The Chatbox (On HOLD)

By Being101Indian

5.6K 503 454

[ON HOLD] Kavin Khanna, a young cop turned businessman attempts suicide. His life changes then after.. How? T... More

Introduction to the Story and Character Sketch
Purvi...
@Anonymous123
Memories #1
Guilt..
DCP- Kavin fight
Meeting Purvi again
Memories #3
Shruti (Purvi) Hemraj
We bond over texts
Memories #4
Memories #5
Memories #6
Memories #7
Memories #8
Memories #9
Memories #10

Memories #2

272 30 18
By Being101Indian

And he is about to cut his wrist, but stops as his phone vibrates. Irritated, he picks up his phone to see texts from @Anonymus123.

@A1 – Hi!

-🙋🙋

-All good?

🤨🤔

-Kal ka din kaisa tha?🤔

-Aur shaam?

-😉😁

-Acchah sorry.

- Tumhe pata hai? Kal maine chaat khayi. Maza aaya. 😋

- Kiske saath wo nahi bata sakta.

-(Utni privacy to hai meri)😜😉

- Par maza aaya.

-😋😋

- Oye Kavin! 🙄

- So gaye? Uthe nahi? 🤔

- Aisa kyu? 🤔🤔

- Uth jaa mere bhai!

- 🙏🙏

- Hello?

- 🙄🤨😕

- Hi??

-🤨🤨

- Mic check...1.2.3.

-🎤🎤

- Sshhshhh?🙋

- Humse baat karne ka iraada nahi hai kya?

-🤔🤨☹☹

Kavin throws his blade. Drinks some water. Cools down. Looks the clock. 04:04 a.m.

@K1Bhai...ek minute bhi chain nahi hai?

@A1- Ab tumne time deadline di hai. 2 minute ki. Nahi dete to shaanti se baat karta.

- Mere paas waqt ek mahine se jyaada nahi hai. Aur time kisi ke liye nahi rukta.

- Tumne waqt kam diya hai to waqt ke paaband to raho?

- Hein? 😡🤬

@K1 I am sorry.🙏☹

@A1It's okay.😄. Tune emoji use kara yahi badi baat hai.

- Waise aaj itna late?

@K1- Ha wo...thodi tabiyat theek nhi thi.

@A1 OMG! All gd na? 😲😲🙄

@K1 Ermm...yeah..

@A1 Nahi....jhooth bol rhe ho.

@K1Are yrr..sch..jhth kyu bolu?

@A1Waise ye baat bhi hai.

- Par mera tjhpe blkl bharosa nahi.

@K1- Tu to bda funny hai by god! 🤣

@A1 Ha chl..ab mera mazaak mt uda...🤣🤣

- Aur bata kya chl rha hai?

- (Plz Fogg mt kehna)

- Kaisa hai?

@K1- Theek hi hu.

@A1Theek kyu? Badhiya kyu nahi?

@K1 Aise hi.

@A1Accha baba. Jab mjhpe trust ho tb batana.

@K1 Hm...

- Waise ek baat batau?

@A1- 2 bata

@K1 - 😂.

- 2 dino se tujhse baat krke accha lg rha hai.

- Iska mtlb ye nhi hai ki mai meri saari personal info tere saath share karu

- Par sachme...

- Kaafi dino baad aisa laga ki kisi dost se baat kar raha hu.

- Mera ek dost tha. Same name. Dushyant.

- Uski 6 saal pehle death ho gyi.

- Tbse akela mehsoos kr rha tha.

- Teri wajah se aisa lga ki mera Dushu mujhe mil gya

- Ek sacchi baat.

- Mai abhi suicide krne jaaa rha tha.

- Aisa nahi hai ki ye pehla suicide attempt hai.

- Dusra tha.

- Aur shayad aakhri.

- Lekin mera Dushu abhi jinda hota na, to wo mujhe bacha leta. Jaise abhi tune bachaya.

- Itneeee msgs krke.

- Thank you. 🙏

- Dushyant?

@A1 Saale emotional kar diya itni saari baatein batake

😭😭😭😭😭😭

- Mjhe pta nahi tha tu aisa kuch paagalpn kr rha hai.

- Saamne hota na to muh tod deta tera.

- Tujhe kisi baat ki pareshaani ho

- Mujhse share kr.

- 4 ke 4 baje msg krne ki jarurat nahi hai

- Jab man halka hona chahe text kr diya kr

- Mai pdh lunga 😊

- Okay?

@K1 Okay.... 😊

- Accha chl. Mera dost jaag gya hai.

- Kl baat krenge

- Bye

@A1 Bye

- Take care

@K1 Haa tu bhi

- Aur Thank you once again 😊

@A1Most welcome 😊

- Aur khayal rakhiyo

- Mai hu tere saath

@K1 Haa...bye.

@A1 Bye..

Kavin was smiling as Pankaj gave him the coffee cup.

Pankaj – Sir kaafi khush lag rhe ho? Kal chadhayi bhi nahi. Party acchi thi na?

Kavin – Ha. Khush to hu mai golu.

Pankaj – Sir aapne kitne dino baad mujhe golu kaha

Kavin laughs – Ha mere golu. Accha chal. Ready hote hai.

Pankaj – Chaliye sir.

After they got ready, Kavin did the Pooja.

Kavin bowed in front of gods.

Kavin pov: Bhagwan...thank you. Dushyant ko bhejne ke liye.

Pankaj seeing Kavin's happy mood, speaks

Pankaj – Sir, hum Shruti ma'am ka kamra rent pe Chadha de?

Kavin – Kyu?

Pankaj – Sir...wo kamra kitne dino se khali pada hai. Aur aapne waise bhi ye ghar lete waqt kaha tha na ki koi na koi to uss kamre me rahega. Naye log dekhke aapko bhi thoda accha feel hoga.

Kavin – Ye idea tera nahi hai, haina golu?

Pankaj – Ab sir aap samjhdaar to ho.

Kavin sighs – Shreya.....ye nahi sudhregi. Thik hai. Kal paper me ad de de.

LET'S GET 8 YEARS BACK AGAIN...

Dushyant ran behind Kavin. They came out of his cabin. DCP had also came with Salunkhe and Tarika.

Dr.Salunkhe – Ye dono naye OFFICERS hai boss?

ACP – Salunkhe....

Dr. Salunkhe – Hello.

Kavin met Dr.Salunkhe. – Inspector Kavin Khanna.

Dr.Salunkhe – I am Dr.Salunkhe.

Kavin – Nice to meet you sir.

Kavin met Dr.Tarika.

Kavin shook hands with DCP.

DCP (with attitude)– I am DCP Chitrole.

Kavin – Haa sir...wo to dikh hi raha hai.

DCP – Kaise?

Kavin – Arre sir.... Safed baal. Chehre par jhurriya.

DCP – Hein? Senior ki insult.

Everyone bits their lower lip to hide their laughs.

Kavin – Arree...Are sir. Insult kaha? Ye sab cheeze to aapka experience dikhati hai.

DCP – Baatein bana lete ho. Dekho jyada hoshiyaari ki to suspend kar dunga.

Kavin – Sorry sir

Dushyant too, meets DCP, Tarika and Dr.Salunkhe.

After sometime, DCP (to evryone's happiness) Leaves. He takes ACP Pradyuman, Abhijeet and Daya with him.

The forensic expert duo is about to leave that..

Kavin – Tarika, hum pehle kabhi mil chuke hai?

Dushyant gives out a deeeeeeep sigh of *ye nahi sudhrega* and leaves.

Tarika – Shreya ko bhi tumne kuch aisa hi bola tha na? Kuch naya try karo Kavin. New.

Kavin laughs. – Aap jyada baat nahi karti Tarika.

Pankaj – Inhe jyada baat karne ki jarurat nahi hoti. Inhe koi kuch bhi kahe to Abhijeet sir ka gussa jo sehna padta hai.

Kavin – Sachme? Kyu?

Pankaj – Are kyu kya sir.

Pankaj is about to say something that Shreya interrupts.

Shreya – Sir...ye aise hi chidhate rehta hai. Aap dhyan mat dijiye.

Kavin smiles – Okay..Waise Dushu..are Ye Dushyant kaha chal diya?

Shreya – Sir wo to DCP sir, Salunkhe sir aur Tarika se milke cabin me chale gaye.

Kavin – Ajeeb banda hai.

The bureau phone rings. Divya picks it up. A case is reported. The team gets busy in solving the case.

Few days pass like this. Dushyant comes to bureau, does the work, solves cases, eats and goes back home. He has become friends with everyone, but seldom talks. On the other hand, Kavin only talks instead of working.

One day,

Kavin – Tu humesha kaam karte rehta hai? Kyu?

Dushyant – Tu humesha timepass karte rehta hai? Kyu?

Kavin laughs – Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha ki tu ek backbencher tha. Aur rahi baat mere kaam na karne ki...mujhe koi kaam deta hi nahi. Sab kehte hai ki tu naya join hua hai.

Dushyant – To galat kya kehte hai?

Kavin – Ha to mere kaam na karne par taunts to mat maar

Dushyant – Taunts kaha maare maine? Sacchayi bata raha tha.

Kavin – Accha thik hai. Tu 3 saal se CID me haina?

Dushyant – Haa. Pehle 1.5 saal Delhi, phir 1.5 saal Banglore aur ab Mumbai.

Kavin – Niccce! Hey! Aaj party kare?

Dushyant – Mujhe waqt nahi hai.

Kavin – Kyu? Akela hi to hai tu. Chalna..

Dushyant's face falls – Akela hu. Lekin mujhe kaam hai. Please jaa ab yahase.

Kavin – I am sorry. Mai kuch galat bol gaya. Mera wo matlab..

Dushyant – Please jayega? Mujhe kaam hai.

Kavin leaves Dushyant's cabin. He sees Abhijeet.

Kavin – Hello Abhijeet sir. Thik to ho?

Abhijeet – Huuh? Um..ha. (Looking at Daya) Boss mai jara canteen hokar aata hu.

Daya – Kyu?

Abhijeet – Bass thoda thik nahi lag raha.

Daya shrugs – Thik hai. Mai chalu?

Abhijeet – Are nahi. Tum kaam chalu rakho.

Daya – Hm..Khayal rakhna.

Abhijeet – Haa..

Abhijeet leaves for the canteen. Daya is confused as well as tensed for Abhijeet.

Kavin – Daya sir..kaho to mai pata lagau Abhijeet sir tension me kyu hai?

Daya – Are uska gussa tumhe pata nahi hai. Use pata chala maine tumhe bheja hai to...

Kavin – Are unhe nahi pata chalega.

Daya – Pakka?

Kavin – Bharosa rakhiye.

Kavin leaves behind Abhijeet.

In the canteen.

Abhijeet is sitting on the chair nervously. Someone comes from the other side. Kavin is surprised to see Dr.Tarika there.

Tarika – Abhijeet, kya hua? Tumne mujhe aise kyu bulaya?

Abhijeet – Are ww....wo Tarika ji

Tarika – Tum itne ghabraye hue kyu lag rahe ho?

Abhijeet – Tarika ji wo..maine suna hai Salunkhe sir ne aapki shaadi ki baat aapke gharwaalo se ki hai.

Tarika – Ha Abhijeet. Lekin tumhe isme itni problem kyu?

Abhijeet – Nahi..problem nahi. Wo, aap shaadi karna chahti hai kya?

Tarika – Shaadi to mai karna chahti hu Abhijeet.

Tarika pov: Lekin sirf tumse. Kisi aur se nahi

Abhijeet – Sachme?

Tarika – Ha. Kyu?

Abhijeet – Nahi wo..Kuch nahi. Mujhe pata hai aapko jo ladka milega accha milega.

Tarika's eyes become moist – Haa..accha hi milega. To mai chalu?

Abhijeet – A...ji.

Tarika leaves. Abhijeet is also too much sad. Kavin is peeping from the canteen window that someone pats him.

Kavin is scared for a moment. He turns back and sees Shreya.

He gives out a sigh of relief. Shreya gestures him *kya hai?*

Kavin gestures *kuch nahi*

Shreya peeps from where Kavin was peeping and sees a sad Abhijeet. She is about to go inside that Kavin holds her by arm and pulls her towards bureau.

Shreya – Sir..waha Abhijeet sir aisi haalat me aur aap mujhe kheech ke kyu?...

Kavin – Shreya ji shaant rahiye. Aapko sab samajh jayega abhi mere saath chaliye sirf.

Shreya nods. Without anyone noticing, Kavin gestures Daya to follow him. Daya, making some excuse gets out of the bureau.

In the parking area.

Kavin – Daya sir, Abhijeet sir ki chinta ka karan pyaar hai.

Daya – Pyaar?

Kavin – Haa. Abhijeet sir canteen me Dr.Tarika se milne gaye the. Salunkhe sir ne shayad Dr.Tarika ke gharwalo se unke shaadi ki baat ki hai. Aur Dr.Tarika ke gharwalo ne unke liye ladka dekhna shuru kar diya hai.

Shreya – Ha..Tarika ne bataya ki uske liye 1-2 rishte aaye bhi the.

Daya – Accha? To..?

Kavin – To..Abhijeet sir nahi chahte ki Dr.Tarika ki kisi aur se shaadi ho.

Shreya – To problem kya hai? Abhijeet sir aur Tarika ke baare me sabko pata hai, Abhijeet sir Tarika ko shaadi ke liye puch kyu nahi lete?

Daya (answering impulsively) – Itna aasan nahi hota Shreya. Hum jisse pyaar karte hai use apni jindagi me ek alag rishte se jodna itna aasan nahi hota.

Shreya – Lekin sir...aasan nahi hota ye kehkar hum baat chod bhi nahi sakte na?

Daya – Ha chod nahi sakte. Lekin himmat to milni chahiye.

Shreya – Himmat milte milte kahi der na ho jaaye. Waqt nikal jaane ke baad baat karna galat hota hai.

Kavin was looking at Dareya turn by turn. He felt something seeing their fight. But, it was not the time to focus on Dareya.

Kavin – 1.....1 minute. Aap dono kyu jhagad rahe hai?

Dareya stop their discussion.

Dareya – Sorry.

Kavin – Hm..accha Daya sir. Abhijeet sir himmat na hone ki wajah se Dr.Tarika se baat nahi kar rahe hai kya?

Daya – Ha wo baat to hai Kavin. Usme bolne ki himmat to nahi hai. Aur ek baat ye bhi hai ki wo abhi bhi shaadi ke liye taiyyar nahi hai.

Kavin – I see...

Shreya – Aur sir. Tarika bhi Abhijeet sir se pyaar karti hai. Lekin use ye samajh nahi aa raha ki Abhijeet sir se iss baare me baat kaise kare. Kabhi lagta hai ki sir serious hai iss rishte ko lekar aur jab baat jubaan tak aa jati hai to achanak anjaan lagne lagte hai.

Kavin – Hmm..interesting. In love birds ko milane ka koi tikdum lagana padega.

Shreya – Kaisa tikdum sir?

Kavin – Wahi sochna hai. Dekhte hai. Lekin abhi..koi Abhijeet sir ko kuch nahi bataega. Aur nahi Tarika ko. Ye baat sirf hum teeno ke beech hi rahegi. (Forwarding his hand) Deal?

Dareya keep their hands on Kavin's hand.

Dareya – Deal.

Kavin smiles.

Shreya – Waise Kavin sir...aap deal wagera words kaafi use karte ho. Aapke pitaji businessman hai kya?

Kavin is little disturbed for a moment. He composes himself and smiles – Are nahi. Aisi koi baat nahi hai.

Shreya nods. Daya gets a call so he excuses himself for a moment.

Shreya looks at him.

Kavin notices this and asks Shreya – Waise...aap dono saath me kaafi acche lagte ho.

Shreya blushes and realizes what Kavin just said.

Shreya – Nahi...Nahi sir aisi koi baat nahi hai.

Daya – Kaisi baat nahi hai Shreya?

Kavin – Are sir wo mai Shreya ji se keh raha tha ki...

Daya interrupts Kavin as the trio sees Dushyant leaving.

Daya – Are Dushyant! Kaha chale?

Dushyant – Sir wo ghar jaa raha tha.

Daya – Kyu? Sab thik haina?

Dushyant – Ha..sab thik hai. Bass kaam khatm ho gaya aur koi case bhi nahi aayi. Mere work hours bhi khatam ho gaye hai to..

Daya – Accha thik hai. Bye.

Dushyant – Bye sir. Bye Shreya.

Shreya – Bye sir.

Kavin – Ba..

But Dushyant ignores him and starts the car. The trio are going inside the bureau. Daya goes inside first while Kavin and Shreya are going inside from the back door, from where they came in parking area. Shreya sees a sad Kavin.

Shreya – Waise Dushyant sir man ke bure nahi hai.

Kavin smiles – Haa. Mai hi gadha hu. Mujhe use aisa bolna hi chahiye tha.

Shreya – Hm. To ab galti ki sudhar lo.

Kavin – (excited) Absolutely! (composing himself) Um. Ha..jaroor. sudharunga.

Shreya laughs.

Kavin joins her – Tu bhi na yarr..

Shreya – Yaarr?

Kavin – Ha ab meri naarazgi ki wajah samajh gayi tum. To yaar.

Shreya grins.

Kavin – Waise ab hum yaar hai...to tum mujhe off-duty sir na bulao to chalega.

Shreya – Itni jaldi mujhpe bharosa bhi kar liya?

Kavin – Kaafi saalo baad itni jaldi bharosa kar paaya.

Shreya – Ye bharosa tutne nahi dugi.

Kavin smiles. 


Continue Reading

You'll Also Like

264K 13.1K 37
Peep in to know more IPKKND story Starts after suicide attempt of khushi This is my first work so kindly over see my mistakes. Hope reader would lik...
3K 298 11
A NEW KAVI
12.6K 1K 34
A new kavi story
32.6K 1.7K 52
(IK starting mein bilkul bakwaas hai.. but I hope I improved it now!!) Hey this is my 1st story of #kavi ..... I am not good and experienced writer...