Silent Love πŸ’•πŸ’• (Anuseena):

By nehaasmat

23.5K 2.1K 427

Can someone fall in love without knowing the identity of other, and what will destiny decided for them? More

Part #1
PART#2
PART #3
PART #4
PART #5
PART#6
Note#
PART#7
PART#8
PART#9
PART#10
PART#11
PART#12
Sequel Part #1
Announcement
SEQUEL PART #2
SEQUEL PART #3
SEQUEL PART#4
SEQUEL PART#5
SEQUEL PART #5
LAST PART (a):
LAST PART (B):
ANNOUNCEMENT AND THANKS:
Epilogue:
EPILOGUE : 2ND PART
NEW STORY:

PART#13 LAST PART

861 73 15
By nehaasmat

AS: sorry roshini hum Tum say toh kiyà kisi say bhi vivah nahi Karna chahtay hain.

Roshini: kiyà wajah Jan sakti hun?

AS: roshini wajah buhat hi simple hai, hum desh bhakti humari khoon mei gardish karti hai, hum chah Kay bhi kisi bhi larki ko uska haq nahi day paen gay, ek sukhi vivahit jevan mei sirf vivah k bandhan mei bandhna nahi hota balkay buhat say farz or hotay hain jinhain ap nay poora Karna hota hai, ek aurat ko sirf naam ka rishtay say matlab nahi hota, usay apnay pati say maan saman pyar, waqt, izzat, tareef aulad sab chaheay hoti hai, ek aurat ki yeh khawahish hoti hai uska pati us kay Sath waqt guzaray usay dosray patiyun ki tarha shopping dinner par lay jaey, us kay uski family function attend karay, par humaray pass kisi ko daynay k liey kuch bhi nahi hai na hi kabhi hoga, isliay aaj tak hum nay apnay dil ko dimagh k qabo mei rakha hai, kyun say dimagh ka faisala kabhi ghalat nahi hota.

Roshini: or Haseena Kay baray mei tumhari kiyà soch hai Anubhav?

AS: tum kehna kiya chahti ho.

Roshini: tum itnay na samjh toh nahi ho Jo Meri baat tumhain samjh nahi aaey, pyar kartay ho na us say, tum toh kehtay thy tumhara banjar hai jahan pyar ka peirh nahi lag sakta, phir kyun mujhe aaisa lag rha hai k haseena nay tumharay dil ki banjar zameen par apnay pyar ka beech boo diya hai tum apna dil us par har baithay ho....

AS: humaray dil mei us k liay aaisa kuch nahi hai.

Roshini: Kam say kam.apni dost say toh sach bol do, tumhain bachpan say janti hun woh Anubhav jis ki aankh say aaj tak aansoo ka ek qatra bhi kisi ki takleef deekh k nahi nikla toh phir aaj kyun usay haseena ki zakham say takleef pohnchi phir, apna sab kuch desh par qurban karnay wala Anubhav aaj kyun haseena ki Jan bachanay k liay dushman k aagay guthnay taiknay ko tyar tha, kyun Anubhav?

AS: ha humain takleef hui uski takleef deekh k, ha haseena nay humaray dimagh ko shikast day k humaray dil mei dakhil ho gae hai, par usay hum nahi rok paey, dil ko hamesha dimagh say control kar k hum nay har Jang jeeti thi par jab humara dimagh jab machinon k control mei aaya toh dil ko apni maan Mani karnay ki ijazat mil gae, or yeh khud ko haseena ko dekhay bina hi us par haar baitha. Par yeh ghalti toh hum nay kar di hai par hum haseena ko ya kisi ko yeh batanay ki ghalti nahi Kar saktay, kyun k ghalti jab tak sirf ap tak sehmit rhy woh ghalti nahi hoti.

Roshini: kyun Anubhav kyun nahi bata saktay usay? Woh bhi tum say pyar karti hai mei nay uski ankhon mei tumharay liey pyar dekha hai warna Kaun kisi ki khushi k liey apni khushiyan qurban karta hai.

AS: hum sab jantay hain roshini, us nay humain sab bataya tha buhat pyar karti hai woh hum say, par hum usay pyar Kay badly woh pyar nahi day saktay hain, uski muskan buhat khubsorat hai bilkul uski tarha, or dil sheeshay ki tarha saaf hai, or sari masomiyat us par khatam hoti hai, hum hamesha usay is tarha dekhna chahtay hain. Pata hai roshini tum zindagi mei aagay kyun barhi tum bhi toh humain chahti thi na phir sorab say shadi ka faisala kyun liya, isliay Kay kahen na kahen tum yeh janti thi Kay humaray dil mei tumharay liey woh pyar nahi hai na hi hum kabhi tum say woh pyar kar paen gay, na hi hum nay kabhi tum say izhar kiyà tha, bilkul isi tarha shaid kabhi haseena kisi din apni zindagi mei humain pyar ka khubsorat sa ehsaas liey apni zindagi mei aagay barh jaey, ha jitna hum say pyar karti hai utna toh kabhi kisi say nahi Kar paey gi ha magar koshish zaroor karay gi, agar usay humaray dil ki baat pata chal gae toh uski zindagi wahen tehar k reh jaey gi ek intezar uska muqadar ban jaey ga, agar hum kabhi kisi mission say loat k na aaen toh ? Nahi humain koi haq nahi hai uski zindagi bay rang karnay ka, usay us kay bharam mei jeenay do, pyar toh dono ko hi hai or hamesha rahay ga, bus farq itna hai k hum uski ankhon ko intezar Kay lamhay nahi dayna chahtay. Uski aankhain hansti hui buhat achi lagti hai usay Anson k samandar say hum seerab nahi Karna chahtay. Yeh raaz yahen dafan kar do roshini kyun k agar yeh raaz khula toh dono ki zindagi mei tofan aa jaey ga. Or hum bhi koshish karen gay Kay yeh raaz humari zindagi k Sath hi khatam ho jaey, kyun k agar zindagi nay is raaz ka khulasa bar bar humaray janay k bad us kay samnay kiyà toh har bar uska zakham taza hoga, isliay hum chahtay hain k humari yaad usay Kay Honton par muskan laen na k aansoo...

Roshini: mei nahi janti thi Anubhav Singh bhi kisi say kabhi itni shiddat say pyar karay ga. Mujhe toh lagta tha k yeh lafz pyar tumharay liay bana hi nahi hai Anubhav.

AS: yeh hum doston ka secret hum dono tak hi rehna chaheay promise.

Roshini: promise.

***************

Ammi: haseena tu yahan kiyà kar rhi hai.

HM: Ammi hum Mr silent 🔕 ka suitcase pack kar rhy hain, aaj woh apnay ghar janay wala hai na, ab toh mission bhi complete ho gaya hai toh us kay yahan ruknay ki wajah bhi nahi banti koi.

Ammi: haseena isay chor yahan deekh humari taraf or bata baat kiyà hai?

HM: Ammi kuch bhi toh nahi hai ap ko aaisa kyun lag rha hai.

Ammi: tu Anubhav ko chahnay lagi hai na sach bata , deekh tu hum say jhoot nahi bol sakti maa hain hum tumhari hum sab jantay hain.

HM: ha Ammi par is say kiyà farq parta hai Ammi, usay toh kuch yad bhi nahi hai.

Ammi: tu nay usay bataya ?

HM: ha Ammi ek bar jab woh hosh mei nahi tha...

Ammi: haseena jeeti raho beta hamesha khush raho, Allah tumhain sari Khushiyan day

HM: aameen.

Ammi: ek baat batao kiya tum us kay bina reh Pao gi...

HM: pata nahi Ammi humain uski aadat ho gae hai or thora waqt toh lagay ga na sab kuch dobara routine mei aanay mei.

Ammi: tu janti hai iska anjam kiyà hoga phir tu us say pyar karti hai.

HM: Ammi hum nay us say pyar karnay say pehlay uski ijazat thori na li thi, or Kahan Ammi dil par kab kisi ka zor chala hai, woh toh pata nahi kab kis kay liey dharaknay lagay aaj tak Kaun jan paya hai. Hum nay baygharz mohabat ki hai us say. Humain badlay mei kuch nahi chaheay Anubhav Say.

Ammi: shabbash beta acha hai teri mohabat bay gharz hai kyun k jis mohabat mei gharz aa jaey woh mohabat mohabat kehlanay k qabil nahi hoti.
Tu janti hai uska or tera milna mumkin nahi hai phir tu.

HM: ha phir bhi hum us say buhat pyar kartay hain or aakhiri sans tak Karen gay, Ammi ko Chahtay rehna gunnah toh nahi hai na?

Ammi: nahi meri bachi mohabat gunah nahi hai, ha woh mohabat gunah zaroor hai Jo tumhain Allah say dour kar day.

HM: Ammi hum kisi say shadi nahi Karna chahtay please ap humain kisi say shadi karnay par force nahi kijeay ga, kyun k ab yeh mohabat hum say dobara nahi hogi kisi ki khushiyan chenay ka haq humain nahi hai.

Ammi: theek hai beta jaisi teri marzi.

HM: Ammi apko pata hai hum nay apni shadi k bad Kay kitnay khawab dekhay thy par shaid koi pora nahi ho paey ga.

Ammi: bata teri sapnay kiyà thy.

HM: Ammi humain sachay desh ki Seva karnay walay log buhat pasand hain isliay hum nay socha tha k hum usi say shadi karen gay Jisay hum say zayda desh say prem ho, jis mei humain humaray Abu ki parchai dikhay, or humain us say kuch nahi chaheay hum itnay mazboot hain k kisi mard Kay saharay k bina zamanay ka dar Kay muqabala karen, Ammi hum nay socha tha Kay humara ek ya us say zayda betay ya betiyan hun toh hum sab ko apnay desh par qurban karnay say pechay nahi hatain gay. Par shaid yeh sapna sapna hi reh jaey ga.

Ammi: kab Kaun sa haqeeqat ka roop dhar lay yeh koi nahi keh sakta, chal hum neechay ja rhy hain Anubhav Kay liey us Kay maan pasand khana bananay.

HM: Ammi bus hum bhi yeh pack kar Kay aatay hain apki help karnay.

Ammi: theek hai jaldi aana par.

Here Ammi exit from his room and found Anubhav stands there

Ammi: Anubhav beta tum yahan kiyà kar rhy ho.

AS: Ammi ap haseena ki na samjhi mei uska Sath Kaisay day sakti hain apko kisi bhi tarha usay move on karnay liey manana hoga.

Ammi: beta yeh uski zindagi hai faisala bhi usi ka hona chaheay, agar woh apnay pyar ki yadon k Saharay khushi khushi zindagi jeena chahti hai toh hum us par zabardasti nahi kar saktay.

AS: par Ammi aaisay toh uski pori life tabah ho jaey gi, hum usay aaisay nahi deekh saktay hain.

Ammi: apnay Abu ki tarha woh strong hai usay kuch nahi hoga Anubhav tum uski fikar na karo.

AS: ji Ammi, hum kiyà us say mil saktay hain.

Ammi: ha kyun nahi?

He enters in the room.

AS: kiyà hua buhat khush lag rhi ho lagta hai tumhain buhat jaldi hai humain yahan say bhagnay ki.

HM: ha aur nahi toh kiyà mission complete ho gaya hai ab ghar jao apnay.

AS: acha sach mei jaen hum.

HM: toh hum kiya mazaq kar rhy hain.

He holds her by her shoulders and says: yahan dekho humari taraf.

HM: choro humain humain buhat Kam hai.

AS: hum keh rhy hain na humari ankhon mei dekho or batao baat Kiya hai? Dekho hum sab jantay hain phir bhi tum say sunnah Chahtay hain.

HM: koi baat nahi hai.

AS: jhoot mat bolo haseena, jab bhi tum pareshan hoti thi ya jab bhi tumhain koi uljhan satati thi tum humaray pass hi aaya karti thi na or hum say sari batein Kar k apnay dil ka boojh halka kar diya karti thi phir aaj kyun dar rhi ho humain batanay say bolo, hum sab jantay hain haseena us pal tumhara dard tumhari takleef nahi bant paey, sirf suntay thy par kuch keh nahi patay thy par aaj hum tumhari sari batein na sirf sunain gay balkay uska jawab bhi dyn gay hum.

HM: tum sab sun saktay thy mr silent 🔕.

AS: ha hum sab sun saktay thy kyun k hum Mr silent or Mr dumb zaroor thy Mr deaf nahi.

HM: humain janay do humain dyar ho rhi hai ( ya Allah hum ab iska samna kaisay Karen isay toh sab pata hai)

AS: theek hai jao hum toh bus tumhain yeh batanay aaey thy Kay sir nay tumhari buhat tareef ki thi tumhara is mission ko successful karnay mei buhat ihem part hai he proud of you or ha sir nay humain ek naya mission aloat kiyà hai, toh hum kal ja rhy hain shaid wapis aanay mei 6 mahinay bhi lag jaen ya 6 saal bhi ya kabhi hum wapis aaen hi na, agar hum wapis na aaen toh humari maa humara matlab hai hum dono ki maa ka khayal rakhna or apna bhi.. or jab hum wapis aaen toh tumhain hum tumharay susaral mei tumharay pati k Sath khush dekhna chahtay hain.

HM: dekho tum humain order nahi day saktay ho.

AS: order nahi ek buhat hi khas dost ki request hai agar pori kar do toh us say zayda koi khush nahi hoga.

HM: theek hai toh phir wada rha, agli bar jab tum aao gay toh humain apnay susaral mei apnay pati k Sath khush dekho gay.

AS: yeh hui na baat, hum ja rhy hain galay nahi milo gi, he spreads his hand, she runs and hugged him tightly, they are remains in same position for ten minutes after that he breaks the hug and kissed on her forehead. Khayal rakhna.

HM: zaroor.

************

After 18 months:

Maa: aray Anu tu aa gaya kaisa hai humara bacha.

AS: maa hum theek hai or ap kaisi hain , tabiyat kaisi hai apki.

Maa: hum toh bilkul hi theek hai jis ki haseena jaisi beti ho bhala usay kiyà ho sakta hai.

AS: toh haseena yahan aati rehti thi?

Maa: ha woh aksar aati hai. Buhat khayal rakhti hai humara. Chal thora aram kar lay hum tere liay khana banatay hain woh sab kuch Jo tujhe pasand hai.

AS: theek hai maa hum fresh ho Kay thora aram Karna chahtay hain.

Maa: theek hai ja.

AS: maa raat k bhojan par milain gay.

He directly goes to haseena's home without informing maa.

AS( pov): pata nahi haseena kaisi hogi, us nay apni life mei move on kiyà bhi hoga ta nahi. Hum nay itnay mahinon tak na janay khud ko us say milnay say kaisay roka hai pata nahi, par ghar loatnay k bad ek lamhay ka bhi intezar nahi ho rha bus yeh safar jaldi katay or hum usay deekh paen, ha hum bus dour say hi usay ek nazar deekh aaen gay.

He is talking himself during driving. Finally he reaches her house and opens the door with spare key 🗝️ and rushed upstairs. She is sitting in her bed and talking someone's picture 🖼️.

" Tumhain kiyà laga tha pati dev hum tumhain bhool jaen gay nahi hum tumhain itnay dino mei ek lamhay k liey nahi bhoolay hain, tum Kal bhi humari zindagi ka hissa thy or aaj bhi ho, hum chah Kay bhi tumhain khud say alag nahi Kar saktay hain I love you 💕"

He becomes happy after seeing her happy and also feel grateful after hearing word pati dev he thought that she move on. But Ammi puts her hand on his shoulder and he comes back in reality.

Ammi: Anubhav tum kab aaey mission say wapis kaisay ho tum.

AS: ssshhh Ammi shant haseena ko pata nahi chalna chaheay k hum yahan hain hum kal parso us say dobara milnay aaen gay abhi toh bus usay ek nazar dekhnay aaey hain.

Ammi: tum pyar kartay ho na haseena say?

AS: ap kaisay janti hain Ammi.

Ammi: humain sab pata hai woh bhi aaj tak tumhara intezar Kar rhi hai usay bata kyun nahi daytay. Khatam kar do uska intezar.

AS: nahi Ammi woh shaid isi intezar mei khush hai, kahen aaisa na ho Kay hum kisi mission say wapis hi na aaen toh, atleast kabhi toh woh is intezar Ko khatam kar Kay apni zindagi mei aagay barhay gi, Ammi har pyar ka anjam shadi nahi hoti kuch pyar yun hi reh jata hai.

Ammi: beta soch lo abhi bhi waqt hai keh do usay Kay tum bhi us say pyar kartay ho.

AS: nahi Ammi hum usay pal pal intezar ki maut nahi dayna chahtay or agar aaisay hi khush hai toh hum bhi khush hain, or is khushi say barh k humaray liey kuch nahi.

Ammi: Anubhav tum jantay ho haseena nay hum say pocha tha k Ammi kiyà pyar gunah hai. Hum nay Kaha tha pyar gunah nahi hai, beta tum nay bhi koi gunah nahi Kiya hai, hum jantay hain tum haseena ki Khushi chahtay ho Jo Kay tumharay Sath hai, dekho Anubhav hum Tum say itna hi kehna chahtay hain maut barhaq hai har kisi ko aani hai us k dar say hum khushiyun say mun moar lyn yeh Sahi baat nahi hai, Chalo ek baat batao haseena ki shadi maan lo kisi aur say ho gae or agar uski kisi accident mei death ho gae toh uski khushiyun ka kiyà hoga, beta zindagi Khushi khushi Jeenay ka sab ko haq hai tumhain bhi or Haseena ko bhi, tum jitni jaldi yeh samjh jao utna acha hoga, zindagi bhar ka gham shaid taqdeer mei likha ho jisay koi badal nahi sakta par ha tum usay kuch pal ki khushiyan toh day saktay ho na, kyun us kay Sath Sath khud ko saza day rhy ho... Tumhain aaj nahi do char saal mei yeh baat samjh aa jaey gi.

AS: Ammi hum isay baray mei sochain gay abhi chaltay hain.

Ammi: theek hai.. jaldi aaisa na ho k dyar ho jaey.

AS: ji

****************

The end

Thank you for your great response

Continue Reading

You'll Also Like

22.5K 3.6K 39
Sidharth shukla Shehnaaz gill Sidnaaz Love ❀story's sort
147K 6.9K 48
" #1 Ranking - truelove " (7/4/2023) After talent hunt compitition Nandini was blamed by Dhruv and Alya for the separate of FAB 5. Where as the truth...
530K 53.5K 128
This is a series of OS, on different events. Some imaginary and some related to real incident. Hope u will enjoy it :)
11.5K 945 25
aur kya haal hai description mein kya hai story padho 😎 Cover credits :- @ideahub