lagi.

Asar ki namaz adda karne ki dair thi. ke bahir barish zoron se barasne lagi.

"Kuch dair rokte hain warna itni barish main parking area tak jate bheeg jaen ge hum!"

Taimur ki baat pe dono ne raza mandi dhikate hove apne apne saron ko kham keya.
Amma bi ko masjid ke andar mojood kursi pe bhetathi khud kuch bahir ki taraf bhari.

Abi bi masjid ki chaat tale thi iis wjah se wo bhejne se kasir thi.
Haat bahir ko nikalti barish ke kuch katron ko apni hateli pe mehsus karti muskura rahi thi.

Taimur Amma bi ke saat tha bahir ka manzar usy abi bi uljah raha tha.
Samne bheti Amma bi ye saaf tasuraton ko bakhubi jante uska naam pukarien.

"Taimur?"

Niche zameen par bheta apni sochon main magan tha.
Unke bulane pe jawab kuch dair bad aya.

"Jee Amma bi."

"Raab ke ghar mojood ho uske bawajood bi khof zada ho?"

Ak jumle ne jese Taimur ko waziya kar deya tha ke wo uski kefiyat se nawakif nai hain.

"Khof zada nai hon!!"

"Phir ye chere pe becheni kiun he mere puttar ke."

"Barish na pasand chezon main se ak he...bus uski wajah se ho ga."

Sir jhukhata bula tha.

"Puttar jo ho gya he usy bhol kiun nai jata?"

Amma bi ke saaf saaf ilfazon par dam sada sa bola.

"Bhulna asan hota to kab ka bhol jata."

Amma bi Taimur ke sir pe haat phirti bebasi se ankhe band kar chuki thien.

Zindagi ne bi to usy srif dhukon ke siwa kuch na deya tha. Uske hisse main na jane kab kushiyon ki amaad honi thi.

Unke pass se uthta bahir ko jane laga mosam ki surtehal ko jhanchane ke leye.

"Mere parwardigar is bache ko iski khushiyan lota de.iske haaq main jo bhetar he wo isko soomp de."

Ansu or na jane kin ehsaason se bhari dua khud dil se nikli thi.

_______

Kuch bahir atta nazren bahir ko dhorata jese ak jaga hi rok chuka tha.
Samne khari kale libas main malbous wo larki barish ke kuch katron pe muskurahat ka shikar thi.
Or wo bad qismat barish se nafrat karta tha.
Barish main agar wo kisi cheez ka shikar hota tha to wo gaam tha udasi thi.

Aaima ke pass ata ruka tha.

"Aaima?"

Uske pukarne pe uski janib dhekti muskurahat chupa chuki thi.

"Barish taiz ho rahi he upar se hawa bi sard he andar chalo warna sardi lag jae gi."

Uske kehne pe halki c muskurati labon ko istemal main lai.

"Theek hon ma jahan....balke sukoon de rhi he ye jaga muje..ye barish ye sard hawaen...."

Bahir dhekte jese furan kamosh ho gai.
Wo usse kiun bata rhi thi ye saab??

"Barish , sard hawaen waqtti sukon deti hain....bad main aziyat ki wajah banti he."

Apne khayalon ki zuban bolta wo bi chup kar gya.

Wo sanjeeda tha...ya na jane uske samne hota tha. Zaviyar ke batane par to wo bhot kush ikhlak shaksiyat sabit hota tha.

" may be masjid band ho jae...balke ma poch ke aya."

Ajeeb c khamoshi ko torta wahan se jana bhetar samja usne.

"Or andar aa jao....kaam ke leye ai ho or agar bimar par gai to kaam adhura reh jae ga."

Murta bina usse dheke bolta wahan se chala gya.
Jabke sard hawa main abi bi uski kushbu shamil thi. Aaima us kushbu ko apne anadar mehfuz karti phir haat khule asman ke niche karti khari ho gai.

Nazron ko ass pass ghomane ke bad usko ak kone pe ak shaks jo kafi umar ka nazar aata tha chadar leye bheta dhika tha.
Us shakhs ke pass jaty us se mukhatib hova

"Suniye...ye masjib kab tak band hoti he??"

Uske bulane par us shakhs ne kuch dair usy dheka or kaha...

"Kuch hi dair main ho jae gi bache."

Wo shaks jo jane kab se chadar upar ure behta tha..Taimur ke puche sawal pe foran juwab de behta...Taimur ye to janta tha ke usy waqat ka andaza na tha magar phir bi uske pass juwab tha......Taimur ke chere par junjulahat dikhai dene lagi.

"Beta itna arsa ho gya he idar rehte..ab in baton ka andaza phukta ho gya he!!"

Taimur ki ankahe sawalon ka juwab deya tha .

Ajeeb shakhs tha.

"Acha shukriya!"

Taimur ne baat khatam karne main hi bhalai smji.
Dubra piche murta kuch kadam chala jab us shakhs ki awaaz ne uske kadmon ko rukne par majboor keya.

"Aj jo mangna he mang lo!!."

Piche murta jese apne ap ko yakeen dehani de raha ho ke wo usse hi bat kar raha tha.

"Jee?"

"Bache aj mang lo...aj sahi jaga par ho...sahi waqat he...or bazurg log kehte hain ke barish ka waqat kabuliyat ka waqat hota he...to mang lo jis ki tarap tumhre dil main he...mang lo is se phele ke usko kho bheto."

"Jeee??...dheken apko kuch galat fehmi hoi he...muje kuch nai mangna...khuda hafiz."

Wapis Amma bi ke pass jata us shakhs ki awaz dubra uske kano tak pounchi

"Mang lo!!"

"Kia mangna he muje?"

Wo khud se sawal pochta agy bharta rha.usy to asa kuch yaad na atta tha jise, usy mangne ki zarurt thi.

An gombat ke niche khara tha jab upar se ak parinda ak hawa ke jhonke ke saat masjid se bahir ko gya...hawa ka picha karta Taimur bahir ko dhekne laga or dam sada wahin rok gya bharta paon bi apni jaga par jaam sa gya ho jese.

Bahir Aaima jo kuch dair phele srif ak haat khule asman ke niche keye khari thi ab puri khule asman ke niche bhigi khari thi...dono haat khole jese barish ki bondo ko apne adar mehfuz kr rhi ho.

Barish ki wajah se masjid main na hone ke barabar log thy. Jo kuch thy wo masjid ke andar sardi se panah leye behte thy.
Samne ka manzar dhekta wo wahin khara tha. Uske qadmon ka ahista se ghomna or uska ab uske samne hona....usse acha lag raha tha.
Taimur ko jese wo barish main bhegti ak pari lagi thi.

Or wo dour khari pari haat philae barish main bhegti jese apne sab dhukhon ko us barish ke pani ke saat bahana chati thi.
Ahista si ghomti Aaima se jab usne mushkil se nazrein hatain to ab us shakhs ki baat dubra zehan naseeh hoi.

Wo larki...wo pari thi..jiski uske dil main tarap thi..jise usko mangna tha...jiska hona usse sukon deta tha.
Na chate hove bi usne apni dil ki suni thi.
Wahin roukh morta niche jhukta haat dua ke leye upar karta ab usse mange laga.
Mangte mangte ruka..

Kia wo usse pane ke qabil he kia wo isse mangne ke qabil he...kia wo uske saat zindagi guzarne ki hesiyat rhakta tha??

Sab sawalon ka pahar jese uspe tuta.or wo wahin jhukah. Muhabat bi ajeeb cheez he us shakhs ko bi khuda ke samne jhuka deti he jo khuda ko bhol chuka hota he...or jo muhabat khuda ke samne jhuka de ya khuda tak la de wo muhabaten aksar sachi muhabaten hoti hain.

"Ae Allah ma nai janta ke ma uske qabil hon ya nai...magar ye dil he ke uski janib khichta chala jata he....tu raab he tu to janta he na agar ma uske qabil nai to muje usse dour kar de..uski tarap mere dil se nikal de...or agar uske qabil hon to....."

Agy Bina kuch mangta utha.barson ka dar jese abi bi usy kisi se muhabat karne se mangne se rok raha ho jese.piche mura to phir uspe nazrein atkien bamushkil jo uske bhige chere se nazren hataen to qadmo ke kuch fasle par pare ak kanch ki taraf dheka.

Uske aishta aishta se kadam jo usi kacnh ki rouk ki janib bhar rahe thy dhekta...bhaga tha.
Apni magan main ghomti Aaima ko ehsas tak na hova or Taimur ne usy ak haat se pakre dusri taraf khincha.
Yiun achanak hove hadse par usne harbara ke ankein kholein. Samne khare Taimur ko dheka to tuk tuk usy hi dhekti reh gai.

"Mene mana bi keya tha...or kamsakam apne ider gherd dheko to sahi...abi ye kacnh lag jata to?"

Ussne haat main pakre kanch ke tukre ki taraf ishara keya.
Aaima kanch ka naam sunte sadme se nikli magar is se phele ke wo us tuty kanch ki taraf dhekti...uski nazar Taimur ke haat se bhete khoon ki taraf pari.
Ak waqat main Khon barish ke pani ki wajah se saaf hota to dusre hi waqat phir behne lagta...uski ak nazar kafi thi ye dhekne ke leye ke cut ghera tha.

"Ye kese hova??"

"Kia?"

Taimur shahid anjan tha apne haat pe lage zhakham se.

"Ye khon??"

Aaima ne pareshani se kaha.
To taimur ne bi apne haat ki janib dheka...bhagte hove aaty usne kanch ko foran apni muthi main band kar leya..is se phele ke Aaima us tukre pe kadam jamati.

"Zada nai he...tum andar chalo!!"

"Doctor hon ma itna dhek sakti hon ke cut ghera he...apko ise haat main nahi pakarna chaiye tha."

"Wo bus jaldi main...choro isse andar chalte hain!!"

"Dehan rhaka karen apna..or shukriya!!"

Taimur dhima sa muskuraya.

"Koi baat nai..
Chalo ab andar chalte hain."

Andar chalte Aaima ne apne bag se ak rumal nikala or Taimur ke haat pe banda...haat pe rumal banwate waqat uski nazrein uske bhigeh chere or bhigeh awara balon par thien jo usse har kuch waqat bad tang karti thien or wo unhe awara chorti Taimur ki patti karne main masruf thi..rumal bhandne ke baad Taimur utha.

"Shukriya!!"

Itna kehta wahan se chala gya or amma bi ki chadar jo unho ne apne haat main wese hi pakri thi...unse mangta Aaima ki taraf aya.

"Isse aur lo..."

Na jane is shakhs ko iski itni parwa kiun rehti thi.

Aaima bina kuch kehti uske haat se wo chadar leti apne aap pe aur ne lagi.
Bahirsh ke thamte hi wo wahan se ruksat hove.

___________

Ghar aaty khana khate ab raat par chuki thi. Tv area main bheta samne laptop pe nazrein dhorata ak pareshan si kefiyat main tha.

Aaima jo dubra Barish ki bondo ki awaaz sunti niche ko ai thi samne bhete pareshan kon Taimur ko dhekti na chate hove bi us tak chali ai.

Uske piche khari jab nazerin laptop par gain to pareshani ki wajah maloom hoi.

"Ma kuch madat karon?"

Samne aati kuch fasle pe bhetti boli.

"Aap madat karen gi?"

Na jane lehje main tanz tha ya herani.
Jo bi tha usse nazar andaz karti boli.

"Jee ma karon gi!"

"Jahan tak muje yaad he ap ka peshah medical se he phir ye business main kese madat karen gi ap?"

"Ap bhol rahe hain ke meri maa ka peshah business se hi he or unhe dhekte hi pali bhari hon thora bhot janti hon business ke bary main."

Dihma sa muskurahti boli.
Juwaban Taimur bi muskurata laptop Aaima ki janib kar chuka tha.

"So ap chachu ke sat kaam kar rahe hain?"

"Jee or unki hi tension main hon."

"Tension ki wajah?"

"Apke chachu ne waqat se phele order complete karne ka kaha he!"

Haat asman main uthatah bolne laga.

Aaima muskurahat chupane ki bharpor koshish karne lagi.

"Umm...sach bataon to chachu asa hi karte hain but ap tense na hon..unke leye time sab se awal tarjee nai he balke unki tarjee quality hoti he...ap kuch ache sample bhej dein agar unhe wo best lage to time ka masla nai paish ae ga apko."

Wo jo usse haaton ka istemal karti bata rahi thi...usse dhekta muskurah bheta.

"Thanks...or kamal hain ap kehna pare ga."

Aaima shahid kuhd nai janti thi ke usne uski kitni madat ki thi.

"No need!!"

Taimur ussi ko dhek raha tha jab bahir se bijli barasne ki awaz ai.
tv area or backyard ko milata shishe ka darwa bi awaaz karne par majboor hova.

Samne dheka to barish dubra zoron se barasti dhiki.
Or phir Aaima ko dheka jo sukoon se wo manzar dhek rahi thi.

"Dar nai lagta bhejli ki awaaz se?"

Taimur ne sataishgi se pucha.

"Nai..itni choti chezon par dar nai lagta muje."

Bahir dhekti boli.

"Apko barish nai pasand kia?"

Is bar sawal Aaima ne pucha.

"Nai!"

"Kiun??"

"Barish bhiga deti he!"

"Bhegne main hi to sukoon he!!"

Dono abi bi bahir dhek rahe thy jahan samne ka mazar kuch yiun tha ke asman main kuch hi dair baad bijli barasti or asa lagta ke jese wo asmaan ko do tukron main aleda kar deti ho.

"Agar barish ki bhondo ki bat hoti srif to sukoon deti magar muje ye barish srif dhukon or becheni main dubati he."

Na jane kiun ye dono anjane main ak dusre se wo baten jar jaty thy jo khud se karte darte thy.

Aaima ne ab uski taraf dheka...apni hi tarhan wo usy bi zhakmi dhikhai deta tha.

Wahan se uthi..to Taimur ki bat dubara dimag main ghongi....itne arse ki bhulai yaden dubra tazi hoin...

Flashback

"Babaaaaa!"

Gala chirti wo chelai thi.....samne chata andera khof de raha tha.

End

Samne qadam bharati apni awaaz kano main ghongi to achanak larkharai.

Uske larkharane par Taimur foran utha ..is se phele ke wo uska haat thamta..Aaima khud hi sidi hoi pass pari kursi ka sahara leti.

"Theek ho??"

"Han theek hon bus paon mor gya tha mera."

Aaima ne uski nazron main dheka jo itni si bat pe fikarmand tha.

"Rest karo..subha jana bi he!!"

"Han jee ...ap bi so jaen,shabba khair!"

Upar jati Taimur ke bulane par ruki.

"Aaima"

"Jee?"

"Theek ho na?"

Aram sa asihta sa lehja...uski awaaz itni khusurst kiun thi.

"Jee Taimur ma theek hon!"

Dhimah sa muskurati wo usy yakeen dela rahi thi.
Aaima ke labon se apna naam sunte wo tham sa gya...suna tha ke mehbub ke labon se apna naam sunna acha lagta tha...aj usse is baat pe yakeen aa gya tha.

_______

Suraj ki kirno ne duniya ko ujale se nawaza...khirkiyon pe lage parde un kirno ko roky hove thy.

Side table par para mobile lagatar phicle bees (20) min pe baj raha tha...kano main awaaz kab se par rahi thi magar ankhon main itni himmat nai thi ke sahi se khol saken.
Mushkilon se aadh khuli ankhen khulta..haton ko istemal main lata...moblie utaya.

"Assalmu alikum?"

Mushkil se bole gae chand ilfaaz.

"Walaikum asalam!!"

Agy se taish main aati awaaz ki wajah se usne moblie ko apne kano se kuch dour keya..awaz jab zehan naseeh hoi to madham se bola.

"Zavi kia hova?"

"Kia hovaaa...bhot kuch ho gya he..
Apke to abba jee ka office he apko kia dar magar Aaima ko to sochna chaiye tha...usy maloom bi tha ke aj important tha uska jana...magar wo abi tak nai ponchi wahan!!!"

Uske gusse se bhari awaaz sunta muskilon se bed pe kuch upar ho ke bheta.

"Kia bol rahe ho...or ye kis lehje main bat kar rahe ho wo bi sunba subha."

"Subha subha????"

"Bhai 2 baj chuke hain abi bi subha chal rahi he apki?"

"Do(2)??"

Ankhe jo abi tak kholne ka naam tak nai le rahien thi ab bahir ko anne lagien thi.

"Jee han...ap muje ye bataen Aaima kahan he...hospital nai pounchi wo abi tak or na call receive kar rahi he??"

Waqat ka sunta jese wo abi tak sadme main tha.

"Kamre main hi ho gi phir!"

"Call nai pick kar rahi meri bat karvaen usse!!"

"Acha."

Taimur mushkilon se utha ,apni shirt phenta bahir ko aya.

"Auntie, Auntie?"

Mulazma ko bar bar bulae jane par ak darmiyani umer ki aurat Amma bi ke kamre se nikalti nazar aien.

"Auntie Aaima ghar par he?"

Zaviyar ki call abi hold pe thi....or mulazma ka chera kuch sochon ka chikar hova.

Kuch dair bad juwab deya.

"Nahi abi apne kamre main hi hain par ap....."

Uske ghar par hone ki itla suni to sukon sa mehsus hova.

"Ap please uski bat Zavi se karva den!"

Wo moblie phone unko pakrata khud piche hova.

Wo khaton bina kuch kehti moblie thamti Aaima ke kamre ki taraf bhari...ak dastak...dusri dastak...
Lagatar daskat par bi andar se koi juwab wasul na hova..
Taimur pass khara ye tamasha ak tamashai ki tarhan dhek raha tha...or ab waswason ne uske dimaag main qitar se kisi film ki tarahan chalna churu kia.

"Auntie spare key laen!!"

Hukam deta darwaze ki janib bhara. Kuch hi dair main wo khaton chabiyan leti samme thi.

Chapi leta foran darwaza khola tha. Or agle hi pal wo sakin khara tha...aksa jaga banati agy ko ai or foran Aaima ke bed se latakte haat ko uthate upar keya...uske srif haat pakarne se andaza ho chuka tha ke wo bukhair main taap rahi thi...magar chera sard par chuka tha...jese ke khon ka namo nishan tak baki na raha ho..

Dour khara Taimur uske chere ko dhekta udar hi rok chuka tha.
Samne ka manzar abi bi hazam nai ho raha tha..aksa abi bi usy uthane ki koshish main masruf thi or wo bejaan c bed pe leti thi.

Uske dil ne zoron se dharakne ka socha tha.
Ye kefiyat to wo bhol chuka tha dil ka dubna ye wo kafiyat thien jinho ne uska saat bohat phele chor deya tha.

Aksa ke bulane par wo apni dili kefiyat ko nazar andaaz karta agy bhara.....or dimag main ak hi khayal namudar hova.

"Zavi wo...wo bejaan c leti he bed pe sard chere ke saat!"

Nasamji main apne ilfazon ko tarteeb deta bola.

"video call karen!!"

Doctor hone ki wajah se apne jazbaton ko kabu karna ata tha usse.

Taimur ne video call ki.

"Aksa Auntie iske upar se comforter hataen."

Aksa ne batai hoi bat par amal keya.

"Paon check karen iske!"

"Thande he beta."

Kuch fasle pe khara Taimur sakte main khara dhek raha tha.

"Aaima Aaima....utho!!"

Zaviyar ke ilfazon ne mazi ke darwaze pe dastak di or phir ak ak karta mazi ka har panna kholta gaya.
Wohi Zaviyar ki awaaz kano main ghoonj rahi thi. Fark ye tha ke bhari awaaz ruhndi hovi thi....

Flashback

"Mama mama....uthen!!"

Pass khara Taimur samne pary be jaan wajood ko dhek raha tha...or hakikat se nazrein churana cha raha tha...khof ankon main saaf zahir tha...haat khoon main lipte thy..or kapron main jaga jaga khoon ke dhabbe thy...

"Mama...."

End

"Bhai!!!"

Zaviyar ke bulane par Taimur ne foran apne haton ko dheka or phir kapron pe nazren dohrane laga...jab kahin laal rang ke dhabbe na mily to samne ko dheka or waqat ki munasbat ko jhanjta mobile ko thama.

"Bhai...."

Wo jo agy ki hadayat dene laga tha apne bhai ka chera dhekta ruka.

Jahan Aaima ka chera sard tha wahin dusri taraf Taimur ka chehra laal tha. Anken bhuji hoi thien.

"Bhai apko bi buhkair he!!"

Or Taimur ko jese ab thakan ki wajah samaj ai.

"Muje choro Aaima ko dheko....kia hospital le jaon usse jaldi btao??"

"Nai mene call karva di he kuch hi dair main doctors aa jaen ge ghar...bukhair ki wajah se behosh ho gai he."

"Tumne sahi se to dheka he??"

"Bhai ap panic kiun kar rahe hain ma doctor hon itna to janta hi hon...or ap bi check karvali je ga doctors se plz!!"

Usse hadayat to de raha tha magar wo samne leti Aaima ki hi janib dhek raha tha or yakenan uski ak bi baat pe gor nai keya tha.

"Theek to ho jae gi na??"

Narmi se pocha sawal.

"Jee bhai insha Allah!!"

"Ap log kal barish main bheje thy??"

"Han!"

Zaviyar ye bakhubi janta tha ke Taimur ko barish na pasand thi. Sir jhatakta wo ak or hadayat dene laga....jo wo khud bi nai chata tha ke ho.

"Bhai doctors aa kar injection den ge or agar injection ke bad bi hosh na ae to hospital le jaiye ga!!"

Wo jo uski di hoi tasali pe kuch behtar hova tha ab dubra fikar main doobne laga tha.

_________

"Hum to phele hi ghar bar chor chuke hain
Ratton ko uth uth ke ro chuke hain
Wo jin ke sahare jini thi zindagi hum to unko bi koh chuke hain
Uske leye khud ko bi kho chuke hain
Uske naam ko hazaron tasbiyon main piro chuke hain
Kisi ne kaha ke tum usy pah nai skate
Hum ne kaha janab is baat ko hum bhot phele apna chuke hain.

___________

Assalmu alikum!!

Kese hain ap saab??...umeed he sab ache hon ge!.

Ma sachi main bhot sharminda hon apko kaha ke is week us week kar don gi par waqat ki killat ki wajah se nai kar pai...
Umeed he ap sab ko ye chap acha laga ho.

Ma janti hon zada acha nai likh sahki par ap sab ka piyar or intezar bhoot himmat deta he likhne ke leye....yiun hi apna piyar dhikahte rahen

vote and comment karna mat bhuli jega plz❣❣❣.

Allah hafiz❣.

Continue Reading

You'll Also Like

587K 966 22
Smexy One shots😘 Got deleted twice 3rd times a charm🤦🏻‍♀️😭
62.6K 1.1K 96
Continuation of Modesto story who happens to intercourse with friends,mature,classmates,strangers and even family...
333K 19.2K 41
You live in a different time zone Think I know what this is It's just the time's wrong
94.5K 2.4K 35
A little AU where Lucifer and Alastor secretly loves eachother and doesn't tell anyone about it, and also Alastor has a secret identity no one else k...