Hate Or Love

By nehaasmat

32.7K 2.5K 571

Life More

PART #1
PART#2
PART #3
PART #4
PART #5
PART#6
PART#7
PART #8
PART #9
PART #10
PART #11
PART #13
PART #14
PART #15
SORRY NOTE:
PART #16
PART #17
PART #18
PART#19
PART #20
PART #21
LAST PART: (a):
last part (b):
A NeW OS:

PART #12

1.4K 127 24
By nehaasmat

Thanee:

Haseena is busy in her work, he silently enters from front door and stands besides her and keep his hand on her shoulders, she feels his touch , looks up to see him and passes a smile , then closed the fils and stands infront of him with a distance.

HM: jai Hind sir, ap is waqt yahan koi Kam tha apko, oh acha ap woh file laynay aaey thy, woh abhi hum nay complete nahi kiyà hai, jaisay hi complete hogi hum kisi k hathon head quarter bheej dyn gay.

He mischievously smiles and lock his finger on hers and comes close , a little space left between them.

AS: hum yahan kisi sarkari Kam say nahi kuch niji Kam say aaey hain

HM: you mean personal Kam, sir hum apki is mei kiyà sahita kar saktay hain.

AS: woh humain apni patni ki buhat yaad aa rhi thi toh hum say socha k us say mil aaey, isliay hum yahan bahir k darwazay say aaey hain ta k kisi ko pata na chalay k hum yahan hain.

HM: toh ap un say ja k milay humaray pass kyun aaey hain sir.

AS: haseena dour kyun ja rhi ho pass aao na humaray , bus do minute tumharay pass rehna chahtay hain waisay bhi humain janki puram thanee Jana hai routine visit k liay. Or tumhain yeh bhi batana tha k aaj dophar k bhojan mei humara intezar mat Karna, kha layna humain dyar ho jaey gi.

HM: or kuch sir.

AS: hum itnay pyar say tum say batein Kar rhy hain or tum nay yeh kiyà sir sir laga rakha hai Jan.

HM: ap hi nay toh Kaha tha apni personal or professional life alag rakhni chaheay humain.

AS: tab hum yeh nahi jantay thy k professional life itni khubsorat ho sakti hai, patni k ilawa ek affairs toh koi bhi chala sakta hai na, toh hum soch rhy hain k kyun na ek affair kar hi liya jaey...

HM: toh roka kis nay hai apko sir.

AS: ap rok rhi hain Ms mallik humain pass aanay say, humari patni buhat boring hai kiyà Karen, ap jaisi budhiman, Sundar woh nahi hai.

HM: agar usay yeh baat pata chal gae toh. Playing his shirt button.

AS: kuch nahi bolay gi buhat masoom hai woh.

HM: humm sach mei buhat masoom hai woh, kyun k usay ap par poora vishwas hai k ap kabhi us say bewafai nahi karen gay.

AS: Sahi khayal hai uska hum usi k thy , usi k hain or sada us k hi ho k rehna chahtay hain.

HM: awww.

AS: toh isi baat par ek hug ho jaey.

HM: kyun nahi, she hugs him.

AS: isay kehtay hain sakoon. Apna khayal rakhna or khana samay par kha layna Jan, kiss on her hairs hum jatay hain.

HM: ji... Ab ap chorain gay humain Anubhav sir.

AS: ha kyun nahi?

He is going outside but stopped by her voice: I love you Anubhav.
He turns and says: I love you too Jan.
And walk towards exit but he strikes with Karishma.

KS: bhaiya ap yahan is waqt??? Woh bhi is darwazay say?

AS: ha hum woh kisi niji Kam k silsilay mei haseena say milnay aaey thy.

A voice from past  echoes on karishma's ears.
" Nahi hum haseena ko kabhi kisi qeemat par nahi chorain gay , pata hai Kashi kisi insan ko dard kab hota hai jab na woh aagay barh sakta hai na hi peechay loat sakta hai, hum bhi hamesha haseena ko do kashtiyun par sawar rakhain gay, na hi usay kabhi apnaen gay na hi kabhi chorain gay"

KS: theek hai sir jai Hind

AS: jai Hind.
KS (pov): bus bhaiya hum ab apko Ms ko aur takleef daynay nahi dyn gay, mana k unhon nay Jo kiyà tha na hi usay bhula aasan hai na hi unhain maaf karna, hum bhi abhi tak unhain maaf nahi Kar paen hain, baton baton mei humaray mun say bhi un k liey na chahtay huay bhi sakht baat nikal jati hai, kyun k bhaiya hum ap say buhat pyar kartay hain apko dukhi deekh k humain bhi dard hota hai, par hum yeh bhi nahi chahtay k ap unhain is tarha takleef dyn.

HM: KS ap yahan thanee k gate par khari kiyà soch rhi hain?

KS: bhaiya aaey thy yahan?

HM: ha koi Kam tha unhain ap kyun pooch rhi hain.

KS: bus aaisay hi. Ap nay us Raju ko pakarnay ka Kaha tha hum lay aaey hain usay pakar kar, buhat akar hai us mei baat nahi maan rha tha baal say khench k laey hain hum usko.

HM: acha kiyà ks good job, ab aagay ka plan sunain.

KS: Ms is mei buhat khatra hai ap wahan akelay jaen gi.

HM: ha kyun hum nahi ja saktay kiyà?

KS: ja sakti hain par....

HM: par kiyà ks??

KS:  hum jaen agar ap kahen toh.

HM: nahi apko pehlay hi kaafi choatain lag chuki hain ap apna khayal rakhain.

KS: Ms ghao toh kaafi aaey thy par ap nay marham laga diey hain.

HM: woh toh humara farz tha ks , apka or humara senior junior k ilawa bhi koi rishta hai yeh ap manain ya na manain magar hum apko apni choti behan mantay hain , agar koi humari choti behan hoti toh bilkul apki tarha hoti.

KS: jantay hain achay say kaisi behan hai ap, behan ki khushiyan chenay mei ek pal k liay bhi nahi sochti hain.

HM: aapi khush hai ks Saad k Sath, hum nay un say koi khushi nahi cheeni hai, woh Jo chahti thi unhain wahi mila hai.

*************

At evening:

Anubhav is in thanee came to pick his wife and waiting her for almost an hour. Atlast he asked ks where is haseena. Only Karishma is there.

AS: ks haseena Kahan gae hai or kab tak aaey gi, itni dyar ho gae hai. Hum kab say uska intezar Kar rhy hain

KS: toh ap ghar chalay jaen or khud aa jaen gi, waisay bhi maa nay ap dono ko alag alag rehnay ka Kaha hai.

AS:  Kashi woh abhi bhi humari patni hai or humari responsibility hai. Hum usay liey bina nahi jaen gay.

KS: wah aaj do saal bad apko apni responsibility yad aa gae Kahan tha yeh pyar do saal pehlay tak.

AS: hum nay aaj tak buhat ghalat kiyà hai us k sath par ab ghalat nahi Karna chahtay.

KS: bhaiya hum samjh rhy hain ap kiyà Chahtay hain.

AS: ap haseena ko call Karen abhi isi waqt humain kuch garbar lag rhi hai, or us nay toh humain kisi case k baray mei nahi bataya.

KS: call nahi utha rhi hain Ms.

AS: Kahan gae hai woh humain address dyn hum abhi jatay hain wahan.

KS: Ms nay mana kiyà hai hum nahi day saktay.

AS: dekhain ek toh woh humari patni hai or dosra hum is shehar k DSP hain humari patni Kahan hai or ek DSP honay k natay ek  SHO kab Kahan ja rha hai humain jannay ka poora idikar hai.

KS: ap chinta mat karen woh aa jaen gi.

AS: kashi ab hum say aur intezar nahi ho rha. Hum ja rhy hain haseena ko laynay bus.

KS: lo aa gaen Ms.

He hugged her tum theek toh ho humari Jan nikal gae thi, kahan Chali gae thi tum janti ho hum kitna pareshan ho gay thy , a tears falls from his eyes when captured by karishma in her mobile humain bata Kay nahi ja sakti thi kiyà , agar aainda aaisa tum nay kiyà toh hum kabhi tum say baat nahi karen gay samjhi.

HM: hum theek hain Anubhav Sahi salamat ap k samnay hain.

Said during break the hug.

AS: waisay kaafi Sundar lag rhi ho is saree mei.

HM: bus ek case k silsilay mei pehna tha. To ks karishma woh log pakray gay hain or hum nay force bulwa li thi toh woh unhain arrest kar k jail lay gay hain.

KS: yeh toh buhat acha hua MS.

AS: chalen ghar

HM: ji chalen. Karishma aaen hum apko ghar drop kar daytay hain.

AS: unki bike hai na.

HM: Anubhav unki bike kharab ho gae hai service k liay diya hai Karishma Singh nay garage mei.

AS: oh acha aaen behna hum apko ghar drop kar daytay hain.

KS: sirf ghar drop hi nahi Karna hai buhat raat ho gae hai ap humain or MS ko dinner karwaen phir hum ghar jaen gay bolain manzoor hai.

AS: manzoor hai.

HM: wah ap dono Police uniform mei or hum saree mei jaen. Hum bhi change kar k aatay hain.

AS: nahi ap aaisay hi is pochak mei achi lag rhi hain aaisay hi chalen .

KS: ji ms waqai ap par yeh saree buhat jach rahi hai

HM: chalen.

*************

Anuseena enter in their home, it's too late and light are also off , they unable to see anything in the dark. She step in but her saree stuck in her sandle's heel she is about to fall but before this he holds her hand and secure her from falling. He switch on the torch of his mobile phone and turn on the light, then he lifts her in his arms and move to their rooms, she wrapped her arms around his neck, blushing hardly and hides her face in his arms, he enters inside the room and makes her sit on the bed, then bent down sit on his knees and remove her sandles.

HM blushing very much not maintaining eye contact just lower her gaze and said.

HM: hum change Kar k aatay hain.

AS: itni bhi jaldi kiyà hai abhi toh hum nay tumhain Sahi say deekha bhi nahi hai Jan.

HM: bad mei jee bhar k deekh lijeay ga abhi raat buhat ho gae hai.

AS: acha theek hai jao

She stands infront of mirror and removing her jewellery but the finger rings slipped from her hand and rolled down and stop near his feet, he picks it and move to her , takes her hand on his and slips he ring on her ring finger.

AS:  humari saghai baqi thi so aaj hum nay kar dali.

HM: har ultay Kam apko karnay ki aadat hai, pehlay shadi , phir narazgi, pehlay zabardasti phir pyar phir izhar phir saghai.

AS: yani tum nay abhi tak humain us raat k liey maaf nahi kiyà hai, hum jantay hain k us roz hum zabardasti tumharay qareeb aaey tumhain buhat zayda takleef bhi di, par hum sach mei buhat zayda sharminda hain hum nay buhat peerah di hai apko us roz, kisi ko bhi yeh haq nahi banta k woh kisi k Sath bhi aaisa salook karey jaisa salook hum nay ap k sath kiyà tha, Humain ap kay Sath zabardasti nahi karni chaheay thi.
Tears continuously rolling down from his eyes.

HM: ssshhh shant ho jaen Anubhav humara kehnay ka woh matlab nahi tha ap nay kuch ghalat nahi kiyà tha ap nay pehlay hum say ijazat li thi , apko khud ko dosh mat dyn please...

AS: lekin ghalat toh hum thy na...

HM: patni hain hum apki, apka poora adikar hai hum par.

AS: toh hum bhi aaj apko vachan daytay hain k aaj say apka bhi hum par poora adikar hoga. Aaj tak hum nay ap say Jo Jo adikar ek patni honay ka nahi diya woh aaj hum sab apko saman k Sath daytay hain yeh Jan k bhi yeh bus kuch dino k liey hai humara Sath bus Chand dinon ka hai, par shaid aaisa kar Kay hum un gunahon ki talafi kar saken Jo hum nay kiey hain.

HM: ap nay koi gunnah nahi kiyà hai woh bus humari aazmaish or ek ghalat fehmi thi khud ko qasoorwar na samjhain ap , agar ap nay gunnah kiyà hai toh hum bhi us gunnah mei barabar k shareek hain.

AS: ap khud ko kyun shamil kar rhi hain humaray gunnah mei..

HM: kyun k jisay ap gunnah samjh rhy hain woh gunnah nahi hai, hum nay usi roz khud ko ap kay naam kar diya tha, jis din ap nay humari maang bhar k pooray samjh k samnay humain apna banaya tha. Hum apna ateet apna sab kuch usi din bhula k ap k ho gay thy Anubhav, ab chahay yeh rishta rahay ya na rahay , magar hum ap k hamesha say thy hain or ap k hi rahen gay.

AS: ab ap kay bad bhi humari zindagi mei koi nahi aaey ga hum usay aanay hi nahi dyn gay kyun k hum nay Jab pehli bar apko dekha tha ek ajeeb sa khechao mehsoos hua tha, ab ja k ehsaas hua usay pyar kehtay hain jis ka Sahi mainay ap nay humain sekhaya hai.  Haseena humaray pass apko daynay k liey kuch hai Jan , apki ijazat ho toh laen hum.

HM: ha is mei humari ijazat ki kiyà zaroorat.

AS: kyun k ap nay hi hum say Kaha tha k jis din khud ap apni pasand say humaray liey kuch kharedain hum usay qabool kar lyn gay.

HM: ha Kaha tha.

AS: toh idhar aaen. Isay kholain.

HM: hum ?? Are you sure Anubhav yeh cupboard hum kholain.

AS: kyun ap isay nahi khol sakti.

HM: nahi is liay pocha hai k humain toh isay chonay ki bhi permission nahi thi bus confirm Karna chahtay thy.

AS: Jan please kholo.

HM: ok and she opens the cupboard.
Anubhav itnay saray dresses or yeh gifts.

AS: yad hai maa hamesha kehti thi bahu k Sath ja shopping par or usay achay achay kapray dila usay bahir kahen ghomanay lay ja.

HM: ha par hum ghar say Sath nikaltay toh zaroor thy par 2-3 ghantay guzar k wapis aa jatay thy.

AS: ha. Aaisa hi hai, apka toh pata nahi Kahan jati thi par hum ap kay liey kuch na kuch la k chupkay say is cupboard mei rakh diya kartay thy.
Yeh hum nay Holi k tehwar k liey liya tha, yeh humari anniversary par hum nay ap k liay kheerda tha, yeh apkay janam din ka uphar or yeh jab hum nay apko pehli bar dekha tha, or yeh Diwali k liey liya tha Jo ap nay laynay say inkar kar diya tha yaqeen manain yeh hum nay khud ap k liay liya tha.

HM: jantay hain maa nay nahi Kaha tha laynay.

AS: apko kaisay pata?

HM: hum sab jantay hain Anubhav.

AS: agar apki ijazat ho toh hum apko pehna dyn yeh pendant.

HM: ha...

He ties the pendant around her neck.

AS: ek cheez aur hai Jan last Diwali ka gift.

HM: kiya?

AS: yeh 💍. Hum nay ap k liey pichli bar liya tha par day nahi laey kiyà Karen hamesha humara gussa humaray pyar par bhari parta tha.

HM: Humain nahi pata tha k yeh Anubhav humain kitna chahta hai, hum nay toh bus aaj tak jis Anubhav ko Jana tha woh toh koi aur tha, humain nahi pata tha k itnay rude, irrogent , Anubhav k peechay itna loving caring or cute Anubhav bhi ho sakta hai.

AS: toh apko Kaun sa Anubhav zayda pasand hai.

HM: dono, kyun k dono par haq sirf humara hai. Hum change Kar k aatay hain warna baton baton mei saari raat yahi nikal jaey gi.

AS: ha jaen...

HM: Anubhav...

AS: kiyà hua Jan..

HM: yeh pin nikal dyn pata nahi Kahan phas gae hai.

*********************

Sorry for late update and grammatical errors.

I will try to update soon.

Precap:

Anuseena's romantic night and karishma's evil plan to separate / unite them.

Continue Reading

You'll Also Like

2.3K 138 10
Hello everyone, I bring with some Shorts story which will related to life. For know more you have to peep inside. Copyright ©️:- @Tishak2141 Book cov...
14.5K 1.2K 24
ary yarr description muj se nahi likha jata isi liye aplog story read kr lo
69.6K 8.6K 50
Just a story of Kareena ✨
Solace By Himu

Fanfiction

59K 7.1K 50
Kya hai yeh ehsaas? Pyaar hai ya hamdardi, jisse mai pyaar samajh baithi?