Dil e Nashad

By Gurlinchaos

2.6K 290 1.3K

" Muhabat karta hun tumsy " " magar ma nhi karti " " tumhe karni pary gi !!!" ~~~~~~~~~~●●♡♡●●~~~~~~~~~~ "... More

chapter 1
introduction
chapter 2
chapter 3
chapter 4
chapter 5
Chapter 7
chapter 8
chapter 9
chapter 10
chapter 11
chapter 12

chapter 6

121 24 109
By Gurlinchaos


Shahid kuch log nazron se to unchal ho jate hain magar jate jate dil main khain apna ghar bana jate hain.

Taimur apne ap ko aj phir kasurwar samja tha.wo aj phir kisi ke dhuk or takeef ki wajah bana tha . Usy aj phir sy apny ap sy nafraat hovi thi . Wo har bar kiun kisi ki takfeel ki waja banta hy .

---------------------------------

Zaviyar apni hi dhund main apny balon main haat pherta guest room sy nikla tha kuch hi fasla teh keya tha abi k jis haat ko wo apny balon main pheer raha usi bazo py lagy hove buttons kisi ke ballon main aare thy or us larki ke karhane ki awaz ai thi .

" AHHH "

Zara ny ak haat apny baloon par rhaka or aag barasti hovi ankhon sy apny akab main khare shaks ko dhekha .

" nazar nhi aata mister . Ya ankhein dhekne k leye hi di gain hain !!"

Zara Zaviyar ki ankhon main ankhein dale bol rahi thi . Jabke usky bal abi bi Zaviyar bazon ke buttons main phanse hove thy .

"Mujy to dhkne ke leye hi mili hain par lagta he apko khelne ke leye mili hain!!. Or wasy bi Aanhdah dhoonhd ap chali aa rahien thi ma nhi"

Wo bina kisi tasurat badle bolta gya .

" Intehai batameez or badlehaz hain ap . "

" badlehaz to nhi magar batameez ap bi puri hain juri achi bane gi humari ."

Zaviyar anhk marta ye kehta aggy bhar gya .or Zara bhara sa muh kholi usy jate dhk rahi thi usy ehsas bi nhi hova k kab Zaviyar ne buttons main aare baal nikale thy .

" Is leye nhi pasand mujy Aaima ki family
function attend karna .Na jane kahan sy uth uth kar aa jaty hain log . "

Wo apny ap main hi barbarati agy ko bhar gai .

------------

"Aaima beta "

Usman ke bulany par Aaima unki taraf gai sat ak or shahks takriban unhi ki umer ke khare thy nami ankhon main saaf zahir thi .

" beta Ao salam karo uncle ko !....ye apke baba ke dost hain. "

"Asalamu alikum."

Dill hi dill main socha ka phele o inke bary main nhi suna na kahin dheka or ab itni dair bad wo mily wo bi baba ki death ke bad.

Zia ny aaima ke sir par pyar deya.

" Walaikum asalam...kasi ho beta ??"

Aaima ko unke lehjy main apnaiyat saaf dhikhai de rehai thi.

"Allhumdulillah uncle theek hun."

"Bhabi kasi hain?"

" wo bi Allhumdulillah theek hain uncle."

" beta ma mazraat cha..."

"Aaimaaaa "

Zia ki baat aduri hi reh gai thi zara ke yun bula ny par .

Aaima ny us awaz ke janib dheka or phir Zia ko Zia ny sir ko haan main hila kar jany ki ijazat di
Aaima khuda hafiz kehti Zara ki taraf bhari thi.

" Masha Allah kitni bhari ho gai he Aaima"

" jee or ab to job bi krti hy .masha Allah sy doctor ban gai he."

Usman ny fhakhar ke saat btya tha wo unki bhatiji hi nhi balky beti bi thi to kiun na fhakhar karte.

" acha Masha Allah.phir to Bilkul Aziz par gai he mehnat karne wali ."

" bhabi kahan hain wasy ? ...agar un sy bi mazarat kar leta to acha hota. "

" ma zarur milwata apko magar ap humari family sy nawakif to nhi hain . Phir kabi mulatak ho jay gi insha Allah."

Usman bhoot sharmindagi se ye kehty chup ho gay thy
Zia bi janty thy ke kis ke bary kain bat ho rahi thi .Usman or aziz ki akloti bhen ke bary main.

-----------------

Function khatam ho gaya tha zainab abi bi function wale ghar main thi magar Aaima or Zara subha hospital ka bahana karke Aaima k ghar aa gai thi . Aaima ki na to Zaviyar or na hi taimur sy dubara mulakat hovi thi .

Taimur furan hi sab sy mazrat karta hova function sy aa gya tha .

Raat ke andery main apne ghar ke terrace pr kahre us chaand ko dhekta wo khud ak chand lg rha tha.Chnad ki shafaaf roshini usky chere ky tasurat saaf dhikha rahi thi .
Ankon main nami thi jisy wo roke hove tha .
Dill bhot tesi sy dharak raha tha.
Dono Haat reling pe thy par ak haat main kuch pakre hove tha Taimur.
Or nazrain chand ko dhek kr ak chand ke bary main soch raha thien.

"Bhaiiiii"

Apni hi dhnond main dubaa taimur uske bhai ke bulany py wapis aaaya tha.

"Je janab "

"Kahan thy or itni jldi kiun aa gay wahan sy ?"

"Wasy hi dill nhi kar raha tha wahan or rokne ko or uper sy project ka kuch kaam tha."

"Baba ko acha nhi laga apka yun ana. "

" jannta hun "

Zaviyar bi sat hi aa khara hova taimur ke . Bilkul usi ki style main chand ko dhek ny laga

"Or kasa laga function???"

Zaviyar ke is sawal par kuch dair kamoshi ka muzahira keya taimur ne
Phir wsy hi khara "acha tha " keh kar chup ho gaya.

Khamoshi ki waja se saat hi dharhakt pe ghonsele main behti ak do chiryon ki chak chahat saaf sunai de rhi thi .

" Uski ankien mama sy milti hain."

Taimur ke kehne par zaviyar ke chere par ak gehri muskurahat ai thi.

"Teri dusti ki ak waja ya bi hy na???"

"han but usko janne ke bad koi bi us se dosti kr le."

"wo bhot saaf dill hy bhai "

"Han uska chehra uske dill ka aina he
Saaf or shifaf "

" ma shart main jeet raha hon."

Puri baat ke duran dono bhaiyo ny ab ak dusry ko dehka tha.
Taimur naffi main sar hilata wahan sy chala gya or paas pare jhule pe aa bheta.

"Chal ab ja ma bi ja raha hun sone."

"Pakka na sona hy ya phir kisi sy bat karni he jo muje asy bhaga rahe hain."

Zaviyar cherta hova andar jane laga.

"Ab har koi tery jasa nhi hota "

Dono bhai ab hass pary thy.
Andaruni shishe ka Darwaza band karta andar ko bhara or phir wapis darwaza kholta apne bhai ko dhkene laga.

Taimur jhule pe bhete apni mhuti main pakri chez ko begor dhk raha tha.

"Bhai."

Taimur Zaviyar ki awaz sunta foran mhuti ko band jar chuka tha.

" han!!"

" ma keh raha tha ke agar Aaima ka number chaiye hova to muj se le li je ga."

Itna kehta wo wahan se bhagne ko taiyar tha or Taimur ne bi bark raftari se pas pare ak cushion ko uski taraf phanka tha.

---------------------------------

" Allah maaaf kare. Ab agar ainda kaha na ke saat chalo to tumhe wahin khatam kar dun gi."

"Itna gussa kiun kar rahi ho
Phupho sy phele bar to nhi mili na."

" nhi mili but unki batain har bar nai sere se chubti hain . Or uper sy aj ak or pagal sy takra gai ma ."

Zara nak sukharti boli thi

" kon paga? "

" pata hota to wahin achi class leti . "

" batao to kasa tha may be ma ganti hun"

" tha ak normal height ka... shirt... kon c colour pheni thi usny shahid black pheni thi..."

Kafi dair sochny ke bad bi wo ak phokta juwab na de saki.

"Comform nhi muje"

"Chalo choro or so jao subha jana hy. "

Aaima ye kehti apny muh pe comforter le kar lait gai.

" wasy tha peyara."

Zara muskurati Aaima ke saat lait gai
Aaima ny sir naffi main hilaya.

"Tum nhi balad skti "

Kehti neend ki wadiyon ka istekbal karny lagi.

Nikkah ke functoin ko guzrae hafta ho chuka tha . Hisaaby mamul sab apni musrufiyat main magan ho chuke thy . Zara Aaima ke ghar rhi thi kuch din magar phir apni ammi ki tabiyat theek na hony ka sun kar apny ghar chali gai thi . Aaima bi us duran usky ghar zada anny jany lagi thi. Aaima ka apni khala ke ghar bi bhoot kaam ana jana tha ....wajjah zara ke abu ansari sahab thy . Wo zainab or Aaima ke bary main baki logon ki tarha rai rhkty thy .
Unke khyal main bi aaima wohi kary gi jo zainab ny keya tha wo bi bhag jaye gi akheir wo ak bahgi hovi maa ki beti he...

" Bat suno Zara meri . Maa tumhari bilkul theek he to ye jo larki yahan ke roz chakar lga rahi hy na isy mana karo . Or tum bi isky ghar aana jana band karo apna pata nhi kia pattiyan cher hati....."

Ansari sahab gussay main bol rahy thy awaz to jasy pury ghar main ghoonj rahi thi magar ab mukhatif smit sy bi awaz ghuj ny lagi thi .

" bas karain baba . Kitni bar kaha hy ke Aaima ke bary main kuch galat na kaha karain.Or kon c pattiyan baba ...jo phupho aa kar apko parha kar jati hain ya jo logon ki cherhai hovi hain."

" zuban dhek rhi ho iski kis qadar chalny lagi hy. Us awara larki ke leye apny baap ke samny bol parhi hy .isi leye mana karta tha tumhe ke iski us larki sy dosti torwao .
Keh do isy us sy dour rahy wrna ma tumhe or isi le kr lahore chala jaon ga ."

Ansari sahab bed pe laiti apni begum sy mhukhtif thy.Ansari sahab na to apni biwi or na hi apni beti ke saat acha saluk karte the jis ki wajah se Zara apni ammi ko Islamabad le ai thi apne ghar main.

"ap aien hi kiun hain idar.Or ma bachi nhi hun chotti jo ap jahan kahain gy wahan chal parun gi or na hi mama kahin jain gi apko jahan jana hy chaly jain."

Zara ye kehti bahir ko ai thi andruni darwaze par khari Aaima sab sun chukhi thi .

" zara yr jaldi sy pani pela do plz"

Aaima apny ap ko normal karti sofy par vehti thi . Zara ka to jasy sans bahal hova tha .
Aaima ny pani piya or khala ki tabiyat ka pochti bahir ko jany lagi .

" kahan ja rhi ho abi to ai ho or mama sy bi nhi mili."

" yr hospital sy call ai hy . Ak patient ke file mry pass thi . Raat ko surgery hy uski . Or ma uski file zaviyar ko de behti hun uska aj off hy toAb usky ghar jany pary ga or phir hospital bhoot dair ho jay gi phir aon gi tab bheton gi bi khala ke pas sorry "

Wo ya kehti hovi zara ke galy mili or wahan sy apni gari tak ai.

" sorry baba ki taraf sy."

Aaima sorry sunty heran hovi or pichy muri

" ab asy nhi dheko bhen hun tumhari janti hun tum sab sun chuki thi or bas act kr rhi thi ."

" zara koi baat nhi yr . Or ya roti hovi chakal nhi achi lgti."

Uske gale lagte itna kehti apni gari main bhait chuki thi.

"Zara ma theek hun!!"

Ak akhri bar usy yakeen delaya tha.

"Pakka?"

"Pakka!!"

Chere pe muskhurahat lati bye kehti wo gari wahan se bhaga chuki thi.
Wo or nhi samait sakti thi apne apko
Ak taraf gari Islamabad ki sarkon main dhor rhi thi.or dusri taraf anson uski galon pe dhor rahe thy.
Apni haat ki pusht se anson saaf karti gari ko rok chuki thi.

" Aaima Allah he na saat wo in logon ko in sab ka juwab de ga!!"

Apne ap ko dalasa deti gaardan seat ke sat lagati apne ap ko normal karne ki koshish kar rahi thi.
Kuch dair bad jab wo apne apko sahi mehsus kar rahi thi to dubra gari start kar di thi.

Kuch dair ka hi safar teh keya tha Aaima ne ke ab gari ak baangle ke samne roki thi.
Bahir nikalti us ghar ko dhekti darwaze ki taraf bhari thi.

"Je ma'am?"

Darwaze pe khare guard ne apne ap se mhukhatif keya tha.

" muje wo Zaviyar se milna he."

"Ma'am Zaviyar sahab to ghar nhi hein."

"Acha."

Wahan se kuch side pe aati Apne phone main call milai thi.dusri hi bell pe call utha li gai thi.

"Assalmu alikum."

"Walaikum asalam."

"Zavi mane jo file tumhe di thi ak patient ki. Uska aj argent operation he muje wo abi chaiye!"

" but Beautiful abi to nhi ho skta ye. Ma lahore gya tha kal dado ke pass abi ghar se 20 min ki durri pe hun agar traffic na ho to."

" ma tumhare ghar ke bahir khari hun andar kisi se keh do la de muje wo abi chaiye."

"Acha meri guard se meri bat karwao or phir andar ja kar. Karam uncle se bat karvana ma unhe pata deta hon ke kahan he."

Aaima Zaviyar ke batae wohe kaam pe umaal karti phone guard ko de chuki thi.guard ne darwaza khola tha undar usne karam jo unke ghar ke bawarchi the unse bi bat karva di thi.

"Beta ap bheto main bus le kar aya."

Wo basement jane hi lage thy jab upar kamre se khane ki pukar ai thi..wo dhimi hovi thi ke kitchen main se 16 saala larka bahir aya tha.

"Chacha......handi jaal gai he muj se ap jaldi aien."

Bacha ghabraya hova aya tha or itna kehta budra andar chala gya.

"Beta ma ye dhk.."

"Uncle muje bata dein ma khud le aati hun."

"Ary nhi beta..."

"Koi bat nhi uncle apko kaam hain bhot. Ap muje batain ma khud ke aon gi."

"Shukriya beta. Yahan se thora agy jao gi to basement ka darwaza ae ga. basement main jo sidi taraf ka phela kamra he uski table pe parhi he beta."

Aaima sir halati unki hadayat pe amal karne lagi thi.
Kuch hi dair main wo basement main aa gai thi. Basement bhot bhari thi ak ke bad dusra kamra tha.digar kamron pe nazar dali thi har kamre ke darwaze pe lagi plate uska holiya bayan kar rahi thi.
Karam ke batae hove kamre ki taraf bhari thi jis pe file room likha tha.andar gai to same table pe pari pheli file hi us patient ki thi. Foran uthati bahir ko ai thi.
Darwaza band karti ak ahkri nazar dal rahi thi digar kamron ke darwazon per jab bilkul sambe ke darwaze pe uski nazrein roki thien.
Us darwaze pe koi plate nhi thi or bakiyon ki nisbat uska darwaza aahd khula tha.bhot dhimi roshini thi us kamre main kadam khud aagy bhare thy.

Aaima ko us aahd khule darwaze se kuch nazar aya tha wo kamra canvasses se bhara hova tha. Kamre ke andar aati har canvas pe nazar dalne lagi Aaima. Bhoot khubsurti se wo paintings banai gai thien. Paintings ke akhir pe Taimur ke signatures thy.
Har painting main dhuk tha. Andhera tha us kamre ki tarha jahan wo majood thi.
ak painting kuch is tarhan thi ke ak larka sarak main tanha bheta tha raat main us Painting main bi srif dhuk zahir hota tha.baki painting bi kuch isi tarhan hi banai gai thien.

Un canvas pe haat pherti wo kamre ke darmiyani hise pe aa gai thi.
Samne nazrein ki to easel stand par ak canvas para tha jis ko kapre se dhanka hova tha.kapra zada bhara nhi tha jis waja se usse niche ki banai hovi painting aram se dhekhi ja skti thi. Us tasveer main bakiyon ki nisbat seyah or safeed rhang ke bajae gulabi rang istemal keya gaya tha.

Aaima ka haat us kapre ko hatane ke leye bharha tha.kapra uske haat main aya tha is se phel ke wo kapra utarti usy kisi ne piche ki taraf khincha tha.barak raftai ki waja se apne apko na sambhalti wo us shakhs se takrai thi.
Uski janib dheka to wo taimur tha.

Taimur usse aag barasti nazron se dhek raha tha.taimur ne Aaima ka haat bhoot mazbuti se pakra hova tha. Usi haat se Aaima ko khinchta wo bahir ki janib bhara.

" chorien muje!!"

Aaima chilai thi. Or saat hi apne haat ko churane ki koshish karne lagi wo jitna churane ki khoshish karti Taimur apni giraaft ko or mazbout kar leta. Usse yiun hi khinchta jaldi main wo upar aya tha.
Sitting area main aate hi Taimur Aaima ko agy ko karta chur chuka tha.
Uske achanak chorne par Aaima aagy ki taraf larkharati girne lagi thi jab piche se jaldi main atte Zaviyar ne sahara deya tha.

"BHAAI"

Zaviyar chikah tha.

"Kia bhai ??. Ye niche kiaa karne gai thi."

Taimur bi ussi ki tarhan chikah tha.

"Bhai file lene gai thi."

"File leti or upar aati. Mere kamre main kiun gai thi!!!"

Taimur dubara chikha tha.Aaima sehhem gai thi. Sharminda hoti apna sar bi jhuka chuki thi.

"Taimur!!"

Ye awaz to jese pure ghar main ghungi thi. sabki nazrein awaz ki janib hovi thi.Zia andarune darwaze pe khare Taimur ki harkat par agbagola ho rahe thy.

"Baba iski gakti..."

"SHUT UP!!"

"Mane tumhe ye tarbiyat di he ke ghar pe ae mehmano ke saat asa rawaiya rhako?"

"Baba wo mere painting area..."

"Taimur mehman thi wo!!!!"

"Baba mehman thi to mehman ki tarahn reh.."

"TAIMUR ma khe raha hun chup ho jao.or mafi maango usse."

"Baba par meri..."

"Mene kaha mafi maango!!"

"Uncle galti meri he muje mafi mangni chaiye."

Sehmi hovi Aaima bhot hemmat jurati boli thi.

"Sorry"

Aaima ne kaha tha.

"Nhi beta galti iski he."

Zia ka bus Taimur ko dhekna hi kafi tha.or wo mafi maang chuka tha.

"Sorry."

itna kehta wo wahan se chala gaya tha.

"Aaima beta ma maffi.."

"Nhi uncle ap kiun maffi mang rahe hain .or wese bi galti meri bi thi."

Aaima ne Aziz ka jumla mukamal hone se phele kahata tha.

"Ary nhi beta or choro in baaton ko."

Zia ne Aaima ke sir pe piyar dete hove kaha tha.

"Ap beauti..mera matalb Aaima ko kese jante hain?"

"Meri dost ki beti he. Or tum kese jante ho?."

"Ye meri dost he. Aaima yaad karain jiska mene zikar keya tha .same hospital main doctors hain hum."

Zaviyar ne jese yaad dilane ki koshish ki thi.

" han yaad aya . Wah bhai nice. Beta ao behto chai mangwa.."

"Nahi uncle muje hospital jana he ye file pohchane. Ma chalti hun."

"Jese tumhari marzi beta or han phir se mazarat chata hun!"

"Uncle sharminda kar rahe hain ap ase."

Zia ne dubara sir pe piyar deya tha or Aaima khuda hafiz kehti Zaviyar ke sat bahir ko ai thi.

"Beautiful so sorry.."

"Chalo ab tum maat shuro ho jana"

"Thora possessive hain apni chezon ko le kar bhai."

"Han wo to mane dhk leya. But galti meri bi thi pata nhi kiun ma rok hi nhi saki khud ko us paintings ko dhekne se."

Aaima muskurai thi.

"Nhi tumhari koi galti nhi wo bante hi itna ache hain ke koi khud ko rok hi nhi pata. Ak bat baton jab bi humare cousins aty thy na Lahore se to foran in paintings ke piche bhagte thy or bhai jis kamre main ye sab canvas hote thy waha lock laga dete thy or khud samne khare ho jate thy."

Akhir main duno hase thy.

"Pata ye harkate main chote hote karti balke to be honest abi bi karti hun jab bi koi meri chezon ko cherta he na khaas tor pe chotte cousins Allah us waqat bhot gussa ata he . But kia hi kar skte hain mehmam hote hain wo to khamosh rehna parta he."

Aaima ne dhuk bhare andaz main kaha tha.

"Dono hi ak jese ho.meri to koi ak cherta he to ma agle ke ghar ja kar do cherta hun. Simple"

Zaviyar toothpaste ki muskhurahat lae bola tha.

"Toba!!.acha chalo ma chalti hun hospital. Allah hafiz."

"Beautiful ma chala jata hun tum thek gai ho gi."

Zaviyar ne fikarmand andaaz main bola tha. Or saaf zahir tha ke wo kuch dair phele hovi jane wale anban ke bare main bol raha tha.

"Safar se tum ae ho tum thak gaye ho ge. Or bhol bi jao us baat ko ma theek hun."

"Ma thak to gaya hun par apni bhen ke leye ja sakta hun."

Aaima muskhurai thi.

"Zavi jee ma chali jaon gi."

Aaima ne usse yakeen dilaya tha.or khuda hafiz kehti hospital ke leye ruwana ho chuki thi. Baki ka safar srif ak bat sochte teh hova tha.

"Kia ye saab phopo ki baton ki wajah se hova he kia wo bi muje dusron ki nazar se dhekte hain??"

Sawal bhot thy magar juwab dene ko koi na tha.

Taimur usse apne kamre ki khirki se jate dhk raha tha.

"I'm sorry."

Dard bhari awaaz main wo bola or jebo main haat dale basement ki taraf ruwana hova.
Wo usi canvas ke agy khara tha jis pe charhae hove kapre ko Aaima hatane lagi thi. Farak ye tha ab kapra canvas ke bajae zaleem par tha. Taimur agar barwak usko na apni taraf khinchta to Aaima wo banai wohi painting dhek chuki hoti.

Taimur ne us painting par apna haat rhakna caha magar phir hata leya.
Wo tasveer Aaima ki thi.
Unki pheli mulakat ki. Us painting main Aaima sheshe ke agy khari thi or balon ko ak taraf karti apna pendle band karne ki nakam koshish kar rahi thi.

"Mene tumhe aj phir na chate hove takleef de di. Magar ma nhi chata tha tum ye dheko."

Awaz main dard tha bebasi thi. Taimur ne haat main rhake pendle ko dhekte hove kaha.wo pendle Aaima ka tha jab wo gira to Aaima usy utthan bhol gai tab hi taimur ne usse uthaya tha wo usse dena chata tha wapis magar koi mulakat uske bad asi na thi ke wo usse de pata.

"Aaima tum ak khanch ki guriya ki maneed ho jise agar mane chuwa to wo tutt jaye gi.or ma tumhe tutta hova nhi dhek sakta."

Wo chand moti jo uske ankon main sadiyon se qaid the wo aj reha hove thy srif us larki ki khatir."

_______________

"Tuje paane ki khwahish nhi rhakte hum
Tuje takleef dene se jo darte hein hum."

______________

Asalamu alikum!!

How was the chapter??
I was not feeling well for few days bc of flu🤧.
So soo sorry for late update but see na this chap is long one balke to long 🤭.
hope so like always u guys also like this one🤞🏻🤞🏻♥️♥️.


Plz do vote and comment 😘.
(Silent readers apke leye kaha he khass tor pe🤭😘).

Galti kotahi maaf kije ga🙇🏻‍♀️🙏🏻.
Allah hafiz.

Continue Reading

You'll Also Like

250K 12.8K 92
Being flat broke is hard. To overcome these hardships sometimes take extreme measures, such as choosing to become a manager for the worst team in Blu...
119K 243 17
My wlw thoughts Men DNI 🚫 If you don't like these stories just block don't report
37.3K 2.4K 61
𝐭𝐡𝐞 𝟐𝐧𝐝 𝐛𝐨𝐨𝐤 𝐨𝐟 𝐬𝐡𝐨𝐫𝐭 𝐬𝐭𝐨𝐫𝐢𝐞𝐬 𝐚𝐛𝐨𝐮𝐭 𝐨𝐥𝐢𝐯𝐢𝐚 𝐫𝐨𝐝𝐫𝐢𝐠𝐨 𝐚𝐧𝐝 𝐲/𝐧'𝐬 𝐦𝐞𝐞𝐭-𝐜𝐮𝐭𝐞𝐬/𝐥𝐨𝐯𝐞 𝐬𝐭𝐨𝐫𝐢�...
332K 19.2K 41
You live in a different time zone Think I know what this is It's just the time's wrong