Hate Or Love

By nehaasmat

33.9K 2.6K 571

Life More

PART #1
PART#2
PART #3
PART #5
PART#6
PART#7
PART #8
PART #9
PART #10
PART #11
PART #12
PART #13
PART #14
PART #15
SORRY NOTE:
PART #16
PART #17
PART #18
PART#19
PART #20
PART #21
LAST PART: (a):
last part (b):
A NeW OS:

PART #4

1.2K 104 14
By nehaasmat

"Haseena ruk ja Kahan ja rhi hai tu", Ammi called her.

Ammi hum aaj buhat buhat buhat zayda khush hain janti hain kyun? Haseena said.

Ammi: jab tu bataey gi toh tab humain pata chalay ga na k tu itni khush kyun hai?

HM: Ammi ap guess Karen phir hum bataein gay.

Ammi: oh toh Kal tera Janam din hai isliay tu khush hai kyun?

HM: aray nahi Ammi woh baat nahi hai humain yad hai humara Kal Janam din hai or ap nay or Abu nay humaray liey zaroor koi surprise plan kiyà hoga

Ammi: tujhe kaisay pata hum nay koi surprise plan kiyà hai.

HM: Ammi yeh koi humara pehla Janam din toh hai nahi or waisay bhi har saal ap or Abu humaray birthday 🎉 par kych special hi kartay ho , ab bataein bhala yeh bhi koi surprise raha ab.

Ammi: acha toh ab humari betiya bore ho gae hai surprises say, par yad rakhna humaray bad tu yahi sab yad kar k dukhi hogi.

HM: phir wahi sab batein shru kar di ap nay Ammi, humara acha khasa mood kharab kar diya ap nay jaen hum apko nahi bata rhy k hum khush kyun hain.

Ammi: acha ab hum kuch nahi bolain gay ab bata bhi baat kiyà hai.

HM: toh sunnain hum nay Police mei naukari k liey Jo exam diya tha us mei hum pass ho gay hain bus ek exam aur phir hum SHO ban jaen gay.

Ammi: wah Masha Allah jeeti raho khush raho.

Haseena wipes her tears and puts her parents pictures in the side table and turn to see her husband who is sleeping peacefully on the other side.

" Apko zara bhi humari chinta nahi hai Anubhav, ap humain akela wahan chor aaey yeh bhi nahi socha k itni raat hum akelay ghar kaisay aaen gay"

Ammi Abu ap dono itni jaldi humara Sath kyun chor gay, agar ap hotay toh koi humari parwarish par koi ungaliyun nahi uthata. Ap dono hotay toh hum kabhi aaisay tanha nahi hotay, yahan koi humain humaray dard ko nahi samjhta, humain koi pyar nahi karta, sab k liay hum ek boojh k siwa kuch nahi hain, apko pata tha Saad jisay ap nay humaray liey pasand kiyà tha, woh bhi humain hi doshi samjhta hai, usay bhi lagta hai k mei nay yeh sab Jan boojh k kiya hai jab k haqeeqat kuch aur hi hai. Mama ji nay bhi humain hi ghalat samjha tha unhain bhi lagta tha k esha k ghar humari wajah say barbad hua hai, bus humari sachai hum jantay hain or woh or humara Allah, humari baton par koi yaqeen nahi karay ga or woh sach bolay gi nahi bus ek Allah hi ka Sahara hai humain wahi aazmaish k bad aasani laey ga, hum pooray maan k sath apnay shohar ki Seva kar rhy hain bina kisi gharz k, or hamesha usi k ho k rehna chahtay hain chahay woh humain jitnay bhi dard day.

She puts her hand on his head and starts combing his hairs his peacefull sleep disturbed by her touch.

Anubhav agar apki zindagi woh sab say bura din tha toh humaray liey bhi woh ek daronay sapnay say Kam nahi tha, us din agar ap ka dil toota tha toh humain bhi takleef hui thi Anubhav.

She closed her eyes and thinking about that day.

FLASH BACK 1:

Pandit: ab var Vadhu pheeray k liey kharay ho jaen.

AS: haseena kyun kiyà tha ap nay aaisa, humara chorain Kam say kam apnay mama ji k baray mei socha hota , apni bari behan k sath aaisa kartay huay ap ko dukh nahi hua tha.

Flash back:

Pandit: ab var Vadhu ki mang mei Sindoor bharaen.

AS: tum yahan ho toh esha Kahan hai?

HM: woh aapi..

AS: jawab do humain esha Kahan hai haseena..

Hiba: haseena chup kyun ho bolti kyun nahi Kahan hai meri bachi meri beti Kahan hai, tum dono toh abhi kuch dyar pehlay Sath thy toh Kahan gae woh, kiyà kiyà hai tum nay us k sath, Anubhav ruk jao mei usay lay k aati hun, please jab tak na aaun tum yeh shadi nahi karo gay.

Present:
HM (pov): Anubhav hum kuch bhi Jan boojh k nahi kiyà tha balkay humain majboor kiyà gaya tha.

Haseena's Flash back:

Es: haseena tum yeh kapray or Jewellery pehan lo phir neechay jana hai mandap mei meri jagha.

HM: par kyun aapi?

ES: kyun k mujhe yeh shadi nahi karni, mujhe us police walay say shadi nahi karni, isliay tum jao gi meri jagha samjhi.

HM: par hum kaisay ja saktay hain, agar hum apki jagha gay toh humari jagha Kaun jaey ga, ap shaid bhool rhi hain aapi saad bhi barat k liay nikah k liey humara intezar Kar rha hai.

ES: tumhari jagha mei jaun gi.

HM: par kyun?

ES: kyun k mei Saad say pyar karti hun or shadi bhi usi say Karna chahti hun, nahi pasand hai mujhe Anubhav, isliay tum jao gi meri jagha.

HM: nahi hum aaisa kuch nahi karen gay aapi yeh shadi hai koi mazaq nahi hai aapi.

ES: haseena tumhain Jana hoga waisay bhi tum Kaun sa saad say pyar karti ho kiya farq parta hai k tumhari shadi Saad say ho ya Anubhav say.

HM: farq parta hai aapi, Saad ko humari Ammi Abu nay humaray liey chunna hai.

ES: zaban band rakho apni jaisa mei keh rahi hun tumhain waisa Karna hoga, tumhain zara bhi sharam nahi aati k jis shaks nay tumhain aasara diya usi parivar ki beti k liey tum itna bhi nahi Kar sakti, mere dad k tukron par pal nay wali aaj mujh say hi zaban chala rhi hai, agar bua or phopha ji k bad mom dad nay tum panah nahi diya hota toh tum kahen kisi sarak par bheek mang rhi hoti, dar dar ki thokareain kha rhi hoti tum.

HM: aapi....

ES: kyun haseena kiyà ghalat kaha mei nay,bua or phopha nay toh tumharay liey Saad jaisa khubsorat daultmand young handsome chunna hai , jisay tum khona nahi chahti, par mei aaisa hargiz nahi honay dungi Saad ki shadi agar kisi say hogi toh woh mei hun. Or waisay bhi tumharay liey toh acha hai us police walay say shadi k bad tum apna sapna saakar kar sakti ho.

HM: aapi ap humain majboor nahi Kar sakti.

ES: haseena mei kiyà kar sakti hun tum janti nahi ho abhi, tumhari bhalai isi mei hai k chup chap maan jao wanna.

HM: warna kiyà?

ES: socho jab dad ko jab yeh pata chalay ga k unki pyari bhanji ki nazar un Kay honay walay damad par hai toh un par kiyà beetay gi, or tumhari izzat khak mei milay gi woh alag, kiyà jawab do gi tum samjh ko.

HM: yeh jhoot hai.

ES: toh is jhoot ko sach banana mujhe achi tarha aata hai haseena, Kaun vishwas karay ga tumhari baat ka bolo koi nahi, mei toh neechay jaun gi nahi jana toh tumhain hi hoga meri jagha.

HM: toh phir ap yeh shadi toar kyun nahi dayti.

ES: acha mei toh is shadi say inkar kar dungi par kiyà tum mana karo gi Saad say shadi k liey, tum toh ek aadarsh beti ki tarha chup chap nikah kar logi, or izzat meri or mere dad ki jaey gi.

HM: toh kiyà humaray wahan janay say mama ji or parivar ki izzat nahi jaey gi, hum par ungaliyun nahi uthain gi kiyà? Hum badnam nahi hun gay?

ES: nahi tumhari shadi Anubhav say honay say pehlay hi mei sab ko sachai bata dungi.

HM: nahi aapi hum koi risk layna nahi chahtay , ap humain baksh dyn.

ES: toh anjam bhugatnay k liey tyar ho jao tum.

Flash back ends:

HM (pov): hum nay toh wahi kiya tha jisay karnay k liay humain majboor kiyà gaya tha, warna aapi humaray Sath Sath mama ji ki izzat or humaray Ammi Abu dono ki parwarish par sawal kharay kar dayti. Hum nahi chahtay k aaisa ho, Dua kar rhy thy k aapi jald say jald aa k sab ko sachai bata dyn, lekin.....

AS(pov): kash tum nay humain pehlay bataya hota, toh us tarha na tumhari parwarish par sawal uthtay na bhari mehfil mei tumharay mama ki izzat Neelam hoti, apni behan , humain, Saad sab ko dhoka diya, kyun apni hi behan ki khushiyan cheen li, or ap apnay swart mei itna gir gae k apni behan ko hi kidnap karwa liya or khud uski jagha mandap mei aa gaen kyun?

Anubhav's flash back:

Maa: Anu bahu ki maang bhar or isay izzat k Sath ghar lay chal.

AS: par maa hum kaisay yeh kar saktay hain.

KS: ha maa ap yeh kiyà keh rhi hain janti hain is nay kiyà kiyà hai phir bhi ap isay biha k ghar lay jaen gi, bolo haseena kahan hai humari best friend kiyà kiyà hai tum nay us k sath kyun nahi aai woh yahan bolo Jawab do khamosh kyun ho humari dost eshu Kahan hai bolo khamosh kyun ho bolti kyun nahi Tum

A voice from behind:

Es: mei yahan hun Kashi.

KS hugs her:

KS: tum Kahan Chali gae thi, or yeh yahan kaisay.

HM: aapi sab ko bata dyn kiyà hua tha please...

ES: mei kahen nahi gae thi mujhe haseena nay kidnap kar k ek kamray mei band kar diya tha, kyun k woh Anubhav say pyar karti hai, keh rahi thi k woh kisi qimat par bhi us say shadi Kar k rahen gi, us nay na sirf parivar ki izzat ki parwah ki, mujhe bhi buhat choat pohnchai hai, Saad ka bhi dil toar diya, usay apni zid k aagay kuch nazar nahi aaya na hi us mama ji ka khayal kiyà jis nay usay us Kay Ammi Abu k baad Sahara diya hai, jisay unhon nay apni Sagi beti ki tarha chaha tha, par us nay unki izzat k baray mei ek pal k liey nahi socha, roond dala sab ki izzat ko, Sath Sath mera bhi honay wala shohar cheen liya, hum sab ki nahi toh Kam say kam Saad k baray mei hi soch liya hota , is k Ammi Abu ki pasand thi, iska mangaitar tha us k sath 3 saal ka rishta tha par nahi yeh kyun sochay gi, kyun ki tarbiyat hi aaisi hai iski,khudgarzi us kay khoon mei hai, bua nay bhi toh yahi kiyà tha or aaj unki beti bhi unhi ki di gae tarbiyat par chal rhi hai.

HM: aapi ap nay humain Jo kehna hai keh dyn humari Ammi ko kuch mat kahen. Unki tarbiyat or parwarish par sawal uthanay ka apko koi haq nahi hai. Humari Ammi nay kuch ghalat nahi kiyà tha yeh baat mama bhi jantay hain

Maa: anu tu soch kiyà rha hai bahu intezar Kar rhi hain beta.

KS: maa ap sab kuch Jannay k bad bhi isay apnay ki bahu banana chahti hain.

Maa: ha kuch ghalat nahi kiyà hai is nay, pyar Karna koi gunnah nahi hai Kashi, ha par is nay Jo tarika chunna hai woh ghalat tha,or kiyà karti yeh koi rasta nahi tha is Kay pass, agar is k Ammi Abu aaj is duniya mei hotay toh kabhi yeh aaisa qadam nahi uthati, kyun k aulad ki khawahishain maa baap hi poori kartay hain, koi ghair usay ghar mei aasara toh day sakta hai par uski khawahish kabhi poori nahi Kar sakta, Kashi tu nay jisay pasand kiyà hum nay aur Anu nay bhi teri shadi usi say ki, jab tujhe azadi hai apna maan pasand sathi chunnay ki toh isay kyun nahi,bhai sahab hum apki banji ko apnay ghar ki izzat banana chahtay hain apko agar iteraz na ho toh.

KA: nahi humain koi iteraz nahi hai.

Maa: or esha tumhain?

ES (pov): thank you aunty ap kitni achi hain yahi toh mei chahti thi.

ES: nahi mujhe koi problem nahi hai.

Maa: Anu beta humain yaqeen hai tujhe haseena say behtar jevan sathi nahi mil sakta, dekhna yeh tujhe hamesha khush rakhay gi beta. Faisala tujhe Karna hai beta tujhe esha say shadi karni hai ya haseena say. Or yeh yaad rakhna Kal bhi humari pehli pasand haseena hi thi or aaj bhi.

Ends.

AS (pov): haseena maa nay toh apko maaf kar diya par hum nahi Kar paa rhy hain, ankhon dekhay sach ko koi kaisay jhutla sakta hai, baat sirf humari zaat ki nahi hai humaray Sath Sath buhat say dil dukhaey hain ap nay.

HM (pov): mantay hain hum nay Jo kiyà woh ghalat tha humain aapi ki baat nahi manni chaheay thi par aapi badal jaen gi is tarha mei nay socha nahi tha. Ap toh humari baat manain gay nahi kitni baar koshish ki sachai batanay ki par ap nay humain mooqa hi nahi diya. Kiya kabhi hum dono k yeh fasalay mitain gay kiya kabhi hum dono ki dooriyan Kam hungi, kiyà ap kabhi hum say pyar kar paen gay.

Both are lying on the bed and remember that day, their eyes becomes moist, he don't want to ask her, she also wants to tell him but he is not ready to listen her.

Kiya yeh doriyan Kam hun gi kiyà yeh fasalay Kam hun gay.

***************
Upcoming:
More misunderstandings

Continue Reading

You'll Also Like

5.2K 756 12
Ghar ki Gali se, Dil ki Gali tak ❤️
36.5K 2.4K 42
This story is of our fav show Madam Sir This story is only on made of our KarEena's bonding❤ For more just peep into in story....
3.3K 176 12
Hello everyone, I bring with some Shorts story which will related to life. For know more you have to peep inside. Copyright ©️:- @Tishak2141 Book cov...
16.4K 1.4K 33
Ye story specially @MrRajMishra ji ke liye likhi gayi hai.🥳