Hate Or Love

By nehaasmat

34K 2.6K 571

Life More

PART #1
PART#2
PART #3
PART #4
PART #5
PART#6
PART#7
PART #8
PART #10
PART #11
PART #12
PART #13
PART #14
PART #15
SORRY NOTE:
PART #16
PART #17
PART #18
PART#19
PART #20
PART #21
LAST PART: (a):
last part (b):
A NeW OS:

PART #9

1.5K 126 13
By nehaasmat

Morning 🌞:

AS: Kahan ja rhi ho tum.

HM: thanee or Kahan jaen gay hum.

AS: tum aaj kahen nahi ja rhi ho ghar par aaram karo gi bus.

HM: nahi hum 4 dinon say aaram hi kar rhy hain, hum bore ho gay hain humain thanee Jana hai bus.

AS: nahi tum nahi jao gi haseena kahen bhi, zid mat karo chup chap baith jao. Says loudly.

HM: Anubhav ap nay toh hum say wada kiyà tha k ap humain nahi dantain gay ab toh phir say shru ho gay?

AS: sorry par tum humari baat bhi toh nahi maan rhi ho.

HM: please janay dyn na. Pleading.

AS: jaen ap agar Jana chahti hain toh, par ek shart par.

HM: kaisi shart?

AS: k ap waqt par khana khaen gi or apna khayal rakhain gi proper, desk work only.

HM: ji humain manzoor hai.

AS: toh phir jaldi say ap ready ho jaen hum apko thanee chor dyn gay.

HM: ap aaj humain thanee drop Karen gay humain yaqeen nahi aa rha hai Anubhav, sach mei aaj hum ap k sath thanee jaen gay.

AS: kyun hum nahi drop kar saktay apko.

HM: nahi aaisi baat nahi hai aaj do salon mei pehli bar hum dono Sath mei kahen jaen gay, toh vishwas nahi ho rha hai humain.

AS: toh vishwas kar lyn. Kyun Kay aaj say hum hi tumhain thanee lay k bhi jaen gay or wapsi par bhi hum hi pick Karen gay, us auto walay say keh dayna k woh ab apko pick karnay na aaey.

HM: are you serious?

AS: nahi hum mazaq kar rhy hain, kiyà hum dono k beech mazaq ho sakta hai kiyà???

HM: nahi woh hum bus confirm kar rhy thy.

AS: ab Sara waqt yahen zaya Karna hai kiyà tumhain , jao change karo breakfast bana diya hai kha layna.

HM: kyun ap nay kyun banaya hum bana laytay na..

AS: jab tum poori tarha theek ho jao tab say kar layna filhal humain woh karnay do Jo hum Karna chahtay hain.

HM: thank you Anubhav..

AS: jaldi aao or ha yeh mat samjhna k hum nay tumhain maaf kar diya hai hum abhi bhi tum say khafa hai or tumhain maafi....

HM: tumhain maafi us waqt tak nahi mil sakti jab tak tumhain tumharay mama , aapi or Saad maaf nahi Kar dayta yahi na, hum buhat bar sun chukay hain hum, Saad humain maaf kar chuka hai or mama ji achi tarha jantay hain k humari koi ghalti nahi thi or jahan tak aapi ki baat hai na hum un say maafi mangain gay na hi unhain kabhi maaf Karen gay kyun k unhi ki wajah say yeh sab hua hai.
Or ek ap hai Jo humain kuch kehnay ka mooqa hi nahi daytay na kuch Sunna chahtay hain na humain samjhna chahtay hain.

AS: haseena.... Hum sunaain gay par abhi filhal nahi dyar ho rhi hai Chalo.

HM: toh phir chalen.

******************

In thanee:

All are doing their works dedicatedly and quietly, because all knows the condition of haseena.

All: jai Hind Maddam sir.

HM: jai Hind.

AS: wah kiyà baat hai aaj sab bari khamoshi say apna Kam Kar rhy hain.

PS: sir ap itni subha subha jai Hind
sir. Woh Karishma maddam nay Kaha tha Ms aaj say duty join kar rhi hain unki tabiyat theek nahi hai toh hum mei say koi unhain pareshan na karay.

SS, CC and KS: jai Hind sir ap yahan? All together.

AS: jai Hind. Aray ap log humain yahan deekh k pareshan kyun ho rhy hain hum nahi aa saktay yahan ? Or hum nay socha k routine visit subha subha ho jaen toh acha hai. Waisay bhi hum haseena ko drop Karnay aa hi rhy thy.

SS: kyun kiyà hua MS ap nay apnay auto walay ko nikal diya kiyà? Acha kiyà Ms mujhe woh Zara bhi pasand nahi tha ek number ka cheap insan hai jab dekho flirt karta rehta hai.

AS: haseena woh ap say flirt karta tha ap nay humain bataya kyun nahi or ap kaisay yeh sab bardasht kar sakti hain us k khilaf koi action kyun nahi liya.

HM: Anubhav .... Sorry humara matlab hai Anubhav sir woh sirf humari tareefain karta tha koi aaisi waisi harkat nahi ki k hum us k khilaf action lyn.

AS: phir bhi kyun bardasht karti thi ap uski batein. Ghalti sari apki hai.

HM: sir humari is mei kiyà ghalti hai.

AS: ghalti apki nahi toh kis ki hai ap hai hi itni Sundar koi.( mummered).
He said slowly but she listens and smiles on his compliments.

HM: sir ap nay jawab nahi diya is mei humari ghalti kiyà hai.

AS: dekhain MS mallik ghalti ap ki hi ho gi agar pehli bar mei hi ap usay dant dayti toh woh aaisa dobara nahi karta.

HM: Sahi Kaha ap nay sir ghalti humari hi hai par kiyà Karen humaray pati nay kabhi humari tareef nahi ki na.

AS: toh ap chahti hain k woh apki tareefain Karen.

HM: nahi hum nay toh aaisa nahi Kaha kuch.

AS: ks hum chaltay hain humain head quarter jana hai ap waqt par khana kha lijeay ga. Kaafi kamzoor hoti ja rhi hain ap.

PS: sir apki ankhain toh theek hai karishma ji or kamzoor waisay inhain bolnay ki zaroorat toh hai hi nahi chahay koi kahay ya nahi yeh bina bolay waqt par khana kha layti hai or us k bawajood bhi zayda bhook lagay toh humara dimagh bhi...

KS: pushpa ji matlab ek din bhi ap hum say laray bina nahi reh sakti hain na.

HM: bus dono phir say shru mat ho jaeay ga.

AS: hum chaltay hain haseena ap hi ki himmat hai inhain sambhalnay ki warna agar hum apki jagha hotay ya toh resign kar daytay ya in sab ka transfer kahen aur karwa daytay.

HM: jai hind sir.

AS: jai Hind yad rakheay ga Jo hum nay ap say subha Kaha tha.

HM: ji sir zaroor.

The marks on her arms is still visible, karishma sees it and she knows very well who is behind this? She understands what her brother did with her, she knows that are not happy with each other, apart from this she unable to digest what she saw today? They came together and her brother speaks softly, politely and lovingly with her.

KS ( pov): aakhir kiyà chal rha hai bhaiya k dimagh mei , aaj say pehlay toh kabhi Ms ko thanee drop Karnay nahi aaey, mana k sab k samnay woh Ms say pyar say baat kartay hain par aaj subha wali baat bhi kuch hazam nahi ho rhi hai, yeh bhaiya usi waqt itnay meethay bantay hain jab un k maan mei kuch chal rha ho. Par Ms k hathon or galay mei woh nishan hum jantay hain yeh zakham unhain bhaiya nay diey hain, kahey nahi bata daytay woh maa ko sab kuch, kyun Ms par bhi zulam kartay hain or khud par bhi. Hum jantay hain bhaiya Ms ko takleef daynay k bad wahi choat khud ko bhi daytay hain. Lekin abhi Jo bhaiya nay Kiya hai MS k Sath woh buhat ghalat hai unhain Ms ko choat nahi pohchani chaheay thi jab woh jantay thy k Ms ki tabiyat bhi theek nahi hai, unhain bukhar hai, bhaiya k torture ki wajah say Ms ko hospital mei admit rehna para.

Around three pm.

As enters.

SS: jai Hind sir , sir ap phir say aa gay ap subha hi toh visit kar k gay thy, bhool gay ap, sir badam khaya Karen, sir apki yadasht kamzoor ho rhi hai.

AS: Santosh Sharma na hi hum kuch bholain hain na hi humari yad dasht ko kuch hua hai, hum yahan DSP ban k nahi balkay apni patni say milnay aaey hain Kahan hain woh

SS: apki patni yahan Kahan say aai?

CC: santu ji woh Ms ki baat kar rhy hain.

SS: oh sir mei toh bhool hi gae woh kiyà hai na ap unhain haseena ya Ms mallik keh k bulatay hain na isliay, waisay Ms apnay cabin mei hain.

AS: dhanewad , waisay Santosh Sharma badam ki zaroorat apko hai.
Ap badam khaya Karen memory achi ho gi.

SS: thank you sir. To cheeta cheetay mujhe ek baat samjh nahi aa rhi sir nay mujhe compliment diya ya meri bayizzati ki hai.

CC: uff yeh masomiyat santu ji compliment or bay izzati mei ap farq nahi samjhti.

Cabin:

AS: haseena mallik...
She is busy in a file she stands quickly after hearing his voice and pen 🖋️ dropped from her hand due to sudden action. He picks it from floor and return back to her.

HM: sirrr sir ap yahan is waqt kaisay?

AS: khana khaya?

HM: ha kha liya.

AS: kiyà khaya ?

HM: wahi no hum nay subha apki tiffin mei dala tha.

AS: kiyà dala tha..

HM: paneer palak ki sabzi or bhindi.

AS: humm par humain jahan tak yad hai k gari mei ek hi tiffin tha Jo hum apnay Sath Head quarter lay gay thy, or aaj tak ap ghar say kabhi tiffin lay k nahi aaen, toh jhoot kyun bol rhi hain ap.

HM: woh hum kha lyn gay na.

AS: isi shart par apko aaj thanee aanay diya tha k ap apna khayal rakhain gi khana waqt par khaen gi.

At this point Karishma Singh come and starts listening.

Laparwahi ki had hoti hai haseena, tum nay than liya hai k humari baat tumhain nahi manni.

She lowered her gaze.

AS: nazrain kyun chura rhi hain ap humari ankhon mei deekh k baat karen haseena holding her arms.
She screams in pain ahhh. " Haseena" he said and realized he holds her injured part.

" Chalen ap humaray sath"

HM: par Kahan.

AS: ek bar mei baat samjh nahi aati hai apki Kaha na chup chap chalen humaray Sath ek sawal nahi.
He dragged her outside, everyone watch this scene but no one dare to ask him.

HM: sir hath chorain humara sab deekh rhy hain Kahan lay k ja rhy hain ap humain.

AS: Kaha na sawal nahi karo chup chap Chalo.

***************

HM: ap humain yahan kyun laen hain.

He opens the tiffin box and order her to eats with him.

HM: yeh toh ap k liey hai.

AS: kyun ap nahi kha sakti hain humaray Sath.

HM: par yeh toh ek hi k liey kaafi hai. Apki patni nay toh sirf ap k diya hai hum kaisay kha saktay hain

AS: toh hum dono adha adha khaen gay shru karo.

A couple is watching them.

Girl to his husband: kiyà tum bhi aaisay hi Mera diya hua tiffin apni girlfriend k Sath share kartay ho? Jabhi toh ghar aatay hi tumhain bhook lag jati hai.

Anuseena listen their talks and burst out laughing.
AS: haseena yeh rotiyan toh poori khatam karo yeh bach gaen hain

HM: Anubhav yeh cheating hai yeh ap k hissay ki rotiyan hain hum nay apnay hissay ki poori khai hai.

AS: nahi yeh tumharay hissay ki bachi hui hain.

HM: nahi apki hain. Chup chap khaen.

AS: uff tum say koi jeet nahi sakta khatay hain hum hi.

HM: ha ap k hissay ki hai toh khatam bhi ap hi Karen gay.

He takes the last bite and starts coughing.

AS: haseena paani Panni Mirchi.

HM: Anubhav hum nay is mei mirchain toh dalen nahi thi. Yeh lyn paani pean.

AS: hum toh mazaq kar rhy thy.

HM: Anubhav ap bhi.

AS: haseena Kal say do logon k liey tiffin pack kiyà Karna, hum dono Sath mei lunch kiyà Karen gay.

HM: sach mei? Anubhav aaj pehli bar ap nay humaray Sath lunch kiyà hai or roz Karna chahtay hain

AS: kyun Kiya kisi kitab mei likha hai k ap roz apni patni k Sath lunch nahi Kar saktay.

HM: nahi likha hai please ap ab humain jaldi say thanee drop kar dyn warna jis tarha ap humain lay k aaen hain sab pareshan ho gay hun gay.

AS: ji chalen.

******************

Precap:
Maa knows truth of their relationship. She wants to Anubhav sign divorce paper and some anuseena moment.

Thank you all for lovely feedback
I hope you also like this part,
Just 2-3 parts left of this story.

Continue Reading

You'll Also Like

16.6K 1.4K 33
Ye story specially @MrRajMishra ji ke liye likhi gayi hai.🥳
6.2K 507 8
Something new and different from the original story .. This will revolve around three couple Anuseena Veyorishma And Cheetosh With some more additio...
Solace By Himu

Fanfiction

65.3K 7.3K 50
Kya hai yeh ehsaas? Pyaar hai ya hamdardi, jisse mai pyaar samajh baithi?
57.2K 7.2K 64
This Story Is About Haseena Malik and Karishma Singh and their Love and MPT ...♥️ Let's dive right Into The Story . Hope You will enjoy this Story