Dil_Will_Pyaar_Vyaar

By Being101Indian

32.3K 1.5K 862

[COMPLETED] Kavin Khanna, unlike his Friend Dushyant Hemraj doesn't believe in love. They come to CID Mumbai... More

Dil Ki Baatein ❤
Dil Ki Baatein ❤ #2
Dusri Sagaai
Hand Of Help
Suleh
Note
Gussa
Dushyant's confession
Dushyant's accident
Care
Flashback
Realisation
Broken Heart
Senorita a culprit?
Kavin speaks
Purvi not the same anymore?
Realisation #2
Writer's Note
The End?

Mission

1.1K 67 26
By Being101Indian

Heyyy Morning glory! Thank you soooooooooo much for your valuable patience. My admission exam is canceled, so I can now update stories. A little, chotusa you know problem hai ki I have completed #DWPV, but due to some personal reasons, I will upload my story weekly. Hope, you guys understand.. :-(....let's get started. (I am uploading 2 stories today)

________________________________________________________________________________

Days pass like this. Ishyant and Shreya have told about Purvi's feelings to Nikhil and they have decided to do something (even they don't know what) to make them enter a relationship. Kavin hates Nikhil, even he doesn't know why...but Nikhil's presence irritates him, while Dushyant has become a good friend of Nikhil. Purvi sometimes steals glances towards Kavin, but as soon as he looks at her, she looks away. She goes behind him to talk with him but as soon as he turns, she changes her direction. Purvi-Kavin are not the same now. They still solve cases together, but they are not more than colleagues. At least from Purvi's side.....

One night in Kavyant's room [It's Dushyant's actually, but they sleep together so..]

Dushyant is chatting with Ishita and Kavin is reading is a book.

After sometime, Kavin finishes the book.

Kavin – Bhai roj bureau leke aata hai ghar chodne jaata hai, cases na ho to baat kar leta hai phir bhi peechle ghantebhar se chatting kiye jaa raha hai. Itna kya bolna hota hai yrr? Thak nahi jaate tum log baatein karke?

Dushyant looks at Kavin and texts Ishita:

Ye tumhara honewala dewar kuch baat karna chahta hai. Baadme baat kare? I love you. Take care. Goodnight 😊

Ishita replies: Yeah sure...mai bhi so leti hu thoda. I love you back. Take care. Goodnight 😊

Dushyant keeps the phone aside – Bak..

Kavin – Kya?

Dushyant – Kuch bolna chahta tha na. Bol ab..

Kavin – Mai kab bolna chahta tha?

Dushyant – Accha? Oh..mujhe laga. Thik hai phir. (Pulling the blanket) Good Night.

Kavin – Oye!...Sun na..

Dushyant (smiling) – Boliye...

Kavin – Tujhe kya lagta hai?

Dushyant – Kis baare me?

Kavin – Are...single hona accha hai ya relationship me rehna?

Dushyant pov: Lagta hai...janaab ko samajh raha hai..

Dushyant – Achanak All India Single raho group ke leader ko ye sawaal?

Kavin – Nahi..Bass...Aise hi pucha. Mai single hi rehne wala hu.

Dushyant – Ha...samajh raha hai tere confidence se. Accha bata kya puchna chahta hai?

Kavin – Wo..kisise pyaar karke kaisa lagta hai?

Dushyant controlled his laughter.

Dushyant – Accha lagta hai.

Kavin glares at him.

Dushyant laughs. – Sorry. (Making a serious face) Serious Dushu.

Kavin – (angrily) Thank you..ab bata na...hum kisise pyaar karte hai ye kaise pata chalta hai?

Dushyant – Dekh mai aise shabdo me baya nahi kar sakta. Wo ek ehsaas hai, jo mehsoos ho to hi accha lagta hai. Matlab agar aap kisiko pasand karte ho aur wo aapke aas paas na ho to aapko bura lagta hai lekin jab aap kisise pyaar karte ho, to uss insaan ki kami aapko kha jaati hai, wo kami mehsoos hona pyaar hai. [Kavin remembers how he felt restless, something missing when he took a month's leave for Dushyant or when Purvi was on leave for a week]

Dushyant - Jab aap kisi insaan ko pasand karte ho, to use chot lagne par aapko bura lagta hai lekin jab aap kisi insaan se pyaar karte ho to chot bhalehi use lagi ho..aap dono dard ke barabar hissedar hote ho. Uss dard ka hissedaar banna pyaar hai. [ Kavin remembers how he felt broken after rejecting her]

Dushyant – Aap apne dil ki har ek baat use batana chahte ho....Aisi baatein bhi jisse saamne wala gussa ho sakta hai. Wo wishwaas hi pyaar hai. [Kavin remembers how he told his biggest secret to Purvi]

Dushyant – Aap apne aap se jyada uski fikar karte ho, wo apnapan hi pyaar hai. [Kavin remembers how he couldn't see Purvi crying so for the first time he opened his arms for any girl]

Dushyant – Aapko khudko uske saamne chota banne me koi harz nahi hota. Wo saamne wale ki respect hi pyaar hai. [ Kavin remembers how he agreed that he can't win in front of Purvi, though he could.]

Dushyant – Aap..

Kavin puts his hand on Dushyant mouth. His eyes are teary. He whispers– Ruk jaa..

Dushyant – Kavi? Kya hua?

Dushyant hugs him and pats him.

Dushyant – Kya hua Kavi?? Sssh!! Shaant ho ja..shaant ho ja..Sssh...Lambi gehre saase le...Sssh..Shaant..

Kavin seperates from the hug. He is trembling.

Dushyant – Kavin..Kavin ye le paani pi. [He is rubbing Kavin's back]

Dushyant – Ab thik hai?

Kavin nods.

Dushyant – So jaa...baki baatein kal subah karenge.

And without speaking a word with each other, they both sleep.

Next day. Dushyant is cutting fruits for breakfast while Kavin is cleaning the hall.

Kavin goes to the kitchen.

Kavin from the door – Dushu yrr! Ye roj kya saaf safaai karwata hai? Roj roj ye sab karna jaroori hai kya? Ek to itna bada ghar hai. Saare naukro ko kaam se nikal diya hai. Aur hum dono roj subah ye ghar saaf karte rehte hai. Na kiya ghar saaf to chal jaata hai haina?

Dushyant – Haa baat to sahi keh raha hai. Roj roj khana khane ki bhi jaroorat nahi hai, haina? Bartan nikalte hai. Aur pet na bhare to bhi chal jaata hai haina?

Kavin glares at Dushyant.

Kavin – Tujhse koi nahi jeet sakta. Ishita ko bhi batade kaise julm karne wala hai uspar.

Dushyant – Pehle hi bata diya hai. Aur maan bhi gayi hai. Usne kaha hai patidev aur dewarji ne gharke kaamo me haath bataya to wo bhi karegi.

Kavin laughs – Ab bhabhiji ki madad karni hai to ghar ka ek teehai kaam mai kar lunga.

Dushyant smiles – Aur ek teehai mai. Le fruits kaat liye maine. Baki ka kaam breakfast ke baad karenge.

Kavin – Haa...bhuk lagi hai de jaldi.

On the table.

Kavin – Kal raat ke baareme kuch baat karni hai.

Dushyant (without looking at him, in a tensed tone) – Hmm..

Kavin – Single hona accha hai ya relationship me rehna?

Dushyant – Dono.

Kavin – Aise kaise?

Dushyant – Ab hai to hai. Dekh tu single rehke khush hai aur mai relationship me rehke.

Kavin – Aur...pyaar karke kaisa lagta hai?

Dushyant – Kal kaha na accha lagta hai.

Kavin – Waisa nahi...aisa kya alag hota hai pyaar me ki log mare jaate hai ek dusre se pyaar karne ke liye? Single rehna maano gunah hai

Dushyant – Aisi baat nahi hai. Apna soulmate mil jaaye na to complete lagta hai. Aur single rehna jhootha Rishta nibhane se behtar hi hai. Par jab pyaar hota haina, to wo ehsaas mehsoos karna itna accha lagta hai...waise tu kyu kal raat se ye saari cheeze puche jaa raha hai?

Kavin – Aaive hi 😊

Dushyant looks at him

Dushyant – Ab bata bhi de.

Kavin looks at Dushyant. Thinks something and narrates the things that happened. How he got lost in Purvi's eyes, how his heart paced both times she hugged him, how he shared his 'top secret' to her, how he felt incomplete when he was on leave or when Purvi was on leave, how he couldn't see her cry, how his heart pained while rejecting her, how he could connect with each and every thing Dushyant told him yesterday.

Dushyant smiled – To tujhe bhi aakhir pyaar ho hi gaya.

Kavin looks at other side – Aisa kuch nahi hai. Maine kal bhi kaha mai single hi rehne wala hu.

Dushyant – Aur kal bhi mujhe tere confidence se samajh aa gaya ki ye line tu dil se nahi bola.

Kavin (still looking at other side) – Kaha na aisa kuch nahi hai. Chal. Ready hote hai. Phir Ishita ko bhi to pickup karna hai.

Kavin stands up. Dushyant holds his hand.

Dushyant – Waise mujhe tujhe ek baat batani hai.

Kavin – Hmm?

Dushyant – Ye sab jo tune kaha...wo mujhe pehle se hi pata tha. Uss din teri aur Purvi ki baatein suni thi maine, Shreya aur Ishita ne. Mai to bass tere mujhse baat karne ki raah dekh raha tha. Aur jab tune bola ki tune tera past bhi use bata diya hai..tab to mujhe aur bhi jyada yakeen ho gaya ki tu Purvi se pyaar karne laga hai.

Kavin – Aisa kuch nahi hai Dushu. Mai aata hu ready hoke.

And he goes.

Dushyant (in a little high pitch) – Kitna bhi mana kar le, sach se bhaag nahi payega. Tere dil ki aawaj sunni hi padegi tujhe.

Kavin from the other room in a high pitch - Aawaj Chadha ke baat ki to baat sach nahi hoti. Kavin Khanna single rehne ke liye bana hai.

Dushyant from the door, smirking – Dekh lenge Kavin Khanna

In the bureau,

ACP – Suno sab log. Ek gaon ke baare me khabar mili hai. Waha ladkiyo ko steroids dekar unki trafficking ki jaa rahi hai. Uss gaon ke baare me pata karo.

Daya – Sir ye us gaon ki details. Mobile network aajtak us gaon me pohocha hi nahi. Saari baatein letters se.

Purvi – Haa sir. Gaon ki aadhi se jyada aabaadi kheti pe apna pet Bharti hai. Aur baki ki us gaon ki ekmev factory me kaam karke. Factory me raw materials process karke samaan banaya jaata hai. Saboon, Toothpaste, Shakkar aisi cheeze. Doctors, Police kuch nahi hai waha sir. Complaint ho to 50-50 km dur jaana padta hai aur medical emergency ke liye bhi same. Aise me muzrimo ka kaam aur bhi aasan ho jaata hai.

ACP – Ha Purvi..ek kaam karo Daya, Tum,Freddy, Kavin, Dushyant, Tarika, Shreya, Dushyant aur Nikhil uss gaon me businessman banke jao. Main us factory pe kadi nazar rakhna.

The team – Yes sir.

Next day the team goes to that village. They stay in an empty house in the village.


Name


Character


Daya


Father of Kavin, Dushyant. Dakshin Sidwani


Freddy


Younger brother of Daya. Father of Nikhil. Uttar Sidwani.


Dushyant


Elder son of Daya. Aagneya Sidwani.


Kavin


Younger son of Daya. Ishanya Sidwani.


Nikhil


Only son of Freddy. Purab Sidwani.


Ishita


Wife of Dushyant. Asha Sidwani


Purvi


Wife of Kavin. Usha Sidwani.


Shreya


Wife of Nikhil. Disha Sidwani.













In the evening, few ladies of the village come inside.

Lady 1 – Are bahuraniyo! Kaha ho?

Purvi, Shreya, Ishita come.

Ishita – Ji chachi?

Lady 2 – Tum badi bahu ho haina?

Ishita nods.

Lady 3 – Khana ban gaya?

Purvi – Nahi chachi. Safar karke kaafi thak gaye the. Abhi bana lenge. Yaha to online bhi nahi mabgwa sakte.

Lady 3- Are mazhli bahu..yaha to dactar(doctor) ke paas jaane ke liye bhi 50-50 km jaana padta hai. Khana to chodd hi do.

Lady 4- Wo to thik hai choti bahu..abhi khaane ki chinta mat karo, hum sab aap logo ke liye khana le aayenge. Kal subah ghar ke liye sabji-anaaj le aana. Thik hai?

The trio nod.

At night. Everyone's in Daya's room.

Kavin – Sir aaj ghar ke aas paas hi ghoome, par aisa kuch suspicious dikha nahi.

Purvi – Ha sir. Gaowale bohot friendly hai. Aise gao me aise kaam ho sakte hai ye wishwas nahi ho raha.

Dushyant – Ha sir. Lagta hai kafi din rukna padega yaha.

Freddy – Sir mujhe to lagta hai un aurato ko jaroor kuch pata hai.

Nikhil – Ha sir.

Daya – Maine bhi ek-do ajeeb aadmiyo ko dekha. Chalo ab sab sote hai. Kal se kaam bhi shuru karna hai.

Everyone goes. There are three bedrooms in the house. Ishita, Shreya, Purvi are sharing one room while Daya and Freddy are sharing the other. The third room is shared by Kavin, Dushyant and to Kavin's dismay, Nikhil.

At night. Dushyant is sleeping peacefully. Like evrynight, Kavin has kept his hand and leg on him. But unlike everynight, Kavin is unable to sleep as Nikhil has also kept his hand and leg on Kavin. Also, if he pulled back his hand and leg, he either slaps or kicks Kavin in sleep.

Kavin pov: Dushu..tu mahaan hai yarr! Bechara 23 saal se mere haath pair apne upar le raha hai. Itna ki agar hata du to neend hi khul jaye..kaise kar leta hai mera bhai? Kaise.?

Just then Nikhil kisses him on his cheek. Kavin is shocked....

Nikhil in sleep: Senorita..kaha thi tum?............. College me to tumse apne dil ki baat......... nahi keh paaya, aur.....tumhe kaise dhoondhu ye bhi.......samajh nahi...*blabber blabber blabbar* *sleeps*

Kavin couldn't handle more. He gets slowly gets up so as to not disturb Dushyant and goes out of the room.

Dushyant wakes up as he couldn't feel Kavin's hand and leg on him. He sees Kavin going out.

Dushyant (in a sleepy tone) – Kaha jaa raha hai?

Kavin – Huh? Nahi bass thoda tehel ke aata hu. Jald hi aaunga. Garmi ho rahi hai. Tu so jaa...

And he pats Dushyant's forehead.

Dushyant – Jaldi aana. Ya mai chalta hu tere saath.

Kavin forcefully makes him sleep.

Kavin – Kaha na jaldi aaunga. So jaa....

Dushyant sleeps but not in his sound sleep.

Kavin gets out. He directly goes on terrace. He feels the cool air touching his cheeks. He closes his eyes to feel it. As soon as he does it, he remembers Dushyant's accident. How he went on the terrace, how he sat on the wall, how Purvi pulled him back, how he rested his head on her shoulders and cried his heart out, how he trusted her as much as he trusted Dushyant, how his heart ached for her pain, how he loves...

Kavin opened his eyes....he was breathing very fast..

Kavin pov: Nahi Kavin Khanna. Kya soch raha hai tu? Paagal hai kya? Par tu humesha ghum phir ke Purvi pe hi kyu aata hai? Ye kya ho raha hai mujhe? Nahi...mai kabhi pyaar nahi karunga. Mai uske saath wo nahi hone dena chahta jo....

His thoughts are disturbed by someone's presence behind him. He turns back.

Kavin – Tum? 

.

.

.

.

.

...

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.


.

.

..

.

.

.

.

.

.

.

.

to be continued......

(Pardon typos, I haven't re-read the chapter)

Continue Reading

You'll Also Like

39.5K 2.2K 30
Love story of Kavi and Ishyant...peep in to know more....
57.7K 4.2K 70
kavi/karvi story Cover credit to @khush444
42.4K 3K 65
kavi/ karvi story... just peep inn
12.5K 826 16
We don't fall in love..we rise in love. They fell in love and lost..after years they met. But with only hate in their hearts. Then destiny plays a ga...