The Chatbox (On HOLD)

De Being101Indian

5.6K 503 454

[ON HOLD] Kavin Khanna, a young cop turned businessman attempts suicide. His life changes then after.. How? T... Mais

Introduction to the Story and Character Sketch
@Anonymous123
Memories #1
Guilt..
Memories #2
DCP- Kavin fight
Meeting Purvi again
Memories #3
Shruti (Purvi) Hemraj
We bond over texts
Memories #4
Memories #5
Memories #6
Memories #7
Memories #8
Memories #9
Memories #10

Purvi...

588 43 15
De Being101Indian

So here goes the first chapter of #ChatBox

___________________________________________________

He was crying as he wrote those words. He never thought his life would change like this. He was all alone. His love, his sister had left him. He broke all ties with his friend. He was all alone. In real sense alone. He completed the note. He checked if the door was locked or not. He climbed the stool on the bed. Closed his eyes. Wrapped the dupatta tied to ceiling fan around his neck. Kicked the stool and let his life slip away slowly...............

Six years later.

 He checked the locked door. Took out his shaving blade. And in one go, cut his wrist. Blood kept oozing out from his wrist. And tears kept flowing out of his eyes as he waited for his life to slip away.

The boy opened his eyes. He saw a rush in front of him. Many people in white clothes were running in front him. He rubbed eyes. Only to be disappointed that he is alive. And safe in the hospital.

'Kaisa lag raha hai maut ke muh se bachkar?' A voice came from back.

He turned around and saw a girl. About average height. Normal Indian complexion. She wore spectacles. Just to show the seriousness in her childlike eyes.

The boy– Bohot bura

The girl laughed. Her dimples attracted his eyes.

The boy – Aapki smile kafi acchi hai. I Like dimples.

The girl smiled – Thanks. Kavin right?

Kavin nodded.

The girl – I am Purvi. Psychotherapist.

Kavin (sternly)– I am mentally stable.

Purvi (with equal sternness in her voice) – You are not. Attempt to suicide is a sign of mental instability. Apne paas hone wali sabse kimti cheez ko yu daav pe lagana is madness.

Kavin looked other side.

Purvi – Accha wo chodo. Agli baar ka suicide attempt 300 ft ki chhat se karna. Ya phir blade thodi sharp lena. Kya hai..fatak se life over. Tapakne me aasani hogi.

Kavin – Mujhe to tum paagal dikhti ho.

Purvi laughs – Ha wo to mai hu. 

Kavin shook his head.

Kavin – Will you please leave me alone?

Purvi – Itni jaldi chutkara waise to nahi hai. Par mujhe thodi bhuk lagi hai. Kuch nigal ke aati hu. Phir dher saari baatein karenge. Kya bolta hai bantai?

Kavin sighed. Purvi left the place.

Purvi saw a man standing outside.

Purvi – Lagta hai aap Pankaj ho?

Pankaj turned around.

Pankaj – Ha.

Purvi – To aapne hi Kavin ji ko yaha laya hai?

Pankaj – Hm. Sir se file leni thi. Sir na to phone utha rahe the aur na hi Darwaja khol rahe the. Unke ghar ki ek spare key mere paas hai. Phir room ka bhi Darwaja lock dikha. To mai Darwaja tod ke gaya. Aur sir ko aise dekhke jo sabse pehle sujha wo kiya. Sir thik hai na?

Purvi nods. – Waise lagta hai aapne bhi kal raat se kuch nahi khaya.

Pankaj – Ha..Aise to mai humesha khata rehta hu

Purvi – Ha wo dikh hi raha hai

Pankaj laughs a bit.

Purvi – To...chalo. Kuch kha lete hai. Aur mujhe apne Kavin sir ke baareme bhi sunana.

Both go in a nearby café. And order something to eat. While eating.

Pankaj – Sir Khanna group of Industries ke iklaute waaris hai. Unki Mom to unke bachpan me hi chal basi thi. 3 saal pehle unke Dad ki bhi death ho gayi. Tabse unhone unke dad ka business takeover kiya. Usse pehle 5 saal wo CID ke Senior Inspector reh chuke hai.

Purvi looks at Pankaj.

Pankaj – Kya hua?

Purvi – Kuch nahi. Aage?

Pankaj – Ha. Usse pehle wo CID me senior inspector reh chuke hai. Unke business ki wajah se unhone CID chod di.

Purvi – Oh...aur kuch personal problems thi unki life me?

Pankaj – Personal problems to nahi thi. Ha par unke Dad ki death ka sadma unhe laga tha. Aur CID me unke ek khaas dost bane the. Dushyant sir. Jinki kuch saal pehle death hui hai. Aur ek baat hai. Abhi pichle mahine unki girlfriend ka murder hua tha. Jiski jaanch CID hi kar rahi hai. Aur usi case ke silsile me ek file lene mai kal unke ghar gaya tha.

Purvi is listening everything patiently.

Purvi – Unke ghar me aur kaun rehta hai?

Pankaj – Pehle to kafi naukar chaakar the. Phir unhone ek saal pehle unka ghar bech diya. Aur ek flat me reh rahe hai ab. Ab waha wo akele hi hote hai. Unki girlfriend ki death ke baad to sahi mayne me akele pad gaye hai wo.

Purvi – Aur business ka kya scene hai? Accha chal raha hai? Koi internal dushman wagera jo unhe torcher kiya jaa rahe ho? Ya phir bohot loss ho raha ho?

Pankaj – Internal dushman to hai. Kyuki unki girlfriend ka murder hua hai. Wo usi company me  thi. Lekin Kavin sir ex-CID officer hone ki wajah se unka kafi khauf hai unki company me. Aur Kavin sir bhi apne Dad ki tarah hi business chalate hai. To company grow to kar rahi thi. Par jaha tak mujhe yaad hai, Sir ko unke dad ke business me jyada interest nahi tha. Unke liye pehle CID thi. Par ab wo bhi ye business wagera enjoy karte hai kafi.

Purvi – Aur sir insaan kaise hai? Unka swabhav, aadate?

Pankaj – Insaan to acche hai. Bohot khadoos banne ki koshish karte hai. Par sabke liye care hoti hai man me. Flirt the wo. Lekin Shruti mili aur unka flirt karna band ho gaya. 

Purvi – Oh...flirt wagera huh..

Pankaj – Bass flirt hi wagera nahi. Aur abhi ek mahine pehle se sharaab ki aadat lag gayi. Warna Kavin sir nahi peete the.

Purvi - Shruti ko kabse jaante hai wo? 

Pankaj - 3 mahine pehle unhe wo mili thi. Tabse. 

Purvi – Ohh... Waise Kavin social media pe active hai?

Pankaj – Itne nahi. Par hai. Har raat jab peeke talli ho jaate hai tab kai baar online dikhte hai. Warna itna nahi. 10-15 minute din me.

Purvi – Hm Hm...nice... Thik hai. Kuch aur puchna hoga to mai aapse jaroor contact karungi. Chalte hai ab.

Pankaj – Ji team ko bhi maine inform kar diya hai. Aati hi hogi. Waise aapne nahi bataya aapke ghar pe kaun hota hai?

Purvi – Nahi mai akeli rehti hu. Mom Dad koi nahi hai.

Pankaj – Oh.... Chale?

Purvi – Ji. Bill please.

Both pay their bills and leave the café.

In the hospital, whole CID team is present. Nikhil, Divya, Pankaj, Shreya, Daya, Abhijeet, ACP, Freddy, Tarika and Salunke.

Abhijeet – Kya kar rahe the Kavin? Kuch ho jaata to? Paagal ho?

Kavin smiles – Sorry Sir. Par pata nahi kaise himmat ho gayi.

Daya – Kal raat phir se chadhayi thi.

Kavin (looking down)– Hmm

Daya sighs. – Kyu karte ho yrr aisa? Shruti ka case hum dekh rahe hai na?

Kavin – I know sir. Par..

ACP – Kya par? Kuch na kuch karke apni life khatm krni hi hai. Ya to ye suicide attempt ya phir sharaab hai hi jaan lene ke liye. Haina?

Kavin – Sorry sir. Aage se control karunga. Waise Pankaj. Wo psychotherapist kaha hai?

Pankaj – Kaun sir?

Kavin – Are ek thi na yaha. Chashma pehna hua tha. Dimples the. Yellow kurta tha.

Pankaj – Oh wo...wo yaha pe doctor hai? Usne interrogation to ek police officer ki tarah ki.

Freddy – Interrogation?

Pankaj – Ha Kavin sir ki history janne aai thi. Mujhe laga Kavin sir ka case handle kar rahi hai.

Kavin – Kya?? Aur tumne bina uski information liye use meri information di?

Pankaj looks down. – Ha sir.

Daya – Kya? Pankaj tum aisi galti kaise kar sakte ho?

Pankaj – Sorry sir. Wo paas wale ek café me mujhe khaane ke liye lekar gayi. To maine...

Abhijeet – Bina uska aaga peecha jaane uske saath khaane chale gaye. Are buddhu usne tere khaane me zeher milaya ho to?

Pankaj gulps – Kya? Z..Z..Zeher? Salunke sir...please mujhe bacha lijiye. Mai marna nahi chahta. Please, mujhe bacha lijiye. Mai itni jaldi nahi marna chahta.

Salunke – Are usne kaha milaya ho sakta hai. Milaya hai ye saabit nahi hua abhi. Kuch symptoms dikhe to bacha lunga. Aur ab chup.

Pankaj keeps quiet.

Kavin – Usne apna naam bhi bataya tha......Purvi..Purvi tha uska naam

Shreya pov: Purvii...

Daya – Are sister.

A sister comes. – Ji?

Daya – Yaha koi Purvi naam ki psychotherapist hai?

Sister – Psychotherapy yaha nahi hoti. Ha ek Purvi naam ki ladki kai baar yaha suicide attempt karnewale patients ko dekhne aati hai. Agar use puchu kya kaam hai to kehti hai in becharo ke man ko ek anjaan se tasalli mila du ki koi hai unke saath..ajeeb ladki hai sir. 6 saal se yaha aa rahi hai. Uska aaga peecha nahi pata, par badi Hasmukh hai.

Daya – Okay. Thank you, sister.

Shreya – Sir..Pankaj ne kaha wo ek café me gaye the. Us café ka CCTV check karte hai.

ACP- Nahi Shreya, Sister ki baton se lagta nahi hai ki uski Kavin se kuch personal dushmani ho. Wo 6 saal se yahi kar rahi hai to shaq ki koi gunjaish nahi. Chalo hum bhi chalte hai. Kavin...apna khayal rakhna. Wo ladki phir se mili to hume khabar kar dena. Kuch bhi suspicious lage to batana. Aur aaj raat se Pankaj tumhare saath rahega. Koi par var nahi. Samjhe?

Kavin nods.

Shreya – Sir mai thodi der me aati hu.

ACP nods.

Shreya – Kaisa hai?

Kavin – Badhiya. Tu?

Shreya – Tu ise badhiya keh raha hai?

Kavin laughs a little.

Kavin – Waise tera Siddu tujhe pareshaan karta hai?

Shreya – Bohot jyada! Man to karta hai murder kar du.

Kavin – Mai help karu?

Shreya – Nahi yr..widhwa banke acchi nahi lagungi mai

Both share a laugh.

Shreya – Waise wo Purvi dikhne me kaisi thi?

Kavin – Acchi thi. Tujhe pata hai? Use Dushyant ke jaise dimples bhi the. Aur ek pal ke liye mujhe ye laga bhi ki wo wahi Purvi hai. Lekin..ye nahi ho sakta haina?

Shreya – Tu chinta mat kar. Dekh pehle tu thik hoja. Shruti ka case khatm hone de. Phir dekhenge ye kaun hai ye. Aur ek baar mili hai to dusri baar bhi milegi hi na.

Kavin – Ha yrr.. Chal chod ye sab. Tu bata..

Shreya – Kuch nahi yrr...tu aur Dushu hi to the jinse mai apne man ki baatein kar saku. Ek to kahi durrrrrrrr chala gaya aur tu paas hoke bhi milta nahi.

Kavin – Are meri maa...business me time hi nahi milta to mai kya karu?

Shreya smirks – Milta nahi hai ya tu nikalna nahi chahta?

Kavin – Tch! Teri problem kya hai huh?

Shreya – Problem teri hai samjha.

Kavin – Accha baba. Aage se time me time nikalke Siddu ke saath tere haath ki chai peene aaj jaunga. Okay? [Siddharth works under Kavin]

Shreya – Ha isme bhi siddu ko ghusa.

They talk, we can say fight for some more time. After that, Shreya leaves for bureau.

Kavin is discharged soon. Pankaj is keeping a strong eye on Kavin. One night, Kavin got a message on social media platform.

@Anonymous123 (A1)– Hi! Dushyant here. 

.

.

.

.

..

...

.

..

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.


to be continued..

Continue lendo

Você também vai gostar

57.9K 4.2K 70
kavi/karvi story Cover credit to @khush444
524K 20K 31
Scene: Khushi's suicide attempt. 🌺 Ranked #1 in Iss Pyaar Ko Kya Naam Doon. 🌷
7.8K 236 5
Nothing special to say. Just a short Kavi Story. Take a look inside and enjoy!
11.3K 691 16
yeh story hai 2 logo ko jinko kismat ne milaya hai ...ek ancha sa rishta banaya hai kya kbhi yeh 2 do log ek durse se pyaar kr paayege